Allah - there is no deity except Him, the Ever-Living, the Sustainer of [all] existence. Neither drowsiness overtakes Him nor sleep. To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. Who is it that can intercede with Him except by His permission? He knows what is [presently] before them and what will be after them, and they encompass not a thing of His knowledge except for what He wills. His Kursi extends over the heavens and the earth, and their preservation tires Him not. And He is the Most High, the Most Great.
Allah Taalaa hi mabood-e-bar haq hai jiss kay siwa koi mabood nahi jo zinda aur sab kay thamney wala hai jissay na oongh aaye na neend uss ki milkiyat mein zamin aur aasmanon ki tamam cheezen hain. Kaun hai jo uss ki ijazat kay baghair uss kay samney shifaat ker sakay woh janta hai jo inn kay samney hai aur jo inn kay peechay hai aur woh iss kay ilm mein say kissi cheez ka ehaata nahi ker saktay magar jitna woh chahaye uss ki kursi ki wusat ney zamin-o-aasman ko gher rakha hai aur Allah Taalaa inn ki hifazat say na thakta na uktata hai woh to boht buland aur boht bara hai.
अल्लाह वह है कि उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वह ज़िन्दा है, सबका थामने वाला है, उसे न ऊँघ आती है और न ही नींद, उसी का है जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है, कौन है जो उसके पास उसकी इजाज़त के बग़ैर सिफ़ारिश करे, वह जानता है जो कुछ उनके आगे है और जो कुछ उनके पीछे है, और वे किसी चीज़ को जान नहीं सकते उसके इल्म में से मगर जो वह चाहे, उसकी हकूमत छाई हुई है आसमानों और ज़मीन पर, और उस पर भारी नहीं है ज़मीन व आसमान की हिफ़ाज़त करना, और वही है बुलंद मर्तबे वाला, अज़मतों वाला।
These are the limits [set by] Allah , and whoever obeys Allah and His Messenger will be admitted by Him to gardens [in Paradise] under which rivers flow, abiding eternally therein; and that is the great attainment.
Yeh hadden Allah Taalaa ki muqarrar ki hui hain aur jo Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ( PBUH ) ki farmanbardari keray ga ussay Allah Taalaa jannaton mein ley jaye ga jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha rahen gay aur yeh boht bari kaamyaabi hai.
यह अल्लाह की मुक़र्रर की हुई हदें हैं, और जो शख़्स अल्लाह और उसके रसूल की इताअत करेगा अल्लाह उसको ऐसे बाग़ात में दाख़िल करेगा जिनके नीचे से नहरें बहती होंगी, उनमें वह हमेशा रहेंगे, और यही बड़ी कामयाबी है।
Allah will say, "This is the Day when the truthful will benefit from their truthfulness." For them are gardens [in Paradise] beneath which rivers flow, wherein they will abide forever, Allah being pleased with them, and they with Him. That is the great attainment.
Allah irshad farmaye ga kay yeh woh din hai kay jo log sachay thay unn ka sacha hona unn kay kaam aayega unn ko baagh milen gay jin kay neechay nehren jari hongi jin mein woh hamesha hamesha ko rahen gay. Allah Taalaa inn say razi aur khush aur yeh Allah say razi aur khush hain yeh bari ( bhaari ) kamyaabi hai.
अल्लाह कहेगाः आज वह दिन है कि सच्चों को उनका सच काम आएगा, उनके लिए बाग़ात हैं जिनके नीचे नहरें बह रही हैं, उनमें वे हमेशा रहेंगे, अल्लाह उन से राज़ी हुआ और वे अल्लाह से राज़ी हुए, यही बड़ी कामयाबी है।
Do they not know that whoever opposes Allah and His Messenger - that for him is the fire of Hell, wherein he will abide eternally? That is the great disgrace.
Kiya yeh nahi jantay kay jo bhi Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat keray ga yaqeenan uss kay liye dozakh ki aag hai jiss mein woh hamesha rehney wala hai yeh zabardast ruswaee hai.
क्या उनको मालूम नहीं कि जो अल्लाह और उसके रसूल की मुख़ालिफ़त करे उसके लिए जहन्नम की आग है जिसमें वह हमेशा रहेगा, यह बहुत बड़ी रुसवाई है।
Allah has promised the believing men and believing women gardens beneath which rivers flow, wherein they abide eternally, and pleasant dwellings in gardens of perpetual residence; but approval from Allah is greater. It is that which is the great attainment.
