[All] praise is [due] to Allah , Lord of the worlds -
Sab tareef Allah Taalaa kay liye hai jo tamam jahanon ka palney wala hai.
सब तारीफ़ अल्लाह के लिए है जो सारे जहान का मालिक है।
O Children of Israel, remember My favor that I have bestowed upon you and that I preferred you over the worlds.
Aey aulad-e-yaqoob! Meri uss nemat ko yaad kero jo mein ney tum per inam ki aur mein ney tumhen tamam jahanon per fazilat di.
ऐ बनी-इस्राईल! मेरे उस एहसान को याद करो जो मैंने तुम्हारे ऊपर किया और इस बात को कि मैंने तुमको दुनिया वालों पर फ़ज़ीलत दी।
O Children of Israel, remember My favor which I have bestowed upon you and that I preferred you over the worlds.
Aey aulad-e-yaqoob! Mein ney jo nematen tum per inam ki hain unhen yaad kero aur mein to tumhen tamam jahanon per fazilat dey rakhi thi.
ऐ बनी-इस्राईल! मेरे उस एहसान को याद करो जो मैंने तुम्हारे ऊपर किया, और इस बात को कि मैंने तुमको तमाम अक़वामे-आलम पर फ़ज़ीलत दी।
When his Lord said to him, "Submit", he said "I have submitted [in Islam] to the Lord of the worlds."
Jab kabhi bhi unhen unn kay rab ney kaha farmanbardar hoja unhon ney kaha mein ney rab-ul-aalameen ki farmanbardari.
जब उसके रब ने कहा कि अपने आपको हवाले कर दो, तो उसने कहाः मैंने अपने आपको रब्बुल-आलमीन के हवाले किया।
So they defeated them by permission of Allah , and David killed Goliath, and Allah gave him the kingship and prophethood and taught him from that which He willed. And if it were not for Allah checking [some] people by means of others, the earth would have been corrupted, but Allah is full of bounty to the worlds.
Chunacha Allah Taalaa kay hukum say unhon ney jalootiyon ko shikast dey di aur ( hazrat ) dawood ( alh-e-salam ) ko mamlikat-o-hikmat aur jitna kuch chaha ilm bhi ata farmaya. Agar Allah Taalaa baaz logon ko baaz say dafa na kerta to zamin mein fasad phel jata lekin Allah Taalaa duniya walon per bara fazal-o-karam kerney wala hai.
फिर (इस तरह उन्होंने) अल्लाह के हुक्म से उनको शिकस्त दी और दाऊद ने जालूत को क़त्ल कर दिया, और अल्लाह ने दाऊद (अलै॰) को बादशाहत और दानाई अता की और जिन चीज़ों का चाहा इल्म बख़्शा, और अगर अल्लाह बअज़ लोगों को बअज़ लोगों से दबाया न करे तो ज़मीन फ़साद से भर जाए, मगर अल्लाह दुनिया वालों पर बड़ा फ़ज़्ल फ़रमाने वाला है।
Indeed, Allah chose Adam and Noah and the family of Abraham and the family of 'Imran over the worlds -
Be-shak Allah Taalaa ney tamam jahaan kay logon mein say aadam ( alh-e-salam ) ko aur nooh ( alh-e-salam ) ko aur ibrahim ( alh-e-salam ) kay khandan aur imran kay khandanon ko muntakhib farma liya.
बेशक अल्लाह ने आदम (अलै॰) को और नूह (अलै॰) को और आले-इब्राहीम और आले-इमरान (अलैहिमुस्सलाम) को पूरी दुनिया के ऊपर मुंतख़ब कर लिया है।
And [mention] when the angels said, "O Mary, indeed Allah has chosen you and purified you and chosen you above the women of the worlds.
Aur jab farishton ney kaha aey marium! Allah Taalaa ney tujhay bar gazeedah ker liya aur tujhay pak ker diya aur saray jahaan ki aurton mein say tera intikhab ker liya.
