And the one from Egypt who bought him said to his wife, "Make his residence comfortable. Perhaps he will benefit us, or we will adopt him as a son." And thus, We established Joseph in the land that We might teach him the interpretation of events. And Allah is predominant over His affair, but most of the people do not know.
Misir walon mein say jiss ney ussay khareeda tha uss ney apni biwi say kaha issay boht izzat-o-ehtram kay sath rakho boht mumkin hai kay yeh humen faeeda phonchaye ya issay hum apna beta hi bana len yun to hum ney misir ki sir zamin yousuf ka qadam jama diya kay hum ussay khuwab ki tabeer ka kuch ilm sikha den. Allah apney iraday per ghalib hai lekin aksar log bey ilm hotay hain.
और अहले-मिस्र में से जिस शख़्स ने उसको ख़रीदा उसने अपनी बीवी से कहा कि उसको अच्छी तरह रखो, उम्मीद है कि वह हमारे लिए मुफ़ीद हो या हम उसको बेटा बना लें, और इस तरह हमने यूसुफ़ (अलै॰) को उस मुल्क में जगह दी और ताकि हम उसको बातों की तावील सिखाएं, और अल्लाह अपने काम पर ग़ालिब रहता है लेकिन अकसर लोग नहीं जानते।
And when Joseph reached maturity, We gave him judgment and knowledge. And thus We reward the doers of good.
Aur jab ( yousuf ) pukhtagi ki umar ko phonch gaye hum ney ussay qooat-e-faisla aur ilm diya hum neko karon ko issi tarah badla detay hain.
और जब वह अपनी भरपूर जवानी को पहुँचा तो हमने उसको हुक्म और इल्म अता किया, और नेकी करने वालों को हम ऐसा ही बदला देते हैं।
And she, in whose house he was, sought to seduce him. She closed the doors and said, "Come, you." He said, "[I seek] the refuge of Allah . Indeed, he is my master, who has made good my residence. Indeed, wrongdoers will not succeed."
Uss aurat ney jiss kay ghar mein yousuf thay yousuf ko behlana phuslana shuroo kiya kay woh apney nafs ki nigrani chor dey aur darwazay band ker kay kehney lagi lo aajao. Yousuf ney kaha Allah ki panah! Woh mera rab hai mujhay uss ney boht achi tarah rakha hai. Bey insafi kerney walon ka bhala nahi hota.
और यूसुफ़ (अलै॰) जिस औरत के घर में थे, वह उसको फुसलाने लगी और एक रोज़ दरवाज़े बंद कर दिए और बोली कि आजा, यूसुफ़ ने कहाः अल्लाह की पनाह! वह मेरा आक़ा है उसने मुझे अच्छी तरह रखा है, बेशक ज़ालिम लोग कभी कामयाबी नहीं पाते।
And she certainly determined [to seduce] him, and he would have inclined to her had he not seen the proof of his Lord. And thus [it was] that We should avert from him evil and immorality. Indeed, he was of Our chosen servants.
Uss aurat ney yousuf ki taraf qasad kiya aur yousuf uss ka qasad kertay agar woh apney perwerdigar ki daleel na dekhtay yun hi hua iss wastay kay hum uss say buraee aur bey hayaee door ker den. Be-shak woh humaray chunay huye bandon mein say tha.
और औरत ने उसका इरादा कर लिया और वह भी उसका इरादा करता अगर वह अपने रब की दलील न देख लेता, ऐसा हुआ ताकि हम उससे बुराई और बेहयाई को दूर कर दें, बेशक वह हमारे चुने हुए बंदों में से था।
And they both raced to the door, and she tore his shirt from the back, and they found her husband at the door. She said, "What is the recompense of one who intended evil for your wife but that he be imprisoned or a painful punishment?"
