Indeed, in the alternation of the night and the day and [in] what Allah has created in the heavens and the earth are signs for a people who fear Allah
Bila shuna raat aur din kay yakay baad deegray aaney mein aur Allah Taalaa ney jo kuch aasmanon aur zamin mein peda kiya hai inn sab mein unn logon kay liye dalaeel hain jo Allah ka darr rakhtay hain.
यक़ीनन रात और दिन के उलट-फेर में और अल्लाह ने जो कुछ आसमानों और ज़मीन में पैदा किया उनमें उन लोगों के लिए निशानियाँ हैं जो डरते हैं।
And it is He who spread the earth and placed therein firmly set mountains and rivers; and from all of the fruits He made therein two mates; He causes the night to cover the day. Indeed in that are signs for a people who give thought.
Ussi ney zamin phela ker bicha di hai aur iss mein pahar aur nehren peda ker di hain. Aur iss mein her qisam kay phalon kay joray dohra dohray peda ker diye hain woh raat ko din say chupa deta hai. Yaqeenan ghor-o-fikar kerney walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain.
और वही है जिसने ज़मीन को फैलाया और उसमें पहाड़ और नदियाँ रख दीं और हर क़िस्म के फलों के जोड़े उसमें पैदा किए, वह रात को दिन से छुपा देता है, बेशक इन चीज़ों में निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो ग़ौर करें।
And within the land are neighboring plots and gardens of grapevines and crops and palm trees, [growing] several from a root or otherwise, watered with one water; but We make some of them exceed others in [quality of] fruit. Indeed in that are signs for a people who reason.
Aur zamin mein mukhtalif tukray aik doosray say lagtay lagatay hain aur angooron kay baghaat hain aur khet hain aur khujooron kay darakht hain shaakh daar aur baaz aisay hain jo bey shaakh hain sab aik hi pani pilaye jatay hain. Phir bhi hum aik ko aik per phalon mein bartari detay hain iss mein aql madon kay liye boht si nishaniyan hain.
और ज़मीन में मुख़्तलिफ़ टुकड़े एक-दूसरे से लगते-लगाते हैं और अंगूरों के बाग़ात हैं और खेत हैं और खजूरों के दरख़्त हैं टहनी वाले हैं और बअज़ ऐसे हैं जो बग़ैर टहनी के हैं, सब एक ही पानी पिलाए जाते हैं फिर भी हम एक को एक पर फलों में बरतरी देते हैं, इसमें अक़्लमंदों के लिए बहुत-सी निशानियाँ हैं।
He causes to grow for you thereby the crops, olives, palm trees, grapevines, and from all the fruits. Indeed in that is a sign for a people who give thought.
Issi say woh tumharay liye kheti aur zaitoon aur khujoor aur angoor aur her qisam kay phal ugata hai be-shak unn logon kay liye iss mein bari nishani hai jo ghor-o-fikar kertay hain.
वह उसी से तुम्हारे लिए खेती और ज़ैतून और खजूर और अंगूर और हर क़िस्म के फल उगाता है, बेशक इसके अंदर निशानी है उन लोगों के लिए जो ग़ौर करते हैं।
And [He has subjected] whatever He multiplied for you on the earth of varying colors. Indeed in that is a sign for a people who remember.
Aur bhi boht si cheezen tarah tarah kay rang roop ki uss ney tumharay liye zamin per phela rakhi hain. Be-shak naseehat qabool kerney walon kay liye iss mein bari bhari nishani hai.
और ज़मीन में जो चीज़ें मुख़्तलिफ़ क़िस्म की तुम्हारे लिए फैलाईं, बेशक इसमें निशानी है उन लोगों के लिए जो सबक़ हासिल करें।
So those are their houses, desolate because of the wrong they had done. Indeed in that is a sign for people who know.
Yeh hain unn kay makanaat jo unn kay zulm ki waja say ujray paray hain jo log ilm rakhtay hain unn kay liye iss mein bari nishani hai.
अब ये उन के घर उन के ज़ुल्म के कारण उजडें पड़े हुए हैं। निश्चय ही इसमें एक बड़ी निशानी है उन लोगों के लिए जो जानना चाहें
And the answer of Abraham's people was not but that they said, "Kill him or burn him," but Allah saved him from the fire. Indeed in that are signs for a people who believe.
Unn ki qom ka jawab ba-juz iss kay kuch na tha kay kehney lagay kay issay maar dalo ya issay jala do. Aakhirish Allah ney unhen aag say bacha liya iss mein eman walay logon kay liye boht si nishaniyan hain.
