Alif, Lam, Ra. These are the verses of the wise Book
Alif-laam-raa ye pur hikmat kitab ki aayaten hain.
अलिफ़-लाम-रा, यह हिकमत से भरी किताब की आयतें हैं।
And the thunder exalts [ Allah ] with praise of Him - and the angels [as well] from fear of Him - and He sends thunderbolts and strikes therewith whom He wills while they dispute about Allah ; and He is severe in assault.
Garj iss ki tasbeeh-o-tareef kerti hai aur farishtay bhi iss kay khof say. Wohi aasman say bijliyan girata hai aur jiss per chahata hai uss per dalta hai kuffaar Allah ki babat larr jhagar rahey hain aur Allah sakht qooat wala hai.
और बिजली की गरज उसकी हम्द के साथ उसकी पाकी बयान करती है और फ़रिश्ते भी उसके ख़ौफ़ से, और वह बिजलियाँ भेजता है फिर जिस पर चाहे उन्हें गिरा देता है और वे लोग अल्लाह के बारे में झगड़ते हैं; हालाँकि वह ज़बरदस्त है क़ुव्वत वाला है।
The command of Allah is coming, so be not impatient for it. Exalted is He and high above what they associate with Him.
Allah Taalaa ka hukum aa phoncha abb iss ki jaldi na machao. Tamam paki uss kay liye hai woh bartar hai unn sab say jinhen yeh Allah kay nazdik shareek batlatay hain.
आ गया अल्लाह का फ़ैसला पस उसकी जल्दी न करो, वह पाक है और बरतर है उससे जिसको वे शरीक ठहराते हैं।
Exalted is He who took His Servant by night from al-Masjid al-Haram to al-Masjid al- Aqsa, whose surroundings We have blessed, to show him of Our signs. Indeed, He is the Hearing, the Seeing.
Pak hai woh Allah Taalaa jo apney bandey ko raat hi raat mein masjid-e-haram say masjid-e-aqsa tak ley gaya jiss kay aas pass hum ney barkat dey rakhi hai iss liye kay ussay apni qudrat kay baaz namoney deikhayen yaqeenan Allah Taalaa hi khoob sunnay dekhney wala hai.
पाक है वह अल्लाह जो अपने बंदे को रात ही रात में मस्जिदे-हराम से मस्जिदे-अक़सा तक ले गया जिसके पास हमने बरकत दे रखी है; इसलिए कि हम उसे अपनी क़ुदरत के बअज़ नमूने दिखाएं, यक़ीनन अल्लाह ही ख़ूब सुनने वाला, देखने वाला है।
And why, when you heard it, did you not say, "It is not for us to speak of this. Exalted are You, [O Allah ]; this is a great slander"?
Tum ney aisi baat ko suntay hi kiyon na keh diya kay humen aisi baat mun say nikalni bhi laeeq nahi. Ya-Allah! Tu pak hai yeh to boht bara bohtan hai aur tohmat hai.
और ऐसा क्यों न हुआ कि जब तुम ने उसे सुना था तो कह देते, "हमारे लिए उचित नहीं कि हम ऐसी बात ज़बान पर लाएँ। महान और उच्च है तू (अल्लाह)! यह तो एक बड़ी तोहमत है?"
He said, "My Lord, make for me a sign." He Said, "Your sign is that you will not [be able to] speak to the people for three days except by gesture. And remember your Lord much and exalt [Him with praise] in the evening and the morning."
Kehney lagay perwerdigar! Meray liye iss ki koi nishani muqarrar ker dey farmaya nishani yeh hai kay teen din tak tu logon say baat na ker sakay ga sirf isharay say samjhaye ga tu apney rab kay zikar kasrat say ker aur subha-o-shaam ussi ki tasbeeh biyan kerta reh!.
ज़करिया (अलै॰) ने कहाः ऐ मेरे रब! मेरे लिए कोई निशानी मुक़र्रर फ़रमा दें, (अल्लाह ने) फ़रमाया कि तुम्हारे लिए निशानी यह है कि तुम तीन दिन तक लोगों से बात नहीं कर सकोगे मगर इशारे से, और अपने रब को कसरत से याद करते रहो और सुबह व शाम उसी की तस्बीह करो।
So exalted is Allah when you reach the evening and when you reach the morning.
Pus Allah Taalaa ki tasbeeh parha kero jab kay tum shaam kero aur jab subah kero.
अतः अब अल्लाह की तसबीह करो, जबकि तुम शाम करो और जब सुबह करो।
Exalted is He who created all pairs - from what the earth grows and from themselves and from that which they do not know.
Woh pak zaat hai jiss ney her cheez kay joray peda kiye khua woh zamin ki ugaee hui cheezen hon khua khud unkay nafoos hon khua woh ( cheezen ) hon jinhen yeh jantay bhi nahi.
महिमावान है वह जिस ने सबके जोड़े पैदा किए धरती जो चीजें उगाती है उन में से भी और स्वयं उन की अपनी जाति में से भी और उन चीज़ो में से भी जिन को वे नहीं जानते
If Allah had intended to take a son, He could have chosen from what He creates whatever He willed. Exalted is He; He is Allah , the One, the Prevailing.
Agar Allah Taalaa ka iradah aulad hi ka hota to apni makhlooq mein say jissay chahata chun leta. ( lekin ) woh to pak hai wo wohi Allah Taalaa hai yagana aur qooat wala.
