Indeed, your Lord is Allah , who created the heavens and the earth in six days and then established Himself above the Throne, arranging the matter [of His creation]. There is no intercessor except after His permission. That is Allah , your Lord, so worship Him. Then will you not remember?
Bila shuba tumhara rab Allah hi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda ker diya phir arsh per qaeem hua woh her kaam ki tadbeer kerta hai. Uss ki ijazat kay baghair koi uss kay pass sifarish kerney wala nahi aisa Allah tumhara rab hai so tum uss ki ibadat kero kiya tum phir bhi nasihat nahi pakartay.
बेशक तुम्हारा रब अल्लाह है जिसने आसमानों और ज़मीन को छः दिनों (अदवार) में पैदा किया फिर वह अर्श पर क़ायम हुआ, वही मामलात का इंतिज़ाम करता है, उसकी इजाज़त के बग़ैर कोई सिफ़ारिश करने वाला नहीं, वही अल्लाह तुम्हारा रब है पस तुम उसी की इबादत करो, क्या तुम सोचते नहीं।
It is Allah who erected the heavens without pillars that you [can] see; then He established Himself above the Throne and made subject the sun and the moon, each running [its course] for a specified term. He arranges [each] matter; He details the signs that you may, of the meeting with your Lord, be certain.
Allah woh hai jiss ney aasmanon ko baghair sutonon kay buland ker rakha hai kay tum ussay dekh rahey ho. Phir woh arsh per qarar pakray huye hai ussi ney sooraj aur chand ko ma-tehati mein laga rakha hai. Her aik miyad-e-moyyen per gasht ker raha hai wohi kaam ki tadbeer kerta hai woh apney nishanaat khol khol ker biyan ker raha hai kay tum apney rab ki mulaqat ka yaqeen kerlo.
अल्लाह ही है जिसने आसमान को बुलंद किया बग़ैर ऐसे सतून के जो तुम्हें नज़र आएं, फिर वह अपने अर्श पर क़ायम हुआ और उसने सूरज और चाँद को एक क़ानून का पाबंद बनाया, हर एक मुक़र्रर वक़्त पर चलता है, अल्लाह ही हर काम का इंतिज़ाम करता है, वह निशानियों को खोल-खोल कर बयान करता है; ताकि तुम अपने रब से मिलने का यक़ीन करो।
And We have not created the heavens and earth and that between them except in truth. And indeed, the Hour is coming; so forgive with gracious forgiveness.
Hum ney aasmanon aur zamin ko aur inn kay darmiyan ki sabb cheezon ko haq kay sath peda farmaya hai aur qayamat zaroor zaroor aaney wali hai. Pus tu husn-o-khoobi ( aur achai ) say dar guzar kerley.
और हमने आसमानों और ज़मीन को और जो कुछ उनके दरमियान है हिकमत के बग़ैर नहीं बनाया, और यक़ीनन क़यामत आने वाली है पस आप ख़ूबी के साथ दरगुज़र कीजिए।
Do they not see that Allah , who created the heavens and earth, is [the one] Able to create the likes of them? And He has appointed for them a term, about which there is no doubt. But the wrongdoers refuse [anything] except disbelief.
Kiya enhon ney iss baat per nazar nahi ki jiss Allah ney aasman-o-zamin ko peda kiya hai woh inn jaison ki pedaeesh per poora qadir hai ussi ney inn kay liye aik aisa waqt muqarrar ker rakha hai jo shak-o-shubay say yaksar khali hai lekin zalim log inkar kiye baghair rehtay hi nahi.
क्या उन्हें यह न सूझा कि जिस अल्लाह ने आकाशों और धरती को पैदा किया है उसे उन जैसों को भी पैदा करने की सामर्थ्य प्राप्त है? उस ने तो उन के लिए एक समय निर्धारित कर रखा है, जिस में कोई सन्देह नहीं है। फिर भी ज़ालिमों के लिए इनकार के सिवा हर चीज़ अस्वीकार्य ही रही
I did not make them witness to the creation of the heavens and the earth or to the creation of themselves, and I would not have taken the misguiders as assistants.
