And it was not [possible] for this Qur'an to be produced by other than Allah , but [it is] a confirmation of what was before it and a detailed explanation of the [former] Scripture, about which there is no doubt, from the Lord of the worlds.
Aur yeh Quran aisa nahi hai kay Allah ( ki wahee ) kay baghair ( apney hi say ) gharr liya gaya ho . bulkay yeh to ( unn kitabon ki ) tasdeeq kerney wala hai jo iss kay qabal nazil ho chuki hain aur kitab ( ehkaam e zarooriya ) ki tafseel biyan kerney wala hai iss mein koi baat shak ki nahi kay rabb ul aalameen ki taraf say hai .
और यह क़ुरआन ऐसा नहीं कि अल्लाह के सिवा कोई उसको बना ले; बल्कि यह तस्दीक़ है उन पेशीनगोईयों की जो इससे पहले मौजूद हैं और किताब की तफ़सील है, इसमें कोई शक नहीं कि वह तमाम जहानों के परवरदिगार की तरफ़ से है।
There was certainly in their stories a lesson for those of understanding. Never was the Qur'an a narration invented, but a confirmation of what was before it and a detailed explanation of all things and guidance and mercy for a people who believe.
Unn kay biyan mein aqal walon kay liye yaqeenan naseehat aur ibrat hai yeh quran jhoot banaee hui baat nahi bulkay yeh tasdeeq hai unn kitabon ki jo iss say pehlay ki hain khol khol ker biyan kerney wala hai her cheez ko aur hidayat ko aur rehmat hai eman daar logon kay liye.
उनके क़िस्सों में समझदार लोगों के लिए बड़ी इबरत है, यह कोई घड़ी हुई बात नहीं बल्कि तसदीक़ है उस चीज़ की जो इससे पहले मौजूद है और तफ़सील है हर चीज़ की और हिदायत और रहमत है ईमान वालों के लिए।
[Gabriel said], "And we [angels] descend not except by the order of your Lord. To Him belongs that before us and that behind us and what is in between. And never is your Lord forgetful -
Hum baghair teray rab kay hukum kay utar nahi saktay humaray aagay peechay aur inn kay darmiyan ki kul cheezen ussi ki milkiyat mein hain tera perwerdigar bhoolney wala nahi.
हम तुम्हारे रब की आज्ञा के बिना नहीं उतरते। जो कुछ हमारे आगे है और जो कुछ हमारे पीछे है और जो कुछ इस के मध्य है सब उसी का है, और तुम्हारा रब भूलने वाला नहीं है
And believe in what I have sent down confirming that which is [already] with you, and be not the first to disbelieve in it. And do not exchange My signs for a small price, and fear [only] Me.
Aur uss kitab per eman lao jo mein ney tumhari kitabon ki tasdeeq mein nazil farmaee hai aur uss kay sath tum hi pehlay kafir na bano aur meri aayaton ko thori thori qeematon per na farokht kero aur sirf mujh hi say daro.
और ईमान लाओ उस चीज़ पर जो मैंने उतारी है तसदीक़ करती हुई उस चीज़ की जो तुम्हारे पास है, और तुम सबसे पहले उसका इनकार करने वाले न बनो, और न लो मेरी आयतों पर थोड़ी क़ीमत, और मुझ ही से डरो।
Then have they not reflected over the Qur'an, or has there come to them that which had not come to their forefathers?
Kiya enhon ney iss baat mein ghor-o-fiker hi nahi kiya? Bulkay inn kay pass woh aaya jo inn kay aglay baap dadon kay pass nahi aaya tha?
क्या उन्होंने इस वाणी पर विचार नहीं किया या उन के पास वह चीज़ आ गई जो उन के पहले बाप-दादा के पास न आई थी?
And indeed, it is [mentioned] in the scriptures of former peoples.
Aglay nabiyon ki kitabon mein bhi iss quran ka tazkarah hai.
और निस्संदेह यह पिछले लोगों की किताबों में भी मौजूद है
He has sent down upon you, [O Muhammad], the Book in truth, confirming what was before it. And He revealed the Torah and the Gospel.
Jiss ney aap per haq kay sath iss kitab ko nazil farmaya hai jo apney say pehlay ki tasdeeq kerney wali hai ussi ney iss say pehlay toraat aur injeel ko utara tha.
उसने तुम पर किताब उतारी हक़ के साथ, सच्चा करने वाली उस चीज़ को जो उसके आगे है और उसने तौरात और इंजील उतारी।
Thus has He revealed to you, [O Muhammad], and to those before you - Allah , the Exalted in Might, the Wise.
Allah Taalaa jo zabardast hai aur hikmat wala hai issi tarah teri taraf aur tujh say aglon ki taraf wahee bhejta raha.
इसी प्रकार अल्लाह प्रुभत्वशाली, तत्वदर्शी तुम्हारी ओर और उन लोगों की ओर प्रकाशना (वह्य) करता रहा है, जो तुम से पहले गुज़र चुके हैं
And before it was the scripture of Moses to lead and as a mercy. And this is a confirming Book in an Arabic tongue to warn those who have wronged and as good tidings to the doers of good.
Aur iss say pehlay musa ki kitab peshwa aur rehmat thi. Aur yeh kitab hai tasdeeq kernay wali arabi zaban mein takay zalimon ko daraye aur nek karon ko bisharat ho.
