In the name of Allah , the Entirely Merciful, the Especially Merciful.
Shuroo Allah kay naam say jo bara meharban nehayat reham kerney wala hai
ALlah ke nam se jo bhut meh ban, rhm krne vala hE
Whatever is in the heavens and whatever is on the earth exalts Allah , and He is the Exalted in Might, the Wise.
Aasmanon aur zamin ki her cheez Allah Taalaa ki paki biyan kerti hai aur woh ghalib ba hikmat hai.
अल्लाह की तसबीह की है हर उस चीज़ ने जो आकाशों और धरती में है, और वही प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
It is He who expelled the ones who disbelieved among the People of the Scripture from their homes at the first gathering. You did not think they would leave, and they thought that their fortresses would protect them from Allah ; but [the decree of] Allah came upon them from where they had not expected, and He cast terror into their hearts [so] they destroyed their houses by their [own] hands and the hands of the believers. So take warning, O people of vision.
Wohi hai jiss ney ehal-e-kitab mein say kafiron ko unn kay gharon say pehlay hashar kay waqt nikala tumhara gumaan ( bhi ) na tha kay woh niklen gay aur woh khud ( bhi ) samajh rahey thay kay unn kay ( sangeen ) qilay unhen Allah ( kay azab ) say bacha len gay pus unn per Allah ( ka azab ) aisi jagah say aa para kay unhen gumaan bhi na tha aur unn kay dilon mein Allah ney rob daal diya aur apney gharon ko apney hi haathon ujaar rahey thay aur musalmanon kay haathon ( barbad kerwa rahey thay ) pus aey aankhon walo! Ibrat hasil kero.
वही है जिस ने किताब वालों में से उन लोगों को जिन्होंने इनकार किया, उन के घरों से पहले ही जमावड़े में निकल बाहर किया यद्यपि तुम्हें गुमान न था कि वे निकल जाऐंगे। वे समझ रहे थे कि उन की गढ़ियाँ अल्लाह से उन्हें बचा लेंगी। किन्तु अल्लाह उन पर वहाँ से आया जिस का उन्हें गुमान भी न था। और उस ने उन के दिलों में रोब डाल दिया कि वे अपने घरों को स्वयं अपने हाथों और ईमान वालों के हाथों भी उजाड़ने लगे। अतः शिक्षा ग्रहण करो, ऐ दृष्टि रखने वालो!
And if not that Allah had decreed for them evacuation, He would have punished them in [this] world, and for them in the Hereafter is the punishment of the Fire.
Aur agar Allah Taalaa ney inn per jila watni ko muqaddar na ker diya hota to yaqeenan enhen duniya mein azab deta aur aakhirat mein ( to ) inn kay liye aag ka azab hai hi.
यदि अल्लाह ने उन के लिए देश निकाला न लिख दिया होता तो दुनिया में ही वह उन्हें अवश्य यातना दे देता, और आख़िरत में तो उन के लिए आग की यातना है ही
That is because they opposed Allah and His Messenger. And whoever opposes Allah - then indeed, Allah is severe in penalty.
Yeh iss liye kay enhon ney Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ki mukhalifat ki aur jo bhi Allah ki mukhalifat keray ga to Allah Taalaa bhi sakht azab kerney wala hai.
यह इसलिए कि उन्होंने अल्लाह और उस के रसूल का मुक़ाबला करने की कोशिश की। और जो कोई अल्लाह का मुक़ाबला करता है तो निश्चय ही अल्लाह की यातना बहुत कठोर है
Whatever you have cut down of [their] palm trees or left standing on their trunks - it was by permission of Allah and so He would disgrace the defiantly disobedient.
Tum ney khujooron kay jo darakht kaat dalay ya jinhen tum ney unn ki jaron mein baqi rehney diya. Yeh sab Allah Taalaa kay farmaan say tha aur iss liye bhi kay fasiqon ko Allah Taalaa ruswa keray.
