Or do you intend to ask your Messenger as Moses was asked before? And whoever exchanges faith for disbelief has certainly strayed from the soundness of the way.
Kiya tum apney rasool say yehi poochna chahatay ho jo iss say pehlay musa ( alh-e-salam ) poocha gaya tha? ( suno ) eman ko kufur say badalney wala seedhi raah say bhatak jata hai.
क्या तुम चाहते हो कि अपने रसूल से सवालात करो जिस तरह इससे पहले मूसा से सवालात किये गए, और जो शख़्स ईमान के बदले कुफ़्र इख़्तियार करे वह यक़ीनन सीधे रास्ते से भटक गया।
Righteousness is not that you turn your faces toward the east or the west, but [true] righteousness is [in] one who believes in Allah , the Last Day, the angels, the Book, and the prophets and gives wealth, in spite of love for it, to relatives, orphans, the needy, the traveler, those who ask [for help], and for freeing slaves; [and who] establishes prayer and gives zakah; [those who] fulfill their promise when they promise; and [those who] are patient in poverty and hardship and during battle. Those are the ones who have been true, and it is those who are the righteous.
Sari achaee mashriq-o-maghrib ki taraf mun kerney mein hi nahi bulkay acha woh shaks hai jo Allah Taalaa per qayamat kay din per aur farishton per kitab ullah per aur nabiyon per eman rakhney wala ho jo maal say mohabbat kerney kay bawajood qarabat daron yateemon miskeenon musafiron aur sawal kerney walon ko dey ghulamon ko aazad keray namaz ki pabandi aur zakat ki adaeegi keray jab wada keray tab ussay poora keray tangdast dukh dard aur laraee kay waqt sabar keray yehi sachay log hain aur yehi perhezgar hain.
नेकी यह नहीं कि तुम अपने चेहरे पूरब और पश्चिम की तरफ़ कर लो; बल्कि नेकी यह है कि आदमी ईमान लाए अल्लाह पर और आख़िरत के दिन पर और फ़रिश्तों पर और किताब पर और पैग़म्बरों पर, और माल दे अल्लाह की मुहब्बत में रिश्तेदारों को, और मोहताजों को और मुसाफ़िरों को, और मांगने वालों को और ग़ुलामों को छुड़ाने में, और नमाज़ क़ायम करे और ज़कात अदा करे, और जब अहद कर लें तो उसको पूरा करें, और सब्र करने वाले सख़्ती और तकलीफ़ में और लड़ाई के वक़्त, यही लोग हैं जो सच्चे निकले, और यही हैं डर रखने वाले।
They ask you, [O Muhammad], what they should spend. Say, "Whatever you spend of good is [to be] for parents and relatives and orphans and the needy and the traveler. And whatever you do of good - indeed, Allah is Knowing of it."
Aap say poochtay hain kay woh kiya kharach keren? Aap keh dijiye kay jo maal tum kharach kero woh maa baap kay liye hai aur rishtay daron aur yateemon aur miskeenon aur musafiron kay liye hai aur tum jo kuch bhalaee kero gay Allah Taalaa to uss ka ilm hai.
लोग आपसे पूछते हैं कि क्या ख़र्च करें? (ऐ नबी) कह दें कि जो माल तुम ख़र्च करो तो उसमें हक़ है तुम्हारे माँ-बाप का, और रिश्तेदारों का, और यतीमों का, और मोहताजों का और मुसाफिरों का, और जो भलाई तुम करोगे वह अल्लाह को मालूम है।
Worship Allah and associate nothing with Him, and to parents do good, and to relatives, orphans, the needy, the near neighbor, the neighbor farther away, the companion at your side, the traveler, and those whom your right hands possess. Indeed, Allah does not like those who are self-deluding and boastful.
Aur Allah Taalaa ki ibadat kero aur uss kay sath kissi ko shareek na kero aur maa baap kay sath salook-o-ehsan kero aur rishtay daron say aur yateemon say aur miskeenon say aur qarabat daar humsaya say aur ajnabi humsaya say aur pehloo kay sathi say aur raah kay musafir say aur unn say jin kay maalik tumharay haath hain ( ghulam kaneez ) yaqeenan Allah Taalaa takabbur kerney walon aur shekhi khoron ko pasand nahi farmata.
