How wretched is that for which they sold themselves - that they would disbelieve in what Allah has revealed through [their] outrage that Allah would send down His favor upon whom He wills from among His servants. So they returned having [earned] wrath upon wrath. And for the disbelievers is a humiliating punishment.
Boht buri hai woh cheez jiss kay badlay enhon ney apney aap ko baich dala woh inn kay kufur kerna hai. Allah Taalaa ki taraf say nazil shuda cheez kay sath mehaz iss baat say jal ker kay Allah Taalaa ney apna fazal apney jiss banday per chaha nazil farmaya iss kay baees ye log ghazab per ghazab kay mustahiq hogaye aur inn kafiron kay liye ruswa kerney wala azab hai.
कैसी बुरी है वह चीज़ जिसके बदले उन्होंने अपनी जानों का सौदा किया कि वे इनकार कर रहे हैं अल्लाह के उतारे हुए कलाम का इस ज़िद की बिना पर कि अल्लाह अपने फ़ज़्ल से अपने बन्दों में से जिस पर चाहे उतारे; पस वो ग़ुस्से पर ग़ुस्सा कमा कर लाए, और इनकार करने वालों के लिए ज़िल्लत का अज़ाब है।
And do not wish for that by which Allah has made some of you exceed others. For men is a share of what they have earned, and for women is a share of what they have earned. And ask Allah of his bounty. Indeed Allah is ever, of all things, Knowing.
Aur uss cheez ki aarzoo na kero jiss kay baees Allah Taalaa ney tum mein say baaz ko baaz per buzrugi di hai. Mardon kay uss mein say hissa hai jo unhon ney kamaya aur aurton kay liye uss mein say hain jo unhon ney kamaya aur Allah Taalaa say uss ka fazal maango yaqeenan Allah her cheez ka janney wala hai.
और तुम उस चीज़ की तमन्ना न करो जिसमें अल्लाह ने तुम में से एक को दूसरे पर बड़ाई दी है, मर्दों के लिए एक हिस्सा है अपनी कमाई का और औरतों के लिए एक हिस्सा है अपनी कमाई का, और अल्लाह से उसका फ़ज़्ल माँगो, बेशक अल्लाह हर चीज़ का इल्म रखने वाला है।
Who are stingy and enjoin upon [other] people stinginess and conceal what Allah has given them of His bounty - and We have prepared for the disbelievers a humiliating punishment -
Jo log khud bakheeli kertay hain aur doosron ko bhi bakheeli kerney ko kehtay hain aur Allah Taalaa ney jo apna fazal unhen dey rakha hai ussay chupa letay hain hum ney unn kafiron kay liye zillat ki maar tayyar ker rakhi hai.
जो कि ख़ुद कंजूसी करते हैं और लोगों को भी कंजूसी का हुक्म देते हैं और जो कुछ अल्लाह ने उनको अपने फ़ज़्ल से दे रखा है उसको छुपाते हैं, और हमने मुनकिरों के लिए ज़िल्लत का अज़ाब तैयार कर रखा है।
Or do they envy people for what Allah has given them of His bounty? But we had already given the family of Abraham the Scripture and wisdom and conferred upon them a great kingdom.
Ya yeh logon say hasad kertay hain iss per jo Allah Taalaa ney apney fazal say unhen diya hai pus hum ney to aal-e-ibrahim ko kitab aur hikmat bhi di hai aur bari saltanat bhi ata farmaee hai.
क्या ये लोगों पर हसद कर रहे हैं इस बिना पर जो अल्लाह ने उनको अपने फ़ज़्ल से दिया है, पस हमने इब्राहीम की औलाद को किताब और हिकमत दी, और हमने उनको एक बड़ी सल्तनत भी दे दी।
And as for those who believed and did righteous deeds, He will give them in full their rewards and grant them extra from His bounty. But as for those who disdained and were arrogant, He will punish them with a painful punishment, and they will not find for themselves besides Allah any protector or helper.
