Then your hearts became hardened after that, being like stones or even harder. For indeed, there are stones from which rivers burst forth, and there are some of them that split open and water comes out, and there are some of them that fall down for fear of Allah . And Allah is not unaware of what you do.
Phir iss kay baad tumharay dil pathar jaisay bulkay iss bhi ziyada sakhta hogaye baaz patharon say to nehren beh nikalti hain aur baaz phat jatay hain aur baaz Allah Taalaa kay darr say gir gir partay hain aur tum Allah Taalaa ko apney aemaal say ghafil na jano.
फिर इसके बाद तुम्हारे दिल सख़्त हो गए पस वे पत्थर के मानिंद हो गए या उससे भी ज़्यादा सख़्त, पत्थरों में बअज़ ऐसे भी होते हैं जिनसे नहरें फूट निकलती हैं, बअज़ पत्थर फट जाते हैं और उनसे पानी निकल आता है, और बअज़ पत्थर ऐसे भी होते हैं जो अल्लाह के डर से गिर पड़ते हैं, और अल्लाह उससे बेख़बर नहीं जो तुम करते हो।
Then, you are those [same ones who are] killing one another and evicting a party of your people from their homes, cooperating against them in sin and aggression. And if they come to you as captives, you ransom them, although their eviction was forbidden to you. So do you believe in part of the Scripture and disbelieve in part? Then what is the recompense for those who do that among you except disgrace in worldly life; and on the Day of Resurrection they will be sent back to the severest of punishment. And Allah is not unaware of what you do.
Lekin phir bhi tum ney aapas mein qatal kiya aur aapas kay aik firqay ko jila watan bhi kiya aur gunah aur ziyadti kay kaamon mein inn kay khilaf doosray ki taraf daari ki haan woh jab qaidi ho ker tumharay pass aaye to tum ney unn kay fidye diye lekin inn ka nikalna jo tum per haram tha ( uss ka kuch khayal na kiya ) kiya baaz ehkaam per eman rakhtay ho aur baaz kay sath kufur kertay ho? Tum mein say jo bhi aisa keray uss ki saza iss kay siwa kiya ho kay duniya mein ruswaee aur qayamat kay din sakht azab ki maar aur Allah Taalaa tumharay aemaal say bey khabar nahi.
फिर तुम ही वे लोग हो कि अपनों को क़त्ल करते हो और अपने ही एक गिरोह को उनकी बस्तियों से निकालते हो, तुम उनके मुक़ाबले में उनके दुश्मनों की मदद करते हो गुनाह और ज़ुल्म के साथ, फिर अगर वे तुम्हारे पास क़ैद होकर आते हैं तो तुम फ़िदया देकर उनको छुड़ाते हो; हालाँकि ख़ुद उनका निकालना तुम्हारे ऊपर हराम था, क्या तुम किताबे-इलाही के एक हिस्से को मानते हो और एक हिस्से का इनकार करते हो, पस तुम में से जो लोग ऐसा करें उनकी सज़ा इसके सिवा क्या है कि उनको दुनिया की ज़िंदगी में रुसवाई मिले, और क़यामत के दिन उनको सख़्त अज़ाब में डाल दिया जाए, और अल्लाह उस चीज़ से बेख़बर नहीं जो तुम कर रहे हो।
That was a nation which has passed on. It will have [the consequence of] what it earned, and you will have what you have earned. And you will not be asked about what they used to do.
Yeh jamat to guzar chuki jo unhon ney kaha woh unn kay liye hai aur jo tum kero gay woh tumharay liye hai. Unn kay aemaal kay baray mein tum nahi poochay jao gay.
यह एक जमात थी जो गुज़र गई, उसको मिलेगा जो उसने कमाया और तुमको मिलेगा जो तुमने कमाया, और तुमसे उनके किए हुए की पूछ न होगी।
Or do you say that Abraham and Ishmael and Isaac and Jacob and the Descendants were Jews or Christians? Say, "Are you more knowing or is Allah ?" And who is more unjust than one who conceals a testimony he has from Allah ? And Allah is not unaware of what you do.
Kiya tum kehtay ho kay ibrahim aur ismail aur ishaq aur yaqoob ( aleyhim-us-salam ) aur unn ki aulad yahudi ya nasrani thay? Keh do kiya tum ziyada jantay ho ya Allah Taalaa? Allah kay pass shahdat chupney walay say ziyada zalim aur kaun hai? Aur Allah tumharay kaamon say ghafil nahi.
