And there entered the prison with him two young men. One of them said, "Indeed, I have seen myself [in a dream] pressing wine." The other said, "Indeed, I have seen myself carrying upon my head [some] bread, from which the birds were eating. Inform us of its interpretation; indeed, we see you to be of those who do good."
Uss kay sath do aur jawan bhi qaid khanay mein dakhil huye inn mein say aik ney kaha kay mein ney khuwab mein apney aap ko sharab nichortay dekha hai aur doosray ney kaha mein ney apney aap ko dekha hai kay mein apney sir per roti uthaye huye hun jisay parinday kha rahey hain humen aap iss ki tabeer batiye humen to aap khoobiyon walay shaks dikhaee detay hain.
और क़ैदख़ाने में उसके साथ दो और नौजवान दाख़िल हुए, उनमें से एक ने (एक रोज़) कहा कि मैं ख़्वाब में देखता हूँ कि मैं शराब निचोड़ रहा हूँ, और दूसरे ने कहा कि मैं ख़्वाब में देखता हूँ कि अपने सर पर रोटी उठाए हुए हूँ जिसमें से चिड़ियाँ खा रही हैं, हमको इसकी ताबीर बताओ, हम देखते हैं कि तुम नेक लोगों में से हो।
He said, "You will not receive food that is provided to you except that I will inform you of its interpretation before it comes to you. That is from what my Lord has taught me. Indeed, I have left the religion of a people who do not believe in Allah , and they, in the Hereafter, are disbelievers.
Yousuf ney kaha tumhen jo khana diya jata hai uss kay tumharay pass phonchney say pehlay hi mein tumhen iss ki tabeer batla doon ga. Yeh sab uss ilm ki badolat hai jo mujhay meray rab ney sikhaya hai mein ney unn logon ka mazhab chor diya hai jo Allah per eman nahi rakhtay aur aakhirat kay bhi munkir hain.
यूसुफ़ (अलै॰) ने कहाः जो खाना तुमको मिलता है उसके आने से पहले मैं तुम्हें इन ख़्वाबों की ताबीर बता दूँगा, यह उस इल्म में से है जो मेरे रब ने मुझे सिखाया है, मैंने उन लोगों के मज़हब को छोड़ा जो अल्लाह पर ईमान नहीं लाते और वे लोग आख़िरत के मुनकिर हैं।
And I have followed the religion of my fathers, Abraham, Isaac and Jacob. And it was not for us to associate anything with Allah . That is from the favor of Allah upon us and upon the people, but most of the people are not grateful.
Mein apney baap dadon kay deen ka paband hun yani ibrahim-o-ishaq aur yaqoob kay deen ka humen hergiz yeh saza waar nahi kay hum Allah Taalaa kay sath kissi ko bhi shareek keren hum per aur tamam aur logon per Allah Taalaa ka yeh khas fazal hai lekin aksar log na shukri kertay hain.
और मैंने अपने बुज़ुर्गों इब्राहीम और इसहाक़ और याक़ूब (अलैहिमुस्सलाम) के मज़हब की पैरवी की, हमको यह हक़ नहीं कि हम किसी चीज़ को अल्लाह का शरीक ठहराएं, यह अल्लाह का फ़ज़्ल है हमारे ऊपर और सब लोगों के ऊपर मगर अकसर लोग शुक्र नहीं करते।
O [my] two companions of prison, are separate lords better or Allah , the One, the Prevailing?
Aey meray qiad khaney kay sathiyo! Kiya mutafarriq kaee aik perwerdigar behtar hain? Ya aik Allah zabardast taqatwar?
ऐ मेरे जेल के साथियो! क्या जुदा-जुदा कई माबूद बेहतर हैं या अकेला ज़बरदस्त अल्लाह?
You worship not besides Him except [mere] names you have named them, you and your fathers, for which Allah has sent down no authority. Legislation is not but for Allah . He has commanded that you worship not except Him. That is the correct religion, but most of the people do not know.
Uss kay siwa tum jin ko pooja paat ker rahey ho woh sab naam hi naam hain jo tum ney aur tumharay baap dadon ney khud hi gharr liye hain. Allah Taalaa ney inn ki koi daleel nazil nahi farmaee farman-rawaee sirf Allah Taalaa hi ki hai uss ka famaan hai kay rum sab siwaye uss kay kissi aur ki ibadat na kero yehi deen durust hai lekin aksar log nahi jantay.
तुम उसके सिवा नहीं पूजते मगर कुछ नामों को जो तुमने और तुम्हारे बाप-दादा ने रख लिए हैं, अल्लाह ने उसकी कोई सनद नहीं उतारी, इक़तिदार सिर्फ़ अल्लाह ही के लिए है, उसने हुक्म दिया है कि उसके सिवा किसी की इबादत न करो, यही सीधा दीन है मगर बहुत-से लोग नहीं जानते।
O two companions of prison, as for one of you, he will give drink to his master of wine; but as for the other, he will be crucified, and the birds will eat from his head. The matter has been decreed about which you both inquire."