और अल्लाह की इबादत करो और किसी चीज़ को उसका शरीक न बनाओ, और माँ-बाप के साथ अच्छा सलूक करो और रिश्तेदारों के साथ और यतीमों और मुहताजों और रिश्तेदार पड़ोसी और अजनबी पड़ोसी और साथ उठने बैठने वाले और मुसाफ़िर के साथ और जिनके तुम मालिक हो (उनके साथ), बेशक अल्लाह पसंद नहीं करता इतराने वाले, बड़ाई जताने वाले को।
And Allah had already taken a covenant from the Children of Israel, and We delegated from among them twelve leaders. And Allah said, "I am with you. If you establish prayer and give zakah and believe in My messengers and support them and loan Allah a goodly loan, I will surely remove from you your misdeeds and admit you to gardens beneath which rivers flow. But whoever of you disbelieves after that has certainly strayed from the soundness of the way."
Aur Allah Taalaa ney bani israeel say ehad-o-paymaan liya aur unhi mein say baara sardar hum ney muqarrar farmaye aur Allah Taalaa ney farma diya kay yaqeenan mein tumharay sath hun agar tum namaz qaeem rakho gay aur zakat detay raho gay aur meray rasoolon ko maantay raho gay aur unn ki madad kertay raho gay aur Allah Taalaa ko behtar qarz detay raho gay to yaqeenan mein tumhari buraiyan tum say door rakhoon ga aur tumhen unn jannaton mein ley jaon ga jin kay neechay chashmay beh rahey hain abb iss ehas-o-paymaan kay baad bhi tum mein say jo inkari ho jaye woh yaqeenan raah-e-raast say bhatak gaya.
और अल्लाह ने बनी-इस्राईल से अहद लिया और हमने उनमें से बारह सरदार मुक़र्रर किए, और अल्लाह ने कहा कि मैं तुम्हारे साथ हूँ, अगर तुम नमाज़ क़ायम करोगे और ज़कात अदा करोगे और मेरे पैग़म्बरों पर ईमान लाओगे और उनकी मदद करोगे और अल्लाह को क़र्ज़े-हसन दोगे तो मैं तुमसे तुम्हारे गुनाह ज़रूर दूर कर दूँगा और तुमको ज़रूर ऐसे बाग़ों में दाख़िल करूँगा जिनके नीचे नहरें बहती होंगी, पस तुम में से जो शख़्स इसके बाद इनकार करेगा तो वह सीधे रास्ते से भटक गया।
Say, "Shall I inform you of [what is] worse than that as penalty from Allah ? [It is that of] those whom Allah has cursed and with whom He became angry and made of them apes and pigs and slaves of Taghut. Those are worse in position and further astray from the sound way."
Keh dijiye kay kiya mein tumehn bataon? Kay iss say bhi ziyada bura ajar paaney wala Allah kay nazdeek kaun hai? Woh jiss per Allah Taalaa ney laanat ki aur uss per woh ghussa hua aur unn mein say baaz ko bandar aur sooar bana diya aur jinhon ney maboodaan-e-baatil ki parastish ki yehi log bad tar darjay walay hain aur yehi raah-e-raast say boht ziyada bhatakney walay hain.
आप कह दीजिए कि क्या में तुमको बताऊँ वह जो अल्लाह के यहाँ अंजाम के ऐतबार से उससे भी ज़्यादा बुरी है, वह जिस पर अल्लाह ने लानत की और जिस पर उसका ग़ज़ब हुआ और जिनमें से बंदर और सुअर बना दिए और उन्होंने शैतान की इबादत की, ऐसे लोग ठिकाने के ऐतबार से बदतर और राहे-रास्त से बहुत दूर हैं।
Say, "O People of the Scripture, do not exceed limits in your religion beyond the truth and do not follow the inclinations of a people who had gone astray before and misled many and have strayed from the soundness of the way."
Keh dijiye aey ehal-e-kitab! Apney deen mein na haq ghuloov aur ziyadti na kero aur unn logon ki nafsani khuwaishon perwi na kero jo pehlay say behak chukay hain aur bohton ko behka bhi chukay hain aur seedhi raah say hatt gaye hain.