यदि अल्लाह अपनी कोई सन्तान बनाना चाहता तो वह उस में से, जिन्हें पैदा कर रहा है, चुन लेता। महान और उच्च है वह! वह अल्लाह है अकेला, सब पर क़ाबू रखने वाला
Those [angels] who carry the Throne and those around it exalt [ Allah ] with praise of their Lord and believe in Him and ask forgiveness for those who have believed, [saying], "Our Lord, You have encompassed all things in mercy and knowledge, so forgive those who have repented and followed Your way and protect them from the punishment of Hellfire.
Arash kay uthaney walay aur uss kay aas pass kay ( farishtay ) apnay rab ki tasbeeh hamd kay sath sath kertay hain aur uss per eman rakhtay hain aur eman walon kay liye istaghfaar kertay hain kehtay hain kay aey humaray perwerdigar! Tu ney her cheez ko apni bakhsish aur ilm say gher rakha hai pus tu enhen bakhash day jo toba keren aur teri raah ki perwi keren aur tu enhen dozakh kay azab say bhi bacha lay.
जो सिंहासन को उठाए हुए हैं और जो उस के चतुर्दिक हैं, अपने रब का गुणगान करते हैं और उस पर ईमान रखते हैं और उन लोगों के लिए क्षमा की प्रार्थना करते हैं जो ईमान लाए कि "ऐ हमारे रब! तू हर चीज़ को व्याप्त है। अतः जिन लोगों ने तौबा की और तेरे मार्ग का अनुसरण किया, उन्हें क्षमा कर दे और भड़कती हुई आग की यातना से बचा लें
That you [people] may believe in Allah and His Messenger and honor him and respect the Prophet and exalt Allah morning and afternoon.
Takay ( aey musalmano ) , tum Allah aur uss kay rasool per eman lao aur uss ki madad kero aur uss ka adab kero aur Allah ki paki biyan kero subah-o-shaam.
ताकि तुम अल्लाह और उस के रसूल पर ईमान लाओ, उसे सहायता पहुँचाओ और उस का आदर करो, और प्रातःकाल और संध्या समय उस की तसबीह करते रहो
So exalt the name of your Lord, the Most Great.
Pus apney boht baray rab kay naam ki tasbeeh kiya kero.
अतः तुम अपने महान रब के नाम की तसबीह करो
[All] praise is [due] to Allah , who created the heavens and the earth and made the darkness and the light. Then those who disbelieve equate [others] with their Lord.
Tamam tareefen Allah hi kay laeeq hain jiss ney aasamanon aur zamin ko peda kiya aur tareekiyon aur noor ko banaya phir bhi kafir log ( ghair Allah ko ) apney rab kay barabar qarar detay hain.
तमाम तारीफें अल्लाह के लिए हैं जिसने आसमानों और ज़मीन को पैदा किया और अंधेरों और रौशनी को बनाया, फिर भी मुनकिर लोग दूसरों को अपने रब का हमसर ठहराते हैं।
And when Moses arrived at Our appointed time and his Lord spoke to him, he said, "My Lord, show me [Yourself] that I may look at You." [ Allah ] said, "You will not see Me, but look at the mountain; if it should remain in place, then you will see Me." But when his Lord appeared to the mountain, He rendered it level, and Moses fell unconscious. And when he awoke, he said, "Exalted are You! I have repented to You, and I am the first of the believers."
Aur jab musa ( alh-e-salam ) humaray waqt per aaye aur unn kay rab ney unn say baaten kin to arz kiya kay aey meray perwerdigar! Apna deedar mujh ko kera dijiye kay mein aik nazar aap ko dekh loon irshad hua kay tum mujh ko hergiz nahi dekh saktay lekin tum iss pahar ki taraf dekhtay raho woh agar apni jagah per bar qarar raha to tum bhi mujhay dekh sako gay. Pus jab unn kay rab ney pahar per tajalli farmaee to tajalli ney uss kay purkhachay ura diye aur musa ( alh-e-salam ) bey hosh ho ker girr paray. Phir jab hosh mein aaye to arz kiya be-shak aap ki zaat pak hai mein aap ki janab mein tauba kerta hun aur mein sab say pehlay aap per eman laney wala hun.
और जब मूसा (अलै॰) हमारे वक़्त पर आ गए तो उसके रब ने उससे कलाम किया, उसने कहाः ऐ मेरे रब! मुझे अपने को दिखा दीजिए कि मैं आपको देखूँ, (अल्लाह ने) कहाः तुम मुझको हरगिज़ नहीं देख सकते अलबत्ता पहाड़ की तरफ़ देखो अगर वह अपनी जगह क़ायम रह जाए तो तुम भी मुझको देख सकोगे, फिर जब उसके रब ने पहाड़ पर अपनी तजल्ली डाली तो उसको टुकड़े-टुकड़े कर दिया और मूसा (अलै॰) बेहोश होकर गिर पड़े, फिर जब उसको होश आया तो कहा कि आप पाक हैं, मैंने आपकी तरफ़ रुजूअ़ किया और मैं सबसे पहले ईमान लाने वाला हूँ।
And your Lord glorify
Aur apney rab hi ki baraiyan biyan ker
और अपने रब की बड़ाई ही करो
And during the night prostrate to Him and exalt Him a long [part of the] night.
Aur raat kay waqat uss kay saamnay sajday ker aur bohat raat tak uss ki tasbeeh kiya ker
और रात के कुछ हिस्से में भी उसे सजदा करो, लम्बी-लम्बी रात तक उस की तसबीह करते रहो