It is You we worship and You we ask for help.
Hum sirf teri hi ibadat kertay hain aur sirf tujh hi say madad chahatay hain.
हम तेरी ही इबादत करते हैं और तुझ ही से मदद चाहते हैं।
Do you not know that to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and [that] you have not besides Allah any protector or any helper?
Kiya tujhay nahi maloom kay zamin-o-aasman ka mulk Allah hi kay liye hai aur Allah kay siwa tumhara koi wali aur madadgar nahi.
क्या तुम नहीं जानते कि अल्लाह ही के लिए आसमानों और ज़मीन की बादशाही है, और तुम्हारे लिए अल्लाह के सिवा न कोई दोस्त है और न कोई मददगार।
Say, "O Allah , Owner of Sovereignty, You give sovereignty to whom You will and You take sovereignty away from whom You will. You honor whom You will and You humble whom You will. In Your hand is [all] good. Indeed, You are over all things competent.
Aap keh dijiye aey Allah ! Aey tamam jahaan kay maalik! Tu jissay chahaye badshahi dey aur jiss say chahaye saltanat cheen ley aur tu jissay chahaye izzat dey aur jissay chahaye zillat dey teray hi haath mein sab bhalaiyan hain be-shak tu her cheez per qadir hai.
(ऐ नबी) आप कहिए कि ऐ अल्लाह! आप सलतनत के मालिक हैं, आप जिसे चाहें सलतनत से नवाज़ें और जिससे चाहें सल्तनत छीन लें, और आप जिसे चाहें इज़्ज़त दें और जिसे चाहें ज़लील कर दें, आप ही के हाथ में हैं सब भलाई, बेशक आप हर चीज़ पर क़ादिर हैं।
And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth, and Allah is over all things competent.
Aasmanon aur zamin ki badshahi Allah hi kay liye hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
और अल्लाह ही के लिए है आसमानों और ज़मीनों की बादशाहत, और अल्लाह हर चीज़ पर क़ादिर है।
They have certainly disbelieved who say that Allah is Christ, the son of Mary. Say, "Then who could prevent Allah at all if He had intended to destroy Christ, the son of Mary, or his mother or everyone on the earth?" And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and whatever is between them. He creates what He wills, and Allah is over all things competent.
Yaqeenan woh log kafir hogaye jinhon ney kaha kay Allah hi maseeh ibn-e-mariyum hai aap inn say keh dijiye kay agar Allah maseeh ibn-e-marium aur uss ki walida aur ruy-e-zamin kay sab logon ko halak ker dena chahaye to kaun hai jo Allah Taalaa per kuch bhi ikhtiyar rakhta ho? Aasmanon-o-zamin aur dono kay darmiyan ka kul mulk Allah Taalaa hi ka hai woh jo chahata hai peda kerta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
बेशक उन लोगों ने कुफ़्र किया जिन्होंने कहा कि अल्लाह ही तो मसीह बिन मरियम है, आप कह दीजिए कि फिर कौन इख़्तियार रखता है अल्लाह के आगे किसी भी चीज़ का अगर वह चाहे कि हलाक कर दे मसीह बिन मरियम को और उनकी माँ को और जितने लोग ज़मीन में हैं सबको, और अल्लाह ही के लिए है बादशाही आसमानों और ज़मीन की और जो कुछ उनके दरमियान है, वह पैदा करता है जो कुछ चाहता है, और अल्लाह हर चीज़ पर क़ादिर है।
But the Jews and the Christians say, "We are the children of Allah and His beloved." Say, "Then why does He punish you for your sins?" Rather, you are human beings from among those He has created. He forgives whom He wills, and He punishes whom He wills. And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and whatever is between them, and to Him is the [final] destination.
Yahud-o-nasaara kehtay hain kay hum Allah kay betay aur uss kay dost hain aap keh dijiye kay phir tumhen tumharay gunahon kay baees Allah kiyon saza deta hai? Nahi bulkay tum bhi uss ki makhlooq mein say aik insan ho woh jisay chahata hai bakhsh deta hai aur jisay chahata hai azab kerta hai zamin-o-aasman aur inn kay darmiyan ki her cheez Allah Taalaa ki milkiyat hai aur ussi ki taraf lotna hai.
