Allah witnesses that there is no deity except Him, and [so do] the angels and those of knowledge - [that He is] maintaining [creation] in justice. There is no deity except Him, the Exalted in Might, the Wise.
Allah Taalaa farishtay aur ehal-e-ilm iss baat ki gawahi detay hain kay Allah kay siwa koi mabood nahi aur woh adal ko qaeem rakhney wala hai uss ghalib aur hikmata walay kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi.
अल्लाह की गवाही है और फ़रिश्तों की और अहले-इल्म की कि अल्लाह के सिवा कोई माबूद नहीं, वह क़ायम रखने वाला है इंसाफ़ का, उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
Because of that, We decreed upon the Children of Israel that whoever kills a soul unless for a soul or for corruption [done] in the land - it is as if he had slain mankind entirely. And whoever saves one - it is as if he had saved mankind entirely. And our messengers had certainly come to them with clear proofs. Then indeed many of them, [even] after that, throughout the land, were transgressors.
Issi waja say hum ney bani israeel per yeh likh diya kay jo shaks kissi ko baghair iss kay, kay woh kissi ka qatil ho ya zamin mein fasaad machaney wala ho qatal ker daalay to goya uss ney tamam logon ko qatal ker diya aur jo shaks kissi aik ki jaan bacha ley uss ney goya tamam logon ko zinda ker diya aur unn kay pass humara boht say rasool zahir daleelen ley ker aaye lekin phir uss kay baad bhi unn mein kay aksar log zamin mein zulm-o-ziyadti aur zabadasti kerney walay hi rahey.
इसी सबब से हमने बनी-इस्राईल पर यह लिख दिया कि जो शख़्स किसी को क़त्ल करे बग़ैर इसके कि उसने किसी को क़त्ल किया हो या ज़मीन में फ़साद बरपा किया हो तो गोया उसने सारे इंसानों को क़त्ल कर डाला, और जिसने एक शख़्स को बचाया तो गोया उसने सारे इंसानों को बचा लिया, और हमारे पैग़म्बर उनके पास खुले हुए अहकाम लेकर आए उसके बावजूद उनमें से बहुत-से लोग ज़मीन में ज़्यादतियाँ करते हैं।
And when those come to you who believe in Our verses, say, "Peace be upon you. Your Lord has decreed upon Himself mercy: that any of you who does wrong out of ignorance and then repents after that and corrects himself - indeed, He is Forgiving and Merciful."
Aur yeh log jab aap kay pass ayen jo humari aayaton per eman rakhtay hain to ( yun ) keh dijiye kay tum per salamti hai tumharay rab ney meharbani farmana apney zimmay muqarrar ker liya hai kay jo shaks tum mein say bura kaam ker bethay jahalat say phir woh iss kay baad tauba ker ley aur islah rakhay to Allah ( ki shaan hai kay woh ) bari maghfirat kerney wala aur bari rehmat wala hai.
और जब आपके पास वे लोग आएं जो हमारी आयात पर ईमान लाए हैं तो उनसे कहिए कि तुम पर सलामती हो, तुम्हारे रब ने अपने ऊपर रहमत लिख ली है, बेशक तुम में जो कोई नादानी से कोई बुराई कर बैठे फिर उसके बाद वे तौबा करे और इस्लाह कर ले तो वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
[Say], "Then is it other than Allah I should seek as judge while it is He who has revealed to you the Book explained in detail?" And those to whom We [previously] gave the Scripture know that it is sent down from your Lord in truth, so never be among the doubters.
To kiya Allah kay siwa kissi aur faisla kerney walay ko talash keroon halankay woh aisa hai kay uss ney aik kitab-e-kaamil tumharay pass bhej di hai iss kay mazmeen khoob saaf saaf biyan kiye gaye hain aur jin logon ko hum ney kitab di hai woh iss baat ko yaqeen kay sath jantay hain kay yeh aap kay rab ki taraf say haq kay sath bheji gaee hai so aap shuba kerney walon mein say na hon.
क्या मैं अल्लाह के सिवा किसी और को फ़ैसला करने वाला बनाऊँ; हालाँकि उसने तुम्हारी तरफ़ वाज़ेह किताब उतारी है, और जिन लोगों को हमने पहले किताब दी थी वे जानते हैं कि यह आपके रब की तरफ़ से उतारी गई है हक़ के साथ, पस आप शक करने वालों में से न बनें।
And the people of Moses made, after [his departure], from their ornaments a calf - an image having a lowing sound. Did they not see that it could neither speak to them nor guide them to a way? They took it [for worship], and they were wrongdoers.
