Who is it that would loan Allah a goodly loan so He may multiply it for him many times over? And it is Allah who withholds and grants abundance, and to Him you will be returned.
Aisa bhi koi hai jo Allah Taalaa ko acha qarz dey pus Allah Taalaa ussay boht barha charha ker ata farmaye Allah hi tangi aur kushadgi kerta hai aur tum sab ussi ki taraf lotaye jao gay.
कौन है जो अल्लाह को क़र्ज़ दे अच्छे तरीक़े पर कि अल्लाह उसको बढ़ा कर उसके लिए कई गुना कर दे, और अल्लाह ही तंगी भी पैदा करता है और कुशादगी भी, और तुम सब उसी की तरफ़ लौटाए जाओगे।
Allah instructs you concerning your children: for the male, what is equal to the share of two females. But if there are [only] daughters, two or more, for them is two thirds of one's estate. And if there is only one, for her is half. And for one's parents, to each one of them is a sixth of his estate if he left children. But if he had no children and the parents [alone] inherit from him, then for his mother is one third. And if he had brothers [or sisters], for his mother is a sixth, after any bequest he [may have] made or debt. Your parents or your children - you know not which of them are nearest to you in benefit. [These shares are] an obligation [imposed] by Allah . Indeed, Allah is ever Knowing and Wise.
Allah Taalaa tumhen tumhari aulad kay baray mein hukum kerta hai kay aik larkay ka hissa do larkiyon kay barabar hai aur agar sirf larkiyan hi hon aur do say ziyada hon to unhen maal matrooka ka do tehaee milay ga. Aur agar aik hi larki ho to uss kay liye aadha hai aur mayyat kay maa baap mein say her aik kay liye uss kay choray huye maal ka chatha hissa hai agar iss ( mayyat ) ki aulad ho aur agar aulad na ho aur maa baap waris hotay hon to uss ki maa kay liye teesra hissa hai haan agar mayyat kay kaee bhai hon to phir uss ki maa ka chatha hissa hai. Yeh hissay uss wasiyat ( ki takmeel ) kay baad hain jo marney wala ker gaya ho ya aday-e-qarz kay baad tumharay baap hon ya tumharay betay tumhen nahi maloom kay unn mein say kaun tumhen nafa phonchaney mein ziyada qarib hai yeh hissay Allah Taalaa ki taraf say muqarrar kerda hain be-shak Allah Taalaa pooray ilm aur kaamil hikmaton wala hai.
अल्लाह तुमको तुम्हारी औलाद के बारे में हुक्म देता है कि मर्द का हिस्सा दो औरतों के बराबर है, फिर अगर औरतें दो से ज़ायद हैं तो उनके लिए दो-तिहाई है उस माल से जो मय्यत छोड़ गया है, और अगर वह अकेली है तो उसके लिए आधा है, और मय्यत के माँ-बाप को दोनों में से हर एक के लिए छठा हिस्सा है उस माल का जो वह छोड़ गया है उस वक़्त जबकि मय्यत की औलाद भी हो, और अगर मय्यत की औलाद न हो और उसके माँ-बाप उसके वारिस हों तो उसकी माँ का (हिस्सा) तिहाई है, और अगर उसके भाई हों तो उसकी माँ के लिए छठा हिस्सा है, यह हिस्से वसीयत पूरी करने या क़र्ज़ अदा करने के बाद हैं जो मय्यत कर जाता है, तुम्हारे बाप हों या तुम्हारे बेटे हों, तुम नहीं जानते कि उनमें कौन तुम्हारे लिए ज़्यादा फ़ायदेमंद है, ये अल्लाह की जानिब से ठहराए हुए हिस्से हैं, बेशक अल्लाह इल्म वाला, हिकमत वाला है।
And if Allah should touch you with adversity, there is no remover of it except Him. And if He touches you with good - then He is over all things competent.
Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi takleef phonchaye to uss ka door kerney wala siwaye Allah Taalaa kay aur koi nahi. Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi nafa phonchaye to woh her cheez per poori qudrat rakhney wala hai.
और अगर अल्लाह तुमको कोई नुक़सान पहुँचाए तो उसके सिवा कोई उसका दूर करने वाला नहीं, और अगर अल्लाह तुमको कोई भलाई पहुँचाए तो वह हर चीज़ पर क़ादिर है।
Say, "Shall we invoke instead of Allah that which neither benefits us nor harms us and be turned back on our heels after Allah has guided us? [We would then be] like one whom the devils enticed [to wander] upon the earth confused, [while] he has companions inviting him to guidance, [calling], 'Come to us.' " Say, "Indeed, the guidance of Allah is the [only] guidance; and we have been commanded to submit to the Lord of the worlds.
