For those who have responded to their Lord is the best [reward], but those who did not respond to Him - if they had all that is in the earth entirely and the like of it with it, they would [attempt to] ransom themselves thereby. Those will have the worst account, and their refuge is Hell, and wretched is the resting place.
Jin logon ney apney rab kay hukum ki baja aawri ki unn kay liye bhalee hai aur jin logon ney uss ki hukum bardari na ki agar unn kay liye zamin mein jo kuch hai sab kuch ho aur issi kay sath wisa hi aur bhi ho to woh sab kuch apney badlay mein dey den. Yehi hain jin kay liye bura hisab hai aur jin ka thikana jahannum hai jo boht buri jagah hai.
जिन लोगों ने अपने रब की पुकार पर लब्बैक कहा उनके लिए भलाई है, और जिन लोगों ने उसकी पुकार को न माना अगर उनके पास वह सब कुछ हो जो ज़मीन में है और उसके बराबर और भी तो वह सब अपनी नजात के लिए दे डालें, उन लोगों का हिसाब सख़्त होगा और उनका ठिकाना जहन्नम होगा, और वह कैसा बुरा ठिकाना है।
Our Lord, forgive me and my parents and the believers the Day the account is established."
Aey humaray perwerdigar! Mujhay bakhsh dey aur meray maa baap ko bhi bakhsh aur digar momino ko bhi bakhsh jiss din hisab honey lagay.
ऐ हमारे रब! मुझे माफ़ फ़रमाइए और मेरे वालिदैन को और मोमिनीन को उस रोज़ जबकि हिसाब क़ायम होगा।
Those will have a share of what they have earned, and Allah is swift in account.
Yeh woh log hain jin kay liye unn kay aemaal ka hissa hai aur Allah Taalaa jalad hisab lenay wala hai.
उन्हीं लोगों के लिए हिस्सा है उनके किये का, और अल्लाह जल्द हिसाब लेने वाला है।
[The time of] their account has approached for the people, while they are in heedlessness turning away.
Logon kay hisab ka waqt qareeb aagaya phir bhi woh bey khabri mein mun pheray huye hain.
निकट आ गया लोगों का हिसाब और वे हैं कि असावधान कतराते जा रहे हैं
And whoever invokes besides Allah another deity for which he has no proof - then his account is only with his Lord. Indeed, the disbelievers will not succeed.
Jo shaks Allah kay sath kissi doosray mabood ko pukaray jiss ki koi daleel uss kay pass nahi pus uss ka hisab to uss kay rab kay upper hi hai. Be-shak kafir log nijat say mehroom hain.
और जो कोई अल्लाह के साथ किसी दूसरे पूज्य को पुकारे, जिस के लिए उस के पास कोई प्रमाम नहीं, तो बस उस का हिसाब उस के रब के पास है। निश्चय ही इनकार करने वाले कभी सफल नहीं होंगे
But those who disbelieved - their deeds are like a mirage in a lowland which a thirsty one thinks is water until, when he comes to it, he finds it is nothing but finds Allah before Him, and He will pay him in full his due; and Allah is swift in account.
Aur kafiron kay aemaal misil uss chamakti hui rait kay hain jo chatyal maidan mein ho jissay piyasa shaks door say pani samjhta hai lekin jab uss kay pass phonchta hai to ussay kuch bhi nahi pata haan Allah ko apnay pass pata hai jo uss ka hisab poora poora chuka deta hai. Allah boht jald hisab ker denay wala hai.
रहे वे लोग जिन्होंने इनकार किया उन के कर्म चटियल मैदान में मरीचिका की तरह है कि प्यासा उसे पानी समझता है, यहाँ तक कि जब वह उस के पास पहुँचा तो उसे कुछ भी न पाया। अलबत्ता अल्लाह ही को उस के पास पाया, जिस ने उस का हिसाब पूरा-पूरा चुका दिया। और अल्लाह बहुत जल्द हिसाब करता है
And indeed, among the People of the Scripture are those who believe in Allah and what was revealed to you and what was revealed to them, [being] humbly submissive to Allah . They do not exchange the verses of Allah for a small price. Those will have their reward with their Lord. Indeed, Allah is swift in account.