और यहूद व नसारा कहते हैं कि हम ही अल्लाह के बेटे और उसके महबूब हैं, आप कह दीजिए कि फिर वह तुम्हारे गुनाहों पर तुमको सज़ा क्यों देता है, नहीं बल्कि तुम भी उसकी पैदा की हुई मख़लूक़ में से एक आदमी हो, वह जिसको चाहेगा बख़्शेगा और जिसको चाहेगा अज़ाब देगा, और अल्लाह ही के लिए है बादशाहत आसमानों की और ज़मीन की और जो कुछ उनके दरमियान है, और उसी की तरफ़ लौट कर जाना है।
Do you not know that to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth? He punishes whom He wills and forgives whom He wills, and Allah is over all things competent.
Kiya tujhay maloom nahi kay Allah Taalaa hi kay liye zamin-o-aasman ki badshahat hai? Jissay chahaye saza dey aur jissay chahaye moad ker dey Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
क्या आप नहीं जानते कि अल्लाह आसमानों और ज़मीन की सल्तनत का मालिक है, वह जिसको चाहे सज़ा दे और जिसको चाहे माफ़ कर दे, और अल्लाह हर चीज़ पर क़ादिर है।
And it is He who created the heavens and earth in truth. And the day He says, "Be," and it is, His word is the truth. And His is the dominion [on] the Day the Horn is blown. [He is] Knower of the unseen and the witnessed; and He is the Wise, the Acquainted.
Aur wohi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko bar haq peda kiya aur jiss waqt Allah Taalaa itna keh dey ga tu ho ja bus woh ho paray ga. Uss ka kehna haq aur ba-asar hai. Aur sari hakoomat khaas ussi ki hogi jab kay soor mein phoonk maari jayegi woh jannay wala hai posheeda cheezon ka aur zahir cheezon ka aur wohi hai bari hikmat wala poori khabar rakhney wala.
और वही है जिसने आसमानों और ज़मीन को हक़ के साथ पैदा किया है और जिस दिन वह कहेगा कि हो जा तो वह हो जाएगा, उसकी बात हक़ है और उसी की हुकूमत होगी उस रोज़ जब सूर फूँका जाएगा, वह छुपी हुई और खुली हुई बातों का जानने वाला और हिकमत वाला, ख़बर रखने वाला है।
Say, [O Muhammad], "O mankind, indeed I am the Messenger of Allah to you all, [from Him] to whom belongs the dominion of the heavens and the earth. There is no deity except Him; He gives life and causes death." So believe in Allah and His Messenger, the unlettered prophet, who believes in Allah and His words, and follow him that you may be guided.
Aap keh dijiye kay aey logo! Mein tum sab ki taraf uss Allah Taalaa ka bheja hua hun jiss ki badshahi tamam aasmanon aur zamin mein hai uss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi wohi zindagi deta hai aur wohi mot deta hai so Allah Taalaa per eman lao aur uss kay nabi ummi per jo kay Allah Taalaa per aur uss kay ehkaam per eman rakhtay hain aur inn ka ittabaa kero takay tum raah per aajao.
(ऐ नबी) कह दीजिए कि ऐ लोगो! बेशक मैं उस अल्लाह का रसूल हूँ तुम सब की तरफ़ जिसकी हुकूमत है आसमानों और ज़मीन में, उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वही ज़िंदगी देता है और वही मारता है, पस ईमान लाओ अल्लाह पर और उसके उम्मी रसूल व नबी पर जो ईमान रखता है अल्लाह और उसके कलिमात पर और उसकी पैरवी करो; ताकि तुम हिदायत पाओ।
Do they not look into the realm of the heavens and the earth and everything that Allah has created and [think] that perhaps their appointed time has come near? So in what statement hereafter will they believe?
