[Be warned of] the Day when Allah will assemble the messengers and say, "What was the response you received?" They will say, "We have no knowledge. Indeed, it is You who is Knower of the unseen"
Jiss roz Allah Taalaa tamam payghumbaron ko jama keray ga phir irshad farmaye ga tum ko kiya jawab mila tha woh arz keren gay kay hum ko kuch khabar nahi tu hi be-shak posheedah baaton ko poora jannay wala hai.
जिस दिन अल्लाह पैग़म्बरों को जमा करेगा फिर पूछेगा कि तुमको क्या जवाब मिला था, वे कहेंगेः हमें कुछ इल्म नहीं, ग़ैब की बातों का तमाम इल्म तो आप ही के पास है।
[The Day] when Allah will say, "O Jesus, Son of Mary, remember My favor upon you and upon your mother when I supported you with the Pure Spirit and you spoke to the people in the cradle and in maturity; and [remember] when I taught you writing and wisdom and the Torah and the Gospel; and when you designed from clay [what was] like the form of a bird with My permission, then you breathed into it, and it became a bird with My permission; and you healed the blind and the leper with My permission; and when you brought forth the dead with My permission; and when I restrained the Children of Israel from [killing] you when you came to them with clear proofs and those who disbelieved among them said, "This is not but obvious magic."
Jab kay Allah Taalaa irshad farmaye ga kay aey essa bin marium mera inam yaad kero jo tum per aur tumhari walida per hua hai jab mein ney tumhen rooh-ul-quddus say taeed di. Tum logon say kalaam kertay thay godd mein bhi aur bari umar mein bhi aur jabkay mein ney tum ko kitab aur hikmat ki baaten aur toraat aur injeel ki taleem di aur jab kay tum meray hukum say gaaray say aik shakal banatay thay jaisay parinday ki shakal hoti hai phir tum iss kay andar phoonk maar detay thay jiss say woh parind bann jata tha meray hukum say aur tum acha ker detay thay maadar zaad andhay ko aur korhi ko meray hukum say aur jab kay tum murdon ko nikal khara ker letay thay meray hukum say aur jab kay mein ney bani israeel ko tum say baaz rakha jab tum unn kay pass daleelen ley ker aaye thay phir unn mein jo kafir thay unhon ney kaha tha kay ba-juz khullay jadoo kay yeh aur kuch bhi nahi.
जब अल्लाह कहेगाः ऐ ईसा बिन मरियम! मेरी उस नेमत को याद करो जो मैंने तुम पर और तुम्हारी माँ पर की, जबकि मैंने रूहुल-क़ुद्स से तुम्हारी मदद की, तुम लोगों से बात करते थे गोद में भी और बड़ी उम्र में भी, और जब मैंने तुमको किताब और हिकमत और तौरात व इंजील की तालीम दी, और जब तुम बनाते थे मिट्टी से परिंदे जैसी सूरत मेरे हुक्म से फिर उस में फूँक मारते थे तो वे मेरे हुक्म से परिंदा बन जाती थी, और तुम अंधे और कोढ़ी को मेरे हुक्म से अच्छा कर देते थे, और जब तुम मुर्दों को मेरे हुक्म से निकाल खड़ा करते थे, और जब मैंने बनी-इस्राईल को तुम से रोका जबकि तुम उनके पास खुली निशानियाँ लेकर आए तो उनमें से काफ़िरों ने कहा कि यह तो बस एक खुला हुआ जादू है।
And [remember] when I inspired to the disciples, "Believe in Me and in My messenger Jesus." They said, "We have believed, so bear witness that indeed we are Muslims [in submission to Allah ]."
Aur jabkay mein ney hawareen ko hukum diya kay tum mujh per aur meray rasool per eman laao unhon ney kaha hum eman laye aur aap shahid rahiye kay hum pooray farman bardaar hain.
