They said, "Exalted are You; we have no knowledge except what You have taught us. Indeed, it is You who is the Knowing, the Wise."
Unn sab ney kaha aey Allah ! Teri zaat pak hai hum to sirf utna hi ilm hai jitna tu ney humen sikha rakha hai pooray ilm-o-hikmat wala to tu hi hai.
फ़रिश्तों ने कहा कि आप पाक हैं, हम तो वही जानते हैं जो आपने हमको बताया, बेशक आप ही इल्म वाले और हिकमत वाले हैं।
Our Lord, and send among them a messenger from themselves who will recite to them Your verses and teach them the Book and wisdom and purify them. Indeed, You are the Exalted in Might, the Wise."
Aey humaray rab! Inn mein inhi mein say rasool bhej jo inn kay pass teri aayaten parhay enhen kitab-o-hikmat sikhaye aur enhen pak keray yaqeena tu ghalbay wala aur hikmat wala hai.
ऐ हमारे रब! और उनमें उन्हीं में का एक रसूल उठा, जो उनको तेरी आयतें सुनाए, और उनको किताब और हिकमत की तालीम दे, और उनका तज़किया करे, बेशक तू ज़बरदस्त है हिकमत वाला है।
It is He who forms you in the wombs however He wills. There is no deity except Him, the Exalted in Might, the Wise.
Woh maa kay pet mein tumhari soorten jiss tarah ki chahta hai banata hai. Uss kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi woh ghalib hai hikmat wala hai.
वही है जो तुम्हारी सूरत बनाता है माँ के पेट में जिस तरह चाहता है, उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
Allah witnesses that there is no deity except Him, and [so do] the angels and those of knowledge - [that He is] maintaining [creation] in justice. There is no deity except Him, the Exalted in Might, the Wise.
Allah Taalaa farishtay aur ehal-e-ilm iss baat ki gawahi detay hain kay Allah kay siwa koi mabood nahi aur woh adal ko qaeem rakhney wala hai uss ghalib aur hikmata walay kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi.
अल्लाह की गवाही है और फ़रिश्तों की और अहले-इल्म की कि अल्लाह के सिवा कोई माबूद नहीं, वह क़ायम रखने वाला है इंसाफ़ का, उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
Indeed, this is the true narration. And there is no deity except Allah . And indeed, Allah is the Exalted in Might, the Wise.
Yaqeenan sirf yehi sacha biyan hai aur koi mabood bar haq nahi ba-juz Allah Taalaa kay aur be-shak ghalib aur hikmat wala Allah Taalaa hi hai.
बेशक यह सच्चा बयान है, और अल्लाह के सिवा कोई माबूद नहीं, और अल्लाह ही ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
If You should punish them - indeed they are Your servants; but if You forgive them - indeed it is You who is the Exalted in Might, the Wise.
Agar tu inn ko saza dey to yeh teray banday hain aur agar tu inn ko moaf farma dey to tu zabardast hai hikmat wala hai.
अगर आप उनको सज़ा दें तो वे आप ही के बंदे हैं, और अगर आप उन्हें माफ़ फ़रमा दें तो आप ही ज़बरदस्त हैं, हिकमत वाले हैं।
And He is the subjugator over His servants. And He is the Wise, the Acquainted [with all].
Aur wohi Allah apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai aur wohi bari hikmat wala aue poori khabar rakhney wala hai.
और उसी का ज़ोर है अपने बंदों पर, और वह हिकमत वाला, सबकी ख़बर रखने वाला है।
And it is He who created the heavens and earth in truth. And the day He says, "Be," and it is, His word is the truth. And His is the dominion [on] the Day the Horn is blown. [He is] Knower of the unseen and the witnessed; and He is the Wise, the Acquainted.
Aur wohi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko bar haq peda kiya aur jiss waqt Allah Taalaa itna keh dey ga tu ho ja bus woh ho paray ga. Uss ka kehna haq aur ba-asar hai. Aur sari hakoomat khaas ussi ki hogi jab kay soor mein phoonk maari jayegi woh jannay wala hai posheeda cheezon ka aur zahir cheezon ka aur wohi hai bari hikmat wala poori khabar rakhney wala.
और वही है जिसने आसमानों और ज़मीन को हक़ के साथ पैदा किया है और जिस दिन वह कहेगा कि हो जा तो वह हो जाएगा, उसकी बात हक़ है और उसी की हुकूमत होगी उस रोज़ जब सूर फूँका जाएगा, वह छुपी हुई और खुली हुई बातों का जानने वाला और हिकमत वाला, ख़बर रखने वाला है।
[Jacob] said, "Rather, your souls have enticed you to something, so patience is most fitting. Perhaps Allah will bring them to me all together. Indeed it is He who is the Knowing, the Wise."