क्या तुम कहते हो इब्राहीम और इस्माईल और इसहाक़ और याक़ूब (अलैहिमुस्सलाम) और उसकी औलाद सब यहूदी या नसरानी थे, कहो कि तुम ज़्यादा जानते हो या अल्लाह, और उससे बड़ा ज़ालिम कौन होगा जो उस गवाही को छुपाए जो अल्लाह की तरफ़ से उसके पास आई हुई है, और जो कुछ तुम करते हो अल्लाह उससे बेख़बर नहीं।
That is a nation which has passed on. It will have [the consequence of] what it earned, and you will have what you have earned. And you will not be asked about what they used to do.
Yeh ummat hai jo guzar chuki jo unhon ney kiya unn kay liye hai aur jo tum ney kiya tumharay liye tum unn kay aemaal kay baray mein sawal na kiye jao gay.
यह एक जमात थी जो गुज़र गई, उसको मिलेगा जो उसने कमाया और तुमको मिलेगा जो तुमने कमाया, और तुमसे उनके किए हुए की पूछ न होगी।
We have certainly seen the turning of your face, [O Muhammad], toward the heaven, and We will surely turn you to a qiblah with which you will be pleased. So turn your face toward al-Masjid al-Haram. And wherever you [believers] are, turn your faces toward it [in prayer]. Indeed, those who have been given the Scripture well know that it is the truth from their Lord. And Allah is not unaware of what they do.
Hum aap kay chehray ko baar baar aasman ki taraf uthtay uthtay huye dekh rahey hain abb hum aap ko uss qiblay ki janib mutawajja keren gay jiss say aap khush hojayen aap apna mun masjid-e-haram ki taraf pher len aur aap jahan kahin hon apna mun ussi taraf phera keren. Ehal-e-kitab ko iss baat kay Allah ki taraf say bar haq honey ka qataee ilm hai aur Allah Taalaa unn aemaal say ghafil nahi jo yeh kertay hain.
हम तुम्हारे चेहरे का बार-बार आसमान की तरफ़ उठना देख रहे हैं, पस हम तुमको उसी क़िबले की तरफ़ फेर देंगे जिसको तुम पसंद करते हो, अब अपना रुख़ मस्जिदे-हराम की तरफ़ फेर दो, और तुम जहाँ कहीं भी हो अपने रुख़ को उसी तरफ़ करो, और अहले-किताब ख़ूब जानते हैं कि यह हक़ है और उनके रब की जानिब से है, और अल्लाह बेख़बर नहीं उससे जो वे कर रहे हैं।
So from wherever you go out [for prayer, O Muhammad] turn your face toward al- Masjid al-Haram, and indeed, it is the truth from your Lord. And Allah is not unaware of what you do.
Aap jahan say niklay apna mun ( namaz kay liye ) masjid-e-haram ki taraf ker liya keren yehi haq hai aap kay rab ki taraf say jo kuch tum ker rahey ho uss say Allah Taalaa bey khabar nahi.
और तुम जहाँ से भी निकलो अपना रुख़ मस्जिदे-हराम की तरफ़ करो, बेशक यह हक़ है तुम्हारे रब की तरफ़ से, और जो कुछ तुम करते हो अल्लाह उससे बेख़बर नहीं।
Say, "O People of the Scripture, why do you avert from the way of Allah those who believe, seeking to make it [seem] deviant, while you are witnesses [to the truth]? And Allah is not unaware of what you do."
Inn ehal-e-kitab say kaho kay tum Allah Taalaa ki raah say logon ko kiyon roktay ho? Aur iss mein aib tatoltay ho halankay tum khud shahid ho Allah Taalaa tumharay aemaal say bey khabar nahi.
आप कहिए कि ऐ अहले-किताब! तुम ईमान लाने वालों को अल्लाह की राह से क्यों रोकते हो, तुम उसमें ऐब ढूँडते हो; हालाँकि तुम गवाह बनाए गए हो, और अल्लाह तुम्हारे कामों से बेख़बर नहीं।
And We have revealed to you, [O Muhammad], the Book in truth, confirming that which preceded it of the Scripture and as a criterion over it. So judge between them by what Allah has revealed and do not follow their inclinations away from what has come to you of the truth. To each of you We prescribed a law and a method. Had Allah willed, He would have made you one nation [united in religion], but [He intended] to test you in what He has given you; so race to [all that is] good. To Allah is your return all together, and He will [then] inform you concerning that over which you used to differ.
