It is He who made the sun a shining light and the moon a derived light and determined for it phases - that you may know the number of years and account [of time]. Allah has not created this except in truth. He details the signs for a people who know
Woh Allah Taalaa aisa hai jiss ney aftab ko chamakta hua banaya aur chand ko noorani banaya aur uss kay liye manzilen muqarrar kin takay tum barson ki ginti aur hisab maloom ker liya kero. Allah Taalaa ney yeh cheezen bey faeeda nahi peda kin. Woh yeh dalaeel unn ko saaf saaf batla raha hai jo danish rakhtay hain.
और अल्लाह वही है जिसने सूरज को सरापा रौशनी बनाया और चाँद को सरापा नूर और उसके (सफ़र के) लिए मंज़िलें मुक़र्रर कर दीं; ताकि तुम बरसों की गिनती और (महीनों का) हिसाब मालूम कर सको, अल्लाह ने यह सब कुछ बग़ैर किसी सही मक़सद के पैदा नहीं कर दिया, वह ये निशानियाँ खोल-खोल कर बयान करता है उनके लिए जो कुछ समझ रखते हैं।
It is Allah who erected the heavens without pillars that you [can] see; then He established Himself above the Throne and made subject the sun and the moon, each running [its course] for a specified term. He arranges [each] matter; He details the signs that you may, of the meeting with your Lord, be certain.
Allah woh hai jiss ney aasmanon ko baghair sutonon kay buland ker rakha hai kay tum ussay dekh rahey ho. Phir woh arsh per qarar pakray huye hai ussi ney sooraj aur chand ko ma-tehati mein laga rakha hai. Her aik miyad-e-moyyen per gasht ker raha hai wohi kaam ki tadbeer kerta hai woh apney nishanaat khol khol ker biyan ker raha hai kay tum apney rab ki mulaqat ka yaqeen kerlo.
अल्लाह ही है जिसने आसमान को बुलंद किया बग़ैर ऐसे सतून के जो तुम्हें नज़र आएं, फिर वह अपने अर्श पर क़ायम हुआ और उसने सूरज और चाँद को एक क़ानून का पाबंद बनाया, हर एक मुक़र्रर वक़्त पर चलता है, अल्लाह ही हर काम का इंतिज़ाम करता है, वह निशानियों को खोल-खोल कर बयान करता है; ताकि तुम अपने रब से मिलने का यक़ीन करो।
It is Allah who created the heavens and the earth and sent down rain from the sky and produced thereby some fruits as provision for you and subjected for you the ships to sail through the sea by His command and subjected for you the rivers.
Allah woh hai jiss ney aasmanon aur zamin ko peda kiya hai aur aasmanon say barish barsa ker iss kay zariye say tumhari rozi kay liye phal nikaley hain aur kashtiyon ko tumharay bus mein ker diya hai kay daryaon mein uss kay hukum say chalen phiren. Ussi ney nadiyan aur nehren tumharay ikhtiyar mein ker di hain.
अल्लाह वह है जिसने आसमान और ज़मीन बनाए और आसमान से पानी उतारा फिर उससे मुख़्तलिफ़ फल निकाले तुम्हारी रोज़ी के लिए, और कश्ती को तुम्हारे लिए ताबे कर दिया कि समुंदर में उसके हुक्म से चले और उसने दरियाओं को तुम्हारे लिए ताबे कर दिया।
And We have made the night and day two signs, and We erased the sign of the night and made the sign of the day visible that you may seek bounty from your Lord and may know the number of years and the account [of time]. And everything We have set out in detail.
Hum ney raat aur din ko apni qudrat ki nishaniyan banaee hain raat ki nishani ko to hum ney bey noor ker diya hai aur din ki nishani ko roshan banaya hai takay tum apney rab ka fazal talash ker sako aur iss liye bhi kay barson ka shumar aur hisab maloom ker sako aur her her cheez ko hum ney boht tafseel say biyan farma diya hai.
और हमने रात और दिन को दो निशानियाँ बनाया फिर हमने रात की निशानी को मिटा दिया और दिन की निशानी को हमने रौशन कर दिया; ताकि तुम अपने रब का फ़ज़्ल तलाश करो और ताकि तुम बरसों की गिनती और हिसाब मालूम करो, और हमने हर चीज़ को ख़ूब खोल कर बयान किया है।
With their hearts distracted. And those who do wrong conceal their private conversation, [saying], "Is this [Prophet] except a human being like you? So would you approach magic while you are aware [of it]?"
