I will surely cut off your hands and your feet on opposite sides; then I will surely crucify you all."
Mein tumharay aik taraf kay haath aur doosri taraf kay paon kaaton ga. Phir tum sab ko sooli per latka doon ga.
मैं तुम्हारे हाथ और पाँव मुख़ालिफ़ सिम्तों से काटूँगा फिर तुम सबको सूली पर चढ़ा दूँगा।
They said, "Indeed, to our Lord we will return.
Unhon ney jawab diya kay hum ( marr ker ) apney maalik hi kay pass jayen gay.
उन्होंने कहाः हमको अपने रब ही की तरफ़ लौटना है।
And you do not resent us except because we believed in the signs of our Lord when they came to us. Our Lord, pour upon us patience and let us die as Muslims [in submission to You]."
Aur tu ney hum mein konsa aib dekha hai ba-juz isskay kay hum apney rab per eman ley aaye jab woh humaray pass aaye. Aey humaray rab! Humaray upper sabar ka faizan farma aur humari jaan halat-e-islam per nikal.
तुम हमको सिर्फ़ इस बात की सज़ा देना चाहते हो कि हमारे रब की निशानियाँ जब हमारे सामने आ गईं तो हम उन पर ईमान ले आए, ऐ हमारे रब! हम पर सब्र उंडेल दीजिए और हमको इस्लाम पर वफ़ात दीजिए।
And the eminent among the people of Pharaoh said," Will you leave Moses and his people to cause corruption in the land and abandon you and your gods?" [Pharaoh] said, "We will kill their sons and keep their women alive; and indeed, we are subjugators over them."
Aur qom-e-fiaon kay sardaron ney kaha kay kiya aap musa ( alh-e-salam ) aur unn ki qom ko yun hi rehney den gay kay woh mulk mein fasaad kertay phiren aur woh aap ko aur aap kay maboodon ko tarak kiye rahen. Firaon ney kaha kay hum abhi inn logon kay beton ko qatal kerna shuroo ker den gay aur aurton ko zinda rehney den gay aur hum ko inn per her tarah ka zor hai.
फ़िरऔन की क़ौम के सरदारों ने कहाः क्या तुम मूसा को और उसकी क़ौम को छोड़ दोगे कि वह मुल्क में फ़साद फैलाएं और तुमको और तुम्हारे माबूदों को छोड़ दें? फ़िरऔन ने कहाः हम उनके बेटों को क़त्ल करेंगे और उनकी औरतों को ज़िंदा रखेंगे, और हम उन पर पूरी तरह ग़ालिब हैं।
Said Moses to his people, "Seek help through Allah and be patient. Indeed, the earth belongs to Allah . He causes to inherit it whom He wills of His servants. And the [best] outcome is for the righteous."
Musa ( alh-e-salam ) ney apni qom say farmaya Allah Taalaa ka sahara hasil kero aur sabar kero yeh zamin Allah Taalaa ki hai apney bandon mein say jiss ko chahaye woh maalik bana dey aur akheer kaamyabi unhi ki hoti hai jo Allah say dartay hain.
मूसा (अलै॰) ने अपनी क़ौम से कहा कि अल्लाह से मदद चाहो और सब्र करो, बेशक ज़मीन अल्लाह की है वह अपने बंदों में से जिसको चाहता है उसका वारिस बना देता है, और आख़िरी कामयाबी तो अल्लाह से डरने वालों ही के लिए है।
They said, "We have been harmed before you came to us and after you have come to us." He said, "Perhaps your Lord will destroy your enemy and grant you succession in the land and see how you will do."
Qom kay log kehney lagay kay hum to hamesha museebat hi mein rahey aap ki tashreef aawari say qabal bhi aur aap ki tashreef aawari kay baad bhi. Musa ( alh-e-salam ) ney farmaya kay boht jald Allah tumharay dushman ko halak ker dey ga aur bajaye unn kay tum ko iss sir zamin ka khalifa bana dey ga phir tumhara tarz-e-amal dekhay ga.
