And when those come to you who believe in Our verses, say, "Peace be upon you. Your Lord has decreed upon Himself mercy: that any of you who does wrong out of ignorance and then repents after that and corrects himself - indeed, He is Forgiving and Merciful."
Aur yeh log jab aap kay pass ayen jo humari aayaton per eman rakhtay hain to ( yun ) keh dijiye kay tum per salamti hai tumharay rab ney meharbani farmana apney zimmay muqarrar ker liya hai kay jo shaks tum mein say bura kaam ker bethay jahalat say phir woh iss kay baad tauba ker ley aur islah rakhay to Allah ( ki shaan hai kay woh ) bari maghfirat kerney wala aur bari rehmat wala hai.
और जब आपके पास वे लोग आएं जो हमारी आयात पर ईमान लाए हैं तो उनसे कहिए कि तुम पर सलामती हो, तुम्हारे रब ने अपने ऊपर रहमत लिख ली है, बेशक तुम में जो कोई नादानी से कोई बुराई कर बैठे फिर उसके बाद वे तौबा करे और इस्लाह कर ले तो वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Say, "I do not find within that which was revealed to me [anything] forbidden to one who would eat it unless it be a dead animal or blood spilled out or the flesh of swine - for indeed, it is impure - or it be [that slaughtered in] disobedience, dedicated to other than Allah . But whoever is forced [by necessity], neither desiring [it] nor transgressing [its limit], then indeed, your Lord is Forgiving and Merciful."
Aap keh dijiye kay jo kuch ehkaam ba-zariya wahee meray pass aaye hain unn mein to mein koi haram nahi pata kissi khaney walay kay liye jo uss ko khaye magar yeh kay woh murdaar ho ya khinzeer ka gosht ho kiyon kay woh bilkul na pak hai ya jo shirk ka zariya ho kay ghair Allah kay liye naamzad ker diya gaya ho. Phir jo shaks majboor hojaye ba-shart-e-kay na to taalib-e-lazzat ho aur na tajawuz kerney wala ho to waqaee aap ka rab ghafoor-ur-raheem hai.
आप कह दीजिए कि मुझ पर वह्य आई है उसमें तो मैं कोई चीज़ नहीं पाता जो हराम हो किसी खाने वाले पर जो उसको खाए सिवाए इसके कि वे मुर्दार हो या बहाया हुआ ख़ून हो या सुअर का गोश्त हो कि वह नापाक है या नाजायज़ ज़बीहा जिस पर अल्लाह के सिवा किसी और का नाम लिया गया हो, लेकिन जो शख़्स भूख से बे-इख़्तियार हो जाए न नाफ़रमानी करे और न ज़्यादती करे तो आपका रब बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And it is He who has made you successors upon the earth and has raised some of you above others in degrees [of rank] that He may try you through what He has given you. Indeed, your Lord is swift in penalty; but indeed, He is Forgiving and Merciful.
Aur woh aisa hai jiss ney tum ko zamin mein khalifa banaya aur aik ka doosray per rutba barhaya takay tum ko aazmaye unn cheezon mein jo tum ko di hain. Bil yaqeen aap ka rab jald saza denay wala hai aur bil yaqeen woh waqaee bari maghfirat kerney wala meharbani kerney wala hai.
और वही है जिसने तुम्हें ज़मीन में एक-दूसरे का जानशीन बनाया और तुम में से एक का रुतबा दूसरे पर बुलंद किया; ताकि वह आज़माए तुमको अपने दिए हुए में, आपका रब जल्द सज़ा देने वाला और बेशक वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
[Moses] said, "My Lord, forgive me and my brother and admit us into Your mercy, for You are the most merciful of the merciful."
Musa ( alh-e-salam ) ney kaha aey meray rab! Meri khata moaf farma aur meray bhai ki bhi aur hum dono ko apni rehmat mein dakhil farma aur tu sab reham kerney walon say ziyada reham kerney wala hai.
