Those - their reward is forgiveness from their Lord and gardens beneath which rivers flow [in Paradise], wherein they will abide eternally; and excellent is the reward of the [righteous] workers.
Enhin kay badla unn kay rab ki taraf say maghfirat hai aur jannaten hain jin kay neechay nehren behti hain jin mein woh hamesha rahen gay inn nek kaamon kay kerney walon ka sawab kiya hi acha hai.
ये लोग हैं कि उनका बदला उनके रब की तरफ़ से मग़्फ़िरत है, और ऐसे बाग़ात हैं जिनके नीचे से नहरें बहती होंगी, उनमें वे हमेशा रहेंगे, कैसा अच्छा बदला है (नेक) काम करने वालों का।
And their Lord responded to them, "Never will I allow to be lost the work of [any] worker among you, whether male or female; you are of one another. So those who emigrated or were evicted from their homes or were harmed in My cause or fought or were killed - I will surely remove from them their misdeeds, and I will surely admit them to gardens beneath which rivers flow as reward from Allah , and Allah has with Him the best reward."
Pus unn kay rab ney unn ki dua qabool farma li kay tum say kissi kaam kerney walay kay kaam ko khuwa woh mard ho ya aurat mein hergiz zaya nahi kerta tum aapas mein aik doosray kay hum jinss ho iss liye woh log jinhon ney hijrat ki aur apney gharon say nikal diye gaye aur jinhen meri raah mein izza di gaee aur jinhon ney jihad kiya aur shaheed kiye gaye mein zaroor zaroor unn ki buraiyan unn say door kerdoon ga aur bil yaqeen unhen unn jannaton mein ley jaon ga jin key neechay nehren beh rahi han yeh hai sawab Allah Talaa ki taraf say aur Allah Taalaa hi kay pass behtareen sawab hai.
पस उनके रब ने उनकी दुआ क़बूल फ़रमाई कि मैं तुम में से किसी का अमल ज़ाया करने वाला नहीं हूँ, चाहे वह मर्द हो या औरत, तुम सब एक-दूसरे से हो, पस जिन लोगों ने हिजरत की और जो अपने घरों से निकाले गए और मेरी राह में सताए गए और वे लड़े और मारे गए मैं उनकी ख़ताएं ज़रूर उन से दूर कर दूँगा और उनको ऐसे बाग़ात में दाख़िल करूंगा जिनके नीचे से नहरें बहती होंगी, यह उनका बदला है अल्लाह के यहाँ, और बेहतरीन बदला अल्लाह ही के पास है।
But those who feared their Lord will have gardens beneath which rivers flow, abiding eternally therein, as accommodation from Allah . And that which is with Allah is best for the righteous.
Lekin jo log apney rab say dartay rahey unn kay liye jannaten hain jin kay neechay nehren jari hain inn mein woh hamesha rahen gay yeh mehmani hai Allah ki taraf say aur nek kaaron kay liye jo kuch Allah Taalaa kay pass hai woh boht hi behtar hai.
अलबत्ता जो लोग अपने रब से डरते हैं उनके लिए ऐसे बाग़ात होंगे जिनके नीचे से नहरें बहती होंगी, वे उसमें हमेशा रहेंगे, यह अल्लाह की तरफ़ से मेज़बानी होगी, और जो कुछ अल्लाह के पास है नेक लोगों के लिए वही सबसे बेहतर है।
These are the limits [set by] Allah , and whoever obeys Allah and His Messenger will be admitted by Him to gardens [in Paradise] under which rivers flow, abiding eternally therein; and that is the great attainment.
Yeh hadden Allah Taalaa ki muqarrar ki hui hain aur jo Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ( PBUH ) ki farmanbardari keray ga ussay Allah Taalaa jannaton mein ley jaye ga jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha rahen gay aur yeh boht bari kaamyaabi hai.
यह अल्लाह की मुक़र्रर की हुई हदें हैं, और जो शख़्स अल्लाह और उसके रसूल की इताअत करेगा अल्लाह उसको ऐसे बाग़ात में दाख़िल करेगा जिनके नीचे से नहरें बहती होंगी, उनमें वह हमेशा रहेंगे, और यही बड़ी कामयाबी है।
But those who believe and do righteous deeds - We will admit them to gardens beneath which rivers flow, wherein they abide forever. For them therein are purified spouses, and We will admit them to deepening shade.