Aur hum ney aap ki taraf haq kay sath yeh kitab nazil farmaee hai jo apney say agli kitabon ki tasdeeq kerney wali hai aur inn ki mohafiz hai. Iss liye aap inn kay aapas kay moamlaat mein issi utari hui kitab kay sath hukum kijiye iss haq say hatt ker inn ki khuwaishon kay peechay na jaiye tum mein say her aik kay liye hum ney aik dastoor aur raah muqarrar ker di hai. Agar manzoor maula hota to tum sab ko aik hi ummat bana deta lekin uss ki chahat hai kay jo tumhen diya hai uss mein tumhen aazmaye tum nekiyon ki taraf jaldi kero tum sab ka rujoo Allah hi ki taraf hai phir woh tumhen her woh cheez bata dey ga jiss mein tum ikhtilaf kertay rehtay ho.
और हमने आपकी तरफ़ किताब उतारी हक़ के साथ, तस्दीक़ करने वाली पिछली किताब की और उसके मज़ामीन पर निगहबान, पस आप फ़ैसला करें उसके मुताबिक़ जो अल्लाह ने उतारा है, और जो हक़ आपके पास आ चुका है उसको छोड़ कर उनकी ख़्वाहिशों की पैरवी न करें, हमने तुम में से हर एक के लिए एक शरीअत और एक तरीक़ा ठहराया है, और अगर अल्लाह चाहता तो तुमको एक ही उम्मत बना देता मगर अल्लाह ने चाहा कि वह अपने दिए हुए हुक्मों में तुम्हारी आज़माइश करे पस तुम भलाइयों की तरफ़ दौड़ो, आख़िरकार तुम सबको अल्लाह की तरफ़ लौट कर जाना है फिर वह तुमको आगाह कर देगा उस चीज़ से जिसमें तुम इख़्तिलाफ़ कर रहे थे।
They have certainly disbelieved who say, " Allah is the third of three." And there is no god except one God. And if they do not desist from what they are saying, there will surely afflict the disbelievers among them a painful punishment.
Woh log bhi qatan kafir hogaye jinhon ney kaha Allah teen mein ka teesra hai dar asal so Allah Taalaa key koi mabood nahi. Agar yeh log apney iss qol say baaz na rahey to inn mein say jo kufur per rahen gay unhen alam naak azab zarror phonchay ga.
यक़ीनन उन लोगों ने कुफ़्र किया जिन्होंने कहा कि अल्लाह तीन में का तीसरा है; हालाँकि कोई माबूद नहीं सिवाए एक माबूद के, और अगर वे बाज़ न आए उससे जो वे कहते हैं तो उनमें से कुफ़्र पर क़ायम रहने वालों को एक दर्दनाक अज़ाब पकड़ेगा।
O you who have believed, do not kill game while you are in the state of ihram. And whoever of you kills it intentionally - the penalty is an equivalent from sacrificial animals to what he killed, as judged by two just men among you as an offering [to Allah ] delivered to the Ka'bah, or an expiation: the feeding of needy people or the equivalent of that in fasting, that he may taste the consequence of his deed. Allah has pardoned what is past; but whoever returns [to violation], then Allah will take retribution from him. And Allah is Exalted in Might and Owner of Retribution.
Aey eman walo! ( wehshi ) shikar ko qatal mat kero jabkay tum halat-e-ehraam mein ho. Aur jo shaks tum mein say iss ko jaan boojh ker qatal keray ga to uss per fidya wajib hoga jo kay masawi hoga uss janwar kay jiss ko iss ney qatal kiya hai jiss ka faisla tum mein say do moatbar shaks ker den khuwa woh fidya khaas chopayon mein say ho jo niaz kay tor per kaaba tak phonchaya jaye aur khuwa kaffaara masakeen ko dey diya jaye aur khuwa iss kay barabar rozay rakh liye jayen takay apney kiye ki shamat ka maza chakhay Allah Taalaa ney guzishat ko moaf ker diya aur jo shaks phir aisi hi herkat keray ga to Allah Taalaa intiqam ley ga aur Allah zabardast hai intiqam lenay wala.