Inn eman daar mardon aur aurton say Allah ney unn jannaton ka wada farmaya hai jin kay neechay nehren lehren ley rahi hain jahan woh hamesha hamesh rehney walay hain aur inn saaf suthray pakeezah mehallaat ka jo unn hameshgi wali jannaton mein hain aur Allah ki raza mandi sab say bari cheez hai yehi zabardast kaamyabi hai.
मोमिन मर्दों और मोमिन औरतों से अल्लाह का वादा है ऐसे बाग़ात का कि उनके नीचे से नहरें जारी होंगी उनमें वे हमेशा रहेंगे, और वादा है पाकीज़ा मकानों का हमेशा रहने वाले बाग़ात में, और अल्लाह की रज़ामंदी का जो सबसे बढ़कर है, यही बड़ी कामयाबी है।
Allah has prepared for them gardens beneath which rivers flow, wherein they will abide eternally. That is the great attainment.
Enhi kay liye Allah ney woh jannaten tayyar ki hain jin kay neechay nehren jaari hain jin mein yeh hamesha rehney walay hain yehi boht bari kaamyabi hai.
उनके लिए अल्लाह ने ऐसे बाग़ात तैयार कर रखे हैं जिनके नीचे नहरें बहती हैं, उनमें वे हमेशा रहेंगे, यही बड़ी कामयाबी है।
And the first forerunners [in the faith] among the Muhajireen and the Ansar and those who followed them with good conduct - Allah is pleased with them and they are pleased with Him, and He has prepared for them gardens beneath which rivers flow, wherein they will abide forever. That is the great attainment.
Aur jo mohajreen aur ansaar sabiq aur muqaddam hain aur jitney log ikhlaas kay sath unn kay pairo hain Allah unn sab say razi hua aur woh sab uss say razi huye aur Allah ney unn kay liye aisay baagh mohiyya ker rakhay hain jin kay neechay nehren jaari hongi jin mein hamesha rahen gay yeh bari kaamyabi hai.
और जो लोग पहल करने वाले और मुक़द्दम हैं मुहाजिरीन और अंसार में से और जिन्होंने ख़ूबी के साथ उनकी पैरवी की अल्लाह उनसे राज़ी हुआ और वे उससे राज़ी हुए और अल्लाह ने उनके लिए ऐसे बाग़ात तैयार कर रखे हैं जिनके नीचे नहरें बहती होंगी, वे उनमें हमेशा रहेंगे, यही बड़ी कामयाबी है।
Indeed, Allah has purchased from the believers their lives and their properties [in exchange] for that they will have Paradise. They fight in the cause of Allah , so they kill and are killed. [It is] a true promise [binding] upon Him in the Torah and the Gospel and the Qur'an. And who is truer to his covenant than Allah ? So rejoice in your transaction which you have contracted. And it is that which is the great attainment.
Bila shuba Allah Taalaa ney musalmanon say unn ki janon ko aur unn kay maalon ko iss baat kay ewaz mein khareed liya hai kay unn ko jannat milay gi. Woh log Allah ki raah mein lartay hain jiss mein qatal kertay hain aur qatal kiye jatay hain iss per sacha wada kiya gaya hai toraat mein aur injeel mein aur quran mein aur Allah say ziyada apney ehad ko kaun poora kerney wala hai to tum log apni iss bey per jiss ka tum ney moamla thehraya hai khsuhi manao aur yeh bari kaamyabi hai.
बेशक अल्लाह ने मोमिनों से उनकी जान और उनके माल को ख़रीद लिया है जन्नत के बदले, वे अल्लाह की राह में लड़ते हैं फिर मारते हैं और मारे जाते हैं, यह अल्लाह के ज़िम्मे एक सच्चा वादा है तौरात में और इंजील में और क़ुरआन में, और अल्लाह से बढ़कर अपने वादे को पूरा करने वाला कौन है, पस तुम ख़ुशियाँ मनाओ उस मामले पर जो तुमने अल्लाह से किया है, और यही सबसे बड़ी कामयाबी है।
For them are good tidings in the worldly life and in the Hereafter. No change is there in the words of Allah . That is what is the great attainment.