Aey meray qaid khaney kay rafiqo! Tum dono mein say aik to apney badshah ko sharab pilaney per muqarrar hojayega lekin doosra sooli per charhaya jayega aur parinday uss ka sir noch noch khayen gay tum dono jiss kay baray mein tehqeeq ker rahey thay uss kaam ka faisla ker diya gaya.
ऐ मेरे क़ैदख़ाने के साथियो! तुम में से एक अपने आक़ा को शराब पिलाएगा, और जो दूसरा है उसको सूली दी जाएगी फिर परिंदे उसके सर में से खाएंगे, उस मामले का फ़ैसला हो गया जिसके बारे में तुम पूछ रहे थे।
And he said to the one whom he knew would go free, "Mention me before your master." But Satan made him forget the mention [to] his master, and Joseph remained in prison several years.
Aur jiss ki nisbat yousuf ka guman tha kay inn dono mein say yeh choot jayega uss say kaha kay apney badshah say mera ziker bhi ker dena phir ussay shetan ney apney badshah say ziker kerna bhula diya aur yousuf ney kaee saal qaid khaney mein hi kaatay.
और यूसुफ़ ने उस शख़्स से कहा जिसके बारे में उसका गुमान था कि वह बच जाएगा कि अपने आक़ा के पास मेरा ज़िक्र करना, फिर शैतान ने उसको अपने आक़ा से ज़िक्र करना भुला दिया, पस वह क़ैदख़ाने में कई साल ठहरा रहा।
And [subsequently] the king said, "Indeed, I have seen [in a dream] seven fat cows being eaten by seven [that were] lean, and seven green spikes [of grain] and others [that were] dry. O eminent ones, explain to me my vision, if you should interpret visions."
Badshah ney kaha mein ney khuwab mein dekha hai kay saat moti taza farba gayen hain jin ko saat laaghar dubli patli gayen kha rahi hain aur saat baliyan hain hari hari aur doosri saat bilkul khushk. Aey darbariyo! Meray iss khuwab ki tabeer batlao agar tum khuwab ki tabeer dey saktay ho.
और बादशाह ने कहा कि मैं ख़्वाब में देखता हूँ कि सात मोटी गायें हैं जिनको सात दुबली गायें खा रही हैं, और सात हरी बालियाँ हैं और दूसरी सात सूखी, ऐ दरबार वालो! मेरे ख़्वाब की ताबीर मुझे बताओ अगर तुम ख़्वाब की ताबीर देते हो।
They said, "[It is but] a mixture of false dreams, and we are not learned in the interpretation of dreams."
Unhon ney jawab diya kay yeh to urtay uratay pareshan khuwab hain aur aisay shoreedah pareshan khuwabon ki tabeer jannay walay hum nahi.
वे बोलेः ये ख़्याली ख़्वाब हैं, और हमको ऐसे ख़्वाबों की ताबीर मालूम नहीं।
But the one who was freed and remembered after a time said, "I will inform you of its interpretation, so send me forth."
Unn do qadiyon mein say jo raha hua tha ussay muddat kay baad yaad aagaya aur kehney laga mein tumhen iss ki tabeer batla doon ga mujhay janay ki ijazat dijiye.
उन दो क़ैदियों में से जो शख़्स बच गया था और उसको एक मुद्दत के बाद याद आया, उसने कहा कि मैं तुम लोगों को इसकी ताबीर बताऊँगा पस मुझको (यूसुफ़ के पास) जाने दो।
[He said], "Joseph, O man of truth, explain to us about seven fat cows eaten by seven [that were] lean, and seven green spikes [of grain] and others [that were] dry - that I may return to the people; perhaps they will know [about you]."
Aey yousuf! Aey boht baray sachay yousuf! Aap humen iss khuwab ki tabeer batlaiye kay saat moti taza gayen hain jinhen saat dubli patli gayen kha rahi hain aur saat bilkul sabz khoshay hain aur saat hi doosray bhi bilkul khushk hain takay mein wapis jaa ker unn logon say kahon kay woh sab jaan len.
ऐ सच्चे यूसुफ़! मुझे इस ख़्वाब का मतलब बताइए कि सात मोटी गायें हैं जिनको सात दुबली गायें खा रही हैं, और सात बालियाँ हरी हैं और दूसरी सात सूखी; ताकि मैं उन लोगों के पास जाऊँ ताकि वे जान लें।
[Joseph] said, "You will plant for seven years consecutively; and what you harvest leave in its spikes, except a little from which you will eat.
Yousuf ney jawab diya kay tum saat saal tak pay dar pay lagataar hasb-e-aadat ghalla boya kerna aur fasal kaat ker ussay baaliyon samet hi rehney dena siwaye apney khaney ki thori si miqdaar kay.
यूसुफ़ (अलै॰) ने कहा कि तुम सात साल तक बराबर खेती करोगे, पस जो फ़सल तुम काटो उसको उसकी बालियों में रहने दो मगर थोड़ा-सा जो तुम खाओ।
Then will come after that seven difficult [years] which will consume what you saved for them, except a little from which you will store.
