Indeed, they who conceal what Allah has sent down of the Book and exchange it for a small price - those consume not into their bellies except the Fire. And Allah will not speak to them on the Day of Resurrection, nor will He purify them. And they will have a painful punishment.
Be-shak jo log Allah Taalaa ki utari hui kitab chupatay hain ussay thori thori si qeemat per baichtay hain yaqeen mano kay yeh apney pet mein aag bhar rahey hain qayamat kay din Allah unn say baat bhi na keray ga na unhen pak keray ga bulkay unn kay liye dard naak azab hai,
बेशक जो लोग उस चीज़ को छुपाते हैं जो अल्लाह ने अपनी किताब में उतारी है और उसके बदले में थोड़ी क़ीमत लेते हैं, वे अपने पेट में सिर्फ़ आग भर रहे हैं, क़यामत के दिन अल्लाह न उनसे बात करेगा और न उनको पाक करेगा, और उनके लिए दर्दनाक अज़ाब है।
Indeed, the penalty for those who wage war against Allah and His Messenger and strive upon earth [to cause] corruption is none but that they be killed or crucified or that their hands and feet be cut off from opposite sides or that they be exiled from the land. That is for them a disgrace in this world; and for them in the Hereafter is a great punishment,
Jo Allah Taalaa say aur uss kay rasool say laren aur zamin mein fasaad kertay phiren unn ki saza yehi hai kay woh qatal ker diye jayen ya sooli charha diya jayen ya unhen jila watan ker diya jaye yeh to hui inn ki dunyawi zillat aur khuwari aur aakhirat mein inn kay liye bara bhari azab hai.
जो लोग अल्लाह और उसके रसूल से लड़ते हैं और ज़मीन में फ़साद करने के लिए दौड़ते हैं उनकी सज़ा यही है कि उनको क़त्ल कर दिया जाए या वह सूली पर चढ़ाए जाएं या उनके हाथ और पाँव मुख़ालिफ़ सिम्त से काटे जाएं या उनको मुल्क से बाहर निकाल दिया जाए, यह उनकी रुसवाई है दुनिया में और आख़िरत में, उनके लिए बड़ा अज़ाब है।
Indeed, those who disbelieve - if they should have all that is in the earth and the like of it with it by which to ransom themselves from the punishment of the Day of Resurrection, it will not be accepted from them, and for them is a painful punishment
Yaqeen mano kay kafiron kay liye agar woh sab kuch ho jo saari zamin mein hai bulkay issay kay misil aur bhi ho aur woh iss sab ko qayamat kay din azab kay badlay fidiye mein dena chahayen to bhi na mumkin hai kay inn ka fidya qabool ker liya jaye inn kay liye to dard naak azab hi hai.
बेशक जिन लोगों ने कुफ़्र किया है अगर उनके पास वह सब कुछ हो जो ज़मीन में है और उतना ही और हो; ताकि वे उसको फ़िदया में देकर क़यामत के दिन अज़ाब से छूट जाएं तब भी वह उनसे क़बूल न किया जाएगा और उनके लिए दर्दनाक अज़ाब है।
They will wish to get out of the Fire, but never are they to emerge therefrom, and for them is an enduring punishment.
Yeh chahayen gay kay dozakh mein say nikal jayen lekin yeh hergiz iss mein say na nikal saken gay inn kay liye to dawami azab hain.
वे चाहेंगे कि आग से निकल जाएं हालाँकि वे उससे निकल न सकेंगे, और उनके लिए एक मुस्तक़िल अज़ाब है।
And We have certainly created for Hell many of the jinn and mankind. They have hearts with which they do not understand, they have eyes with which they do not see, and they have ears with which they do not hear. Those are like livestock; rather, they are more astray. It is they who are the heedless.
