Among the believers are men true to what they promised Allah . Among them is he who has fulfilled his vow [to the death], and among them is he who awaits [his chance]. And they did not alter [the terms of their commitment] by any alteration -
Momino mein ( aisay ) log bhi hain jinhon ney jo ehad Allah Taalaa say kiya tha unhen sacha ker dikhaya baaz ney to apna ehad poora ker diya aur baaz ( moqay kay ) muntazir hain aur unhon ney koi tabdeeli nahi ki.
ईमान वालों के रूप में ऐसे पुरुष मौजूद हैं कि जो प्रतिज्ञा उन्होंने अल्लाह से की थी उसे उन्होंने सच्चा कर दिखाया। फिर उन में से कुछ तो अपना प्रण पूरा कर चुके और उन में से कुछ प्रतीक्षा में हैं। और उन्होंने अपनी बात तनिक भी नहीं बदली
That Allah may reward the truthful for their truth and punish the hypocrites if He wills or accept their repentance. Indeed, Allah is ever Forgiving and Merciful.
Takay Allah Taalaa sahon ko unn ki sachaee ka badla dey aur agar chahaye to munafiqon ko saza dey ya unn ki toba qabool farmaye Allah Taalaa bara hi bakhshney wala boht hi meharbaan hai.
ताकि इस के परिणामस्वरूप अल्लाह सच्चों को उन की सच्चाई का बदला दे और कपटाचारियों को चाहे तो यातना दे या उन की तौबा क़बूल करे। निश्चय ही अल्लाह बड़ा क्षमाशील, दयावान है
And Allah repelled those who disbelieved, in their rage, not having obtained any good. And sufficient was Allah for the believers in battle, and ever is Allah Powerful and Exalted in Might.
Aur Allah Taalaa ney kafiron ko gussay mein bharay huyey hi ( na murad ) lota diya unhon ney koi faeeda nahi paya aur uss jang mein Allah Taalaa khud hi momino ko kafi hogaya Allah Taalaa bara hi qooaton wala aur ghalib hai.
अल्लाह ने इनकार करने वालों को उन के अपने क्रोध के साथ फेर दिया। वे कोई भलाई प्राप्त न कर सके। अल्लाह ने मोमिनों को युद्ध करने से बचा लिया। अल्लाह तो है ही बड़ा शक्तिवान, प्रभुत्वशाली
And He brought down those who supported them among the People of the Scripture from their fortresses and cast terror into their hearts [so that] a party you killed, and you took captive a party.
Aur jin ehal-e-kitab ney unn say saaz baaz kerli thi unhen ( bhi ) Allah Taalaa ney unn qilon say nikal diya aur unn kay dilo mein ( bhi ) rob bhar diya kay tum unn kay aik girho ko qatal ker rahey ho aur aik giroh ko qaidi bana rahey ho.
और किताब वालों में से जिन लोगों ने उस की सहायता की थी, उन्हें उन की गढ़ियों से उतार लाया। और उन के दिलों में धाक बिठा दी कि तुम एक गिरोह को जान से मारने लगे और एक गिरोह को बन्दी बनाने लगे
And He caused you to inherit their land and their homes and their properties and a land which you have not trodden. And ever is Allah , over all things, competent.
Aur uss ney tumhen unn ki zamino ka aur unn kay gharbaar ka aur unn kay maal ka waris bana ker diya aur uss zamin ka bhi jiss ko tumharay qadmon ney ronda nahi Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
और उस ने तुम्हें उन के भू-भाग और उन के घरों और उन के मालों का वारिस बना दिया और उस भू-भाग का भी जिसे तुम ने पददलित नहीं किया। वास्तव में अल्लाह को हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
O Prophet, say to your wives, "If you should desire the worldly life and its adornment, then come, I will provide for you and give you a gracious release.
Aey nabi! Apni biwiyon say keh do kay agar tum zindaganiy-e-duniya aur zeenat-e-duniya chahati ho to aao mein tumhen kuch dey dila doon aur tumhen achaee kay sath tukhsat ker doon.
ऐ नबी! अपनी पत्नियों से कह दो कि "यदि तुम सांसारिक जीवन और उस की शोभा चाहती हो तो आओ, मैं तुम्हें कुछ दे-दिलाकर भली रीति से विदा कर दूँ
But if you should desire Allah and His Messenger and the home of the Hereafter - then indeed, Allah has prepared for the doers of good among you a great reward."