फिर उन की क़ौम के लोगों का उत्तर इस के सिवा और कुछ न था कि उन्होंने कहा, "मार डालो उसे या जला दो उसे!" अंततः अल्लाह ने उसको आग से बचा लिया। निश्चय ही इसमें उन लोगों के लिए निशानियाँ हैं, जो ईमान लाएँ
And We have certainly left of it a sign as clear evidence for a people who use reason.
Albaata hum ney uss basti ko sareeh ibrat ki nishani bana diya unn logon kay liye jo aqal rakhtay hain.
और हम ने उस बस्ती से प्राप्त होने वाली एक खुली निशानी उन लोगों के लिए छोड़ दी है, जो बुद्धि से काम लेना चाहे
And of His signs is [that] He shows you the lightening [causing] fear and aspiration, and He sends down rain from the sky by which He brings to life the earth after its lifelessness. Indeed in that are signs for a people who use reason.
Aur uss ki nishaniyon mein say aik yeh ( bhi ) hai kay woh tumhen daraney aur umeedwaar bananay kay liye bijliyan dikhata hai aur aasman say barish barsata hai aur iss say murda zamin ko zinda ker deta hai iss mein ( bhi ) aqal mando kay liye boht si nishaniyan hain.
और उस की निशानियों में से यह भी है कि वह तुम्हें बिजली की चमक भय और आशा उत्पन्न करने के लिए दिखाता है। और वह आकाश से पानी बरसाता है। फिर उस के द्वारा धरती को उस के निर्जीव हो जाने के पश्चात जीवन प्रदान करता है। निस्संदेह इसमें बहुत-सी निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो बुद्धि से काम लेते हैं
Do they not know that Allah extends provision for whom He wills and restricts [it]? Indeed in that are signs for a people who believe.
Kiya enhen yeh maloom nahi kay Allah Taalaa jiss kay liye chahye rozi kushadah ker deta hai aur tang ( bhi ) eman laney walon kay liye iss mein ( bari bari ) nishaniyan hain.
क्या उन्हें मालूम नहीं कि अल्लाह जिस के लिए चाहता है रोज़ी कुशादा कर देता है और जिस के लिए चाहता है नपी-तुली कर देता है? निस्संदेह इसमें उन लोगों के लिए बड़ी निशानियाँ हैं जो ईमान लाएँ
And in the creation of yourselves and what He disperses of moving creatures are signs for people who are certain [in faith].
Aur khud tumhari pedaeesh mein aur inn janwaron ki pedaeesh mein jinehn woh phelata hai yaqeen rakhney wali qom kay liye boht si nishaniyan hain.
और तुम्हारी संरचना में, और उन की भी जो जानवर वह फैलाता रहता है, निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो विश्वास करें
And [in] the alternation of night and day and [in] what Allah sends down from the sky of provision and gives life thereby to the earth after its lifelessness and [in His] directing of the winds are signs for a people who reason.
Aur raat din kay badlaney mein aur jo kuch rozi Allah Taalaa aasman say nazil farma ker zamin ko usski mot kay baad zindah ker deta hai ( iss mein aur hawaon kay badlney mein bhi unn logon kay liye jo awal rakhtay hain nishaniyan hain.
और रात और दिन के उलट-फेर में भी, और उस रोज़ी (पानी) में भी जिसे अल्लाह ने आकाश से उतारा, फिर उस के द्वारा धरती को उस के उन मुर्दा हो जाने के पश्चात जीवित किया और हवाओं की गर्दिश में भी लोगों के लिए बहुत-सी निशानियाँ हैं जो बुद्धि से काम लें
And He has subjected to you whatever is in the heavens and whatever is on the earth - all from Him. Indeed in that are signs for a people who give thought.
Aur aasman-o-zamin ki her her cheez ko bhi uss ney apni taraf say tumharay liye tabey ker diya hai. Jo ghor keren yaqeenan woh iss mein boht si nishaniyan paa len gay.
जो चीज़ें आकाशों में हैं और जो धरती में हैं, उस ने उन सबको अपनी ओर से तुम्हारे काम में लगा रखा है। निश्चय ही इसमें उन लोगों के लिए निशानियाँ हैं जो सोच-विचार से काम लेते हैं
This [Qur'an] is enlightenment for mankind and guidance and mercy for a people who are certain [in faith].
Yeh ( quran ) logon kay liye baseerat ki baaten aur hidayat-o-rehmat hai uss qom kay liye jo yaqeen rakhti hai.
वह लोगों के लिए सूझ के प्रकाशों का पुंज है, और मार्गदर्शन और दयालुता है उन लोगों के लिए जो विश्वास करें