तुम ने खजूर के जो वृक्ष काटे या उन्हें उन की जड़ों पर खड़ा छोड़ दिया तो यह अल्लाह ही की अनुज्ञा से हुआ (ताकि ईमान वालों के लिए आसानी पैदा करे) और इसलिए कि वह अवज्ञाकारियों को रुसवा करे
And what Allah restored [of property] to His Messenger from them - you did not spur for it [in an expedition] any horses or camels, but Allah gives His messengers power over whom He wills, and Allah is over all things competent.
Aur inn ka jo maal Allah Taalaa ney apney rasool kay haath lagaya hai jiss per na to tum ney ghoray doraye hain aur na oont bulkay Allah Taalaa apney rasool ko jiss per chahaye ghalib ker deta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
और अल्लाह ने उन से लेकर अपने रसूल की ओर जो कुछ पलटाया, उस के लिए न तो तुम ने घोड़े दौड़ाए और न ऊँट। किन्तु अल्लाह अपने रसूलों को जिस पर चाहता है प्रभुत्व प्रदान कर देता है। अल्लाह को तो हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
And what Allah restored to His Messenger from the people of the towns - it is for Allah and for the Messenger and for [his] near relatives and orphans and the [stranded] traveler - so that it will not be a perpetual distribution among the rich from among you. And whatever the Messenger has given you - take; and what he has forbidden you - refrain from. And fear Allah ; indeed, Allah is severe in penalty.
Bastiyon walon ka jo ( maal ) Allah Taalaa tumharay laray bhiray baghair apney rasool kay haath lagaye woh Allah ka hai aur rasool ka aur qarabat walon ka aur yateemon miskeenon ka aur musafiron ka hai takay tumharay dolat mandon kay haath mein hi yeh maal gardish kerta na reh jaye aur tumhen jo kuch rasool dey ley lo aur jiss say rokay ruk jao aur Allah Taalaa say dartay raha kero yaqeenan Allah Taalaa sakht azab wala hai.
जो कुछ अल्लाह ने अपने रसूल की ओर बस्तियों वालों से लेकर पलटाया वह अल्लाह और रसूल और (मुहताज) नातेदार और अनाथों और मुहताजों और मुसाफ़िर के लिए है, ताकि वह (माल) तुम्हारे मालदारों ही के बीच चक्कर न लगाता रहे - रसूल जो कुछ तुम्हें दे उसे ले लो और जिस चीज़ से तुम्हें रोक दे उस से रुक जाओ, और अल्लाह का डर रखो। निश्चय ही अल्लाह की यातना बहुत कठोर है। -
For the poor emigrants who were expelled from their homes and their properties, seeking bounty from Allah and [His] approval and supporting Allah and His Messenger, [there is also a share]. Those are the truthful.
( fey kaa maal ) unn mohajir miskeenon kay liye hai jo apney gharon say aur apney maalon say nikal diye gaye hain woh Allah kay fazal aur uss ki raza mandi kay talabgaar hain aur Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ki madad kertay hain yehi raast baaz log hain.
वह ग़रीब मुहाजिरों के लिए है, जो अपने घरों और अपने मालों से इस हालत में निकाल बाहर किए गए हैं कि वे अल्लाह का उदार अनुग्रह और उस की प्रसन्नता की तलाश में हैं और अल्लाह और उस के रसूल की सहायता कर रहे हैं, और वही वास्तव में सच्चे हैं
And [also for] those who were settled in al-Madinah and [adopted] the faith before them. They love those who emigrated to them and find not any want in their breasts of what the emigrants were given but give [them] preference over themselves, even though they are in privation. And whoever is protected from the stinginess of his soul - it is those who will be the successful.
Aur ( unn kay liye ) jinhon ney iss ghar mein ( yani madina ) aur eman mein inn say pehlay jagah bana li hai aur apni taraf hijrat ker kay aaney walon say mohabbat kertay hain aur mohajireen ko jo kuch dey diya jaye iss say woh apney dilon mein koi tangi nahi rakhtay bulkay khud apney upper enhen tarjeeh detay hain go khud ko kitni hi sakht haajat ho ( baat yeh hai ) kay jo bhi apney nafs kay bukhul say bachaya gaya wohi kaamyaab ( aur baa murad ) hai.