Aur agar tumhari murad Allah aur uss ka rasool aur aakhirat ka ghar hai to ( yaqeen mano kay ) tum mein say nek kaam kerney waliyon kay liye Allah Taalaa ney boht zabardast ajar rakh choray hain.
"किन्तु यदि तुम अल्लाह और उस के रसूल और आख़िरत के घर को चाहती हो तो निश्चय ही अल्लाह ने तुम में से उत्तमकार स्त्रियों के लिए बड़ा प्रतिदान रख छोड़ा है।"
Indeed, We have given you, [O Muhammad], a clear conquest
Be-shak ( aey nabi ) hum ney aap ko aik khullam khulla fatah di hai.
निश्चय ही हम ने तुम्हारे लिए एक खुली विजय प्रकट की,
That Allah may forgive for you what preceded of your sin and what will follow and complete His favor upon you and guide you to a straight path
Takay jo kuch teray gunah aagay huye aur jo peechay sab ko Allah Taalaa maaf farmaye, aur tujh per apna ehsan poora ker day aur tujhay seedhi raah chalaye.
ताकि अल्लाह तुम्हारे अगले और पिछले गुनाहों को क्षमा कर दे और तुम पर अपनी अनुकम्पा पूर्ण कर दे और तुम्हें सीधे मार्ग पर चलाए,
And [that] Allah may aid you with a mighty victory.
Aur aap ko aik zabardast madad day.
और अल्लाह तुम्हें प्रभावकारी सहायता प्रदान करे
It is He who sent down tranquillity into the hearts of the believers that they would increase in faith along with their [present] faith. And to Allah belong the soldiers of the heavens and the earth, and ever is Allah Knowing and Wise.
Wohi hai jiss ney musalmano kay dilon mein sukoon ( aur itminan ) daal diya takay apnay eman kay sath hi sath aur bhi eman mein barh jayen, aur aasmano aur zamin kay ( kul ) lashkar Allah hi kay hain. Aur Allah Taalaa dana ba-hikmat hai.
वहीं है जिस ने ईमान वालों के दिलों में सकीना (प्रशान्ति) उतारी, ताकि अपने ईमान के साथ वे और ईमान की अभिवृद्धि करें - आकाशों और धरती की सभी सेनाएँ अल्लाह ही की है, और अल्लाह सर्वज्ञ, तत्वदर्शी है। -
[And] that He may admit the believing men and the believing women to gardens beneath which rivers flow to abide therein eternally and remove from them their misdeeds - and ever is that, in the sight of Allah , a great attainment -
Takay momin mardon aur aurton ko inn jannaton mein ley jaye jinn kay neechay nehren beh rahi hain jahan woh hamesha rahen gay aur inn say unkay gunah door ker dey aur Allah kay nazdeek yeh boht bari kamyabi hai.
ताकि वह मोमिन पुरुषों और मोमिन स्त्रियों को ऐसे बाग़ों में दाख़िल करे जिन के नीचे नहरें बहती होंगी कि वे उन में सदैव रहें और उन से उन की बुराईयाँ दूर कर दे - यह अल्लाह के यहाँ बड़ी सफलता है। -
And [that] He may punish the hypocrite men and hypocrite women, and the polytheist men and polytheist women - those who assume about Allah an assumption of evil nature. Upon them is a misfortune of evil nature; and Allah has become angry with them and has cursed them and prepared for them Hell, and evil it is as a destination.
Aur takay inn munafiq mardon aur mufiq aurton aur mushrik mardon aur mushrika aurton ko azab day jo Allah Taalaa kay baray mein bad-gumaniyan rakhney walay hain. ( dar-asal ) enhin per buraee ka phera hai, Allah inn per naraz hua aur enhen lanat ki aur inn kay liye dozakh tayyar ki aur woh ( boht ) buri lotney ki jagah hai.
और कपटाचारी पुरुषों और कपटाचारी स्त्रियों और बहुदेववादी पुरुषों और बहुदेववादी स्त्रियों को, जो अल्लाह के बारे में बुरा गुमान रखते हैं, यातना दे। उन्हीं पर बुराई की गर्दिश है। उन पर अल्लाह का क्रोध हुआ और उस ने उन पर लानत की, और उस ने उन के लिए जहन्नम तैयार कर रखा है, और वह अत्यन्त बुरा ठिकाना है!
And to Allah belong the soldiers of the heavens and the earth. And ever is Allah Exalted in Might and Wise.
Aur Allah ji kay liye aasmano aur zamin kay lashkar hain aur Allah ghalib aur hikmat wala hai.