हालाँकि इस से पहले मूसा की किताब पथप्रदर्शक और दयालुता रही है। और यह किताब, जो अरबी भाषा में है, उस की पुष्टि में है, ताकि उन लोगों को सचेत कर दे जिन्होंने ज़ु्ल्म किया और शुभ सूचना हो उत्तमकारों के लिए
And We have revealed to you, [O Muhammad], the Book in truth, confirming that which preceded it of the Scripture and as a criterion over it. So judge between them by what Allah has revealed and do not follow their inclinations away from what has come to you of the truth. To each of you We prescribed a law and a method. Had Allah willed, He would have made you one nation [united in religion], but [He intended] to test you in what He has given you; so race to [all that is] good. To Allah is your return all together, and He will [then] inform you concerning that over which you used to differ.
Aur hum ney aap ki taraf haq kay sath yeh kitab nazil farmaee hai jo apney say agli kitabon ki tasdeeq kerney wali hai aur inn ki mohafiz hai. Iss liye aap inn kay aapas kay moamlaat mein issi utari hui kitab kay sath hukum kijiye iss haq say hatt ker inn ki khuwaishon kay peechay na jaiye tum mein say her aik kay liye hum ney aik dastoor aur raah muqarrar ker di hai. Agar manzoor maula hota to tum sab ko aik hi ummat bana deta lekin uss ki chahat hai kay jo tumhen diya hai uss mein tumhen aazmaye tum nekiyon ki taraf jaldi kero tum sab ka rujoo Allah hi ki taraf hai phir woh tumhen her woh cheez bata dey ga jiss mein tum ikhtilaf kertay rehtay ho.
और हमने आपकी तरफ़ किताब उतारी हक़ के साथ, तस्दीक़ करने वाली पिछली किताब की और उसके मज़ामीन पर निगहबान, पस आप फ़ैसला करें उसके मुताबिक़ जो अल्लाह ने उतारा है, और जो हक़ आपके पास आ चुका है उसको छोड़ कर उनकी ख़्वाहिशों की पैरवी न करें, हमने तुम में से हर एक के लिए एक शरीअत और एक तरीक़ा ठहराया है, और अगर अल्लाह चाहता तो तुमको एक ही उम्मत बना देता मगर अल्लाह ने चाहा कि वह अपने दिए हुए हुक्मों में तुम्हारी आज़माइश करे पस तुम भलाइयों की तरफ़ दौड़ो, आख़िरकार तुम सबको अल्लाह की तरफ़ लौट कर जाना है फिर वह तुमको आगाह कर देगा उस चीज़ से जिसमें तुम इख़्तिलाफ़ कर रहे थे।
This [Prophet] is a warner like the former warners.
Yeh ( nabi ) daranay walay hain pehlay daramay walon mensay.
यह पहले के सावधान-कर्ताओं के सदृश एक सावधान करने वाला है
And this is a Book which We have sent down, blessed and confirming what was before it, that you may warn the Mother of Cities and those around it. Those who believe in the Hereafter believe in it, and they are maintaining their prayers.
Aur yeh bhi aisi hi kitab hai jiss ko hum ney nazil kiya hai jo bari barkat wali hai apney say pehlay kitabon ki tasdeeq kerney wali hai aur takay aap makkay walon ko aur aas pass walon ko darayen. Aur jo log aakhirat ka yaqeen rakhtay hain aisay log iss per eman ley aatay hain aur woh apni namaz per madawmat rakhtay hain.
और यह एक किताब है जो हमने उतारी है बरकत वाली, तस्दीक़ करने वाली उनकी जो इससे पहले हैं और ताकि आप डराएं मक्का वालों को और उसके आसपास वालों को, और जो आख़िरत पर यक़ीन रखते हैं वही उस पर ईमान लाएंगे और वे अपनी नमाज़ की पाबंदी करने वाले हैं।
Indeed, this is in the former scriptures,
Yeh batein phyli kitabon mein bhi hein
निस्संदेह यही बात पहले की किताबों में भी है;
Indeed, Allah has purchased from the believers their lives and their properties [in exchange] for that they will have Paradise. They fight in the cause of Allah , so they kill and are killed. [It is] a true promise [binding] upon Him in the Torah and the Gospel and the Qur'an. And who is truer to his covenant than Allah ? So rejoice in your transaction which you have contracted. And it is that which is the great attainment.
Bila shuba Allah Taalaa ney musalmanon say unn ki janon ko aur unn kay maalon ko iss baat kay ewaz mein khareed liya hai kay unn ko jannat milay gi. Woh log Allah ki raah mein lartay hain jiss mein qatal kertay hain aur qatal kiye jatay hain iss per sacha wada kiya gaya hai toraat mein aur injeel mein aur quran mein aur Allah say ziyada apney ehad ko kaun poora kerney wala hai to tum log apni iss bey per jiss ka tum ney moamla thehraya hai khsuhi manao aur yeh bari kaamyabi hai.
बेशक अल्लाह ने मोमिनों से उनकी जान और उनके माल को ख़रीद लिया है जन्नत के बदले, वे अल्लाह की राह में लड़ते हैं फिर मारते हैं और मारे जाते हैं, यह अल्लाह के ज़िम्मे एक सच्चा वादा है तौरात में और इंजील में और क़ुरआन में, और अल्लाह से बढ़कर अपने वादे को पूरा करने वाला कौन है, पस तुम ख़ुशियाँ मनाओ उस मामले पर जो तुमने अल्लाह से किया है, और यही सबसे बड़ी कामयाबी है।