Yaqeenan ehal-e-kitab mein say baaz aisay bhi hain jo Allah Taalaa per eman latay hain aur tumhari taraf jo utaata gaya hai aur unn ki janib jo nazil hua uss per bhi Allah Taalaa say dartay hain aur Allah Taalaa ki aayaton ko thori thori qeemat per baichtay bhi nahi inn ka badla inn kay rab kay pass hai yaqeenan Allah Taalaa jald hisab lenay wala hai.
और अहले किताब में कुछ ऐसे भी हैं जो अल्लाह पर ईमान रखते हैं और उस किताब को मानते हैं जो तुम्हारी तरफ़ भेजी गई और उस किताब को भी जो ख़ुद उनकी तरफ़ भेजी गई थी, वे अल्लाह के आगे झुके हुए हैं, और वे अल्लाह की आयतों को थोड़ी क़ीमत पर बेच नहीं देते, यही वे लोग हैं कि उनका अज्र उनके रब के पास है, और बेशक अल्लाह जल्द हिसाब लेने वाला है।
And they say, "Our Lord, hasten for us our share [of the punishment] before the Day of Account"
Aur unhon ney kaha aey humaray rab! Humari sir-nawisht tu humen roz-e-hisab say pehlay hi day dey.
वे कहते हैं, "ऐ हमारे रब! हिसाब के दिन से पहले ही शीघ्र हमारा हिस्सा दे दे।"
This Day every soul will be recompensed for what it earned. No injustice today! Indeed, Allah is swift in account.
Aaj her nafas ko uss ki kamaee ka badla diya jayega. Aaj ( kissi qisam ka ) zulm nahi yaqeenan Allah Taalaa boht jald hisab kerney wala hai.
आज प्रत्येक व्यक्ति को उस की कमाई का बदला दिया जाएगा। आज कोई ज़ुल्म न होगा। निश्चय ही अल्लाह हिसाब लेने में बहुत तेज है
They ask you, [O Muhammad], what has been made lawful for them. Say, "Lawful for you are [all] good foods and [game caught by] what you have trained of hunting animals which you train as Allah has taught you. So eat of what they catch for you, and mention the name of Allah upon it, and fear Allah ." Indeed, Allah is swift in account.
Aap say daryaft kertay hain kay unn kay liye kiya kuch halal hai? Aap keh dijiye kay tamam pak cheezen tumharay liye halal ki gaee hain aur jin shikar khelney walay janwaron ko tum ney sidha rakha hai yani jinhen tum thora boht woh sikhatay ho jiss ki taleem Allah Taalaa ney tumhen dey rakhi hai pus jiss shikar ko woh tumharay liye pakar ker rok rakhen to tum uss say kha lo aur iss per Allah Taalaa kay naam ka zikar ker liya kero. Aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeenan Allah Taalaa jald hisab lenay wala hai.
वे आपसे पूछते हैं कि उनके लिए क्या चीज़ हलाल की गई है, कह दीजिए कि तुम्हारे लिए पाकीज़ा चीज़ें हलाल हैं, और शिकारी जानवरों में से जिनको तुमने सधाया है तुम उनको सिखाते हो उसमें से जो अल्लाह ने तुमको सिखाया है, पस तुम उनके शिकार में से खाओ जो वे तुम्हारे लिए पकड़ कर रखें और उन पर अल्लाह का नाम लो और अल्लाह से डरो, अल्लाह बेशक जल्द हिसाब लेने वाला है।
Indeed, they were not expecting an account
Unhein to hisab ki tawaqa hi na thi
वास्तव में किसी हिसाब की आशा न रखते थे,
He will be judged with an easy account
Us ka hisab to bari aasani say liya jaey ga
तो उस से आसान, सरसरी हिसाब लिया जाएगा