Those messengers - some of them We caused to exceed others. Among them were those to whom Allah spoke, and He raised some of them in degree. And We gave Jesus, the Son of Mary, clear proofs, and We supported him with the Pure Spirit. If Allah had willed, those [generations] succeeding them would not have fought each other after the clear proofs had come to them. But they differed, and some of them believed and some of them disbelieved. And if Allah had willed, they would not have fought each other, but Allah does what He intends.
Yeh rasool hain jin mein say hum ney baaz ko baaz per fazilat di hai inn mein say baaz woh hain jin say Allah Taalaa ney baat cheet ki hai aur baaz kay darjay buland kiye hain aur hum ney essa bin marium ko moajzaat ata farmaye aur rooh-ul-qudus say unn ki taeed ki. Agar Allah Taalaa chahata to unn kay baad aaney walay apney pass daleel aajaney kay baad hegiz aapas mein laraee bhiraee na kertay lekin unn logon ney ikhtilaf kiya inn mein say baaz to momin huye aur baaz kafir aur agar Allah Taalaa chahata to yeh aapas mein na lartay lekin Allah Taalaa jo chahata hai kerta hai.
उन पैग़म्बरों में से बअज़ को हमने बअज़ पर फ़ज़ीलत दी, उनमें से बअज़ से अल्लाह ने कलाम किया और बअज़ के दरजात बुलंद किए, और हमने ईसा बिन मरियम (अलै॰) को खुली निशानियाँ दीं, और हमने उनकी मदद की रूहुल-क़ुदुस (जिब्राईल) से, अगर अल्लाह चाहता तो आपस में न लड़ते उनके बाद आने वाले बाद इसके कि उनके पास खुली निशानियाँ आ चुकीं, मगर उन्होंने इख़्तिलाफ़ किया, फिर उनमें से कोई ईमान लाया और किसी ने इनकार किया, और अगर अल्लाह चाहता तो वे न लड़ते, मगर अल्लाह करता है जो वह चाहता है।
Say, "O Allah , Owner of Sovereignty, You give sovereignty to whom You will and You take sovereignty away from whom You will. You honor whom You will and You humble whom You will. In Your hand is [all] good. Indeed, You are over all things competent.
Aap keh dijiye aey Allah ! Aey tamam jahaan kay maalik! Tu jissay chahaye badshahi dey aur jiss say chahaye saltanat cheen ley aur tu jissay chahaye izzat dey aur jissay chahaye zillat dey teray hi haath mein sab bhalaiyan hain be-shak tu her cheez per qadir hai.
(ऐ नबी) आप कहिए कि ऐ अल्लाह! आप सलतनत के मालिक हैं, आप जिसे चाहें सलतनत से नवाज़ें और जिससे चाहें सल्तनत छीन लें, और आप जिसे चाहें इज़्ज़त दें और जिसे चाहें ज़लील कर दें, आप ही के हाथ में हैं सब भलाई, बेशक आप हर चीज़ पर क़ादिर हैं।
You cause the night to enter the day, and You cause the day to enter the night; and You bring the living out of the dead, and You bring the dead out of the living. And You give provision to whom You will without account."
Tu hi raat ko din mein dakhil kerta hai aur din ko raat mein ley jata hai tu hi bey jaan say jaandar peda kerta hai aur tu jaandar say bey jaan peda kerta hai tu hi hai kay jissay chahata hai bey shumar rozi deta hai.
आप ही रात को दिन में दाख़िल करते हैं और दिन को रात में दाख़िल करते हैं, और आप ही बेजान से जानदार को पैदा करते हैं और जानदार से बेजान को निकालते हैं, और आप जिसे चाहते हैं बेहिसाब रिज़्क़ अता फ़रमाते हैं।
And it is not [possible] for one to die except by permission of Allah at a decree determined. And whoever desires the reward of this world - We will give him thereof; and whoever desires the reward of the Hereafter - We will give him thereof. And we will reward the grateful.
