How wretched is that for which they sold themselves - that they would disbelieve in what Allah has revealed through [their] outrage that Allah would send down His favor upon whom He wills from among His servants. So they returned having [earned] wrath upon wrath. And for the disbelievers is a humiliating punishment.
Boht buri hai woh cheez jiss kay badlay enhon ney apney aap ko baich dala woh inn kay kufur kerna hai. Allah Taalaa ki taraf say nazil shuda cheez kay sath mehaz iss baat say jal ker kay Allah Taalaa ney apna fazal apney jiss banday per chaha nazil farmaya iss kay baees ye log ghazab per ghazab kay mustahiq hogaye aur inn kafiron kay liye ruswa kerney wala azab hai.
कैसी बुरी है वह चीज़ जिसके बदले उन्होंने अपनी जानों का सौदा किया कि वे इनकार कर रहे हैं अल्लाह के उतारे हुए कलाम का इस ज़िद की बिना पर कि अल्लाह अपने फ़ज़्ल से अपने बन्दों में से जिस पर चाहे उतारे; पस वो ग़ुस्से पर ग़ुस्सा कमा कर लाए, और इनकार करने वालों के लिए ज़िल्लत का अज़ाब है।
Neither those who disbelieve from the People of the Scripture nor the polytheists wish that any good should be sent down to you from your Lord. But Allah selects for His mercy whom He wills, and Allah is the possessor of great bounty.
Na to ehal-e-kitab kay kafir aur na mushrikeen chahatay hain kay tum per tumharay rab ki koi bhalaee nazil ho ( inn kay iss hasad say kiya hua ) Allah Taalaa jissay chahaye apni rehmat-e-khusoosiyat say ata farmaye Allah Taalaa baray fazal wala hai.
जिन लोगों ने इनकार किया ख़्वाह अहले-किताब हों या मुशरिकीन, वे नहीं चाहते कि तुम्हारे ऊपर तुम्हारे रब की तरफ़ से कोई भलाई उतारी जाए, और अल्लाह जिसको चाहता है अपनी रहमत के लिए ख़ास कर लेता है, अल्लाह बड़े फ़ज़्ल वाला है।
The foolish among the people will say, "What has turned them away from their qiblah, which they used to face?" Say, "To Allah belongs the east and the west. He guides whom He wills to a straight path."
Un qarib nadan log kahen gay kay jiss qabeelay per yeh thay iss say enhen kiss cheez na hataya? Aap keh dijiye kay mashriq-o-maghrib ka maalik Allah Taalaa hi hai woh jissay chahaye seedhi raah ki hidayat ker dey.
अब ये बेवक़ूफ़ लोग कहेंगे कि आख़िर वह क्या चीज़ है जिसने इन (मुसलमानों) को उस क़िबले से रुख़ फेरने पर आमादा कर दिया, जिसकी तरफ़ वे मुँह करते चले आ रहे थे, आप कह दीजिए कि मशरिक़ और मग़रिब सब अल्लाह ही की हैं, वह जिसको चाहता है सीधी राह की हिदायत कर देता है।
Ask the Children of Israel how many a sign of evidence We have given them. And whoever exchanges the favor of Allah [for disbelief] after it has come to him - then indeed, Allah is severe in penalty.
Bani israeel say poocho to kay hum ney unhen kiss qadar roshan nishaniyan ata farameen aur jo shaks Allah Taalaa ki nematon ko apney pass phonch janey kay baad badal dalay ( woh jaan ley ) kay Allah Taalaa sakht azabon wala hai.
बनी-इस्राईल से पूछो, हमने उनको कितनी खुली निशानियाँ दीं, और जो शख़्स अल्लाह की नेमत को बदल डाले जबकि वह उसके पास आ चुकी हो तो अल्लाह यक़ीनन सख़्त सज़ा देने वाला है।
And their prophet said to them, "Indeed, Allah has sent to you Saul as a king." They said, "How can he have kingship over us while we are more worthy of kingship than him and he has not been given any measure of wealth?" He said, "Indeed, Allah has chosen him over you and has increased him abundantly in knowledge and stature. And Allah gives His sovereignty to whom He wills. And Allah is all-Encompassing [in favor] and Knowing."
