It is He who enables you to travel on land and sea until, when you are in ships and they sail with them by a good wind and they rejoice therein, there comes a storm wind and the waves come upon them from everywhere and they assume that they are surrounded, supplicating Allah , sincere to Him in religion, "If You should save us from this, we will surely be among the thankful."
Aur Allah aisa hai kay tum ko khushki aur darya mein chalata hai yahan tak kay jab tum kashti mein hotay ho aur woh kashtiyan logon ko mowafiq hawa kay zariye ley ker chalti hain aur woh log inn say khush hotay hain inn per aik jhonka sakht hawa ka aata hai aur her taraf say unn per mojen uthti chali aati hain aur woh samajhtay hain kay ( buray ) aa ghiray ( ussa waqat ) sab khalis aetiqaad ker kay Allah hi ko pukartay hain kay agar tu hum ko iss say bacha ley to hum zaroor shukar guzaar bann jayen.
वह अल्लाह ही है जो तुमको ख़ुश्की और तरी में चलाता है; चुनाँचे जब तुम कश्ती में होते हो और कश्तियाँ लोगों को लेकर मुवाफ़िक़ हवा से चल रही होती हैं और लोग उससे ख़ुश होते हैं कि यकायक एक तेज़ हवा आती है और उन पर हर जानिब से मौजें उठने लगती हैं और वे गुमान कर लेते हैं कि हम घिर गए, उस वक़्त वे अपने दीन को अल्लाह ही के लिए ख़ालिस करके उसको पुकारने लगते हैं कि अगर आपने हमें इससे नजात दे दी तो यक़ीनन हम शुक्रगुज़ार बंदे बनेंगे।
It is Allah who created the heavens and the earth and sent down rain from the sky and produced thereby some fruits as provision for you and subjected for you the ships to sail through the sea by His command and subjected for you the rivers.
Allah woh hai jiss ney aasmanon aur zamin ko peda kiya hai aur aasmanon say barish barsa ker iss kay zariye say tumhari rozi kay liye phal nikaley hain aur kashtiyon ko tumharay bus mein ker diya hai kay daryaon mein uss kay hukum say chalen phiren. Ussi ney nadiyan aur nehren tumharay ikhtiyar mein ker di hain.
अल्लाह वह है जिसने आसमान और ज़मीन बनाए और आसमान से पानी उतारा फिर उससे मुख़्तलिफ़ फल निकाले तुम्हारी रोज़ी के लिए, और कश्ती को तुम्हारे लिए ताबे कर दिया कि समुंदर में उसके हुक्म से चले और उसने दरियाओं को तुम्हारे लिए ताबे कर दिया।
And it is He who subjected the sea for you to eat from it tender meat and to extract from it ornaments which you wear. And you see the ships plowing through it, and [He subjected it] that you may seek of His bounty; and perhaps you will be grateful.
Aur darya bhi ussi ney tumharay bus mein ker diye hain kay tum iss mein say ( nikla hua ) taza gosht khao aur iss mein say apney pehanney kay zaiwraat nikal sako aur tum dekhtay ho kay kashtiyan iss mein pani cheerti hui ( chalti ) hain aur iss liye bhi kay tum uss ka fazal talash kero aur hosakta hai kay tum shukar guzari bhi kero.
और वही है जिसने समुंदर को तुम्हारे काम में लगा दिया; ताकि तुम उसमें से ताज़ा गोश्त खाओ और उससे ज़ेवर निकालो जिसको तुम पहनते हो, और तुम कश्तियों को देखते हो कि उसमें चीरती हुई चलती हैं और ताकि तुम उसका फ़ज़्ल तलाश करो और ताकि तुम शुक्र करो।
It is your Lord who drives the ship for you through the sea that you may seek of His bounty. Indeed, He is ever, to you, Merciful.
Tera perwerdigar woh hai jo tumharay liye darya mein kashtiyan chalata hai takay tum uss ka fazal talash kero. Won tumharay upper boht hi meharbaan hai.
तुम्हारा रब तो वह है जो तुम्हारे लिए समुद्र में नौका चलाता है, ताकि तुम उस का अनुग्रह (आजीविका) तलाश करो। वह तुम्हारे हाल पर अत्यन्त दयावान है
So they set out, until when they had embarked on the ship, al-Khidh r tore it open. [Moses] said, "Have you torn it open to drown its people? You have certainly done a grave thing."
Phir woh dono chalay yahan tak kay aik kashti mein sawar huye to uss ney kashti kay takhtay tor diye musa ney kaha kiya aap issay tor rahey hain takay kashti walon ko dobo den yeh to aap ney bari ( khatarnaak ) baat ker di.