Aur jo log eman laye aur shaista aemaal kiye hum un qarib unhen unn jannaton mein ley jayen gay jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha hamesha rahen gay unn kay liye wahan saaf suthri biwiyan hongi aur hum unhen ghani chahaon ( aur poori rahat ) mein ley jayen gay.
और जो लोग ईमान लाए और नेक काम किए उनको हम ऐसे बाग़ात में दाख़िल करेंगे जिनके नीचे से नहरें बहती होंगी, उसमें वे हमेशा रहेंगे, वहाँ उनके लिए पाकीज़ा बीवियाँ होंगी और उनको हम घनी छाँऊ में रखेंगे।
But the ones who believe and do righteous deeds - We will admit them to gardens beneath which rivers flow, wherein they will abide forever. [It is] the promise of Allah , [which is] truth, and who is more truthful than Allah in statement.
Aur jo eman laye aur bhalay kaam keren humen unhen unn jannaton mein ley jayen gay jin kay neechay chashmay jari hain jahan yeh abad-al-abad rahen gay yeh hai Allah ka wada jo siasir sacha hai aur kaun hai jo apni baat mein Allah say ziyada sacha ho?
और जो लोग ईमान लाए और उन्होंने नेक काम किए उनको हम ऐसे बाग़ात में दाख़िल करेंगे जिनके नीचे नहरें बहती होंगी उनमें वे हमेशा रहेंगे, अल्लाह का वादा सच्चा है और अल्लाह से बढ़ कर कौन अपनी बात में सच्चा होगा।
And Allah had already taken a covenant from the Children of Israel, and We delegated from among them twelve leaders. And Allah said, "I am with you. If you establish prayer and give zakah and believe in My messengers and support them and loan Allah a goodly loan, I will surely remove from you your misdeeds and admit you to gardens beneath which rivers flow. But whoever of you disbelieves after that has certainly strayed from the soundness of the way."
Aur Allah Taalaa ney bani israeel say ehad-o-paymaan liya aur unhi mein say baara sardar hum ney muqarrar farmaye aur Allah Taalaa ney farma diya kay yaqeenan mein tumharay sath hun agar tum namaz qaeem rakho gay aur zakat detay raho gay aur meray rasoolon ko maantay raho gay aur unn ki madad kertay raho gay aur Allah Taalaa ko behtar qarz detay raho gay to yaqeenan mein tumhari buraiyan tum say door rakhoon ga aur tumhen unn jannaton mein ley jaon ga jin kay neechay chashmay beh rahey hain abb iss ehas-o-paymaan kay baad bhi tum mein say jo inkari ho jaye woh yaqeenan raah-e-raast say bhatak gaya.
और अल्लाह ने बनी-इस्राईल से अहद लिया और हमने उनमें से बारह सरदार मुक़र्रर किए, और अल्लाह ने कहा कि मैं तुम्हारे साथ हूँ, अगर तुम नमाज़ क़ायम करोगे और ज़कात अदा करोगे और मेरे पैग़म्बरों पर ईमान लाओगे और उनकी मदद करोगे और अल्लाह को क़र्ज़े-हसन दोगे तो मैं तुमसे तुम्हारे गुनाह ज़रूर दूर कर दूँगा और तुमको ज़रूर ऐसे बाग़ों में दाख़िल करूँगा जिनके नीचे नहरें बहती होंगी, पस तुम में से जो शख़्स इसके बाद इनकार करेगा तो वह सीधे रास्ते से भटक गया।
So Allah rewarded them for what they said with gardens [in Paradise] beneath which rivers flow, wherein they abide eternally. And that is the reward of doers of good.
Iss liye inn ko Allah Taalaa inn kay iss qol ki waja say aisay baagh dey ga jin kay neechay nehren jari hongi yeh inn mein hamesha hamesha rahen gay aur nek logon ka yehi badla hai.
