Allah is the Creator of all things, and He is, over all things, Disposer of affairs.
Allah her cheez ka peda kerney wala hai aur wohi her cheez per nigehbaan hai.
अल्लाह हर चीज़ का स्रष्टा है और वही हर चीज़ का ज़िम्मा लेता है
But Moses said, "Indeed, I have sought refuge in my Lord and your Lord from every arrogant one who does not believe in the Day of Account."
Musa ( alh-e-salam ) ney kaha mein apnay aur tumharay rab ki panah mein aata hun her uss takabbur kerney walay shaks ( ki buraee ) say jo roz-e-hisab per eman nahi rakhta.
मूसा ने कहा, "मैंने हर अहंकारी के मुक़ाबले में, जो हिसाब के दिन पर ईमान नहीं रखता, अपने रब और तुम्हारे रब की शरण ले ली है।"
Those who dispute concerning the signs of Allah without an authority having come to them - great is hatred [of them] in the sight of Allah and in the sight of those who have believed. Thus does Allah seal over every heart [belonging to] an arrogant tyrant.
Jo baghair kissi sanad kay jo inn kay pass aaee ho Allah ki aayaton mein jhagartay hain Allah kay nazdeek aur momino kay nazdeek yeh to boht bari narazgi ki cheez hai Allah Taalaa issi tarah her aik maghroor sirkash kay dil per mohar ker deta hai.
ऐसे लोगो को (गुमराही में डालता है) जो अल्लाह की आयतों में झगड़ते हैं, बिना इस के कि उन के पास कोई प्रमाण आया हो, अल्लाह की दृष्टि में और उन लोगों की दृष्टि में जो ईमान लाए यह (बात) अत्यन्त अप्रिय है। इसी प्रकार अल्लाह हर अहंकारी, निर्दय- अत्याचारी के दिल पर मुहर लगा देता है। -
That is Allah , your Lord, Creator of all things; there is no deity except Him, so how are you deluded?
Yehi Allah hai tum sab ka rab her cheez ka khaliq iss kay siwa koi mabood nahi phir kahan tum phiray jatay ho.
वह है अल्लाह, तुम्हारा रब, हर चीज़ का पैदा करने वाला! उस के सिवा कोई पूज्य-प्रभु नहीं। फिर तुम कहाँ उलटे फिरे जा रहे हो?
And He completed them as seven heavens within two days and inspired in each heaven its command. And We adorned the nearest heaven with lamps and as protection. That is the determination of the Exalted in Might, the Knowing.
Pus do din mein saat aasman bana diyey aur her aasman mein iss kay munasib ehkaam ki wahee bhej di aur hum ney aasman-e-duniya ko charaghon say zeenat di aur nigheybaani ki yeh tadbeer Allah ghalib-o-dana ki hai.
फिर दो दिनों में उन को अर्थात सात आकाशों को बनाकर पूरा किया और प्रत्येक आकाश में उस से सम्बन्धित आदेश की प्रकाशना कर दी और दुनिया के (निकटवर्ती) आकाश को हम ने दीपों से सजाया (रात के यात्रियों के दिशा-निर्देश आदि के लिए) और सुरक्षित करने के उद्देश्य से। यह अत्यन्त प्रभुत्वशाली, सर्वज्ञ का ठहराया हुआ है।"
And of His signs is that you see the earth stilled, but when We send down upon it rain, it quivers and grows. Indeed, He who has given it life is the Giver of Life to the dead. Indeed, He is over all things competent.
Uss Allah ki nishaniyon mein say ( yeh bhi ) hai kay tu zamin ko dabi dabaee dekhta hai phir jab hum iss per meenh barsatay hain to woh tar-o-taza hoker ubharney lagti hai. Jiss ney ussay zindah kiya wohi yaqeeni tor per murdon ko bhi zindah kerney wala hai be-shak woh her ( her ) cheez per qadir hai.
