Lawful to you is game from the sea and its food as provision for you and the travelers, but forbidden to you is game from the land as long as you are in the state of ihram. And fear Allah to whom you will be gathered.
Tumharay liye dariya ka shikar pakrna aur iss ka khana halal kiya gaya hai. Tumharay faeeday kay wastay aur musafiron kay wastay aur khushki ka shikar pakarna tumharay liye haram kiya gaya hai jab tak tum halat-e-ehraam mein raho aur Allah Taalaa say daro jiss kay pass jama kiye jao gay.
तुम्हारे लिए दरिया का शिकार और उसका खाना जायज़ किया गया तुम्हारे फ़ायदे के लिए और क़ाफ़िलों के लिए, और जब तक तुम हालते-एहराम में हो ख़ुश्की का जानवर तुम्हारे ऊपर हराम किया गया, और अल्लाह से डरो जिसके पास तुम हाज़िर किए जाओगे।
And with Him are the keys of the unseen; none knows them except Him. And He knows what is on the land and in the sea. Not a leaf falls but that He knows it. And no grain is there within the darknesses of the earth and no moist or dry [thing] but that it is [written] in a clear record.
Aur Allah Taalaa hi kay pass hain ghaib ki kunjiyan ( khazaney ) inn ko koi nahi janta ba-juz Allah kay. Aur woh tamam cheezon ko janta hai jo kuch khushki mein hain aur jo kuch daryaon mein hain aur koi patta nahi girta magar woh iss ko bhi janta hai aur koi dana zamin kay tareek hisson mein nahi parta aur na koi tarr aur na koi khush cheez girti hai magar yeh sab kitab-e-mubeen mein hain.
और उसी के पास ग़ैब की कुंजियाँ हैं जिसे उसके सिवा कोई नहीं जानता, अल्लाह जानता है जो कुछ ख़ुश्की में और समुंदर में है, और दरख़्त से गिरने वाला कोई पत्ता ऐसा नहीं जिसका उसे इल्म न हो और ज़मीन की तारीकियों में कोई दाना नहीं गिरता और न कोई तर और ख़ुश्क चीज़ मगर सब एक खुली किताब में दर्ज है।
Say, "Who rescues you from the darknesses of the land and sea [when] you call upon Him imploring [aloud] and privately, 'If He should save us from this [crisis], we will surely be among the thankful.' "
Aap kahiye kay woh kaun hai jo tum ko khushki aur darya ki zulmat say nijat deta hai. Tum uss ko pukartay ho girr girra ker aur chupkay chupkay kay agar tu hum ko inn say nijat dey dey to hum zaroor shukar kerney walon mein say ho jayen gay.
आप कह दीजिए कि कौन तुमको नजात देता है ख़ुश्की और समुंदर की तारीकियों से जबकि तुम उसको पुकारते हो आजिज़ी से और चुपके-चुपके कि अगर अल्लाह ने हमको नजात दे दी इस मुसीबत से तो हम उसके शुक्रगुज़ार बंदों में से हो जाएंगे।
And it is He who placed for you the stars that you may be guided by them through the darknesses of the land and sea. We have detailed the signs for a people who know.
Aur woh aisay hai jiss ney sitaron ko peda kiya takay tum unn kay zariye say andheron mein khushki mein aur darya mein bhi raasta maloom ker sako. Be-shak hum ney dalaeel khoob khol khol ker biyan ker diye hain unn logon kay liye jo khabar rakhtay hain.
और वही है जिसने तुम्हारे लिए सितारे बनाए; ताकि तुम उनके ज़रिए से ख़ुश्की और तरी के अंधेरों में राह पाओ, बेशक हमने दलीलों को खोलकर बयान कर दिया है उन लोगों के लिए जो जानना चाहते हैं।
It is He who enables you to travel on land and sea until, when you are in ships and they sail with them by a good wind and they rejoice therein, there comes a storm wind and the waves come upon them from everywhere and they assume that they are surrounded, supplicating Allah , sincere to Him in religion, "If You should save us from this, we will surely be among the thankful."
Aur Allah aisa hai kay tum ko khushki aur darya mein chalata hai yahan tak kay jab tum kashti mein hotay ho aur woh kashtiyan logon ko mowafiq hawa kay zariye ley ker chalti hain aur woh log inn say khush hotay hain inn per aik jhonka sakht hawa ka aata hai aur her taraf say unn per mojen uthti chali aati hain aur woh samajhtay hain kay ( buray ) aa ghiray ( ussa waqat ) sab khalis aetiqaad ker kay Allah hi ko pukartay hain kay agar tu hum ko iss say bacha ley to hum zaroor shukar guzaar bann jayen.
वह अल्लाह ही है जो तुमको ख़ुश्की और तरी में चलाता है; चुनाँचे जब तुम कश्ती में होते हो और कश्तियाँ लोगों को लेकर मुवाफ़िक़ हवा से चल रही होती हैं और लोग उससे ख़ुश होते हैं कि यकायक एक तेज़ हवा आती है और उन पर हर जानिब से मौजें उठने लगती हैं और वे गुमान कर लेते हैं कि हम घिर गए, उस वक़्त वे अपने दीन को अल्लाह ही के लिए ख़ालिस करके उसको पुकारने लगते हैं कि अगर आपने हमें इससे नजात दे दी तो यक़ीनन हम शुक्रगुज़ार बंदे बनेंगे।
And when adversity touches you at sea, lost are [all] those you invoke except for Him. But when He delivers you to the land, you turn away [from Him]. And ever is man ungrateful.
