[Of these stories mention] when Joseph said to his father, "O my father, indeed I have seen [in a dream] eleven stars and the sun and the moon; I saw them prostrating to me."
Jab kay yousuf ney apney baap say ziker kiya kay abba jaan mein ney giyara sitaron ko aur sooraj chand ko dekha kay woh sab mujhay sajda ker rahey hain.
जब यूसुफ़ (अलै॰) ने अपने वालिद से कहा कि अब्बा जान! मैंने ख़्वाब में ग्यारह सितारे और सूरज और चाँद देखे हैं, मैंने उनको देखा कि वे मुझको सज्दा कर रहे हैं।
And say, "Praise to Allah , who has not taken a son and has had no partner in [His] dominion and has no [need of a] protector out of weakness; and glorify Him with [great] glorification."
Aur yeh keh dijiye kay tamam tareefen Allah hi kay liye hain jo na aulad rakhta hai na apni badshaat mein kissi ko shareek aur saajhi rakhta hai aur na woh kamzor hai kay ussay kissi himayati ki zaroorat ho aur tu uss ki poori poori baraee biyan kerta reh.
और कहो, "प्रशंसा अल्लाह के लिए है, जिस ने न तो अपना कोई बेटा बनाया और न बादशाही में उस का कोई सहभागी है और न ऐसा ही है कि वह दीन-हीन हो जिस के कारण बचाव के लिए उस का कोई सहायक मित्र हो।" और बड़ाई बयान करो उस की, पूर्ण बड़ाई
Say, " Allah is most knowing of how long they remained. He has [knowledge of] the unseen [aspects] of the heavens and the earth. How Seeing is He and how Hearing! They have not besides Him any protector, and He shares not His legislation with anyone."
Aap keh den Allah hi ko unn kay thehray rehney ki muddat ka ba-khoobi ilm hai aasmanon aur zaminon ka ghaib sirf ussi ko hasil hai woh kiya hi acha dekhney aur sunnay wala hai. Siwaye Allah kay unn ka koi madadgaar nahi Allah Taalaa apney hukum mein kissi ko shareeq nahi kerta.
कह दो, "अल्लाह भली-भाँति जानता है जितना वे ठहरे।" आकाशों और धरती की छिपी बात का सम्बन्ध उसी से है। वह क्या ही देखने वाला और सुनने वाला है! उस से इतर न तो उन का कोई संरक्षक है और न वह अपने प्रभुत्व और सत्ता में किसी को साझीदार बनाता है
Do you not know that to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and [that] you have not besides Allah any protector or any helper?
Kiya tujhay nahi maloom kay zamin-o-aasman ka mulk Allah hi kay liye hai aur Allah kay siwa tumhara koi wali aur madadgar nahi.
क्या तुम नहीं जानते कि अल्लाह ही के लिए आसमानों और ज़मीन की बादशाही है, और तुम्हारे लिए अल्लाह के सिवा न कोई दोस्त है और न कोई मददगार।
[All] sovereignty that Day is for Allah ; He will judge between them. So they who believed and did righteous deeds will be in the Gardens of Pleasure.
Uss din sirf Allah hi ki badshaat hogi wohi unn mein faislay farmaye ga. eman aur nek amal walay to nematon say bhari jannaton mein hongay.
उस दिन बादशाही अल्लाह ही की होगी। वह उन के बीच फ़ैसला कर देगा। अतः जो लोग ईमान लाए और उन्होंने अच्छे कर्म किए, वे नेमत भरी जन्नतों में होंगे
And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth, and to Allah is the destination.
Zamin-o-aasman ki badshaat Allah hi ki hai aur Allah Taalaa hi ki taraf lotna hai.
अल्लाह ही के लिए है आकाशों और धरती का राज्य। और अल्लाह ही की ओर लौटकर जाना है
He to whom belongs the dominion of the heavens and the earth and who has not taken a son and has not had a partner in dominion and has created each thing and determined it with [precise] determination.
Ussi Allah ki saltanat hai aasmano aur zamin ki aur woh koi aulad nahi rakhta na uss ki saltanat mein koi uss ka sajhi hai aur her cheez ko uss ney peda ker kay aik munasib andaza thera diya hai.
वह जिस का राज्य है आकाशों और धरती पर, और उस ने न तो किसी को अपना बेटा बनाया और न राज्य में उस का कोई साझी है। उस ने हर चीज़ को पैदा किया; फिर उसे ठीक अन्दाजें पर रखा
And We inspired to the mother of Moses, "Suckle him; but when you fear for him, cast him into the river and do not fear and do not grieve. Indeed, We will return him to you and will make him [one] of the messengers."
Hum ney musa ( alh-e-salam ) ki maa ko wahee ki kay issay doodh pilati reh aur jab tujhay iss ki nisbat koi khof maloom hoto issay darya mein baha dena aur koi darr khof ya ranj ghum na kerna hum yaqeenan issay tumhari taraf lotaney walay hain aur issay apnay payghumbaron mein bananey walay hain.
