Indeed, in the creation of the heavens and earth, and the alternation of the night and the day, and the [great] ships which sail through the sea with that which benefits people, and what Allah has sent down from the heavens of rain, giving life thereby to the earth after its lifelessness and dispersing therein every [kind of] moving creature, and [His] directing of the winds and the clouds controlled between the heaven and the earth are signs for a people who use reason.
Aasmanon aur zamin ki pedaeesh raat din ka hair pher kashtiyon ka logon ko nafa denay wali cheezon ko liye huye samandar mein chalna aasman say pani utaar ker murda zamin ko zinda ker dena iss mein her qisam kay janwaron ko phela dena hawaon kay rukh badalna aur badal jo aasmana ur zamin kay darmiyan musakhhar hain unn mein aqal mandon kay liye qudrat-e-elahee ki nishaniyan hain.
बेशक आसमानों और ज़मीन की बनावट में और रात-दिन के आने-जाने में और उन कश्तियों में जो इंसानों के काम आने वाली चीज़ें लेकर समुंदर में चलती हैं, और उस पानी में जिसको अल्लाह ने आसमान से उतारा, फिर उससे मुर्दा ज़मीन को ज़िंदगी बख़्शी, और उस (ज़मीन) में सब क़िस्म के जानवर फैला दिए, और हवाओं की गर्दिश में और बादलों में जो आसमान व ज़मीन के दरमियान हुक्म के ताबे हैं, उन लोगों के लिए निशानियाँ हैं जो अक़्ल से काम लेते हैं।
Then is it the judgement of [the time of] ignorance they desire? But who is better than Allah in judgement for a people who are certain [in faith].
Kiya yeh log phir say jaheeliyat kay faisla chahtay hain yaqeen rakhney walay logon kay liye Allah Taalaa say behtar faislay aur hukum kerney wala kaun ho sakta hai?
क्या ये लोग जाहिलियत का फ़ैसला चाहते हैं? और अल्लाह से बढ़कर किसका फ़ैसला हो सकता है उन लोगों के लिए जो यक़ीन रखते हैं।
And it is He who sends down rain from the sky, and We produce thereby the growth of all things. We produce from it greenery from which We produce grains arranged in layers. And from the palm trees - of its emerging fruit are clusters hanging low. And [We produce] gardens of grapevines and olives and pomegranates, similar yet varied. Look at [each of] its fruit when it yields and [at] its ripening. Indeed in that are signs for a people who believe.
Aur woh aisa hai jiss ney aasman say pani barsaya phir hum ney uss kay zariye say her qisam kay nabaat ko nikala phir hum ney uss say sabz shaakh nikali kay uss say hum upper talay daaney charhay huye nikaltay hain aur khujoor kay darakhton say yani unn kay guphay mein say khoshay hain jo neechay ko latkay jatay hain aur angooron kay baagh aur zaitoon aur anaar kay baaz aik doosray say miltay jultay hotay hain aur kuch aik doosray say miltay jultay nahi hotay. Her aik kay phal ko dekho jab woh phalta hai aur iss kay pakney ko dekho iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo eman rakhtay hain.
और वही है जिसने आसमान से पानी बरसाया फिर हमने उससे निकाली उगने वाली हर चीज़ फिर हमने उससे सरसब्ज़ शाख़ निकाली जिससे हम तह-ब-तह दाने पैदा कर देते हैं, और खजूर के गाभे में से फल के गुच्छे झुके हुए और बाग़ अंगूर के और ज़ैतून के और अनार के आपस में मिलते-जुलते और जुदा-जुदा भी, हर एक फल को देखो जब वह फलता है और उसके पकने को देखो जब वह पकता है, बेशक इनके अंदर निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो ईमान की तलब रखते हैं।
And We had certainly brought them a Book which We detailed by knowledge - as guidance and mercy to a people who believe.
Aur hum ney inn logon kay pass aik aisi kitab phoncha di hai jiss ko hum ney apney ilm-e-kaamil say boht wazeh ker kay biyan ker diya hai woh zariya-e-hidayat aur rehmat unn logon kay liye hai jo eman laye hain.
