And mankind was not but one community [united in religion], but [then] they differed. And if not for a word that preceded from your Lord, it would have been judged between them [immediately] concerning that over which they differ.
Aur tamam log aik hi ummat kay thay phir unhon ney ikhtilaf peda ker liya aur agar aik baat na hoti jo aap kay rab ki taraf say pehlay thehar chuki hai to jiss cheez mein yeh log ikhtilaf ker rahey hain unn ka qataee faisla ho chuka hota.
और लोग एक ही उम्मत थे फ़िर उन्होंने इख़्तिलाफ़ किया, और अगर आपके रब की तरफ़ से एक बात पहले से न ठहर चुकी होती तो उनके दरमियान उस बात का फ़ैसला कर दिया जाता जिसमें वे इख़्तिलाफ़ कर रहे हैं।
And there is no creature on earth but that upon Allah is its provision, and He knows its place of dwelling and place of storage. All is in a clear register.
Zamin per chlaney phirney walay jitney jaandaar hain sab ki roziyan Allah Taalaa per hain wohi unn kay rehney sehney ki jagah ko janta hai aur unn kay sonpay janey ki jagah ko bhi sab kuch wazeh kitab mein mojood hai.
और ज़मीन पर कोई चलने वाला ऐसा नहीं जिसकी रोज़ी अल्लाह के ज़िम्मे न हो, और वह जानता है जहाँ कोई ठहरता है और जहाँ वह सौंपा जाता है, सब कुछ एक खुली किताब में मौजूद है।
And We have already known the preceding [generations] among you, and We have already known the later [ones to come].
Aur tum mein say aagay barhney walay aur peechay hatney walay bhi humaray ilm mein hain.
और हम तुम्हारे अगलों को भी जानते हैं और तुम्हारे पिछलों को भी जानते हैं।
The command of Allah is coming, so be not impatient for it. Exalted is He and high above what they associate with Him.
Allah Taalaa ka hukum aa phoncha abb iss ki jaldi na machao. Tamam paki uss kay liye hai woh bartar hai unn sab say jinhen yeh Allah kay nazdik shareek batlatay hain.
आ गया अल्लाह का फ़ैसला पस उसकी जल्दी न करो, वह पाक है और बरतर है उससे जिसको वे शरीक ठहराते हैं।
And there is no city but that We will destroy it before the Day of Resurrection or punish it with a severe punishment. That has ever been in the Register inscribed.
Jitni bhi bastiyan hain hum qayamat kay din say pehlay pehlay ya to unhen halak ker denay walay hain ya sakht tar azab denay walay hain. Yeh to kitab mein likha ja chuka hai.
और कोई बस्ती ऐसी नहीं जिसको हम क़यामत से पहले हलाक न करें या उसको सख़्त अज़ाब न दें, यह बात किताब में लिखी हुई है।
Indeed, [O Muhammad], He who imposed upon you the Qur'an will take you back to a place of return. Say, "My Lord is most knowing of who brings guidance and who is in clear error."
Jiss Allah ney aap per quran nazil farmaya hai woh doobara aap ko pehli jagah laaney wala hai keh dijiye! kay mera rab ussay bhi ba-khoobi janta hai jo hidayat laya hai aur uss bhi jo khulli gumrahee mein hai.
जिस ने इस क़ुरआन की ज़िम्मेदारी तुम पर डाली है, वह तुम्हें उस के (अच्छे) अंजाम तक ज़रूर पहुँचाएगा। कहो, "मेरा रब उसे भली-भाँति जानता है जो मार्गदर्शन लेकर आया, और उसे भी जो खुली गुमराही में पड़ा है।"
Whoever should hope for the meeting with Allah - indeed, the term decreed by Allah is coming. And He is the Hearing, the Knowing.
Jisay Allah ki mulaqat ki umeed ho pus Allah ka theraya hua waqt yaqeenan aaney wala hai woh sab kuch sunnay wala sab kuch jannay wala hai.
जो व्यक्ति अल्लाह से मिलने का आशा रखता है तो अल्लाह का नियत समय तो आने ही वाला है। और वह सब कुछ सुनता, जानता है
And it is not [possible] for one to die except by permission of Allah at a decree determined. And whoever desires the reward of this world - We will give him thereof; and whoever desires the reward of the Hereafter - We will give him thereof. And we will reward the grateful.
Baghair Allah Taalaa kay hukum kay koi jaandaar nahi marr sakta muqarrar shuda waqt likha hua hai duniya ki chahat walon ko hum kuch duniya dey detay hain aur aakhirat ka sawab chahaney walon ko hum woh bhi den gay. Aue ehsan manney walon ko hum boht jald nek badla den gay.