और (उस वक़्त को याद करें) जब फ़रिश्तों ने कहाः ऐ मरियम! अल्लाह ने तुम्हें चुन लिया और तुमको पाक किया और तुमको दुनिया भर की औरतों के मुक़ाबले मुन्तख़ब कर लिया है।
In it are clear signs [such as] the standing place of Abraham. And whoever enters it shall be safe. And [due] to Allah from the people is a pilgrimage to the House - for whoever is able to find thereto a way. But whoever disbelieves - then indeed, Allah is free from need of the worlds.
Jiss mein khuli khuli nishaniyan hain muqam-e-ibrahim hai iss mein jo aajaye aman wala hojata hai Allah Taalaa ney unn logon per jo uss ki taraf raah paa saktay hon uss ghar ka hajj farz ker diya hai. Aur jo koi kufur keray to Allah Taalaa ( uss sau bulkay ) tamam duniya say bey perwah hai.
उसमें खुली हुई निशानियाँ हैं, मक़ामे-इब्राहीम है, जो उसमें दाख़िल हो जाए वह अमन पा लेगा, और लोगों पर अल्लाह का यह हक़ है कि जो उस घर तक पहुँचने की ताक़त रखता हो वह उसका हज करे, और जो मुनकिर हुआ तो अल्लाह तमाम दुनिया वालों से बेनियाज़ है।
And [mention, O Muhammad], when Moses said to his people, "O my people, remember the favor of Allah upon you when He appointed among you prophets and made you possessors and gave you that which He had not given anyone among the worlds.
Aur yaad kero musa ( alh-e-salam ) ney apni qom say kaha aey meri qom kay logo! Allah Taalaa kay uss ehsan ka zikar kero kay uss ney tum mein say payghumbar banaye aur tumhen badshah bana diya aur tumhen woh diya jo tamam aalam mein kissi ko nahi diya.
और जब मूसा (अलै॰) ने अपनी क़ौम से कहा कि ऐ मेरी क़ौम! अपने ऊपर अल्लाह के एहसान को याद करो कि उसने तुम्हारे अंदर नबी पैदा किए और तुमको बादशाह बनाया और तुमको वह सब दिया जो दुनिया में किसी और को नहीं दिया था।
If you should raise your hand against me to kill me - I shall not raise my hand against you to kill you. Indeed, I fear Allah , Lord of the worlds.
Go tu meray qatal kay liye dast darazi keray lekin mein teray qatal ki taraf hergiz apney haath na barhaon ga mein to Allah Taalaa perwerdigar-e-aalam say khof khata hun.
अगर तुम मुझे क़त्ल करने के लिए हाथ उठाओगे तो मैं तुमको क़त्ल करने के लिए तुम पर हाथ नहीं उठाऊँगा, मैं डरता हूँ उस अल्लाह से जो सारे जहानों का रब है।
Allah said, "Indeed, I will sent it down to you, but whoever disbelieves afterwards from among you - then indeed will I punish him with a punishment by which I have not punished anyone among the worlds."
Haq Taalaa ney irshad farmaya kay mein woh khana tum logon per nazil kerney wala hun phir jo shaks tum mein say iss kay baad na haq shanasi keray ga to mein uss ko aisi saza doon ga kay woh saza duniya jahaan walon mein say kissi ko na doon ga.
अल्लाह ने कहाः मैं यह दस्तरख़्वान ज़रूर तुम पर उतारूँगा, फिर उसके बाद तुम में से जो शख़्स कुफ़्र करेगा उसको मैं ऐसी सज़ा दूँगा कि जो दुनिया में किसी को न दी होगी।
So the people that committed wrong were eliminated. And praise to Allah , Lord of the worlds.
Phir zalim logon ki jarr kat gaee aur Allah Taalaa ka shukar hai jo tamam aalam ka perwerdigar hai.
पस उन लोगों की जड़ काट दी गई जिन्होंने ज़ुल्म किया था, और सारी तारीफ़ अल्लाह के लिए है जो तमाम जहानों का रब है।
Say, "Shall we invoke instead of Allah that which neither benefits us nor harms us and be turned back on our heels after Allah has guided us? [We would then be] like one whom the devils enticed [to wander] upon the earth confused, [while] he has companions inviting him to guidance, [calling], 'Come to us.' " Say, "Indeed, the guidance of Allah is the [only] guidance; and we have been commanded to submit to the Lord of the worlds.