मूसा (अलै॰) ने कहाः ऐ मेरे रब! मुझे और मेरे भाई को माफ़ कर दीजिए और हमको अपनी रहमत में दाख़िल फ़रमाइए, और आप ही सबसे ज़्यादा रहम फ़रमाने वाले हैं।
But those who committed misdeeds and then repented after them and believed - indeed your Lord, thereafter, is Forgiving and Merciful.
Aur jin logon ney gunah kay kaam kiye phir woh inn kay baad tauba ker len aur eman ley aayen to tumhara rab iss tauba kay baad gunah moaf ker denay wala rehmat kerney wala hai.
और जिन लोगों ने बुरे काम किए फिर उसके बाद तौबा की और ईमान लाए तो बेशक उसके बाद आपका रब बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And decree for us in this world [that which is] good and [also] in the Hereafter; indeed, we have turned back to You." [ Allah ] said, "My punishment - I afflict with it whom I will, but My mercy encompasses all things." So I will decree it [especially] for those who fear Me and give zakah and those who believe in Our verses -
Aur hum logon kay naam duniya mein bhi nek haali likh dey aur aakhirat mein bhi hum teri taraf rujoo kertay hain. Allah Taalaa ney farmaya kay mein apna azab ussi per waqey kerta hun aur meri rehmat tamam ashiya per moheet hai. To woh rehmat unn logon kay naam zaroor likhon ga jo Allah say dartay hain aur zakat detay hain aur jo humari aayaton per eman latay hain.
और आप हमारे लिए इस दुनिया में भी भलाई लिख दीजिए और आख़िरत में भी, हमने आपकी तरफ़ रुजूअ़ किया, अल्लाह ने कहाः मैं अपने अज़ाब में मुब्तला करता हूँ जिसको चाहता हूँ और मेरी रहमत शामिल है हर चीज़ को, पस मैं उसको लिख दूँगा उनके लिए जो डर रखते हैं और ज़कात अदा करते हैं और जो हमारी निशानियों पर ईमान लाते हैं।
And [mention] when your Lord declared that He would surely [continue to] send upon them until the Day of Resurrection those who would afflict them with the worst torment. Indeed, your Lord is swift in penalty; but indeed, He is Forgiving and Merciful.
Aur woh waqt yaad kerna chahaiye kay aap kay rab ney yeh baat batla di kay woh inn yahud per qayamat tak aisay shaks ko zaroor musallat kerta rahey ga jo inn ko sazay-e-shadeed ki takleef phonchata rahey ga bila shuba aap ka rab jaldi hi saza dey deta hai aur bila shuba woh waqaee bari maghfirat aur bari rehmat wala hai.
और जब आपके रब ने ऐलान कर दिया कि वे उन (यहूद) पर क़यामत के दिन तक ज़रूर ऐसे लोग भेजता रहेगा जो उनको निहायत बुरा अज़ाब देंगे, बेशक आप का रब जल्द सज़ा देने वाला है और बेशक वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
So consume what you have taken of war booty [as being] lawful and good, and fear Allah . Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Pus jo kuch halal aur pakeezah ghanimat tum ney hasil ki hai khoob khao piyo aur Allah say dartay raho yaqeenan Allah ghafoor-o-rahim hai.
पस जो माल तुमने लिया है उसको खाओ (वह) तुम्हारे लिए हलाल और पाक है और अल्लाह से डरो, बेशक अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
O Prophet, say to whoever is in your hands of the captives, "If Allah knows [any] good in your hearts, He will give you [something] better than what was taken from you, and He will forgive you; and Allah is Forgiving and Merciful."
Aey nabi apney haath talay kay qaidiyon say keh do kay agar Allah Taalaa tumharay dilon mein nek niyati dekhay ga to jo kuch tum say liya gaya hai uss say behtar tumhen dey ga aur phir gunah bhi moaf farmaye ga aur Allah bakhshney wala meharban hai hi.