और कोई जान मर नहीं सकती बग़ैर अल्लाह के हुक्म के, अल्लाह का लिखा हुआ वादा है, और जो शख़्स दुनिया का फ़ायदा चाहता है उसको हम दुनिया में से दे देते हैं, और जो आख़िरत का फ़ायदा चाहता है उसको हम आख़िरत में से देते हैं, और शुक्र करने वालों को हम उनका बदला ज़रूर अता करेंगे।
And if we had willed, We could have given every soul its guidance, but the word from Me will come into effect [that] "I will surely fill Hell with jinn and people all together.
Agar hum chahtay to her shaks ko hidayat naseeb farma detay lekin meri yeh baat bilkul haq ho chuki hai kay mein zaroor zaroor jahannum ko insano aur jinno say pur kerdoon ga.
यदि हम चाहते तो प्रत्येक व्यक्ति को उस का अपना संमार्ग दिखा देते, किन्तु मेरी ओर से बात सत्यापित हो चुकी है कि "मैं जहन्नम को जिन्नों और मनुष्यों, सबसे भरकर रहूँगा।"
But those who disbelieve say, "The Hour will not come to us." Say, "Yes, by my Lord, it will surely come to you. [ Allah is] the Knower of the unseen." Not absent from Him is an atom's weight within the heavens or within the earth or [what is] smaller than that or greater, except that it is in a clear register -
Kuffaar kehtay hain hum per qayamat nahi aaye gi. Aap keh dijiyey! Kay mujhay meray rab ki qasam! Jo aalim-ul-ghaib hai kay woh yaqeenan tum per aaye gi Allah Taalaa say aik zarray kay barabar ki cheez bhi posheedah nahi na aasmano mein aur na zamin mein bulkay iss say bhi choti aur bari her cheez khuli kitab mein mojood hai.
जिन लोगों ने इनकार किया उन का कहना है कि "हम पर क़ियामत की घड़ी नहीं आएगी।" कह दो, "क्यों नहीं, मेरे परोक्ष ज्ञाता रब की क़सम! वह तो तुम पर आकर रहेगी - उस से कणभर भी कोई चीज़ न तो आकाशों में ओझल है और न धरती में, और न इससे छोटी कोई चीज़ और न बड़ी। किन्तु वह एक स्पष्ट किताब में अंकित है। -
And if Allah were to impose blame on the people for what they have earned, He would not leave upon the earth any creature. But He defers them for a specified term. And when their time comes, then indeed Allah has ever been, of His servants, Seeing.
Aur agar Allah Taalaa logon per unn kay aemaal kay sabab darogeer farmaney lagta to roy-e-zamin per aik jaandaar ko na chorta lekin Allah Taalaa inn ko aik miyad-e-moyyan tak mohlat dey raha hai so jab inn ki woh miyad aa phonchay gi Allah Taalaa apnay bandon ko aap dekh ley ga.
यदि अल्लाह लोगों को उन की कमाई के कारण पकड़ने पर आ जाए तो इस धरती की पीठ पर किसी जीवधारी को भी न छोड़े। किन्तु वह उन्हें एक नियत समय तक ढील देता है, फिर जब उन का नियत समय आ जाता है तो निश्चय ही अल्लाह तो अपने बन्दों को देख ही रहा है
Already the word has come into effect upon most of them, so they do not believe.
Inn mein say aksar logon per baat sabit hochuki hai so yeh log eman na layen gay.
उन में से अधिकतर लोगों पर बात सत्यापित हो चुकी है। अतः वे ईमान नहीं लाएँगे।
Allah takes the souls at the time of their death, and those that do not die [He takes] during their sleep. Then He keeps those for which He has decreed death and releases the others for a specified term. Indeed in that are signs for a people who give thought.
Allah hi roohon ko unn ki mot kay waqt aur jin ki mot nahi aai unhen unn ki neend kay waqt qabz ker leta hai phir jin per mot ka hukum lag chuka hai unhen to rok leta hai aur doosri ( roohon ) ko aik muqarrar waqt kay liye chor deta hai. Ghor kerney walon kay liye iss mein yaqeenan boht si nishaniyan hain.