Aap keh dijiye kay kiya hum Allah Taalaa kay siwa aisi cheez ko pukaren kay na woh hum ko nafa phonchaye aur na hum ko nuksan phonchaye aur kiya hum ultay phir jayen iss kay baad kay hum ko Allah Taalaa ney hidayat ker di hai jaisay koi shaks ho kay uss ko shetanon ney kahin jangal mein bey raah ker diya ho aur woh bhatakta phirta ho uss kay kuch sathi bhi hon kay woh uss ko theek raastay ki taraf bula rahey hon kay humaray pass aa. Aap keh dijiye kay yaqeeni baat hai kay raah-e-raast woh khaas Allah hi ki raah hai aur hum ko yeh hukum hua hai kay hum perwerdigar-e-aalam kay pooray mootee hojayen.
(ऐ नबी) आप कहिए कि क्या हम अल्लाह को छोड़ कर उनको पुकारें जो हमको न नफ़ा दे सकते हैं और न हमको नुक़सान पहुँचा सकते हैं और क्या हम उल्टे पाँव फिर जाएं बाद इसके कि अल्लाह हमको सीधा रास्ता दिखा चुका है, उस शख़्स के मानिंद जिसको शैतानों ने बयाबान में भटका दिया हो और वह हैरान फिर रहा हो, उसके साथी उसको सीधे रास्ते की तरफ़ बुला रहे हों कि हमारे पास आ जाओ, आप कह दीजिए कि रहनुमाई तो सिर्फ़ अल्लाह की रहनुमाई है और हमको हुक्म मिला है कि हम अपने आपको तमाम जहानों के परवरदिगार के हवाले कर दें।
And Ishmael and Elisha and Jonah and Lot - and all [of them] We preferred over the worlds.
Aur naiz ismail ko yasaa ko aur younus ko aur loot ko aur her aik ko tamam jahaan walon per hum ney fazeelat di.
और इस्माईल और अल-यसअ और यूनुस और लूत (अलैहिमुस्सलाम) को भी, और उनमें से हर एक को हमने दुनिया वालों पर फ़ज़ीलत अता की।
Say, "Indeed, my prayer, my rites of sacrifice, my living and my dying are for Allah , Lord of the worlds.
Aap farma dijiye kay bil yaqeen meri namaz aur meri sari ibadat aur mera jeena aur mera marna yeh sab khalis Allah hi ka hai jo saray jahaan ka maalik hai.
कह दीजिए कि मेरी नमाज़ और मेरी क़ुर्बानी, मेरा जीना और मेरा मरना अल्लाह के ख़ातिर है जो सारे जहानों का रब है।
Indeed, your Lord is Allah , who created the heavens and earth in six days and then established Himself above the Throne. He covers the night with the day, [another night] chasing it rapidly; and [He created] the sun, the moon, and the stars, subjected by His command. Unquestionably, His is the creation and the command; blessed is Allah , Lord of the worlds.
Be-shak tumhara rab Allah hi hai jiss ney sab aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda kiya hai phir arsh per qaeem hua. Woh shab say din ko aisay tor per chupa deta hai kay woh shab uss din ko jaldi aa leti hai aur sooraj aur chand aur doosray sitaron ko peda kiya aisay tor per kay sab uss kay hukum kay tabey hain. Yaad rakho Allah hi kay liye khas hai khaliq hona aur haakim hona bari khoobiyon say bhara hua hai Allah jo tamam aalam ka perwerdigar hai.
बेशक तुम्हारा रब वही अल्लाह है जिसने आसमानों और ज़मीन को छः दिनों में पैदा किया फिर वह अर्श पर क़ायम हुआ, वह उढ़ाता है रात को दिन पर इस तरह कि दिन उसके पीछे लगा आता है दौड़ता हुआ, और (उसने पैदा किए) सूरज और चाँद और सितारे जो ताबेदार हैं उसके हुक्म के, याद रखो! उसी का काम है पैदा करना और हुक्म करना, बड़ी बरकत वाला है अल्लाह जो रब है सारे जहानों का।
[Noah] said, "O my people, there is not error in me, but I am a messenger from the Lord of the worlds."