Aur unhen unn kay nabi ney farmaya kay Allah Taalaa ney taloot ko tumahra badshah bana diya hai to kehney lagay bhala uss ki hum per hukoomat kaisay ho sakti hai? Uss say to boht ziyada haq daar badshaat kay hum hain uss ko to maali kushadgi bhi nahi di gaee. Nabi ney farmaya suno Allah Taalaa ney ussi ko tum per bar gazeedah kiya hai aur ussay ilmi aur jismani bartari bhi ata farmaee hai baat yeh hai kay Allah jisay chahaye apna mulk dey Allah Taalaa kushadgi wala aur ilm wala hai.
और उनके नबी ने उनसे कहाः अल्लाह ने “तालूत” को तुम्हारे लिए बादशाह मुक़र्रर किया है, उन्होंने कहा कि उसको हमारे ऊपर बादशाही कैसे मिल सकती है हालाँकि हम उसके मुक़ाबले में बादशाहत के ज़्यादा हक़दार हैं, और उसको तो ज़्यादा दौलत भी हासिल नहीं, नबी ने कहाः अल्लाह ने तुम्हारे मुक़ाबले में उसको चुना है और इल्म और जिस्म में उसको ज़्यादती दी है, और अल्लाह अपनी सल्तनत जिसको चाहता है देता है, अल्लाह बड़ी वुसअत वाला, जानने वाला है।
So they defeated them by permission of Allah , and David killed Goliath, and Allah gave him the kingship and prophethood and taught him from that which He willed. And if it were not for Allah checking [some] people by means of others, the earth would have been corrupted, but Allah is full of bounty to the worlds.
Chunacha Allah Taalaa kay hukum say unhon ney jalootiyon ko shikast dey di aur ( hazrat ) dawood ( alh-e-salam ) ko mamlikat-o-hikmat aur jitna kuch chaha ilm bhi ata farmaya. Agar Allah Taalaa baaz logon ko baaz say dafa na kerta to zamin mein fasad phel jata lekin Allah Taalaa duniya walon per bara fazal-o-karam kerney wala hai.
फिर (इस तरह उन्होंने) अल्लाह के हुक्म से उनको शिकस्त दी और दाऊद ने जालूत को क़त्ल कर दिया, और अल्लाह ने दाऊद (अलै॰) को बादशाहत और दानाई अता की और जिन चीज़ों का चाहा इल्म बख़्शा, और अगर अल्लाह बअज़ लोगों को बअज़ लोगों से दबाया न करे तो ज़मीन फ़साद से भर जाए, मगर अल्लाह दुनिया वालों पर बड़ा फ़ज़्ल फ़रमाने वाला है।
Not upon you, [O Muhammad], is [responsibility for] their guidance, but Allah guides whom He wills. And whatever good you [believers] spend is for yourselves, and you do not spend except seeking the countenance of Allah . And whatever you spend of good - it will be fully repaid to you, and you will not be wronged.
Enhen hidayat per laa khara kerna teray zimmay nahi bulkay hidayat Allah Taalaa deta hai jissay chahata hai aur tum jo bhali cheez Allah ki raah mein do gay uss ka faeeda khud pao gay. Tumhen sirf Allah ki raza mandi ki talab kay liye hi kharach kerna chahaiye tum jo kuch maal kharach kero gay uss ka poora poora badla umhen diya jaye ga aur tumhara haq na maara jaye ga.
उनको हिदायत पर लाना आप के ज़िम्मे नहीं बल्कि अल्लाह जिसको चाहता है उसको हिदायत देता है, और जो माल तुम ख़र्च करोगे अपने ही लिए करोगे, और तुम न ख़र्च करो मगर अल्लाह की रज़ा चाहने के लिए, और तुम जो माल ख़र्च करोगे वह तुमको पूरा दे दिया जाएगा, और तुम्हारे लिए उसमें कमी न की जाएगी।
To Allah belongs whatever is in the heavens and whatever is in the earth. Whether you show what is within yourselves or conceal it, Allah will bring you to account for it. Then He will forgive whom He wills and punish whom He wills, and Allah is over all things competent.