Baghair Allah Taalaa kay hukum kay koi jaandaar nahi marr sakta muqarrar shuda waqt likha hua hai duniya ki chahat walon ko hum kuch duniya dey detay hain aur aakhirat ka sawab chahaney walon ko hum woh bhi den gay. Aue ehsan manney walon ko hum boht jald nek badla den gay.
और कोई जान मर नहीं सकती बग़ैर अल्लाह के हुक्म के, अल्लाह का लिखा हुआ वादा है, और जो शख़्स दुनिया का फ़ायदा चाहता है उसको हम दुनिया में से दे देते हैं, और जो आख़िरत का फ़ायदा चाहता है उसको हम आख़िरत में से देते हैं, और शुक्र करने वालों को हम उनका बदला ज़रूर अता करेंगे।
Then after distress, He sent down upon you security [in the form of] drowsiness, overcoming a faction of you, while another faction worried about themselves, thinking of Allah other than the truth - the thought of ignorance, saying, "Is there anything for us [to have done] in this matter?" Say, "Indeed, the matter belongs completely to Allah ." They conceal within themselves what they will not reveal to you. They say, "If there was anything we could have done in the matter, some of us would not have been killed right here." Say, "Even if you had been inside your houses, those decreed to be killed would have come out to their death beds." [It was] so that Allah might test what is in your breasts and purify what is in your hearts. And Allah is Knowing of that within the breasts.
Phir uss ney iss ghum kay baad tum per aman nazil farmaya aur tum mein say aik jamat ko aman ki neend aaney lagi. Haan kuch woh log bhi thay kay unhen apni janon ki pari hui thi woh Allah Taalaa kay sath na haq jahalat bhari bad gumani ker rahey thay aur kehtay thay kiya humen bhi kissi cheez ka ikhtiyar hai? Aap keh dijiye kay kaam kul ka kul Allah hi kay ikhtiyar mein hai yeh log apney dilon kay bhed aap ko nahi batatay kehtay hain kay agar humen kuch bhi ikhtiyar hota to yahan qatal na kiye jatay. Aap keh dijiye kay go tum apney gharon mein hotay phir bhi jin ki qismat mein qatal hona tha woh to maqtal ki taraf chal kharay hotay Allah Taalaa ko tumharay seenon ki andar ki cheez ka aazmana aur jo kuch tumharay dilon mein hai uss ko pak kerna tha aur Allah Taalaa seenon kay bhed say aagah hai.
फिर अल्लाह ने तुम्हारे ऊपर ग़म के बाद इत्मीनान उतारा यानी ऐसी ऊँघ कि उसका तुम में से एक जमात पर ग़लबा हो रहा था और एक जमात वह थी कि उसको अपनी जानों की फ़िक्र पड़ी हुई थी, वह अल्लाह के बारे में ख़िलाफ़े-हक़ीक़त ख़्यालात, जाहिलियत के ख़्यालात क़ायम कर रहे थे, वे कहते थेः क्या हमारा भी कुछ इख़्तियार है? आप कह दीजिए कि सारा मामला अल्लाह के इख़्तियार में है, वे अपने दिलों में ऐसी बात छुपाए हुए हैं जो तुम पर ज़ाहिर नहीं करते, वे कहते हैं कि अगर इस मामले में हमारा भी कुछ दख़ल होता तो हम यहाँ न मारे जाते, आप कह दीजिएः अगर तुम अपने घरों में होते तब भी जिनका क़त्ल होना लिखा जा चुका वे अपनी क़त्ल की जगहों की तरफ़ निकल पड़ते, यह इसलिए हुआ कि अल्लाह को आज़माना था जो कुछ तुम्हारे सीनों में है और निखारना था जो कुछ तुम्हारे दिलों में है, और अल्लाह जानता है सीनों में छुपी बातों को।
Wherever you may be, death will overtake you, even if you should be within towers of lofty construction. But if good comes to them, they say, "This is from Allah "; and if evil befalls them, they say, "This is from you." Say, "All [things] are from Allah ." So what is [the matter] with those people that they can hardly understand any statement?