Unhon ney farmaya kay aey meri qom! Mujh mein to zara bhi gumrahi nahi lekin mein perwerdigar-e-aalam ka rasool hun.
नूह (अलै॰) ने फ़रमायाः ऐ मेरी क़ौम! मुझमें कोई गुमराही नहीं है बल्कि मैं भेजा हुआ हूँ सारे जहानों के परवरदिगार की तरफ़ से।
[Hud] said, "O my people, there is not foolishness in me, but I am a messenger from the Lord of the worlds."
Unhon ney farmaya aey meri qom! Mujh mein zara bhi kum aqali nahi lekin mein perwerdigar-e-aalam ka bheja hua payghumbar hun.
हूद (अलै॰) ने कहाः ऐ मेरी क़ौम! मुझे कोई नादानी नहीं है बल्कि मैं सारे जहानों के परवरदिगार का रसूल हूँ।
And [We had sent] Lot when he said to his people, "Do you commit such immorality as no one has preceded you with from among the worlds?
Aur hum ney loot ( alh-e-salam ) ko bheja jabkay unhon ney apni qom say farmaya tum aisa fahash kaam kertay ho jiss ko tum say pehlay kissi ney duniya jahaan walon mein say nahi kiya.
और हमने लूत (अलै॰) को भेजा, जब उन्होंने अपनी क़ौम से कहा कि क्या तुम खुली बेहयाई का काम करते हो जो तुमसे पहले दुनिया में किसी ने नहीं किया?
And Moses said, "O Pharaoh, I am a messenger from the Lord of the worlds
Aur musa ( alh-e-salam ) ney farmaya kay aey firaon! Mein rabbul aalameen ki taraf say payghumbr hun.
और मूसा (अलै॰) ने कहाः ऐ फ़िरऔन! मैं तमाम जहानों के परवरदिगार की तरफ़ से भेजा हुआ रसूल हूँ।
They said, "We have believed in the Lord of the worlds,
Kehney lagay hum eman laye rabbul aalameen per.
उन्होंने कहाः हम ईमान लाए तमाम जहानों के परवरदिगार पर।
He said, "Is it other than Allah I should desire for you as a god while He has preferred you over the worlds?"
Farmaya kiya Allah Taalaa key siwa aur kissi ko tumhara mabood tajweez ker doon? Halankay uss ney tum ko tamam jahaan walon per foqiyat di hai.
मूसा (अलै॰) ने कहाः क्या मैं तुम्हारे लिए अल्लाह के सिवा कोई और माबूद तलाश करूँ; हालाँकि उसने तुमको तमाम जहानों पर फ़ज़ीलत दी है।
Their call therein will be, "Exalted are You, O Allah ," and their greeting therein will be, "Peace." And the last of their call will be, "Praise to Allah , Lord of the worlds!"
Unn kay mun say yeh baat niklay gi “ subhan Allah ” aur unn ka bahumi salam yeh hoga “Assalam-o-alaikum” aur unn ki akheer baat yeh hogi tamam tareefen Allah kay liye hain jo saray jahaan ka rab hai.
उनके मुँह से यह बात निकलेगीः सुब्हानल्लाह और उनका आपस में सलाम यह होगाः अस्सलामु अलैकुम और उनकी अख़ीर बात यह होगी कि तमाम तारीफ़ें अल्लाह के लिए हैं जो सारे जहानों का रब है।
And it was not [possible] for this Qur'an to be produced by other than Allah , but [it is] a confirmation of what was before it and a detailed explanation of the [former] Scripture, about which there is no doubt, from the Lord of the worlds.
Aur yeh Quran aisa nahi hai kay Allah ( ki wahee ) kay baghair ( apney hi say ) gharr liya gaya ho . bulkay yeh to ( unn kitabon ki ) tasdeeq kerney wala hai jo iss kay qabal nazil ho chuki hain aur kitab ( ehkaam e zarooriya ) ki tafseel biyan kerney wala hai iss mein koi baat shak ki nahi kay rabb ul aalameen ki taraf say hai .