और हम उन लोगों के पास एक ऐसी किताब ले आए हैं जिसको हमने इल्म की बुनियाद पर वाज़ेह कर दिया है हिदायत और रहमत बनाकर उन लोगों के लिए जो ईमान लाएं।
Say, "I hold not for myself [the power of] benefit or harm, except what Allah has willed. And if I knew the unseen, I could have acquired much wealth, and no harm would have touched me. I am not except a warner and a bringer of good tidings to a people who believe."
Aap farma dijiye kay mein khud apni zaat-e-khaas kay liye kissi nafay ka ikhtiyar nahi rakhta aur na kissi zarar ka magar utna hi jitna Allah ney chaha ho aur agar mein ghaib ki baaten janta hota to mein boht say munafay hasil ker leta aur koi nuksan mujh ko na phonchta mein to mehaz daraney wala aur bisharat denay wala hun unn logon ko jo eman rakhtay hain.
(ऐ नबी) आप कह दीजिए कि मैं मालिक नहीं अपनी जान के भले का और न बुरे का मगर जो अल्लाह चाहे, और अगर मैं ग़ैब को जानता तो बहुत-से फ़ायदे अपने लिए हासिल कर लेता और मुझे कोई नुक़सान न पहुँचता, मैं तो महज़ एक डराने वाला और ख़ुश-ख़बरी सुनाने वाला हूँ उन लोगों के लिए जो मेरी बात मानें।
And when you, [O Muhammad], do not bring them a sign, they say, "Why have you not contrived it?" Say, "I only follow what is revealed to me from my Lord. This [Qur'an] is enlightenment from your Lord and guidance and mercy for a people who believe."
Aur jab aap koi moajza inn kay samney zahir nahi kertay to woh log kehtay hain kay aap yeh moajza kiyon na laye? Aap farma dijiye! Kay mein uss ka ittabaa kerta hun jo mujh per meray rab ki taraf say hukum bheja gaya hai yeh goya bohr si daleelen hain tumharay rab ki taraf say aur hodayat aur rehmat hai unn logon kay liye jo eman rakhtay hain.
और जब आप उनके सामने (मुँह-माँगा) मोजिज़ा पेश नहीं करते तो ये कहते हैं कि तुमने यह मोजिज़ा ख़ुद अपनी पसंद से क्यों पेश न किया? कह दें कि मैं तो उसी बात की इत्तिबा करता हूँ जो मेरे रब की तरफ़ से वह्य के ज़रिए मुझ तक पहुँचाई जाती है, यह (क़ुरआन) तुम्हारे रब की तरफ़ से बसीरतों का मजमूआ है, और जो लोग ईमान लाएं उनके लिए हिदायत और रहमत है।
It is He who made for you the night to rest therein and the day, giving sight. Indeed in that are signs for a people who listen.
Woh aisa hi hai jiss ney tumharay liye raat banaee takay tum iss mein aaram kero aur din bhi iss tor per banaya kay dekhney bhalney ka zariya hai tehqeeq iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo suntay hain.
वह अल्लाह ही है जिसने तुम्हारे लिए रात बनाई ताकि तुम उसमें सुकून हासिल करो और दिन को रौशन बनाया, बेशक इसमें निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो सुनते हैं।
There was certainly in their stories a lesson for those of understanding. Never was the Qur'an a narration invented, but a confirmation of what was before it and a detailed explanation of all things and guidance and mercy for a people who believe.
Unn kay biyan mein aqal walon kay liye yaqeenan naseehat aur ibrat hai yeh quran jhoot banaee hui baat nahi bulkay yeh tasdeeq hai unn kitabon ki jo iss say pehlay ki hain khol khol ker biyan kerney wala hai her cheez ko aur hidayat ko aur rehmat hai eman daar logon kay liye.
उनके क़िस्सों में समझदार लोगों के लिए बड़ी इबरत है, यह कोई घड़ी हुई बात नहीं बल्कि तसदीक़ है उस चीज़ की जो इससे पहले मौजूद है और तफ़सील है हर चीज़ की और हिदायत और रहमत है ईमान वालों के लिए।
And He has subjected for you the night and day and the sun and moon, and the stars are subjected by His command. Indeed in that are signs for a people who reason.