Tum jahan kahin bhi ho maut tumhen aa pakray gi go tum mazboor qilon mein ho aur gar enhen koi bhalaee milti hai to kehtay hain kay yeh Allah Taalaa ki taraf say hai aur agar koi buraee phonchti hai to to keh uthtay hain kay yeh teri taraf say hai. Enhen keh do kay yeh kuch Allah Taalaa ki taraf say hai. Enhen kiya hogaya hai kay koi baat samajhney kay bhi qarib nahi.
और तुम जहाँ भी रहोगे मौत तुम्हें आ पकड़ेगी; अगरचे तुम मज़बूत क़िले में रहो, अगर उनको कोई भलाई पहुँचती है तो कहते हैं कि यह अल्लाह की तरफ़ से है, और अगर उनको कोई बुराई पहुँचती है तो कहते हैं कि सब तुम्हारी वजह से है, आप कह दीजिए कि सब कुछ अल्लाह की तरफ़ से है, पस उन लोगों को क्या हो गया है कि कोई बात ही नहीं समझते।
And if Allah should touch you with adversity, there is no remover of it except Him. And if He touches you with good - then He is over all things competent.
Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi takleef phonchaye to uss ka door kerney wala siwaye Allah Taalaa kay aur koi nahi. Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi nafa phonchaye to woh her cheez per poori qudrat rakhney wala hai.
और अगर अल्लाह तुमको कोई नुक़सान पहुँचाए तो उसके सिवा कोई उसका दूर करने वाला नहीं, और अगर अल्लाह तुमको कोई भलाई पहुँचाए तो वह हर चीज़ पर क़ादिर है।
And if their evasion is difficult for you, then if you are able to seek a tunnel into the earth or a stairway into the sky to bring them a sign, [then do so]. But if Allah had willed, He would have united them upon guidance. So never be of the ignorant.
Aur agar aap ko inn ka aeyraaz giran guzarta hai to agar aap ko yeh qudrat hai kay zamin mein koi surang ya aasman mein koi seerhi dhoond lo phir koi moajza ley aao to kero aur agar Allah ko manzoor hota to inn sab ko raah-e-raast per jama ker deta so aap nadanon mein say na ho jaiye.
और अगर उनकी बेरुख़ी आप पर गिराँ गुज़र रही है तो अगर आप में कुछ ज़ोर है तो या तो ज़मीन में कोई सुरंग ढूँढो या आसमान में सीढ़ी लगाओ और उनके लिए कोई निशानी ले आओ, और अगर अल्लाह चाहता तो उन सबको हिदायत पर जमा कर देता, पस आप नादानों में से न बनें।
Only those who hear will respond. But the dead - Allah will resurrect them; then to Him they will be returned.
Wohi log qabool kertay hain jo suntay hain. Murdon ko Allah zinda ker kay uthaye ga phir sab Allah hi ki taraf laye jayen gay.
क़बूल तो वही लोग करते हैं जो सुनते हैं, और मुर्दों को अल्लाह उठाएगा फिर वे उसी की तरफ़ लौटाए जाएंगे।
So whoever Allah wants to guide - He expands his breast to [contain] Islam; and whoever He wants to misguide - He makes his breast tight and constricted as though he were climbing into the sky. Thus does Allah place defilement upon those who do not believe.
So jiss shaks ko Allah Taalaa raastay per daalna chahaye uss key seenay ko islam kay liye kushada ker deta hai aur jiss ko bey raah rakhna chahaye uss kay seenay ko boht tang ker deta hai jaisay koi aasman mein charhta hai issi tarah Allah Taalaa eman na laney walo per na paki musallat ker deta hai.
अल्लाह जिसको चाहता है कि हिदायत दे तो उसका सीना इस्लाम के लिए खोल देता है और जिसको चाहता है कि गुमराह करे तो उसके सीने को बिल्कुल तंग कर देता है जैसे उसको आसमान में चढ़ना पड़ रहा हो, इस तरह अल्लाह गंदगी डाल देता है उन लोगों पर जो ईमान नहीं लाते।
Whoever Allah guides - he is the [rightly] guided; and whoever He sends astray - it is those who are the losers.