और उन के लिए जो उन से पहले ही से हिजरत के घर (मदीना) में ठिकाना बनाए हुए हैं और ईमान पर जमे हुए हैं, वे उन से प्रेम करते हैं जो हिजरत करके उन के यहाँ आए हैं और जो कुछ भी उन्हें दिया गया उस से वे अपने सीनों में कोई खटक नहीं पाते और वे उन्हें अपने मुक़ाबले में प्राथमिकता देते हैं, यद्यपि अपनी जगह वे स्वयं मुहताज ही हों। और जो अपने मन के लोभ और कृपणता से बचा लिया जाए ऐसे लोग ही सफल हैं
And [there is a share for] those who came after them, saying, "Our Lord, forgive us and our brothers who preceded us in faith and put not in our hearts [any] resentment toward those who have believed. Our Lord, indeed You are Kind and Merciful."
Aur ( unn kay liye ) jo inn kay baad aayen jo kahen gay kay aey huamray perwerdigar humen baksh dey aur humaray unn bhaiyon ko bhi jo hum say pehlay eman laa chukay hain aur eman daaron ki taraf say humaray dil mein keena ( aur dushmani ) naa daal aey humaray rab be-shak tu shafqat aur meharbani kerney wala hai.
और (इस माल में उन का भी हिस्सा है) जो उन के बाद आए, वे कहते हैं, "ऐ हमारे रब! हमें क्षमा कर दे और हमारे उन भाइयों को भी जो ईमान लाने में हम से अग्रसर रहे और हमारे दिलों में ईमान वालों के लिए कोई विद्वेष न रख। ऐ हमारे रब! तू निश्चय ही बड़ा करुणामय, अत्यन्त दयावान है।"
Have you not considered those who practice hypocrisy, saying to their brothers who have disbelieved among the People of the Scripture, "If you are expelled, we will surely leave with you, and we will not obey, in regard to you, anyone - ever; and if you are fought, we will surely aid you." But Allah testifies that they are liars.
Kiya tu ney munfiqon ko na dekha? Kay apney ehal-e-kitab kafir bhaiyon say kehtay hain kay agar tum jila watan kiye gaye to zaroor bil zaroor hum bhi tumharay sath nikal kharay hongay aur tumharay baray mein hum kabhi bhi kissi ki baat na maanen gay aur agar tum say jang ki jaye gi to ba khuda hum tumhari madad keren gay lekin Allah Taalaa gawahi deta hai kay yeh qata’an jhootay hain.
क्या तुम ने उन लोगों को नहीं देखा जिन्होंने कपटाचार की नीति अपनाई है, वे अपने किताब वाले उन भाइयों से, जो इनकार की नीति अपनाए हुए हैं, कहते हैं, "यदि तुम्हें निकाला गया तो हम भी अवश्य ही तुम्हारे साथ निकल जाएँगे और तुम्हारे मामले में किसी की बात कभी भी नहीं मानेंगे। और यदि तुम से युद्ध किया गया तो हम अवश्य तुम्हारी सहायता करेंगे।" किन्तु अल्लाह गवाही देता है कि वे बिलकुल झूठे हैं
If they are expelled, they will not leave with them, and if they are fought, they will not aid them. And [even] if they should aid them, they will surely turn their backs; then [thereafter] they will not be aided.
Agar woh jila watan kiye gaye to yeh unn kay sath na jayen gay aur agar inn say jang ki gaee yeh inn ki madad ( bhi ) na keren gay aur agar ( bil farz ) madad per aa bhi gaye to peeth pher ker ( bhaag kharay ) hon gay phir madad na kiye jayen gay.
यदि वे निकाले गए तो वे उन के साथ नहीं निकलेंगे और यदि उन से युद्ध हुआ तो वे उन की सहायता कदापि न करेंगे और यदि उन की सहायता करें भी तो पीठ फेंर जाएँगे। फिर उन्हें कोई सहायता प्राप्त न होगी
You [believers] are more fearful within their breasts than Allah . That is because they are a people who do not understand.