Aap keh dijiye kay kiya hum Allah Taalaa kay siwa aisi cheez ko pukaren kay na woh hum ko nafa phonchaye aur na hum ko nuksan phonchaye aur kiya hum ultay phir jayen iss kay baad kay hum ko Allah Taalaa ney hidayat ker di hai jaisay koi shaks ho kay uss ko shetanon ney kahin jangal mein bey raah ker diya ho aur woh bhatakta phirta ho uss kay kuch sathi bhi hon kay woh uss ko theek raastay ki taraf bula rahey hon kay humaray pass aa. Aap keh dijiye kay yaqeeni baat hai kay raah-e-raast woh khaas Allah hi ki raah hai aur hum ko yeh hukum hua hai kay hum perwerdigar-e-aalam kay pooray mootee hojayen.
(ऐ नबी) आप कहिए कि क्या हम अल्लाह को छोड़ कर उनको पुकारें जो हमको न नफ़ा दे सकते हैं और न हमको नुक़सान पहुँचा सकते हैं और क्या हम उल्टे पाँव फिर जाएं बाद इसके कि अल्लाह हमको सीधा रास्ता दिखा चुका है, उस शख़्स के मानिंद जिसको शैतानों ने बयाबान में भटका दिया हो और वह हैरान फिर रहा हो, उसके साथी उसको सीधे रास्ते की तरफ़ बुला रहे हों कि हमारे पास आ जाओ, आप कह दीजिए कि रहनुमाई तो सिर्फ़ अल्लाह की रहनुमाई है और हमको हुक्म मिला है कि हम अपने आपको तमाम जहानों के परवरदिगार के हवाले कर दें।
And We gave to Abraham, Isaac and Jacob - all [of them] We guided. And Noah, We guided before; and among his descendants, David and Solomon and Job and Joseph and Moses and Aaron. Thus do We reward the doers of good.
6.84. Aur hum ney unn ko ishaq diya aur yaqoob her aik ko hum ney hidayat ki aur pehlay zamney mein hum ney nooh ko hidayat ki aur unn ki aulad mein say dawood ko aur suleman ko aur ayub ko aur yousuf ko aur musa ko aur haroon ko aur issi tarah hum nek kaam kerney walon ko jaza diya kertay hain.
और हमने इब्राहीम (अलै॰) को इसहाक़ और याक़ूब (अलैहिमस्सलाम) अता किए, हर एक को हमने हिदायत दी और नूह (अलै॰) को भी हमने हिदायत दी उससे पहले, और उसकी नस्ल में से दाऊद और सुलेमान और अय्यूब और यूसुफ़ और मूसा और हारून (अलैहिमुस्सलाम) को भी, और हम नेकूकारों को इसी तरह बदला देते हैं।
It is not for a prophet to have captives [of war] until he inflicts a massacre [upon Allah 's enemies] in the land. Some Muslims desire the commodities of this world, but Allah desires [for you] the Hereafter. And Allah is Exalted in Might and Wise.
Nabi kay haath mein qaidi nahi chahaiye jabtak kay mulk mein achi khoonrezi ki jang na hojaye. Tum to duniya kay maal chahatay ho aur Allah ka irada aakhirat ka hai aur Allah zor aawar ba hikmat hai.
किसी नबी के लिए लायक़ नहीं कि उसके पास क़ैदी हों जब तक वह ज़मीन में अच्छी तरह ख़ूंरेज़ी न कर ले, तुम दुनिया के असबाब चाहते हो और अल्लाह आख़िरत को चाहता है, और अल्लाह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
And the request of forgiveness of Abraham for his father was only because of a promise he had made to him. But when it became apparent to Abraham that his father was an enemy to Allah , he disassociated himself from him. Indeed was Abraham compassionate and patient.
Aur ibrahim ( alh-e-salam ) ka apney baap kay liye dua-e-maghfirat maangna woh sirf wada kay sabab say tha jo unhon ney uss say wada ker liya tha phir jab unn per yeh baat zahir hogaee kay woh Allah ka dushman hai to woh iss say mehaz mehaz bey talluq hogaye waqaee ibrahim ( alh-e-salam ) baray naram dil aur burd baar thay.