और यह क़ुरआन ऐसा नहीं कि अल्लाह के सिवा कोई उसको बना ले; बल्कि यह तस्दीक़ है उन पेशीनगोईयों की जो इससे पहले मौजूद हैं और किताब की तफ़सील है, इसमें कोई शक नहीं कि वह तमाम जहानों के परवरदिगार की तरफ़ से है।
They said, "Have we not forbidden you from [protecting] people?"
Woh bolay kiya hum ney tujhay duniya bhar ( ki thekaydaari ) say mana nahi ker rakha?
उन्होंने कहाः क्या हमने तुमको दुनिया भर के लोगों से मना नहीं कर दिया।
Go to Pharaoh and say, 'We are the messengers of the Lord of the worlds,
Tum dono firaon kay pass ja ker kaho kay bila shuba hum rab-ul-aalamaeen kay bhejay huye hain.
अतः तुम दोनो फ़िरऔन के पास जाओ और कहो कि हम सारे संसार के रब के भेजे हुए हैं
Said Pharaoh, "And what is the Lord of the worlds?"
Firaon ney kaha rab-ul-aalameen kiya cheez hai?
फ़िरऔन ने कहा, "और यह सारे संसार का रब क्या होता है?"
They said, "We have believed in the Lord of the worlds,
Aur unhon ney saaf keh diya kay hum to Allah rab-ul-aalameen per eman laye.
वे बोल उठे, "हम सारे संसार के रब पर ईमान ले आए -
Indeed, they are enemies to me, except the Lord of the worlds,
Ba-juz sachay Allah Taalaa kay jo tamam jahaan ka palanhaar hai.
वे सब तो मेरे शत्रु हैं, सिवाय सारे संसार के रब के,
When we equated you with the Lord of the worlds.
Jabkay tumhen rab-ul-aalameen kay barabar samajh bethay thay.
जबकि हम तुम्हें सारे संसार के रब के बराबर ठहरा रहे थे
And I do not ask you for it any payment. My payment is only from the Lord of the worlds.
Mein tum say iss per koi ajar nahi chahata mera badla to sirf rab-ul-aalameen kay haan hai.
मैं इस काम के बदले तुम से कोई बदला नहीं माँगता। मेरा बदला तो बस सारे संसार के रब के ज़िम्मे है
And I do not ask you for it any payment. My payment is only from the Lord of the worlds.
Mein iss per tum say koi ujrat talab nahi kerta mera sawab to tamam jahaan kay perwerdigar kay pass hi hai.
मैं इस काम पर तुम से कोई प्रतिदान नहीं माँगता। मेरा प्रतिदान तो बस सारे संसार के रब के ज़िम्मे है।
And I do not ask you for it any payment. My payment is only from the Lord of the worlds.
Mein iss per tum say koi ujrat nahi mangta meri ujrat to bus perwerdigar-e-aalam per hi hai.
मैं इस काम पर तुम से कोई बदला नहीं माँगता। मेरा बदला तो बस सारे संसार के रब के ज़िम्मे है
And I do not ask you for it any payment. My payment is only from the Lord of the worlds.
Mein tum say iss per koi badla nahi maangta mera ajar to sirf Allah Taalaa per hai jo tamam jahaan ka rab hai.
मैं इस काम पर तुम से कोई प्रतिदान नहीं माँगता, मेरा प्रतिदान तो बस सारे संसार के रब के ज़िम्मे है
Do you approach males among the worlds
Kiya tamam jahaan walon mein say mardon kay sath shehwat raani kertay ho.
क्या सारे संसार वालों में से तुम ही ऐसे हो जो पुरुषों के पास जाते हो,
And I do not ask you for it any payment. My payment is only from the Lord of the worlds.
Mein iss per tum say koi ujrat nahi chahata mera ajar tamam jahaano kay paalney walay kay pass hai.
मैं इस काम पर तुम से कोई प्रतिदान नहीं माँगता। मेरा प्रतिदान तो बस सारे संसार के रब के ज़िम्मे है
And indeed, the Qur'an is the revelation of the Lord of the worlds.
Aur be-shak-o-shuba yeh ( quran ) rab-ul-aalameen ka nazil farmaya hua hai.
निश्चय ही यह (क़ुरआन) सारे संसार के रब की अवतरित की हुई चीज़ है
But when he came to it, he was called, "Blessed is whoever is at the fire and whoever is around it. And exalted is Allah , Lord of the worlds.
