[All] praise is [due] to Allah , Lord of the worlds -
Sab tareef Allah Taalaa kay liye hai jo tamam jahanon ka palney wala hai.
सब तारीफ़ अल्लाह के लिए है जो सारे जहान का मालिक है।
Sovereign of the Day of Recompense.
Badlay kay din ( yani qayamat ) ka maalik hai.
इंसाफ़ के दिन का मालिक है।
Then Adam received from his Lord [some] words, and He accepted his repentance. Indeed, it is He who is the Accepting of repentance, the Merciful.
( hazrat ) aadam ( alh-e-salam ) ney apney rab say chand baaten seekh lin aur Allah Taalaa ney unn ki tauba qabool farmaee be-shak wohi tauba qabool kerney wala aur reham kerney wala hai.
फिर आदम ने सीख लिए अपने रब से चंद बोल, तो अल्लाह उस पर मुतवज्जह हुआ, बेशक वह तौबा क़बूल करने वाला रहम करने वाला है।
Our Lord, and make us Muslims [in submission] to You and from our descendants a Muslim nation [in submission] to You. And show us our rites and accept our repentance. Indeed, You are the Accepting of repentance, the Merciful.
Aey humaray rab! Humen apne farmanbardar bana ley aur humari aulad mein say bhi aik jamat ko apni ita’at guzaar rakh aur humen apni ibadaten sikha aur humari tauba qabool farma tu tauba qabool farmaney wala aur reham-o-karam kerney wala hai.
ऐ हमारे रब! हमको अपना फ़रमाँबरदार बना, और हमारी नस्ल में से अपनी एक फ़रमाँबरदार उम्मत उठा, और हमको हमारे इबादत के तरीक़े बता, और हमको माफ़ फ़रमा, तू ही माफ़ करने वाला रहम करने वाला है।
And thus we have made you a just community that you will be witnesses over the people and the Messenger will be a witness over you. And We did not make the qiblah which you used to face except that We might make evident who would follow the Messenger from who would turn back on his heels. And indeed, it is difficult except for those whom Allah has guided. And never would Allah have caused you to lose your faith. Indeed Allah is, to the people, Kind and Merciful.
Hum ney issi tarah tumhen aadil ummat banaya hai takay tum logon per gawah hojao aur rasool ( PBUH ) tum per gawah hojayen jiss qiblay per tum pehlay say thay ussay hum ney iss liye muqarrar kiya tha kay hum jaan len kay rasool ka sacha tabey daar kaun hai aur kaun hai jo apni aeyrhiyon kay ball palat jata hai go yeh kaam mushkil hai magar jinhen Allah ney hidayat di hai ( unn per koi mushkil nahi ) Allah Taalaa tumharay aemaal zaya na keray ga Allah Taalaa logon kay sath shafqat aur meharbani kerney wala hai.
और इस तरह हमने तुमको बीच की उम्मत बना दिया, ताकि तुम गवाह रहो लोगों पर और रसूल रहे तुम पर गवाह, और जिस क़िबले पर तुम थे हमने उसको सिर्फ़ इसलिए मुतअय्यन किया था ताकि हम जान लें कि कौन रसूल की पैरवी करता है और कौन उससे उलटे पाँव फिर जाता है, और बेशक यह बात भारी है मगर उन लोगों पर जिनको अल्लाह ने हिदायत दी, और अल्लाह ऐसा नहीं कि तुम्हारे ईमान को ज़ाया कर दे, बेशक अल्लाह लोगों के साथ शफ़क़त करने वाला मेहरबान है।
Except for those who repent and correct themselves and make evident [what they concealed]. Those - I will accept their repentance, and I am the Accepting of repentance, the Merciful.
Magar woh log jo tauba ker len aur islaah ker len aur biyan ker den to mein unn ki tauba qabool ker leta hun aur mein tauba qabool kerney wala aur reham-o-karam kerney wala hun.