और इब्राहीम (अलै॰) का अपने वालिद के लिए मग़फ़िरत की दुआ मांगना सिर्फ़ उस वादे की वजह से था जो उन्होंने उससे कर लिया था, फिर जब उन पर खुल गया कि वह अल्लाह का दुश्मन है तो वे उससे बे-तअल्लुक़ हो गए, बेशक इब्राहीम बड़े नरम-दिल, बुर्दबार थे।
And if Allah should touch you with adversity, there is no remover of it except Him; and if He intends for you good, then there is no repeller of His bounty. He causes it to reach whom He wills of His servants. And He is the Forgiving, the Merciful
Aur agar tum ko Allah koi takleef phonchaye to ba-juz uss kay aur koi uss ko door kerney wala nahi hai aur agar woh tum ko koi khair phonchana chahaye to uss kay fazal ka koi hataney wala nahi woh apna fazal apney bandon mein say jiss per chahaye nichawar kerdey aur woh bari maghfirat bari rehmat wala hai.
और अगर अल्लाह तुमको किसी तकलीफ़ में पकड़ ले तो उसके सिवा कोई नहीं जो उसको दूर कर सके, और अगर वे तुमको कोई भलाई पहुँचाना चाहे तो उसके फ़ज़्ल को कोई रोकने वाला नहीं, वह अपना फ़ज़्ल अपने बंदों में से जिसको चाहता है देता है, और वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
They said, "O 'Azeez, indeed he has a father [who is] an old man, so take one of us in place of him. Indeed, we see you as a doer of good."
Enhon ney kaha aey aziz-e-misir! Iss kay walid boht bari umar kay bilkul boorhay shaks hain. Aap iss kay badlay hum mein say kissi ko ley lijiye. Hum dekhtay hain kay aap baray nek nafs hain.
उन्होंने कहा कि ऐ अज़ीज़! इसका एक बहुत बूढ़ा बाप है तो आप इसकी जगह हम में से किसी और को रख लें, हम आपको बहुत नेक देखते हैं।
So when he had left them and those they worshipped other than Allah , We gave him Isaac and Jacob, and each [of them] We made a prophet.
Jab ibrahim ( alh-e-salam ) unn sab ko aur Allah kay siwa unn kay sab maboodon ko chor chukay to hum ney unhen ishaq ( alh-e-salam ) –o- yaqoob ( alh-e-salam ) ata farmaye aur dono ko nabi bana diya.
फिर जब वह उन लोगों से और जिन्हें वे अल्लाह के सिवा पूजते थे उन से अलग हो गया, तो हम ने उसे इसहाक़ और याक़ूब प्रदान किए और हर एक को हम ने नबी बनाया
They said, "We heard a young man mention them who is called Abraham."
Bolay hum ney aik no-jawan ko innk a tazkara kertay huye suna tha jissay ibrahim ( alh-e-salam ) kaha jata hai.
(कुछ लोग) बोले, "हम ने एक नवयुवक को, जिसे इबराहीम कहते हैं, उस के विषय में कुछ कहते सुना है।"
And We gave him Isaac and Jacob in addition, and all [of them] We made righteous.
Aur hum ney ussay ishaq ata farmaya aur yaqoob iss per mazeed. Aur her aik ko hum ney saleh banaya.
और हम ने उसे इसहाक़ प्रदान किया और तदधिक याक़ूब भी। और प्रत्येक को हम ने नेक बनाया
And We gave to Him Isaac and Jacob and placed in his descendants prophethood and scripture. And We gave him his reward in this world, and indeed, he is in the Hereafter among the righteous.
Aur hum ney unhen ( ibrahim ko ) ishaq-o-yaqoob ( alheem-us-salam ) ata kiye aur hum ney naboowat aur kitab unn ki aulad mein hi kerdi aur hum ney duniya mein bhi ussay sawab diya aur aakhirat mein to woh saleh logon mein say hai.
और हम ने उसे इसहाक़ और याक़ूब प्रदान किए और उस की संतति में नुबूवत (पैग़म्बरी) और किताब का सिलसिला जारी किया और हम ने उसे संसार में भी उस का अच्छा प्रतिदान प्रदान किया। और निश्चय ही वह आख़िरत में अच्छे लोगों में से होगा
Those who were oppressed will say to those who were arrogant, "Rather, [it was your] conspiracy of night and day when you were ordering us to disbelieve in Allah and attribute to Him equals." But they will [all] confide regret when they see the punishment; and We will put shackles on the necks of those who disbelieved. Will they be recompensed except for what they used to do?
( Iss kay jawab mein ) yeh kamzor log inn mutakabbiron say kahen gay ( nahi nahi ) bulkay din raat makar-o-faraib say humen Allah kay sath kufur kerney aur uss kay shareek muqarrar kerney ka tumhara hukum dena humari bey emaani ka baees hua aur azab ko dekhtay hi sab ka sab dil mein pashemaan ho rahey hongay aur kafiron ki gardano mein hum toq daal den gay unhen sirf unn kay kiyey keraye aemaal ka badla diya jayega.
