In the name of Allah , the Entirely Merciful, the Especially Merciful.
Shuroo Allah kay naam say jo bara meharban nehayat reham kerney wala hai
अल्लाह के नाम से शुरू करता हूँ जो बड़ा मेहरबान निहायत रहम करने वाला है।
Alif, Lam, Ra. These are the verses of the wise Book
Alif-laam-raa ye pur hikmat kitab ki aayaten hain.
अलिफ़-लाम-रा, यह हिकमत से भरी किताब की आयतें हैं।
Have the people been amazed that We revealed [revelation] to a man from among them, [saying], "Warn mankind and give good tidings to those who believe that they will have a [firm] precedence of honor with their Lord"? [But] the disbelievers say, "Indeed, this is an obvious magician."
Kiya inn logon ko iss baat say tajjub hua kay hum ney inn mein say aik shaks kay pass wahee bhej di kay sab aadmiyon ko daraiye aur jo eman ley aaye unn ko yeh khushkhabri suniye kay inn kay rab kay pass inn ko poora ajar-o-martaba milay ga. Kafiron ney kaha yeh shaks to bila shuba sareeh jadoogar hai.
क्या लोगों को इस पर हैरत है कि हमने उन्हीं में से एक शख़्स पर वह्य की कि लोगों को डराओ और जो ईमान लाएं उनको ख़ुश-ख़बरी सुना दो कि उनके लिए उनके रब के पास सच्चा मर्तबा है, मुनकिरों ने कहा कि यह शख़्स तो खुला जादूगर है।
Indeed, your Lord is Allah , who created the heavens and the earth in six days and then established Himself above the Throne, arranging the matter [of His creation]. There is no intercessor except after His permission. That is Allah , your Lord, so worship Him. Then will you not remember?
Bila shuba tumhara rab Allah hi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda ker diya phir arsh per qaeem hua woh her kaam ki tadbeer kerta hai. Uss ki ijazat kay baghair koi uss kay pass sifarish kerney wala nahi aisa Allah tumhara rab hai so tum uss ki ibadat kero kiya tum phir bhi nasihat nahi pakartay.
बेशक तुम्हारा रब अल्लाह है जिसने आसमानों और ज़मीन को छः दिनों (अदवार) में पैदा किया फिर वह अर्श पर क़ायम हुआ, वही मामलात का इंतिज़ाम करता है, उसकी इजाज़त के बग़ैर कोई सिफ़ारिश करने वाला नहीं, वही अल्लाह तुम्हारा रब है पस तुम उसी की इबादत करो, क्या तुम सोचते नहीं।
To Him is your return all together. [It is] the promise of Allah [which is] truth. Indeed, He begins the [process of] creation and then repeats it that He may reward those who have believed and done righteous deeds, in justice. But those who disbelieved will have a drink of scalding water and a painful punishment for what they used to deny.
Tum sab ko Allah hi kay pass jana hai Allah ney sacha wada ker rakha hai. Be-shak wohi pehli baar bhi peda kerta hai phir wohi doobara bhi peda keray ga takay aisay logon ko jo kay eman laye aur unhon ney nek kaam kiye insaf kay sath jaza dey aur jin logon ney kufur kiya unn kay wastay kholta hua pani peenay ko milay ga aur dard naak azab hoga unn kay kufur ki waja say.
उसी की तरफ़ तुम सबको लौट कर जाना है, यह अल्लाह का पक्का वादा है, बेशक वह पैदाइश की इब्तिदा करता है फिर वह दोबारा पैदा करेगा; ताकि जो लोग ईमान लाए और उन्होंने नेक काम किए उनको इंसाफ़ के साथ बदला दे, और जिन्होंने इनकार किया उनके इनकार के बदले उनके लिए खौलता हुआ पानी और दर्दनाक अज़ाब है।
It is He who made the sun a shining light and the moon a derived light and determined for it phases - that you may know the number of years and account [of time]. Allah has not created this except in truth. He details the signs for a people who know
Woh Allah Taalaa aisa hai jiss ney aftab ko chamakta hua banaya aur chand ko noorani banaya aur uss kay liye manzilen muqarrar kin takay tum barson ki ginti aur hisab maloom ker liya kero. Allah Taalaa ney yeh cheezen bey faeeda nahi peda kin. Woh yeh dalaeel unn ko saaf saaf batla raha hai jo danish rakhtay hain.