मूसा की क़ौम ने कहाः हम तुम्हारे आने से पहले भी सताए गए और तुम्हारे आने के बाद भी, मूसा (अलै॰) ने कहाः क़रीब है कि तुम्हारा रब तुम्हारे दुश्मन को हलाक कर दे और उनकी जगह तुमको इस सरज़मीन का मालिक बना दे फिर देखे कि तुम कैसा अमल करते हो।
And We certainly seized the people of Pharaoh with years of famine and a deficiency in fruits that perhaps they would be reminded.
Aur hum ney firaon walon ko mubtila kiya qehat saali mein aur phalon ki kum peda waari mein takay woh naseehat qabool keren.
और हमने फ़िरऔन के लोगों को क़हत और पैदावार की कमी में मुब्तला किया; ताकि उनको नसीहत हो।
But when good came to them, they said, "This is ours [by right]." And if a bad [condition] struck them, they saw an evil omen in Moses and those with him. Unquestionably, their fortune is with Allah , but most of them do not know.
So jab inn per khushali aajati to kehtay kay yeh to humaray liye hona hi chahaiye aur agar inn ko koi bad haali paish aati to musa ( alh-e-salam ) aur unn kay sathiyon ki nahoosat batlatay. Yaad rakho kay inn nahoosat Allah Taalaa kay pass hai lekin inn kay aksar log nahi jantay.
लेकिन जब उन पर ख़ुशहाली आती तो कहते कि यह हमारे लिए है, और अगर उन पर कोई आफ़त आती तो उसको मूसा और उसके साथियों की नहूसत बताते, सुन लो! उनकी बदबख़्ती तो अल्लाह के पास है मगर उनमें से अकसर नहीं जानते।
And they said, "No matter what sign you bring us with which to bewitch us, we will not be believers in you."
Aur yun kehtay kaisi hi baat humaray samney lao kay inn kay zariye say hum per jadoo chalao jab bhi hum tumhari baat hergiz na maanen gay.
और वे (मूसा से) कहते थे कि तुम हम पर अपना जादू चलाने के लिए कैसी भी निशानी लेकर आ जाओ हम तुम पर ईमान लाने वाले नहीं हैं।
So We sent upon them the flood and locusts and lice and frogs and blood as distinct signs, but they were arrogant and were a criminal people.
Phir hum ney unn per toofan bheja aur tiddiyan aur ghun ka keera aur mendak aur khoon kay yeh sab khulay khulay moajzay thay. So woh takabbur kertay rahey aur woh log kuch tha hi jaraeem paisha.
फिर हमने उनके ऊपर तूफ़ान भेजा और टिड्डी और जुएं और मेंढक और ख़ून, ये सब निशानियाँ अलग-अलग दिखाईं फिर भी उन्होंने तकब्बुर किया और वे मुजरिम लोग थे।
And when the punishment descended upon them, they said, "O Moses, invoke for us your Lord by what He has promised you. If you [can] remove the punishment from us, we will surely believe you, and we will send with you the Children of Israel."
Aur jab unn per koi azab waqey hota to yun kehtay kay aey musa! Humaray liye apney rab say iss baat ki dua ker dijiye! Jiss ka uss ney aap say ehad ker rakha hai agar aap iss azab ko hum say hata den to hum zaroor zaroor aap kay kehney say eman ley aayen gay aur hum bani israeel ko bhi ( raah ker kay ) aap kay humrah ker den gay.
और जब उन पर कोई अज़ाब पड़ता तो कहतेः ऐ मूसा! अपने रब से हमारे लिए दुआ करो जिसका उसने तुम से वादा कर रखा है, अगर तुम हम पर से इस अज़ाब को हटा दोगे तो हम ज़रूर तुम पर ईमान लाएंगे और बनी-इस्राईल को तुम्हारे साथ जाने देंगे।
But when We removed the punishment from them until a term which they were to reach, then at once they broke their word.
Phir jab unn sya iss azab ko aik khaas waqt tak kay uss tak unn ko phonchna tha hata detayto woh foran hi ehad shikni kerney lagtay.
फिर जब हम उन से दूर कर देते आफ़त को कुछ मुद्दत के लिए जहाँ बहरहाल उन्हें पहुँचना था तो उसी वक़्त वे अहद को तोड़ देते।
So We took retribution from them, and We drowned them in the sea because they denied Our signs and were heedless of them.