और जब मैंने हवारियों के दिल में डाल दिया कि मुझ पर और मेरे रसूल पर ईमान लाओ तो उन्होंने कहा कि हम ईमान लाए और आप गवाह रहिए कि हम फ़रमाँबरदार हैं।
[And remember] when the disciples said, "O Jesus, Son of Mary, can your Lord send down to us a table [spread with food] from the heaven? [Jesus] said," Fear Allah , if you should be believers."
Woh waqt yaad kay qabil hai jab kay hawariyon ney arz kiya kay essa bin marium! Kiya aap ka rab aisa ker sakta hai kay hum per aasman say aik khuwaan nazil farma dey? Aap ney farmaya Allah say daro agar tum eman laye ho.
जब हवारियों ने कहा कि ऐ ईसा बिन मरियम! क्या आपका रब यह कर सकता है कि हम पर आसमान से एक दस्तरख़्वान उतारे, ईसा (अलै॰) ने फ़रमायाः अल्लाह से डरो अगर तुम ईमान वाले हो।
They said, "We wish to eat from it and let our hearts be reassured and know that you have been truthful to us and be among its witnesses."
Woh bolay kay hum yeh chahatay hain kay uss mein say khayen aur humaray dilon ko poora itminaan hojaye aur humaray yeh yaqeen aur barh jaye kay aap ney hum say sach bola hai aur hum gawahi denay walon mein say hojayen.
उन्होंने कहा कि हम चाहते हैं कि हम उसमें से खाएं और हमारे दिल मुतमइन हों और हम यह जान लें कि आपने हम से सच कहा और हम उस पर गवाही देने वाले बन जाएं।
Said Jesus, the son of Mary, "O Allah , our Lord, send down to us a table [spread with food] from the heaven to be for us a festival for the first of us and the last of us and a sign from You. And provide for us, and You are the best of providers."
Essa ibn-e-marium ney dua ki kay aey Allah aey humaray perwerdigar! Hum per aasman say khana nazil farma! Kay woh humara liye yaani hum mein jo awwal hain aur jo baad kay hain sabb kay liye aik khushi ki baat ho jaye aur teri taraf say aik nishani hojaye aur tu hum ko rizq ata farma dey aur tu sab ata kerney walon say acha hai.
ईसा बिन मरियम ने दुआ कीः ऐ अल्लाह हमारे रब! आप आसमान से हम पर एक दस्तरख़्वान उतारिए जो हमारे लिए एक ईद बन जाए हमारे अगलों के लिए और हमारे पिछलों के लिए और आप की तरफ़ से एक निशानी हो, और हमें अता करिए आप ही बेहतरीन अता फ़रमाने वाले हैं।
Allah said, "Indeed, I will sent it down to you, but whoever disbelieves afterwards from among you - then indeed will I punish him with a punishment by which I have not punished anyone among the worlds."
Haq Taalaa ney irshad farmaya kay mein woh khana tum logon per nazil kerney wala hun phir jo shaks tum mein say iss kay baad na haq shanasi keray ga to mein uss ko aisi saza doon ga kay woh saza duniya jahaan walon mein say kissi ko na doon ga.
अल्लाह ने कहाः मैं यह दस्तरख़्वान ज़रूर तुम पर उतारूँगा, फिर उसके बाद तुम में से जो शख़्स कुफ़्र करेगा उसको मैं ऐसी सज़ा दूँगा कि जो दुनिया में किसी को न दी होगी।
And [beware the Day] when Allah will say, "O Jesus, Son of Mary, did you say to the people, 'Take me and my mother as deities besides Allah ?'" He will say, "Exalted are You! It was not for me to say that to which I have no right. If I had said it, You would have known it. You know what is within myself, and I do not know what is within Yourself. Indeed, it is You who is Knower of the unseen.