Pus jo log eman laye hain aur shaista aemaal kiye hain unn ko unn ka poora poora sawab inayat farmaye ga aur apney fazal say unhen aur ziyada dey ga aur jin logon ney nang-o-aar aur sikashi aur inkar kiya unhen alam naak azab dey ga aur woh apney liye siwaye Allah kay koi himayati aur imdad kerney wala na payen gay.
फिर जो लोग ईमान लाए और जिन्होंने नेक काम किए तो उनको वह पूरा-पूरा अज्र देगा और अपने फ़ज़्ल से उनको मज़ीद देगा, और जिन लोगों ने आर और तकब्बुर किया होगा उनको दर्दनाक अज़ाब देगा और वे अल्लाह के मुक़ाबले में न किसी को अपना दोस्त पाएंगे और न मददगार।
If only they had been satisfied with what Allah and His Messenger gave them and said, "Sufficient for us is Allah ; Allah will give us of His bounty, and [so will] His Messenger; indeed, we are desirous toward Allah ," [it would have been better for them].
Agar yeh log Allah aur uss kay rasool kay diye huye per khush rehtay aut keh detay kay Allah humen kafi hai Allah humen apney fazal say dey ga aur uss ka rasool bhi hum to Allah ki zaat say hi tawaqqa rakheny walay hain.
क्या अच्छा होता कि अल्लाह और उसके रसूल ने उन्हें जो कुछ दिया था उस पर वे राज़ी रहते और कहते कि हमारे लिए अल्लाह काफ़ी है, अल्लाह अपने फ़ज़्ल से हमको और भी देगा और उसका रसूल भी, हमको तो अल्लाह ही चाहिए।
They swear by Allah that they did not say [anything against the Prophet] while they had said the word of disbelief and disbelieved after their [pretense of] Islam and planned that which they were not to attain. And they were not resentful except [for the fact] that Allah and His Messenger had enriched them of His bounty. So if they repent, it is better for them; but if they turn away, Allah will punish them with a painful punishment in this world and the Hereafter. And there will not be for them on earth any protector or helper.
Yeh Allah ki qasmen kha ker kehtay hain kay enhon ney nahi kaha halankay yaqeenan kufur ka kalma inn ki zaban say nikal chuka aur yeh apney islam kay baad kafir hogaye hain aur enhon ney iss kaam ka qasad bhi kiya jo poora na ker sakay. Yeh sirf issi baat ka intiqam ley rahey hain kay enhen Allah ney apney fazal say aur uss kay rasool ney dolat mand ker diya agar yeh abb bhi toba ker len to yeh inn kay haq mein behtar hai aur agar mun moray rahen to Allah Taalaa enhen duniya-o-aakhirat mein dard naak azab dey ga aur zamin bhar mein inn ka koi himayati aur madadgar na khara hoga.
वे अल्लाह की क़सम खाते हैं कि उन्होंने नहीं कहा; हालाँकि उन्होंने कुफ़्र की बात कही और वे इस्लाम लाने के बाद काफ़िर हो गए और उन्होंने वह चाहा जो उन्हें हासिल न हो सका, और यह सिर्फ़ उसका बदला था कि उनको अल्लाह और उसके रसूल ने अपने फ़ज़्ल से ग़नी कर दिया, अगर वे तौबा करें तो यह उनके हक़ में बेहतर है और अगर वे मुँह फेर लें तो अल्लाह उनको दर्दनाक अज़ाब देगा दुनिया में भी और आख़िरत में भी, और ज़मीन में उनका न कोई हिमायती होगा और न मददगार।
And among them are those who made a covenant with Allah , [saying], "If He should give us from His bounty, we will surely spend in charity, and we will surely be among the righteous."
Inn mein woh bhi hain jinhon ney Allah say ehad kiya tha kay agar woh humen apney fazal say maal dey ga to hum zaroor sadqa-o-kheyraat keren gay aur neko kaaron mein hojayen gay.
और उनमें वे भी हैं जिन्होंने अल्लाह से अहद किया कि अगर उसने हमको अपने फ़ज़्ल से अता किया तो हम ज़रूर सदक़ा करेंगे और हम नेक बनकर रहेंगे।
But when he gave them from His bounty, they were stingy with it and turned away while they refused.
