They say, " Allah has taken a son." Exalted is He! Rather, to Him belongs whatever is in the heavens and the earth. All are devoutly obedient to Him,
Yeh kehtay hain kay Allah Taalaa ki aulad hai ( nahi bulkay ) woh pak hai zamin-o-aasman ki tamam makhlooq uss ki milkiyat mein hai aur her aik uss ka farmanbardar hai.
और वे कहते हैं कि अल्लाह ने बेटा बनाया है, वह इससे पाक है; बल्कि आसमानों और ज़मीन में जो कुछ है सब उसी का है, उसी के (हुक्म के) ताबे हैं सारे।
But they have attributed to Allah partners - the jinn, while He has created them - and have fabricated for Him sons and daughters without knowledge. Exalted is He and high above what they describe.
Aur logon ney shayateen ko Allah Taalaa ko shareek qarar dey rakha hai halankay inn logon ko Allah hi ney peda kiya hai aur inn logon ney Allah kay haq mein betay aur betiyan bila sanad tarash rakhi hain aur woh pak aur bartar hai unn baaton say jo yeh kertay hain.
और उन्होंने जिन्नात को अल्लाह का शरीक क़रार दिया हालाँकि उसी ने उनको पैदा किया है, और बग़ैर सोचे-समझे उसके लिए बेटे और बेटियाँ तराशीं, पाक और बरतर है वह ज़ात उन बातों से जो ये बयान करते हैं।
They have taken their scholars and monks as lords besides Allah , and [also] the Messiah, the son of Mary. And they were not commanded except to worship one God; there is no deity except Him. Exalted is He above whatever they associate with Him.
Inn logon ney Allah ko chor ker apney aalimon aur darwishon ko apna rab banaya hai aur marium kay betay maseeh ko halankay unhen sirf aik akelay Allah hi ki ibadat ka hukum diya gaya tha jiss kay siwa koi mabood nahi woh pak hai unn kay shareek muqarrar kerney say.
उन्होंने अल्लाह के सिवा अपने उलमा और मशाइख़ को रब बना डाला और मसीह बिन मरियम को भी; हालाँकि उनको सिर्फ़ यह हुक्म था कि वे एक माबूद की इबादत करें, उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वह पाक है उस शिर्क से जो वे करते हैं।
And they worship other than Allah that which neither harms them nor benefits them, and they say, "These are our intercessors with Allah " Say, "Do you inform Allah of something He does not know in the heavens or on the earth?" Exalted is He and high above what they associate with Him
Aur yeh log Allah kay siwa aisi cheezon ki ibadat kertay hain jo na unn ko zarrar phoncha saken aur na unn ko nafa phoncha saken aur kehtay hain kay yeh Allah kay pass humaray sifarshi hain. Aap keh dijiye kay kiya tum Allah ko aisi cheez ki khabar detay ho jo Allah Taalaa ko maloom nahi na aasmanon mein aur na zamin mein woh pak aur bartar hai inn logon kay shirk say.
और वे अल्लाह के सिवा ऐसी चीज़ों की इबादत करते हैं जो उनको न नुक़सान पहुँचा सकें और ना नफ़ा पहुँचा सकें, और वे कहते हैं कि ये अल्लाह के यहाँ हमारे सिफ़ारशी हैं, कह दीजिए क्या तुम अल्लाह को ऐसी चीज़ों की ख़बर देते हो जो उसको आसमानों और ज़मीन में मालूम नहीं, वे पाक और बरतर है उससे जिसको वे शरीक करते हैं।
They have said, " Allah has taken a son." Exalted is He; He is the [one] Free of need. To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is in the earth. You have no authority for this [claim]. Do you say about Allah that which you do not know?
Woh kehtay hain kay Allah aulad rakhta hai. Subhan Allah ! Who to kissi ka mohtaj nahi ussi ki milkiyat hai jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zamin mein hai. Tumharay pass iss per koi daleel nahi. Kiya Allah kay zimmay aisi baat lagatay ho jiss ka tum ilm nahi rakhtay.