Aur kiya inn logon ney ghor nahi kiya aasamanon aur zamin kay aalam mein aur doosri cheezon mein jo Allah ney peda ki hain aur iss baat mein kay mumkin hai kay unn ki ajal qarib hi aa phonchi ho. Phir quran kay baad konsi baat per yeh log eman layen gay?
क्या उन्होंने आसमानों और ज़मीन के निज़ाम पर नज़र नहीं की और जो कुछ अल्लाह ने पैदा किया है हर चीज़ से और इस बात पर कि शायद उनकी मुद्दत क़रीब आ गई हो, पस इसके बाद वे किस बात पर ईमान लाएंगे।
Indeed, to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth; He gives life and causes death. And you have not besides Allah any protector or any helper.
Bila shuba Allah hi ki saltanat hai aasmanon aur zamin mein. Wohi jilata aur maarta hai aur tumhara Allah kay siwa na koi yaar hai aur na koi madadgar hai.
बेशक अल्लाह ही की सल्तनत है आसमानों में और ज़मीन में, वही ज़िंदा करता है और वही मारता है, और अल्लाह के सिवा न तुम्हारा कोई दोस्त है और न कोई मददगार।
And say, "Praise to Allah , who has not taken a son and has had no partner in [His] dominion and has no [need of a] protector out of weakness; and glorify Him with [great] glorification."
Aur yeh keh dijiye kay tamam tareefen Allah hi kay liye hain jo na aulad rakhta hai na apni badshaat mein kissi ko shareek aur saajhi rakhta hai aur na woh kamzor hai kay ussay kissi himayati ki zaroorat ho aur tu uss ki poori poori baraee biyan kerta reh.
और कहो, "प्रशंसा अल्लाह के लिए है, जिस ने न तो अपना कोई बेटा बनाया और न बादशाही में उस का कोई सहभागी है और न ऐसा ही है कि वह दीन-हीन हो जिस के कारण बचाव के लिए उस का कोई सहायक मित्र हो।" और बड़ाई बयान करो उस की, पूर्ण बड़ाई
[All] sovereignty that Day is for Allah ; He will judge between them. So they who believed and did righteous deeds will be in the Gardens of Pleasure.
Uss din sirf Allah hi ki badshaat hogi wohi unn mein faislay farmaye ga. eman aur nek amal walay to nematon say bhari jannaton mein hongay.
उस दिन बादशाही अल्लाह ही की होगी। वह उन के बीच फ़ैसला कर देगा। अतः जो लोग ईमान लाए और उन्होंने अच्छे कर्म किए, वे नेमत भरी जन्नतों में होंगे
Say, "In whose hand is the realm of all things - and He protects while none can protect against Him - if you should know?"
Poochiye kay tamam cheezon ka ikhtiyar kiss kay hath mein hai? Jo panah deta hai aur jiss kay muqablay mein koi panah nahi diya jata agar tum jantay ho to batla do?
कहो, "हर चीज़ की बादशाही किस के हाथ में है, वह जो शरण देता है और जिस के मुक़ाबले में कोई शरण नहीं मिल सकती, बताओ यदि तुम जानते हो?"
And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth, and to Allah is the destination.
Zamin-o-aasman ki badshaat Allah hi ki hai aur Allah Taalaa hi ki taraf lotna hai.
अल्लाह ही के लिए है आकाशों और धरती का राज्य। और अल्लाह ही की ओर लौटकर जाना है
He to whom belongs the dominion of the heavens and the earth and who has not taken a son and has not had a partner in dominion and has created each thing and determined it with [precise] determination.
Ussi Allah ki saltanat hai aasmano aur zamin ki aur woh koi aulad nahi rakhta na uss ki saltanat mein koi uss ka sajhi hai aur her cheez ko uss ney peda ker kay aik munasib andaza thera diya hai.
वह जिस का राज्य है आकाशों और धरती पर, और उस ने न तो किसी को अपना बेटा बनाया और न राज्य में उस का कोई साझी है। उस ने हर चीज़ को पैदा किया; फिर उसे ठीक अन्दाजें पर रखा
True sovereignty, that Day, is for the Most Merciful. And it will be upon the disbelievers a difficult Day.