( musalmano! Yaqeen mano ) kay tumhari heybat inn kay dilon mein ba nisbat Allah ki heybat kay boht ziyada hai yeh iss liye kay yeh bey samajh log hain.
उन के दिलों में अल्लाह से बढ़कर तुम्हारा भय समाया हुआ है। यह इसलिए कि वे ऐसे लोग हैं जो समझते नहीं
They will not fight you all except within fortified cities or from behind walls. Their violence among themselves is severe. You think they are together, but their hearts are diverse. That is because they are a people who do not reason.
Yeh sab mill ker bhi tum say larr nahi saktay haan yeh aur baat hai kay qila band muqamaat mein hon ya deewaron ki aarh mein hon inn ki laraeeto inn mein aapas mein hi boht sakht hai go aap enhen mutahid samajh rahey hain lekin inn kay dil dar asal aik doosray say juda hain iss lie kay yeh bey aqal log hain.
वे इकट्ठे होकर भी तुम से (खुले मैदान में) नहीं लड़ेगे, क़िलाबन्द बस्तियों या दीवारों के पीछे हों तो यह और बात है। उन की आपस में सख़्त लड़ाई है। तुम उन्हें इकट्ठा समझते हो! हालाँकि उन के दिल फटे हुए हैं। यह इसलिए कि वे ऐसे लोग हैं जो बुद्धि से काम नहीं लेते
[Theirs is] like the example of those shortly before them: they tasted the bad consequence of their affair, and they will have a painful punishment.
Unn logon ki tarah jo inn say kuch hi pehlay guzray hain jinhon ney apney kaam ka wabal chakh liya aur jin kay liye alam naak azab ( tayyar ) hai.
उन की हालत उन्हीं लोगों जैसी है जो उन से पहले निकट काल में अपने किए के वबाल का मज़ा चख चुके हैं, और उन के लिए दुखद यातना भी है
[The hypocrites are] like the example of Satan when he says to man, "Disbelieve." But when he disbelieves, he says, "Indeed, I am disassociated from you. Indeed, I fear Allah , Lord of the worlds."
Shetan ki tarah kay uss ney insan say kaha kufur ker jab woh kufur ker chuka to kehney laga mein to tujh say bari hun mein to Allah rab-ul-aalameen say darta hun.
इनकी मिसाल शैतान जैसी है कि जब उस ने मनुष्य से कहा, "क़ुफ़्र कर!" फिर जब वह कुफ़्र कर बैठा तो कहने लगा, "मैं तुम्हारी ज़िम्मेदारी से बरी हूँ। मैं तो सारे संसार के रब अल्लाह से डरता हूँ।"
So the outcome for both of them is that they will be in the Fire, abiding eternally therein. And that is the recompense of the wrong-doers.
Pus dono ka anjam yeh hua kay aatish ( dozakh ) mein hamesha kay liye gaye aur zalimon ki yehi saza hai.
फिर उन दोनों का परिणाम यह हुआ कि दोनों आग में गए, जहाँ सदैव रहेंगे। और ज़ालिमों का यही बदला है
O you who have believed, fear Allah . And let every soul look to what it has put forth for tomorrow - and fear Allah . Indeed, Allah is Acquainted with what you do.
Aey eman walon! Allah say dartay raho aur her shaks dekh ( bhaal ) ley kay kal ( qayamat ) kay wastay uss ney ( aemaal ka ) kiya ( zakheera ) bheja hai. Aur ( her waqt ) Allah say dartay raho Allah tumharay sab aemaal say ba khabar hai.
ऐ ईमान लाने वालो! अल्लाह का डर रखो। और प्रत्येक व्यक्ति को यह देखना चाहिए कि उस ने कल के लिए क्या भेजा है। और अल्लाह का डर रखो। जो कुछ भी तुम करते हो निश्चय ही अल्लाह उस की पूरी ख़बर रखता है
And be not like those who forgot Allah , so He made them forget themselves. Those are the defiantly disobedient.