हम ने मूसा की माँ को संकेत किया कि "उसे दूध पिला फिर जब तुझे उस के विषय में भय हो, तो उसे दरिया में डाल दे और न तुझे कोई भय हो और न तू शोकाकुल हो। हम उसे तेरे पास लौटा लाएँगे और उसे रसूल बनाएँगे।"
Say, "O Allah , Owner of Sovereignty, You give sovereignty to whom You will and You take sovereignty away from whom You will. You honor whom You will and You humble whom You will. In Your hand is [all] good. Indeed, You are over all things competent.
Aap keh dijiye aey Allah ! Aey tamam jahaan kay maalik! Tu jissay chahaye badshahi dey aur jiss say chahaye saltanat cheen ley aur tu jissay chahaye izzat dey aur jissay chahaye zillat dey teray hi haath mein sab bhalaiyan hain be-shak tu her cheez per qadir hai.
(ऐ नबी) आप कहिए कि ऐ अल्लाह! आप सलतनत के मालिक हैं, आप जिसे चाहें सलतनत से नवाज़ें और जिससे चाहें सल्तनत छीन लें, और आप जिसे चाहें इज़्ज़त दें और जिसे चाहें ज़लील कर दें, आप ही के हाथ में हैं सब भलाई, बेशक आप हर चीज़ पर क़ादिर हैं।
He causes the night to enter the day, and He causes the day to enter the night and has subjected the sun and the moon - each running [its course] for a specified term. That is Allah , your Lord; to Him belongs sovereignty. And those whom you invoke other than Him do not possess [as much as] the membrane of a date seed.
Woh raat ko din mein aur din ko raat mein dakhil kerta hai aur aftab aur mahtab ko ussi ney kaam mein laga diya hai. Her aik miyaad-e-moyyan per chal raha hai. Yehi hai Allah tum sab ka palney wala ussi ki saltanat hai. Jinhen tum iss kay siwa pukar rahey ho woh to khajoor ki guthli kay chilkay kay bhi malik nahi.
वह रात को दिन में प्रविष्ट करता है और दिन को रात में प्रविष्ट करता है। उस ने सूर्य और चन्द्रमा को काम में लगा रखा है। प्रत्येक एक नियत समय पूरी करने के लिए चल रहा है। वही अल्लाह तुम्हारा रब है। उसी की बादशाही है। उस से हटकर जिन को तुम पुकारते हो वे एक तिनके के भी मालिक नहीं
So exalted is He in whose hand is the realm of all things, and to Him you will be returned.
Pus pak hai woh Allah jiss hath mein her cheez ki badshaat hai aur jiss ki taraf tum sab lotaye jaogay.
अतः महिमा है उस की, जिस के हाथ में हर चीज़ का पूरा अधिकार है। और उसी की ओर तुम लौटकर जाओगे
And it is He who created the heavens and earth in truth. And the day He says, "Be," and it is, His word is the truth. And His is the dominion [on] the Day the Horn is blown. [He is] Knower of the unseen and the witnessed; and He is the Wise, the Acquainted.
Aur wohi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko bar haq peda kiya aur jiss waqt Allah Taalaa itna keh dey ga tu ho ja bus woh ho paray ga. Uss ka kehna haq aur ba-asar hai. Aur sari hakoomat khaas ussi ki hogi jab kay soor mein phoonk maari jayegi woh jannay wala hai posheeda cheezon ka aur zahir cheezon ka aur wohi hai bari hikmat wala poori khabar rakhney wala.
और वही है जिसने आसमानों और ज़मीन को हक़ के साथ पैदा किया है और जिस दिन वह कहेगा कि हो जा तो वह हो जाएगा, उसकी बात हक़ है और उसी की हुकूमत होगी उस रोज़ जब सूर फूँका जाएगा, वह छुपी हुई और खुली हुई बातों का जानने वाला और हिकमत वाला, ख़बर रखने वाला है।
Whatever is in the heavens and whatever is on the earth is exalting Allah . To Him belongs dominion, and to Him belongs [all] praise, and He is over all things competent.
Tamam cheez jo aasmanon aur zamin mein hain Allah ki paki biyan kerti hain ussi ki saltanat hai aur ussi ki tareef hai aur woh her her cheez per qadir hai.
अल्लाह की तसबीह कर रही है हर वह चीज़ जो आकाशों में है और जो धरती में है। उसी की बादशाही है और उसी के लिए प्रशंसा है और उसे हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
Blessed is He in whose hand is dominion, and He is over all things competent -
Boht babarkat hai woh ( Allah ) jiss kay hath mein badshaee hai aur jo her cheez per qudrat rakhnay wala hai.
बड़ा बरकत वाला है वह जिस के हाथ में सारी बादशाही है और वह हर चीज़ की सामर्थ्य रखता है। -
Indeed, to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth; He gives life and causes death. And you have not besides Allah any protector or any helper.
Bila shuba Allah hi ki saltanat hai aasmanon aur zamin mein. Wohi jilata aur maarta hai aur tumhara Allah kay siwa na koi yaar hai aur na koi madadgar hai.
बेशक अल्लाह ही की सल्तनत है आसमानों में और ज़मीन में, वही ज़िंदा करता है और वही मारता है, और अल्लाह के सिवा न तुम्हारा कोई दोस्त है और न कोई मददगार।