Inn kay dil bilkul ghafil hain aur inn zalimon ney chupkay chupkay sirgoshiyan kin kay woh tum hi jesa insan hai phir kiya waja hai jo tum aankhon dekhtay jadoo mein aajatay ho.
उन के दिल दिलचस्पियों में खोए हुए होते हैं। उन्होंने चुपके-चुपके कानाफूसी की - अर्थात अत्याचार की नीति अपनाने वालों ने कि "यह तो बस तुम जैसा ही एक मनुष्य है। फिर क्या तुम देखते-बूझते जादू में फँस जाओगे?"
Blessed is He who has placed in the sky great stars and placed therein a [burning] lamp and luminous moon.
Ba-barkat hai woh jiss ney aasman mein burj banaye aur iss mein aftab banaya aur munawar mahtab bhi.
बड़ी बरकत वाला है वह, जिस ने आकाश में बुर्ज (नक्षत्र) बनाए और उस में एक चिराग़ और एक चमकता चाँद बनाया
Indeed, the religion in the sight of Allah is Islam. And those who were given the Scripture did not differ except after knowledge had come to them - out of jealous animosity between themselves. And whoever disbelieves in the verses of Allah , then indeed, Allah is swift in [taking] account.
Be-shak Allah Taalaa kay nazdeek deen islam hi hai aur ehal-e-kitab ney apney pass ilm aa janey kay baad aapas ki sirkashi aur hasad ki bina per hi ikhtilaf kiya hai aur Allah Taalaa ki aayaton kay sath jo bhi kufur keray Allah Taalaa uss ka jald hisab lenay wala hai.
(क़ाबिले-क़बूल) दीन तो अल्लाह के नज़दीक सिर्फ़ इस्लाम ही है, और अहले-किताब ने इख़्तिलाफ़ नहीं किया मगर बाद इसके कि उनको सही इल्म पहुँच चुका था आपस की ज़िद की वजह से, और जो कोई इनकार करे अल्लाह की आयतों का तो अल्लाह यक़ीनन जल्द हिसाब लेने वाला है।
The Byzantines have been defeated
Roomi maghloob hogaye hain.
रूमी निकटवर्ती क्षेत्र में पराभूत हो गए हैं।
And Allah created you from dust, then from a sperm-drop; then He made you mates. And no female conceives nor does she give birth except with His knowledge. And no aged person is granted [additional] life nor is his lifespan lessened but that it is in a register. Indeed, that for Allah is easy.
Logo! Allah Taalaa ney tumhen mitti say phir nutfa peda kiya hai phir tumhen joray joray ( mard-o-aurat ) banadiya hai aurton ka hamila hona aur bachon ka tawallud hona sab uss kay ilm say hi hai aur jo bari umar wala umar diya jaye aur jiss kissi ki umar ghatay woh sab kitab mein likha hua hai. Allah Taalaa per yeh baat bilkul aasan hai.
अल्लाह ने तुम्हें मिट्टी से पैदा किया, फिर वीर्य से, फिर तुम्हें जोड़े-जोड़े बनाया। उस के ज्ञान के बिना न कोई स्त्री गर्भवती होती है और न जन्म देती है। और जो कोई आयु को प्राप्ति करने वाला आयु को प्राप्त करता है और जो कुछ उस की आयु में कमी होती है। अनिवार्यतः यह सब एक किताब में लिखा होता है। निश्चय ही यह सब अल्लाह के लिए अत्यन्त सरल है
And a sign for them is the dead earth. We have brought it to life and brought forth from it grain, and from it they eat.
Aur inn kay liye aik nishani ( khusk ) zamin hai jiss ko hum ney zindah ker diya aur iss say ghalla nikala jiss mein say woh kahatay hain.
और एक निशानी उन के लिए मृत भूमि है। हम ने उसे जीवित किया और उस से अनाज निकाला, तो वे खाते हैं
It is He who shows you His signs and sends down to you from the sky, provision. But none will remember except he who turns back [in repentance].
Wohi hai jo tumhen apni nishaniyan dikhalata hai aur tumharay liye aasman say rozi utarta hai naseehat to sirf wohi hasil kertay hain jo ( Allah ki taraf rujoo kertay hain.
वही है जो तुम्हें अपनी निशानियाँ दिखाता है और तुम्हारे लिए आकाश से रोज़ी उतारता है, किन्तु याददिहानी तो बस वही हासिल करता है जो (उस की ओर) रुजू करे
And of His signs are the night and day and the sun and moon. Do not prostrate to the sun or to the moon, but prostate to Allah , who created them, if it should be Him that you worship.