ऐ ईमान वालो! शिकार को न मारो जबकि तुम हालते-एहराम में हो और तुम में से जो शख़्स उसको जान-बूझ कर मारे तो उसका बदला उसी तरह का जानवर है जैसा कि उसने मारा है, इसका फ़ैसला तुम में से दो इंसाफ़ करने वाले आदमी करेंगे और यह नज़राना काबा पहुँचाया जाए, या उसके कफ़्फ़ारे में चंद मोहताजों को खाना खिलाना होगा या उसके बराबर रोज़े रखने होंगे; ताकि वह अपने किए की सज़ा चखे, अल्लाह ने माफ़ किया जो कुछ हो चुका, और जो शख़्स फिरेगा तो अल्लाह उससे बदला लेगा, और अल्लाह ज़बरदस्त है, बदला लेने वाला है।
But they have attributed to Allah partners - the jinn, while He has created them - and have fabricated for Him sons and daughters without knowledge. Exalted is He and high above what they describe.
Aur logon ney shayateen ko Allah Taalaa ko shareek qarar dey rakha hai halankay inn logon ko Allah hi ney peda kiya hai aur inn logon ney Allah kay haq mein betay aur betiyan bila sanad tarash rakhi hain aur woh pak aur bartar hai unn baaton say jo yeh kertay hain.
और उन्होंने जिन्नात को अल्लाह का शरीक क़रार दिया हालाँकि उसी ने उनको पैदा किया है, और बग़ैर सोचे-समझे उसके लिए बेटे और बेटियाँ तराशीं, पाक और बरतर है वह ज़ात उन बातों से जो ये बयान करते हैं।
And for all are degrees from what they have done. And your Lord is not unaware of what they do.
Aur her aik kay liye unn kay aemaal kay sabab darjay milen gay aur aap ka rab inn kay aemaal say bey khabar nahi hai.
और हर शख़्स का दर्जा है उसके अमल के लिहाज़ से, और आपका रब लोगों के आमाल से बेख़बर नहीं।
But when He gives them a good [child], they ascribe partners to Him concerning that which He has given them. Exalted is Allah above what they associate with Him.
So jab Allah ney dono ko sahih saalim aulad dey di to Allah ki di hui cheez mein woh dono Allah kay shareek qarar denay lagay so Allah pak hai unn kay shirk say.
मगर जब अल्लाह ने उनको तंदुरुस्त औलाद दे दी तो वे उसकी बख़्शी हुई चीज़ में दूसरों को उसका शरीक ठहराने लगे, अल्लाह बरतर है उन मुशरिकाना बातों से जो ये लोग करते हैं।
They have taken their scholars and monks as lords besides Allah , and [also] the Messiah, the son of Mary. And they were not commanded except to worship one God; there is no deity except Him. Exalted is He above whatever they associate with Him.
Inn logon ney Allah ko chor ker apney aalimon aur darwishon ko apna rab banaya hai aur marium kay betay maseeh ko halankay unhen sirf aik akelay Allah hi ki ibadat ka hukum diya gaya tha jiss kay siwa koi mabood nahi woh pak hai unn kay shareek muqarrar kerney say.
उन्होंने अल्लाह के सिवा अपने उलमा और मशाइख़ को रब बना डाला और मसीह बिन मरियम को भी; हालाँकि उनको सिर्फ़ यह हुक्म था कि वे एक माबूद की इबादत करें, उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वह पाक है उस शिर्क से जो वे करते हैं।
And they worship other than Allah that which neither harms them nor benefits them, and they say, "These are our intercessors with Allah " Say, "Do you inform Allah of something He does not know in the heavens or on the earth?" Exalted is He and high above what they associate with Him
Aur yeh log Allah kay siwa aisi cheezon ki ibadat kertay hain jo na unn ko zarrar phoncha saken aur na unn ko nafa phoncha saken aur kehtay hain kay yeh Allah kay pass humaray sifarshi hain. Aap keh dijiye kay kiya tum Allah ko aisi cheez ki khabar detay ho jo Allah Taalaa ko maloom nahi na aasmanon mein aur na zamin mein woh pak aur bartar hai inn logon kay shirk say.
