But whoever repents after his wrongdoing and reforms, indeed, Allah will turn to him in forgiveness. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Jo shaks apney gunah kay baad tauba ker ley aur islaah ker ley to Allah Taalaa rehmat kay sath uss ki taraf lot’ta hai yaqeenan Allah Taalaa moaf farmaney wala meharbani kerney wala hai.
फिर जिसने अपने ज़ुल्म के बाद तौबा की और इस्लाह कर ली तो अल्लाह बेशक उस पर तवज्जोह करेगा, और अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And they thought there would be no [resulting] punishment, so they became blind and deaf. Then Allah turned to them in forgiveness; then [again] many of them became blind and deaf. And Allah is Seeing of what they do.
Aur yeh samajh bethay kay koi pakar na hogi pus andhay behray bann bethay phir Allah Taalaa ney unn ki tauba qabool ki iss kay baad bhi unn mein say aksar andhay behray hogaye. Allah Taalaa unn kay aemaal ko ba-khoobi dekhney wala hai.
और ख़्याल किया कि कोई ख़राबी न होगी पस वे अंधे और बहरे बन गए, फिर अल्लाह ने उन पर तवज्जोह की फिर उनमें से बहुत-से अंधे और बहरे बन गए, और अल्लाह देखता है जो कुछ वे कर रहे हैं।
And when those come to you who believe in Our verses, say, "Peace be upon you. Your Lord has decreed upon Himself mercy: that any of you who does wrong out of ignorance and then repents after that and corrects himself - indeed, He is Forgiving and Merciful."
Aur yeh log jab aap kay pass ayen jo humari aayaton per eman rakhtay hain to ( yun ) keh dijiye kay tum per salamti hai tumharay rab ney meharbani farmana apney zimmay muqarrar ker liya hai kay jo shaks tum mein say bura kaam ker bethay jahalat say phir woh iss kay baad tauba ker ley aur islah rakhay to Allah ( ki shaan hai kay woh ) bari maghfirat kerney wala aur bari rehmat wala hai.
और जब आपके पास वे लोग आएं जो हमारी आयात पर ईमान लाए हैं तो उनसे कहिए कि तुम पर सलामती हो, तुम्हारे रब ने अपने ऊपर रहमत लिख ली है, बेशक तुम में जो कोई नादानी से कोई बुराई कर बैठे फिर उसके बाद वे तौबा करे और इस्लाह कर ले तो वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Allah has already forgiven the Prophet and the Muhajireen and the Ansar who followed him in the hour of difficulty after the hearts of a party of them had almost inclined [to doubt], and then He forgave them. Indeed, He was to them Kind and Merciful.
Allah Taalaa ney payghumber kay haal per tawajja farmaee aur mohajreen aur ansaar kay haal per bhi jinhon ney aisi tangi kay waqt payghumbar ka sath diya iss kay baad kay inn mein say aik giroh kay dilon mein kuch tazalzul ho chala tha. Phir Allah ney unn kay haal per tawajja farmaee. Bila shuba Allah Taalaa inn sab per boht hi shafiq meharban hai.
बेशक अल्लाह ने नबी पर और मुहाजिरीन व अंसार पर तवज्जोह फ़रमाई जिन्होंने तंगी के वक़्त में नबी का साथ दिया, बाद इसके कि उनमें से कुछ लोगों के दिल कजी की तरफ़ माइल हो चुके थे, फिर अल्लाह ने उन पर तवज्जोह फ़रमाई, बेशक अल्लाह उन पर मेहरबान है, रहम करने वाला है।
And [He also forgave] the three who were left behind [and regretted their error] to the point that the earth closed in on them in spite of its vastness and their souls confined them and they were certain that there is no refuge from Allah except in Him. Then He turned to them so they could repent. Indeed, Allah is the Accepting of repentance, the Merciful.