Jiss ko Allah hidayat kerta hai so hidayat paney wala wohi hota hai aur jiss ko woh gumrah kerdey so aisay hi log khasaray mein parney walay hain.
अल्लाह जिसको राह दिखाए वही राह पाने वाला होता है, और जिसको वह बे-राह कर दे तो वही घाटा उठाने वाले हैं।
And We have certainly created for Hell many of the jinn and mankind. They have hearts with which they do not understand, they have eyes with which they do not see, and they have ears with which they do not hear. Those are like livestock; rather, they are more astray. It is they who are the heedless.
Aur hum ney aisay boht say jinn aur insan dozakh kay liye peda kiye hain jin kay dil aisay hain jin say nahi samajhtay aur jin ki aankhen aisi hain jin say nahi dekhtay aur jin kay kaam aisay hain jin say nahi suntay. Yeh log chopayon ki tarah hain bulkay yeh unn say bhi ziyada gumrah hain. Yeho log ghafil hain.
और हमने जिन्नात और इंसान में से बहुतों को जहन्नम के लिए पैदा किया है, उनके दिल हैं जिनसे वे समझते नहीं, उनकी आँखें हैं जिनसे वे देखते नहीं और उनके कान हैं जिनसे वे सुनते नहीं, वे ऐसे हैं जैसे चौपाये बल्कि उनसे भी ज़्यादा बे-राह, यही लोग ग़ाफ़िल हैं।
To Him is your return all together. [It is] the promise of Allah [which is] truth. Indeed, He begins the [process of] creation and then repeats it that He may reward those who have believed and done righteous deeds, in justice. But those who disbelieved will have a drink of scalding water and a painful punishment for what they used to deny.
Tum sab ko Allah hi kay pass jana hai Allah ney sacha wada ker rakha hai. Be-shak wohi pehli baar bhi peda kerta hai phir wohi doobara bhi peda keray ga takay aisay logon ko jo kay eman laye aur unhon ney nek kaam kiye insaf kay sath jaza dey aur jin logon ney kufur kiya unn kay wastay kholta hua pani peenay ko milay ga aur dard naak azab hoga unn kay kufur ki waja say.
उसी की तरफ़ तुम सबको लौट कर जाना है, यह अल्लाह का पक्का वादा है, बेशक वह पैदाइश की इब्तिदा करता है फिर वह दोबारा पैदा करेगा; ताकि जो लोग ईमान लाए और उन्होंने नेक काम किए उनको इंसाफ़ के साथ बदला दे, और जिन्होंने इनकार किया उनके इनकार के बदले उनके लिए खौलता हुआ पानी और दर्दनाक अज़ाब है।
Say, "I possess not for myself any harm or benefit except what Allah should will. For every nation is a [specified] term. When their time has come, then they will not remain behind an hour, nor will they precede [it]."
Aap farma dijiye kay mein apni zaat kay liye to kissi nafay ka aur kissi zarrar ka ikhtiyar rakhta hi nahi magar jitna Allah ko manzoor ho. Her ummat kay liye aik moyyen waqt hai jab unn ka woh moyyen waqt aa phonchta hai to aik ghari na peechay hatt saktay hain aur na aagay sirak saktay hain.
कह दीजिए कि मैं अपने वास्ते भी बुरे और भले का मालिक नहीं मगर जो अल्लाह चाहे, हर उम्मत के लिए एक वक़्त है, जब उनका वक़्त आ जाता है तो फिर न वह एक घड़ी पीछे होते हैं और न आगे।
And had your Lord willed, those on earth would have believed - all of them entirely. Then, [O Muhammad], would you compel the people in order that they become believers?
Aur agar aap ka rab chahata to tamam roy-e-zamin kay log sab kay sab eman latay to kiya aap logon per zabardasti ker saktay hain yahan tak kay woh momin hi ho jayen.
