And, [O Muhammad], you are not [engaged] in any matter or recite any of the Qur'an and you [people] do not do any deed except that We are witness over you when you are involved in it. And not absent from your Lord is any [part] of an atom's weight within the earth or within the heaven or [anything] smaller than that or greater but that it is in a clear register.
Aur aap kissi haal mein hon aur munjmila inn ehwaal kay aap kahin say quran parhtay hon aur jo kaam bhi kertay hon hum ko sab ki khabar rehti hai jab tum uss kaam mein mashghool hotay ho. Aur aap kay rab say koi cheez zarra barabar bhi ghaeeb nahi na zamin mein aur na aasman mein aur na koi cheez uss say choti aur na koi cheez bari magar yeh sab kitab-e-mubin mein hai.
और तुम जिस हाल में भी हो और क़ुरआन में से जो हिस्सा भी सुना रहे हो और तुम लोग जो काम भी करते हो हम तुम्हारे ऊपर गवाह रहते हैं जिस वक़्त तुम उसमें मशग़ूल रहते हो, और आपके रब से ज़र्रा बराबर भी कोई चीज़ ग़ायब नहीं, न ज़मीन में और न आसमान में और न उससे छोटी और न बड़ी, मगर वह एक वाज़ेह किताब में (महफ़ूज़) है।
And there is no creature on earth but that upon Allah is its provision, and He knows its place of dwelling and place of storage. All is in a clear register.
Zamin per chlaney phirney walay jitney jaandaar hain sab ki roziyan Allah Taalaa per hain wohi unn kay rehney sehney ki jagah ko janta hai aur unn kay sonpay janey ki jagah ko bhi sab kuch wazeh kitab mein mojood hai.
और ज़मीन पर कोई चलने वाला ऐसा नहीं जिसकी रोज़ी अल्लाह के ज़िम्मे न हो, और वह जानता है जहाँ कोई ठहरता है और जहाँ वह सौंपा जाता है, सब कुछ एक खुली किताब में मौजूद है।
Allah eliminates what He wills or confirms, and with Him is the Mother of the Book.
Allah jo chahaye mita dey aur jo chahaye sabit rakhay loh-e-mehfooz ussi kay pass hai.
अल्लाह जिसको चाहे मिटाता है और जिसको चाहे बाक़ी रखता है और उसी के पास असल किताब है।
And [for] every person We have imposed his fate upon his neck, and We will produce for him on the Day of Resurrection a record which he will encounter spread open.
Hum ney her insan ki buraee bhalaee ko uss kay galay laga diya hai aur baroz qayamat hum uss kay samney uss ka naam-e-aemaal nikalen gay jissay woh apney upper khulla hua paa ley ga.
और हमने हर इंसान की बुराई-भलाई को उसके गले लगा दिया है, और हम क़यामत के दिन उसके लिए एक किताब निकालेंगे जिसको वह खुला हुआ पाएगा।
And the record [of deeds] will be placed [open], and you will see the criminals fearful of that within it, and they will say, "Oh, woe to us! What is this book that leaves nothing small or great except that it has enumerated it?" And they will find what they did present [before them]. And your Lord does injustice to no one.
Aur naam-e-aemaal samney rakh diye jayen gay. Pus tu dekhay ga kay gunhegar iss ki tehreer say khofzada horahey hongay aur keh rahey hongay haaye humari kharabi yeh kaisi kitab hai jiss ney koi chota bara baghair gheray kay baqi hi nahi chora aur jo kuch enhon ney kiya tha sab mojood payen gay aur tera rab kissi per zulm-o-sitam na keray ga.
किताब (कर्मपत्रिका) रखी जाएगी तो अपराधियों को देखोंगे कि जो कुछ उस में होगा उस से डर रहे हैं और कह रहे हैं, "हाय, हमारा दुर्भाग्य! यह कैसी किताब है कि यह न कोई छोटी बात छोड़ती है न बड़ी, बल्कि सभी को इसने अपने अन्दर समाहित कर रखा है।" जो कुछ उन्होंने किया होगा सब मौजूद पाएँगे। तुम्हारा रब किसी पर ज़ुल्म न करेगा
[Moses] said, "The knowledge thereof is with my Lord in a record. My Lord neither errs nor forgets."