और यह चीज़ भी उस की निशानियों में से है कि तुम देखते हो कि धरती दबी पड़ी है; फिर ज्यों ही हम ने उस पर पानी बरसाया कि वह फबक उठी और फूल गई। निश्चय ही जिस ने उसे जीवित किया, वही मुर्दों को जीवित करने वाला है। निस्संदेह उसे हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
We will show them Our signs in the horizons and within themselves until it becomes clear to them that it is the truth. But is it not sufficient concerning your Lord that He is, over all things, a Witness?
Un-qareeb hum enhen apni nishaniyan aafaq-e-aalam mein bhi dikhayen gay aur khud inn ki apni zaat mein bhi yahan tak kay inn per khul jaye kay haq yehi hai kiya aap kay rab ka her cheez say waqif-o-aagah hona kafi nahi.
शीघ्र ही हम उन्हें अपनी निशानियाँ वाह्य क्षेत्रों में दिखाएँगे और स्वयं उन के अपने भीतर भी, यहाँ तक कि उन पर स्पष्टा हो जाएगा कि वह (क़ुरआन) सत्य है। क्या तुम्हारा रब इस दृष्टि, से काफ़ी नहीं कि वह हर चीज़ का साक्षी है
Or have they taken protectors [or allies] besides him? But Allah - He is the Protector, and He gives life to the dead, and He is over all things competent.
Kiya inn logon ney Allah kay siwa aur kaar saaz bana liye hain ( haqeeqatan ) to Allah Taalaa hi kaar saaz hai wohi murdon ko zindah keray ga aur wohi her cheez per qadir hai.
(क्या उन्होंने अल्लाह से हटकर दूसरे सहायक बना लिए हैं,) या उन्होंने उस से हटकर दूसरे संरक्षक बना रखे हैं? संरक्षक तो अल्लाह ही है। वही मुर्दों को जीवित करता है और उसे हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
Do they not see that Allah , who created the heavens and earth and did not fail in their creation, is able to give life to the dead? Yes. Indeed, He is over all things competent.
Kiya woh nahi dekhtay kay jiss Allah ney aasmano aur zamin ko peda kiya hai aur inn kay peda kerney say woh na thaka woh yaqeenan murdon ko zindah kerney per qadir hai? Kiyon na ho? Woh yaqeenan her cheez per qadir hai.
क्या उन्होंने देखा नहीं कि जिस अल्लाह ने आकाशों और धरती को पैदा किया और उन के पैदा करने से थका नहीं; क्या ऐसा नहीं कि वह मुर्दों को जीवित कर दे? क्यों नहीं, निश्चय ही उसे हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
Is the description of Paradise, which the righteous are promised, wherein are rivers of water unaltered, rivers of milk the taste of which never changes, rivers of wine delicious to those who drink, and rivers of purified honey, in which they will have from all [kinds of] fruits and forgiveness from their Lord, like [that of] those who abide eternally in the Fire and are given to drink scalding water that will sever their intestines?
Uss jannat ki sift jiss ka perhezgaron say wada kiya gaya hai yeh hai kay uss mein pani ki nehren hain jo badboo kernay wala nahi aur doodh ki nehren hain jinka maza nahi badla aur sharab ki nehren hain jinn mein peenay walon kay liye bari lazzat hai aur nehren hain shehad ki jo boht saaf hain aur unn kay liye wahan her qisam kay meway hain aur unkay rab ki taraf say maghfirat hai kiya yeh misil iss kay hain jo hamesha aag mein rehnay wala hai? Aur jihen garam kholta hua pani pilaya jaye ga jo inn ki aanton kay tukray tukray ker dey ga.