Phir hum ney unn say badla liya yani unn ko darya mein gharq ker diya iss sabab say kay woh humari aayaton ko jhutlatay thay aur inn say bilkul hi ghaflat kertay thay.
फिर हमने उनको सज़ा दी और उनको समुंदर में डुबो दिया; क्योंकि उन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया और उन से बे-परवा हो गए।
And We caused the people who had been oppressed to inherit the eastern regions of the land and the western ones, which We had blessed. And the good word of your Lord was fulfilled for the Children of Israel because of what they had patiently endured. And We destroyed [all] that Pharaoh and his people were producing and what they had been building.
Aur hum ney unn logon ko jo kay bilkul kamzor shumat kiye jatay thay uss sir zamin kay poorab pachim ka maalik bana diya jiss mein hum ney barkat rakhi hai aur aap kay rab kay nek wada bani israeel kay haq mein unn kay sabar ki waja say poora hogaya aur hum ney firaon kay aur uss ki qom kay saakhita per daakhita kaar khanon ko aur jo kuch woh oonchi oonchi emarten banwatay thay sab ko darhum barhum ker diya.
और जो लोग कमज़ोर समझे जाते थे उनको हमने ज़मीन के मशरिक़ और मग़रिब का वारिस बना दिया जिसमें हमने बरकत रखी थी, और बनी-इस्राईल पर आपके रब का नेक वादा पूरा हो गया इस वजह से कि उन्होंने सब्र किया, और हमने फ़िरऔन और उसकी क़ौम का वह सब कुछ बरबाद कर दिया जो वे बनाते थे और जो वे चढ़ाते थे।
And We took the Children of Israel across the sea; then they came upon a people intent in devotion to [some] idols of theirs. They said, "O Moses, make for us a god just as they have gods." He said, "Indeed, you are a people behaving ignorantly.
Aur hum ney bani israeel ko darya kay paar utaar diya. Pus unn logon ka aik qom per guzar hua jo apney chand button say lagay bethay thay kehney lagay aey musa! Humaray liye bhi aik mabood aisa hi muqarrar ker dijiye! Jaisay inn kay yeh mabood hain. Aap ney farmaya kay waqaee tum logon mein bari jahalat hai.
और हमने बनी-इस्राईल को समुंदर के पार उतार दिया फिर उनका गुज़र एक ऐसी क़ौम पर हुआ जो अपने बुतों (की इबादत) पर जमी हुई थी, उन्होंने कहाः ऐ मूसा! हमारी इबादत के लिए भी एक बुत बना दो जैसे इनके बुत हैं, मूसा (अलै॰) ने कहाः तुम तो बड़े जाहिल लोग हो।
Indeed, those [worshippers] - destroyed is that in which they are [engaged], and worthless is whatever they were doing."
Yeh log jiss kaam mein lagay hain yeh tabah kiya jayega aur inn kay yeh kaam mehaz bey bunyad hai.
ये लोग जिस काम में लगे हुए हैं वह बरबाद होने वाला है और ये जो कुछ कर रहे हैं सब झूठा है।
He said, "Is it other than Allah I should desire for you as a god while He has preferred you over the worlds?"
Farmaya kiya Allah Taalaa key siwa aur kissi ko tumhara mabood tajweez ker doon? Halankay uss ney tum ko tamam jahaan walon per foqiyat di hai.
मूसा (अलै॰) ने कहाः क्या मैं तुम्हारे लिए अल्लाह के सिवा कोई और माबूद तलाश करूँ; हालाँकि उसने तुमको तमाम जहानों पर फ़ज़ीलत दी है।
And [recall, O Children of Israel], when We saved you from the people of Pharaoh, [who were] afflicting you with the worst torment - killing your sons and keeping your women alive. And in that was a great trial from your Lord.
Aur qoh waqt yaad kero jab hum ney tum ko firaon walon say bacha liya jo tum ko bari sakht takleef phonchatay thay. Tumharay beton ko qatal ker daaltay thay aur tumhari aurton ko zinda chor detay thay aur iss mein tumharay perwerdigar ki taraf say bari bhari aazmaeesh thi.