Aur din raat aur sooraj chand bhi ( ussi ki ) nishaniyon mien say hain tum sooraj ko sajdah na kero na chand ko bulkay sajdah uss Allah kay liye kero jiss ney inn sab ko peda kiya hai agar tumhen ussi ki ibadat kerni hai to.
रात और दिन और सूर्य और चन्द्रमा उस की निशानियों में से हैं। तुम न तो सूर्य को सजदा करो और न चन्द्रमा को, बल्कि अल्लाह को सजदा करो जिस ने उन्हें पैदा किया, यदि तुम उसी की बन्दगी करने वाले हो
And of his signs is the creation of the heavens and earth and what He has dispersed throughout them of creatures. And He, for gathering them when He wills, is competent.
Aur uss ki nishaniyon mein say aasmano aur zamin ki pedaeesh hai aur inn mein jandaron ka phelana hai. Woh iss per bhi qadir hai kay jab chahye unhen jama ker day.
और उस की निशानियों में से है आकाशों और धरती को पैदा करना, और वे जीवधारी भी जो उस ने इन दोनों में फैला रखे हैं। वह जब चाहे उन्हें इकट्ठा करने की सामर्थ्य भी रखता है
Indeed, within the heavens and earth are signs for the believers.
Aasmano aur zamin mein emaandaron kay liye yaqeenan boht si nishaniyan hain.
निस्संदेह आकाशों और धरती में ईमान वालों के लिए बहुत-सी निशानियाँ हैं
Have they not looked at the heaven above them - how We structured it and adorned it and [how] it has no rifts?
Kiya inhon nay aasman ko apnay uper nahi dekha? Kay hum ney ussay kiss tarah banaya aur zeenat di hai iss mein koi shigaf nahi.
अच्छा तो क्या उन्होंने अपने ऊपर आकाश को नहीं देखा, हम ने उसे कैसा बनाया और उसे सजाया। और उस में कोई दरार नहीं
And those [clouds] carrying a load [of water]
Phir uthaney waliyan bojh ko.
फिर बोझ उठाती हैं;
The sun and the moon [move] by precise calculation,
Aftab aur mahtab ( muqarra ) hisab hain.
सूर्य और चन्द्रमा एक हिसाब के पाबन्द हैं;
It is He who created the heavens and earth in six days and then established Himself above the Throne. He knows what penetrates into the earth and what emerges from it and what descends from the heaven and what ascends therein; and He is with you wherever you are. And Allah , of what you do, is Seeing.
Wohi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko cheh ( 6 ) din mein peda kiya phir arsh per mustawi hogaya Woh ( Khoob ) jaanta hai uss cheez ko zamin mein jaye aur jo uss say niklay aur jo aasmanoon say neechay aaye. aur jo kuch Charh ker uss mein jaye aur jahan kahin tum ho woh tumharay sath hai aur jo tum kerahey ho Allah dekh raha hai.
वही है जिस ने आकाशों और धरती को छह दिनों में पैदा किया; फिर सिंहासन पर विराजमान हुआ। वह जानता है जो कुछ धरती में प्रवेश करता है और जो कुछ उस से निकलता है और जो कुछ आकाश से उतरता है और जो कुछ उस में चढ़ता है। और तुम जहाँ कहीं भी हो, वह तुम्हारे साथ है। और अल्लाह देखता है जो कुछ तुम करते हो
Indeed, Allah is the cleaver of grain and date seeds. He brings the living out of the dead and brings the dead out of the living. That is Allah ; so how are you deluded?
Be-shak Allah Taalaa daaney ko aur guthliyon ko phaarney wala hai woh jaandaar ko bey jaan say nikal laata hai aur woh bey jaan ko jaandaar say nikalney wala hai Allah Taalaa yeh hai so tum kahan ultay chalay jarahey ho.
बेशक अल्लाह दाने और गुठली को फाड़ने वाला है, वह जानदार को बेजान से निकालता है और वही बेजान को जानदार से निकालने वाला है, वही तुम्हारा अल्लाह है फिर तुम किधर बहके चले जा रहे हो?
Have We not made the earth a resting place?
kiya hum nay zameen ko farsh nahi banaya?
क्या ऐसा नहीं है कि हम ने धरती को बिछौना बनाया
Are you a more difficult creation or is the heaven? Allah constructed it.
Kiya tumhara peda kerna zadadushwar hy ya aasman ka?
क्या तुम्हें पैदा करना अधिक कठिन कार्य है या आकाश को? अल्लाह ने उसे बनाया,