उस जन्नत की शान, जिस का वादा डर रखने वालों से किया गया है, यह है कि ऐसे पानी की नहरें होगी जो प्रदूषित नहीं होता। और ऐसे दूध की नहरें होंगी जिस के स्वाद में तनिक भी अन्तर न आया होगा, और ऐसे पेय की नहरें होंगी जो पीने वालों के लिए मज़ा ही मज़ा होंगी, और साफ़-सुधरे शहद की नहरें भी होंगी। और उन के लिए वहाँ हर प्रकार के फल होंगे और क्षमा उन के अपने रब की ओर से - क्या वे उन जैसे हो सकते हैं, जो सदैव आग में रहने वाले हैं और जिन्हें खौलता हुआ पानी पिलाया जाएगा, जो उन की आँतों को टुकड़े-टुकड़े करके रख देगा?
And [He promises] other [victories] that you were [so far] unable to [realize] which Allah has already encompassed. And ever is Allah , over all things, competent.
Aur tumhen aur ( ghanimaten ) bhi day jinn per abb tak tum ney qaboo nahi paya. Allah Taalaa unhen apnay qaboo mein rakha hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
इस के अतिरिक्त दूसरी और विजय का भी वादा है, जिस की सामर्थ्य अभी तुम्हे प्राप्त नहीं, उन्हें अल्लाह ने घेर रखा है। अल्लाह को हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
And the earth - We spread it out and cast therein firmly set mountains and made grow therein [something] of every beautiful kind,
Aur zamin ko hum ney bicha diya hai aur iss mein hum ney pahaar daal diye hain aur iss mein hum ney qisam qisam ki khushnuma cheezen uga di hain.
और धरती को हम ने फैलाया और उस में अटल पहाड़ डाल दिए। और हम ने उस में हर प्रकार की सुन्दर चीज़े उगाई,
And of all things We created two mates; perhaps you will remember.
Aur her cheez ko hum ney jora jora peda kiya hai takay tum naseehat hasil kero.
और हम ने हर चीज़ के जोड़े बनाए, ताकि तुम ध्यान दो
In both of them are of every fruit, two kinds.
Inn dono jannaton mein her qisam kay mewon ki do qismen hongi.
उन दोनों (बाग़ो) मे हर स्वादिष्ट फल की दो-दो किस्में हैं;
His is the dominion of the heavens and earth. He gives life and causes death, and He is over all things competent.
Aasmanon aur zamin ki badshahat ussi ki hai.woh hi zindagi deta hai aur mot bhi aur woh her cheez per qadir hai.
आकाशों और धरती की बादशाही उसी की है। वही जीवन प्रदान करता है और मृत्यु देता है, और उसे हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
On the Day when Allah will resurrect them all and inform them of what they did. Allah had enumerated it, while they forgot it; and Allah is, over all things, Witness.
Jiss din Allah Taalaa inn sab ko uthaye ga phir enhen unn kay kiye huye aemaal say aagah keray ga jissay Allah ney shumar ker rakha hai aur jissay yeh bhool gaye thay aur Allah Taalaa her cheez say waqif hai.
जिस दिन अल्लाह उन सबको उठा खड़ा करेगा और जो कुछ उन्होंने किया होगा, उस से उन्हें अवगत करा देगा। अल्लाह ने उस की गणना कर रखी है, और वे उसे भूले हुए हैं, और अल्लाह हर चीज़ का साक्षी है
And what Allah restored [of property] to His Messenger from them - you did not spur for it [in an expedition] any horses or camels, but Allah gives His messengers power over whom He wills, and Allah is over all things competent.
Aur inn ka jo maal Allah Taalaa ney apney rasool kay haath lagaya hai jiss per na to tum ney ghoray doraye hain aur na oont bulkay Allah Taalaa apney rasool ko jiss per chahaye ghalib ker deta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
और अल्लाह ने उन से लेकर अपने रसूल की ओर जो कुछ पलटाया, उस के लिए न तो तुम ने घोड़े दौड़ाए और न ऊँट। किन्तु अल्लाह अपने रसूलों को जिस पर चाहता है प्रभुत्व प्रदान कर देता है। अल्लाह को तो हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
Whatever is in the heavens and whatever is on the earth is exalting Allah . To Him belongs dominion, and to Him belongs [all] praise, and He is over all things competent.