Jawab diya kay inn ka ilm meray rab kay haan kitab mein mojood hai na to mera rab ghalati kerta hai na bhoolta hai.
कहा, "उस का ज्ञान मेरे रब के पास एक किताब में सुरक्षित है। मेरा रब न चूकता है और न भूलता है।"
And [that they may know] that the Hour is coming - no doubt about it - and that Allah will resurrect those in the graves.
Aur yeh kay qayamat qata’an aaney wali hai jiss mein koi shak-o-shuba nahi aur yaqeenan Allah Taalaa qabron walon ko doobara zinda farmaye ga.
और यह कि क़ियामत की घड़ी आने वाली है, इसमें कोई सन्देह नहीं है। और यह कि अल्लाह उन्हें उठाएगा जो क़ब्रों में हैं
And We charge no soul except [with that within] its capacity, and with Us is a record which speaks with truth; and they will not be wronged.
Hum kissi nafs ko uss ki taqat say ziyada takleef nahi detay aur humaray pass aisi kitab hai jo haq kay sath bolti hai inn kay upper kuch bhi zulm na kiya jayega.
हम किसी व्यक्ति पर उस की समाई (क्षमता) से बढ़कर ज़िम्मेदारी का बोझ नहीं डालते और हमारे पास एक किताब है, जो ठीक-ठीक बोलती है, और उन पर ज़ुल्म नहीं किया जाएगा
And there is nothing concealed within the heaven and the earth except that it is in a clear Register.
Aasman-o-zamin ki koi posheeda cheez bhi aisi nahi jo roshan aur khulli kitab mein na ho.
आकाश और धरती में छिपी कोई भी चीज़ ऐसी नहीं जो एक स्पष्ट किताब में मौजूद न हो
But those who were given knowledge and faith will say, "You remained the extent of Allah 's decree until the Day of Resurrection, and this is the Day of Resurrection, but you did not used to know."
Aur jin logon ko ilm aur eman diya gaya woh jawab den gay kay tum to jaisa kitab-ul-llah mein hai yom-e-qayamat tak theray rahey. Aaj ka yeh din qayamat hi ka din hai lekin tum to yaqeen hi nahi mantay thay.
किन्तु जिन लोगों को ज्ञान और ईमान प्रदान हुआ, वे कहेंगे, "अल्लाह के लेख में तो तुम जीवित होकर उठने के दिन तक ठहरे रहे हो। तो यही जीवित हो उठने का दिन है। किन्तु तुम जानते न थे।"
But those who disbelieve say, "The Hour will not come to us." Say, "Yes, by my Lord, it will surely come to you. [ Allah is] the Knower of the unseen." Not absent from Him is an atom's weight within the heavens or within the earth or [what is] smaller than that or greater, except that it is in a clear register -
Kuffaar kehtay hain hum per qayamat nahi aaye gi. Aap keh dijiyey! Kay mujhay meray rab ki qasam! Jo aalim-ul-ghaib hai kay woh yaqeenan tum per aaye gi Allah Taalaa say aik zarray kay barabar ki cheez bhi posheedah nahi na aasmano mein aur na zamin mein bulkay iss say bhi choti aur bari her cheez khuli kitab mein mojood hai.
जिन लोगों ने इनकार किया उन का कहना है कि "हम पर क़ियामत की घड़ी नहीं आएगी।" कह दो, "क्यों नहीं, मेरे परोक्ष ज्ञाता रब की क़सम! वह तो तुम पर आकर रहेगी - उस से कणभर भी कोई चीज़ न तो आकाशों में ओझल है और न धरती में, और न इससे छोटी कोई चीज़ और न बड़ी। किन्तु वह एक स्पष्ट किताब में अंकित है। -
And Allah created you from dust, then from a sperm-drop; then He made you mates. And no female conceives nor does she give birth except with His knowledge. And no aged person is granted [additional] life nor is his lifespan lessened but that it is in a register. Indeed, that for Allah is easy.