Aur teen shakson kay haal per bhi jin ka moamla multawee chor diya gaya tha. Yahan tak kay jab zamin ba-waajood apni farakhi kay unn per tang honey lagi aur woh khud apni jaan say tang aagaye aur unhon ney samajh liya kay Allah say kahin panah nahi mill sakti be-juz iss kay kay ussi ki taraf rujoo kiya jaye phir unn kay haal per tawajja farmaee takay woh aaeenda bhi toba ker saken. Be-shak Allah Taalaa boht toba qabool kerney wala aur bara reham wala hai.
और उन तीन शख़्सों के हाल पर भी जिनका मामला मुल्तवी छोड़ दिया गया था, यहाँ तक कि जब ज़मीन बावजूद अपनी वुसअत के उन पर तंग होने लगी और वे ख़ुद अपनी जान से तंग आ गए और उन्होंने समझ लिया कि अल्लाह से कहीं पनाह नहीं मिल सकती सिवाए इसके कि उसी की तरफ़ रुजूअ़ किया जाए, फिर अल्लाह ने उनके हाल पर तवज्जोह फ़रमाई ताकि वे आइंदा भी तौबा कर सकें, बेशक अल्लाह तौबा क़बूल करने वाला बड़ा रहम करने वाला है।
So remain on a right course as you have been commanded, [you] and those who have turned back with you [to Allah ], and do not transgress. Indeed, He is Seeing of what you do.
Pus aap jamay rahiye jaisa kay aap ko hukum diya gaya hai aur woh log bhi jo aap kay sath toba ker chukay hain khabardaar tum hadd say na barhna Allah tumharay aemaal ka dekhney wala hai.
पस आप जमे रहिए जैसा कि आपको हुक्म हुआ है और वे भी जिन्होंने आपके साथ तौबा की है और हद से न बढ़ो, बेशक वह देख रहा है जो तुम करते हो।
Except those who repent, believe and do righteousness; for those will enter Paradise and will not be wronged at all.
Ba-juz unn kay jo toba ker len aur eman layen aur nek amal keren. Aisay log jannat mein jayen gay aur unn ki zara si bhi haq talfi na ki jayegi.
किन्तु जो तौबा करे और ईमान लाए और अच्छा कर्म करे, तो ऐसे लोग जन्नत में प्रवेश करेंगे। उन पर कुछ भी ज़ुल्म न होगा। -
But indeed, I am the Perpetual Forgiver of whoever repents and believes and does righteousness and then continues in guidance.
Haan be-shak mein unhen bakhsh denay wala hun jo tauba keren eman layen nek amal keren aur raah-e-raast per bhi rahen.
और जो तौबा कर ले और ईमान लाए और अच्छा कर्म करे, फिर सीधे मार्ग पर चलता रहे, उस के लिए निश्चय ही मैं अत्यन्त क्षमाशील हूँ।" -
Except for those who repent, believe and do righteous work. For them Allah will replace their evil deeds with good. And ever is Allah Forgiving and Merciful.
Siwaye unn logon kay jo tauba keren aur eman layen aur nek kaam keren aisay logon kay gunahon ko Allah Taalaa nekiyon say badal deta hai Allah bakhshney wala meharbaani kernay wala hai.
सिवाय उस के जो पलट आया और ईमान लाया और अच्छा कर्म किया, तो ऐसे लोगों की बुराइयों को अल्लाह भलाइयों से बदल देगा। और अल्लाह है भी अत्यन्त क्षमाशील, दयावान
And he who repents and does righteousness does indeed turn to Allah with [accepted] repentance.
Aur jo shaks toba keray aur nek amal keray woh to ( haqeeqatan ) Allah Taalaa ki taraf sacha rujoo kerta hai.
और जिस ने तौबा की और अच्छा कर्म किया, तो निश्चय ही वह अल्लाह की ओर पलटता है, जैसा कि पलटने का हक़ है
But as for one who had repented, believed, and done righteousness, it is promised by Allah that he will be among the successful.
Haan jo shaks tauba ker ley eman ley aaye aur nek kaam keray yaqeen hai kay woh nijat paaney walon mein say hojaye ga.
अलबत्ता जिस किसी ने तौबा कर ली और वह ईमान ले आया और अच्छा कर्म किया, तो आशा है वह सफल होने वालों में से होगा