( Yaqoob alh-e-salam ney ) kaha yeh to nahi bulkay tum ney apni taraf say baat bana li pus abb sabar hi behtar hai. Qarib hai kay Allah Taalaa inn sab ko meray pass hi phoncha dey. Wohi ilm-o-hikmat wala hai.
वालिद ने कहाः बल्कि तुमने अपने दिल में एक बात बना ली है, पस मैं सब्र करूँगा, उम्मीद है कि अल्लाह उन सबको मेरे पास लाएगा, बेशक वही जानने वाला, हिकमत वाला है।
And he raised his parents upon the throne, and they bowed to him in prostration. And he said, "O my father, this is the explanation of my vision of before. My Lord has made it reality. And He was certainly good to me when He took me out of prison and brought you [here] from bedouin life after Satan had induced [estrangement] between me and my brothers. Indeed, my Lord is Subtle in what He wills. Indeed, it is He who is the Knowing, the Wise.
Aur apney takht per apney maa baap ko ooncha bithaya aur sab uss kay samney sajday mein girr gaye. Tab kaha kay abba ji! Yeh meray pehlay kay khuwab ki tabeer hai meray rab ney ussay sacha ker dikhaya uss ney meray sath bara ehsan kiya jab kay mujhay jail khaney say nikala aur aap logon ko sehra say ley aaya uss ikhtilaaf kay baad jo shetan ney mujh mein aur meray bhaiyon mein daal diya tha. Mera rab jo chahaye uss kay liye behtareen tadbeer kerney wala hai. Aur woh boht ilm-o-hikmat wala hai.
और उसने अपने वालिदैन को तख़्त पर बिठाया और सब उसके लिए सज्दे में झुक गए, और यूसुफ़ (अलै॰) ने कहाः ऐ अब्बा जान! यह है मेरे ख़्वाब की ताबीर जो मैंने पहले देखा था, मेरे रब ने उसको सच्चा कर दिया और उसने मेरे साथ एहसान किया कि उसने मुझे क़ैद से निकाला और तुम सबको देहात से यहाँ लाया बाद में इसके कि शैतान ने मेरे और मेरे भाइयों के दरमियान फ़साद डाल दिया था, बेशक मेरा रब जो कुछ चाहता है उसकी उम्दा तदबीर कर लेता है, यक़ीनन वही जानने वाला, हिकमत वाला है।
And We did not send any messenger except [speaking] in the language of his people to state clearly for them, and Allah sends astray [thereby] whom He wills and guides whom He wills. And He is the Exalted in Might, the Wise.
Hum ney her her nabi ko uss ki qomi zaban mein hi bheja hai takay unn kay samney wazahat say biyan ker dey. Abb Allah Taalaa jisay chahaye gumrah ker dey aur jisay chahaye raah dikha dey woh ghalba aur hikmat wala hai.
और हमने जो पैग़म्बर भी भेजा उस क़ौम की ज़बान में भेजा ताकि वे उनसे बयान कर दे, फिर अल्लाह जिसको चाहता है भटका देता है और जिसको चाहता है हिदायत देता है, वह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
For those who do not believe in the Hereafter is the description of evil; and for Allah is the highest attribute. And He is Exalted in Might, the Wise.
Aakhirat per eman na rakhney walon ki hi buri misal hai Allah kay liye to boht hi buland sift hai woh bara hi ghalib aur ba hikmat hai.
बुरी मिसाल है उन लोगों के लिए जो आख़िरत पर ईमान नहीं रखते, और अल्लाह के लिए आला मिसालें हैं और वह ग़ालिब है, हिकमत वाला है।
O Moses, indeed it is I - Allah , the Exalted in Might, the Wise."
Musa! Sunn baat yeh hai kay mein hi Allah hun ghalib ba-hikmat.
ऐ मूसा! वह तो मैं अल्लाह हूँ, अत्यन्त प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी!
And Lot believed him. [Abraham] said, "Indeed, I will emigrate to [the service of] my Lord. Indeed, He is the Exalted in Might, the Wise."
Pus hazrat ibrahim ( alh-e-salam ) per hazrat loot ( alh-e-salam ) eman laye aur kehnay lagay kay mein apnay rab ki taraf hijrat kerney wala hun. Woh bara hi ghalib aur hakeem hai.
फिर लूत ने उस की बात मानी और उस ने कहा, "निस्संदेह मैं अपने रब की ओर हिजरत करता हूँ। निस्संदेह वह अत्यन्त प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है।"
Indeed, Allah knows whatever thing they call upon other than Him. And He is the Exalted in Might, the Wise.
