How wretched is that for which they sold themselves - that they would disbelieve in what Allah has revealed through [their] outrage that Allah would send down His favor upon whom He wills from among His servants. So they returned having [earned] wrath upon wrath. And for the disbelievers is a humiliating punishment.
Boht buri hai woh cheez jiss kay badlay enhon ney apney aap ko baich dala woh inn kay kufur kerna hai. Allah Taalaa ki taraf say nazil shuda cheez kay sath mehaz iss baat say jal ker kay Allah Taalaa ney apna fazal apney jiss banday per chaha nazil farmaya iss kay baees ye log ghazab per ghazab kay mustahiq hogaye aur inn kafiron kay liye ruswa kerney wala azab hai.
कैसी बुरी है वह चीज़ जिसके बदले उन्होंने अपनी जानों का सौदा किया कि वे इनकार कर रहे हैं अल्लाह के उतारे हुए कलाम का इस ज़िद की बिना पर कि अल्लाह अपने फ़ज़्ल से अपने बन्दों में से जिस पर चाहे उतारे; पस वो ग़ुस्से पर ग़ुस्सा कमा कर लाए, और इनकार करने वालों के लिए ज़िल्लत का अज़ाब है।
And He is the subjugator over His servants. And He is the Wise, the Acquainted [with all].
Aur wohi Allah apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai aur wohi bari hikmat wala aue poori khabar rakhney wala hai.
और उसी का ज़ोर है अपने बंदों पर, और वह हिकमत वाला, सबकी ख़बर रखने वाला है।
And He is the subjugator over His servants, and He sends over you guardian-angels until, when death comes to one of you, Our messengers take him, and they do not fail [in their duties].
Aur wohi apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai aur tum per nigehdaasht rakhney wala bhejta hai yahan tak kay jab tum mein say kissi ko maut aa phonchti hai uss ki rooh humaray bhejay huye farishtay qabz ker letay hain aur woh zara kotahi nahi kertay.
और वह ग़ालिब है अपने बंदों पर और वे तुम्हारे ऊपर निगराँ भेजता है, यहाँ तक कि जब तुम में से किसी की मौत का वक़्त आ जाता है तो हमारे भेजे हुए फ़रिश्ते उसकी रूह को क़ब्ज़ कर लेते हैं और वे कोताही नहीं करते।
That is the guidance of Allah by which He guides whomever He wills of His servants. But if they had associated others with Allah , then worthless for them would be whatever they were doing.
Allah ki hidayat hi hai jiss kay zariye apney bandon mein say jiss ko chahaye uss ko hidayat kerta hai aur agar farzan yeh hazraat bhi shirk kertay to jo kuch yeh aemaal kertay thay woh sab ikaarat ho jatay.
यह अल्लाह की हिदायत है जिससे वह रहनुमाई करता है अपने बंदों में से जिसकी चाहता है, और अगर वे शिर्क करते तो ज़ाया हो जाता जो कुछ उन्होंने किया था।
Said Moses to his people, "Seek help through Allah and be patient. Indeed, the earth belongs to Allah . He causes to inherit it whom He wills of His servants. And the [best] outcome is for the righteous."
Musa ( alh-e-salam ) ney apni qom say farmaya Allah Taalaa ka sahara hasil kero aur sabar kero yeh zamin Allah Taalaa ki hai apney bandon mein say jiss ko chahaye woh maalik bana dey aur akheer kaamyabi unhi ki hoti hai jo Allah say dartay hain.
मूसा (अलै॰) ने अपनी क़ौम से कहा कि अल्लाह से मदद चाहो और सब्र करो, बेशक ज़मीन अल्लाह की है वह अपने बंदों में से जिसको चाहता है उसका वारिस बना देता है, और आख़िरी कामयाबी तो अल्लाह से डरने वालों ही के लिए है।
Do they not know that it is Allah who accepts repentance from His servants and receives charities and that it is Allah who is the Accepting of repentance, the Merciful?
Kiya inn ko yeh khabar nahi kay Allah hi apney bandon ki toba qabool kerta hai aur wohi sadqaat ko qabool farmata hai aur yeh kay Allah hi toba qabool kerney mein aur rehmat kerney mein kaamil hai.