अलबत्ता जिन्होंने तौबा की और इस्लाह कर ली और (हक़ का) इज़हार किया तो उनको मैं माफ़ कर दूँगा, और मैं हूँ माफ़ करने वाला, मेहरबान।
And your god is one God. There is no deity [worthy of worship] except Him, the Entirely Merciful, the Especially Merciful.
Tum sab ka mabood aik hi mabood hai uss kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi woh boht reham kerney wala aur bara meharban hai.
और तुम्हारा माबूद एक ही माबूद है, उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वह बड़ा मेहरबान, निहायत रहम वाला है।
He has only forbidden to you dead animals, blood, the flesh of swine, and that which has been dedicated to other than Allah . But whoever is forced [by necessity], neither desiring [it] nor transgressing [its limit], there is no sin upon him. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Tum per murda aur ( baha hua ) khoon aur sooar ka gosht aur her woh cheez jiss per Allah kay siwa doosron ka naam pukara gaya ho haram hai phir jo majboor hojaye aur hadd say barhney wala aur ziyadti kerney wala na ho uss per inn kay khaney mein koi gunah nahi Allah Taalaa baksish kerney wala meharban hai.
अल्लाह ने तुम पर हराम किया है सिर्फ़ मुर्दार को, और ख़ून को, और सुअर के गोश्त को, और जिस पर अल्लाह के सिवा किसी और का नाम लिया गया हो, फिर जो शख़्स मजबूर हो जाए, वह न उसकी चाहत रखता हो और न हद से आगे बढ़ने वाला हो तो उस पर कोई गुनाह नहीं, बेशक अल्लाह बख़्शने वाला मेहरबान है।
And when My servants ask you, [O Muhammad], concerning Me - indeed I am near. I respond to the invocation of the supplicant when he calls upon Me. So let them respond to Me [by obedience] and believe in Me that they may be [rightly] guided.
Jab meray banday meray baray mein aap say sawal keren to aap keh den kay mein boht hi qarib hun her pukarney walay ki pukar ko jab kabhi woh mujhay pukaray qabool kerta hun iss liye logon ko bhi chahaiye kay woh meri baat maan liya keren aur mujh per eman rakhen yehi unn ki bhalaee ka baees hai.
और जब मेरे बंदे तुमसे मेरे बारे में पूछें तो मैं तो नज़दीक हूँ, पुकारने वाले की पुकार का जवाब देता हूँ जबकि वह मुझे पुकारता है, तो चाहिए कि वह मेरा हुक्म मानें और मुझ पर यक़ीन रखें; ताकि वह हिदायत पाएं।
And if they cease, then indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Agar yeh baaz aajyen to Allah Taalaa bakshney wala meharban hai.
फिर अगर वे बाज़ आ जाएं तो अल्लाह बख़्शने वाला मेहरबान है।
Then depart from the place from where [all] the people depart and ask forgiveness of Allah . Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Phir tum uss jagah loto jiss jagah sab log lot’tay hain aur Allah Taalaa say talab-e-bakshish kertay raho yaqeenan Allah Taalaa bakshney wala meharban hai.
फिर तवाफ़ को चलो जहाँ से सब लोग चलें, और अल्लाह से माफ़ी मांगो; यक़ीनन अल्लाह बख़्शने वाला रहम करने वाला है।
Indeed, those who have believed and those who have emigrated and fought in the cause of Allah - those expect the mercy of Allah . And Allah is Forgiving and Merciful.
Alabatta eman laney walay hijrat kerney walay Allah ki raah mein jihad kerney walay hi rehmat-e-elahee kay umeedwar hain Allah Taalaa boht bakshney wala aur boht meharbani kerney wala hai.
बेशक वे लोग जो ईमान लाए, और जिन्होंने हिजरत की, और अल्लाह की राह में जिहाद किया, वे अल्लाह की रहमत के उम्मीदवार हैं, और अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Allah does not impose blame upon you for what is unintentional in your oaths, but He imposes blame upon you for what your hearts have earned. And Allah is Forgiving and Forbearing.
