Whoever desires the life of this world and its adornments - We fully repay them for their deeds therein, and they therein will not be deprived.
Jo shaks duniya ki zindagi aur iss ki zeenat per farifta hua chahata ho hum aison ko unn kay kul aemaal ( ka badla ) yahin bharpoor phoncha detay hain aur yahan enhen koi kami nahi ki jati.
जो लोग दुनिया की ज़िंदगी और उसकी ज़ीनत चाहते हैं हम उनके आमाल का बदला दुनिया ही में दे देते हैं और उसमें उनके साथ कोई कमी नहीं की जाती।
They said, "By Allah , certainly has Allah preferred you over us, and indeed, we have been sinners."
Unhon ney kaha Allah ki qasam! Allah Taalaa ney tujhay hum per bartari di hai aur yeh bhi bilkul sach hai kay hum khata kaar thay.
भाइयों ने कहाः अल्लाह की क़सम! अल्लाह ने आपको हमारे ऊपर फ़ज़ीलत दी और बेशक हम ग़लती पर थे।
The ones who prefer the worldly life over the Hereafter and avert [people] from the way of Allah , seeking to make it ( seem ) deviant. Those are in extreme error.
Jo aakhirat kay muqablay mein dunyawi zindagi ko pasand rakhtay hain aur Allah ki raah say roktay hain aur iss mein terh pann peda kerna chahatay hain. Yehi log parli darjay ki gumrahi mein hain.
जो कि आख़िरत के मुक़ाबले में दुनिया की ज़िंदगी को पसंद करते हैं और अल्लाह के रास्ते से रोकते हैं और उसमें कजी (टेढ़ापन) निकालना चाहते हैं, ये लोग रास्ते से भटक कर बहुत दूर जा पड़े हैं।
That is because they preferred the worldly life over the Hereafter and that Allah does not guide the disbelieving people.
Yeh iss liye kay enhon ney duniya ki zindagi ko aakhirat per ziyada mehboob rakgha. Yaqeenan Allah Taalaa kafir logon ko raah-e-raast nahi dikhata.
यह इस वास्ते कि उन्होंने आख़िरत के मुक़ाबले में दुनिया की ज़िंदगी को पसंद किया, और अल्लाह मुनकिरों को रास्ता नहीं दिखाता।
Whoever should desire the immediate - We hasten for him from it what We will to whom We intend. Then We have made for him Hell, which he will [enter to] burn, censured and banished.
Jiss ka irada sirf iss jaldi wali duniya ( fori faeeda ) ka hi ho ussay hum yahan jiss qadar jiss kay liye chahayen sirdast detay hain bil aakhir uss kay liye jahannum muqarrar ker detay hain jahan woh burray halon dhutkara hua dakhil hoga.
जिसका इरादा सिर्फ़ इस जल्दी वाली दुनिया (फ़ौरी फ़ायदे) का ही हो उसे हम यहाँ जिस क़दर जिसके लिए चाहें फ़ौरन दे देते हैं, बिल-आख़िर उसके लिए हम जहन्नम मुक़र्रर कर देते हैं जहाँ वह बुरे हालों धुतकारा हुआ दाख़िल होगा।
Those are the ones who have bought the life of this world [in exchange] for the Hereafter, so the punishment will not be lightened for them, nor will they be aided.
Yeh woh log hai jinhon ney duniya ki zindagi ko aakhirat kay badlay khareed liya hai inn kay na to azab halkay hongay aur na inn ki madad ki jaye gi.
यही लोग हैं जिन्होंने आख़िरत के बदले दुनिया की ज़िंदगी ख़रीदी, पस न उनका अज़ाब हल्का किया जाएगा और न उनको मदद पहुँचेगी।
They said, "Never will we prefer you over what has come to us of clear proofs and [over] He who created us. So decree whatever you are to decree. You can only decree for this worldly life.
Unhon ney jawab diya kay na-mumkin hai kay hum tujhay tarjeeh den inn daleelon per jo humaray samney aa chukin aur uss Allah per jiss ney humen peda kiya hai abb to jo kuch tu kerney wala hai ker guzar tu jo kuch bhi hukum chala sakta hai wo issi duniyawi zindagi mein hi hai.
उन्होंने कहा, "जो स्पष्ट निशानियाँ हमारे सामने आ चुकी हैं उन के मुक़ाबले में सौगंध है उस सत्ता की, जिस ने हमें पैदा किया है, हम कदापि तुझे प्राथमिकता नहीं दे सकते। तो जो कुछ तू फ़ैसला करने वाला है, कर ले। तू बस इसी सांसारिक जीवन का फ़ैसला कर सकता है
Has He chosen daughters over sons?
