Have you not considered how Allah presents an example, [making] a good word like a good tree, whose root is firmly fixed and its branches [high] in the sky?
Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa ney pakeeza baat ki misal kiss tarah biyan farmaee misil aik pakeeza darakht kay jiss ki jarr mazboot hai aur jiss ki tehniyan aasman mein hain.
क्या आपने नहीं देखा कि किस तरह मिसाल बयान फ़रमाई है अल्लाह ने कलिमा तय्यबा की, वह एक पाकीज़ा दरख़्त की मानिंद है जिसकी जड़ ज़मीन में जमी हुई है और जिसकी टहनियाँ आसमान तक पहुँची हुई हैं।
Then We gave back to you a return victory over them. And We reinforced you with wealth and sons and made you more numerous in manpower
Phir hum ney unn per tumhara ghalba dey ker tumharay din pheray aur maal aur aulad say tumhari madad ki aur tumehn baray juthay wala bana diya.
फिर हमने तुम्हारी बारी उन पर लौटा दी और माल और औलाद से तुम्हारी मदद की और तुमको ज़्यादा बड़ी जमात बना दिया।
And shake toward you the trunk of the palm tree; it will drop upon you ripe, fresh dates.
Aur iss khajoor kay tanay ko apni taraf hila yeh teray samney tar-o-taza pakki khajooren gira dey ga.
तू खजूर के उस वृक्ष के तने को पकड़कर अपनी ओर हिला। तेरे ऊपर ताज़ा पकी-पकी खजूरें टपक पड़ेगी
And We said, "O Adam, dwell, you and your wife, in Paradise and eat therefrom in [ease and] abundance from wherever you will. But do not approach this tree, lest you be among the wrongdoers."
Aur hum ney keh diya kay aey aadam! Tum aur tumhari biwi jannat mein raho aur jahan kahin say chahao ba faraghat khao piyo lekin uss darakht kay qareeb na jana werna zalim hojao gay.
और हमने कहा, ऐ आदम! तुम और तुम्हारी बीवी दोनों जन्नत में रहो, और उसमें से खाओ जी भर के जहाँ से चाहो और उस दरख़्त के क़रीब मत जाना वर्ना तुम ज़ालिमों में से हो जाओगे।
Indeed, I am your Lord, so remove your sandals. Indeed, you are in the sacred valley of Tuwa.
Yaqeenan mein hi tera perwerdigar hun to tu apni jootiyan utar dey kiyon kay tu pak maidan-e-toowa mein hai.
मैं ही तेरा रब हूँ। अपने जूते उतार दे। तू पवित्र घाटी 'तुवा' में है
Do you not see that to Allah prostrates whoever is in the heavens and whoever is on the earth and the sun, the moon, the stars, the mountains, the trees, the moving creatures and many of the people? But upon many the punishment has been justified. And he whom Allah humiliates - for him there is no bestower of honor. Indeed, Allah does what He wills.
Kiya tu nahi dekh raha kay Allah kay samney sajday mein hain sab aasmano walay aur sab zamino walay aur sooraj aur chand aur sitaray aur pahar aur darakht aur janwar aur boht say insan bhi. Haan boht say woh bhi hain jin per azab ka maqoola sabit ho chuka hai jisay rab zaleel ker dey ussay koi izzat deney wala nahi Allah jo chahata hai kerta hai.
क्या तुम नें देखा नहीं कि अल्लाह ही को सजदा करते हैं वे सब जो आकाशों में है और जो धरती में है, और सूर्य, चन्द्रमा, तारे पहाड़, वृक्ष, जानवर और बहुत-से मनुष्य? और बहुत-से ऐसे हैं जिन पर यातना का औचित्य सिद्ध हो चुका है, और जिसे अल्लाह अपमानित करे उसे सम्मानित करने वाला कोई नहीं। निस्संदेह अल्लाह जो चाहे करता है
They who are during their prayer humbly submissive
Jo aoni namaz mein khusoo kertay hain.
जो अपनी नमाज़ों में विनम्रता अपनाते हैं;
Allah is the Light of the heavens and the earth. The example of His light is like a niche within which is a lamp, the lamp is within glass, the glass as if it were a pearly [white] star lit from [the oil of] a blessed olive tree, neither of the east nor of the west, whose oil would almost glow even if untouched by fire. Light upon light. Allah guides to His light whom He wills. And Allah presents examples for the people, and Allah is Knowing of all things.
Allah noor hai aasmanon ka aur zamin ka uss kay noor ki misal misil aik taaq kay hai jiss mein chiragh ho aur chiragh seeshay ki qandeel mein ho aur seesha misil chamaktay huye roshan sitaray kay ho woh chiragh aik ba-barkat darakht zaitoon kay tel say jalaya jata ho jo darakht na mashriqi hai na maghribi khud woh tel qareeb hai kay aap hi roshni denay lagay agarcheh ussay aag na bhi chuye noor per noor hai Allah Taalaa apnay noor ki taraf rehnumaee kerta hai jissay chahaye logon ( kay samjhaney ) ko yeh misalen Allah Taalaa biyan farma raha hai aur Allah Taalaa her cheez kay haal say bakhoobi waqif hai.
अल्लाह आकाशों और धरती का प्रकाश है। (मोमिन के दिल में) उस के प्रकाश की मिसाल ऐसी है जैसे एक ताक़ है, जिस में एक चिराग़ है - वह चिराग़ एक फ़ानूस में है। वह फ़ानूस ऐसा है मानो चमकता हुआ कोई तारा है। - वह चिराग़ ज़ैतून के एक बरकत वाले वृक्ष के तेल से जलाया जाता है, जो न पूर्वी है न पश्चिमी। उस का तेल आप ही आप भड़का पड़ता है, यद्यपि आग उसे न भी छुए। प्रकाश पर प्रकाश! - अल्लाह जिसे चाहता है अपने प्रकाश के प्राप्त होने का मार्ग दिखा देता है। अल्लाह लोगों के लिए मिसालें प्रस्तुत करता है। अल्लाह तो हर चीज़ जानता है।
And if whatever trees upon the earth were pens and the sea [was ink], replenished thereafter by seven [more] seas, the words of Allah would not be exhausted. Indeed, Allah is Exalted in Might and Wise.