Allah Taalaa unn tamam cheezon ko janta hai jinhen woh uss kay siwa pukar rahey hain woh zabardast aur zee hikmat hai.
निस्संदेह अल्लाह उन चीज़ों को भली-भाँति जानता है, जिन्हें ये उस से हटकर पुकारते हैं। वह तो अत्यन्त प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
And it is He who begins creation; then He repeats it, and that is [even] easier for Him. To Him belongs the highest attribute in the heavens and earth. And He is the Exalted in Might, the Wise.
Wohi hai jo awwal baar makhlooq ko peda kerta hai phir ussay doobara peda keray ga aur yeh to uss per boht aasaan hai. Ussi ki behtareen aur aalaa sift hai aasmano aur zamin mein bhi aur wohi ghalbay wala hikmat wala hai.
वही है जो सृष्टि का आरम्भ करता है। फिर वही उस की पुनरावृत्ति करेगा। और यह उस के लिए अधिक सरल है। आकाशों और धरती में उसी मिसाल (गुण) सर्वोच्च है। और वह अत्यन्त प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी हैं
Wherein they abide eternally; [it is] the promise of Allah [which is] truth. And He is the Exalted in Might, the Wise.
Jahan woh humesha rahen gay. Allah ka sacha wada hai woh boht bari izzat-o-ghalbay wala aur kamil hikmat wala hai.
जिनमें वे सदैव रहेंगे। यह अल्लाह का सच्चा वादा है और वह अत्यन्त प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
[All] praise is [due] to Allah , to whom belongs whatever is in the heavens and whatever is in the earth, and to Him belongs [all] praise in the Hereafter. And He is the Wise, the Acquainted.
Tamam tareefen uss Allah kay liye sazawaar hain jiss ki milkiyat mein woh sab kuch hai jo aasmano aur zamin mein hai aakhirat mein bhi tareef ussi kay liye hai woh ( bari ) hikmaton wala aur ( poora ) khabardaar hai.
प्रशंसा अल्लाह ही के लिए है जिस का वह सब कुछ है जो आकाशों और धरती में है। और आख़िरत में भी उसी के लिए प्रशंसा है। और वही तत्वदर्शी, ख़बर रखने वाला है
Say, "Show me those whom you have attached to Him as partners. No! Rather, He [alone] is Allah , the Exalted in Might, the Wise."
Keh dijiye! Kay acha mujhay bhi to unhen dikha do jinhen tum Allah ka shareek thera ker uss kay sath mila rahey ho aisa hergiz nahi bulkay wohi Allah hai ghalib ba-hikmat.
कहो, "मुझे उन को दिखाओ तो, जिन को तुम ने साझीदार बनाकर उस के साथ जोड रखा है। कुछ नहीं, बल्कि बही अल्लाह अत्यन्त प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है।"
Whatever Allah grants to people of mercy - none can withhold it; and whatever He withholds - none can release it thereafter. And He is the Exalted in Might, the Wise.
Allah Taalaa jo rehmat logon kay liye khol day so uss ka koi band kerney wala nahi aur jiss ko band kerday so uss kay baad iss ka koi jaari kerney wala nahi aur wohi ghalib hikmat wala hai.
अल्लाह जो दयालुता लोगों के लिए खोल दे उसे कोई रोकने वाला नहीं और जिसे वह रोक ले तो उस के बाद उसे कोई जारी करने वाला भी नहीं। वह अत्यन्त प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
Our Lord, and admit them to gardens of perpetual residence which You have promised them and whoever was righteous among their fathers, their spouses and their offspring. Indeed, it is You who is the Exalted in Might, the Wise.
Aey humaray rab! Tu enhen hameshgi wali jannaton mein ley ja jin kay tu ney inn say wada kiya hai aur inn kay baap dadon aur biwiyon aur aulad mein say ( bhi ) inn ( sab ) ko jo nek amal hain. Yaqeenan tu to ghalib-o-ba-hikmat hai.
ऐ हमारे रब! और उन्हें सदैव रहने के बागों में दाख़िल कर जिनका तूने उन से वादा किया है और उन के बाप-दादा और उन की पत्नियों और उन की सन्ततियों में से जो योग्य हुए उन्हें भी। निस्संदेह तू प्रभुत्वशाली, अत्यन्त तत्वदर्शी है
Thus has He revealed to you, [O Muhammad], and to those before you - Allah , the Exalted in Might, the Wise.
Allah Taalaa jo zabardast hai aur hikmat wala hai issi tarah teri taraf aur tujh say aglon ki taraf wahee bhejta raha.