आप कह दीजिए कि ऐ अहले-किताब! अपने दीन में हक़ को छोड़ कर हद से आगे न निकलो और उन लोगों के ख़्यालात की पैरवी न करो जो उससे पहले गुमराह हुए और जिन्होंने बहुत-से लोगों को गुमराह किया और वे सीधी राह से भटक गए।
And know that anything you obtain of war booty - then indeed, for Allah is one fifth of it and for the Messenger and for [his] near relatives and the orphans, the needy, and the [stranded] traveler, if you have believed in Allah and in that which We sent down to Our Servant on the day of criterion - the day when the two armies met. And Allah , over all things, is competent.
Jaan lo kay tum jiss qisam ki aur jo kuch ghanimat hasil kero uss mein say panchwa hissa Allah ka hai aur rasool ka aur qarabat daron ka aur yateemon ka aur miskeenon ka aur musafiron ka agar tum Allah per eman laye ho aur uss cheez per jo hum ney apney banday per uss din utara hai jo din haq-o-baatil ki judaee ka tha jiss din do fojen bhirr gaee thin. Allah her cheez per qadir hai.
और जान लो कि जो कुछ माले-ग़नीमत तुम्हें हासिल हो उसका पाँचवा हिस्सा अल्लाह और रसूल के लिए और रिश्तेदारों और यतीमों और मिस्कीनों और मुसाफ़िरों के लिए है अगर तुम ईमान रखते हो अल्लाह पर और उस चीज़ पर जो हमने अपने बंदे (मुहम्मद) पर उतारी फ़ैसले के दिन जिस दिन कि दोनों जमातों में मुडभेड़ हुई, और अल्लाह हर चीज़ पर क़ादिर है।
Zakah expenditures are only for the poor and for the needy and for those employed to collect [zakah] and for bringing hearts together [for Islam] and for freeing captives [or slaves] and for those in debt and for the cause of Allah and for the [stranded] traveler - an obligation [imposed] by Allah . And Allah is Knowing and Wise.
Sadqay sirf faqeeron kay liye hain aur miskeenon kay liye aur inn kay wasool kerney walon kay liye aur unn kay liye jin kay dil parchaye jatay hon aur gardan churaney mein aur qaraz daron kay liye aur Allah ki raah mein aur raah ro musafiron kay liye farz hai Allah ki taraf say aur Allah ilm-o-hikmat wala hai.
सदक़ात (ज़कात) तो दरअसल फ़क़ीरों और मिस्कीनों के लिए हैं और उन कारकुनों के लिए जो सदक़ात के काम पर मुक़र्रर हैं और उनके लिए जिनका दिल रखना मतलूब है, नीज़ गर्दनों को छुड़ाने में और जो तावान भरें और अल्लाह के रास्ते में और मुसाफ़िर की इमदाद में, यह एक फ़रीज़ा है अल्लाह की तरफ़ से, और अल्लाह इल्म वाला, हिकमत वाला है।
Then is He who is a maintainer of every soul, [knowing] what it has earned, [like any other]? But to Allah they have attributed partners. Say, "Name them. Or do you inform Him of that which He knows not upon the earth or of what is apparent of speech?" Rather, their [own] plan has been made attractive to those who disbelieve, and they have been averted from the way. And whomever Allah leaves astray - there will be for him no guide.
Aaya woh Allah jo nigehbani kerney wala hai her shaks ki uss kay kiye huye aemaal per inn logon ney Allah kay shareek thehraye hain keh dijiye zara unn kay naam to lo kiya tum Allah ko woh baten batatay ho jo woh zamin mein janta hi nahi ya sirf oopri oopri baaten bata rahey ho baat asal yeh hai kay kufur kerney walon kay liye unn kay makar saja diye gaye hain aur woh sahih raah say rok diye gaye hain aur jiss ko Allah gumrah ker dey uss ko raha dikhaney wala koi nahi.
फिर क्या जो हर शख़्स से उसके अमल का हिसाब करने वाला है, और लोगों ने अल्लाह के शरीक बना लिए हैं, कह दीजिए कि उनका नाम लो, क्या तुम अल्लाह को ऐसी चीज़ की ख़बर दे रहे हो जिसको वह ज़मीन में नहीं जानता या तुम ऊपर ही ऊपर बातें कर रहे हो; बल्कि इनकार करने वालों के लिए उनके धोखे ख़ूबसूरत बना दिए गए हैं और वे (सीधे) रास्ते से रोक दिए गए हैं, और अल्लाह जिसको गुमराह कर दे उसको कोई राह बताने वाला नहीं।
And upon Allah is the direction of the [right] way, and among the various paths are those deviating. And if He willed, He could have guided you all.