और वे अल्लाह के सिवा ऐसी चीज़ों की इबादत करते हैं जो उनको न नुक़सान पहुँचा सकें और ना नफ़ा पहुँचा सकें, और वे कहते हैं कि ये अल्लाह के यहाँ हमारे सिफ़ारशी हैं, कह दीजिए क्या तुम अल्लाह को ऐसी चीज़ों की ख़बर देते हो जो उसको आसमानों और ज़मीन में मालूम नहीं, वे पाक और बरतर है उससे जिसको वे शरीक करते हैं।
They said, "Have you come to us to turn us away from that upon which we found our fathers and so that you two may have grandeur in the land? And we are not believers in you."
Woh log kehney lagay kiya tum humaray pass iss liye aaye ho kay hum ko iss tareeqay say hata do jiss per hum ney apney baap dadon ko paya hai aur tum dono ko duniya mein baraee mill jaye aur hum tum dono ko kabhi na manen gay.
उन्होंने कहा कि क्या तुम हमारे पास इसलिए आए हो कि हमको उस रास्ते से फेर दो जिस पर हमने अपने बाप-दादा को पाया है और इस मुल्क में तुम दोनों की बड़ाई क़ायम हो जाए, और हम तुम दोनों की बात कभी मानने वाले नहीं हैं।
And to Allah belong the unseen [aspects] of the heavens and the earth and to Him will be returned the matter, all of it, so worship Him and rely upon Him. And your Lord is not unaware of that which you do.
Zaminon aur aasmanon ka ilm-e-ghaib Allah Taalaa hi ko hai tamam moamlaat ka rujoo bhi ussi ki janib hai pus tujhay ussi ki ibadat kerni chahaiye aur ussi per bharosa rakhan chahaiye aur tum jo kuch kertay ho uss say Allah Taalaa bey khabar nahi.
और आसमानों और ज़मीन की छुपी बात अल्लाह के पास है और तमाम उमूर उसी की तरफ़ लौटाए जाते हैं, पस आप उसी की इबादत करें और उसी पर भरोसा रखें, और आपका रब उससे बेख़बर नहीं जो तुम कर रहे हो।
Their messengers said, "Can there be doubt about Allah , Creator of the heavens and earth? He invites you that He may forgive you of your sins, and He delays your death for a specified term." They said, "You are not but men like us who wish to avert us from what our fathers were worshipping. So bring us a clear authority."
Unn kay rasoolon ney unhen kaha kay kiya haq taalaa kay baray mein tumhen shak hai jo aasmano aur zamin ka bananey wala hai woh to tumhen iss liye bula raha hai kay tumharay tamam gunah moaf farma dey aur aik muqarrara waqt tak tumhen mohlat ata farmaye unhon ney kaha kay tum to hum jaisay hi insan ho tum chahatay ho kay humen unn khudaon ki ibadat say rok do jin ki ibadat humaray baap dada kertay rahey acha to humaray samney koi khulli daleel paish kero.
उनके पैग़म्बरों ने कहाः क्या अल्लाह के बारे में शक है जो आसमानों और ज़मीन को वजूद में लाने वाला है, वह तुमको बुला रहा है कि तुम्हारे गुनाहों को माफ़ कर दे और तुमको एक मुक़र्रर मुद्दत तक मोहलत दे, उन्होंने कहा कि तुम इसके सिवा कुछ नहीं कि हमारे जैसे ही एक आदमी हो, तुम चाहते हो कि हमको उन चीज़ों की इबादत से रोक दो जिनकी इबादत हमारे बाप-दादा करते थे, तुम हमारे सामने कोई खुली सनद ले आओ।
And never think that Allah is unaware of what the wrongdoers do. He only delays them for a Day when eyes will stare [in horror].
Na insafon kay aemaal say Allah ko ghafil na samajh woh to enhen uss din tak mohlat diye huye hai jiss din aankhen phati ki phati reh jayen gi.
और आप हरगिज़ यह ख़्याल न करें कि अल्लाह उससे बेख़बर है जो ज़ालिम लोग कर रहे हैं, वे उनको उस दिन के लिए ढील दे रहा है जिस दिन आँखें पथरा जाएंगी।
About what they used to do.
Her uss cheez ki jo woh kertay thay.
जो कुछ वे करते थे।
The command of Allah is coming, so be not impatient for it. Exalted is He and high above what they associate with Him.
Allah Taalaa ka hukum aa phoncha abb iss ki jaldi na machao. Tamam paki uss kay liye hai woh bartar hai unn sab say jinhen yeh Allah kay nazdik shareek batlatay hain.