और अल्लाह वही है जिसने सूरज को सरापा रौशनी बनाया और चाँद को सरापा नूर और उसके (सफ़र के) लिए मंज़िलें मुक़र्रर कर दीं; ताकि तुम बरसों की गिनती और (महीनों का) हिसाब मालूम कर सको, अल्लाह ने यह सब कुछ बग़ैर किसी सही मक़सद के पैदा नहीं कर दिया, वह ये निशानियाँ खोल-खोल कर बयान करता है उनके लिए जो कुछ समझ रखते हैं।
Indeed, in the alternation of the night and the day and [in] what Allah has created in the heavens and the earth are signs for a people who fear Allah
Bila shuna raat aur din kay yakay baad deegray aaney mein aur Allah Taalaa ney jo kuch aasmanon aur zamin mein peda kiya hai inn sab mein unn logon kay liye dalaeel hain jo Allah ka darr rakhtay hain.
यक़ीनन रात और दिन के उलट-फेर में और अल्लाह ने जो कुछ आसमानों और ज़मीन में पैदा किया उनमें उन लोगों के लिए निशानियाँ हैं जो डरते हैं।
Indeed, those who do not expect the meeting with Us and are satisfied with the life of this world and feel secure therein and those who are heedless of Our signs
Jin logon ko humaray pass aaney ka yaqeen nahi hai aur woh dunyawi zindagi per razi hogaye hain aur iss mein ji laga bethay hain aur jo log humari aayaton say ghafil hain.
बेशक जो लोग हमारी मुलाक़ात की उम्मीद नहीं रखते और दुनिया की ज़िंदगी पर राज़ी और मुतमइन हैं और जो हमारी निशानियों से बे-परवा हैं।
For those their refuge will be the Fire because of what they used to earn.
Aisay logon ka thikana unn kay aemaal ki waja say dozakh hai.
उनका ठिकाना जहन्नम होगा उस वजह से जो वे करते थे।
Indeed, those who have believed and done righteous deeds - their Lord will guide them because of their faith. Beneath them rivers will flow in the Gardens of Pleasure
Yaqeenan jo log eman laye aur unhon ney nek kaam kiye unn ka rab unn ko unn kay eman kay sabab unn kay maqsad tak phoncha dey ga nemat kay baghon mein jin key neechay nehren jari hongi.
बेशक जो लोग ईमान लाए और नेक काम किए, अल्लाह उनके ईमान की बदौलत उनको उनके मक़सद तक पहुँचा देगा, उनके नीचे नहरें बहती होंगी नेमत के बाग़ों में।
Their call therein will be, "Exalted are You, O Allah ," and their greeting therein will be, "Peace." And the last of their call will be, "Praise to Allah , Lord of the worlds!"
Unn kay mun say yeh baat niklay gi “ subhan Allah ” aur unn ka bahumi salam yeh hoga “Assalam-o-alaikum” aur unn ki akheer baat yeh hogi tamam tareefen Allah kay liye hain jo saray jahaan ka rab hai.
उनके मुँह से यह बात निकलेगीः सुब्हानल्लाह और उनका आपस में सलाम यह होगाः अस्सलामु अलैकुम और उनकी अख़ीर बात यह होगी कि तमाम तारीफ़ें अल्लाह के लिए हैं जो सारे जहानों का रब है।
And if Allah was to hasten for the people the evil [they invoke] as He hastens for them the good, their term would have been ended for them. But We leave the ones who do not expect the meeting with Us, in their transgression, wandering blindly
Aur agar Allah logon per jaldi say nuksan waaqay ker diya kerta jiss tarah woh faeeday kay liye jaldi machatay hain to unn ka wada kabhi ka poora ho chuka hota. So hum unn logon ko jin ko humaray pass aaney ka yaqeen nahi hai unn kay haal per chor rakhtay hain kay apni sirkashi mein bhataktay rahen.