Aur tum unn logon ki tarah mat ho jana jinhon ney Allah ( kay ehkaam ) ko bhula diya to Allah ney bhi unhen apni jano say ghafil ker diya aur aisay hi log na farmaan ( faasiq ) hotay hain.
और उन लोगों की तरह न हो जाना जिन्होंने अल्लाह को भुला दिया। तो उस ने भी ऐसा किया कि वे स्वयं अपने आप को भूल बैठे। वही अवज्ञाकारी हैं
Not equal are the companions of the Fire and the companions of Paradise. The companions of Paradise - they are the attainers [of success].
Ehal-e-naar aur ehal-e-jannat ( ba hum ) barabar nahi. Jo ehal-e-jannat hain wohi kaamyaab hain ( aur jo ehal-e-naar hain woh na kaam hain ) .
आग वाले और बाग़ वाले (जहन्नम वाले और जन्नत वाले) कभी समान नहीं हो सकते। बाग़ वाले ही सफ़ल हैं
If We had sent down this Qur'an upon a mountain, you would have seen it humbled and coming apart from fear of Allah . And these examples We present to the people that perhaps they will give thought.
Agar hum iss quran ko kissi pahar per utartay to tu dekhta kay khof-e-elahee say woh pust ho ker tukray tukray ho jata hum inn misalon ko logon kay samney biyan kertay hain takay woh ghor-o-fiker keren.
यदि हम ने इस क़ुरआन को किसी पर्वत पर भी उतार दिया होता तो तुम अवश्य देखते कि अल्लाह के भय से वह दबा हुआ और फटा जाता है। ये मिसालें लोगों के लिए हम इसलिए पेश करते हैं कि वे सोच-विचार करें
He is Allah , other than whom there is no deity, Knower of the unseen and the witnessed. He is the Entirely Merciful, the Especially Merciful.
Wohi Allah hai jiss kay siwa koi mabood nahi chupay khulay ka jannay wala meharban aur reham kerney wala.
वही अल्लाह है जिस के सिवा कोई पूज्य-प्रभु नहीं, परोक्ष और प्रत्यक्ष को जानता है। वह बड़ा कृपाशील, अत्यन्त दयावान है
He is Allah , other than whom there is no deity, the Sovereign, the Pure, the Perfection, the Bestower of Faith, the Overseer, the Exalted in Might, the Compeller, the Superior. Exalted is Allah above whatever they associate with Him.
Wohi Allah hai jiss kay siwa koi mabood nahi badshah nihayat pak sab aeybon say saaf aman denay wala nighehbaan ghalib zor aawar aur baraee wala pak hai Allah unn cheezon say jinhen yeh uss ka shareek banatay hain.
वही अल्लाह है जिस के सिवा कोई पूज्य नहीं। बादशाह है अत्यन्त पवित्र, सर्वथा सलामती, निश्चिन्तता प्रदान करने वाला, संरक्षक, प्रभुत्वशाली, प्रभावशाली (टुटे हुए को जोड़ने वाला), अपनी बड़ाई प्रकट करने वाला। महान और उच्च है अल्लाह उस शिर्क से जो वे करते हैं
He is Allah , the Creator, the Inventor, the Fashioner; to Him belong the best names. Whatever is in the heavens and earth is exalting Him. And He is the Exalted in Might, the Wise.
Wohi Allah hai peda kerney wala wujood bakshney wala soorat bananey wala ussi kay liye ( nihayat ) achay naam hain her cheez khuwa woh aasman mein ho khuwa zamin mein ho uss ki paki biyan kerti hai aur wohi ghalib hikmat wala hai.
वही अल्लाह है जो संरचना का प्रारूपक है, अस्तित्व प्रदान करने वाला, रूप देने वाला है। उसी के लिए अच्छे नाम है। जो चीज़ भी आकाशों और धरती में है, उसी की तसबीह कर रही है। और वह प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है