Dono darwazay ki taraf doray aur uss aurat ney yousuf ka kurta peechay ki taraf say kheench ker phaar dala aur darwazay kay pass hi aurat ka shohar dono ko mill gaya to kehney lagi jo shaks teri biwi kay sath bura irada keray bus uss ki saza yehi hai kay ussay qaid ker diya jaye ya aur koi dard naak saza di jaye.
और दोनों दरवाज़े की तरफ़ भागे और औरत ने यूसुफ़ का कुर्ता पीछे से फाड़ दिया, और दोनों ने उसके शौहर को दरवाज़े पर पाया, औरत बोली कि जो तेरी घर वाली के साथ बुराई का इरादा करे उसकी सज़ा इसके सिवा क्या है कि उसे क़ैद किया जाए या उसे सख़्त अज़ाब दिया जाए।
[Joseph] said, "It was she who sought to seduce me." And a witness from her family testified. "If his shirt is torn from the front, then she has told the truth, and he is of the liars.
Yousuf ney kaha yeh aurat hi mujhay phusla rahi thi aur aurat kay qabeelay hi kay aik shaks ney gawahee di kay agar iss ka kurta aagay say phata hua ho to aurat sachi hai aur yousuf jhoot bolney walon mein say hai.
यूसुफ़ (अलै॰) ने कहा कि इसी ने मुझे फुसलाने की कोशिश की, और औरत के कुनबे वालों में से एक गवाही देने वाले ने गवाही दी कि अगर उसका कुर्ता आगे से फटा हुआ हो तो औरत सच्ची है और वह झूठा है।
But if his shirt is torn from the back, then she has lied, and he is of the truthful."
Aur agar iss ka kurat peechay ki janib say phaara gaya hai aur aurat jhooti hai aur yousuf sachon mein say hai.
और अगर उसका कुर्ता पीछे से फटा हो तो औरत झूठी है और वह सच्चा है।
So when her husband saw his shirt torn from the back, he said, "Indeed, it is of the women's plan. Indeed, your plan is great.
Khawind ney jo dekha kay yousuf ka kurta peeth ki janob say phaara gaya hai to saaf keh diya kay yeh to tum aurton ki chaal baazi hai be-shak tumhari chaal baazi both bari hai.
फिर जब अज़ीज़ ने देखा कि उसका कुर्ता पीछे से फटा है तो उसने कहा कि बेशक यह तुम औरतों की चाल है, और तुम्हारी चालें बहुत बड़ी होती हैं।
Joseph, ignore this. And, [my wife], ask forgiveness for your sin. Indeed, you were of the sinful."
Yousuf abb iss baat ko aati jati kero aur ( aey aurat ) tu apney gunah say toba ker be-shak tu gunehgaron mein say hai.
यूसुफ़! इससे दरगुज़र करो, और ऐ औरत! तू अपनी ग़लती की माफ़ी माँग, बेशक तू ही ख़ताकार थी।
And women in the city said, "The wife of al-'Azeez is seeking to seduce her slave boy; he has impassioned her with love. Indeed, we see her [to be] in clear error."
Aur shehar ki aurton mein charcha honey laga kay aziz ki biwi apney ( jawan ) ghulam ko apna matlab nikalney kay liye behlaney phuslaney mein lagi rehti hai inn kay dil mein yousuf ki mohabbat beth gaee hai humaray khayal mein to woh sarreh gumrahi mein hai.
और शहर की औरतों में चर्चा होने लगा कि अज़ीज़ की बीवी अपने (जवान) ग़ुलाम को अपना मतलब निकालने के लिए बहलाने फुसलाने में लगी रहती है, उसके दिल में यूसुफ़ की मुहब्बत बैठ गई है, हमारे ख़्याल में तो वह खुली गुमराही में है।
So when she heard of their scheming, she sent for them and prepared for them a banquet and gave each one of them a knife and said [to Joseph], "Come out before them." And when they saw him, they greatly admired him and cut their hands and said, "Perfect is Allah ! This is not a man; this is none but a noble angel."