Inn kay liye dunyawi zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi khushkhabri hai Allah Taalaa ki baaton mein kuch farq hua nahi kerta. Yeh bari kaamyabi hai.
उनके लिए ख़ुश-ख़बरी है दुनिया की ज़िंदगी में और आख़िरत में भी, अल्लाह की बातों में कोई तबदीली नहीं, यही बड़ी कामयाबी है।
Indeed, this is the great attainment.
Phir to ( zahir baat hai kay ) yeh bari kaamyabi hai.
निश्चय ही यही बड़ी सफलता है
And protect them from the evil consequences [of their deeds]. And he whom You protect from evil consequences that Day - You will have given him mercy. And that is the great attainment."
Enhen burayion say bhi mehfooz rakh hq to yeh hai kay uss din tu ney jissay burayion say bacha liya uss per tu ney rehmat kerdi aur boht bari kaamyabi to yehi hai.
और उन्हें अनिष्टों से बचा। जिसे उस दिन तूने अनिष्टों से बचा लिया, तो निश्चय ही उस पर तूने दया की। और वही बड़ी सफलता है।"
To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is in the earth, and He is the Most High, the Most Great.
Aasmano ki ( tamam ) cheezen aur jo kuch zamin mein hai sab ussi ka hai woh bartar aur azeem-us-shan hai.
आकाशों और धरती में जो कुछ है उसी का है और वह सर्वोच्च महिमावान है
As bounty from your Lord. That is what is the great attainment.
Yeh sirf teray rab ka fazal hai yehi hai bari kamyabi.
यह सब तुम्हारे रब के विशेष उदार अनुग्रह के कारण होगा, वही बड़ी सफलता है
On the Day you see the believing men and believing women, their light proceeding before them and on their right, [it will be said], "Your good tidings today are [of] gardens beneath which rivers flow, wherein you will abide eternally." That is what is the great attainment.
( Qayamat Kay ) din tu dekhay ga kay momin mardo our orton ka noor unn kay aagay aagay our unkay dayen dor raha hoga aaj tumhen inn jannaton ki khushkhabri hai jinkay neechay nehren jaari hain jin main humesha ki rehaeesh hai yeh hai bari kaamyabi.
जिस दिन तुम मोमिन पुरुषों और मोमिन स्त्रियों को देखोगे कि उन का प्रकाश उन के आगे-आगे दौड़ रहा है और उन के दाएँ हाथ में है। (कहा जाएगा,) "आज शुभ सूचना है तुम्हारे लिए ऐसी जन्नतों की जिन के नीचे नहरें बह रही हैं, जिनमें सदैव रहना है। वही बड़ी सफलता है।"
He will forgive for you your sins and admit you to gardens beneath which rivers flow and pleasant dwellings in gardens of perpetual residence. That is the great attainment.
Allah Taalaa tumharay gunah moaf farma dey ga aur tumhen unn jannaton mein dakhil keray ga jin kay neechay nehren jari hongi aur saaf suthray gharon mein jo jannat adan mein hon gay yeh boht bari kaamyabi hai.
वह तुम्हारे गुनाहों को क्षमा कर देगा और तुम्हें ऐसे बागों में दाखिल करेगा जिन के नीचे नहरें बह रही होगी और उन अच्छे घरों में भी जो सदाबहार बाग़ों में होंगे। यही बड़ी सफलता है
The Day He will assemble you for the Day of Assembly - that is the Day of Deprivation. And whoever believes in Allah and does righteousness - He will remove from him his misdeeds and admit him to gardens beneath which rivers flow, wherein they will abide forever. That is the great attainment.
Jiss din tum sab ko uss jama honey kay din jama keray ga wohi din hai haar jeet ka aur jo shaks Allah per eman laa ker nek amal keray Allah uss say uss ki buraiyan door ker dey ga aur ussay jannaton mein dakhil keray ga jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha hamesha rahen gay. Yehi boht bari kaamyabi hai.
इकट्ठा होने के दिन वह तुम्हें इकट्ठा करेगा, वह परस्पर लाभ-हानि का दिन होगा। जो भी अल्लाह पर ईमान लाए और अच्छा कर्म करे उस की बुराईयाँ अल्लाह उस से दूर कर देगा और उसे ऐसे बाग़ों में दाख़िल करेगा जिन के नीचे नहरें बह रही होंगी, उन में वे सदैव रहेंगे। यही बड़ी सफलता है