क्या वे नहीं जानते कि अल्लाह ही अपने बंदों की तौबा क़बूल करता है और वही सदक़ात को क़बूल करता है, और अल्लाह ही तौबा क़बूल करने वाला, मेहरबान है।
And if Allah should touch you with adversity, there is no remover of it except Him; and if He intends for you good, then there is no repeller of His bounty. He causes it to reach whom He wills of His servants. And He is the Forgiving, the Merciful
Aur agar tum ko Allah koi takleef phonchaye to ba-juz uss kay aur koi uss ko door kerney wala nahi hai aur agar woh tum ko koi khair phonchana chahaye to uss kay fazal ka koi hataney wala nahi woh apna fazal apney bandon mein say jiss per chahaye nichawar kerdey aur woh bari maghfirat bari rehmat wala hai.
और अगर अल्लाह तुमको किसी तकलीफ़ में पकड़ ले तो उसके सिवा कोई नहीं जो उसको दूर कर सके, और अगर वे तुमको कोई भलाई पहुँचाना चाहे तो उसके फ़ज़्ल को कोई रोकने वाला नहीं, वह अपना फ़ज़्ल अपने बंदों में से जिसको चाहता है देता है, और वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Their messengers said to them, "We are only men like you, but Allah confers favor upon whom He wills of His servants. It has never been for us to bring you evidence except by permission of Allah . And upon Allah let the believers rely.
Unn kay payghumbaron ney unn say kaha yeh to sach hai kay hum tum jaisay hi insan hain lekin Allah Taalaa apney bandon mein say jiss per chahata hai apna fazal kerta hai. Allah kay hukum kay baghair humari majal nahi kay hum koi moajzza tumhen laa dikhayen aur eman walon ko sirf Allah Taalaa hi per bharosa rakhna chahiye.
उनके रसूलों ने उनसे कहा कि हम इसके सिवा कुछ नहीं कि तुम्हारे ही जैसे इंसान हैं मगर अल्लाह अपने बंदों में से जिस पर चाहता है अपना ईनाम फ़रमाता है और यह हमारे इख़्तियार में नहीं कि हम तुम को कोई मोजिज़ा दिखाएं बग़ैर अल्लाह के हुक्म के, और ईमान वालों को अल्लाह ही पर भरोसा करना चाहिए।
And how many have We destroyed from the generations after Noah. And sufficient is your Lord, concerning the sins of His servants, as Acquainted and Seeing.
Hum ney nooh kay baad bhi boht si qomen halak kin aur tera rab apney bandon kay gunahon say kafi khabardaar aur khoob dekhney wala hai.
और नूह (अलै॰) के बाद हमने कितनी ही क़ौमें हलाक कर दीं, और आपका रब काफ़ी है अपने बंदों के गुनाहों को जानने के लिए (और) उनको देखने के लिए।
And rely upon the Ever-Living who does not die, and exalt [ Allah ] with His praise. And sufficient is He to be, with the sins of His servants, Acquainted -
ay Allah Taalaa per tawakkal keren jissay kabhi maut nahi aur uss ki tareef kay sath pakeezgi biyan kertay rahen woh apney bandon kay gunahon say kafi khabardaar hai
और उस अल्लाह पर भरोसा करो जो जीवन्त और अमर है और उस का गुणगान करो। वह अपने बन्दों के गुनाहों की ख़बर रखने के लिए काफ़ी है
And those who had wished for his position the previous day began to say, "Oh, how Allah extends provision to whom He wills of His servants and restricts it! If not that Allah had conferred favor on us, He would have caused it to swallow us. Oh, how the disbelievers do not succeed!"
Aur jo log kal uss kay martabay per phonchney ki aarzoo mandiyan ker rahey thay woh aaj kehney lagay kay kiya tum nahi dekhtay kay Allah Taalaa hi apnay bandon mein say jiss kay liye chahaye rozi kushada ker deta hai aur tang bhi? Agar Allah Taalaa hum per fazal na kerta to humen bhi dhansa deta kiya dekhtay nahi ho kay na-shukron ko kabhi kaamyabi nahi hoti?