और अगर आपका रब चाहता तो ज़मीन पर जितने लोग हैं सबके सब ईमान ले आते, फिर क्या आप लोगों को मजबूर करोगे कि वे मोमिन हो जाएं।
Say, "Observe what is in the heavens and earth." But of no avail will be signs or warners to a people who do not believe
Aap keh dijiye kay tum ghor kero kay kiya kiya cheezen aasmanon mein aur zamin mein hain aur jo log eman nahi latay unn ko nishaniyan aur dhamkiyan kuch faeeda nahi phonchatin.
कह दीजिए कि आसमानों और ज़मीन में जो कुछ है उसे देखो, और निशानियाँ और डरावे उन लोगों को फ़ायदा नहीं पहुँचाते जो ईमान नहीं लाते।
Allah keeps firm those who believe, with the firm word, in worldly life and in the Hereafter. And Allah sends astray the wrongdoers. And Allah does what He wills.
Eman walon ko Allah Taalaa pakki baat kay sath mazboot rakhta hai duniya ki zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi haan na insaf logon ko Allah behka deta hai aur Allah jo chahaye ker guzray.
अल्लाह वालों को एक पक्की बात से दुनिया और आख़िरत में मज़बूत करता है, और अल्लाह ज़ालिमों को भटका देता है, और अल्लाह करता है जो वह चाहता है।
And upon Allah is the direction of the [right] way, and among the various paths are those deviating. And if He willed, He could have guided you all.
Aur Allah per seedhi raah ka bata dena hai aur baaz tairhi raahen hain aur agar woh chahata to tum sab ko raah-e-raast per laga deta.
और अल्लाह तक पहुँचती है सीधी राह, और बअज़ रास्ते टेढ़े भी हैं, और अगर अल्लाह चाहता तो तुम सबको हिदायत दे देता।
And if Allah had willed, He could have made you [of] one religion, but He causes to stray whom He wills and guides whom He wills. And you will surely be questioned about what you used to do.
Agar Allah chahata to tum sab ko aik hi giroh bana deta lekin woh jisay chahaye gumrah kerta hai aur jisay chahaye hidayat deta hai yaqeenan tum jo kuch ker rahey ho uss kay baray mein baaz purs ki janey wali hai.
और अगर अल्लाह चाहता तो तुम सबको एक ही उम्मत बना देता लेकिन वह बे-राह कर देता है जिसको चाहता है और हिदायत दे देता है जिसको चाहता है, और ज़रूर तुमसे तुम्हारे आमाल की पूछ-गछ होगी।
Those are the ones over whose hearts and hearing and vision Allah has sealed, and it is those who are the heedless.
Yeh woh log hain jin kay dilon per aur jin kay kanon per aur jin ki aankhon per Allah ney mohar laga di hai aur yehi log ghafil hain.
ये वे लोग हैं कि अल्लाह ने उनके दिलों पर और उनके कानों पर और उनकी आँखों पर मुहर कर दी, और ये लोग बिल्कुल ग़ाफ़िल हैं।
Allah is the Light of the heavens and the earth. The example of His light is like a niche within which is a lamp, the lamp is within glass, the glass as if it were a pearly [white] star lit from [the oil of] a blessed olive tree, neither of the east nor of the west, whose oil would almost glow even if untouched by fire. Light upon light. Allah guides to His light whom He wills. And Allah presents examples for the people, and Allah is Knowing of all things.
Allah noor hai aasmanon ka aur zamin ka uss kay noor ki misal misil aik taaq kay hai jiss mein chiragh ho aur chiragh seeshay ki qandeel mein ho aur seesha misil chamaktay huye roshan sitaray kay ho woh chiragh aik ba-barkat darakht zaitoon kay tel say jalaya jata ho jo darakht na mashriqi hai na maghribi khud woh tel qareeb hai kay aap hi roshni denay lagay agarcheh ussay aag na bhi chuye noor per noor hai Allah Taalaa apnay noor ki taraf rehnumaee kerta hai jissay chahaye logon ( kay samjhaney ) ko yeh misalen Allah Taalaa biyan farma raha hai aur Allah Taalaa her cheez kay haal say bakhoobi waqif hai.
