And [recall] when We said, "Enter this city and eat from it wherever you will in [ease and] abundance, and enter the gate bowing humbly and say, 'Relieve us of our burdens.' We will [then] forgive your sins for you, and We will increase the doers of good [in goodness and reward]."
Aur hum ney tum say kaha uss basti mein jao aur jo kuch ja kahin say chahao ba faraghat khao piyo aur darwazay mein sajday kertay huye guzro aur zaban say hitta kaho hum tumhari khatayen moaf farma den gay aur neki kerney walon ko aur ziyada den gay.
और जब हमने कहा कि दाख़िल हो जाओ इस शहर में और खाओ उसमें से जहाँ से चाहो जी भर के, और दाख़िल हो दरवाज़े में सर झुकाए हुए और कहो कि ऐ रब! हमारी ख़ताओं को बख़्श दे, हम तुम्हारी ख़ताओं को बख़्श देंगे, और नेकी करने वालों को ज़्यादा भी देंगे।
And We raised over them the mount for [refusal of] their covenant; and We said to them, "Enter the gate bowing humbly", and We said to them, "Do not transgress on the sabbath", and We took from them a solemn covenant.
Aur inn ka qol lenay kay liye hum ney inn kay saron per toor pahaar laa khara ker diya aur enhen hukum diya kay sajda kertay huye darwazay mein jao aur yeh bhi farmaya kay haftay kay din mein tajawuz na kerna aur hum ney inn say sakht say sakht qol-o-qarar liye.
और हमने ऊपर कोहे-तूर को उठाया उनसे अहद लेने के वास्ते और हमने उनसे कहा कि दरवाज़े में से दाख़िल हो सर झुकाए हुए और उनसे कहा कि सनीचर के मामले में ज़्यादती न करना, और हमने उनसे मज़बूत अहद लिया।
And [mention, O Muhammad], when it was said to them, "Dwell in this city and eat from it wherever you will and say, 'Relieve us of our burdens,' and enter the gate bowing humbly; We will [then] forgive you your sins. We will increase the doers of good [in goodness and reward]."
Aur jab inn ko hukum diya gaya kay tum log iss aabadi mein jaa ker raho aur khao uss say jiss jagah tum raghbat kero aur zaban say yeh kehtay jana kay tauba hai aur jhukay jhukay darwazon mein dakhil hona hum tumhari khatayen moaf ker den gay. Jo log nek kaam keren gay unn ko mazeed baran aur den gay.
और जब उनसे कहा गया कि उस बस्ती में जाकर बस जाओ और उसमें से जहाँ से चाहो खाओ और कहो कि हमको बख़्श दीजिए और दरवाज़े में से झुके हुए दाख़िल हो, हम तुम्हारी ख़ताएं माफ़ कर देंगे, हम नेकी करने वालों को और ज़्यादा देंगे।
And he raised his parents upon the throne, and they bowed to him in prostration. And he said, "O my father, this is the explanation of my vision of before. My Lord has made it reality. And He was certainly good to me when He took me out of prison and brought you [here] from bedouin life after Satan had induced [estrangement] between me and my brothers. Indeed, my Lord is Subtle in what He wills. Indeed, it is He who is the Knowing, the Wise.
Aur apney takht per apney maa baap ko ooncha bithaya aur sab uss kay samney sajday mein girr gaye. Tab kaha kay abba ji! Yeh meray pehlay kay khuwab ki tabeer hai meray rab ney ussay sacha ker dikhaya uss ney meray sath bara ehsan kiya jab kay mujhay jail khaney say nikala aur aap logon ko sehra say ley aaya uss ikhtilaaf kay baad jo shetan ney mujh mein aur meray bhaiyon mein daal diya tha. Mera rab jo chahaye uss kay liye behtareen tadbeer kerney wala hai. Aur woh boht ilm-o-hikmat wala hai.
और उसने अपने वालिदैन को तख़्त पर बिठाया और सब उसके लिए सज्दे में झुक गए, और यूसुफ़ (अलै॰) ने कहाः ऐ अब्बा जान! यह है मेरे ख़्वाब की ताबीर जो मैंने पहले देखा था, मेरे रब ने उसको सच्चा कर दिया और उसने मेरे साथ एहसान किया कि उसने मुझे क़ैद से निकाला और तुम सबको देहात से यहाँ लाया बाद में इसके कि शैतान ने मेरे और मेरे भाइयों के दरमियान फ़साद डाल दिया था, बेशक मेरा रब जो कुछ चाहता है उसकी उम्दा तदबीर कर लेता है, यक़ीनन वही जानने वाला, हिकमत वाला है।
Have they not considered what things Allah has created? Their shadows incline to the right and to the left, prostrating to Allah , while they are humble.
Kiya enhon ney Allah ki makhlooq mein kissi ko bhi nahi dekha? Kay uss kay saye dayen bayen jhuk jhuk ker Allah Taalaa kay samney sir ba sujood hotay aur aajzi ka izhar kertay hain.
क्या वे नहीं देखते कि अल्लाह ने जो चीज़ भी पैदा की है उसके साये दाएं तरफ़ और बाएं तरफ़ झुक जाते हैं अल्लाह को सज्दा करते हुए और वे सब आजिज़ हैं।
Say, "Believe in it or do not believe. Indeed, those who were given knowledge before it - when it is recited to them, they fall upon their faces in prostration,
Keh dijiye! Tum iss per eman laao ya na laao jinehn iss say pehlay ilm diya gaya hai unn kay pass to jab bhi iss ki tilawat ki jati hai to woh thoriyon kay bal sajda mein gir partay hain.