Logo! Allah Taalaa ney tumhen mitti say phir nutfa peda kiya hai phir tumhen joray joray ( mard-o-aurat ) banadiya hai aurton ka hamila hona aur bachon ka tawallud hona sab uss kay ilm say hi hai aur jo bari umar wala umar diya jaye aur jiss kissi ki umar ghatay woh sab kitab mein likha hua hai. Allah Taalaa per yeh baat bilkul aasan hai.
अल्लाह ने तुम्हें मिट्टी से पैदा किया, फिर वीर्य से, फिर तुम्हें जोड़े-जोड़े बनाया। उस के ज्ञान के बिना न कोई स्त्री गर्भवती होती है और न जन्म देती है। और जो कोई आयु को प्राप्ति करने वाला आयु को प्राप्त करता है और जो कुछ उस की आयु में कमी होती है। अनिवार्यतः यह सब एक किताब में लिखा होता है। निश्चय ही यह सब अल्लाह के लिए अत्यन्त सरल है
Indeed, it is We who bring the dead to life and record what they have put forth and what they left behind, and all things We have enumerated in a clear register.
Be-shak hum murdon ko zindah keren gay aur hum likhtay jatay hain woh aemaal bhi jin ko log aagay bhejtay hain aur unn kay woh aemaal bhi jin ko peechay chor jatay hain aur hum ney her cheez ko aik wazeh kitab mein zabt ker rakha hai.
निस्संदेह हम मुर्दों को जीवित करेंगे और हम लिखेंगे जो कुछ उन्होंने आगे के लिए भेजा और उन के चिन्हों को (जो पीछे रहा) । हर चीज़ हम ने एक स्पष्ट किताब में गिन रखी है
And the earth will shine with the light of its Lord, and the record [of deeds] will be placed, and the prophets and the witnesses will be brought, and it will be judged between them in truth, and they will not be wronged.
Aur zamin apney perwerdigar ka noor say jagmaga uthay gi naam-e-aemaal hazir kiyey jayen gay nabiyon aur gawahon ko ko laya jayega aur logon kay darmiyan haq haq faislay ker diyey jayen gay aur woh zulm na kiyey jayen gay.
और धरती रब के प्रकाश से जगमगा उठेगी, और किताब रखी जाएगी और नबियों और गवाहों को लाया जाएगा और लोगों के बीच हक़ के साथ फ़ैसला कर दिया जाएगा, और उन पर कोई ज़ुल्म न होगा
And they say, "[We pledge] obedience." But when they leave you, a group of them spend the night determining to do other than what you say. But Allah records what they plan by night. So leave them alone and rely upon Allah . And sufficient is Allah as Disposer of affairs.
Yeh kehtay to hain kay ita’at hai phir jab aap kay pass say uth ker bahir nikaltay hain to inn mein ki aik jamat jo baat aap ney ya uss ney kahi hai uss kay khilaf raaton ko mashwaray kerti hai inn ki raaton ki baat cheet Allah Taalaa likh raha hai to aap inn say mun pher len aur Allah per bharosa rakhen Allah Taalaa kafi kaar saaz hai.
और ये लोग कहते हैं कि हमको क़बूल है, फिर जब आपके पास से निकलते हैं तो उन में से एक गिरोह उसके ख़िलाफ़ मशवरा करता है जो वह कह चुका था, और अल्लाह उनकी सरगोशियों को लिख रहा है, पस आप उनसे दूर रहें और अल्लाह पर भरोसा रखें, और अल्लाह भरोसे के लिए काफ़ी है।
And indeed it is, in the Mother of the Book with Us, exalted and full of wisdom.
Yaqeenan yeh loh-e-mehfooz mein hai aur humaray nazdeek buland martba hikmat wali hai.
और निश्चय ही वह मूल किताब में अंकित है, हमारे यहाँ बहुत उच्च कोटि की, तत्वदर्शिता से परिपूर्ण है
And you will see every nation kneeling [from fear]. Every nation will be called to its record [and told], "Today you will be recompensed for what you used to do.
