Who are certain that they will meet their Lord and that they will return to Him.
Jo jantay hain kay be-shak woh apney rab say mulaqat kerney walay aur yaqeenan woh ussi ki taraf lot ker janey walay hain.
जो गुमान रखते हैं कि उनको अपने रब से मिलना है और वे उसी की तरफ़ लौटने वाले हैं।
And if they had believed and feared Allah , then the reward from Allah would have been [far] better, if they only knew.
Agar yeh log sahib-e-eman mutaqqi bann jatay to Allah Taalaa ki taraf say behtareen sawab enehn milta agar yeh jantay hotay.
और अगर वे मोमिन बनते और तक़वा इख़्तियार करते तो अल्लाह का बदला उनके लिए बेहतर था, काश वे इसको समझते।
Among the Jews are those who distort words from their [proper] usages and say, "We hear and disobey" and "Hear but be not heard" and "Ra'ina," twisting their tongues and defaming the religion. And if they had said [instead], "We hear and obey" and "Wait for us [to understand]," it would have been better for them and more suitable. But Allah has cursed them for their disbelief, so they believe not, except for a few.
Baaz yahud kalmaat ko unn ki theek jagah say hair pher ker detay hain aur kehtay hain kay hum ney suna aur na farmani ki aur sunn iss kay baghair kay tu suna jaye aur humari riyayat ker! ( lekin iss kay kehney mein ) apni zaban ko paich detay hain aur deen mein taana detay hain aur agar yeh log kehtay kay hum ney suna aur hum ney farmanbardari ki aur aap suniye aur humen dekhiye to yeh inn kay liye boht behtar aur nihayat hi munasib tha lekin Allah Taalaa ney inn kay kufur ki waja say enhen laanat ki hai. Pus yeh boht hi kum eman latay hain.
यहूद में से एक गिरोह बात को उसके ठिकाने से हटा देता है और कहता है कि हमने सुना लेकिन उसे नहीं माना, और कहते हैं कि सुनो और तुम्हें सुनवाया न जाए, वह अपनी जु़बान को मोड़ कर कहते हैं (राअि़ना) दीन में ऐब लगाने के लिए, हालाँकि अगर वे कहते कि हमने सुना और हमने मान लिया और सुनो और हम पर नज़र करो तो यह उनके हक़ में ज़्यादा बेहतर और दुरुस्त होता, मगर अल्लाह ने उनके इनकार की वजह से उनपर लानत कर दी, पस वे ईमान न लाएंगे मगर बहुत कम।
Have you not seen those who claim to have believed in what was revealed to you, [O Muhammad], and what was revealed before you? They wish to refer legislation to Taghut, while they were commanded to reject it; and Satan wishes to lead them far astray.
Kiya aap ney unhen nahi dekha? Jin ka daawa to yeh hai kay jo kuch aap per aur jo kuch aap say pehlay utara gaya hai uss per unn ka eman hai lekin woh apney faislay ghair ullah ki taraf ley jana chahtay hain halankay unhen hukum diya gaya hai kay shetan ka inkar keren shetan to yeh chahata hai unhen behka ker door daal dey.
क्या आपने उन लोगों को नहीं देखा जो दावा करते हैं कि वे ईमान लाए उस पर जो उतारा गया है आप पर और जो उतारा गया है आपसे पहले, वे चाहते हैं कि मामला फ़ैसला के लिए ले जाएं शैतान के पास; हालाँकि उनको हुक्म हो चुका है कि उसको न मानें, और शैतान चाहता है कि उनको बहका कर निचले दर्जे की गुमराही में डाल दे।
And We did not send any messenger except to be obeyed by permission of Allah . And if, when they wronged themselves, they had come to you, [O Muhammad], and asked forgiveness of Allah and the Messenger had asked forgiveness for them, they would have found Allah Accepting of repentance and Merciful.
Hum ney her her rasool ko sirf iss liye bheja kay Allah Taalaa kay hukum say uss ki farmanbardari ki jaye aur agar yeh log jab enhon ney apni janon per zulm kiya tha teray pass aajatay aur Allah Taalaa say istaghfaar kertay aur rasool bhi inn kay liye istaghfaar kertay to yaqeenan yeh log Allah Taalaa ko moaf kerney wala meharban patay.
और हमने जो रसूल भेजा इसी लिए भेजा कि अल्लाह के हुक्म से उसकी इताअत की जाए, और अगर वे जबकि उन्होंने अपना बुरा किया था आपके पास आते और अल्लाह से मांगते और रसूल भी उनके लिए माफ़ी चाहते तो यक़ीनन वे अल्लाह को बख़्शने वाला, रहम करने वाला पाते।
And if We had decreed upon them, "Kill yourselves" or "Leave your homes," they would not have done it, except for a few of them. But if they had done what they were instructed, it would have been better for them and a firmer position [for them in faith].
Aur agar hum inn per yeh farz ker detay kay apni janon ko qatal ker daalo! Ya apney gharon say nikal jao! To issay inn mein say boht hi kum log baja latay aur agar yeh wohi kerne jiss ki enhen naseehat ki jati hai to yaqeenan yehi inn kay liye behtar aur boht ziyada mazbooti wala ho.