Iss ney jab unn ki iss pur fareb gheebat ka haal suna to unhen bulwa bheja aur unn kay liye aik majlis muattab ki aur unn mein say her aik ko aik churi di. Aur kaha aey yousuf! Inn kay samney chalay aao inn aurton ney jab ussay dekha to boht bara jana aur apney hath kaat liye aur zaban say nikal gaya kay hasha-lillah! Yeh insan to hergiz nahi yeh to yaqeenan koi boht hi buzurg farishta hai.
फिर जब उसने उनका फ़रेब सुना तो उसने उनको बुला भेजा और उनके लिए एक मजलिस तैयार की और उनमें से हर एक को एक-एक छुरी दी और यूसुफ़ से कहा कि तुम इनके सामने आओ, फिर जब औरतों ने उसको देखा तो वे दंग रह गईं और उन्होंने अपने हाथ काट डाले और उन्होंने कहाः हाशा-लिल्लाह (अल्लाह की पनाह) यह आदमी नहीं यह तो कोई बुज़ुर्ग फ़रिश्ता है।
She said, "That is the one about whom you blamed me. And I certainly sought to seduce him, but he firmly refused; and if he will not do what I order him, he will surely be imprisoned and will be of those debased."
Uss waqt aziz-e-misir ki biwi ney kaha yehi hain jin kay baray mein tum mujhay tanay dey rahi thin mein ney her chand iss say apna matlab hasil kerna chaha lekin yeh baal baal bacha raha aur jo kuch mein iss say keh rahi hun agar yeh na keray ga to yaqeenan yeh qaid ker diya jayega aur be-shak yeh boht hi bey izzat hoga.
उस वक़्त अज़ीज़े-मिस्र की बीवी ने कहाः यही है वह जिसके बारे में तुम मुझे तअने दे रही थीं, मैंने हरचंद उससे अपना मतलब निकालना चाहा लेकिन यह बाल-बाल बचा रहा, और जो कुछ मैं उससे कह रही हूँ अगर न करेगा तो यक़ीनन क़ैद कर दिया जाएगा और बेशक यह बहुत ही बेइज़्ज़त होगा।
He said, "My Lord, prison is more to my liking than that to which they invite me. And if You do not avert from me their plan, I might incline toward them and [thus] be of the ignorant."
Yousuf ( alh-e-salam ) ney dua ki kay aey meray perwerdigar! Jiss baat ki taraf yeh aurten mujhay bula rahi hain uss say to mujhay jail khana boht pasand hai agar tu ney inn ka fun fareb mujh say door na kiya to mein to inn ki taraf maeel hojaonga aur bilkul na danon mein ja milon ga.
यूसुफ़ (अलै॰) ने कहाः ऐ मेरे रब! क़ैदख़ाना मुझको उस चीज़ से ज़्यादा पसंद है जिसकी तरफ़ ये मुझे बुला रही हैं, और अगर आपने उनके फ़रेब को मुझ से दूर न किया तो मैं उनकी तरफ़ माइल हो जाऊँगा और नादानों में से हो जाऊँगा।
So his Lord responded to him and averted from him their plan. Indeed, He is the Hearing, the Knowing.
Uss kay rab ney uss ki dua qabool kerli aur inn aurton kay dao paich uss say pher diye yaqeenan woh sunnay wala jannay wala hai.
पस उसके रब ने उसकी दुआ क़बूल कर ली और उनके फ़रेब को उससे दूर कर दिया, बेशक वह सुनने वाला, जानने वाला है।
Then it appeared to them after they had seen the signs that al-'Azeez should surely imprison him for a time.
Phir inn tamam nishaniyon ko dekh lenay kay baad unhen yehi maslehat maloom hui kay yousuf ko kuch muddat kay liye qaid khanay mein rakhen.
फिर निशानियाँ देख लेने के बाद उन लोगों की समझ में आया कि एक मुद्दत के लिए उसको क़ैद कर दें।