Aur hum ney aisay boht say jinn aur insan dozakh kay liye peda kiye hain jin kay dil aisay hain jin say nahi samajhtay aur jin ki aankhen aisi hain jin say nahi dekhtay aur jin kay kaam aisay hain jin say nahi suntay. Yeh log chopayon ki tarah hain bulkay yeh unn say bhi ziyada gumrah hain. Yeho log ghafil hain.
और हमने जिन्नात और इंसान में से बहुतों को जहन्नम के लिए पैदा किया है, उनके दिल हैं जिनसे वे समझते नहीं, उनकी आँखें हैं जिनसे वे देखते नहीं और उनके कान हैं जिनसे वे सुनते नहीं, वे ऐसे हैं जैसे चौपाये बल्कि उनसे भी ज़्यादा बे-राह, यही लोग ग़ाफ़िल हैं।
And We have certainly created for Hell many of the jinn and mankind. They have hearts with which they do not understand, they have eyes with which they do not see, and they have ears with which they do not hear. Those are like livestock; rather, they are more astray. It is they who are the heedless.
Aur hum ney aisay boht say jinn aur insan dozakh kay liye peda kiye hain jin kay dil aisay hain jin say nahi samajhtay aur jin ki aankhen aisi hain jin say nahi dekhtay aur jin kay kaam aisay hain jin say nahi suntay. Yeh log chopayon ki tarah hain bulkay yeh unn say bhi ziyada gumrah hain. Yeho log ghafil hain.
और हमने जिन्नात और इंसान में से बहुतों को जहन्नम के लिए पैदा किया है, उनके दिल हैं जिनसे वे समझते नहीं, उनकी आँखें हैं जिनसे वे देखते नहीं और उनके कान हैं जिनसे वे सुनते नहीं, वे ऐसे हैं जैसे चौपाये बल्कि उनसे भी ज़्यादा बे-राह, यही लोग ग़ाफ़िल हैं।
Allah has promised the hypocrite men and hypocrite women and the disbelievers the fire of Hell, wherein they will abide eternally. It is sufficient for them. And Allah has cursed them, and for them is an enduring punishment.
Allah Taalaa inn munafiq mardon aurton aur kafiron say jahannum ki aag ka wada ker chuka hai jahan yeh hamesha rehney walay hain wohi enhen kafi hai inn per Allah ki phitkar hai aur inn hi kay liye daeemi azab hai.
मुनाफ़िक़ मर्दों और मुनाफ़िक़ औरतों और काफ़िरों से अल्लाह ने जहन्नम की आग का वादा कर रखा है जिसमें वे हमेशा रहेंगे, यही उनके लिए बस है, उन पर अल्लाह की लानत है और उनके लिए क़ायम रहने वाला अज़ाब है।
Those who criticize the contributors among the believers concerning [their] charities and [criticize] the ones who find nothing [to spend] except their effort, so they ridicule them - Allah will ridicule them, and they will have a painful punishment.
Jo log inn musalmanon per taanaa zani kertay hain jo dil khol ker kheyraat kertay hain aur unn logon per jinhen siwaye apni mehnat mazdoori kay aur kuch mayyasar hi nahi pus yeh unn ka mazaq uratay hain Allah bhi inn say tamaskhur kerta hai enhi kay liye dard naak azab hai.
वे लोग जो तअन करते हैं उन मुसलमानों पर जो दिल खोलकर सदक़ात देते हैं और उन पर जो सिर्फ़ अपनी मेहनत मज़दूरी से ख़र्च करते हैं उनका मज़ाक़ उड़ाते हैं, अल्लाह उन (मज़ाक़ उड़ाने वालों) का मज़ाक़ उड़ाता है और उनके लिए दर्दनाक अज़ाब है।
But those who break the covenant of Allah after contracting it and sever that which Allah has ordered to be joined and spread corruption on earth - for them is the curse, and they will have the worst home.