Iss kay baad saat saal nihayat sakht qehat kay aayen gay woh iss ghallay ko kha jayen gay jo tum ney unn kay liye zakheera rakh chora tha siwaye uss thoray say kay jo tum rol rakhtay ho.
फिर उसके बाद सात सख़्त साल आएंगे, उस ज़माने में वह ग़ल्ला खा लिया जाएगा जो तुम उस वक़्त के लिए जमा करोगे, सिवाए थोड़ा-सा जो तुम महफ़ूज़ कर लोगे।
Then will come after that a year in which the people will be given rain and in which they will press [olives and grapes]."
Iss kay baad jo saal aayega uss mein logon per khoob barish barsaee jayegi aur uss mein ( sheera-e-angoor bhi ) khoob nichoren gay.
फिर उसके बाद एक साल आएगा जिसमें लोगों पर बारिश बरसेगी और वे उसमें रस निचोड़ेंगे।
And the king said, "Bring him to me." But when the messenger came to him, [Joseph] said, "Return to your master and ask him what is the case of the women who cut their hands. Indeed, my Lord is Knowing of their plan."
Aur badshah ney kaha yousuf ko meray pass lao jab qasid yousuf kay pass phoncha to enhon ney kaha apney badshah kay pass wapis jaa aur uss say pooch kay unn aurton ka haqeeqi waqiya kiya hai jinhon ney apney hath kaat liye thay? Unn kay heelay ko ( sahih tor per ) jannay wala mera perwerdigar hi hai.
और बादशाह ने कहा कि उसको मेरे पास लाओ, फिर जब क़ासिद उसके पास आया तो उसने कहा कि तुम अपने आक़ा के पास वापस जाओ और उससे पूछो कि उन औरतों का मामला क्या है जिन्होंने अपने हाथ काट लिए थे, मेरा रब तो उन औरतों के फ़रेब से ख़ूब वाक़िफ़ है।
Said [the king to the women], "What was your condition when you sought to seduce Joseph?" They said, "Perfect is Allah ! We know about him no evil." The wife of al-'Azeez said, "Now the truth has become evident. It was I who sought to seduce him, and indeed, he is of the truthful.
Badshah ney poocha aey aurto! Uss waqt ka sahih waqiya kiya hai jab tum dao fareb kerkay yousuf ko uss ki dili manshah say behkana chahati thi unhon ney saaf jawab diya kay maaz Allah hum ney yousuf mein koi buraee nahi paee phir to aziz ki biwi bhi bol uthi kay abb to sachi baat nithar aaee. Mein ney hi ussay warghalaya tha uss kay ji say aur yaqeenan woh sachon mein say hai.
बादशाह ने पूछाः तुम्हारा क्या माजरा है जब तुमने यूसुफ़ को फुसलाने की कोशिश की थी, उन्होंने कहाः हाशा-लिल्लाह! (अल्लाह की पनाह) हमने उसमें कुछ बुराई नहीं पाई, अज़ीज़ की बीवी ने कहा कि अब हक़ खुल गया, मैंने ही उसको फुसलाने की कोशिश की थी और वह यक़ीनन सच्चा है।
That is so al-'Azeez will know that I did not betray him in [his] absence and that Allah does not guide the plan of betrayers.
( yousuf alh-e-salam ney kaha ) yeh iss wastay kay ( aziz ) jaan ley kay mein ney uss ki peeth peechay uss ki khayanat nahi ki aur yeh bhi kay Allah dagha baazon kay hathkanday chalney nahi deta.
यह इसलिए कि (अज़ीज़े-मिस्र) जान ले कि मैंने उसके पीठ पीछे उसकी ख़्यानत नहीं की, और बेशक अल्लाह ख़्यानत करने वालों की चाल को चलने नहीं देता।
And I do not acquit myself. Indeed, the soul is a persistent enjoiner of evil, except those upon which my Lord has mercy. Indeed, my Lord is Forgiving and Merciful."
Mein apney nafs ki pakeezgi biyan nahi kerta. Be-shak nafs to buraee per ubharney wala hi hai magar yeh kay mera perwerdigar hi apna reham keray yaqeenan mera paalney wala bari bakhsish kerney wala aur boht meharbani farmaney wala hai.
और मैं अपने नफ़्स की बराअत नहीं करता, नफ़्स तो बुराई ही सिखाता है मगर यह कि मेरा रब रहम फ़रमाए, बेशक मेरा रब बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And the king said, "Bring him to me; I will appoint him exclusively for myself." And when he spoke to him, he said, "Indeed, you are today established [in position] and trusted."
Badshah ney kaha issay meray pass lao kay mein ussay apney khas kaamon kay liye muqarrar ker loon phir jab uss say baat cheet ki to kehney laga kay aap humaray haan aaj say zee izzat aur amant daar hain.
और बादशाह ने कहा कि उसको मेरे पास लाओ मैं उसको ख़ास अपने लिए रखूँगा, फिर जब यूसुफ़ (अलै॰) ने उससे बात की तो बादशाह ने कहाः आज से हमारे पास तुम्हारा बड़ा मर्तबा होगा और तुम पर पूरा भरोसा किया जाएगा।