अब वही लोग, जो कल उस के पद की कामना कर रहे थे, कहने लगें, "अफ़सोस हम भूल गए थे कि अल्लाह अपने बन्दों में से जिस के लिए चाहता है रोज़ी कुशादा करता है और जिसे चाहता है नपी-तुली देता है। यदि अल्लाह ने हम पर उपकार न किया होता तो हमें भी धँसा देता। अफ़सोस हम भूल गए थे कि इनकार करने वाले सफल नहीं हुआ करते।"
Allah extends provision for whom He wills of His servants and restricts for him. Indeed Allah is, of all things, Knowing.
Allah Taalaa apnay bandon mein say jissay chahaye farakh rozi deta hai aur jissay chahaye tang. Yaqeenan Allah Taalaa her cheez ka jannay wala hai.
अल्लाह अपने बन्दों में से जिस के लिए चाहता है आजीविका विस्तीर्ण कर देता है और जिस के लिए चाहता है नपी-तुली कर देता है। निस्संदेह अल्लाह हरेक चीज़ को भली-भाँति जानता है
Say, "Indeed, my Lord extends provision for whom He wills of His servants and restricts [it] for him. But whatever thing you spend [in His cause] - He will compensate it; and He is the best of providers."
Keh dijiye! kay mera rab apnay bandon mein jiss kay liye chahaye rozi kushada kerta hai aur jiss kay liye chahata hai tang ker deta hai tum jo kuch bhi Allah ki raah mein kharach kero gay Allah uss ka ( poora poora ) badla dey ga aur woh sab say behtar rozi denay wala hai.
कह दो, "मेरा रब ही है जो अपने बन्दों में से जिस के लिए चाहता है रोज़ी कुशादा कर देता है और जिस के लिए चाहता है नपी-तुली कर देता है। और जो कुछ भी तुम ने ख़र्च किया, उस की जगह वह तुम्हें और देगा। वह सबसे अच्छा रोज़ी देने वाला है।"
[He is] the Exalted above [all] degrees, Owner of the Throne; He places the inspiration of His command upon whom He wills of His servants to warn of the Day of Meeting.
Buland darjon wala arash ka malik woh apnay bandon mein say jiss per chahata hai wahee nazil kerta farmata hai takay woh mulaqat kay din say daraye.
वह ऊँचे दर्जों वाला, सिंहासन वाला है, अपने बन्दों में से जिस पर चाहता है, अपने हुक्म से रूह उतारता है, ताकि वह मुलाक़ात के दिन से सावधान कर दे
But never did their faith benefit them once they saw Our punishment. [It is] the established way of Allah which has preceded among His servants. And the disbelievers thereupon lost [all].
Lekin humaray azab ko dekh lenay kay baad unn kay eman ney unhen nafa na diya. Allah ney apna mamool yehi muqarrar ker rakha hai jo uss kay bando mein barabar chala aaraha hai aur uss jagah kafir kharab-o-khasta huyey.
किन्तु उन का ईमान उन को कुछ भी लाभ नहीं पहुँचा सकता था जबकि उन्होंने हमारी यातना को देख लिया - यही अल्लाह की रीति है, जो उस के बन्दों में पहले से चली आई है - और उस समय इनकार करने वाले घाटे में पड़कर रहे
And it is He who accepts repentance from his servants and pardons misdeeds, and He knows what you do.
Wohi hai jo apnay bandon ki toba qabool farmata hai aur gunahon say darguzar farmata hai aur jo kuch tum ker rahey ho ( sab ) janta hai.
वही है जो अपने बन्दों की तौबा क़बूल करता है और बुराइयों को माफ़ करता है, हालाँकि वह जानता है, जो कुछ तुम करते हो
But they have attributed to Him from His servants a portion. Indeed, man is clearly ungrateful.
Aur enhon ney Allah kay baaz bando ko uss ka juzz thera diya yaqeenan insan khulla na-shukra hai.
उन्होंने उस के बन्दों में से कुछ को उस का अंश ठहरा दिया! निश्चय ही मनुष्य खुला कृतघ्न है