कह दो, "तुम उसे मानो या न मानो, जिन लोगों को इस से पहले ज्ञान दिया गया है, उन्हें जब वह पढ़कर सुनाया जाता है, तो वे ठोड़ियों के बल सजदे में गिर पड़ते हैं
Those were the ones upon whom Allah bestowed favor from among the prophets of the descendants of Adam and of those We carried [in the ship] with Noah, and of the descendants of Abraham and Israel, and of those whom We guided and chose. When the verses of the Most Merciful were recited to them, they fell in prostration and weeping.
Yehi woh anbiya hain jin per Allah Taalaa ney fazal-o-karam kiya jo aulad-e-adam mein say hain aur unn logon ki nasal say hain jinhen hum ney nooh ( alh-e-salam ) kay sath kashti mein charha liya tha aur aulad ibrahim-o-yaqoob say aur humari taraf say raaha yafta aur humaray pasandeedah logon mein say. Inn kay samney jab Allah rehman ki aayaton ki tilawat ki jati thi yeh sajda kertay aur rotay girgiratay gir partay thay.
ये वे पैग़म्बर हैं जो अल्लाह के कृपापात्र हुए, आदम की सन्तान में से और उन लोगों के वंशज में से जिन को हम ने नूह के साथ सवार किया, और इबराहीम और इसराईल के वंशज में से और उन में से जिन को हम ने सीधा मार्ग दिखाया और चुन लिया। जब उन्हें रहमान की आयतें सुनाई जातीं तो वे सजदा करते और रोते हुए गिर पड़ते थे
So the magicians fell down in prostration. They said, "We have believed in the Lord of Aaron and Moses."
Abb to tamam jadoogar sajday mein girr paray aur pukar uthay kay hum to haroon ( alh-e-salam ) aur musa ( alh-e-salam ) kay rab per eman laye.
अन्ततः जादूगर सजदे में गिर पड़े, बोले, "हम हारून और मूसा के रब पर ईमान ले आए।"
And those who spend [part of] the night to their Lord prostrating and standing [in prayer]
Aur jo apnay rab kay samney sajday aur qayam kertay huye raten guzar detay hain.
जो अपने रब के आगे सजदे में और खड़े रातें गुज़ारते हैं;
Only those believe in Our verses who, when they are reminded by them, fall down in prostration and exalt [ Allah ] with praise of their Lord, and they are not arrogant.
Humari aayaton per wohi eman latay hain jinhen jab kabhi inn say naseehat ki jati hai to woh sajday mein gir partay hain aur apnay rab ki hamd kay sath uss ki tasbeeh parhtay hain aur takabbur nahi kertay hain.
हमारी आयतों पर तो बस वही लोग ईमान लाते हैं, जिन्हें उन के द्वारा जब याद दिलाया जाता है तो सजदे में गिर पड़ते हैं और अपने रब का गुणगान करते हैं और घमंड नहीं करते
Muhammad is the Messenger of Allah ; and those with him are forceful against the disbelievers, merciful among themselves. You see them bowing and prostrating [in prayer], seeking bounty from Allah and [His] pleasure. Their mark is on their faces from the trace of prostration. That is their description in the Torah. And their description in the Gospel is as a plant which produces its offshoots and strengthens them so they grow firm and stand upon their stalks, delighting the sowers - so that Allah may enrage by them the disbelievers. Allah has promised those who believe and do righteous deeds among them forgiveness and a great reward.
Muhammad ( PBUH ) Allah kay rasool hain aur jo log unn kay sath hain kafiron per sakht hain aapas mein reham dil hain tu enhen dekhay ga kay rukoo aur sajday ker rahey hain Allah Taalaa kay fazal aur raza mandi ki justujoo mein hain inn ka nishan inn kay chehron per sajdon kay asar say hai inn ki yeh hi misal toraat mein hai aur inn ki misal injeel mein hai misil uss kheti kay jiss ney apna ankhwa nikala phir ussay mazboot kiya aur woh mota hogaya phir apnay tanay per seedha khara hogaya aur kisano ko khush kernay laga takay inn ki waja say kafiron ko chiraye inn eman walon aur nek aemaal walon say Allah ney bakhsish ka aur boht baray sawab ka wada kiya hai.
अल्लाह के रसूल मुहम्मद और जो लोग उन के साथ हैं, वे इनकार करने वालों पर भारी हैं, आपस में दयालु हैं। तुम उन्हें रुकू में, सजदे में, अल्लाह का उदार अनुग्रह और उस की प्रसन्नता चाहते हुए देखोगे। वे अपने चहरों से पहचाने जाते हैं जिन पर सजदों का प्रभाव है। यही उन की विशेषता तौरात में और उन की विशेषता इंजील में उस खेती की तरह उल्लिखित है जिस ने अपना अंकुर निकाला; फिर उसे शक्ति पहुँचाई तो वह मोटा हुआ और वह अपने तने पर सीधा खड़ा हो गया। खेती करने वालों को भा रहा है, ताकि उन से इनकार करने वालों का जी जलाए। उन में से जो लोग ईमान लाए और उन्होंने अच्छे कर्म किए उन से अल्लाह ने क्षमा और बदले का वादा किया है