अल्लाह ही प्राणों को उन की मृत्यु के समय ग्रस्त कर लेता है और जिस की मृत्यु नहीं आई उसे उस की निद्रा की अवस्था में (ग्रस्त कर लेता है) । फिर जिस की मृत्यु का फ़ैसला कर दिया है उसे रोक रखता है। और दूसरों को एक नियत समय तक के लिए छोड़ देता है। निश्चय ही इसमें कितनी ही निशानियाँ हैं सोच-विचार करने वालों के लिए
And thus has the word of your Lord come into effect upon those who disbelieved that they are companions of the Fire.
Aur issi tarah aap kay rab ka hukum kafiron per sabit hogaya kay woh dozakhi hain.
और (जैसे दुनिया में सज़ा मिली) उसी प्रकार तेरे रब की यह बात भी उन लोगों पर सत्यापित हो गई है, जिन्होंने इनकार किया कि वे आग में पड़ने वाले हैं;
And We had already given Moses the Scripture, but it came under disagreement. And if not for a word that preceded from your Lord, it would have been concluded between them. And indeed they are, concerning the Qur'an, in disquieting doubt.
Yaqeenan hum ney Musa ( alh-e-salam ) ko kitab di thi so uss mein bhi ikhtilaf kiya gaya aur agar ( woh ) baat na hoti ( jo ) aap kay rab ki taraf say pehlay hi muqarrar ho chuki hai to unkay darmiyan ( kabhi ka ) faisla ho chuka hota yeh log to iss kay baray mein boht sakht bey-shain kerney walay shak mein hain.
हम ने मूसा को भी किताब प्रदान की थी, फिर उस में भी विभेद किया गया। यदि तुम्हारे रब की ओर से पहले ही से एक बात निश्चित न हो चुकी होती तो उन के बीच फ़ैसला चुका दिया जाता। हालाँकि वे उस की ओर से उलझन में डाल देने वाले सन्देह में पड़े हुए हैं
And they did not become divided until after knowledge had come to them - out of jealous animosity between themselves. And if not for a word that preceded from your Lord [postponing the penalty] until a specified time, it would have been concluded between them. And indeed, those who were granted inheritance of the Scripture after them are, concerning it, in disquieting doubt.
Unn logon ney apnay pass ilm aajaney kay baad hi ikhtilaf kiya ( aur woh bhi ) bahami zidd behas say aur agar aap kay rab ki baat aik waqt-e-muqarrara tak kay liye pehlay hi say qarar paagaee hui na hoti to yaqeenan unn ka faisla ho chuka hota aur jinn logon ko unn kay baad kitab di gaee hai woh bhi uss ki taraf say uljhan walay shak mein paray huye hain.
उन्होंने तो परस्पर एक-दूसरे पर ज़्यादती करने के उद्देश्य से इस के पश्चात विभेद किया कि उन के पास ज्ञान आ चुका था। और यदि तुम्हारे रब की ओर से एक नियत अवधि तक के लिए बात पहले निश्चित न हो चुकी होती तो उन के बीच फ़ैसला चुका दिया गया होता। किन्तु जो लोग उन के पश्चात किताब के वारिस हुए वे उस की ओर से एक उलझन में डाल देने वाले संदेह में पड़े हुए हैं
So know, [O Muhammad], that there is no deity except Allah and ask forgiveness for your sin and for the believing men and believing women. And Allah knows of your movement and your resting place.
So ( aey nabi ) aap yaqeen kerlen kay Allah kay siwa koi mabood nahi aur apnay gunahon ki bakhsish manga keren aur momin mardon aur momin aurton kay haq mein bhi Allah tum logo ki amdoraft ki aur rehnay sehnay ki jagah khoob janta hai.
अतः जान रखों कि अल्लाह के अतिरिक्त कोई पूज्य-प्रभु नहीं। और अपने गुनाहों के लिए क्षमा-याचना करो और मोमिन पुरुषों और मोमिन स्त्रियों के लिए भी। अल्लाह तुम्हारी चलत-फिरत को भी जानता है और तुम्हारे ठिकाने को भी
And caused the earth to burst with springs, and the waters met for a matter already predestined.
Aur zamin say chashmon ko jaari kerdiya pus uss kaam kay liye jo muqaddar kiya gaya tha ( dono ) paani jama hogaye.
और धरती को प्रवाहित स्रोतों में परिवर्तित कर दिया, और सारा पानी उस काम के लिए मिल गया जो नियत हो चुका था
And the mountains are broken down, crumbling
Aur pahar bilkul reza reza kerdiye jayen gey.