ऐ (प्यारे) नबी! आपके क़ब्ज़े में जो क़ैदी हैं उनसे कह दीजिए कि अगर अल्लाह तुम्हारे दिलों में कोई भलाई पाएगा तो जो कुछ तुमसे लिया गया है उससे बेहतर वह तुम्हें दे देगा और तुमको बख़्श देगा, और अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And when the sacred months have passed, then kill the polytheists wherever you find them and capture them and besiege them and sit in wait for them at every place of ambush. But if they should repent, establish prayer, and give zakah, let them [go] on their way. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Phir hurmat walay maheenon kay guzartay hi mushrikon ko jahan pao qatal kero unhen giriftar kero unn ka mahasra kerlo aur unn ki taaq mein her ghaati mein ja betho haan agar woh tauba kerlen aur namaz kay paband hojayen aur zakar ada kerney lagen to tum unn ki rahen chor do. Yaqeenan Allah Taalaa bakhshney wala meharban hai.
फिर जब हुरमत वाले महीने गुज़र जाएं तो मुशरिकीन को क़त्ल करो जहाँ तुम उनको पाओ और उनको पकड़ो और उनको घेरो और बैठो हर जगह उनकी घात में, फिर अगर वे तौबा कर लें और नमाज़ क़ायम करें और ज़कात अदा करें तो उन्हें छोड़ दो, बेशक अल्लाह बख़शने वाला, मेहरबान है।
Then Allah will accept repentance after that for whom He wills; and Allah is Forgiving and Merciful.
Phir iss kay baad bhi jiss per chahaye Allah Taalaa apni rehmat ki tawajja farmaye ga Allah hi bakhsish-o-meharbani kerney wala hai.
फिर उसके बाद अल्लाह जिसको चाहे तौबा नसीब कर दे, और अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
There is not upon the weak or upon the ill or upon those who do not find anything to spend any discomfort when they are sincere to Allah and His Messenger. There is not upon the doers of good any cause [for blame]. And Allah is Forgiving and Merciful.
Zaeefon aur beemaron per aur unn per jin kay pass kharach kerney ko kuch bhi nahi koi haraj nahi ba-shart-e-kay woh Allah aur uss kay rasool ki khair khuwaee kertay rahen aisay nek kaaron per ilzam ki koi raah nahi Allah Taalaa bari maghfirat-o-rehmat wala hai.
कोई गुनाह नहीं है कमज़ोरों पर और न बीमारों पर और न उन पर जो ख़र्च करने को कुछ नहीं पाते जबकि वे अल्लाह और उसके रसूल के साथ ख़ैर-ख़्वाही करें, नेकी करने वालों पर कोई इल्ज़ाम नहीं, और अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
But among the bedouins are some who believe in Allah and the Last Day and consider what they spend as means of nearness to Allah and of [obtaining] invocations of the Messenger. Unquestionably, it is a means of nearness for them. Allah will admit them to His mercy. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Aur baaz ehal-e-dehaat mein aisay bhi hain jo Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain aur jo kuch kharach kertay hain inn ko indallah qurb hasil honey ka zariya aur rasool ki dua ka zariya banatay hain yaad rakho kay inn kay yeh kharach kerna be-shak inn kay liye mojib-e-qurbat hai inn ko Allah Taalaa zaroor apni remat mein dakhil keray ga Allah Taalaa bari maghfirat wala bari rehmat wala hai.
और देहातियों में से कुछ वे भी हैं जो अल्लाह पर और आख़िरत के दिन पर ईमान रखते हैं और जो कुछ ख़र्च करते हैं उसको अल्लाह के यहाँ क़ुर्ब का और रसूल की दुआएं लेने का ज़रिया बनाते हैं, हाँ बेशक वह उनके लिए क़ुर्ब का ज़रिया है। अल्लाह उनको अपनी रहमत में दाख़िल करेगा, यक़ीनन अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And [there are] others who have acknowledged their sins. They had mixed a righteous deed with another that was bad. Perhaps Allah will turn to them in forgiveness. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Aur kuch aur log hain jo apni khata kay iqrari hain jinhon ney milay julay amal kiye thay kuch bhalay aur kuch buray Allah say umeed hai kay unn ki toba qabool farmaye. Bila shuba Allah Taalaa bari maghfirat wala bari rehmat wala hai.