पस अल्लाह उनको इस क़ौल के बदले में ऐसे बाग़ देगा जिनके नीचे नहरें बहती होंगी वे उन में हमेशा रहेंगे, और यही बदला है नेक अमल करने वालों का।
Allah will say, "This is the Day when the truthful will benefit from their truthfulness." For them are gardens [in Paradise] beneath which rivers flow, wherein they will abide forever, Allah being pleased with them, and they with Him. That is the great attainment.
Allah irshad farmaye ga kay yeh woh din hai kay jo log sachay thay unn ka sacha hona unn kay kaam aayega unn ko baagh milen gay jin kay neechay nehren jari hongi jin mein woh hamesha hamesha ko rahen gay. Allah Taalaa inn say razi aur khush aur yeh Allah say razi aur khush hain yeh bari ( bhaari ) kamyaabi hai.
अल्लाह कहेगाः आज वह दिन है कि सच्चों को उनका सच काम आएगा, उनके लिए बाग़ात हैं जिनके नीचे नहरें बह रही हैं, उनमें वे हमेशा रहेंगे, अल्लाह उन से राज़ी हुआ और वे अल्लाह से राज़ी हुए, यही बड़ी कामयाबी है।
And We will have removed whatever is within their breasts of resentment, [while] flowing beneath them are rivers. And they will say, "Praise to Allah , who has guided us to this; and we would never have been guided if Allah had not guided us. Certainly the messengers of our Lord had come with the truth." And they will be called, "This is Paradise, which you have been made to inherit for what you used to do."
Aur jo kuch inn kay dilon mein ( keena ) tha hum uss ko door ker den gay. Inn kay neechay nehren jari hongi. Aur woh log kahen gay kay Allah ka ( lakh lakh ) shukar hai jiss ney hum ko iss moqam tak phonchaya aur humari kabhi rasaee na hoti agar Allah Taalaa hum ko na pehchanta. Waqaee humaray rab kay payghumbar sachi baaten ley ker aaye thay. Aur inn say pukar ker kaha jayega iss jannata kay tum waris banaye gaye ho apney aemaal kay badlay.
और उनके सीने की हर रंजिश को हम निकाल देंगे, उनके नीचे नहरें बह रही होंगी, और वे कहेंगे कि सारी तारीफ़ अल्लाह के लिए है जिसने हमको यहाँ तक पहुँचाया और हम राह पाने वाले न थे अगर अल्लाह हमको हिदायत न देता, हमारे रब के रसूल सच्ची बात लेकर आए थे, और आवाज़ आएगी कि यह जन्नत है जिसके तुम वारिस ठहराए गए हो अपने आमाल के बदले।
Allah has promised the believing men and believing women gardens beneath which rivers flow, wherein they abide eternally, and pleasant dwellings in gardens of perpetual residence; but approval from Allah is greater. It is that which is the great attainment.
Inn eman daar mardon aur aurton say Allah ney unn jannaton ka wada farmaya hai jin kay neechay nehren lehren ley rahi hain jahan woh hamesha hamesh rehney walay hain aur inn saaf suthray pakeezah mehallaat ka jo unn hameshgi wali jannaton mein hain aur Allah ki raza mandi sab say bari cheez hai yehi zabardast kaamyabi hai.
मोमिन मर्दों और मोमिन औरतों से अल्लाह का वादा है ऐसे बाग़ात का कि उनके नीचे से नहरें जारी होंगी उनमें वे हमेशा रहेंगे, और वादा है पाकीज़ा मकानों का हमेशा रहने वाले बाग़ात में, और अल्लाह की रज़ामंदी का जो सबसे बढ़कर है, यही बड़ी कामयाबी है।
Allah has prepared for them gardens beneath which rivers flow, wherein they will abide eternally. That is the great attainment.
Enhi kay liye Allah ney woh jannaten tayyar ki hain jin kay neechay nehren jaari hain jin mein yeh hamesha rehney walay hain yehi boht bari kaamyabi hai.
उनके लिए अल्लाह ने ऐसे बाग़ात तैयार कर रखे हैं जिनके नीचे नहरें बहती हैं, उनमें वे हमेशा रहेंगे, यही बड़ी कामयाबी है।