अन्ततः दोनों चले, यहाँ तक कि जब नौका में सवार हुए तो उस ने उस में दरार डाल दी। (मूसा ने) कहा, "आप ने इसमें दरार डाल दी, ताकि उस के सवारों को डुबो दें? आपने तो एक अनोखी हरकत कर डाली।"
Indeed, in the creation of the heavens and earth, and the alternation of the night and the day, and the [great] ships which sail through the sea with that which benefits people, and what Allah has sent down from the heavens of rain, giving life thereby to the earth after its lifelessness and dispersing therein every [kind of] moving creature, and [His] directing of the winds and the clouds controlled between the heaven and the earth are signs for a people who use reason.
Aasmanon aur zamin ki pedaeesh raat din ka hair pher kashtiyon ka logon ko nafa denay wali cheezon ko liye huye samandar mein chalna aasman say pani utaar ker murda zamin ko zinda ker dena iss mein her qisam kay janwaron ko phela dena hawaon kay rukh badalna aur badal jo aasmana ur zamin kay darmiyan musakhhar hain unn mein aqal mandon kay liye qudrat-e-elahee ki nishaniyan hain.
बेशक आसमानों और ज़मीन की बनावट में और रात-दिन के आने-जाने में और उन कश्तियों में जो इंसानों के काम आने वाली चीज़ें लेकर समुंदर में चलती हैं, और उस पानी में जिसको अल्लाह ने आसमान से उतारा, फिर उससे मुर्दा ज़मीन को ज़िंदगी बख़्शी, और उस (ज़मीन) में सब क़िस्म के जानवर फैला दिए, और हवाओं की गर्दिश में और बादलों में जो आसमान व ज़मीन के दरमियान हुक्म के ताबे हैं, उन लोगों के लिए निशानियाँ हैं जो अक़्ल से काम लेते हैं।
Do you not see that Allah has subjected to you whatever is on the earth and the ships which run through the sea by His command? And He restrains the sky from falling upon the earth, unless by His permission. Indeed Allah , to the people, is Kind and Merciful.
Kiya aap ney nahi dekha kay Allah hi ney zamin ki tamam cheezen tumharay liye musakkhar ker di hain aur uss kay farmaan say pani mein chalti hui kashtiyan bhi. Wohi aasaman ko thamay huye hai kay zamin per uss ki ijazat kay baghair girr na paray be-shak Allah Taalaa logon per shafqat-o-narmi kerney wala aur meharban hai.
क्या तुम ने देखा नहीं कि धरती में जो कुछ भी है उसे अल्लाह ने तुम्हारे लिए वशीभूत कर रखा है और नौका को भी कि उस के आदेश से दरिया में चलती है, और उस ने आकाश को धरती पर गिरने से रोक रखा है। उस की अनुज्ञा हो तो बात दूसरी है। निस्संदेह अल्लाह लोगों के हक़ में बड़ा करुणाशील, दयावान है
And upon them and on ships you are carried.
Aur inn per aur kashtiyon per tum sawar keraye jatay ho.
और उन पर और नौकाओं पर तुम सवार होते हो
And when they board a ship, they supplicate Allah , sincere to Him in religion. But when He delivers them to the land, at once they associate others with Him
Pus yeh log jab kashti mein sawar hotay hain to Allah Taalaa hi ko pukartay hain uss kay liye ibadat ko khalis ker kay phir jab woh enhen khuski ki taraf bacha laata hai to ussi waqt shirk kerney lagtay hain.
जब वे नौका में सवार होते हैं तो वे अल्लाह को उस के दीन (आज्ञापालन) के लिए निष्ठा वान होकर पुकारते हैं। किन्तु जब वह उन्हें बचाकर शु्ष्क भूमि तक ले आता है तो क्या देखते हैं कि वे लगे (अल्लाह का साथ) साझी ठहराने
And of His signs is that He sends the winds as bringers of good tidings and to let you taste His mercy and so the ships may sail at His command and so you may seek of His bounty, and perhaps you will be grateful.
Uss ki nishaniyon mein say khushkhabriyan denay wali hawaon ko chalana bhi hai iss liye kay tumhen apni rehmat say lutf andoz keray aur iss liye kay uss kay hukum say kashtiyan chalen aur iss liye kay uss kay fazal ko tum dhondo aur iss liye kay tum shukar guzari kero.
और उस की निशानियों में से यह भी है कि शुभ सूचना देने वाली हवाएँ भेजता है (ताकि उन के द्वारा तुम्हें वर्षा की शुभ सूचना मिले) और ताकि वह तुम्हें अपनी दयालुता का रसास्वादन कराए और ताकि उस के आदेश से नौकाएँ चलें और ताकि तुम उस का अनुग्रह (रोज़ी) तलाश करो और कदाचित तुम कृतज्ञता दिखलाओ
Do you not see that ships sail through the sea by the favor of Allah that He may show you of His signs? Indeed in that are signs for everyone patient and grateful.