कुछ और लोग हैं जिन्होंने अपने क़सूरों का एतराफ़ कर लिया है, उन्होंने मिले-जुले अमल किए थे, कुछ भले और कुछ बुरे, उम्मीद है कि अल्लाह उन पर तवज्जोह करे, बेशक अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Do they not know that it is Allah who accepts repentance from His servants and receives charities and that it is Allah who is the Accepting of repentance, the Merciful?
Kiya inn ko yeh khabar nahi kay Allah hi apney bandon ki toba qabool kerta hai aur wohi sadqaat ko qabool farmata hai aur yeh kay Allah hi toba qabool kerney mein aur rehmat kerney mein kaamil hai.
क्या वे नहीं जानते कि अल्लाह ही अपने बंदों की तौबा क़बूल करता है और वही सदक़ात को क़बूल करता है, और अल्लाह ही तौबा क़बूल करने वाला, मेहरबान है।
Allah has already forgiven the Prophet and the Muhajireen and the Ansar who followed him in the hour of difficulty after the hearts of a party of them had almost inclined [to doubt], and then He forgave them. Indeed, He was to them Kind and Merciful.
Allah Taalaa ney payghumber kay haal per tawajja farmaee aur mohajreen aur ansaar kay haal per bhi jinhon ney aisi tangi kay waqt payghumbar ka sath diya iss kay baad kay inn mein say aik giroh kay dilon mein kuch tazalzul ho chala tha. Phir Allah ney unn kay haal per tawajja farmaee. Bila shuba Allah Taalaa inn sab per boht hi shafiq meharban hai.
बेशक अल्लाह ने नबी पर और मुहाजिरीन व अंसार पर तवज्जोह फ़रमाई जिन्होंने तंगी के वक़्त में नबी का साथ दिया, बाद इसके कि उनमें से कुछ लोगों के दिल कजी की तरफ़ माइल हो चुके थे, फिर अल्लाह ने उन पर तवज्जोह फ़रमाई, बेशक अल्लाह उन पर मेहरबान है, रहम करने वाला है।
And [He also forgave] the three who were left behind [and regretted their error] to the point that the earth closed in on them in spite of its vastness and their souls confined them and they were certain that there is no refuge from Allah except in Him. Then He turned to them so they could repent. Indeed, Allah is the Accepting of repentance, the Merciful.
Aur teen shakson kay haal per bhi jin ka moamla multawee chor diya gaya tha. Yahan tak kay jab zamin ba-waajood apni farakhi kay unn per tang honey lagi aur woh khud apni jaan say tang aagaye aur unhon ney samajh liya kay Allah say kahin panah nahi mill sakti be-juz iss kay kay ussi ki taraf rujoo kiya jaye phir unn kay haal per tawajja farmaee takay woh aaeenda bhi toba ker saken. Be-shak Allah Taalaa boht toba qabool kerney wala aur bara reham wala hai.
और उन तीन शख़्सों के हाल पर भी जिनका मामला मुल्तवी छोड़ दिया गया था, यहाँ तक कि जब ज़मीन बावजूद अपनी वुसअत के उन पर तंग होने लगी और वे ख़ुद अपनी जान से तंग आ गए और उन्होंने समझ लिया कि अल्लाह से कहीं पनाह नहीं मिल सकती सिवाए इसके कि उसी की तरफ़ रुजूअ़ किया जाए, फिर अल्लाह ने उनके हाल पर तवज्जोह फ़रमाई ताकि वे आइंदा भी तौबा कर सकें, बेशक अल्लाह तौबा क़बूल करने वाला बड़ा रहम करने वाला है।
There has certainly come to you a Messenger from among yourselves. Grievous to him is what you suffer; [he is] concerned over you and to the believers is kind and merciful.