Aur jo Allah kay ehad ko uss ki mazbooti kay baad tor detay hain aur jin cheezon kay jorney ka Allah ney hukum diya hai unhen tortay hain aur zamin mein fasad phelatay hain unn ki liye laanaten hain aur unn kay liye bura ghar hai.
और जो लोग अल्लाह के अहद को मज़बूत करने के बाद तोड़ते हैं और उसको काटते हैं जिसको अल्लाह ने जोड़ने का हुक्म दिया है और ज़मीन में फ़साद फैलाते हैं, ऐसे लोगों पर अल्लाह की लानत है और उनके लिए बुरा घर है।
And they attribute to Allah daughters - exalted is He - and for them is what they desire.
Aur woh Allah subhana hu wa-Taalaa kay liye larkiyan muqarrar kertay hain aur apney liye woh jo apni khuwaish kay mutabiq ho.
और वे अल्लाह के लिए बेटियाँ ठहराते हैं (हालाँकि) वह इससे पाक है, और अपने लिए वह जो दिल चाहता है।
By Allah , We did certainly send [messengers] to nations before you, but Satan made their deeds attractive to them. And he is the disbelievers' ally today [as well], and they will have a painful punishment.
Wallah! hum ney tumjh say pehlay ki ummaton ki taraf bhi apney rasool bhejay lekin shetan ney unn kay aemaal-e-bad unn ki nighaon mein aaraasta ker diye woh shetan aaj bhi unn ka rafiq bana hua hai aur unn kay liye dard naak azab hai.
अल्लाह की क़सम! हमने आपसे पहले मुख़्तलिफ़ क़ौमों की तरफ़ रसूल भेजे, फ़िर शैतान ने उनके काम उनको अच्छे करके दिखाए, पस वही आज उनका साथी है और उनके लिए एक दर्दनाक अज़ाब है।
Indeed, those who do not believe in the verses of Allah - Allah will not guide them, and for them is a painful punishment.
Jo log Allah Taalaa ki aayaton per eman nahi rakhtay unhen Allah ki taraf say bhi rehnumaee nahi hoti aur unn kay liye alam naak azab hain.
बेशक जो लोग अल्लाह की आयतों पर ईमान नहीं लाते अल्लाह उनको कभी राह नहीं दिखाएगा और उनके लिए दर्दनाक सज़ा है।
Whoever disbelieves in Allah after his belief... except for one who is forced [to renounce his religion] while his heart is secure in faith. But those who [willingly] open their breasts to disbelief, upon them is wrath from Allah , and for them is a great punishment;
Jo shaks apney eman kay baad Allah say kufur keray ba-juz uss kay jiss per jabar kiya jaye aur uss ka dil eman per bar qarar ho magar jo log khullay dil say kufur keren to unn per Allah ka ghazab hai aur unhi kay liye boht bara azab hai.
जो शख़्स ईमान लाने के बाद अल्लाह से मुनकिर होगा सिवाए उसके जिस पर ज़बरदस्ती की गई हो बशर्तेकि उसका दिल ईमान पर जमा हुआ हो, लेकिन जो शख़्स दिल खोल कर मुनकिर हो जाए तो ऐसे लोगों पर अल्लाह का ग़ज़ब होगा और उनको बड़ी सज़ा होगी।
They will not hear therein any ill speech - only [greetings of] peace - and they will have their provision therein, morning and afternoon.
Woh log wahan koi laghaw baat na sunen gay sirf salam hi salam sunen gay unn kay liye wahan subha shaam unn ka rizq hoga.
वहाँ वे 'सलाम' के सिवा कोई व्यर्थ बात नहीं सुनेंगे। उन की रोज़ी उन्हें वहाँ प्रातः और सन्ध्या समय प्राप्त होती रहेगी
And for [striking] them are maces of iron.
Aur unn ki saza kay liye lohay kay hathoray hain.