Aasmanon aur zamin ki her cheez Allah Taalaa hi ki milkiyat hai. Tumharay dilon mein jo kuch hai ussay tum zahir kero ya chupao Allah Taalaa uss ka hisab tum say ley ga. Phir jissay chahaye bakshay aur jissay chahaye saza dey aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
अल्लाह ही का है जो कुछ आसमानों में है और जो ज़मीन में है, तुम अपने दिल की बातों को ज़ाहिर करो या छुपाओ अल्लाह तुमसे उनका हिसाब लेगा, फिर जिसको चाहेगा बख़्शेगा और जिसको चाहेगा सज़ा देगा, और अल्लाह हर चीज़ पर क़ुदरत वाला है।
It is He who forms you in the wombs however He wills. There is no deity except Him, the Exalted in Might, the Wise.
Woh maa kay pet mein tumhari soorten jiss tarah ki chahta hai banata hai. Uss kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi woh ghalib hai hikmat wala hai.
वही है जो तुम्हारी सूरत बनाता है माँ के पेट में जिस तरह चाहता है, उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
Already there has been for you a sign in the two armies which met - one fighting in the cause of Allah and another of disbelievers. They saw them [to be] twice their [own] number by [their] eyesight. But Allah supports with His victory whom He wills. Indeed in that is a lesson for those of vision.
Yaqeenan tumharay liye ibrat ki nishani thi unn do jamaton mein jo guth gaee thin aik jamat to Allah Taalaa ki raah mein larr rahi thi aur doosra giroh kafiron ka tha woh unhen apni aankhon say apney say dugna dekhtay thay aur Allah Taalaa jisay chahaye apni madad say qavi kerta hai. Yaqeenan iss mein aankhon walon kay liye bari ibrat hai.
बेशक तुम्हारे लिए निशानी है उन दो गिरोहों में जिनका (बदर में) आमना-सामना हुआ, एक गिरोह अल्लाह की राह में लड़ रहा था, और दूसरा मुनकिर था, ये मुनकिर खुली आँखों से उन ईमान वालों को दोगुना देख रहे थे, और अल्लाह जिसको चाहता है अपनी मदद के ज़रिए ताक़त दे देता है, बेशक उसमें आँखों वालों के लिए बड़ा सबक़ है।
Say, "O Allah , Owner of Sovereignty, You give sovereignty to whom You will and You take sovereignty away from whom You will. You honor whom You will and You humble whom You will. In Your hand is [all] good. Indeed, You are over all things competent.
Aap keh dijiye aey Allah ! Aey tamam jahaan kay maalik! Tu jissay chahaye badshahi dey aur jiss say chahaye saltanat cheen ley aur tu jissay chahaye izzat dey aur jissay chahaye zillat dey teray hi haath mein sab bhalaiyan hain be-shak tu her cheez per qadir hai.
(ऐ नबी) आप कहिए कि ऐ अल्लाह! आप सलतनत के मालिक हैं, आप जिसे चाहें सलतनत से नवाज़ें और जिससे चाहें सल्तनत छीन लें, और आप जिसे चाहें इज़्ज़त दें और जिसे चाहें ज़लील कर दें, आप ही के हाथ में हैं सब भलाई, बेशक आप हर चीज़ पर क़ादिर हैं।
You cause the night to enter the day, and You cause the day to enter the night; and You bring the living out of the dead, and You bring the dead out of the living. And You give provision to whom You will without account."
Tu hi raat ko din mein dakhil kerta hai aur din ko raat mein ley jata hai tu hi bey jaan say jaandar peda kerta hai aur tu jaandar say bey jaan peda kerta hai tu hi hai kay jissay chahata hai bey shumar rozi deta hai.
आप ही रात को दिन में दाख़िल करते हैं और दिन को रात में दाख़िल करते हैं, और आप ही बेजान से जानदार को पैदा करते हैं और जानदार से बेजान को निकालते हैं, और आप जिसे चाहते हैं बेहिसाब रिज़्क़ अता फ़रमाते हैं।
And do not trust except those who follow your religion." Say, "Indeed, the [true] guidance is the guidance of Allah . [Do you fear] lest someone be given [knowledge] like you were given or that they would [thereby] argue with you before your Lord?" Say, "Indeed, [all] bounty is in the hand of Allah - He grants it to whom He wills. And Allah is all-Encompassing and Wise."