आकाशों और धरती की सब सेनाएँ अल्लाह ही की है। अल्लाह प्रभुत्वशाली, अत्यन्त तत्वदर्शी है
Indeed, We have sent you as a witness and a bringer of good tidings and a warner
Yaqeenan hum ney tujhay gawahee denay wala aur khushkhabri sunanay wala aur daraney wala bana ker bheja hai.
निश्चय ही हम ने तुम्हें गवाही देने वाला और शुभ सूचना देने वाला और सचेतकर्त्ता बनाकर भेजा,
That you [people] may believe in Allah and His Messenger and honor him and respect the Prophet and exalt Allah morning and afternoon.
Takay ( aey musalmano ) , tum Allah aur uss kay rasool per eman lao aur uss ki madad kero aur uss ka adab kero aur Allah ki paki biyan kero subah-o-shaam.
ताकि तुम अल्लाह और उस के रसूल पर ईमान लाओ, उसे सहायता पहुँचाओ और उस का आदर करो, और प्रातःकाल और संध्या समय उस की तसबीह करते रहो
Indeed, those who pledge allegiance to you, [O Muhammad] - they are actually pledging allegiance to Allah . The hand of Allah is over their hands. So he who breaks his word only breaks it to the detriment of himself. And he who fulfills that which he has promised Allah - He will give him a great reward.
Jo log tujh say bait kertay hain woh yaqeenan Allah say bait kertay hain, unkay hathon per Allah ka hath hai, to jo shaks ehad shikni keray woh apnay nafs per hi ehad shikni kerta hai aur jo shaks iss iqrar ko poora keray jo uss ney Allah kay sath kiya hai to ussay unqareeb Allah boht bara ajar deyga.
(ऐ नबी) वे लोग जो तुम से बैअत करते हैं वे तो वास्तव में अल्लाह ही से बैअत करते हैं। उन के हाथों के ऊपर अल्लाह का हाथ होता है। फिर जिस किसी ने वचन भंग किया तो वह वचन भंग करके उस का बवाल अपने ही सिर लेता है, किन्तु जिस ने उस प्रतिज्ञा को पूरा किया जो उस ने अल्लाह से की है तो उसे वह बड़ा बदला प्रदान करेगा
Those who remained behind of the bedouins will say to you, "Our properties and our families occupied us, so ask forgiveness for us." They say with their tongues what is not within their hearts. Say, "Then who could prevent Allah at all if He intended for you harm or intended for you benefit? Rather, ever is Allah , with what you do, Acquainted.
Dehatiyon mein say jo log peechay chor diyey gaye thay woh abb tujh say kahen gay kay hum apnay maal aur baal bachon mein lagay reh gaye pus aap humaray liye maghfirat talab kijiye. Yeh log apni zabano say woh kehtay hain jo inn kay dilon mein nahi hai. Aap jawab day dijiye kay tumharay liye Allah ki taraf say kissi cheez ka bhi ikhtiyar kon rakhta hai agar woh tumhen nuksan phonchana chahye to ya tumhen koi nafa dena chahye to, bulkay tum jo kuch ker rahey ho uss say Allah khoob ba-khabar hai.
जो बद्दू पीछे रह गए थे, वे अब तुम से कहेगे, "हमारे माल और हमारे घर वालों ने हमें व्यस्त कर रखा था; तो आप हमारे लिए क्षमा की प्रार्थना कीजिए।" वे अपनी ज़बानों से वे बातें कहते हैं जो उन के दिलों में नहीं। कहना कि, "कौन है जो अल्लाह के मुक़ाबले में तुम्हारे किए किसी चीज़ का अधिकार रखता है, यदि वह तुम्हें कोई हानि पहुँचानी चाहे या वह तुम्हें कोई लाभ पहुँचाने का इरादा करे? बल्कि जो कुछ तुम करते हो अल्लाह उस की ख़बर रखता है। -
But you thought that the Messenger and the believers would never return to their families, ever, and that was made pleasing in your hearts. And you assumed an assumption of evil and became a people ruined."
( Nahi ) bulkay tum ney to yeh guman ker rakha tha kay payghamber aur musalmano ka apnay gharon ki taraf lot aana qat’an na-mumkin hai aur yehi khayal tumharay dilon mein rach bus gaya tha aur tum ney bura guman ker rakha tha. Darasal tum log ho bhi halak honey walay.