इसी प्रकार अल्लाह प्रुभत्वशाली, तत्वदर्शी तुम्हारी ओर और उन लोगों की ओर प्रकाशना (वह्य) करता रहा है, जो तुम से पहले गुज़र चुके हैं
And it is Allah who is [the only] deity in the heaven, and on the earth [the only] deity. And He is the Wise, the Knowing.
Wohi aasmano mein mabood hai aur zamin mein bhi wohi qabil-e-ibadat hai aur woh bari hikmat wala aur pooray ilm wala hai.
वही है जो आकाशों में भी पूज्य है और धरती में भी पूज्य है और वह तत्वदर्शी, सर्वज्ञ है
They said, "Thus has said your Lord; indeed, He is the Wise, the Knowing."
Unhon ney kaha han teray perwerdigar ney issi tarah farmaya hai. be-shakwoh hakeem-o-aleem hai.
उन्होंने कहा, "ऐसा ही तेरे रब ने कहा है। निश्चय ही वह बड़ा तत्वदर्शी, ज्ञानवान है।"
Whatever is in the heavens and earth exalts Allah , and He is the Exalted in Might, the Wise.
Aasmanon aur zamin mein jo hai ( Sub ) Allah ki tasbeeh ker rahey hain woh zabardast ba-hikmat hai.
अल्लाह की तसबीह की हर उस चीज़ ने जो आकाशों और धरती में है। वही प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
Whatever is in the heavens and whatever is on the earth exalts Allah , and He is the Exalted in Might, the Wise.
Aasmanon aur zamin ki her cheez Allah Taalaa ki paki biyan kerti hai aur woh ghalib ba hikmat hai.
अल्लाह की तसबीह की है हर उस चीज़ ने जो आकाशों और धरती में है, और वही प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
He is Allah , the Creator, the Inventor, the Fashioner; to Him belong the best names. Whatever is in the heavens and earth is exalting Him. And He is the Exalted in Might, the Wise.
Wohi Allah hai peda kerney wala wujood bakshney wala soorat bananey wala ussi kay liye ( nihayat ) achay naam hain her cheez khuwa woh aasman mein ho khuwa zamin mein ho uss ki paki biyan kerti hai aur wohi ghalib hikmat wala hai.
वही अल्लाह है जो संरचना का प्रारूपक है, अस्तित्व प्रदान करने वाला, रूप देने वाला है। उसी के लिए अच्छे नाम है। जो चीज़ भी आकाशों और धरती में है, उसी की तसबीह कर रही है। और वह प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
Our Lord, make us not [objects of] torment for the disbelievers and forgive us, our Lord. Indeed, it is You who is the Exalted in Might, the Wise."
Aey humaray rab! Tu humen kafiron ki aazmaeesh mein na daal aur aey humaray paalney walay humari khataon ko bakhsh dey be-shak tu hi ghalib hikmat wala hai.
"ऐ हमारे रब! हमें इनकार करने वालों के लिए फ़ितना न बना और ऐ हमारे रब! हमें क्षमा कर दे। निश्चय ही तू प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है।"
Whatever is in the heavens and whatever is on the earth exalts Allah , and He is the Exalted in Might, the Wise.
Zamin-o-aasman ki her her cheez Allah Taalaa ki paki biyan kerti hai aur wohi ghalib hikmat wala hai.
अल्लाह की तसबीह की हर उस चीज़ ने जो आकाशों और धरती में है। वही प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
And [to] others of them who have not yet joined them. And He is the Exalted in Might, the Wise.
Aur doosron kay liye bhi unhi mein say jo abb tak inn say nahi milay aur wohi ghalib ba hikmat hai.
और उन दूसरे लोगों को भी (किताब और हिकमत की शिक्षा दे) जो अभी उन से मिले नहीं हैं, वे उन्हीं में से होंगे। और वही प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
Knower of the unseen and the witnessed, the Exalted in Might, the Wise.
Woh posheeda aur zahir ka jannay wala hai zabardast hikmat wala ( hai ) .
परोक्ष और प्रत्यक्ष को जानता है, प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
Allah has already ordained for you [Muslims] the dissolution of your oaths. And Allah is your protector, and He is the Knowing, the Wise.
Tehqeeq kay Allah Taalaa ney tumharay liye qasmon ka khol daalna muqarrar ker diya hai aur Allah Taalaa tumhara kaar saaz hai aur wohi ( pooray ) ilm wala hikmat wala hai.
अल्लाह ने तुम लोगों के लिए तुम्हारी अपनी क़समों की पाबंदी से निकलने का उपाय निश्चित कर दिया है। अल्लाह तुम्हारा संरक्षक है और वही सर्वज्ञ, अत्यन्त तत्वदर्शी है