Aur siwaye tumharay deen per chalney walon kay aur kissi ka yaqeen na kero. Aap keh dijiye kay be-shak hidayat to Allah hi ki hidayat hai ( aur yeh bhi kehtay hain kay iss baat ka bhi yaqeen na kero ) kay koi uss jaisa diya jaye jaisa tum diye gaye ho ya yeh kay yeh tum say tumharay rab kay pass jhagra keren gay aap keh dijiye kay fazal to Allah Taalaa hi kay haath mein hai woh jissay chahaye ussay dey Allah Taalaa wusat wala aur janney wala hai.
और यक़ीन न करो मगर सिर्फ़ उसका जो चले तुम्हारे दीन पर, कह दीजिए कि हिदायत वही है जो अल्लाह हिदायत करे, और यह उसी की देन है कि किसी को वही कुछ दे दिया जाए जो तुमको दिया गया था, या वह तुमसे तुम्हारे रब के यहाँ हुज्जत करे, कह दें कि बड़ाई अल्लाह के हाथ में है, वह जिसको चाहता है देता है, और अल्लाह बड़ा वुसअत वाला है, इल्म वाला है।
He selects for His mercy whom He wills. And Allah is the possessor of great bounty.
Woh apni rehmat kay sath jissay chahaye makhsoos ker ley aur Allah Taalaa baray fazal wala hai.
वह जिसको चाहता है अपनी रहमत के लिए ख़ास कर लेता है, और अल्लाह बड़ा फ़ज़्ल वाला है।
And to Allah belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. He forgives whom He wills and punishes whom He wills. And Allah is Forgiving and Merciful.
Aasmanon aur zamin mein jo kuch hai sab Allah hi ka hai woh jissay chahaye bakshay aur jissay chahaye azab keray Allah Taalaa bakshish kerney wala meharban hai.
और अल्लाह ही के इख़्तियार में है जो कुछ आसमानों में है और जो कुछ ज़मीन में है, वह जिसको चाहे बख़्श दे और जिसको चाहे अज़ाब दे, और अल्लाह बहुत बख़्शने वाला, रहम करने वाला है।
Allah would not leave the believers in that [state] you are in [presently] until He separates the evil from the good. Nor would Allah reveal to you the unseen. But [instead], Allah chooses of His messengers whom He wills, so believe in Allah and His messengers. And if you believe and fear Him, then for you is a great reward.
Jiss haal per tum ho ussi per Allah eman walon ko na chor dey ga jab tak kay pak aur na pak ko alag alag na ker dey aur na Allah Taalaa aisa hai kay tumhen ghaib say aagah ker dey bulkay Allah Taalaa apney rasoolon mein say jiss ka chahaye intikhab ker leta hai iss liye tum Allah Taalaa per aur uss kay rasoolon per eman rakho agar tum eman lao aur taqwa kero to tumharay liye bhari ajar hai.
अल्लाह वह नहीं कि मुसलमानों को उस हालत पर छोड़ दे जिस तरह कि तुम अब हो, जब तक कि वह नापाक को पाक से अलग न कर ले, और अल्लाह यूँ नहीं कि तुमको ग़ैब से बाख़बर कर दे; बल्कि अल्लाह चुन लेता है अपने रसूलों में से जिसको चाहता है, पस तुम ईमान लाओ अल्लाह पर और उसके रसूलों पर, और अगर तुम ईमान लाओ और परहेज़गारी इख़्तियार करो तो तुम्हारे लिए बड़ा अज्र है।
And the two who commit it among you, dishonor them both. But if they repent and correct themselves, leave them alone. Indeed, Allah is ever Accepting of repentance and Merciful.
Tum say jo do fard aisa kaam ker len unhen ezza do agar woh tauba aur islaah ker len to unn say mun pher lo be-shak Allah Taalaa tauba kerney wala aur reham kerney wala hai.
और तुम में से जो दो मर्द वही बदकारी करें तो उनको अज़ीयत पहुँचाओ, फिर अगर वे दोनों तौबा करें और अपनी इस्लाह कर ले तो उनका ख़याल छोड़ दो, बेशक अल्लाह तौबा क़बूल करने वाला, मेहरबान है।
Indeed, Allah does not forgive association with Him, but He forgives what is less than that for whom He wills. And he who associates others with Allah has certainly fabricated a tremendous sin.