Tumharay pass aik aisay payghumber tashreef laye hain jo tumhari jinss mein say hain jin per tumhari takleef boht hi dushwaar guzarti hai jo tumhari bhalaee kay khuwan hain. Jo musalmanon per baray hi shafiq aur meharban hain.
तुम्हारे पास एक रसूल आया है जो ख़ुद तुम्ही में से है, तुम्हारा नुक़सान में पड़ना उस पर भारी है, वह तुम्हारी भलाई का हरीस है, ईमान वालों पर निहायत शफ़क़त करने वाला, मेहरबान है।
And if Allah should touch you with adversity, there is no remover of it except Him; and if He intends for you good, then there is no repeller of His bounty. He causes it to reach whom He wills of His servants. And He is the Forgiving, the Merciful
Aur agar tum ko Allah koi takleef phonchaye to ba-juz uss kay aur koi uss ko door kerney wala nahi hai aur agar woh tum ko koi khair phonchana chahaye to uss kay fazal ka koi hataney wala nahi woh apna fazal apney bandon mein say jiss per chahaye nichawar kerdey aur woh bari maghfirat bari rehmat wala hai.
और अगर अल्लाह तुमको किसी तकलीफ़ में पकड़ ले तो उसके सिवा कोई नहीं जो उसको दूर कर सके, और अगर वे तुमको कोई भलाई पहुँचाना चाहे तो उसके फ़ज़्ल को कोई रोकने वाला नहीं, वह अपना फ़ज़्ल अपने बंदों में से जिसको चाहता है देता है, और वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And [Noah] said, "Embark therein; in the name of Allah is its course and its anchorage. Indeed, my Lord is Forgiving and Merciful."
Nooh ( alh-e-salam ) ney kaha iss kashti mein beth jao Allah hi kay naam say iss ka chalna aur theharna hai yaqeenan mera rab bari bakhsish aur baray reham wala hai.
और नूह (अलै॰) ने कहा कि कश्ती में सवार हो जाओ, अल्लाह के नाम से इसका चलना है और इसका ठहरना भी, बेशक मेरा रब बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And ask forgiveness of your Lord and then repent to Him. Indeed, my Lord is Merciful and Affectionate."
Tum apney rab say istaghfaar kero aur uss ki taraf toba kero yaqeen mano kay mera rab bari meharbani wala aur boht mohabbat kerney wala hai.
और अपने रब से माफ़ी मांगो फिर उसकी तरफ़ पलट आओ, बेशक मेरा रब मेहरबान है, मुहब्बत वाला है।
And I do not acquit myself. Indeed, the soul is a persistent enjoiner of evil, except those upon which my Lord has mercy. Indeed, my Lord is Forgiving and Merciful."
Mein apney nafs ki pakeezgi biyan nahi kerta. Be-shak nafs to buraee per ubharney wala hi hai magar yeh kay mera perwerdigar hi apna reham keray yaqeenan mera paalney wala bari bakhsish kerney wala aur boht meharbani farmaney wala hai.
और मैं अपने नफ़्स की बराअत नहीं करता, नफ़्स तो बुराई ही सिखाता है मगर यह कि मेरा रब रहम फ़रमाए, बेशक मेरा रब बख़्शने वाला, मेहरबान है।
He said, "I will ask forgiveness for you from my Lord. Indeed, it is He who is the Forgiving, the Merciful."
Kaha acha mein jald hi tumharay liye apney perwerdigar say bakhsish maangoo ga woh boht bara bakhshney wala aur nihayat meharbani kerney wala hai.