और अगर अल्लाह लोगों के लिए अज़ाब उसी तरह जल्द पहुँचा दे जिस तरह वह उनके साथ रहमत में जल्दी करता है तो उनकी मुद्दत ख़त्म कर दी गई होती, लेकिन हम उन लोगों को जो हमारी मुलाक़ात की उम्मीद नहीं रखते उनकी सरकशी में भटकने के लिए छोड़ देते हैं।
And when affliction touches man, he calls upon Us, whether lying on his side or sitting or standing; but when We remove from him his affliction, he continues [in disobedience] as if he had never called upon Us to [remove] an affliction that touched him. Thus is made pleasing to the transgressors that which they have been doing
Aur jab insan ko koi takleef phonchti hai to hum ko pukarta hai letay bhi bethay bhi kharay bhi. Phir jab hum uss ki takleef uss say hata detay hain to woh aisa hojata hai kay goya uss ney apni takleef kay liye jo ussay phonchi thi kabhi humen pukara hi na tha inn hadd say guzarney walon kay aemaal ko unn kay liye issi tarah khushnuma bana diya gaya hai.
और इंसान को जब कोई तकलीफ़ पहुँचती है तो वे खड़े और बैठे और लेटे हमको पुकारता है, फिर जब हम उससे उसकी तकलीफ़ दूर कर देते हैं तो वह ऐसा हो जाता है गोया उसने कभी अपने किसी बुरे वक़्त पर हमको पुकारा ही न था, इस तरह हद से गुज़र जाने वालों के लिए उनके आमाल ख़ुशनुमा बना दिए गए हैं।
And We had already destroyed generations before you when they wronged, and their messengers had come to them with clear proofs, but they were not to believe. Thus do We recompense the criminal people
Aur hum ney tum say pehlay boht say girohon ko halak ker diya jabkay unhon ney zulm kiya halankay unn kay pass unn kay payghumber bhi dalaeel ley ker aaye aur woh aisay kab thay kay eman ley aatay? Hum mujrim logon ko aisi hi saza diya kertay hain.
और हमने तुमसे पहले क़ौमों को हलाक किया जबकि उन्होंने ज़ुल्म किया, और उनके पैग़म्बर उनके पास खुली दलीलों के साथ आए और वे ईमान लाने वाले न बने, हम ऐसा ही बदला देते हैं मुजरिम लोगों को।
Then We made you successors in the land after them so that We may observe how you will do.
Phir unn kay baad hum ney duniya mein bajaye unn kay tum ko janasheen kiya takay hum dekh len kay tum kiss tarah kaam kertay ho.
फिर हमने उनके बाद तुमको मुल्क में जानशीन बनाया; ताकि हम देखें कि तुम कैसा अमल करते हो।
And when Our verses are recited to them as clear evidences, those who do not expect the meeting with Us say, "Bring us a Qur'an other than this or change it." Say, [O Muhammad], "It is not for me to change it on my own accord. I only follow what is revealed to me. Indeed I fear, if I should disobey my Lord, the punishment of a tremendous Day."
Aur jab inn kay samney humari aayaten parhi jati hain jo bilkul saaf saaf hain to yeh log jin ko humaray pass aaney ki umeed nahi hai yun kehtay hain kay iss kay siwa koi doosra quran layiye ya iss mein kuch tarmeem ker dijiye. Aap keh dijiye kay mujhay yeh haq nahi kay mein apni taraf say iss mein tarmeem kerdoon bus mein to issi ki ittabaa keroon ga jo meray pass wahee kay zariye say phoncha hai agar mein apney rab ki na farmani keroon to mein aik baray din kay azab ka andesha rakhta hun.