आ गया अल्लाह का फ़ैसला पस उसकी जल्दी न करो, वह पाक है और बरतर है उससे जिसको वे शरीक ठहराते हैं।
He created the heavens and earth in truth. High is He above what they associate with Him.
Ussi ney aasmanon aur zamin ko haq kay sath peda kiya hai woh iss say bari hai jo mushrik kertay hain.
उसने आसमानों और ज़मीन को हक़ के साथ पैदा किया है, वह बरतर है उस शिर्क से जो वे कर रहे हैं।
And they assign to what they do not know a portion of that which We have provided them. By Allah , you will surely be questioned about what you used to invent.
Aur jisay jantay boojhtay bhi nahi uss ka hissa humari di hui rozi mein say muqarrar kertay hain wallah tumharay iss bohtan ka sawal tum say zaroor hi kiya jayega.
और यह लोग हमारी दी हुई चीज़ों में से उनका हिस्सा लगाते हैं जिनके मुतअल्लिक़ उनको कुछ इल्म नहीं, अल्लाह की क़सम! जो झूठ तुम बाँध रहे हो उसके बारे में ज़रूर तुमसे पूछताछ होगी।
And if Allah had willed, He could have made you [of] one religion, but He causes to stray whom He wills and guides whom He wills. And you will surely be questioned about what you used to do.
Agar Allah chahata to tum sab ko aik hi giroh bana deta lekin woh jisay chahaye gumrah kerta hai aur jisay chahaye hidayat deta hai yaqeenan tum jo kuch ker rahey ho uss kay baray mein baaz purs ki janey wali hai.
और अगर अल्लाह चाहता तो तुम सबको एक ही उम्मत बना देता लेकिन वह बे-राह कर देता है जिसको चाहता है और हिदायत दे देता है जिसको चाहता है, और ज़रूर तुमसे तुम्हारे आमाल की पूछ-गछ होगी।
Exalted is He and high above what they say by great sublimity.
Jo kuch yeh kehtay hain iss say woh pak aur bala tar boht door aur boht buland hai.
अल्लाह पाक और बरतर है उससे जो ये लोग कहते हैं।
Had there been within the heavens and earth gods besides Allah , they both would have been ruined. So exalted is Allah , Lord of the Throne, above what they describe.
Agar aasman-o-zamin mein siwaye Allah Taalaa kay aur bhi mabood hotay to yeh dono darhum barhum ho jatay pus Allah Taalaa arsh ka rab her uss wasf say pak hai jo yeh mushrik biyan kertay hain.
यदि इन दोनों (आकाश और धरती) में अल्लाह के सिवा दूसरे इष्ट-पूज्य भी होते तो दोनों की व्यवस्था बिगड़ जाती। अतः महान और उच्च है अल्लाह, राजासन का स्वामी, उन बातों से जो ये बयान करते हैं
He is not questioned about what He does, but they will be questioned.
Woh apney kaamon key liye ( kissi kay aagay ) jawab deh nahi aur sab ( uss kay aagay ) jawab deh hain.
जो कुछ वह करता है उस से उस की कोई पूछ नहीं हो सकती, किन्तु इन से पूछ होगी
[ Allah ] said, "After a little, they will surely become regretful."
Jawab mila kay yeh to boht hi jald apnay kiye per pachtaney lagen gay.
कहा, "शीघ्र ही वे पछताकर रहेंगे।"
Allah has not taken any son, nor has there ever been with Him any deity. [If there had been], then each deity would have taken what it created, and some of them would have sought to overcome others. Exalted is Allah above what they describe [concerning Him].
Na to Allah ney kissi ko beta banaya aur na uss kay sath aur koi mabood hai werna her mabood apni makhlooq ko liye liye phirta aur her aik doosray per charh dorta. Jo osaaf yeh batlatay hain unn say Allah pak ( aur bey-niaz ) hai.
अल्लाह ने अपना कोई बेटा नहीं बनाया और न उस के साथ कोई अन्य पूज्य-प्रभु है। ऐसा होता तो प्रत्येक पूज्य-प्रभु अपनी सृष्टि को लेकर अलग हो जाता और उन में से एक-दूसरे पर चढ़ाई कर देता। महान और उच्च है अल्लाह उन बातों से, जो वे बयान करते हैं;
[He is] Knower of the unseen and the witnessed, so high is He above what they associate [with Him].
Woh ghaeeb hazir ka jannay wala hai aur jo shirk yeh kertay hain uss say bala tar hai.