और पहाड़ टूटकर चूर्ण-विचुर्ण हो जाएँगे
No disaster strikes upon the earth or among yourselves except that it is in a register before We bring it into being - indeed that, for Allah , is easy -
Na koi museebat duniya main aati hai na ( Khaas ) tumhari jaanon main magar iss say pehlay kay hum usko peda keran woh aik khaas kitab main likhi hui hai yeh ( kaam ) Allah taalaa per ( bilkul ) aasan hai
जो मुसीबतें भी धरती में आती है और तुम्हारे अपने ऊपर, वह अनिवार्यतः एक किताब में अंकित है, इससे पहले कि हम उसे अस्तित्व में लाएँ - निश्चय ही यह अल्लाह के लिए आसान है -
It is He who created you from clay and then decreed a term and a specified time [known] to Him; then [still] you are in dispute.
Woh aisa hai jiss ney tum ko mitti say banaya phir aik waqt moyyen kiya aur ( doosra ) moyyen waqt khaas Allah hi kay nazdeek hai phir bhi tum shak rakhtay .
वही है जिसने तुमको मिट्टी से पैदा किया फिर एक मुद्दत मुक़र्रर की और (वह) मुक़र्रर मुद्दत उसी के इल्म में है, फिर भी तुम शक करते हो।
But never will Allah delay a soul when its time has come. And Allah is Acquainted with what you do.
Aur jab kissi ka muqarrar waqt aajata hai phir ussay Allah Taalaa hergiz mohlat nahi deta aur jo kuch tum kertay ho uss say Allah Taalaa bakhoobi ba khabar hai.
किन्तु अल्लाह, किसी व्यक्ति को जब उस का नियत समय आ जाता है, कदापि मुहलत नहीं देता। और जो कुछ तुम करते हो अल्लाह उस की पूरी ख़बर रखता है
And will provide for him from where he does not expect. And whoever relies upon Allah - then He is sufficient for him. Indeed, Allah will accomplish His purpose. Allah has already set for everything a [decreed] extent.
Aur ussay aisi jagah say rozi deta hai jiss ka ussay guman bhi na ho aur jo shaks Allah per tawakkal keray ga Allah ussay kafi hoga. Allah Taalaa apna kaam poora ker kay hi rahey ga. Allah Taalaa ney her cheez ka aik andaza muqarrar ker rakha hai.
और उसे वहाँ से रोज़ी देगा जिस का उसे गुमान भी न होगा। जो अल्लाह पर भरोसा करे तो वह उस के लिए काफ़ी है। निश्चय ही अल्लाह अपना काम पूरा करके रहता है। अल्लाह ने हर चीज़ का एक अन्दाजा नियत कर रखा है
And for every nation is a [specified] term. So when their time has come, they will not remain behind an hour, nor will they precede [it].
Aur her giroh kay liye aik miyaad-e-moyyen hai so jiss waqt inn ki miyaad-e-moyyen aajayegi uss waqt aik sa’at na peechay hatt saken gay aur na aagay barh saken gay.
और हर क़ौम के लिए एक मुक़र्ररह मुद्दत है, फिर जब उनकी मुद्दत आ जाएगी तो वह न एक लम्हा भर पीछे हट सकेंगे और न आगे बढ़ सकेंगे।
Allah will forgive you of your sins and delay you for a specified term. Indeed, the time [set by] Allah , when it comes, will not be delayed, if you only knew.' "
To wo tumhary gunha bukhsh day ga aur tumhein aik waqat mukarrera tak chor dega YaqeenanAllah ka wada jab aajata hay to moakhir nahi hota kaash kay tumhien samjh hoti
"वह तुम्हें क्षमा करके तुम्हारे गुनाहों से तुम्हें पाक कर देगा और एक निश्चित समय तक तुम्हे मुहल्लत देगा। निश्चय ही जब अल्लाह का निश्चित समय आ जाता है तो वह टलता नहीं, काश कि तुम जानते!"
Indeed, the Day of Judgement is an appointed time -
be-shak faislay kay din ka waqat mukarer hay
निस्संदेह फ़ैसले का दिन एक नियत समय है,
Say, "Never will we be struck except by what Allah has decreed for us; He is our protector." And upon Allah let the believers rely.
Aap keh dijiye kay humen siwaye Allah kay humaray haq mein likhay huye kay koi cheez phonch hi nahi sakti woh humara kaar saaz aur mola hai. Mominon ko to Allah ki zaat pak per hi bharosa kerna chahaiye.
कह दीजिए कि हमें सिर्फ़ वही चीज़ पहुँचेगी जो अल्लाह ने हमारे लिए लिख दी है, वह हमारा कारसाज़ है और अहले-ईमान को अल्लाह ही पर भरोसा करना चाहिए।