Aur samandaron mein musibat phonchtay hi jinhen tum pukartay thay sab gumm hojatay hain sirf wohi Allah baqi reh jata hai. Phir jab woh tumhen khushki ki taraf bacha laata hai to tum mun pher letay ho aur insan bara hi na shukra hai.
जब समुद्र में तुम पर कोई आपदा आती है तो उस के सिवा वे सब जिन्हें तुम पुकारते हो, गुम होकर रह जाते हैं, किन्तु फिर जब वह तुम्हें बचाकर थल पर पहुँचा देता है तो तुम उस से मुँह मोड़ जाते हो। मानव बड़ा ही अकृतज्ञ है
Then do you feel secure that [instead] He will not cause a part of the land to swallow you or send against you a storm of stones? Then you would not find for yourselves an advocate.
To kiya tum iss say bey khof hogaye ho kay tumhen khushki ki taraf ( ley jaa ker zamin ) mein dhansa dey ya tum per pathron ki aandhi bhej dey. Phir tum apney liye kissi nigehbaan ko na paa sako.
क्या तुम इस से निश्चिन्त हो कि वह कभी थल की ओर ले जाकर तुम्हें धँसा दे या तुम पर पथराव करने वाली आँधी भेज दे; फिर अपना कोई कार्यसाधक न पाओ?
And We have certainly honored the children of Adam and carried them on the land and sea and provided for them of the good things and preferred them over much of what We have created, with [definite] preference.
Yaqeenan hum ney aulad-e-adam ko bari izzat di aur unhen khuski aur tari ki sawariyan din aur unhen pakeeza cheezon ki roziyan din aur apni boht si makhlooq per unhen fazilat ata farmaee.
हम ने आदम की सन्तान को श्रेष्ठता प्रदान की और उन्हें थल और जल में सवारी दी और अच्छी-पाक चीज़ों की उन्हें रोज़ी दी और अपने पैदा किए हुए बहुत-से प्राणियों की अपेक्षा उन्हें श्रेष्ठता प्रदान की
Is He [not best] who guides you through the darknesses of the land and sea and who sends the winds as good tidings before His mercy? Is there a deity with Allah ? High is Allah above whatever they associate with Him.
Kiya woh jo tumhen khushki aur tari ki tareekiyon mein raah dikhata hai aur jo apni rehmat say pehlay hi khushkhabriyan denay wali hawayen chalata hai kiya Allah kay sath koi aur mabood bhi hai jinhen yeh shareek kertay hain unn sab say Allah buland-o-bala-tar hai.
या वह जो थल और जल के अँधेरों में तुम्हारा मार्गदर्शन करता है और जो अपनी दयालुता के आगे हवाओं को शुभ-सूचना बनाकर भेजता है? क्या अल्लाह के साथ कोई और प्रभु पूज्य है? उच्च है अल्लाह, उस शिर्क से जो वे करते हैं
And when they board a ship, they supplicate Allah , sincere to Him in religion. But when He delivers them to the land, at once they associate others with Him
Pus yeh log jab kashti mein sawar hotay hain to Allah Taalaa hi ko pukartay hain uss kay liye ibadat ko khalis ker kay phir jab woh enhen khuski ki taraf bacha laata hai to ussi waqt shirk kerney lagtay hain.
जब वे नौका में सवार होते हैं तो वे अल्लाह को उस के दीन (आज्ञापालन) के लिए निष्ठा वान होकर पुकारते हैं। किन्तु जब वह उन्हें बचाकर शु्ष्क भूमि तक ले आता है तो क्या देखते हैं कि वे लगे (अल्लाह का साथ) साझी ठहराने
Corruption has appeared throughout the land and sea by [reason of] what the hands of people have earned so He may let them taste part of [the consequence of] what they have done that perhaps they will return [to righteousness].
Khushki aur tari mein logon ki bad aemaaliyon kay baees fasad phel gaya. Iss liye kay unhen unn kay baaz kertooton ka phal Allah Taalaa chakha dey ( boht ) mumkin hai kay woh baaz aajayen.
थल और जल में बिगाड़ फैल गया स्वयं लोगों ही के हाथों की कमाई के कारण, ताकि वह उन्हें उन की कुछ करतूतों का मज़ा चखाए, कदाचित वे बाज़ आ जाएँ
And when waves come over them like canopies, they supplicate Allah , sincere to Him in religion. But when He delivers them to the land, there are [some] of them who are moderate [in faith]. And none rejects Our signs except everyone treacherous and ungrateful.
Aur jab unn per mojen saeebanon ki tarah chah jati hain to woh ( nihayat ) khuloos kay sath aeytiqaad kerkay Allah Taalaa hi ko pukartay hain. Phir jab woh ( bari taalaa ) unhen nijat dey ker khushki ki taraf phonchata hai to kuch inn mein say aeytidaal per rehtay hain aur humari aayaton ka inkar sirf wohi kertay hain jo bad-ehad aur na shukray hon.
और जब कोई मौज छाया-छत्रों की तरह उन्हें ढाँक लेती है, तो वे अल्लाह को उसी के लिए अपने निष्ठाभाव के विशुद्ध करते हुए पुकारते हैं, फिर जब वह उन्हें बचाकर स्थल तक पहुँचा देता है, तो उन में से कुछ लोग संतुलित मार्ग पर रहते हैं। (अधिकांश तो पुनः पथभ्रष्ट हो जाते हैं।) हमारी निशानियों का इनकार तो बस प्रत्येक वह व्यक्ति करता है जो विश्वासघाती, कृतघ्न हो