Yaqeenan Allah Taalaa apney sath sahreek kiye janey ko nahi bakshta aur iss kay siwa jissay chahaye baksh deta hai aur jo Allah Taalaa kay sath shareek muqarrar keray uss ney boht bara gunah aur bohtan bandha.
बेशक अल्लाह उसको नहीं बख़्शेगा कि उसके साथ शिर्क किया जाए, लेकिन इसके अलावा जो कुछ है उसको जिसके लिए चाहेगा बख़्श देगा, और जिसने अल्लाह के साथ शिर्क ठहराया उसने बड़ा ज़बरदस्त गुनाह किया।
If He wills, He can do away with you, O people, and bring others [in your place]. And ever is Allah competent to do that.
Agar ussay manzoor ho to aey logo! Woh tum sab ko ley jaye aur doosron ko ley aaye Allah Taalaa iss per poori qudrat rakhney wala hai.
अगर वह चाहे तो तुम सब को ले जाए ऐ लोगो और दूसरों को ले आए, और अल्लाह इस पर क़ादिर है।
They have certainly disbelieved who say that Allah is Christ, the son of Mary. Say, "Then who could prevent Allah at all if He had intended to destroy Christ, the son of Mary, or his mother or everyone on the earth?" And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and whatever is between them. He creates what He wills, and Allah is over all things competent.
Yaqeenan woh log kafir hogaye jinhon ney kaha kay Allah hi maseeh ibn-e-mariyum hai aap inn say keh dijiye kay agar Allah maseeh ibn-e-marium aur uss ki walida aur ruy-e-zamin kay sab logon ko halak ker dena chahaye to kaun hai jo Allah Taalaa per kuch bhi ikhtiyar rakhta ho? Aasmanon-o-zamin aur dono kay darmiyan ka kul mulk Allah Taalaa hi ka hai woh jo chahata hai peda kerta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
बेशक उन लोगों ने कुफ़्र किया जिन्होंने कहा कि अल्लाह ही तो मसीह बिन मरियम है, आप कह दीजिए कि फिर कौन इख़्तियार रखता है अल्लाह के आगे किसी भी चीज़ का अगर वह चाहे कि हलाक कर दे मसीह बिन मरियम को और उनकी माँ को और जितने लोग ज़मीन में हैं सबको, और अल्लाह ही के लिए है बादशाही आसमानों और ज़मीन की और जो कुछ उनके दरमियान है, वह पैदा करता है जो कुछ चाहता है, और अल्लाह हर चीज़ पर क़ादिर है।
But the Jews and the Christians say, "We are the children of Allah and His beloved." Say, "Then why does He punish you for your sins?" Rather, you are human beings from among those He has created. He forgives whom He wills, and He punishes whom He wills. And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and whatever is between them, and to Him is the [final] destination.
Yahud-o-nasaara kehtay hain kay hum Allah kay betay aur uss kay dost hain aap keh dijiye kay phir tumhen tumharay gunahon kay baees Allah kiyon saza deta hai? Nahi bulkay tum bhi uss ki makhlooq mein say aik insan ho woh jisay chahata hai bakhsh deta hai aur jisay chahata hai azab kerta hai zamin-o-aasman aur inn kay darmiyan ki her cheez Allah Taalaa ki milkiyat hai aur ussi ki taraf lotna hai.
और यहूद व नसारा कहते हैं कि हम ही अल्लाह के बेटे और उसके महबूब हैं, आप कह दीजिए कि फिर वह तुम्हारे गुनाहों पर तुमको सज़ा क्यों देता है, नहीं बल्कि तुम भी उसकी पैदा की हुई मख़लूक़ में से एक आदमी हो, वह जिसको चाहेगा बख़्शेगा और जिसको चाहेगा अज़ाब देगा, और अल्लाह ही के लिए है बादशाहत आसमानों की और ज़मीन की और जो कुछ उनके दरमियान है, और उसी की तरफ़ लौट कर जाना है।
Do you not know that to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth? He punishes whom He wills and forgives whom He wills, and Allah is over all things competent.