और उन के लिए (दंड देने को) लोहे के गुर्ज़ होंगे
But their hearts are covered with confusion over this, and they have [evil] deeds besides disbelief which they are doing,
Bulkay inn kay dil iss taraf say ghaflat mein hain aur inn kay liye iss kay siwa bhi boht say aemaal hain jinehn woh kerney walay hain.
बल्कि उन के दिल इस की (सत्य धर्म की) ओर से हटकर (वसवसों और गफ़लतों आदि के) भँवर में पडे हुए हैं और उस से (ईमान वालों की नीति से) हटकर उन के कुछ और ही काम है। वे उन्हीं को करते रहेंगे;
Indeed, those who [falsely] accuse chaste, unaware and believing women are cursed in this world and the Hereafter; and they will have a great punishment
Jo log pak daman bholi bhali ba-emaan aurton per tohmat lagatay hain woh duniya-o-aakhirat mein malaoon hain aur unn kay liye bara bhari azab hai.
निस्संदेह जो लोग शरीफ़, पाकदामन, भोली-भाली बेख़बर ईमान वाली स्त्रियों पर तोहमत लगाते हैं उन पर दुनिया और आख़िरत में फिटकार है। और उन के लिए एक बड़ी यातना है
And they have upon me a [claim due to] sin, so I fear that they will kill me."
Aur unn ka meray aik qasoor ka ( dawa ) bhi hai mujhay darr hai kay kahin woh mujhay maar na dalen.
और मुझ पर उन के यहाँ के एक गुनाह का बोझ भी है। इसलिए मैं डरता हूँ कि वे मुझे मार डालेंगे।"
And for them therein are [other] benefits and drinks, so will they not be grateful?
Enhen unn say aur bhi boht faeeday hain aur peenay ki cheezen. Kiya phit ( bhi ) yeh shukar ada nahi keren gay?
और उन के लिए उन में कितने ही लाभ हैं और पेय भी हैं। तो क्या वे कृतज्ञता नहीं दिखलाते?
The Day their excuse will not benefit the wrongdoers, and they will have the curse, and they will have the worst home.
Jiss din zalimon ko unn ki ( uzar ) maazrat kuch nafa na dey gi unn kay liye laanat hi hogi aur unn kay liye bura ghar hoga.
जिस दिन ज़ालिमों को उन का उज्र (सफ़ाई पेश करना) कुछ भी लाभ न पहुँचाएगा, बल्कि उन के लिए तो लानत है और उन के लिए बुरा घर है
Before them is Hell, and what they had earned will not avail them at all nor what they had taken besides Allah as allies. And they will have a great punishment.
Unn kay peechay dozakh hai hai jo kuch unhon ney hasil kiya tha woh unhen kuch bhi nafa na dey ga aur na woh ( kuch kaam aayengay ) jinn ko unhon ney Allah kay siwa kaar saaz bana rakha tha unn kay liye bohat bara azab hai.
उन के आगे जहन्नम है, जो उन्होंने कमाया वह उन के कुछ काम न आएगा और न यही कि उन्होंने अल्लाह को छोड़कर अपने संरक्षक ठहरा रखे हैं। उन के लिए तो बड़ी यातना है
Is the description of Paradise, which the righteous are promised, wherein are rivers of water unaltered, rivers of milk the taste of which never changes, rivers of wine delicious to those who drink, and rivers of purified honey, in which they will have from all [kinds of] fruits and forgiveness from their Lord, like [that of] those who abide eternally in the Fire and are given to drink scalding water that will sever their intestines?
Uss jannat ki sift jiss ka perhezgaron say wada kiya gaya hai yeh hai kay uss mein pani ki nehren hain jo badboo kernay wala nahi aur doodh ki nehren hain jinka maza nahi badla aur sharab ki nehren hain jinn mein peenay walon kay liye bari lazzat hai aur nehren hain shehad ki jo boht saaf hain aur unn kay liye wahan her qisam kay meway hain aur unkay rab ki taraf say maghfirat hai kiya yeh misil iss kay hain jo hamesha aag mein rehnay wala hai? Aur jihen garam kholta hua pani pilaya jaye ga jo inn ki aanton kay tukray tukray ker dey ga.