Ussi ney raat din aur sooraj chand ko tumharay liye tabey ker diya hai aur sitaray bhi ussi kay hukum kay matehat hain. Yaqeenan iss mein aqal mand logon kay liye kaee aik nishaniyan mojood hain.
और उसने तुम्हारे काम में लगा दिया रात को और दिन को और सूरज और चाँद को, और सितारे भी उसके हुक्म के ताबे हैं, बेशक इसमें निशानियाँ हैं अक़्लमंद लोगों के लिए।
And We have not revealed to you the Book, [O Muhammad], except for you to make clear to them that wherein they have differed and as guidance and mercy for a people who believe.
Iss kitab ko hum ney aap per iss liye utara hai kay aap inn kay liye her uss cheez ko wazeh kerden jiss mein woh ikhtilaf ker rahey hain aur yeh eman daron kay liye rehnumaee aur rehmat hai.
और हमने आप पर किताब सिर्फ़ इसलिए उतारी है कि आप उनको वह चीज़ खोल कर सुना दो जिसमें वे इख़्तिलाफ़ कर रहे हैं, और वह हिदायत और रहमत है उन लोगों के लिए जो ईमान लाएं।
And Allah has sent down rain from the sky and given life thereby to the earth after its lifelessness. Indeed in that is a sign for a people who listen.
Aur Allah aasman say pani barsa ker iss say zamin ko uss ki maut kay bad zinda ker deta hai. Yaqeenan iss mein unn logon kay liye nishani hai jo sunen.
और अल्लाह ने आसमान से पानी उतारा फिर उससे ज़मीन को उसके मुर्दा हो जाने के बाद ज़िंदा कर दिया, बेशक उसमें निशानी है उन लोगों के लिए जो सुनते हैं।
And from the fruits of the palm trees and grapevines you take intoxicant and good provision. Indeed in that is a sign for a people who reason.
Aur khujoor aur angoor kay darakhton kay phalon say tum sharab bana letay ho aur umdah rozi bhi. Jo log aqal rakhtay hain unn kay liye to iss mein boht bari nishani hai.
और खजूर और अंगूर के फलों से भी, तुम उनसे नशे की चीज़ें भी बनाते हो और खाने की अच्छी चीज़ें भी, बेशक इसमें निशानी है उन लोगों के लिए जो अक़्ल रखते हैं।
Then eat from all the fruits and follow the ways of your Lord laid down [for you]." There emerges from their bellies a drink, varying in colors, in which there is healing for people. Indeed in that is a sign for a people who give thought.
Aur her tarah kay meway kha aur apney rab ki aasan raahon mein chalti phirti reh inn kay pait say rang barang ka mashroob nikalta hai jiss kay rang mukhtalif hain aur jiss mein logon kay liye shifa hai ghor-o-fiker kerney walon kay liye iss mein boht bari nishani hai.
फिर हर क़िस्म के फलों का रस चूस कर और अपने रब की हमवार की हुई राहों पर चल, उसके पेट से पीने की चीज़ निकलती है उसके रंग मुख़्तलिफ़ हैं, उसमें लोगों के लिए शिफ़ा है, बेशक इसमें निशानी है उन लोगों के लिए जो ग़ौर करते हैं।
Do they not see the birds controlled in the atmosphere of the sky? None holds them up except Allah . Indeed in that are signs for a people who believe.
Kiya inn logon ney parindon ko nahi dekha jo tabey farman ho ker fiza mein hain jinhen ba-juz Allah Taalaa kay koi aur thamay huye nahi be-shak iss mein eman laney walay logon kay liye bari nishaniyan hain.
क्या लोगों ने परिंदों को नहीं देखा कि आसमान की फ़िज़ा में मुसख़्ख़र हो रहे हैं, उनको सिर्फ़ अल्लाह थामे हुए है, बेशक इसमें निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो ईमान लाएं।
Indeed, in this [Qur'an] is notification for a worshipping people.
Ibadat guzaar bandon kay liye to iss mein aik bara payghaam hai.
इस में बन्दगी करने वाले लोगों के लिए एक संदेश है