Kiya tujhay maloom nahi kay Allah Taalaa hi kay liye zamin-o-aasman ki badshahat hai? Jissay chahaye saza dey aur jissay chahaye moad ker dey Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
क्या आप नहीं जानते कि अल्लाह आसमानों और ज़मीन की सल्तनत का मालिक है, वह जिसको चाहे सज़ा दे और जिसको चाहे माफ़ कर दे, और अल्लाह हर चीज़ पर क़ादिर है।
O you who have believed, whoever of you should revert from his religion - Allah will bring forth [in place of them] a people He will love and who will love Him [who are] humble toward the believers, powerful against the disbelievers; they strive in the cause of Allah and do not fear the blame of a critic. That is the favor of Allah ; He bestows it upon whom He wills. And Allah is all-Encompassing and Knowing.
Aey eman walo! Tum mein say jo shaks apney deen say phir jaye to Allah Taalaa boht jald aisi qom ko laye ga jo Allah ki mehboob hogi aur woh bhi Allah say mohabbat rakhti hogi woh naram dil hongay musalmanon per aur sakht aur tez hongay kuffaar per Allah ki raah mein jihad keren gay aur kissi malamat kerney walay ki malamat ki perwah bhi na keren gay yeh hai Allah Taalaa ka fazal jissay chahaye dey Allah Taalaa bari wusat wala aur zabardast ilm wala hai.
ऐ ईमान वालो! तुम में से जो शख़्स अपने दीन से फिर जाए तो अल्लाह जल्द ऐसे लोगों को लाएगा जो अल्लाह को महबूब होंगे और अल्लाह उनको महबूब होगा, वे मुसलमानों के लिए नर्म और काफ़िरों के ऊपर सख़्त होंगे, वे अल्लाह की राह में जिहाद करेंगे और किसी मलामत करने वाले की मलामत से न डरेंगे, यह अल्लाह का फ़ज़्ल है वह जिसको चाहता है अता करता है, और अल्लाह वुसअत वाला, इल्म वाला है।
And if their evasion is difficult for you, then if you are able to seek a tunnel into the earth or a stairway into the sky to bring them a sign, [then do so]. But if Allah had willed, He would have united them upon guidance. So never be of the ignorant.
Aur agar aap ko inn ka aeyraaz giran guzarta hai to agar aap ko yeh qudrat hai kay zamin mein koi surang ya aasman mein koi seerhi dhoond lo phir koi moajza ley aao to kero aur agar Allah ko manzoor hota to inn sab ko raah-e-raast per jama ker deta so aap nadanon mein say na ho jaiye.
और अगर उनकी बेरुख़ी आप पर गिराँ गुज़र रही है तो अगर आप में कुछ ज़ोर है तो या तो ज़मीन में कोई सुरंग ढूँढो या आसमान में सीढ़ी लगाओ और उनके लिए कोई निशानी ले आओ, और अगर अल्लाह चाहता तो उन सबको हिदायत पर जमा कर देता, पस आप नादानों में से न बनें।
But those who deny Our verses are deaf and dumb within darknesses. Whomever Allah wills - He leaves astray; and whomever He wills - He puts him on a straight path.
Aur jo log humari aayaton ki takzeeb kertay hain woh to tarah tarah ki zulmaton mein behray goongay ho rahey hain Allah jiss ko chahaye bey raah ker dey aur woh jiss ko chahaye seedhi raah laga dey.
और जिन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया वे बहरे और गूंगे हैं जो अंधरों में पड़े हुए हैं, अल्लाह जिसको चाहता है भटका देता है और जिसको चाहता है सीधी राह पर लगा देता है।
And his people argued with him. He said, "Do you argue with me concerning Allah while He has guided me? And I fear not what you associate with Him [and will not be harmed] unless my Lord should will something. My Lord encompasses all things in knowledge; then will you not remember?
Aur unn say unn ki qom ney hujjat kerna shuroo kiya aap ney farmaya kiya tum Allah kay moamlay mein mujh say hujjat kertay ho halankay uss ney mujhay tareeqa batla diya hai aur mein unn cheezon say jin ko tum Allah kay sath shareek banatay ho nahi darta haan agar mera perwerdigar hi koi amar chahaye mera perwerdigar her cheez ko apney ilm mein gheray huye hai kiya tum phir bhi khayal nahi kertay.