उस जन्नत की शान, जिस का वादा डर रखने वालों से किया गया है, यह है कि ऐसे पानी की नहरें होगी जो प्रदूषित नहीं होता। और ऐसे दूध की नहरें होंगी जिस के स्वाद में तनिक भी अन्तर न आया होगा, और ऐसे पेय की नहरें होंगी जो पीने वालों के लिए मज़ा ही मज़ा होंगी, और साफ़-सुधरे शहद की नहरें भी होंगी। और उन के लिए वहाँ हर प्रकार के फल होंगे और क्षमा उन के अपने रब की ओर से - क्या वे उन जैसे हो सकते हैं, जो सदैव आग में रहने वाले हैं और जिन्हें खौलता हुआ पानी पिलाया जाएगा, जो उन की आँतों को टुकड़े-टुकड़े करके रख देगा?
Indeed, the men who practice charity and the women who practice charity and [they who] have loaned Allah a goodly loan - it will be multiplied for them, and they will have a noble reward.
Be-shak sadqa denay walay mard our sadqa denay wali orten our jo Allah ko khuloos kay sath qarz dey rahey hain unkay liye yeh barhaya jayega our unn kay liye pasandeedah ajar-o-sawab hai.
निश्चय ही जो सदका देने वाले पुरुष और सदका देने वाली स्त्रियाँ हैं और उन्होंने अल्लाह को अच्छा ऋण दिया, उसे उस के लिए कई गुना कर दिया जाएगा। और उन के लिए सम्मानित प्रतिदान है
And if not that Allah had decreed for them evacuation, He would have punished them in [this] world, and for them in the Hereafter is the punishment of the Fire.
Aur agar Allah Taalaa ney inn per jila watni ko muqaddar na ker diya hota to yaqeenan enhen duniya mein azab deta aur aakhirat mein ( to ) inn kay liye aag ka azab hai hi.
यदि अल्लाह ने उन के लिए देश निकाला न लिख दिया होता तो दुनिया में ही वह उन्हें अवश्य यातना दे देता, और आख़िरत में तो उन के लिए आग की यातना है ही
[Theirs is] like the example of those shortly before them: they tasted the bad consequence of their affair, and they will have a painful punishment.
Unn logon ki tarah jo inn say kuch hi pehlay guzray hain jinhon ney apney kaam ka wabal chakh liya aur jin kay liye alam naak azab ( tayyar ) hai.
उन की हालत उन्हीं लोगों जैसी है जो उन से पहले निकट काल में अपने किए के वबाल का मज़ा चख चुके हैं, और उन के लिए दुखद यातना भी है
Has there not come to you the news of those who disbelieved before? So they tasted the bad consequence of their affair, and they will have a painful punishment.
Kiya tumharay pass iss say pehlay kay kafiron ki khabar nahi phonchi? Jinhon ney apney aemaal ka wabaal chakh liya aur jin kay liye dard naak azab hai.
क्या तुम्हें उन लोगों की ख़बर नहीं पहुँची जिन्होंने इस से पहले इनकार किया था, फिर उन्होंने अपने कर्म के वबाल का मज़ा चखा और उन के लिए एक दुखद यातना भी है
Indeed, those who have tortured the believing men and believing women and then have not repented will have the punishment of Hell, and they will have the punishment of the Burning Fire.
Be-shak jin logon na musalman mardon aur auraton ko sataya phir tooba ( bhi ) na ki to unkay liey jahanum ka azab hay aur jalney ka azab hay
जिन लोगों ने ईमान वाले पुरुषों और ईमान वाली स्त्रियों को सताया और आज़माईश में डाला, फिर तौबा न की, निश्चय ही उन के लिए जहन्नम की यातना है और उन के लिए जलने की यातना है