और जब उनको हमारी खुली हुई आयतें पढ़कर सुनाई जाती हैं तो जिन लोगों को हमारे पास आने की उम्मीद नहीं है वे कहते हैं कि इसके सिवा कोई और क़ुरआन लाओ या इसको बदल दो, आप कह दीजिए कि मेरा यह काम नहीं कि मैं अपने जी से इसको बदल दूँ, मैं तो सिर्फ़ उस वह्य की पैरवी करता हूँ जो मेरे पास आती है, अगर मैं अपने रब की नाफ़रमानी करूँ तो मैं एक बड़े दिन के अज़ाब से डरता हूँ।
Say, "If Allah had willed, I would not have recited it to you, nor would He have made it known to you, for I had remained among you a lifetime before it. Then will you not reason?"
Aap yun keh dijiye kay agar Allah ko manzoor hota to na to mein tum ko woh parh ker sunata aur na Allah Taalaa tum ko iss ki itlaa deta kiyon kay mein iss say pehlay to aik baray hissay umar tak mein tum mein reh chuka hun. Phir kiya tum aqal nahi rakhtay.
कह दीजिए कि अगर अल्लाह चाहता तो मैं इसको तुम्हें न सुनाता और न अल्लाह इससे तुम्हें बाख़बर करता, मैं इससे पहले तुम्हारे दरमियान एक उमर बसर कर चुका हूँ फिर क्या तुम अक़्ल से काम नहीं लेते।
So who is more unjust than he who invents a lie about Allah or denies His signs? Indeed, the criminals will not succeed
So uss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo Allah per jhoot bandhay ya uss ki aayaton ko jhoota batlaye yaqeenan aisay mujrimon ko aslan falah na hogi.
इससे बढ़कर ज़ालिम और कौन होगा जो अल्लाह पर झूठा बोहतान बांधे या उसकी निशानियों को झुठलाए यक़ीनन मुजरिमों को कामयाबी हासिल नहीं होती।
And they worship other than Allah that which neither harms them nor benefits them, and they say, "These are our intercessors with Allah " Say, "Do you inform Allah of something He does not know in the heavens or on the earth?" Exalted is He and high above what they associate with Him
Aur yeh log Allah kay siwa aisi cheezon ki ibadat kertay hain jo na unn ko zarrar phoncha saken aur na unn ko nafa phoncha saken aur kehtay hain kay yeh Allah kay pass humaray sifarshi hain. Aap keh dijiye kay kiya tum Allah ko aisi cheez ki khabar detay ho jo Allah Taalaa ko maloom nahi na aasmanon mein aur na zamin mein woh pak aur bartar hai inn logon kay shirk say.
और वे अल्लाह के सिवा ऐसी चीज़ों की इबादत करते हैं जो उनको न नुक़सान पहुँचा सकें और ना नफ़ा पहुँचा सकें, और वे कहते हैं कि ये अल्लाह के यहाँ हमारे सिफ़ारशी हैं, कह दीजिए क्या तुम अल्लाह को ऐसी चीज़ों की ख़बर देते हो जो उसको आसमानों और ज़मीन में मालूम नहीं, वे पाक और बरतर है उससे जिसको वे शरीक करते हैं।
And mankind was not but one community [united in religion], but [then] they differed. And if not for a word that preceded from your Lord, it would have been judged between them [immediately] concerning that over which they differ.
Aur tamam log aik hi ummat kay thay phir unhon ney ikhtilaf peda ker liya aur agar aik baat na hoti jo aap kay rab ki taraf say pehlay thehar chuki hai to jiss cheez mein yeh log ikhtilaf ker rahey hain unn ka qataee faisla ho chuka hota.
और लोग एक ही उम्मत थे फ़िर उन्होंने इख़्तिलाफ़ किया, और अगर आपके रब की तरफ़ से एक बात पहले से न ठहर चुकी होती तो उनके दरमियान उस बात का फ़ैसला कर दिया जाता जिसमें वे इख़्तिलाफ़ कर रहे हैं।
And they say, "Why is a sign not sent down to him from his Lord?" So say, "The unseen is only for Allah [to administer], so wait; indeed, I am with you among those who wait."
Aur yeh log yun kehtay hain kay inn per inn kay rab ki janib say koi nishani kiyon nahi nazil hoti? So aap farma dijiye kay ghaib ki khabar sirf Allah ko hai so tum bhi muntazir raho mein bhi tumharay sath munatazir hun.