याक़ूब (अलै॰) ने कहाः मैं अपने रब से तुम्हारे लिए मग़फ़िरत की दुआ करूँगा, बेशक वह बख़्शने वाला, रहम करने वाला है।
Thus have We sent you to a community before which [other] communities have passed on so you might recite to them that which We revealed to you, while they disbelieve in the Most Merciful. Say, "He is my Lord; there is no deity except Him. Upon Him I rely, and to Him is my return."
Issi tarah hum ney aap ko iss ummat mein bheja hai jiss say pehlay boht si ummaten guzar chuki hain kay aap enhen humari taraf say jo wahee aap per utri hai parh ker sunaiye yeh Allah rehman kay munkir hain aap keh dijiye kay mera paalney wala to wohi hai uss kay siwa dar-haqeeqat koi bhi laeeq-e-ibadat nahi ussi kay upper mera bharosa hai aur ussi ki janib mera rujoo hai.
इसी तरह हमने आपको भेजा है एक उम्मत में जिससे पहले भी बहुत-सी उम्मतें गुज़र चुकी हैं; ताकि आप लोगों को वह पैग़ाम सुना दें जो हमने आपकी तरफ़ भेजा है, और वह मेहरबान अल्लाह का इनकार कर रहे हैं, कह दीजिए कि वही मेरा रब है उसके सिवा कोई माबूद नहीं, उसी पर मैंने भरोसा किया और उसी की तरफ़ मुझे लौटना है।
Before him is Hell, and he will be given a drink of purulent water.
Uss kay samney dozakh hai jahan woh peep ka pani pilaya jaye ga.
उसके आगे दोज़ख़ है और उसको पीप का पानी पीने को मिलेगा।
[O Muhammad], inform My servants that it is I who am the Forgiving, the Merciful.
Meray bandon ko khabar dey do kay mein boht hi bakhshney wala aur bara hi meharban hun.
मेरे बंदों को ख़बर दे दीजिए कि मैं बख़्शने वाला, रहमत वाला हूँ।
And they carry your loads to a land you could not have reached except with difficulty to yourselves. Indeed, your Lord is Kind and Merciful.
Aur woh tumharay bojh unn shehron tak utha ley jatay hain jahan tum baghair aadhi jaan kiye phonch hi nahi saktay thay. Yaqeenan tumhara rab bara hi shafiq aur nihayat meharbaan hai.
और वे तुम्हारे बोझ ऐसे मक़ामात तक पहुँचाते हैं जहाँ तुम सख़्त मेहनत के बग़ैर नहीं पहुँच सकते थे, बेशक तुम्हारा रब बड़ा मेहरबान, रहम करने वाला है।
And if you should count the favors of Allah , you could not enumerate them. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Aur agar tum Allah ki nematon ka shumar kerna chahao to tum ussay nahi ker saktay. Be-shak Allah bara bakhshney wala meharban hai.
अगर तुम अल्लाह की नेमतों को गिनो तो तुम उनको गिन न सकोगे, बेशक अल्लाह बख़्शने वाला मेहरबान है।
Or that He would not seize them gradually [in a state of dread]? But indeed, your Lord is Kind and Merciful.
Ya unhen dara dhamka ker pakar ley pus yaqeenan tumhara perwerdigar aala shafqat aur intehaee reham wala hai.
या उनको अंदेशे की हालत में पकड़ ले, पस तुम्हारा रब मेहरबान है, रहमत वाला है।
And they assign to what they do not know a portion of that which We have provided them. By Allah , you will surely be questioned about what you used to invent.
Aur jisay jantay boojhtay bhi nahi uss ka hissa humari di hui rozi mein say muqarrar kertay hain wallah tumharay iss bohtan ka sawal tum say zaroor hi kiya jayega.
और यह लोग हमारी दी हुई चीज़ों में से उनका हिस्सा लगाते हैं जिनके मुतअल्लिक़ उनको कुछ इल्म नहीं, अल्लाह की क़सम! जो झूठ तुम बाँध रहे हो उसके बारे में ज़रूर तुमसे पूछताछ होगी।