कहते हैं कि अल्लाह ने बेटा बनाया है, वह तो पाक है, बेनियाज़ है, उसी का है जो कुछ आसमानों में है और जो कुछ ज़मीन में है, तुम्हारे पास उसकी कोई दलील नहीं, क्या तुम अल्लाह पर ऐसी बात घड़ते हो जिसका तुम इल्म नहीं रखते।
The command of Allah is coming, so be not impatient for it. Exalted is He and high above what they associate with Him.
Allah Taalaa ka hukum aa phoncha abb iss ki jaldi na machao. Tamam paki uss kay liye hai woh bartar hai unn sab say jinhen yeh Allah kay nazdik shareek batlatay hain.
आ गया अल्लाह का फ़ैसला पस उसकी जल्दी न करो, वह पाक है और बरतर है उससे जिसको वे शरीक ठहराते हैं।
And they attribute to Allah daughters - exalted is He - and for them is what they desire.
Aur woh Allah subhana hu wa-Taalaa kay liye larkiyan muqarrar kertay hain aur apney liye woh jo apni khuwaish kay mutabiq ho.
और वे अल्लाह के लिए बेटियाँ ठहराते हैं (हालाँकि) वह इससे पाक है, और अपने लिए वह जो दिल चाहता है।
Exalted is He and high above what they say by great sublimity.
Jo kuch yeh kehtay hain iss say woh pak aur bala tar boht door aur boht buland hai.
अल्लाह पाक और बरतर है उससे जो ये लोग कहते हैं।
And they say, "The Most Merciful has taken a son." Exalted is He! Rather, they are [but] honored servants.
( Mushrik log ) kehtay hain kay rehman aulad wala hai ( ghalat hai ) uss ki zaat pak hai bulkay woh sab uss kay ba-izzat banday hain.
और वे कहते हैं कि "रहमान सन्तान रखता है।" महान हो वह! बल्कि वे तो प्रतिष्ठित बन्दे हैं
Allah is the one who created you, then provided for you, then will cause you to die, and then will give you life. Are there any of your "partners" who does anything of that? Exalted is He and high above what they associate with Him.
Allah Taalaa woh hai jiss ney tumhen peda kiya phir rozi di phir maar dalay ga phir zinda ker dey ga batao tumharay shareeko mein say koi bhi aisa hai jo inn say kuch bhi ker sakta ho. Allah Taalaa kay liye paki aur bar tari hai her uss sharik say jo yeh log muqarrar kertay hain.
अल्लाह ही है जिस ने तुम्हें पैदा किया, फिर तुम्हें रोज़ी दी; फिर वह तुम्हें मृत्यु देता है; फिर तुम्हें जीवित करेगा। क्या तुम्हारे ठहराए हुए साझीदारों में भी कोई है, जो इन कामों में से कुछ कर सके? महान और उच्च है वह उस से जो साझी वे ठहराते हैं
If Allah had intended to take a son, He could have chosen from what He creates whatever He willed. Exalted is He; He is Allah , the One, the Prevailing.
Agar Allah Taalaa ka iradah aulad hi ka hota to apni makhlooq mein say jissay chahata chun leta. ( lekin ) woh to pak hai wo wohi Allah Taalaa hai yagana aur qooat wala.
यदि अल्लाह अपनी कोई सन्तान बनाना चाहता तो वह उस में से, जिन्हें पैदा कर रहा है, चुन लेता। महान और उच्च है वह! वह अल्लाह है अकेला, सब पर क़ाबू रखने वाला
They have not appraised Allah with true appraisal, while the earth entirely will be [within] His grip on the Day of Resurrection, and the heavens will be folded in His right hand. Exalted is He and high above what they associate with Him.
Aur inn logon ney jaisi qadar Allah Taalaa ki kerni chahyey thi nahi ki sari zami qayamat kay din uss ki muthi mein hogi aur tamam aasman uss kay dahaney hath mein lapetay huyey hongay woh pak aur bartar hai her uss cheez say jissay log uss ka shareek banayen.
उन्होंने अल्लाह की क़द्र न जानी, जैसी क़द्र उस की जाननी चाहिए थी। हालाँकि क़ियामत के दिन सारी की सारी धरती उस की मुट्ठी में होगी और आकाश उस के दाएँ हाथ में लिपटे हुए होंगे। महान और उच्च है वह उस से, जो वे साझी ठहराते हैं