Jab wahan phonchay to aawaz di gaee kay ba-barkat hai woh jo iss aag mein hai aur barkat diya gaya hai woh jo uss kay aas pass hai aur pak hai Allah jo tamam jahano ka palney wala hai.
फिर जब वह उस के पास पहुँचा तो उसे आवाज़ आई कि "मुबारक है वह जो इस आग में है और जो इस के आस-पास है। महान और उच्च है अल्लाह, सारे संसार का रब!
She was told, "Enter the palace." But when she saw it, she thought it was a body of water and uncovered her shins [to wade through]. He said, "Indeed, it is a palace [whose floor is] made smooth with glass." She said, "My Lord, indeed I have wronged myself, and I submit with Solomon to Allah , Lord of the worlds."
Uss say kaha gaya kay mehal mein chali jao jissay dekh ker yeh samajh ker kay yeh hoz hai uss ney apni pindliyan khol din farmay yeh to seeshay say mundhi hui emaarat hai kehnay lagi aey meray perwerdigar! Mein ney apnay aap per zulm kiya. Abb mein suleman kay sath Allah rab-ul-aalameen ki mootiy aur farmanbardaar banti hun.
उस से कहा गया कि "महल में प्रवेश करो।" तो जब उस ने उसे देखा तो उस ने उसको गहरा पानी समझा और उस ने अपनी दोनों पिंडलियाँ खोल दी। उस ने कहा, "यह तो शीशे से निर्मित महल है।" बोली, "ऐ मेरे रब! निश्चय ही मैंने अपने आप पर ज़ुल्म किया। अब मैंने सुलैमान के साथ अपने आप को अल्लाह के समर्पित कर दिया, जो सारे संसार का रब है।"
But when he came to it, he was called from the right side of the valley in a blessed spot - from the tree, "O Moses, indeed I am Allah , Lord of the worlds."
Pus jab wahan phonchay to uss ba-barkat zamin kay maidan kay dayen kinaray kay darakht mein say awaz diyey gaye kay aey musa! Yaqeenan mein hi Allah hun saray jahano ka perwerdigar.
फिर जब वह वहाँ पहुँचा तो दाहिनी घाटी के किनारे से शुभ क्षेत्र में वृक्ष से आवाज़ आई, "ऐ मूसा! मैं ही अल्लाह हूँ, सारे संसार का रब!"
And whoever strives only strives for [the benefit of] himself. Indeed, Allah is free from need of the worlds.
Aur her aik kosish kerney wala apnay hi bhalay ki kosish kerta hai. Wesay to Allah Taalaa tamam jahaan walon say bey niyaz hai.
और जो व्यक्ति (अल्लाह के मार्ग में) संघर्ष करता है वह तो स्वयं अपने ही लिए संघर्ष करता है। निश्चय ही अल्लाह सारे संसार से निस्पृह है
And of the people are some who say, "We believe in Allah ," but when one [of them] is harmed for [the cause of] Allah , they consider the trial of the people as [if it were] the punishment of Allah . But if victory comes from your Lord, they say, "Indeed, We were with you." Is not Allah most knowing of what is within the breasts of all creatures?
Aur baaz log aisay bhi hain jo zabani kehtay hain kay hum eman laye hain lekin jab Allah ki raah mein koi mushkil aan parti hai to logon ko ezza dahi ko Allah Taalaa kay azab ki tarah bana letay hain haan haan agar Allah ki madad aajaye to pukar uthtay hain kay hum to tumharay sathi hi hain kiya duniya jahaan kay seeno mein jo kuch hai usay Allah Taalaa janta nahi hai?
लोगों में ऐसे भी हैं जो कहते हैं कि "हम अल्लाह पर ईमान लाए," किन्तु जब अल्लाह के मामले में वे सताए गए तो उन्होंने लोगों की ओर से आई हुई आज़माइश को अल्लाह की यातना समझ लिया। अब यदि तेरे रब की ओर से सहायता पहुँच गई तो कहेंगे, "हम तो तुम्हारे साथ थे।" क्या जो कुछ दुनिया वालों के सीनों में है उसे अल्लाह भली-भाँति नहीं जानता?
