It is He who made for you the night to rest therein and the day, giving sight. Indeed in that are signs for a people who listen.
Woh aisa hi hai jiss ney tumharay liye raat banaee takay tum iss mein aaram kero aur din bhi iss tor per banaya kay dekhney bhalney ka zariya hai tehqeeq iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo suntay hain.
वह अल्लाह ही है जिसने तुम्हारे लिए रात बनाई ताकि तुम उसमें सुकून हासिल करो और दिन को रौशन बनाया, बेशक इसमें निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो सुनते हैं।
And He subjected for you the sun and the moon, continuous [in orbit], and subjected for you the night and the day.
Ussi ney tumharay liye sooraj chand ko musakhar kerdiya hai kay barabar hi chal rahey hain aur raat din ko bhi tumharay kaam mein laga rakha hai.
और उसने सूरज और चाँद को तुम्हारे लिए ताबे कर दिया कि बराबर चले जा रहे हैं और उसने रात और दिन को तुम्हारे लिए ताबे कर दिया।
And He has subjected for you the night and day and the sun and moon, and the stars are subjected by His command. Indeed in that are signs for a people who reason.
Ussi ney raat din aur sooraj chand ko tumharay liye tabey ker diya hai aur sitaray bhi ussi kay hukum kay matehat hain. Yaqeenan iss mein aqal mand logon kay liye kaee aik nishaniyan mojood hain.
और उसने तुम्हारे काम में लगा दिया रात को और दिन को और सूरज और चाँद को, और सितारे भी उसके हुक्म के ताबे हैं, बेशक इसमें निशानियाँ हैं अक़्लमंद लोगों के लिए।
And We have made the night and day two signs, and We erased the sign of the night and made the sign of the day visible that you may seek bounty from your Lord and may know the number of years and the account [of time]. And everything We have set out in detail.
Hum ney raat aur din ko apni qudrat ki nishaniyan banaee hain raat ki nishani ko to hum ney bey noor ker diya hai aur din ki nishani ko roshan banaya hai takay tum apney rab ka fazal talash ker sako aur iss liye bhi kay barson ka shumar aur hisab maloom ker sako aur her her cheez ko hum ney boht tafseel say biyan farma diya hai.
और हमने रात और दिन को दो निशानियाँ बनाया फिर हमने रात की निशानी को मिटा दिया और दिन की निशानी को हमने रौशन कर दिया; ताकि तुम अपने रब का फ़ज़्ल तलाश करो और ताकि तुम बरसों की गिनती और हिसाब मालूम करो, और हमने हर चीज़ को ख़ूब खोल कर बयान किया है।
They exalt [Him] night and day [and] do not slacken.
Woh din raat tasbeeh biyan kertay hain aur zara si bhi susti nahi kertay.
रात और दिन तसबीह करते रहते हैं, दम नहीं लेते
And it is He who created the night and the day and the sun and the moon; all [heavenly bodies] in an orbit are swimming.
Wohi Allah hai jiss ney raat aur din aur sooraj aur chand ko peda kiya hai. Inn mein say her aik apney apney madaar mein tertay phirtay hain.
वही है जिस ने रात और दिन बनाए और सूर्य और चन्द्र भी। प्रत्येक अपने-अपने कक्ष में तैर रहा है
Allah alternates the night and the day. Indeed in that is a lesson for those who have vision.
Allah Taalaa hi din aur raat ko rad-o-badal kerta rehta hai aankhon walon kay liye to iss mein yaqeenan bari bari ibraten hain.
अल्लाह ही रात और दिन का उलट-फेर करता है। निश्चय ही आँखें रखने वालों के लिए इसमें एक शिक्षा है
And it is He who has made the night and the day in succession for whoever desires to remember or desires gratitude.
Aur ussi ney raat aur din ko aik doosray kay peechay aaney janey wala banaya uss shaks ki naseehat kay liye jo naseehat hasil kerney ya shukar guzari kerney ka irada rakhta ho.
और वही है जिस ने रात और दिन को एक-दूसरे के पीछे आने वाला बनाया, उस व्यक्ति के लिए (निशानी) जो चेतना चाहे या कृतज्ञ होना चाहे
Do they not see that We made the night that they may rest therein and the day giving sight? Indeed in that are signs for a people who believe.
Kiya woh dekh nahi rahey hain kay hum ney raat ko iss liye banaya hai kay woh iss mein aaram hasil kerlen aur din ko hum ney dikhlaney wala banaya hai yaqeenan iss mein unn logon kay liye nishaniyan hain jo emaan-o-yaqeen rakhtay hain.
क्या उन्होंने देखा नहीं कि हम ने रात को (अँधेरी) बनाया, ताकि वे उस में शान्ति और चैन प्राप्त करें। और दिन को प्रकाशमान बनाया (कि उस में काम करें)? निश्चय ही इसमें उन लोगों के लिए निशानियाँ हैं, जो ईमान ले आएँ
And out of His mercy He made for you the night and the day that you may rest therein and [by day] seek from His bounty and [that] perhaps you will be grateful.