जानने वाला है छुपे और खुले का। सो वह उच्चतर है वह शिर्क से जो वे करते हैं!
Is He [not best] who guides you through the darknesses of the land and sea and who sends the winds as good tidings before His mercy? Is there a deity with Allah ? High is Allah above whatever they associate with Him.
Kiya woh jo tumhen khushki aur tari ki tareekiyon mein raah dikhata hai aur jo apni rehmat say pehlay hi khushkhabriyan denay wali hawayen chalata hai kiya Allah kay sath koi aur mabood bhi hai jinhen yeh shareek kertay hain unn sab say Allah buland-o-bala-tar hai.
या वह जो थल और जल के अँधेरों में तुम्हारा मार्गदर्शन करता है और जो अपनी दयालुता के आगे हवाओं को शुभ-सूचना बनाकर भेजता है? क्या अल्लाह के साथ कोई और प्रभु पूज्य है? उच्च है अल्लाह, उस शिर्क से जो वे करते हैं
And say, "[All] praise is [due] to Allah . He will show you His signs, and you will recognize them. And your Lord is not unaware of what you do."
Keh dijiye! kay tamam tareefen Allah hi ko saza waar hain woh un-qareeb apni nishaniyan dikhaye ga jinhen tum ( khud ) pehchan lo gay aur jo kuch tum kertay ho uss say aap ka rab ghafil nahi.
और कहो, "सारी प्रशंसा अल्लाह के लिए है। जल्द ही वह तुम्हें अपनी निशानियाँ दिखा देगा और तुम उन्हें पहचान लोगे। और तेरा रब उस से बेख़बर नहीं है, जो कुछ तुम सब कर रहे हो।"
And your Lord creates what He wills and chooses; not for them was the choice. Exalted is Allah and high above what they associate with Him.
Aur aap ka rab jo chahata hai peda kerta hai aur jisay chahata hai chun leta hai inn mein say kissi ko koi ikhtiyar nahi Allah hi kay liye paki hai woh buland tar hai her uss cheez say kay log shareek kertay hain.
तेरा रब पैदा करता है जो कुछ चाहता है और ग्रहण करता है जो चाहता है। उन्हें कोई अधिकार प्राप्त नहीं। अल्लाह महान और उच्च है उस शिर्क से, जो वे करते हैं
But they will surely carry their [own] burdens and [other] burdens along with their burdens, and they will surely be questioned on the Day of Resurrection about what they used to invent.
Albatta yeh apnay bojh dho len gay aur apnay bojhon kay sath hi aur bojh bhi. Aur jo kuch iftra perdaziyan ker rahey hain unn sab ki babat unn say baaz purs ki jaye gi.
हाँ, अवश्य ही वे अपने बोझ भी उठाएँगे और अपने बोझों के साथ और बहुत-से बोझ भी। और क़ियामत के दिन अवश्य उन से उस के विषय में पूछा जाएगा जो कुछ झूठ वे घड़ते रहे होंगे
Allah is the one who created you, then provided for you, then will cause you to die, and then will give you life. Are there any of your "partners" who does anything of that? Exalted is He and high above what they associate with Him.
Allah Taalaa woh hai jiss ney tumhen peda kiya phir rozi di phir maar dalay ga phir zinda ker dey ga batao tumharay shareeko mein say koi bhi aisa hai jo inn say kuch bhi ker sakta ho. Allah Taalaa kay liye paki aur bar tari hai her uss sharik say jo yeh log muqarrar kertay hain.
अल्लाह ही है जिस ने तुम्हें पैदा किया, फिर तुम्हें रोज़ी दी; फिर वह तुम्हें मृत्यु देता है; फिर तुम्हें जीवित करेगा। क्या तुम्हारे ठहराए हुए साझीदारों में भी कोई है, जो इन कामों में से कुछ कर सके? महान और उच्च है वह उस से जो साझी वे ठहराते हैं
Say, "You will not be asked about what we committed, and we will not be asked about what you do."
Keh dijiye! Kay humaray kiye huye gunahon ki babat tum say koi sawal na kiya jayega na tumharay aemaal ki baaz purs hum say ki jayegi.