Aur Allah per seedhi raah ka bata dena hai aur baaz tairhi raahen hain aur agar woh chahata to tum sab ko raah-e-raast per laga deta.
और अल्लाह तक पहुँचती है सीधी राह, और बअज़ रास्ते टेढ़े भी हैं, और अगर अल्लाह चाहता तो तुम सबको हिदायत दे देता।
And give the relative his right, and [also] the poor and the traveler, and do not spend wastefully.
Aur rishtay daaron ka aur miskeenon aur musafiron ka haq ada kertay raho aur israaf aur bey jaa kharch say bacho.
और रिश्तेदार को उसका हक़ दीजिए और मिस्कीन को और मुसाफ़िर को और फ़ज़ूल-ख़र्ची न करें।
I found her and her people prostrating to the sun instead of Allah , and Satan has made their deeds pleasing to them and averted them from [His] way, so they are not guided,
Mein ney ussay aur uss ki qom ko Allah Taalaa ko chor ker sorraj ko sajda kertay huye paya shetan ney unn kay kaam unhen bhalay ker kay dikhla ker sahih raah say rok diya hai pus woh hidayat per nahi aatay.
मैंने उसे और उस की क़ौम के लोगों को अल्लाह से इतर सूर्य को सजदा करते हुए पाया। शैतान ने उन के कर्मों को उन के लिए शोभायमान बना दिया है और उन्हें मार्ग से रोक दिया है - अतः वे सीधा मार्ग नहीं पा रहे हैं। -
And when he directed himself toward Madyan, he said, "Perhaps my Lord will guide me to the sound way."
Aur jab madiyan ki taraf mutawajja huyey to kehnay lagay mujhay umeed hai kay mera rab mujhay seedhi raah ley chalay ga.
जब उस ने मदयन का रुख़ किया तो कहा, "आशा है, मेरा रब मुझे ठीक रास्ते पर डाल देगा।"
And [We destroyed] 'Aad and Thamud, and it has become clear to you from their [ruined] dwellings. And Satan had made pleasing to them their deeds and averted them from the path, and they were endowed with perception.
Aur hum ney aadiyon aur samoodiyon ko bhi gharat kiya jin kay baad makanaat tumharay samney zahir hain aur shetan ney unhen unn ki bad aemaaliyan aaraasta ker dikhaee thin aur unhen raah say rok diya tha bawajood yeh kay yeh aankhon walay aur hoshiyaar thay.
और आद और समूद को भी हम ने विनष्ट किया। और उन के घरों और बस्तियों के अवशेषों से तुम पर स्पष्ट हो चुका है। शैतान ने उन के कर्मों को उन के लिए सुहाना बना दिया और उन्हें संमार्ग से रोक दिया। यद्यपि वे बड़े तीक्ष्ण स्पष्ट वाले थे
So give the relative his right, as well as the needy and the traveler. That is best for those who desire the countenance of Allah , and it is they who will be the successful.
Pus qarabat daar ko miskeen ko musafir ko her aik ko uss ka haq dijiye yeh unn kay liye behtar hai jo Allah Taalaa ka mun dekhna chahatay hon aisay hi log nijat paney walay hain.
अतः नातेदार को उस का हक़ दो और मुहताज और मुसाफ़िर को भी। यह अच्छा है उन के लिए जो अल्लाह की प्रसन्नता के इच्छुक हों और वही सफल हैं
The ways into the heavens - so that I may look at the deity of Moses; but indeed, I think he is a liar." And thus was made attractive to Pharaoh the evil of his deed, and he was averted from the [right] way. And the plan of Pharaoh was not except in ruin.
( unn ) darwazon tak phonch jaon aur musa kay mabood ko jhaank loon aur be-shak mein samjhta hun woh jhoota hai aur issi tarah firaon ki bad-kirdariyan ussay bhali dikhaee gaeen aur raah say rok diya gaya aur firaon ki ( her ) heela saazi tabahee mein hi rahee.