Aur aap dekhen gay kay her ummat ghutnon kay bal giri hui hogi. Her giroh apnay naam-e-aemaal ki taraf bulaya jayega aaj tumhen apnay kiyey ka badla diya jayega.
और तुम प्रत्येक गिरोह को घुटनों के बल झुका हुआ देखोगे। प्रत्येक गिरोह अपनी किताब की ओर बुलाया जाएगा, "आज तुम्हें उसी का बदला दिया जाएगा, जो तुम करते थे
We know what the earth diminishes of them, and with Us is a retaining record.
Zamin jo kuch inn mein say ghatati hai who humen maloom hai aur humaray pass sabb yaad rakhnay waali kitab hai.
हम जानते हैं कि धरती उन में जो कुछ कमी करती है और हमारे पास सुरक्षित रखने वाली एक किताब भी है
No disaster strikes upon the earth or among yourselves except that it is in a register before We bring it into being - indeed that, for Allah , is easy -
Na koi museebat duniya main aati hai na ( Khaas ) tumhari jaanon main magar iss say pehlay kay hum usko peda keran woh aik khaas kitab main likhi hui hai yeh ( kaam ) Allah taalaa per ( bilkul ) aasan hai
जो मुसीबतें भी धरती में आती है और तुम्हारे अपने ऊपर, वह अनिवार्यतः एक किताब में अंकित है, इससे पहले कि हम उसे अस्तित्व में लाएँ - निश्चय ही यह अल्लाह के लिए आसान है -
And with Him are the keys of the unseen; none knows them except Him. And He knows what is on the land and in the sea. Not a leaf falls but that He knows it. And no grain is there within the darknesses of the earth and no moist or dry [thing] but that it is [written] in a clear record.
Aur Allah Taalaa hi kay pass hain ghaib ki kunjiyan ( khazaney ) inn ko koi nahi janta ba-juz Allah kay. Aur woh tamam cheezon ko janta hai jo kuch khushki mein hain aur jo kuch daryaon mein hain aur koi patta nahi girta magar woh iss ko bhi janta hai aur koi dana zamin kay tareek hisson mein nahi parta aur na koi tarr aur na koi khush cheez girti hai magar yeh sab kitab-e-mubeen mein hain.
और उसी के पास ग़ैब की कुंजियाँ हैं जिसे उसके सिवा कोई नहीं जानता, अल्लाह जानता है जो कुछ ख़ुश्की में और समुंदर में है, और दरख़्त से गिरने वाला कोई पत्ता ऐसा नहीं जिसका उसे इल्म न हो और ज़मीन की तारीकियों में कोई दाना नहीं गिरता और न कोई तर और ख़ुश्क चीज़ मगर सब एक खुली किताब में दर्ज है।
So as for he who is given his record in his right hand, he will say, "Here, read my record!
So jissay uska nama e amal us kay daein hath mein diya jaey ga to wo kehnay lagay ga kay lo mera nama e amal parh lo
फिर जिस किसी को उस का कर्म-पत्र उस के दाहिने हाथ में दिया गया, तो वह कहेगा, "लो पढ़ो, मेरा कर्म-पत्र!
But all things We have enumerated in writing.
Hum nay her ik chez ko likh ker shumar ker rakah hay
और हम ने हर चीज़ लिख कर गिन रखी है
No! Indeed, the record of the wicked is in sijjeen.
yaqenan badkaron ka nama e amal sijeen mein hay
कुछ नहीं, निश्चय ही दुराचारियों का काग़ज 'सिज्जीन' में है
Then as for he who is given his record in his right hand,
To ( us waqt ) jis shaks kydahaney hath mein aamaal naama diya jaiyga
फिर जिस किसी को उस का कर्म-पत्र उस के दाहिने हाथ में दिया गया,
[Inscribed] in a Preserved Slate.
loh e mahfooz mein ( likha hua ) hay
सुरक्षित पट्टिका में अंकित है