और जब हमने फ़िरऔन के लोगों से तुमको नजात दी जो तुमको सख़्त अज़ाब में डाले हुए थे कि तुम्हारे बेटों को क़त्ल करते और तुम्हारी औरतों को ज़िंदा रहने देते, और इसमें तुम्हारे रब की तरफ़ से बड़ी आज़माइश थी।
And We made an appointment with Moses for thirty nights and perfected them by [the addition of] ten; so the term of his Lord was completed as forty nights. And Moses said to his brother Aaron, "Take my place among my people, do right [by them], and do not follow the way of the corrupters."
Aur hum ney musa ( alh-e-salam ) say tees raaton kay wada kiya aur dus raat mazeed say inn tees raaton ko poora kiya. So inn kay perwerdigar ka waqt pooray chalees raat ka hogaya. Aur musa ( alh-e-salam ) ney apney bhai haroon ( alh-e-salam ) say kaha kay meray baad inn kay intizam rakhna aur islah kertay rehna aur bad nazam logon ki raaye per amal mat kerna.
और हमने मूसा (अलै॰) से तीस रातों का वादा किया और उसको पूरा किया मज़ीद दस रातों से तो उसके रब की मुद्दत चालीस रातों में पूरी हुई, और मूसा (अलै॰) ने अपने भाई हारून (अलै॰) से कहाः मेरे पीछे तुम मेरी क़ौम में जानशीनी करना, इस्लाह करते रहना और बिगाड़ पैदा करने वालों के तरीक़े पर न चलना।
And when Moses arrived at Our appointed time and his Lord spoke to him, he said, "My Lord, show me [Yourself] that I may look at You." [ Allah ] said, "You will not see Me, but look at the mountain; if it should remain in place, then you will see Me." But when his Lord appeared to the mountain, He rendered it level, and Moses fell unconscious. And when he awoke, he said, "Exalted are You! I have repented to You, and I am the first of the believers."
Aur jab musa ( alh-e-salam ) humaray waqt per aaye aur unn kay rab ney unn say baaten kin to arz kiya kay aey meray perwerdigar! Apna deedar mujh ko kera dijiye kay mein aik nazar aap ko dekh loon irshad hua kay tum mujh ko hergiz nahi dekh saktay lekin tum iss pahar ki taraf dekhtay raho woh agar apni jagah per bar qarar raha to tum bhi mujhay dekh sako gay. Pus jab unn kay rab ney pahar per tajalli farmaee to tajalli ney uss kay purkhachay ura diye aur musa ( alh-e-salam ) bey hosh ho ker girr paray. Phir jab hosh mein aaye to arz kiya be-shak aap ki zaat pak hai mein aap ki janab mein tauba kerta hun aur mein sab say pehlay aap per eman laney wala hun.
और जब मूसा (अलै॰) हमारे वक़्त पर आ गए तो उसके रब ने उससे कलाम किया, उसने कहाः ऐ मेरे रब! मुझे अपने को दिखा दीजिए कि मैं आपको देखूँ, (अल्लाह ने) कहाः तुम मुझको हरगिज़ नहीं देख सकते अलबत्ता पहाड़ की तरफ़ देखो अगर वह अपनी जगह क़ायम रह जाए तो तुम भी मुझको देख सकोगे, फिर जब उसके रब ने पहाड़ पर अपनी तजल्ली डाली तो उसको टुकड़े-टुकड़े कर दिया और मूसा (अलै॰) बेहोश होकर गिर पड़े, फिर जब उसको होश आया तो कहा कि आप पाक हैं, मैंने आपकी तरफ़ रुजूअ़ किया और मैं सबसे पहले ईमान लाने वाला हूँ।
[ Allah ] said, "O Moses, I have chosen you over the people with My messages and My words [to you]. So take what I have given you and be among the grateful."
Irshad hua kay aey musa! Mein ney payghubari aur apni hum kalaami say aur logon per tum ko imtiaz diya hai to jo kuch tum ko mein ney ata kiya hai uss ko lo aur shukar kero.