Aur musa ( alh-e-salam ) ki qom ney unn kay baad apney zewaron ka aik bachra mabood thehra liya jo kay aik qalib tha jiss mein aik aawaz thi. Kiya enhon ney yeh na dekha kay woh inn say baat nahi kerta tha aur na inn ko koi raah batlata tha uss ko enhon ney mabood qarar diya aur bari bey insafi ka kaam kiya.
और मूसा (अलै॰) की क़ौम ने उस (के जाने) के बाद अपने ज़ेवरों से एक बछड़ा बनाया, एक धड़ जिससे बैल की सी आवाज़ निकलती थी, क्या उन्होंने नहीं देखा कि वह न उनसे बोलता और न उन्हें कोई राह दिखाता है, उसको उन्होंने माबूद बना लिया और वह बड़े ज़ालिम थे।
And [mention] when We raised the mountain above them as if it was a dark cloud and they were certain that it would fall upon them, [and Allah said], "Take what We have given you with determination and remember what is in it that you might fear Allah ."
Aur woh waqt bhi qabil-e-zikar hai jab hum ney pahar ko utha ker sayebaan ki tarah unn per moalliq ker diya aur inn ko yaqeen hogaya kay abb inn per gira aur kaha kay jo kitab hum ney tum ko di hai ussay mazbooti kay sath qabool kero aur yaad rakho jo ehkaam iss mein hain uss say tawaqqa hai kay tum mutaqqi bann jao.
और जब हमने पहाड़ को उनके ऊपर उठाया गोया कि वह सायबान है, और उन्होंने गुमान किया कि वह उन पर आ पड़ेगा, पकड़ो उस चीज़ को जो हमने तुमको दी है मज़बूती से, और याद रखो जो उसमें है ताकि तुम बचो।
Do they not know that whoever opposes Allah and His Messenger - that for him is the fire of Hell, wherein he will abide eternally? That is the great disgrace.
Kiya yeh nahi jantay kay jo bhi Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat keray ga yaqeenan uss kay liye dozakh ki aag hai jiss mein woh hamesha rehney wala hai yeh zabardast ruswaee hai.
क्या उनको मालूम नहीं कि जो अल्लाह और उसके रसूल की मुख़ालिफ़त करे उसके लिए जहन्नम की आग है जिसमें वह हमेशा रहेगा, यह बहुत बड़ी रुसवाई है।
And the request of forgiveness of Abraham for his father was only because of a promise he had made to him. But when it became apparent to Abraham that his father was an enemy to Allah , he disassociated himself from him. Indeed was Abraham compassionate and patient.
Aur ibrahim ( alh-e-salam ) ka apney baap kay liye dua-e-maghfirat maangna woh sirf wada kay sabab say tha jo unhon ney uss say wada ker liya tha phir jab unn per yeh baat zahir hogaee kay woh Allah ka dushman hai to woh iss say mehaz mehaz bey talluq hogaye waqaee ibrahim ( alh-e-salam ) baray naram dil aur burd baar thay.
और इब्राहीम (अलै॰) का अपने वालिद के लिए मग़फ़िरत की दुआ मांगना सिर्फ़ उस वादे की वजह से था जो उन्होंने उससे कर लिया था, फिर जब उन पर खुल गया कि वह अल्लाह का दुश्मन है तो वे उससे बे-तअल्लुक़ हो गए, बेशक इब्राहीम बड़े नरम-दिल, बुर्दबार थे।
And We took the Children of Israel across the sea, and Pharaoh and his soldiers pursued them in tyranny and enmity until, when drowning overtook him, he said, "I believe that there is no deity except that in whom the Children of Israel believe, and I am of the Muslims."
Hum ney bani israeel ko darya say paar ker diya phir unn kay peechay peechay firaon apney lashkar kay sath zulm aur ziyadti kay iraday say chala yahan tak kay jab dobney laga to kehney laga mein eman lata hun kay jiss per bani israeel eman laye hain uss kay siwa koi mabood nahi aur mein musalman mein say hun.
और हमने बनी-इस्राईल को समुंदर पार करा दिया तो फ़िरऔन और उसके लश्कर ने उनका पीछा किया सरकशी और ज़्यादती की ग़र्ज से, यहाँ तक कि जब फ़िरऔन डूबने लगा तो उसने कहा कि मैं ईमान लाया कि कोई माबूद नहीं मगर वह जिस पर बनी-इस्राईल ईमान लाए और मैं फ़रमाँबरदारों में से हूँ।
And it was revealed to Noah that, "No one will believe from your people except those who have already believed, so do not be distressed by what they have been doing.
Nooh ki taraf wahee bheji gaee kay teri qom mein sa yjo eman laa chukay unn kay siwa aur koi abb eman laye ga hi nahi pus tu inn kay kaamon per ghumgeen na ho.