वे लोग कमज़ोर समझे गए थे बड़े बनने वालों से कहेंगे, "नहीं, बल्कि रात-दिन की मक्कारी थी जब तुम हम से कहते थे कि हम अल्लाह के साथ कुफ़्र करें और दूसरों को उस का समकक्ष ठहराएँ।" जब वे यातना देखेंगे तो मन ही मन पछताएँगे और हम उन लोगों की गरदनों में जिन्होंने कुफ़्र की नीति अपनाई, तौक़ डाल देंगे। वे वही तो बदले में पाएँगे, जो वे करते रहे थे?
And We granted him his family and a like [number] with them as mercy from Us and a reminder for those of understanding.
Aur hum ney ussay uss ka poora kunba ata farmaya bulkay utna hi aur bhi issi kay sath apni ( khaas ) rehmat say aur aqalmandon ki naseehat kay liye.
और हम ने उसे उस के परिजन दिए और उन के साथ वैसे ही और भी; अपनी ओर से दयालुता के रूप में और बुद्धि और समझ रखने वालों के लिए शिक्षा के रूप में।
Say, "Do you indeed disbelieve in He who created the earth in two days and attribute to Him equals? That is the Lord of the worlds."
Aap keh dijiye! Kay kiya tum uss ( Allah ) ka inkar kertay ho aur tum uss kay shareek muqarrar kertay ho jiss ney do din mein zamin peda kerdi saray jahano ka perwardigar wohi hai.
कहो, "क्या तुम उस का इनकार करते हो, जिस ने धरती को दो दिनों (काल) में पैदा किया और तुम उस के समकक्ष ठहराते हो? वह तो सारे संसार का रब है
And who is more astray than he who invokes besides Allah those who will not respond to him until the Day of Resurrection, and they, of their invocation, are unaware.
Aur iss say barh ker gumrah aur kon hoga? Jo Allah kay siwa aison ko pukarta hai jo qayamat tak uss ki dua qabool na ker saken bulkay unn kay pukarney say mehaz baykhabar hon.
आख़़िर उस व्यक्ति से बढ़कर पथभ्रष्ट और कौन होगा, जो अल्लाह से हटकर उन्हें पुकारता हो जो क़ियामत के दिन तक उस की पुकार को स्वीकार नहीं कर सकते, बल्कि वे तो उन की पुकार से भी बेख़बर हैं;
That is the command of Allah , which He has sent down to you; and whoever fears Allah - He will remove for him his misdeeds and make great for him his reward.
Yeh Allah ka hukum hai jo uss ney tumhari taraf utara hai aur jo shaks Allah say daray ga Allah uss kay gunah mita dey ga aur ussay bara bhari ajar dey ga.
यह अल्लाह का आदेश है जो उस ने तुम्हारी ओर उतारा है। और जो कोई अल्लाह का डर रखेगा उस से वह उस की बुराईयाँ दूर कर देगा और उस के प्रतिदान को बड़ा कर देगा
Lodge them [in a section] of where you dwell out of your means and do not harm them in order to oppress them. And if they should be pregnant, then spend on them until they give birth. And if they breastfeed for you, then give them their payment and confer among yourselves in the acceptable way; but if you are in discord, then there may breastfeed for the father another woman.
Tum apni taqat kay mutabiq jahan tum rehtay ho wahan inn ( tallaq wali ) aurton ko rakho aur enhen tang kerney kay liye takleef na phonchao aur agar woh hamal say hon to jab tak bacha peda ho lay enhen kharach detay raha kero phir agar tumharay kehney say wohi doodh pilayen to tum enehn inn ki ujrat dey do aur ba-hum munasib tor per mashwara ker liya kero aur agar tum aapas mein kash-ma-kash kero to iss kay kehney say koi aur doodh pilaye gi.
अपनी हैसियत के अनुसार जहाँ तुम स्वयं रहते हो उन्हें भी उसी जगह रखो। और उन्हें तंग करने के लिए उन्हें हानि न पहुँचाओ। और यदि वे गर्भवती हों तो उन पर ख़र्च करते रहो जब तक कि उन का शिशु-प्रसव न हो जाए। फिर यदि वे तुम्हारे लिए (शिशु को) दूध पिलाएँ तो तुम उन्हें उन का पारिश्रामिक दो और आपस में भली रीति से परस्पर बातचीत के द्वार कोई बात तय कर लो। और यदि तुम दोनों में कोई कठिनाई हो तो फिर कोई दूसरी स्त्री उस के लिए दूध पिला देगी