अल्लाह आकाशों और धरती का प्रकाश है। (मोमिन के दिल में) उस के प्रकाश की मिसाल ऐसी है जैसे एक ताक़ है, जिस में एक चिराग़ है - वह चिराग़ एक फ़ानूस में है। वह फ़ानूस ऐसा है मानो चमकता हुआ कोई तारा है। - वह चिराग़ ज़ैतून के एक बरकत वाले वृक्ष के तेल से जलाया जाता है, जो न पूर्वी है न पश्चिमी। उस का तेल आप ही आप भड़का पड़ता है, यद्यपि आग उसे न भी छुए। प्रकाश पर प्रकाश! - अल्लाह जिसे चाहता है अपने प्रकाश के प्राप्त होने का मार्ग दिखा देता है। अल्लाह लोगों के लिए मिसालें प्रस्तुत करता है। अल्लाह तो हर चीज़ जानता है।
[Are] men whom neither commerce nor sale distracts from the remembrance of Allah and performance of prayer and giving of zakah. They fear a Day in which the hearts and eyes will [fearfully] turn about -
Aisay log jinhen tijarat aur khareed-o-farokht Allah kay zikar say aur namaz kay qaeem kerney aur zakat ada kerney say ghafil nahi kerti uss din say dartay hain jiss din boht say dil aur boht si aankhen ulat pulat hojyen gi.
उन में ऐसे लोग प्रभात काल और संध्या समय उस की तसबीह करते हैं जिन्हें अल्लाह की याद और नमाज क़ायम करने और ज़कात देने से न तो व्यापार ग़ाफ़िल करता है और न क्रय-विक्रय। वे उस दिन से डरते रहते हैं जिस में दिल और आँखें विकल हो जाएँगी
But those who disbelieved - their deeds are like a mirage in a lowland which a thirsty one thinks is water until, when he comes to it, he finds it is nothing but finds Allah before Him, and He will pay him in full his due; and Allah is swift in account.
Aur kafiron kay aemaal misil uss chamakti hui rait kay hain jo chatyal maidan mein ho jissay piyasa shaks door say pani samjhta hai lekin jab uss kay pass phonchta hai to ussay kuch bhi nahi pata haan Allah ko apnay pass pata hai jo uss ka hisab poora poora chuka deta hai. Allah boht jald hisab ker denay wala hai.
रहे वे लोग जिन्होंने इनकार किया उन के कर्म चटियल मैदान में मरीचिका की तरह है कि प्यासा उसे पानी समझता है, यहाँ तक कि जब वह उस के पास पहुँचा तो उसे कुछ भी न पाया। अलबत्ता अल्लाह ही को उस के पास पाया, जिस ने उस का हिसाब पूरा-पूरा चुका दिया। और अल्लाह बहुत जल्द हिसाब करता है
Or [they are] like darknesses within an unfathomable sea which is covered by waves, upon which are waves, over which are clouds - darknesses, some of them upon others. When one puts out his hand [therein], he can hardly see it. And he to whom Allah has not granted light - for him there is no light.
Ya misil unn andheron kay hai jo nihayat gehray samandar ki teh mein hon jissay upper talay ki mojon ney dhaanp rakha ho phir upper say badal chaye huye hon. Al-gharz andheriyan hain jo upper talay pay dar pay hain. Jab apna hath nikalay to ussay bhi qareeb hai kay na dekh sakay aur ( baat yeh hai kay ) jissay Allah Taalaa hi noor na dey uss kay pass koi roshni nahi hoti.
या फिर जैसे एक गहरे समुद्र में अँधेरे, लहर के ऊपर लहर छा रही है; उस के ऊपर बादल है, अँधेरे हैं एक पर एक। जब वह अपना हाथ निकाले तो उसे वह सुझाई देता प्रतीत न हो। जिसे अल्लाह ही प्रकाश न दे फिर उस के लिए कोई प्रकाश नहीं
And your Lord creates what He wills and chooses; not for them was the choice. Exalted is Allah and high above what they associate with Him.