Lekin jab Allah ney apney fazal say enhen diya to yeh iss mein bakheeli kerney lagay aur taal matol ker kay mun mor liya.
फिर जब अल्लाह ने उनको अपने फ़ज़्ल से अता किया तो वे उसमें कंजूसी करने लगे और बरगश्ता होकर मुँह फेर लिया।
And it is He who subjected the sea for you to eat from it tender meat and to extract from it ornaments which you wear. And you see the ships plowing through it, and [He subjected it] that you may seek of His bounty; and perhaps you will be grateful.
Aur darya bhi ussi ney tumharay bus mein ker diye hain kay tum iss mein say ( nikla hua ) taza gosht khao aur iss mein say apney pehanney kay zaiwraat nikal sako aur tum dekhtay ho kay kashtiyan iss mein pani cheerti hui ( chalti ) hain aur iss liye bhi kay tum uss ka fazal talash kero aur hosakta hai kay tum shukar guzari bhi kero.
और वही है जिसने समुंदर को तुम्हारे काम में लगा दिया; ताकि तुम उसमें से ताज़ा गोश्त खाओ और उससे ज़ेवर निकालो जिसको तुम पहनते हो, और तुम कश्तियों को देखते हो कि उसमें चीरती हुई चलती हैं और ताकि तुम उसका फ़ज़्ल तलाश करो और ताकि तुम शुक्र करो।
It is your Lord who drives the ship for you through the sea that you may seek of His bounty. Indeed, He is ever, to you, Merciful.
Tera perwerdigar woh hai jo tumharay liye darya mein kashtiyan chalata hai takay tum uss ka fazal talash kero. Won tumharay upper boht hi meharbaan hai.
तुम्हारा रब तो वह है जो तुम्हारे लिए समुद्र में नौका चलाता है, ताकि तुम उस का अनुग्रह (आजीविका) तलाश करो। वह तुम्हारे हाल पर अत्यन्त दयावान है
And marry the unmarried among you and the righteous among your male slaves and female slaves. If they should be poor, Allah will enrich them from His bounty, and Allah is all-Encompassing and Knowing.
Tum mein say jo mard-o-aurat bey nikah kay hon unn ka nikah ker do aur apnay nek bakht ghulamon aur londiyon ka bhi agar woh muflis bhi hongay to Allah Taalaa unhen apnay fazal say ghani ker bana dey ga. Allah Taalaa kushadgi wala aur ilm wala hai.
तुम में जो बे-जोड़े के हों और तुम्हारे ग़ुलामों और तुम्हारी लौंडियों मे जो नेक और योग्य हों, उन का विवाह कर दो। यदि वे ग़रीब होंगे तो अल्लाह अपने उदार अनुग्रह से उन्हें समृद्ध कर देगा। अल्लाह बड़ी समाईवाला, सर्वज्ञ है
But let them who find not [the means for] marriage abstain [from sexual relations] until Allah enriches them from His bounty. And those who seek a contract [for eventual emancipation] from among whom your right hands possess - then make a contract with them if you know there is within them goodness and give them from the wealth of Allah which He has given you. And do not compel your slave girls to prostitution, if they desire chastity, to seek [thereby] the temporary interests of worldly life. And if someone should compel them, then indeed, Allah is [to them], after their compulsion, Forgiving and Merciful.
Aur unn logon ko pak daman rehna chahaye jo apna nikah kerney ka maqdoor nahi rakhtay yahan tak kay Allah Taalaa unhen apnay fazal say maal daar bana dey tumharay ghulamon mein say jo koi kuch tumhen dey ker azadi ki tehreer kerani chahaye to tum aisi tehreer unhen ker diya kero agar tum ko inn mein koi bhalaee nazar aati ho aur Allah ney jo maal tumhen dey rakha hai uss mein sya unhen bhi do tumhari jo londiyan pak daman rehna chahati hain unhen duniya ki zindagi kay faeeday ki gharaz say bad-kaari per majboor na kero aur jo unhen majboor ker dey to Allah Taalaa unn per jabar kay baad bakhsish denay wala aur meharbaani kerney wala hai.