और अगर हम उनको हुक्म देते कि अपने आपको हलाक करो या अपने घरों से निकलो, तो उनमें से थोड़े ही इस पर अमल करते, और अगर ये लोग वह करते जिसकी उन्हें नसीहत की जाती है तो उनके लिए यह बात बेहतर और ईमान पर ज़्यादा साबित रखने वाली होती।
It is not for the Prophet and those who have believed to ask forgiveness for the polytheists, even if they were relatives, after it has become clear to them that they are companions of Hellfire.
Payghumbar ko aur doosray musalmanon ko jaaez nahi kay mushrikeen kay liye maghfirat ki dua maangen agar cheh woh rishtay daar hi hon iss amar kay zahir ho janey kay baad kay yeh log dozakhi hain.
नबी के लिए और उन लोगों के लिए जो ईमान लाए हैं मुनासिब नहीं कि मुशरिकों के लिए मग़फ़िरत की दुआ करें, चाहे वे उनके रिश्तेदार ही हों जबकि उन पर खुल चुका कि ये जहन्नम में जाने वाले लोग हैं।
Do they not see that they are tried every year once or twice but then they do not repent nor do they remember?
Aur kiya inn ko nahi dikhlaee deta kay yeh log her saal aik baar ya do baar kissi na kissi aafat mein phanstay rehtay hain phir bhi na toba kertay aur na naseehat qabool kertay hain.
क्या ये लोग देखते नहीं कि वे हर साल एक बार या दो बार आज़माइश में डाले जाते हैं फिर भी न तौबा करते हैं और न सबक़ हासिल करते हैं।
It is He who enables you to travel on land and sea until, when you are in ships and they sail with them by a good wind and they rejoice therein, there comes a storm wind and the waves come upon them from everywhere and they assume that they are surrounded, supplicating Allah , sincere to Him in religion, "If You should save us from this, we will surely be among the thankful."
Aur Allah aisa hai kay tum ko khushki aur darya mein chalata hai yahan tak kay jab tum kashti mein hotay ho aur woh kashtiyan logon ko mowafiq hawa kay zariye ley ker chalti hain aur woh log inn say khush hotay hain inn per aik jhonka sakht hawa ka aata hai aur her taraf say unn per mojen uthti chali aati hain aur woh samajhtay hain kay ( buray ) aa ghiray ( ussa waqat ) sab khalis aetiqaad ker kay Allah hi ko pukartay hain kay agar tu hum ko iss say bacha ley to hum zaroor shukar guzaar bann jayen.
वह अल्लाह ही है जो तुमको ख़ुश्की और तरी में चलाता है; चुनाँचे जब तुम कश्ती में होते हो और कश्तियाँ लोगों को लेकर मुवाफ़िक़ हवा से चल रही होती हैं और लोग उससे ख़ुश होते हैं कि यकायक एक तेज़ हवा आती है और उन पर हर जानिब से मौजें उठने लगती हैं और वे गुमान कर लेते हैं कि हम घिर गए, उस वक़्त वे अपने दीन को अल्लाह ही के लिए ख़ालिस करके उसको पुकारने लगते हैं कि अगर आपने हमें इससे नजात दे दी तो यक़ीनन हम शुक्रगुज़ार बंदे बनेंगे।
The example of [this] worldly life is but like rain which We have sent down from the sky that the plants of the earth absorb - [those] from which men and livestock eat - until, when the earth has taken on its adornment and is beautified and its people suppose that they have capability over it, there comes to it Our command by night or by day, and We make it as a harvest, as if it had not flourished yesterday. Thus do We explain in detail the signs for a people who give thought.
Pus duniyawi zindagi ki halat to aisi hai jaisay hum ney aasman say pani barsaya phir uss say zamin ki nabataat jin ko aadmi aur chopaye khatay hain khoob gunjaan ho ker nikli. Yahan tak kay jab woh zamin apni ronaq ka poora hissa ley chuki aur uss ki khoob zebaeesh hogaee aur uss kay malikon ney samajh liya kay abb hum iss per bilkul qabiz ho chukay to din mein ya raat mein iss per humari taraf say koi hukum ( azab ) aa para so hum ney uss ko aisa saaf ker diya kay goya kal woh mojood hi na thay hum issi tarah aayat ko saaf saaf biyan kertay hainaisay logon kay liye jo sochtay hain.
दुनिया की ज़िंदगी की मिसाल ऐसी है जैसे पानी कि हमने उसको आसमान से बरसाया तो ज़मीन का सब्ज़ा ख़ूब निकला जिसको आदमी खाते हैं और जिसको जानवर खाते हैं, यहाँ तक कि जब ज़मीन पूरी रौनक़ पर आ गई और संवर उठी और ज़मीन वालों ने गुमान कर लिया कि अब यह हमारे क़ाबू में है तो अचानक उस पर हमारा हुक्म रात को या दिन को आ गया फिर हमने उसको काट कर ढेर कर दिया गोया कल यहाँ कुछ था ही नहीं, इस तरह हम निशानियाँ खोलकर बयान करते हैं उन लोगों के लिए जो ग़ौर करते हैं।
Thus the word of your Lord has come into effect upon those who defiantly disobeyed - that they will not believe.
Issi tarah aap kay rab ki yeh baat kay yeh eman na layen gay tamam fasiq logon kay haq mein sabit ho chuki hai.
इसी तरह आपके रब की बात सरकशी करने वालों के हक़ में पूरी हो चुकी है कि वे ईमान न लाएंगे।