And [mention] Lot, when he said to his people, "Indeed, you commit such immorality as no one has preceded you with from among the worlds.
Aur hazrat loot ( alh-e-salam ) ka bhi ziker kero jabkay unhon ney apni qom say farmaya kay tum to iss bad-kaari per utar aaye ho jissay tum say pehlay duniya bhar mein say kissi ney nahi kiya.
और हम ने लूत को भेजा, जबकि उस ने अपनी क़ौम के लोगों से कहा, "तुम जो वह अश्लील कर्म करते हो, जिसे तुम से पहले सारे संसार में किसी ने नहीं किया
[This is] the revelation of the Book about which there is no doubt from the Lord of the worlds.
Bila shuba iss kitab ka utarna tamam jahano kay perwerdigar ki taraf say hai.
इस किताब का अवतरण - इसमें सन्देह नहीं - सारे संसार के रब की ओर से है
"Peace upon Noah among the worlds."
Nooh ( alh-e-salam ) per tamam jahano mein salam ho.
कि "सलाम है नूह पर सम्पूर्ण संसार वालों में!"
Then what is your thought about the Lord of the worlds?"
To yeh ( batlao kay ) tum ney rab-ul-aalameen ko kiya samjh rakha hai?
आख़िर सारे संसार के रब के विषय में तुम्हारा क्या गुमान है?"
And praise to Allah , Lord of the worlds.
Aur sab tarah ki tareef Allah kay liye hai jo saray jahan ka rab hai.
और सब प्रशंसा अल्लाह, सारे संसार के रब के लिए है
And you will see the angels surrounding the Throne, exalting [ Allah ] with praise of their Lord. And it will be judged between them in truth, and it will be said, "[All] praise to Allah , Lord of the worlds."
Aur tu farishton ko Allah kay arash kay ird-gird halqa bandhay huyey apnay rab ki hamd-o-tasbeeh kerta huyey dekhay ga aur inn mein insaf ka faisla kiya jayega aur keh diya jayega kay sari khoobi Allah hi kay liye hai jo tamam jahano ka palanhaar hai.
और तुम फ़रिश्तों को देखोगे कि वे सिंहासन के गिर्द घेरा बाँधे हुए, अपने रब का गुणगान कर रहे हैं। और लोगों के बीच ठीक-ठीक फ़ैसला कर दिया जाएगा और कहा जाएगा, "सारी प्रशंसा अल्लाह, सारे संसार के रब, के लिए है।"
It is Allah who made for you the earth a place of settlement and the sky a ceiling and formed you and perfected your forms and provided you with good things. That is Allah , your Lord; then blessed is Allah , Lord of the worlds.
Allah hi hai jiss ney tumharay liye zami ko therney ki jagah aur aasman ko chat bana diya aur tumhari sooraten banaeen aur boht achi banaeen aur tumehn umdah umdah cheezen khaney ko ata farmaeen yehi Allah tumhara perwerdigar hai pus boht hi barkaton wala Allah hai saray jahaan ka perwerish kerney wala.
अल्लाह ही है जिस ने तुम्हारे लिए धरती को ठहरने का स्थान बनाया और आकाश को एक भवन के रूप में बनाया, और तुम्हें रूप दिए तो क्या ही अच्छे रूप दिए, और तुम्हें अच्छी पाक चीज़ों की रोज़ी दी। वह है अल्लाह, तुम्हारा रब। तो बड़ी बरकत वाला है अल्लाह, सारे संसार का रब
He is the Ever-Living; there is no deity except Him, so call upon Him, [being] sincere to Him in religion. [All] praise is [due] to Allah , Lord of the worlds.
Woh zindah hai jiss kay siwa koi mabood nahi pus tum khalis ussi ki ibadat kertay huyey ussay pukaro tamam khoobiyen Allah hi kay liye hain jo tamam jahano ka rab hai.
वह जीवन्त है। उस के सिवा कोई पूज्य-प्रभु नहीं। अतः उसी को पुकारो, धर्म को उसी के लिए विशुद्ध करके। सारी प्रशंसा अल्लाह ही के लिए है, जो सारे संसार का रब है