Mein ney enhen aasmanon-o-zamin ki pedaeesh kay waqt mojood nahi rakha tha aur na khud inn ki apni pedaeesh mein aur mein gumraah kerney walon ko apna madadgaar bananey wala bhi nahi.
मैंने न तो आकाशों और धरती को उन्हें दिखाकर पैदा किया और न स्वयं उन को बनाने और पैदा करने के समय ही उन्हें बुलाया। मैं ऐसा नहीं हूँ कि गुमराह करने वालों को अपनी बाहु-भुजा बनाऊँ
Originator of the heavens and the earth. When He decrees a matter, He only says to it, "Be," and it is.
Woh zamin aur aasmanon ka ibtida’an peda kerney wala hai woh jiss kaam ko kerna chahye keh deta hai kay hoja bus woh wahin hojata hai.
वह आसमानों और ज़मीन को वजूद में लाने वाला है, वह जब किसी काम का करना ठहरा लेता है तो बस उसके लिए फ़रमा देता है कि हो जा, तो वह हो जाता है।
And We did not create the heaven and earth and that between them in play.
Hum ney aasman-o-zamin aur inn kay darmiyan ki cheezon ko kheltay huye nahi banaya.
और हम ने आकाश और धरती को और जो कुछ उस के मध्य में है कुछ इस प्रकार नहीं बनाया कि हम कोई खेल करने वाले हो
And We have created above you seven layered heavens, and never have We been of [Our] creation unaware.
Hum ney tumharay upper saat aasman banaye hain aur hum makhlooqaat say ghafil nahi hain.
और हम ने तुम्हारे ऊपर सात रास्ते बनाए हैं। और हम सृष्टि-कार्य से ग़ाफ़िल नहीं
He who created the heavens and the earth and what is between them in six days and then established Himself above the Throne - the Most Merciful, so ask about Him one well informed.
Wohi hai jiss aasmano aur zamin aur inn kay darmiyan ki sab cheezon ko cheh din mein peda ker diya hai phir arsh per mustawi hua woh rehman hai aap iss ka baray mein kissi khabar daar say pooch len.
जिस ने आकाशों और धरती को और जो कुछ उन दोनों के बीच है छह दिनों में पैदा किया, फिर सिंहासन पर विराजमान हुआ। रहमान है वह! अतः पूछो उस से जो उस की ख़बर रखता है
Indeed, the religion in the sight of Allah is Islam. And those who were given the Scripture did not differ except after knowledge had come to them - out of jealous animosity between themselves. And whoever disbelieves in the verses of Allah , then indeed, Allah is swift in [taking] account.
Be-shak Allah Taalaa kay nazdeek deen islam hi hai aur ehal-e-kitab ney apney pass ilm aa janey kay baad aapas ki sirkashi aur hasad ki bina per hi ikhtilaf kiya hai aur Allah Taalaa ki aayaton kay sath jo bhi kufur keray Allah Taalaa uss ka jald hisab lenay wala hai.
(क़ाबिले-क़बूल) दीन तो अल्लाह के नज़दीक सिर्फ़ इस्लाम ही है, और अहले-किताब ने इख़्तिलाफ़ नहीं किया मगर बाद इसके कि उनको सही इल्म पहुँच चुका था आपस की ज़िद की वजह से, और जो कोई इनकार करे अल्लाह की आयतों का तो अल्लाह यक़ीनन जल्द हिसाब लेने वाला है।
Do they not contemplate within themselves? Allah has not created the heavens and the earth and what is between them except in truth and for a specified term. And indeed, many of the people, in [the matter of] the meeting with their Lord, are disbelievers.