Allah Taalaa tumhen tumhari unn qasmon per na pakray ga jo pukhta na hon haan uss ki pakar uss cheez per hai jo tumharay dilon ka fail ho Allah Taalaa bakshney wala aur burdbaar hai.
अल्लाह तुम्हारी बे-इरादा क़समों पर तुमको नहीं पकड़ता मगर वह उस काम पर पकड़ता है जो तुम्हारे दिल करते हैं; और अल्लाह बहुत बख़्शने वाला, बड़ा बुर्दबार है।
For those who swear not to have sexual relations with their wives is a waiting time of four months, but if they return [to normal relations] - then indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Jo log apni biwiyon say ( talluq na rakhney ) qasmen khayen unn kay liye chaar maheeney ki iddat hai phir agar woh lot aayen to Allah Taalaa bhi bakshney wala meharban hai.
जो लोग अपनी बीवियों से न मिलने की क़सम खा लें, उनके लिए चार महीने तक की मोहलत है, फिर अगर वे रुजूअ़ कर लें तो अल्लाह माफ़ कर देने वाला, मेहरबान है।
Say, [O Muhammad], "If you should love Allah , then follow me, [so] Allah will love you and forgive you your sins. And Allah is Forgiving and Merciful."
Keh dijiye! Kay agar tum Allah Taalaa say mohabbat rakhtay ho to meri tabeydari kero khud Allah Taalaa tum say mohabbat keray ga aur tumharay gunah moaf farma dey ga aur Allah Taalaa bara bakshney wala meharban hai.
(ऐ नबी) कहिए कि अगर तुम अल्लाह से मुहब्बत करते हो तो मेरी पैरवी करो, अल्लाह भी तुमसे मुहब्बत करेगा और तुम्हारे गुनाहों को माफ़ कर देगा, और अल्लाह बड़ा माफ़ करने वाला है, बड़ा मेहरबान है।
Except for those who repent after that and correct themselves. For indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Magar jo log iss kay baad tauba aur islaah ker len to be-shak Allah Taalaa bakshney wala meharban hai.
अलबत्ता जो लोग उसके बाद तौबा कर लें और अपनी इस्लाह कर लें, तो बेशक अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And to Allah belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. He forgives whom He wills and punishes whom He wills. And Allah is Forgiving and Merciful.
Aasmanon aur zamin mein jo kuch hai sab Allah hi ka hai woh jissay chahaye bakshay aur jissay chahaye azab keray Allah Taalaa bakshish kerney wala meharban hai.
और अल्लाह ही के इख़्तियार में है जो कुछ आसमानों में है और जो कुछ ज़मीन में है, वह जिसको चाहे बख़्श दे और जिसको चाहे अज़ाब दे, और अल्लाह बहुत बख़्शने वाला, रहम करने वाला है।
And whoever among you cannot [find] the means to marry free, believing women, then [he may marry] from those whom your right hands possess of believing slave girls. And Allah is most knowing about your faith. You [believers] are of one another. So marry them with the permission of their people and give them their due compensation according to what is acceptable. [They should be] chaste, neither [of] those who commit unlawful intercourse randomly nor those who take [secret] lovers. But once they are sheltered in marriage, if they should commit adultery, then for them is half the punishment for free [unmarried] women. This [allowance] is for him among you who fears sin, but to be patient is better for you. And Allah is Forgiving and Merciful.
Aur tum mein say jiss kissi ko aazad musalman aurton say nikkah kerney ki poori wus’at-o-taqat na ho to woh musalman londiyon say jin kay tum maalik ho ( apna nikkah ker ley ) Allah tumharay aemaal ko ba khoobi janney wala hai tum sab aapas mein aik hi to ho iss liye unn kay maalikon ki ijazat say unn say nikkah kerlo aur qaeeday kay mutabiq unn kay mehar unn ko do woh pak daaman hon na kay aelaaniya bad kaari kerney waliyan na khufia aashnaee kerney waliyan pus jab yeh londiyan nikkah mein aajayen phir agar woh bey hayaee ka kaam keren to unhen aadhi saza hai uss saza say jo aazad aurton ki hai. Kaneezon say nikkah ka yeh hukum tum mein say unn logon kay liye hai jinhen gunah aur takleef ka andesha ho aur tumhara zabt kerna boht behtar hai aur Allah Taalaa bara bakshney wala aur bari rehmat wala hai.