Uss din sahih tor per mulk sirf rehman ka hi hoga aur yeh din kafiron per bara bhari hoga.
उस दिन वास्तविक राज्य रहमान का होगा और वह दिन इनकार करने वालों के लिए बड़ा ही मुश्किल होगा
He causes the night to enter the day, and He causes the day to enter the night and has subjected the sun and the moon - each running [its course] for a specified term. That is Allah , your Lord; to Him belongs sovereignty. And those whom you invoke other than Him do not possess [as much as] the membrane of a date seed.
Woh raat ko din mein aur din ko raat mein dakhil kerta hai aur aftab aur mahtab ko ussi ney kaam mein laga diya hai. Her aik miyaad-e-moyyan per chal raha hai. Yehi hai Allah tum sab ka palney wala ussi ki saltanat hai. Jinhen tum iss kay siwa pukar rahey ho woh to khajoor ki guthli kay chilkay kay bhi malik nahi.
वह रात को दिन में प्रविष्ट करता है और दिन को रात में प्रविष्ट करता है। उस ने सूर्य और चन्द्रमा को काम में लगा रखा है। प्रत्येक एक नियत समय पूरी करने के लिए चल रहा है। वही अल्लाह तुम्हारा रब है। उसी की बादशाही है। उस से हटकर जिन को तुम पुकारते हो वे एक तिनके के भी मालिक नहीं
So exalted is He in whose hand is the realm of all things, and to Him you will be returned.
Pus pak hai woh Allah jiss hath mein her cheez ki badshaat hai aur jiss ki taraf tum sab lotaye jaogay.
अतः महिमा है उस की, जिस के हाथ में हर चीज़ का पूरा अधिकार है। और उसी की ओर तुम लौटकर जाओगे
He created you from one soul. Then He made from it its mate, and He produced for you from the grazing livestock eight mates. He creates you in the wombs of your mothers, creation after creation, within three darknesses. That is Allah , your Lord; to Him belongs dominion. There is no deity except Him, so how are you averted?
Uss ney tum sab ko aik hi jaan say peda kiya hai phir ussi say uss ka jora peda kiya aur tumharay liye chopayon mein say ( aath nar-o-madah ) utaray woh tumhen tumhari maaon kay peton mein aik banawat kay baad doosri banawat per banata hai teen teen andheron mein yehi Allah Taalaa tumhara rab hai ussi kay liye badshahaat hai uss kay siwa koi mabood nahi phir tum kahan behak rahey ho.
उस ने तुम्हें अकेली जान पैदा किया; फिर उसी से उस का जोड़ा बनाया और तुम्हारे लिए चौपायों में से आठ नर-मादा उतारे। वह तुम्हारी माँओं के पेटों में तीन अँधेरों के भीतर तुम्हें एक सृजनरूप के पश्चात अन्य एक सृजनरूप देता चला जाता है। वही अल्लाह तुम्हारा रब है। बादशाही उसी की है, उस के अतिरिक्त कोई पूज्य-प्रभु नहीं। फिर तुम कहाँ फिरे जाते हो?
Say, "To Allah belongs [the right to allow] intercession entirely. To Him belongs the dominion of the heavens and the earth. Then to Him you will be returned."
Keh dijiye! Kay tamam sifarish ka mukhtar Allah hi hai. Tamam aasmano aur zamin ka raaj ussi kay liye hai tum sab ussi k taraf pheray jao gay.
कहो, "सिफ़ारिश तो सारी की सारी अल्लाह के अधिकार में है। आकाशों और धरती की बादशाही उसी की है। फिर उसी की ओर तुम लौटाए जाओगे।"
The Day they come forth nothing concerning them will be concealed from Allah . To whom belongs [all] sovereignty this Day? To Allah , the One, the Prevailing.
Jiss din sab log zahir hojayen gay unn ki koi cheez Allah say pocheedah na rahey gi. Aaj kiss ki baadshahi hai? Faqat Allah wahid-o-qahar ki.