Kiya inn logon ney apnay dil mein yeh ghor nahi kiya? Kay Allah Taalaa ney aasmano ko aur zamin aur inn kay darmiyan jo kuch hai sab ko behtareen qareeney say muqarrar waqt tak kay liye hi ( peda ) kiya hai haan aksar log yaqeenan apnay rab ki mulaqat kay munkir hain.
क्या उन्होंने अपने आप में सोच-विचार नहीं किया? अल्लाह ने आकाशों और धरती को और जो कुछ उन के बीच है सत्य के साथ और एक नियत अवधि ही के लिए पैदा किया है। किन्तु बहुत-से लोग अपने प्रभु के मिलन का इनकार करते हैं
The creation of the heavens and earth is greater than the creation of mankind, but most of the people do not know.
Aasmano-o-zamin ki pedaeesh yaqeenan insan ki pedaeesh say boht bara kaam hai lekin ( yeh aur baat hai kay ) aksar log be-ilm hain.
निस्संदेह, आकाशों और धरती को पैदा करना लोगों को पैदा करने की अपेक्षा अधिक बड़ा (कठिन) काम है। किन्तु अधिकतर लोग नहीं जानते
We did not create the heavens and earth and what is between them except in truth and [for] a specified term. But those who disbelieve, from that of which they are warned, are turning away.
Hum ney aasmano aur zamin aur inn dono kay darmiyan ki tamam cheezon ko behtreen tadbeer kay sath hi aik muddat moayyen kay liye peda kiya hai aur kafir log jiss cheez say daraye jatay hain mun mor letay hain.
हम ने आकाशों और धरती को और जो कुछ उन दोनों के मध्य है उसे केवल हक़ के साथ और एक नियत अवधि तक के लिए पैदा किया है। किन्तु जिन लोगों ने इनकार किया है, वे उस चीज़ को ध्यान में नहीं लाते जिस से उन्हें सावधान किया गया है
[All] praise is [due] to Allah , who created the heavens and the earth and made the darkness and the light. Then those who disbelieve equate [others] with their Lord.
Tamam tareefen Allah hi kay laeeq hain jiss ney aasamanon aur zamin ko peda kiya aur tareekiyon aur noor ko banaya phir bhi kafir log ( ghair Allah ko ) apney rab kay barabar qarar detay hain.
तमाम तारीफें अल्लाह के लिए हैं जिसने आसमानों और ज़मीन को पैदा किया और अंधेरों और रौशनी को बनाया, फिर भी मुनकिर लोग दूसरों को अपने रब का हमसर ठहराते हैं।
Indeed, your Lord is Allah , who created the heavens and earth in six days and then established Himself above the Throne. He covers the night with the day, [another night] chasing it rapidly; and [He created] the sun, the moon, and the stars, subjected by His command. Unquestionably, His is the creation and the command; blessed is Allah , Lord of the worlds.
Be-shak tumhara rab Allah hi hai jiss ney sab aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda kiya hai phir arsh per qaeem hua. Woh shab say din ko aisay tor per chupa deta hai kay woh shab uss din ko jaldi aa leti hai aur sooraj aur chand aur doosray sitaron ko peda kiya aisay tor per kay sab uss kay hukum kay tabey hain. Yaad rakho Allah hi kay liye khas hai khaliq hona aur haakim hona bari khoobiyon say bhara hua hai Allah jo tamam aalam ka perwerdigar hai.
बेशक तुम्हारा रब वही अल्लाह है जिसने आसमानों और ज़मीन को छः दिनों में पैदा किया फिर वह अर्श पर क़ायम हुआ, वह उढ़ाता है रात को दिन पर इस तरह कि दिन उसके पीछे लगा आता है दौड़ता हुआ, और (उसने पैदा किए) सूरज और चाँद और सितारे जो ताबेदार हैं उसके हुक्म के, याद रखो! उसी का काम है पैदा करना और हुक्म करना, बड़ी बरकत वाला है अल्लाह जो रब है सारे जहानों का।