और तुम में से जो शख़्स ताक़त न रखता हो कि (आज़ाद) मुसलमान औरतों से निकाह कर सके तो उसको चाहिए कि वह निकाह कर ले तुम्हारी उन बांदियों में से किसी के साथ जो तुम्हारे क़ब्ज़े में हों और मोमिना हों, अल्लाह तुम्हारे ईमान को ख़ूब जानता है, तुम आपस में एक हो, पस उनके मालिकों की इजाज़त से उनसे निकाह कर लो और मुनासिब तरीक़े पर उनके महर अदा कर दो, इस तरह कि उनसे निकाह किया जाए न कि बदकारी करें और न चोरी छुपे दोस्ती करें, फिर जब वे रिश्ता-ए-निकाह में आजाएं और उसके बाद वे कोई बदकारी करें तो आज़ाद औरतों के लिए जो सज़ा है उसकी आधी सज़ा उन पर है, यह उसके लिए है जो तुम में से बदकारी का अंदेशा रखता हो, और अगर तुम सब्र से काम लो तो यह तुम्हारे लिए ज़्यादा बेहतर है, और अल्लाह बख़्शने वाला, रहम करने वाला है।
O you who have believed, do not consume one another's wealth unjustly but only [in lawful] business by mutual consent. And do not kill yourselves [or one another]. Indeed, Allah is to you ever Merciful.
Aey eman walo! Apney aapas kay maal na jaeez tareeqay say mat khao magar yeh kay tumhari aapas ki raza mandi say ho khareed-o-farokht aur apney aap ko qatal na kero yaqeenan Allah Taalaa tum per nihayat meharban hai.
ऐ ईमान वालो! आपस में एक-दूसरे का माल नाहक़ तौर पर न खाओ, मगर यह कि तिजारत हो आपस की ख़ुशी से, और ख़ून न करो आपस में, बेशक अल्लाह तुम्हारे ऊपर बड़ा मेहरबान है।
And We did not send any messenger except to be obeyed by permission of Allah . And if, when they wronged themselves, they had come to you, [O Muhammad], and asked forgiveness of Allah and the Messenger had asked forgiveness for them, they would have found Allah Accepting of repentance and Merciful.
Hum ney her her rasool ko sirf iss liye bheja kay Allah Taalaa kay hukum say uss ki farmanbardari ki jaye aur agar yeh log jab enhon ney apni janon per zulm kiya tha teray pass aajatay aur Allah Taalaa say istaghfaar kertay aur rasool bhi inn kay liye istaghfaar kertay to yaqeenan yeh log Allah Taalaa ko moaf kerney wala meharban patay.
और हमने जो रसूल भेजा इसी लिए भेजा कि अल्लाह के हुक्म से उसकी इताअत की जाए, और अगर वे जबकि उन्होंने अपना बुरा किया था आपके पास आते और अल्लाह से मांगते और रसूल भी उनके लिए माफ़ी चाहते तो यक़ीनन वे अल्लाह को बख़्शने वाला, रहम करने वाला पाते।
Degrees [of high position] from Him and forgiveness and mercy. And Allah is ever Forgiving and Merciful.
Apni taraf say martabay ki bhi aur baksish ki bhi aur rehmat ki bhi aur Allah Taalaa bakshish kerney wala aur reham kerney wala hai.
उनके लिए अल्लाह की तरफ़ से बड़े दर्जे हैं और मग़्फ़िरत और रहमत है, और अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And whoever emigrates for the cause of Allah will find on the earth many [alternative] locations and abundance. And whoever leaves his home as an emigrant to Allah and His Messenger and then death overtakes him - his reward has already become incumbent upon Allah . And Allah is ever Forgiving and Merciful.