Roy-e-zamin kay ( tamam ) darkhton ki agar qalamen hojayen aur tamam samandaron ki seehaee ho aur inn kay baad sath samnadar aur hon tahum Allah kay kalmaat khatam nahi ho saktay be-shak Allah Taalaa ghalib aur ba-hikmat hai.
धरती में जितने वृक्ष हैं, यदि वे क़लम हो जाएँ और समुद्र उस की स्याही हो जाए, उस के बाद सात और समुद्र हों, तब भी अल्लाह के बोल समाप्त न हो सकेंगे। निस्संदेह अल्लाह अत्यन्त प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
Indeed, We have put shackles on their necks, and they are to their chins, so they are with heads [kept] aloft.
Hum ney unn ki gardano mein toq daal diyey hain phir woh thoriyon tak hain jiss say unn kay sir uper ko ulat gaye hain.
हम ने उन की गर्दनों में तौक़ डाल दिए हैं जो उन की ठोड़ियों से लगे हैं। अतः उन के सिर ऊपर को उचके हुए हैं
Is Paradise a better accommodation or the tree of zaqqum?
Kiya yeh mehmaani achi hai ya seendh ( zaqoom ) ka darakht?
क्या वह आतिथ्य अच्छा है या 'ज़क़्क़ूम' का वृक्ष?
Indeed, the tree of zaqqum
Be-shak zaqoom ( thoher ) ka darakht.
निस्संदेह ज़क़्क़ूम का वृक्ष
Certainly was Allah pleased with the believers when they pledged allegiance to you, [O Muhammad], under the tree, and He knew what was in their hearts, so He sent down tranquillity upon them and rewarded them with an imminent conquest
Yaqeenan Allah Taalaa momino say khush hogaya jabkay woh darakht talay tujh say bait ker rahey thay unn kay dilon mein jo tha ussay uss ney maloom kerliya aur unn per itminaan nazil farmaya aur unhen qareeb ki fatah inayat farmaee.
निश्चय ही अल्लाह मोमिनों से प्रसन्न हुआ, जब वे वृक्ष के नीचे तुम से बैअत कर रहे थे। उस ने जान लिया जो कुछ उन के दिलों में था। अतः उन पर उस ने सकीना (प्रशान्ति) उतारी और बदले में उन्हें मिलने वाली विजय निश्चित कर दी;
And if they see a miracle, they turn away and say, "Passing magic."
Yeh agar koi mojzza dekhtay hain to mun pher letay hain aur kehdetay hain. kay yeh pehlay say chala aata hua jadoo hai.
किन्तु हाल यह है कि यदि वे कोई निशानी देख भी लें तो टाल जाएँगे और कहेंगे, "यह तो जादू है, पहले से चला आ रहा है!"
And the stars and trees prostrate.
Aur sitaray aur darakht dono sajdah kertay hain.
और तारे और वृक्ष सजदा करते हैं;
Will be eating from trees of zaqqum
Albatta khanay walay ho thoher ka darakht.
ज़क्कूम के वृक्ष में से खाओगे;
And it is He who sends down rain from the sky, and We produce thereby the growth of all things. We produce from it greenery from which We produce grains arranged in layers. And from the palm trees - of its emerging fruit are clusters hanging low. And [We produce] gardens of grapevines and olives and pomegranates, similar yet varied. Look at [each of] its fruit when it yields and [at] its ripening. Indeed in that are signs for a people who believe.
Aur woh aisa hai jiss ney aasman say pani barsaya phir hum ney uss kay zariye say her qisam kay nabaat ko nikala phir hum ney uss say sabz shaakh nikali kay uss say hum upper talay daaney charhay huye nikaltay hain aur khujoor kay darakhton say yani unn kay guphay mein say khoshay hain jo neechay ko latkay jatay hain aur angooron kay baagh aur zaitoon aur anaar kay baaz aik doosray say miltay jultay hotay hain aur kuch aik doosray say miltay jultay nahi hotay. Her aik kay phal ko dekho jab woh phalta hai aur iss kay pakney ko dekho iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo eman rakhtay hain.
और वही है जिसने आसमान से पानी बरसाया फिर हमने उससे निकाली उगने वाली हर चीज़ फिर हमने उससे सरसब्ज़ शाख़ निकाली जिससे हम तह-ब-तह दाने पैदा कर देते हैं, और खजूर के गाभे में से फल के गुच्छे झुके हुए और बाग़ अंगूर के और ज़ैतून के और अनार के आपस में मिलते-जुलते और जुदा-जुदा भी, हर एक फल को देखो जब वह फलता है और उसके पकने को देखो जब वह पकता है, बेशक इनके अंदर निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो ईमान की तलब रखते हैं।
And "O Adam, dwell, you and your wife, in Paradise and eat from wherever you will but do not approach this tree, lest you be among the wrongdoers."
Aur hum ney hukum diya kay aey aadam! Tum aur tumhari biwi jannat mein raho. Phir jiss jagah say chahao dono khao aur uss darakht kay pass mat jao werna tum dono zalimon mein say hojao gay.
और ऐ आदम! तुम और तुम्हारी बीवी जन्नत में रहो और खाओ जहाँ से चाहो, मगर उस दरख़्त के पास न जाना वर्ना तुम नुक़सान उठाने वालों में से हो जाओगे।