जिस दिन वे खुले रूप में सामने उपस्थित होंगे, उन की कोई चीज़ अल्लाह से छिपी न रहेगी, "आज किसकी बादशाही है?" "अल्लाह की, जो अकेला सब पर क़ाबू रखने वाला है।"
To Allah belongs the dominion of the heavens and the earth; He creates what he wills. He gives to whom He wills female [children], and He gives to whom He wills males.
Aasmano ki aur zamin ki saltanat Allah Taalaa hi kay liye hai woh jo chahata hai peda kerta hai jiss ko chahata hai betyian deta hai aur jissay chahata hai betay deta hai.
अल्लाह ही की है आकाशों और धरती की बादशाही। वह जो चाहता है पैदा करता है, जिसे चाहता है लड़कियाँ देता है और जिसे चाहता है लड़के देता है।
And blessed is He to whom belongs the dominion of the heavens and the earth and whatever is between them and with whom is knowledge of the Hour and to whom you will be returned.
Aur woh boht barkaton wala hai jiss kay pass aasman-o-zamin aur inn kay darmiyan ki badshahat hai aur qayamat ka ilm bhi ussi kay pass hai aur ussi ki janib tum sab lotaye jao gay.
बड़ी ही बरकत वाली है वह सत्ता, जिस के अधिकार में है आकाशों और धरती की बादशाही और जो कुछ उन दोनों के बीच है उस की भी। और उसी के पास उस घड़ी का ज्ञान है, और उसी की ओर तुम लौटाए जाओगे।
And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth. And the Day the Hour appears - that Day the falsifiers will lose.
Aur aasmano aur zamin ki badshahi Allah hi ki hai aur jiss din qayamat qaeem hogi uss din ehl-e-batil baray nuksan mein paren gay.
आकाशों और धरती की बादशाही अल्लाह ही की है। और जिस दिन वह घड़ी घटित होगी उस दिन झूठ वाले घाटे में होंगे
And whoever has not believed in Allah and His Messenger - then indeed, We have prepared for the disbelievers a Blaze.
Aur jo shaks Allah per aur uss kay rasool per eman na laye to hum ney bhi aisay kafiron kay liye dehakti aag tayyar ker rakhi hai.
और जो अल्लाह और उस के रसूल पर ईमान न लाया, तो हम ने भी इनकार करने वालों के लिए भड़कती आग तैयार कर रखी है
His is the dominion of the heavens and earth. And to Allah are returned [all] matters.
Aasmanoon ki aur zamin ki baadshahi ussi ki hai aur tamam kaam ussi ki taraf lotaye jatay hain.
आकाशों और धरती की बादशाही उसी की है और अल्लाह ही की है ओर सारे मामले पलटते हैं
He causes the night to enter the day and causes the day to enter the night, and he is Knowing of that within the breasts.
Wohi raat ko din mein lejata hai aur wohi din ko raat mein dakhil kerdeta hai aur seenoon kay bhedon ka woh poora aalim hai.
वह रात को दिन में प्रविष्ट कराता है और दिन को रात में प्रविष्ट कराता है। वह सीनों में छिपी बात तक को जानता है
Whatever is in the heavens and whatever is on the earth is exalting Allah . To Him belongs dominion, and to Him belongs [all] praise, and He is over all things competent.
Tamam cheez jo aasmanon aur zamin mein hain Allah ki paki biyan kerti hain ussi ki saltanat hai aur ussi ki tareef hai aur woh her her cheez per qadir hai.
अल्लाह की तसबीह कर रही है हर वह चीज़ जो आकाशों में है और जो धरती में है। उसी की बादशाही है और उसी के लिए प्रशंसा है और उसे हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
Blessed is He in whose hand is dominion, and He is over all things competent -
Boht babarkat hai woh ( Allah ) jiss kay hath mein badshaee hai aur jo her cheez per qudrat rakhnay wala hai.
बड़ा बरकत वाला है वह जिस के हाथ में सारी बादशाही है और वह हर चीज़ की सामर्थ्य रखता है। -