Kiya tum iss per ghor nahi kertay kay dariya mein kashtiyan Allah kay fazal say chal rahi hain iss liye kay woh tumhen apni nishaniyan dikhaway yaqeenan iss mein her aik sabar shukar kerney walay kay liye boht si nishaniyan hain.
क्या तुम ने देखा नहीं कि नौका समुद्र में अल्लाह के अनुग्रह से चलती है, ताकि वह तुम्हें अपनी कुछ निशानियाँ दिखाए। निस्संदेह इसमें प्रत्येक धैर्यवान, कृतज्ञ के लिए निशानियाँ हैं
And not alike are the two bodies of water. One is fresh and sweet, palatable for drinking, and one is salty and bitter. And from each you eat tender meat and extract ornaments which you wear, and you see the ships plowing through [them] that you might seek of His bounty; and perhaps you will be grateful.
Aur barabar nahi do darya yeh meetha hai piyas bujhata peenay mein khusgawar aur yeh doosra khaari hai kerwa tum inn dono mein say taza gosht khatay ho aur woh zewraat nikaltay ho jinhen tum pehantay ho. Aur aap dekhtay hian kay bari bari kashtiyan pani ko cheerney pharney wali inn daryayon mein hain takay tum uss ka fazal dhondo aur takay tum uss ka shukar kero.
दोनों सागर समान नहीं, यह मीठा सुस्वाद है जिस से प्यास जाती रहे, पीने में रुचिकर। और यह खारा-कडुवा है। और तुम प्रत्येक में से तरोताज़ा माँस खाते हो और आभूषण निकालते हो, जिसे तुम पहनते हो। और तुम नौकाओं को देखते हो कि चीरती हुई उस में चली जा रही हैं, ताकि तुम उस का उदार अनुग्रह तलाश करो और कदाचित तुम आभारी बनो
And when they see a sign, they ridicule
Aur jab kissi moajzzay ko dekhtay hain to mazaq uratay hain.
और जब कोई निशानी देखते हैं तो हँसी उड़ाते हैं
Our Lord, and admit them to gardens of perpetual residence which You have promised them and whoever was righteous among their fathers, their spouses and their offspring. Indeed, it is You who is the Exalted in Might, the Wise.
Aey humaray rab! Tu enhen hameshgi wali jannaton mein ley ja jin kay tu ney inn say wada kiya hai aur inn kay baap dadon aur biwiyon aur aulad mein say ( bhi ) inn ( sab ) ko jo nek amal hain. Yaqeenan tu to ghalib-o-ba-hikmat hai.
ऐ हमारे रब! और उन्हें सदैव रहने के बागों में दाख़िल कर जिनका तूने उन से वादा किया है और उन के बाप-दादा और उन की पत्नियों और उन की सन्ततियों में से जो योग्य हुए उन्हें भी। निस्संदेह तू प्रभुत्वशाली, अत्यन्त तत्वदर्शी है
And of His signs are the ships in the sea, like mountains.
Aur darya mein chalney wali paharon jaisi kashtiyan uss ki nishaniyon mein say hain.
उस की निशानियों में से समुद्र में पहाड़ो के सदृश चलते जहाज़ भी हैं
And who created the species, all of them, and has made for you of ships and animals those which you mount.
Jiss ney tamam cheezon kay joray banaye aur tumharay liye kashtiyan banaeen aur chopaye janwar ( peda kiyey ) jinn per tum sawar hotay ho.
और जिस ने विभिन्न प्रकार की चीज़े पैदा कीं, और तुम्हारे लिए वे नौकाएँ और जानवर बनाए जिन पर तुम सवार होते हो
It is Allah who subjected to you the sea so that ships may sail upon it by His command and that you may seek of His bounty; and perhaps you will be grateful.
Alla hi hai jiss ney tumharay liye darya ko taabey bana diya takay uss kay hukum say iss mein kashtiyan chalen aur tum uss ka fazal talash keroaur takay tum shukar baja lao.
वह अल्लाह ही है जिस ने समुद्र को तुम्हारे लिए वशीभूत कर दिया है, ताकि उस के आदेश से नौकाएँ उस में चलें; और ताकि तुम उस का उदार अनुग्रह तलाश करो; और इसलिए कि तुम कृतज्ञता दिखाओ
And to Him belong the ships [with sails] elevated in the sea like mountains.
Aur Allah hi ki ( milkiyat mein ) hain woh jahaaz jo samandaron mein pahaar ki tarah buland ( chal phir rahey ) hain.
उसी के बस में है समुद्र में पहाड़ो की तरह उठे हुए जहाज़