Aur woh waqt bhi qabil-e-ziker hai jab kay Allah Taalaa farmaye ga kay aey essa ibn-e-marium kiya tum ney inn logon say keh diya tha kay mujh ko aur meri maa ko bhi ilawa Allah kay mabood qarar dey lo! Essa arz keren gay kay mein to tujh ko munza samajhta hun mujh ko kissi tarah zeba na tha kay mein aisi baat kehta jiss ka kehney ka mujh ko koi haq nahi agar mein ney kaha hoga to tujh ko iss ka ilm hoga. Tu to meray dil kay andar ki baat bhi janta hai aur mein teray nafs mein jo kuch hai uss ko nahi janta. Tamam ghaibon ka jannay wala tu hi hai.
और जब अल्लाह पूछेगा कि ऐ ईसा बिन मरियम! क्या तुमने लोगों को कहा था कि मुझको और मेरी माँ को अल्लाह के सिवा माबूद बना लो? वे जवाब देंगे कि (ऐ रब) आप तो पाक हैं, मेरा यह काम न था कि मैं वह बात कहूँ जिसका मुझे कोई हक़ नहीं, अगर मैंने यह कहा होगा तो आपको ज़रूर मालूम होगा, आप जानते हैं जो मेरे जी में है और मैं नहीं जानता जो आपके जी में है, बेशक आप ही तो छुपी बातों को जानने वाले हैं।
I said not to them except what You commanded me - to worship Allah , my Lord and your Lord. And I was a witness over them as long as I was among them; but when You took me up, You were the Observer over them, and You are, over all things, Witness.
Mein ney to inn say aur kuch nahi kaha magar sirf wohi jo tu ney mujh say kehney ko farmaya tha kay tum Allah ki bandagi ikhtiyar kero jo mera bhi rab hai aur tumhara bhi rab hai. Mein inn per gawah raah jab tak inn mein raah. Phir jab tu ney mujh ko utha liya to tu hi inn per mutlaa raha. Aur tu her cheez ki poori khabar rakhta hai.
मैंने तो उन से वही बात कही जिसका आपने मुझे हुक्म दिया था, यह कि अल्लाह की इबादत करो जो मेरा भी रब है और तुम्हारा भी रब है, और मैं उन पर गवाह था जब उनके दरमियान था, फिर जब आपने मुझको उठा लिया तो आप ही उन पर निगराँ थे, और आप तो हर चीज़ पर गवाह हैं।
If You should punish them - indeed they are Your servants; but if You forgive them - indeed it is You who is the Exalted in Might, the Wise.
Agar tu inn ko saza dey to yeh teray banday hain aur agar tu inn ko moaf farma dey to tu zabardast hai hikmat wala hai.
अगर आप उनको सज़ा दें तो वे आप ही के बंदे हैं, और अगर आप उन्हें माफ़ फ़रमा दें तो आप ही ज़बरदस्त हैं, हिकमत वाले हैं।
Allah will say, "This is the Day when the truthful will benefit from their truthfulness." For them are gardens [in Paradise] beneath which rivers flow, wherein they will abide forever, Allah being pleased with them, and they with Him. That is the great attainment.
Allah irshad farmaye ga kay yeh woh din hai kay jo log sachay thay unn ka sacha hona unn kay kaam aayega unn ko baagh milen gay jin kay neechay nehren jari hongi jin mein woh hamesha hamesha ko rahen gay. Allah Taalaa inn say razi aur khush aur yeh Allah say razi aur khush hain yeh bari ( bhaari ) kamyaabi hai.
अल्लाह कहेगाः आज वह दिन है कि सच्चों को उनका सच काम आएगा, उनके लिए बाग़ात हैं जिनके नीचे नहरें बह रही हैं, उनमें वे हमेशा रहेंगे, अल्लाह उन से राज़ी हुआ और वे अल्लाह से राज़ी हुए, यही बड़ी कामयाबी है।
To Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and whatever is within them. And He is over all things competent.
Allah hi ki hai saltanat aasmanon ki aur zamin ki aur unn cheezon ki jo inn mein mojood hain aur woh her sheh per poori qudrat rakhta hai.
आसमानों और ज़मीन में और जो कुछ उन में है सबकी बादशाहत अल्लाह ही के लिए है, और वह हर चीज़ पर क़ादिर है।