और नूह (अलै॰) की तरफ़ वह्य की गई कि अब आपकी क़ौम में से कोई ईमान नहीं लाएगा सिवाए उसके जो ईमान ला चुका, पस आप उन कामों पर ग़मगीन न हों जो वे कर रहे हैं।
And he said to the one whom he knew would go free, "Mention me before your master." But Satan made him forget the mention [to] his master, and Joseph remained in prison several years.
Aur jiss ki nisbat yousuf ka guman tha kay inn dono mein say yeh choot jayega uss say kaha kay apney badshah say mera ziker bhi ker dena phir ussay shetan ney apney badshah say ziker kerna bhula diya aur yousuf ney kaee saal qaid khaney mein hi kaatay.
और यूसुफ़ ने उस शख़्स से कहा जिसके बारे में उसका गुमान था कि वह बच जाएगा कि अपने आक़ा के पास मेरा ज़िक्र करना, फिर शैतान ने उसको अपने आक़ा से ज़िक्र करना भुला दिया, पस वह क़ैदख़ाने में कई साल ठहरा रहा।
He sends down the angels, with the inspiration of His command, upon whom He wills of His servants, [telling them], "Warn that there is no deity except Me; so fear Me."
Wohi farishton ko apni wahee dey ker apney hukum say apney bandon mein say jiss per chahata hai utarta hai kay tum logon ko aagah kerdo kay meray siwa aur koi mabood nahi pus tum mujh say daro.
वे फ़रिश्तों को अपने हुक्म से वह्य के साथ उतारता है अपने बंदों में से जिस पर चाहता है कि लोगों को ख़बरदार कर दो कि मेरे सिवा कोई इबादत के लायक़ नहीं, पस तुम मुझसे डरो।
And We sent not before you any messenger except that We revealed to him that, "There is no deity except Me, so worship Me."
Tujh say pehlay bhi jo rasool hum ney bheja uss ki taraf yehi wahee nazil farmaee kay meray siwa koi mabood bar-haq nahi pus tum sab meri hi ibadat kero.
हम ने तुम से पहले जो रसूल भी भेजा, उस की ओर यही प्रकाशना की कि " "मेरे सिवा कोई पूज्य-प्रभु नहीं। अतः तुम मेरी ही बन्दगी करो।"
It has been decreed for every devil that whoever turns to him - he will misguide him and will lead him to the punishment of the Blaze.
Jiss per ( qazay-e-elahee ) likh di gaee hai kay jo koi uss ki rafaqat keray ga woh ussay gumrah ker dey ga aur ussay aag kay azab ki taraf ley jayeg.
जबकि उस के लिए लिख दिया गया है कि जो उस से मित्रता का सम्बन्ध रखेगा उसे वह पथभ्रष्ट करके रहेगा और उसे दहकती अग्नि की यातना की ओर ले जाएगा
And had he not been of those who exalt Allah ,
Pus agar yeh paki biyan kerney walon mein say na hotay.
अब यदि वह तसबीह करने वाला न होता
We will show them Our signs in the horizons and within themselves until it becomes clear to them that it is the truth. But is it not sufficient concerning your Lord that He is, over all things, a Witness?
Un-qareeb hum enhen apni nishaniyan aafaq-e-aalam mein bhi dikhayen gay aur khud inn ki apni zaat mein bhi yahan tak kay inn per khul jaye kay haq yehi hai kiya aap kay rab ka her cheez say waqif-o-aagah hona kafi nahi.
शीघ्र ही हम उन्हें अपनी निशानियाँ वाह्य क्षेत्रों में दिखाएँगे और स्वयं उन के अपने भीतर भी, यहाँ तक कि उन पर स्पष्टा हो जाएगा कि वह (क़ुरआन) सत्य है। क्या तुम्हारा रब इस दृष्टि, से काफ़ी नहीं कि वह हर चीज़ का साक्षी है
So know, [O Muhammad], that there is no deity except Allah and ask forgiveness for your sin and for the believing men and believing women. And Allah knows of your movement and your resting place.
So ( aey nabi ) aap yaqeen kerlen kay Allah kay siwa koi mabood nahi aur apnay gunahon ki bakhsish manga keren aur momin mardon aur momin aurton kay haq mein bhi Allah tum logo ki amdoraft ki aur rehnay sehnay ki jagah khoob janta hai.
अतः जान रखों कि अल्लाह के अतिरिक्त कोई पूज्य-प्रभु नहीं। और अपने गुनाहों के लिए क्षमा-याचना करो और मोमिन पुरुषों और मोमिन स्त्रियों के लिए भी। अल्लाह तुम्हारी चलत-फिरत को भी जानता है और तुम्हारे ठिकाने को भी