आकाशों के साधनों (और क्षत्रों) तक। फिर मूसा के पूज्य को झाँककर देखूँ। मैं तो उसे झूठा ही समझता हूँ।" इस प्रकार फ़िरऔन के लिए उस का दुष्कर्म सुहाना बना दिया गया और उसे मार्ग से रोक दिया गया। फ़िरऔन की चाल तो बस तबाही के सिलसिले में रही
And indeed, the devils avert them from the way [of guidance] while they think that they are [rightly] guided
Aur woh unhen raah say roktay hain aur yeh iss khayal mein rehtay hain kay yeh hidayat yafta hai.
और वे (शैतान) उन्हें मार्ग से रोकते हैं और वे (इनकार करने वाले) यह समझते हैं कि वे मार्ग पर हैं
And what Allah restored to His Messenger from the people of the towns - it is for Allah and for the Messenger and for [his] near relatives and orphans and the [stranded] traveler - so that it will not be a perpetual distribution among the rich from among you. And whatever the Messenger has given you - take; and what he has forbidden you - refrain from. And fear Allah ; indeed, Allah is severe in penalty.
Bastiyon walon ka jo ( maal ) Allah Taalaa tumharay laray bhiray baghair apney rasool kay haath lagaye woh Allah ka hai aur rasool ka aur qarabat walon ka aur yateemon miskeenon ka aur musafiron ka hai takay tumharay dolat mandon kay haath mein hi yeh maal gardish kerta na reh jaye aur tumhen jo kuch rasool dey ley lo aur jiss say rokay ruk jao aur Allah Taalaa say dartay raha kero yaqeenan Allah Taalaa sakht azab wala hai.
जो कुछ अल्लाह ने अपने रसूल की ओर बस्तियों वालों से लेकर पलटाया वह अल्लाह और रसूल और (मुहताज) नातेदार और अनाथों और मुहताजों और मुसाफ़िर के लिए है, ताकि वह (माल) तुम्हारे मालदारों ही के बीच चक्कर न लगाता रहे - रसूल जो कुछ तुम्हें दे उसे ले लो और जिस चीज़ से तुम्हें रोक दे उस से रुक जाओ, और अल्लाह का डर रखो। निश्चय ही अल्लाह की यातना बहुत कठोर है। -
O you who have believed, do not take My enemies and your enemies as allies, extending to them affection while they have disbelieved in what came to you of the truth, having driven out the Prophet and yourselves [only] because you believe in Allah , your Lord. If you have come out for jihad in My cause and seeking means to My approval, [take them not as friends]. You confide to them affection, but I am most knowing of what you have concealed and what you have declared. And whoever does it among you has certainly strayed from the soundness of the way.
Aey woh logo jo eman laye ho! Meray aur ( khud ) apney dushmanon ko apna dost na banao tum to dosti say unn ki taraf payghaam bhejtay ho aur woh iss haq kay sath jo tumharay pass aa chuka hai kufur kertay hain payghumbar ko aur khud tumhen bhi mehaz iss waja say jila watan kertay hain kay tum apney rab per eman rakhtay ho agar tum meri raah mein jihad kay liye aur meri raza mandi ki talab mein nikaltay ho ( to inn say dostiyan na kero ) tum inn kay pass mohabbat ka paygham posheeda posheeda bhejtay ho aur mujhay khoob maloom hai jo tum ney chupaya aur woh bhi jo tum ney zahir kiya tum mein say jo bhi iss kaam ko keray ga woh yaqeenan raah-e-raast say behak jaye ga.
ऐ ईमान लाने वालो! यदि तुम मेरे मार्ग में जिहाद के लिए और मेरी प्रसन्नता की तलाश में निकले हो तो मेरे शत्रुओं और अपने शत्रुओं को मित्र न बनाओ कि उन के प्रति प्रेम दिखाओं, जबकि तुम्हारे पास जो सत्य आया है उस का वे इनकार कर चुके हैं। वे रसूल को और तुम्हें इसलिए निर्वासित करते हैं कि तुम अपने रब - अल्लाह पर ईमान लाए हो। तुम गुप्त रूप से उन से मित्रता की बातें करते हो। हालाँकि मैं भली-भाँति जानता हूँ जो कुछ तुम छिपाते हो और व्यक्त करते हो। और जो कोई भी तुम में से भटक गया