और जो विवाह का अवसर न पा रहे हो उन्हें चाहिए कि पाकदामनी अपनाए रहें, यहाँ तक कि अल्लाह अपने उदार अनुग्रह से उन्हें समृद्ध कर दे। और जिन लोगों पर तुम्हें स्वामित्व का अधिकार प्राप्त हो उन में से जो लोग लिखा-पढ़ी के इच्छुक हो उन से लिखा-पढ़ी कर लो, यदि तुम्हें मालूम हो कि उन में भलाई है। और उन्हें अल्लाह के माल में से दो, जो उस ने तुम्हें प्रदान किया है। और अपनी लौंडियों को सांसारिक जीवन-सामग्री की चाह में व्यविचार के लिए बाध्य न करो, जबकि वे पाकदामन रहना भी चाहती हों। और इस के लिए जो कोई उन्हें बाध्य करेगा, तो निश्चय ही अल्लाह उन के बाध्य किए जाने के पश्चात अत्यन्त क्षमाशील, दयावान है
That Allah may reward them [according to] the best of what they did and increase them from His bounty. And Allah gives provision to whom He wills without account.
Iss iraday say kay Allah unhen unn kay aemaal ka behtareen badla dey bulkay apnay fazal say aur kuch ziyadti ata faramye. Allah Taalaa jissay chahaye bey shumaar roziyan deta hai.
ताकि अल्लाह उन्हें बदला प्रदान करे। उन के अच्छे से अच्छे कामों का, और अपने उदार अनुग्रह से उन्हें और अधिक प्रदान करें। अल्लाह जिसे चाहता है बेहिसाब देता है
And out of His mercy He made for you the night and the day that you may rest therein and [by day] seek from His bounty and [that] perhaps you will be grateful.
Ussi ney tumharay liye apnay fazal-o-karam say din raat muqarrar ker diye hain kay tum raat mein aaraam kero aur din mein uss ki bheji hui rozi talash kero yeh iss liye kay tum shukar ada kero.
उस ने अपनी दयालुता से तुम्हारे लिए रात और दिन बनाए, ताकि तुम उस में (रात में) आराम पाओ और ताकि तुम (दिन में) उस का अनुग्रह (रोज़ी) तलाश करो और ताकि तुम कृतज्ञता दिखाओ।"
And of His signs is your sleep by night and day and your seeking of His bounty. Indeed in that are signs for a people who listen.
Aur ( bhi ) uss ki ( qudrat ki ) nishani tumhari raton aur din ki neend mein hai aur uss kay fazal ( yani rozi ) ko tumhara talash kerna bhi hai. Jo log ( kaan laga ker ) sunnay kay aadi hain unn kay liye iss mein boht si nishaniyan hain.
और उस की निशानियों में से तुम्हारा रात और दिन का सोना और तुम्हारा उस के अनुग्रह की तलाश करना भी है। निश्चय ही इसमें निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो सुनते हैं
That He may reward those who have believed and done righteous deeds out of His bounty. Indeed, He does not like the disbelievers.
Takay Allah Taalaa unhen apnay fazal say jaza dey jo eman laye aur nek aemaal kiyey woh kafiron ko dost nahi rakhta hai.
ताकि वह अपने उदार अनुग्रह से उन लोगों को बदला दे जो ईमान लाए और उन्होंने अच्छे कर्म किए। निश्चय ही वह इनकार करने वालों को पसन्द नहीं करता। -
And of His signs is that He sends the winds as bringers of good tidings and to let you taste His mercy and so the ships may sail at His command and so you may seek of His bounty, and perhaps you will be grateful.
Uss ki nishaniyon mein say khushkhabriyan denay wali hawaon ko chalana bhi hai iss liye kay tumhen apni rehmat say lutf andoz keray aur iss liye kay uss kay hukum say kashtiyan chalen aur iss liye kay uss kay fazal ko tum dhondo aur iss liye kay tum shukar guzari kero.