Aur aap ka rab jo chahata hai peda kerta hai aur jisay chahata hai chun leta hai inn mein say kissi ko koi ikhtiyar nahi Allah hi kay liye paki hai woh buland tar hai her uss cheez say kay log shareek kertay hain.
तेरा रब पैदा करता है जो कुछ चाहता है और ग्रहण करता है जो चाहता है। उन्हें कोई अधिकार प्राप्त नहीं। अल्लाह महान और उच्च है उस शिर्क से, जो वे करते हैं
He arranges [each] matter from the heaven to the earth; then it will ascend to Him in a Day, the extent of which is a thousand years of those which you count.
Woh aasman say ley ker zamin tak ( her ) kaam ki tadbeer kerta hai phir ( woh kaam ) aik aisay din mein uss ki taraf charh jata hai jiss ka andaza tumhari ginti kay aik hazar saal kay barbar hai.
वह कार्य की व्यवस्था करता है आकाश से धरती तक - फिर सारे मामले उसी की तरफ़ लौटते हैं - एक दिन में, जिस की माप तुम्हारी गणना के अनुसार एक हज़ार वर्ष है
And if we had willed, We could have given every soul its guidance, but the word from Me will come into effect [that] "I will surely fill Hell with jinn and people all together.
Agar hum chahtay to her shaks ko hidayat naseeb farma detay lekin meri yeh baat bilkul haq ho chuki hai kay mein zaroor zaroor jahannum ko insano aur jinno say pur kerdoon ga.
यदि हम चाहते तो प्रत्येक व्यक्ति को उस का अपना संमार्ग दिखा देते, किन्तु मेरी ओर से बात सत्यापित हो चुकी है कि "मैं जहन्नम को जिन्नों और मनुष्यों, सबसे भरकर रहूँगा।"
Whatever Allah grants to people of mercy - none can withhold it; and whatever He withholds - none can release it thereafter. And He is the Exalted in Might, the Wise.
Allah Taalaa jo rehmat logon kay liye khol day so uss ka koi band kerney wala nahi aur jiss ko band kerday so uss kay baad iss ka koi jaari kerney wala nahi aur wohi ghalib hikmat wala hai.
अल्लाह जो दयालुता लोगों के लिए खोल दे उसे कोई रोकने वाला नहीं और जिसे वह रोक ले तो उस के बाद उसे कोई जारी करने वाला भी नहीं। वह अत्यन्त प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
He it is who gives life and causes death; and when He decrees a matter, He but says to it, "Be," and it is.
Wohi hai jo jilata hai aur maar dalta hai phir woh jab kissi kaam ka kerna muqarrar kerta hai to ussay sirf yeh kehta hai kay hoja pus woh hojata hai.
वही है जो जीवन और मृत्यु देता है, और जब वह किसी काम का फ़ैसला करता है, तो उस के लिए बस कह देता है कि 'हो जा' तो वह हो जाता है
And We appointed for them companions who made attractive to them what was before them and what was behind them [of sin], and the word has come into effect upon them among nations which had passed on before them of jinn and men. Indeed, they [all] were losers.
Aur hum ney inn kay kuch hum nashee muqarrar ker rakhay rhay jinhon ney unn kay aglay pichlay aemaal unn ki nighaon mein khoobsurat bana rakhay thay aur inn kay haq mein bhi Allah ka qol unn ummaton kay sath poora hua jo inn say pehlay jinno aur insano ki guzar chuki hain. Yaqeenan woh ziyan kaar sabir huyey.
हम ने उन के लिए कुछ साथी नियुक्त कर दिए थे। फिर उन्होंने उन के आगे और उन के पीछे जो कुछ था उसे सुहाना बनाकर उन्हें दिखाया। अन्ततः उन पर भी जिन्नों और मनुष्यों के उन गिरोहों के साथ फ़ैसला सत्यापित होकर रहा, जो उन से पहले गुज़र चुके थे। निश्चय ही वे घाटा उठाने वाले थे