Kiya Allah Taalaa ney apnay liye betiyon ko beton per tarjeeh di.
क्या उस ने बेटों की अपेक्षा बेटियाँ चुन ली हैं?
So let those fight in the cause of Allah who sell the life of this world for the Hereafter. And he who fights in the cause of Allah and is killed or achieves victory - We will bestow upon him a great reward.
Pus jo log duniya ki zindagi ko aakhirat kay badlay baich chukay hain unhen Allah Taalaa ki raah mein jihad kerna chahaiye aur jo shaks Allah Taalaa ki raah mein jihad kertay huye shahdat paa ley ya ghalib aajaye yaqeenan hum ussay bara sawab inayat farmayen gay.
पस चाहिए कि लड़ें अल्लाह की राह में वे लोग जो आख़िरत के बदले दुनिया की ज़िंदगी को बेच देते हैं, और जो शख़्स अल्लाह की राह में लड़े फिर मारा जाए या ग़ालिब आ जाए तो हम उसको बड़ा अज्र देंगे।
And [also for] those who were settled in al-Madinah and [adopted] the faith before them. They love those who emigrated to them and find not any want in their breasts of what the emigrants were given but give [them] preference over themselves, even though they are in privation. And whoever is protected from the stinginess of his soul - it is those who will be the successful.
Aur ( unn kay liye ) jinhon ney iss ghar mein ( yani madina ) aur eman mein inn say pehlay jagah bana li hai aur apni taraf hijrat ker kay aaney walon say mohabbat kertay hain aur mohajireen ko jo kuch dey diya jaye iss say woh apney dilon mein koi tangi nahi rakhtay bulkay khud apney upper enhen tarjeeh detay hain go khud ko kitni hi sakht haajat ho ( baat yeh hai ) kay jo bhi apney nafs kay bukhul say bachaya gaya wohi kaamyaab ( aur baa murad ) hai.
और उन के लिए जो उन से पहले ही से हिजरत के घर (मदीना) में ठिकाना बनाए हुए हैं और ईमान पर जमे हुए हैं, वे उन से प्रेम करते हैं जो हिजरत करके उन के यहाँ आए हैं और जो कुछ भी उन्हें दिया गया उस से वे अपने सीनों में कोई खटक नहीं पाते और वे उन्हें अपने मुक़ाबले में प्राथमिकता देते हैं, यद्यपि अपनी जगह वे स्वयं मुहताज ही हों। और जो अपने मन के लोभ और कृपणता से बचा लिया जाए ऐसे लोग ही सफल हैं
And there followed them successors who inherited the Scripture [while] taking the commodities of this lower life and saying, "It will be forgiven for us." And if an offer like it comes to them, they will [again] take it. Was not the covenant of the Scripture taken from them that they would not say about Allah except the truth, and they studied what was in it? And the home of the Hereafter is better for those who fear Allah , so will you not use reason?
Phir inn kay baad aisay log inn kay janasheen huye kay kitab ko inn say hasil kiya woh iss duniya-e-faani ka maal mataa ley letay hain aur kehtay hain kay humari zaroor maghfirat hojaye gi halankay agar inn kay pass wesa hi maal mataa aaney lagay to iss ko bhi ley len gay. Kiya inn say iss kitab kay iss mazmoon ka ehad nahi liya gaya kay Allah ki taraf ba-juz haq baat kay aur kissi baat ki nisbat na keren aur enhon ney iss kitab mein jo kuch tha uss ko parh liya aur aakhirat wala ghar unn logon kay liye behtar hai jo taqwa rakhtay hain phri kiya tum nahi samajhtay.
फिर उनके पीछे ना-अहल लोग आए जो किताब के वारिस बने, वे इसी दुनिया के सामान लेते हैं और कहते हैं कि हम यक़ीनन बख़्श दिए जाएंगे, और अगर ऐसा ही सामान उनके सामने फिर आए तो वे उसको ले लेंगे, क्या उनसे किताब में इसका अहद नहीं लिया गया है कि अल्लाह के नाम पर हक़ के सिवा कोई और बात न कहें, और उन्होंने पढ़ा है जो कुछ उसमें लिखा है, और आख़िरत का घर बेहतर है डरने वालों के लिए, क्या तुम समझते नहीं?
And preferred the life of the world,
Aur duneyawi zindagi ko tarjeeh di ( hogi )
और सांसारिक जीवन को प्राथमिकता दी होगी,