Jo koi Allah ki raah mein watan ko choray ga woh zamin mein boht si qayam ki jagahen bhi paye ga aur kushaadgi bhi aur jo koi apney ghar say Allah Taalaa aur uss kay rasool ( PBUH ) ki taraf nikal khara hua phir ussay maut ney aa pakra to bhi yaqeenan uss ka ajar Allah Taalaa kay zimmay sabit hogaya aur Allah Taalaa bara bakshney wala meharban hai.
और जो कोई अल्लाह की राह में वतन छोड़ेगा वह ज़मीन में बड़े ठिकाने और बड़ी वुसअत पाएगा, और जो शख़्स अपने घर से अल्लाह और उसके रसूल की तरफ़ हिजरत करके निकले फिर उसको मौत आजाए तो उसका अज्र अल्लाह के यहाँ मुक़र्रर हो चुका है, और अल्लाह बख़्शने वाला, रहम करने वाला है।
And whoever does a wrong or wrongs himself but then seeks forgiveness of Allah will find Allah Forgiving and Merciful.
Jo shaks koi buraee keray ya apni jaan per zulm keray phir Allah Taalaa say istaghfaar keray to woh Allah ko bakshney wala meharbani kerney wala payega.
और जो शख़्स बुराई करे या अपने आप पर ज़ुल्म करे फिर अल्लाह से बख़्शिश मांगे तो वह अल्लाह को बख़्शने वाला, रहम करने वाला पाएगा।
And you will never be able to be equal [in feeling] between wives, even if you should strive [to do so]. So do not incline completely [toward one] and leave another hanging. And if you amend [your affairs] and fear Allah - then indeed, Allah is ever Forgiving and Merciful.
Tum say yeh to kabhi na ho sakay ga kay apni tamam biwiyon mein her tarah adal kero go tum iss ki kitni hi khuwaish-o-kosish ker lo iss liye bilkul hi aik ki taraf maeel ho ker doosri ko udhar latakti hui na choro aur agar tum islaah kero aur taqwa ikhtiyar kero to be-shak Allah Taalaa bari maghfirat aur rehmat wala hai.
और तुम हरगिज़ ताक़त नहीं रख़ते कि तुम बराबरी करो औरतों के दरमियान अगरचे तुम ऐसा करना चाहो, पस बिल्कुल एक ही तरफ़ न झुक जाओ कि दूसरी को लटकी हुई की तरह छोड़ दो, और अगर तुम इस्लाह कर लो और तक़वा इख़्तियार करो तो बेशक अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
But they who believe in Allah and His messengers and do not discriminate between any of them - to those He is going to give their rewards. And ever is Allah Forgiving and Merciful.
Aur jo log Allah per aur uss kay tamam payghumbaron per eman latay hain aur inn mein say kissi mein farq nahi kertay yeh hain jinhen Allah unn kay poora sawab dey ga aur Allah bari maghfirat wala bari rehmat wala hai.