और उस की निशानियों में से यह भी है कि शुभ सूचना देने वाली हवाएँ भेजता है (ताकि उन के द्वारा तुम्हें वर्षा की शुभ सूचना मिले) और ताकि वह तुम्हें अपनी दयालुता का रसास्वादन कराए और ताकि उस के आदेश से नौकाएँ चलें और ताकि तुम उस का अनुग्रह (रोज़ी) तलाश करो और कदाचित तुम कृतज्ञता दिखलाओ
And not alike are the two bodies of water. One is fresh and sweet, palatable for drinking, and one is salty and bitter. And from each you eat tender meat and extract ornaments which you wear, and you see the ships plowing through [them] that you might seek of His bounty; and perhaps you will be grateful.
Aur barabar nahi do darya yeh meetha hai piyas bujhata peenay mein khusgawar aur yeh doosra khaari hai kerwa tum inn dono mein say taza gosht khatay ho aur woh zewraat nikaltay ho jinhen tum pehantay ho. Aur aap dekhtay hian kay bari bari kashtiyan pani ko cheerney pharney wali inn daryayon mein hain takay tum uss ka fazal dhondo aur takay tum uss ka shukar kero.
दोनों सागर समान नहीं, यह मीठा सुस्वाद है जिस से प्यास जाती रहे, पीने में रुचिकर। और यह खारा-कडुवा है। और तुम प्रत्येक में से तरोताज़ा माँस खाते हो और आभूषण निकालते हो, जिसे तुम पहनते हो। और तुम नौकाओं को देखते हो कि चीरती हुई उस में चली जा रही हैं, ताकि तुम उस का उदार अनुग्रह तलाश करो और कदाचित तुम आभारी बनो
That He may give them in full their rewards and increase for them of His bounty. Indeed, He is Forgiving and Appreciative.
Takay unn ko unki ujraten poori day aur unn ko apnay fazal say aur ziyadah day be-shak woh bara bakhsney wala qadardaan hai.
परिणामस्वरूप वह उन्हें उन के प्रतिदान पूरे-पूरे दे और अपने उदार अनुग्रह से उन्हें और अधिक भी प्रदान करे। निस्संदेह वह बहुत क्षमाशील, अत्यन्त गुणग्राहक है
He who has settled us in the home of duration out of His bounty. There touches us not in it any fatigue, and there touches us not in it weariness [of mind]."
Jiss ney hum ko apnay fazal say humesha rehney kay muqam mein la utara jahan na hum ko koi takleef phonchay gi aur na hum ko koi khastagi phonchay gi.
जिस ने हमें अपने उदार अनुग्रह से रहने के ऐसे घर में उतारा जहाँ न हमें कोई मशक़्क़त उठानी पड़ती है और न हमें कोई थकान ही आती है।"
And He answers [the supplication of] those who have believed and done righteous deeds and increases [for] them from His bounty. But the disbelievers will have a severe punishment.
eman walon aur neko kaar logon ki sunta hai aur unhen apnay fazal say aur barha ker deta hai aur kuffaar kay liye sakht azab hai.
और वह उन लोगों की प्रार्थनाएँ स्वीकार करता है जो ईमान लाए और उन्होंने अच्छे कर्म किए। और अपने उदार अनुग्रह से उन्हें और अधिक प्रदान करता है। रहे इनकार करने वाले, तो उन के लिए कड़ी यातना है
It is Allah who subjected to you the sea so that ships may sail upon it by His command and that you may seek of His bounty; and perhaps you will be grateful.
Alla hi hai jiss ney tumharay liye darya ko taabey bana diya takay uss kay hukum say iss mein kashtiyan chalen aur tum uss ka fazal talash keroaur takay tum shukar baja lao.
वह अल्लाह ही है जिस ने समुद्र को तुम्हारे लिए वशीभूत कर दिया है, ताकि उस के आदेश से नौकाएँ उस में चलें; और ताकि तुम उस का उदार अनुग्रह तलाश करो; और इसलिए कि तुम कृतज्ञता दिखाओ