और उनकी क़ौम उनसे झगड़ने लगी, उन्होंने कहाः क्या तुम अल्लाह के मामले में मुझसे झगड़ते हो हालाँकि उसने मुझे राह दिखा दी, और मैं उनसे नहीं डरता जिनको तुम अल्लाह का शरीक ठहराते हो मगर यह कि कोई बात मेरा रब ही चाहे, मेरे रब का इल्म हर चीज़ पर छाया हुआ है, क्या तुम नहीं सोचते।
And that was Our [conclusive] argument which We gave Abraham against his people. We raise by degrees whom We will. Indeed, your Lord is Wise and Knowing.
Aur yeh humari hujjat thi woh hum ney ibrahim ( alh-e-salam ) ko unn ki qom kay muqablay mein di thi hum jiss ko chahatay hain martabon mein barha detay hain. Be-shak aap ka rab bara hikmat wala bara ilm wala hai.
यह है हमारी दलील जो हमने इब्राहीम को उनकी क़ौम के मुक़ाबले में दी, हम जिसके दर्जे चाहते हैं बुलंद कर देते हैं, बेशक आप का रब हिकमत वाला, इल्म वाला है।
And even if We had sent down to them the angels [with the message] and the dead spoke to them [of it] and We gathered together every [created] thing in front of them, they would not believe unless Allah should will. But most of them, [of that], are ignorant.
Aur agar hum inn kay pass farishton ko bhej detay aur inn say murday baaten kerney lagtay aur hum tamam mojodaat inn kay pass inn ki aankhon kay roo baroo laa ker jama ker detay hain tab bhi yeh log hergiz eman na latay haan agar Allah hi chahaye to aur baat hai lekin inn mein ziyada logo jahalat ki baaten kertay hain.
और अगर हम उन पर फ़रिश्ते उतार देते और मुर्दे उनसे बातें करते और हम सारी चीज़ें उनके सामने इकट्ठा कर देते तब भी ये लोग ईमान लाने वाले न थे सिवाए इसके कि अल्लाह चाहे, मगर उनमें से अक्सर लोग नादानी की बातें करते हैं।
And [mention, O Muhammad], the Day when He will gather them together [and say], "O company of jinn, you have [misled] many of mankind." And their allies among mankind will say, "Our Lord, some of us made use of others, and we have [now] reached our term, which you appointed for us." He will say, "The Fire is your residence, wherein you will abide eternally, except for what Allah wills. Indeed, your Lord is Wise and Knowing."
Aur jiss roz Allah Taalaa tamam khalaeeq ko jama keray ga ( kahey ga ) aey jamat jinnaat ki! Tum ney insanon mein say boht say apna liye jo insan inn kay sath talluq rakhney walay thay woh kahen gay aey humaray perwerdigar hum mein aik ney doosray say faeeda hasil kiya tha aur hum apni iss moyyen muddat tak aa phonchay jo tu ney humaray liye moyyen farmaee Allah farmaye ga kay tum sab ka thikana dozakh hai jiss mein hamesha raho gay haan agar Allah hi ko manzoor hoto doosri baat hai. Be-shak aap ka rab bari hikmat wala bara ilm wala hai.
और जिस दिन अल्लाह उन सबको जमा करेगा, ऐ जिन्नात के गिरोह! तुम बहुत-से इंसानों को गुमराह कर चुके, और इंसानों में से उनके साथी कहेंगे कि ऐ हमारे रब! हमने एक-दूसरे को इस्तेमाल किया और हम पहुँच गए अपनी उस मुद्दत को जो आपने हमारे लिए मुक़र्रर की थी, अल्लाह कहेगा कि अब तुम्हारा ठिकाना आग है हमेशा उसमें रहोगे मगर जो अल्लाह चाहे, बेशक आपका रब हिकमत वाला, इल्म वाला है।
And your Lord is the Free of need, the possessor of mercy. If He wills, he can do away with you and give succession after you to whomever He wills, just as He produced you from the descendants of another people.
Aur aap ka rab bilkul ghani hai rehmat wala hai agar woh chahaye to tum sab ko utha ley aur tumharay baad jiss ko chahaye tumhari jagah aabad keray jaisa kay tum ko aik doosri qom ki nasal say peda kiya hai.
और आपका रब बेनियाज़ रहमत वाला है, अगर वह चाहे तो तुम सबको उठा ले और तुम्हारे बाद जिसको चाहे तुम्हारी जगह ले आए जिस तरह उसने तुमको पैदा किया दूसरों की नस्ल से।