"नहीं, बल्कि तुम ने यह समझा कि रसूल और ईमान वाले अपने घर वालों की ओर लौटकर कभी न आएँगे और यह तुम्हारे दिलों को अच्छा लगा। तुम ने तो बहुत बुरे गुमान किए और तुम्हीं लोग हुए तबाही में पड़ने वाले।"
It is He who expelled the ones who disbelieved among the People of the Scripture from their homes at the first gathering. You did not think they would leave, and they thought that their fortresses would protect them from Allah ; but [the decree of] Allah came upon them from where they had not expected, and He cast terror into their hearts [so] they destroyed their houses by their [own] hands and the hands of the believers. So take warning, O people of vision.
Wohi hai jiss ney ehal-e-kitab mein say kafiron ko unn kay gharon say pehlay hashar kay waqt nikala tumhara gumaan ( bhi ) na tha kay woh niklen gay aur woh khud ( bhi ) samajh rahey thay kay unn kay ( sangeen ) qilay unhen Allah ( kay azab ) say bacha len gay pus unn per Allah ( ka azab ) aisi jagah say aa para kay unhen gumaan bhi na tha aur unn kay dilon mein Allah ney rob daal diya aur apney gharon ko apney hi haathon ujaar rahey thay aur musalmanon kay haathon ( barbad kerwa rahey thay ) pus aey aankhon walo! Ibrat hasil kero.
वही है जिस ने किताब वालों में से उन लोगों को जिन्होंने इनकार किया, उन के घरों से पहले ही जमावड़े में निकल बाहर किया यद्यपि तुम्हें गुमान न था कि वे निकल जाऐंगे। वे समझ रहे थे कि उन की गढ़ियाँ अल्लाह से उन्हें बचा लेंगी। किन्तु अल्लाह उन पर वहाँ से आया जिस का उन्हें गुमान भी न था। और उस ने उन के दिलों में रोब डाल दिया कि वे अपने घरों को स्वयं अपने हाथों और ईमान वालों के हाथों भी उजाड़ने लगे। अतः शिक्षा ग्रहण करो, ऐ दृष्टि रखने वालो!
And if not that Allah had decreed for them evacuation, He would have punished them in [this] world, and for them in the Hereafter is the punishment of the Fire.
Aur agar Allah Taalaa ney inn per jila watni ko muqaddar na ker diya hota to yaqeenan enhen duniya mein azab deta aur aakhirat mein ( to ) inn kay liye aag ka azab hai hi.
यदि अल्लाह ने उन के लिए देश निकाला न लिख दिया होता तो दुनिया में ही वह उन्हें अवश्य यातना दे देता, और आख़िरत में तो उन के लिए आग की यातना है ही
That is because they opposed Allah and His Messenger. And whoever opposes Allah - then indeed, Allah is severe in penalty.
Yeh iss liye kay enhon ney Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ki mukhalifat ki aur jo bhi Allah ki mukhalifat keray ga to Allah Taalaa bhi sakht azab kerney wala hai.
यह इसलिए कि उन्होंने अल्लाह और उस के रसूल का मुक़ाबला करने की कोशिश की। और जो कोई अल्लाह का मुक़ाबला करता है तो निश्चय ही अल्लाह की यातना बहुत कठोर है
Whatever you have cut down of [their] palm trees or left standing on their trunks - it was by permission of Allah and so He would disgrace the defiantly disobedient.
Tum ney khujooron kay jo darakht kaat dalay ya jinhen tum ney unn ki jaron mein baqi rehney diya. Yeh sab Allah Taalaa kay farmaan say tha aur iss liye bhi kay fasiqon ko Allah Taalaa ruswa keray.
तुम ने खजूर के जो वृक्ष काटे या उन्हें उन की जड़ों पर खड़ा छोड़ दिया तो यह अल्लाह ही की अनुज्ञा से हुआ (ताकि ईमान वालों के लिए आसानी पैदा करे) और इसलिए कि वह अवज्ञाकारियों को रुसवा करे
And what Allah restored [of property] to His Messenger from them - you did not spur for it [in an expedition] any horses or camels, but Allah gives His messengers power over whom He wills, and Allah is over all things competent.
Aur inn ka jo maal Allah Taalaa ney apney rasool kay haath lagaya hai jiss per na to tum ney ghoray doraye hain aur na oont bulkay Allah Taalaa apney rasool ko jiss per chahaye ghalib ker deta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
और अल्लाह ने उन से लेकर अपने रसूल की ओर जो कुछ पलटाया, उस के लिए न तो तुम ने घोड़े दौड़ाए और न ऊँट। किन्तु अल्लाह अपने रसूलों को जिस पर चाहता है प्रभुत्व प्रदान कर देता है। अल्लाह को तो हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है