अल्लाह ने कहाः ऐ मूसा! मैंने तुमको लोगों पर अपनी पैग़म्बरी और अपने कलाम के ज़रिए मुन्तख़ब किया, पस अब थाम लो जो कुछ मैंने तुमको अता किया है और शुक्रगुज़ारों में से बनो।
And We wrote for him on the tablets [something] of all things - instruction and explanation for all things, [saying], "Take them with determination and order your people to take the best of it. I will show you the home of the defiantly disobedient."
Aur hum ney chand takhtiyon per her qisam ki naseehat aur her cheez ki tafseel unn ko likh ker di tum inn ko poori qooat say pakar lo aur apni qom ko hukum kero kay inn kay achay achay ehkaam per amal keren abb boht jald tum logon ko inn bey hukmon ka muqam dikhlata hun.
और हमने उसके लिए तख़्तियों पर हर क़िस्म की नसीहत और हर चीज़ की तफ़सील लिख दी, पस उसको मज़बूती से पकड़ो और अपनी क़ौम को हुक्म दो कि उनके सही मतलब की पैरवी करें, मैं बहुत जल्द तुमको नाफ़रमानों का ठिकाना दिखाऊँगा।
I will turn away from My signs those who are arrogant upon the earth without right; and if they should see every sign, they will not believe in it. And if they see the way of consciousness, they will not adopt it as a way; but if they see the way of error, they will adopt it as a way. That is because they have denied Our signs and they were heedless of them.
Mein aisay logon ko apney ehkaam say bar-gashta hi rakhon ga jo duniya mein takabbur kertay hain jiss ka unn ko koi haq hasil nahi aur agar tamam nishaniyan dekh len tab bhi woh inn per eman na layen aur agar hidayat ka raasta dekhen to iss ko apna tareeqa na banayen aur agar gumrahi ka raasta dekh len to iss ko apna tareeq bana len. Yeh iss sabab say hai kay enhon ney humari aayaton ko jhutlaya aur inn say ghafil rahey.
मैं अपनी निशानियों से उन लोगों को फेर दूँगा जो ज़मीन में नाहक़ घमंड करते हैं, और अगर वे हर क़िस्म की निशानियाँ देख लें तब भी उन पर ईमान न लाएं, और अगर वे हिदायत का रास्ता देखें तो उसको न अपनाएंगे, और अगर गुमराही का रास्ता देखें तो उसको अपना लेंगे, यह इस वजह से है कि उन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया और वे उनकी तरफ़ से ग़ाफ़िल रहे।
Those who denied Our signs and the meeting of the Hereafter - their deeds have become worthless. Are they recompensed except for what they used to do?
Aur yeh log jinon ney humari aayaton ko aur qayamat kay paish aaney ko jhutlaya unn kay sab kaam ghaarat gaye. Inn ko wohi saza di jayegi jo kuch yeh kertay thay.
और जिन्होंने हमारी निशानियों को और आख़िरत की मुलाक़ात को झुठलाया उनके आमाल ग़ारत हो गए और वे बदले में वही पाएंगे जो वे करते थे।
And the people of Moses made, after [his departure], from their ornaments a calf - an image having a lowing sound. Did they not see that it could neither speak to them nor guide them to a way? They took it [for worship], and they were wrongdoers.
Aur musa ( alh-e-salam ) ki qom ney unn kay baad apney zewaron ka aik bachra mabood thehra liya jo kay aik qalib tha jiss mein aik aawaz thi. Kiya enhon ney yeh na dekha kay woh inn say baat nahi kerta tha aur na inn ko koi raah batlata tha uss ko enhon ney mabood qarar diya aur bari bey insafi ka kaam kiya.
और मूसा (अलै॰) की क़ौम ने उस (के जाने) के बाद अपने ज़ेवरों से एक बछड़ा बनाया, एक धड़ जिससे बैल की सी आवाज़ निकलती थी, क्या उन्होंने नहीं देखा कि वह न उनसे बोलता और न उन्हें कोई राह दिखाता है, उसको उन्होंने माबूद बना लिया और वह बड़े ज़ालिम थे।
And when regret overcame them and they saw that they had gone astray, they said, "If our Lord does not have mercy upon us and forgive us, we will surely be among the losers."
Aur jab naadim huye aur maloom hua kay waqaee woh log gumrahi mein parr gaye to kehney lagay kay agar humara rab hum per reham na keray aur humara gunah moaf na keray to hum bilkul gaye guzray hojayen gay.