कहो, "जो अपराध हम ने किए, उस की पूछ तुम से न होगी और न उस की पूछ हम से होगी जो तुम कर रहे हो।"
And when our verses are recited to them as clear evidences, they say, "This is not but a man who wishes to avert you from that which your fathers were worshipping." And they say, "This is not except a lie invented." And those who disbelieve say of the truth when it has come to them, "This is not but obvious magic."
Aur jab unn kay samney humari saaf saaf aayaten parhi jati hain to kehtay hain yeh aisa shaks hai jo tumehn tumharay baap dada kay maboodon say rok dena chahata hai ( iss kay siwa koi baat nahi ) aur kehtay hain kay yeh to ghara hua jhoot hai aur haq inn kay pass aa chuka phir bhi kafir yehi kehtay rahey kay yeh to khula hua jadoo hai.
उन्हें जब हमारी स्पष्ट़ आयतें पढ़कर सुनाई जाती हैं तो वे कहते हैं, "यह तो बस ऐसा व्यक्ति है जो चाहता है कि तुम्हें उन से रोक दें जिन को तुम्हारे बाप-दादा पूजते रहे हैं।" और कहते हैं, "यह तो एक घड़ा हुआ झूठ है।" जिन लोगों ने इनकार किया उन्होंने सत्य के विषय में, जबकि वह उन के पास आया, कह दिया, "यह तो बस एक प्रत्यक्ष जादू है।"
Exalted is Allah above what they describe,
Jo kuch yeh ( Allah kay baray mein ) biyan ker rahey hain uss say Allah Taalaa bilkul pak hai.
महान और उच्च है अल्लाह उस से, जो वे बयान करते हैं। -
Exalted is your Lord, the Lord of might, above what they describe.
Pak hai aap ka rab jo bot bari izzat wala hai her uss cheez say ( jo mushrik ) biyan kertay hain.
महान और उच्च है तुम्हारा रब, प्रताप का स्वामी, उन बातों से जो वे बताते हैं!
They have not appraised Allah with true appraisal, while the earth entirely will be [within] His grip on the Day of Resurrection, and the heavens will be folded in His right hand. Exalted is He and high above what they associate with Him.
Aur inn logon ney jaisi qadar Allah Taalaa ki kerni chahyey thi nahi ki sari zami qayamat kay din uss ki muthi mein hogi aur tamam aasman uss kay dahaney hath mein lapetay huyey hongay woh pak aur bartar hai her uss cheez say jissay log uss ka shareek banayen.
उन्होंने अल्लाह की क़द्र न जानी, जैसी क़द्र उस की जाननी चाहिए थी। हालाँकि क़ियामत के दिन सारी की सारी धरती उस की मुट्ठी में होगी और आकाश उस के दाएँ हाथ में लिपटे हुए होंगे। महान और उच्च है वह उस से, जो वे साझी ठहराते हैं
Exalted is the Lord of the heavens and the earth, Lord of the Throne, above what they describe.
Aasmano aur zamin aur arsh ka rab jo kuch yeh biyan kertay hain iss say ( boht ) pak hai.
आकाशों और धरती का रब, सिंहासन का स्वामी, उस से महान और उच्च है जो वे बयान करते हैं।"
Or have they a deity other than Allah ? Exalted is Allah above whatever they associate with Him.
Kiya Allah kay siwa inka koi mabood hai? ( hergiz nahi ) Allah taalaa inkay shirk say pak hai.
या अल्लाह के अतिरिक्त उन का कोई और पूज्य-प्रभु है? अल्लाह महान और उच्च है उस से जो वे साझी ठहराते हैं
He is Allah , other than whom there is no deity, the Sovereign, the Pure, the Perfection, the Bestower of Faith, the Overseer, the Exalted in Might, the Compeller, the Superior. Exalted is Allah above whatever they associate with Him.
Wohi Allah hai jiss kay siwa koi mabood nahi badshah nihayat pak sab aeybon say saaf aman denay wala nighehbaan ghalib zor aawar aur baraee wala pak hai Allah unn cheezon say jinhen yeh uss ka shareek banatay hain.
वही अल्लाह है जिस के सिवा कोई पूज्य नहीं। बादशाह है अत्यन्त पवित्र, सर्वथा सलामती, निश्चिन्तता प्रदान करने वाला, संरक्षक, प्रभुत्वशाली, प्रभावशाली (टुटे हुए को जोड़ने वाला), अपनी बड़ाई प्रकट करने वाला। महान और उच्च है अल्लाह उस शिर्क से जो वे करते हैं