और जो लोग अल्लाह और उसके रसूलों पर ईमान लाए और उनमें से किसी को जुदा न किया उनको अल्लाह उनका अज्र देगा, और अल्लाह बख़्शने वाला, रहम करने वाला है।
Prohibited to you are dead animals, blood, the flesh of swine, and that which has been dedicated to other than Allah , and [those animals] killed by strangling or by a violent blow or by a head-long fall or by the goring of horns, and those from which a wild animal has eaten, except what you [are able to] slaughter [before its death], and those which are sacrificed on stone altars, and [prohibited is] that you seek decision through divining arrows. That is grave disobedience. This day those who disbelieve have despaired of [defeating] your religion; so fear them not, but fear Me. This day I have perfected for you your religion and completed My favor upon you and have approved for you Islam as religion. But whoever is forced by severe hunger with no inclination to sin - then indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Tum per haram kiya gaya murdaar aur khoon aur khinzeer ka gosht aur jiss per Allah kay siwa doosray ka naam pukara gaya ho aur jo gala ghutney say mara ho aur jo kissi zarab say marr gaya ho aur jo oonchi jagah say girr ker marra ho aur jo kissi kay seeng maarney say marra ho aur jissay darindon ney phaar khaya ho lekin ussay tum zibah ker dalo to haram nahi aur jo aastanon per zibah kiya gaya ho aur yeh bhi kay quraa kay teeron kay zariye faal geeri kero yeh sab bad tareen gunah hain aaj kuffaar tumharay deen say na umeed hogaye khabardaar! Tum inn say na darna aur mujh say dartay rehna aaj mein ney tumharay liye deen ko kaamil ker diya aur tum per apna inam bharpoor ker diya aur tumharay liye islam kay deen honey per raza mand hogaya. Pus jo shaks shiddat ki bhook mein bey qarar hojaye ba-shart-e-kay kissi gunah ki taraf uss ka meelaan na ho to yaqeenan Allah Taalaa moaf kerney wala aur boht bara meharban hai.
तुम पर हराम किया गया मुर्दार और ख़ून और सुअर का गोश्त और वह जानवर जो अल्लाह के सिवा किसी और के नाम पर ज़बह किया गया हो और जो मर गया हो गला घोंटने से या चोट लगने से या ऊँचाई से गिरकर या सींग मारे जाने से और वह जिसको दरिंदे ने खाया हो मगर जिसको तुमने ज़बह कर लिया हो, और वह जो बुतों की ख़ास जगहों पर ज़बह किया गया हो और यह कि तुम तक़सीम करो जुए के तीरों से, ये सब गुनाह के काम हैं, आज काफ़िर तुम्हारे दीन की तरफ़ से मायूस हो गए पस तुम उनसे न डरो बल्कि सिर्फ़ मुझ से डरो, आज मैंने तुम्हारे लिए तुम्हारे दीन को पूरा कर दिया और तुम पर अपनी नेमत पूरी कर दी और तुम्हारे लिए इस्लाम को दीन की हैसियत से पसंद कर लिया, पस जो भूख से मजबूर हो जाए लेकिन गुनाह पर माइल न हो तो बेशक अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And his soul permitted to him the murder of his brother, so he killed him and became among the losers.
Pus ussay uss kay nafs nay apney bhai kay qatal per aamaada ker diya aur uss ney ussay qatal ker daala jiss say nuksan paney walon mein say hogaya.
फिर उसके नफ़्स ने उसको अपने भाई के क़त्ल पर राज़ी कर लिया और उसने उसे क़त्ल कर डाला, फिर वह नुक़सान उठाने वालों में शामिल हो गया।
Except for those who return [repenting] before you apprehend them. And know that Allah is Forgiving and Merciful.
Haan jo log iss say pehlay tauba ker len kay tum unn per qaboo paalo to yaqeen mano kay Allah Taalaa boht bari bakhsish aur reham-o-karam wala hai.
मगर जो लोग तौबा कर लें तुम्हारे उन पर क़ाबू पा लेने से पहले तो जान लो कि अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
So will they not repent to Allah and seek His forgiveness? And Allah is Forgiving and Merciful.
Yeh log kiyon Allah Taalaa ki taraf nahi jhuktay aur kiyon istaghfar nahi kertay? Allah Taalaa boht hi bakhshney wala aur bara hi meharban hai.
ये लोग अल्लाह के सामने तौबा क्यों नहीं करते और उससे माफ़ी क्यों नहीं माँगते, और अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Know that Allah is severe in penalty and that Allah is Forgiving and Merciful.
Tum yaqeen jano kay Allah Taalaa saza bhi sakht denay wala hai aur Allah Taalaa bari maghfirat aur bari rehmat wala bhi hai.
जान लो कि अल्लाह का अज़ाब सख़्त है और बेशक अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।