Ussi ney tumharay liye apnay fazal-o-karam say din raat muqarrar ker diye hain kay tum raat mein aaraam kero aur din mein uss ki bheji hui rozi talash kero yeh iss liye kay tum shukar ada kero.
उस ने अपनी दयालुता से तुम्हारे लिए रात और दिन बनाए, ताकि तुम उस में (रात में) आराम पाओ और ताकि तुम (दिन में) उस का अनुग्रह (रोज़ी) तलाश करो और ताकि तुम कृतज्ञता दिखाओ।"
It is Allah who made for you the night that you may rest therein and the day giving sight. Indeed, Allah is full of bounty to the people, but most of the people are not grateful.
Allah Taalaa ney tumharay liye raat bana di kay tum iss mein aaram hasil kero aur din ko dekhney wala bana diya be-shak Allah Taalaa logon per fazal-o-karam wala hai lekin aksat log shukar guzari nahi kertay.
अल्लाह ही है जिस ने तुम्हारे लिए रात (अंधकारमय) बनाई, तुम उस में शान्ति प्राप्त करो और दिन को प्रकाशमान बनाया (ताकि उस में दौड़-धूप करो) । निस्संदेह अल्लाह लोगों के लिए बड़ा उदार अनुग्रह वाला हैं, किन्तु अधिकतर लोग कृतज्ञता नहीं दिखाते
Indeed, your Lord knows, [O Muhammad], that you stand [in prayer] almost two thirds of the night or half of it or a third of it, and [so do] a group of those with you. And Allah determines [the extent of] the night and the day. He has known that you [Muslims] will not be able to do it and has turned to you in forgiveness, so recite what is easy [for you] of the Qur'an. He has known that there will be among you those who are ill and others traveling throughout the land seeking [something] of the bounty of Allah and others fighting for the cause of Allah . So recite what is easy from it and establish prayer and give zakah and loan Allah a goodly loan. And whatever good you put forward for yourselves - you will find it with Allah . It is better and greater in reward. And seek forgiveness of Allah . Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Apka rab bakhobi janta hay ka yap aur aap kay sath kay logon ki ik jamat qareeb do tahai rat kay aur adhi rat kay aur ik tahai rat kay tahajud parhti hay aur rat din ka pora andaza Allah Talaa ko hi hay.wo ( khob ) janta hay kay tum is say hergiz na nibha sako gay pus isnay tum per meharbani ki lyhaza jitna qyran parhna tumhary liye asan ho itna hi parho wo janta hay kay tum mein baaz bimar bhi hongay baaz dosray zameen mein chal phir ker Allah Talah ka fazal ( yani rozi bhi ) talash kerein gay aur kuch log Allah talah ki rah mein jahad bhi kerein gay so tum basani jitna quran parh sako parho aur namaz ki pabandi rakho. Aur zakat dytay raha kero aur Allah Talah ko acha qarz do aur jo neki tum apney liye agay bhyjo gay ussy Allah talah kay han bhyter say bhyter aur sawab mein bohat ziyada pao gay ALLAH TALAH say moafi mangtay raho yaqeenan AllahTalah bakhshney wala meharban hy
निस्संदेह तुम्हारा रब जानता है कि तुम लगभग दो तिहाई रात, आधी रात और एक तिहाई रात तक (नमाज़ में) खड़े रहते हो, और एक गिरोंह उन लोगों में से भी जो तुम्हारे साथ है, खड़ा होता है। और अल्लाह रात और दिन की घट-बढ़ नियत करता है। उसे मालूम है कि तुम सब उस का निर्वाह न कर सकोगे, अतः उस ने तुम पर दया-दृष्टि की। अब जितना क़ुरआन आसानी से हो सके पढ़ लिया करो। उसे मालूम है कि तुम में से कुछ बीमार भी होंगे, और कुछ दूसरे लोग अल्लाह के उदार अनुग्रह (रोज़ी) को ढूँढते हुए धरती में यात्रा करेंगे, कुछ दूसरे लोग अल्लाह के मार्ग में युद्ध करेंगे। अतः उस में से जितना आसानी से हो सके पढ़ लिया करो, और नमाज़ क़ायम करो और ज़कात देते रहो, और अल्लाह को ऋण दो, अच्छा ऋण। तुम जो भलाई भी अपने लिए (आगे) भेजोगे उसे अल्लाह के यहाँ अत्युत्तम और प्रतिदान की दृष्टि से बहुत बढ़कर पाओगे। और अल्लाह से माफ़ी माँगते रहो। बेशक अल्लाह अत्यन्त क्षमाशील, दयावान है