Tamam cheez jo aasmanon aur zamin mein hain Allah ki paki biyan kerti hain ussi ki saltanat hai aur ussi ki tareef hai aur woh her her cheez per qadir hai.
अल्लाह की तसबीह कर रही है हर वह चीज़ जो आकाशों में है और जो धरती में है। उसी की बादशाही है और उसी के लिए प्रशंसा है और उसे हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
It is Allah who has created seven heavens and of the earth, the like of them. [His] command descends among them so you may know that Allah is over all things competent and that Allah has encompassed all things in knowledge.
Allah woh hai jiss ney saat aasaman banaye aur issi kay misil zaminen bhi. Iss ka hukum inn kay darmiyan utarta hai takay tum jaan lo kay Allah her cheez per qadir hai aur Allah Taalaa ney her cheez ko ba-aetbaar ilm gher rakha hai.
अल्लाह ही है जिस ने सात आकाश बनाए और उन्ही के सदृश धरती से भी। उन के बीच (उस का) आदेश उतरता रहता है ताकि तुम जान लो कि अल्लाह को हर चीज़ का सामर्थ्य प्राप्त है और यह कि अल्लाह हर चीज़ को अपनी ज्ञान-परिधि में लिए हुए है
O you who have believed, repent to Allah with sincere repentance. Perhaps your Lord will remove from you your misdeeds and admit you into gardens beneath which rivers flow [on] the Day when Allah will not disgrace the Prophet and those who believed with him. Their light will proceed before them and on their right; they will say, "Our Lord, perfect for us our light and forgive us. Indeed, You are over all things competent."
Aey eman walo! Tum Allah kay samney sachi khalis tauba kero. Qareeb hai kay tumhara rab tumharay gunah door kerday aur tumhen aisi jannaton mein dakhil keray jin kay neechay nehren jari hain. Jiss din Allah Taalaa nabi ko aur eman daron ko jo inn kay sath hain ruswa na keray ga. Inn ka noor inn kay samney aur inn kay dayen dor raha hoga. Yeh duayen kertay hongay aey humaray rab humen kaamil noor ata farma aur humen bakhsh dey yaqeenan tu her cheez per qadir hai.
ऐ ईमान लाने वाले! अल्लाह के आगे तौबा करो, विशुद्ध तौबा। बहुत सम्भव है कि तुम्हारा रब तुम्हारी बुराइयाँ तुम से दूर कर दे और तुम्हें ऐसे बाग़ों में दाख़िल करे जिन के नीचे नहरें बह रही होंगी, जिस दिन अल्लाह नबी को और उन को जो ईमान लाकर उस के साथ हुए, रुसवा न करेगा। उन का प्रकाश उन के आगे-आगे दौड़ रहा होगा और उन के दाहिने हाथ मे होगा। वे कह रहे होंगे, "ऐ हमारे रब! हमारे लिए हमारे प्रकाश को पूर्ण कर दे और हमें क्षमा कर। निश्चय ही तू हर चीज़ की सामर्थ्य रखता है।"
Blessed is He in whose hand is dominion, and He is over all things competent -
Boht babarkat hai woh ( Allah ) jiss kay hath mein badshaee hai aur jo her cheez per qudrat rakhnay wala hai.
बड़ा बरकत वाला है वह जिस के हाथ में सारी बादशाही है और वह हर चीज़ की सामर्थ्य रखता है। -
To whom belongs the dominion of the heavens and the earth. And Allah , over all things, is Witness.
jis kay liey asman o zameen ka mulk hay aur Allah Taalaa kay samney hy her chez
जिस के लिए आकाशों और धरती की बादशाही है। और अल्लाह हर चीज़ का साक्षी है
The angels and the Spirit descend therein by permission of their Lord for every matter.
Iss ( mein her kaam ) kay siranjam denay ko apney rab kay hukum say farishty aur rooh ( jibrael ) utertay hain
उस में फ़रिश्तें और रूह हर महत्वपूर्ण मामलें में अपने रब की अनुमति से उतरते हैं