और जब वे पछताए और उन्होंने महसूस किया कि वे गुमराही में पड़ गए थे तो उन्होंने कहा कि अगर हमारे रब ने हम पर रहम न किया और हम को न बख़्शा तो यक़ीनन हम बरबाद हो जाएंगे।
And when Moses returned to his people, angry and grieved, he said, "How wretched is that by which you have replaced me after [my departure]. Were you impatient over the matter of your Lord?" And he threw down the tablets and seized his brother by [the hair of] his head, pulling him toward him. [Aaron] said, "O son of my mother, indeed the people oppressed me and were about to kill me, so let not the enemies rejoice over me and do not place me among the wrongdoing people."
Aur jab musa ( alh-e-salam ) apni qom ki taraf wapis aaye gussay aur ranj mein bharay huye to farmaya kay tum ney meray baad yeh bari buri janasheeni ki? Kiya apney rab kay hukum say pehlay hi tum ney jald baazi ker li aur jaldi say takhtiyan aik taraf rakhin aur apney bhai kay sir pakar ker unn ko apni taraf ghaseetney lagay. Haroon ( alh-e-salam ) ney kaha aey meray maa jaye! Inn logon ney mujh ko bey haqeeqat samjha aur qareeb tha kay mujh ko qatal ker dalen to tum mujh per dushmanon ko mat hansao aur mujh ko inn zalimon kay zail mein mat shumar kero.
और जब मूसा (अलै॰) रंज और ग़ुस्से में भरे हुए अपनी क़ौम की तरफ़ लौटे तो उन्होंने कहाः तुमने मेरे बाद मेरी बहुत बुरी जानशीनी की, क्या तुमने अपने रब के हुक्म से पहले ही जल्दी कर ली? और उसने तख़्तियाँ डाल दीं और वे अपने भाई का सर पकड़ कर उसको अपनी तरफ़ ख़ींचने लगे, हारून (अलै॰) ने कहाः ऐ मेरी माँ के बेटे! लोगों ने मुझे कमज़ोर समझा था और क़रीब था कि वे मुझको मार डालें, पस आप दुश्मनों को मेरे ऊपर हँसने का मौक़ा न दें और मुझको ज़ालिमों के साथ शामिल न करें।
[Moses] said, "My Lord, forgive me and my brother and admit us into Your mercy, for You are the most merciful of the merciful."
Musa ( alh-e-salam ) ney kaha aey meray rab! Meri khata moaf farma aur meray bhai ki bhi aur hum dono ko apni rehmat mein dakhil farma aur tu sab reham kerney walon say ziyada reham kerney wala hai.
मूसा (अलै॰) ने कहाः ऐ मेरे रब! मुझे और मेरे भाई को माफ़ कर दीजिए और हमको अपनी रहमत में दाख़िल फ़रमाइए, और आप ही सबसे ज़्यादा रहम फ़रमाने वाले हैं।
Indeed, those who took the calf [for worship] will obtain anger from their Lord and humiliation in the life of this world, and thus do We recompense the inventors [of falsehood].
Be-shak jin logon ney go sala parasti ki hai unn per boht jald unn kay rab ki taraf say ghazab aur zillat iss dunyawi zindagi hi mein paray gi aur hum iftra pardazon ko aisi hi saza diya kertay hain.
बेशक जिन लोगों ने बछड़े को माबूद बनाया उनको उनके रब का ग़ज़ब पहुँचेगा और ज़िल्लत दुनिया की ज़िंदगी में, और हम ऐसा ही बदला देते हैं झूठ बाँधने वालों को।
But those who committed misdeeds and then repented after them and believed - indeed your Lord, thereafter, is Forgiving and Merciful.
Aur jin logon ney gunah kay kaam kiye phir woh inn kay baad tauba ker len aur eman ley aayen to tumhara rab iss tauba kay baad gunah moaf ker denay wala rehmat kerney wala hai.
और जिन लोगों ने बुरे काम किए फिर उसके बाद तौबा की और ईमान लाए तो बेशक उसके बाद आपका रब बख़्शने वाला, मेहरबान है।