और वे कहते हैं कि नबी पर उसके रब की तरफ़ से कोई निशानी क्यों नहीं उतारी गई, कह दें कि ग़ैब की ख़बर तो अल्लाह ही को है, पस तुम लोग इंतिज़ार करो मैं भी तुम्हारे साथ इंतिज़ार करने वालों में से हूँ।
And when We give the people a taste of mercy after adversity has touched them, at once they conspire against Our verses. Say, " Allah is swifter in strategy." Indeed, Our messengers record that which you conspire
Aur jab hum logon ko iss amar kay baad kay inn per koi museebat parr chuki ho kissi nemat ka maza chakha detay hain to woh foran hi humari aayaton kay baray mein caalen chalney lagtay hain aap keh dijiye kay Allah chaal chalney mein tum say ziyada tez hai bil yaqeen humaray farishtay tumhari sab chaalon ko likh rahey hain.
और जब कोई तकलीफ़ पड़ने के बाद हम लोगों को अपनी रहमत का मज़ा चखाते हैं तो वे फ़ौरन हमारी निशानियों के मामले में बहाने बनाने लगते हैं, कह दीजिए कि अल्लाह अपनी तदबीरों में उनसे भी ज़्यादा तेज़ है, यक़ीनन हमारे फ़रिश्ते तुम्हारी बहाने बाज़ियों को लिख रहे हैं।
It is He who enables you to travel on land and sea until, when you are in ships and they sail with them by a good wind and they rejoice therein, there comes a storm wind and the waves come upon them from everywhere and they assume that they are surrounded, supplicating Allah , sincere to Him in religion, "If You should save us from this, we will surely be among the thankful."
Aur Allah aisa hai kay tum ko khushki aur darya mein chalata hai yahan tak kay jab tum kashti mein hotay ho aur woh kashtiyan logon ko mowafiq hawa kay zariye ley ker chalti hain aur woh log inn say khush hotay hain inn per aik jhonka sakht hawa ka aata hai aur her taraf say unn per mojen uthti chali aati hain aur woh samajhtay hain kay ( buray ) aa ghiray ( ussa waqat ) sab khalis aetiqaad ker kay Allah hi ko pukartay hain kay agar tu hum ko iss say bacha ley to hum zaroor shukar guzaar bann jayen.
वह अल्लाह ही है जो तुमको ख़ुश्की और तरी में चलाता है; चुनाँचे जब तुम कश्ती में होते हो और कश्तियाँ लोगों को लेकर मुवाफ़िक़ हवा से चल रही होती हैं और लोग उससे ख़ुश होते हैं कि यकायक एक तेज़ हवा आती है और उन पर हर जानिब से मौजें उठने लगती हैं और वे गुमान कर लेते हैं कि हम घिर गए, उस वक़्त वे अपने दीन को अल्लाह ही के लिए ख़ालिस करके उसको पुकारने लगते हैं कि अगर आपने हमें इससे नजात दे दी तो यक़ीनन हम शुक्रगुज़ार बंदे बनेंगे।
But when He saves them, at once they commit injustice upon the earth without right. O mankind, your injustice is only against yourselves, [being merely] the enjoyment of worldly life. Then to Us is your return, and We will inform you of what you used to do.
Phri jab Allah Taalaa unn ko bacha leta hai to foran hi woh zamin mein na haq sirkashi kerney lagtay hain aey logo! Yeh tumhari sirkashi tumharay liye wabaal honey wali hai dunyawi zindagi kay ( chand ) faeeday hain phir humaray pass tum ko aana hai phir hum sab tumhara kiya hua tum ko batla den gay.
फिर जब वह उनको नजात दे देता है तो वे फ़ौरन ही ज़मीन में नाहक़ सरकशी करने लगते हैं, ऐ लोगो! तुम्हारी सरकशी तुम्हारे अपने ही ख़िलाफ़ है, दुनिया की ज़िंदगी का नफ़ा उठा लो फिर तुमको हमारी तरफ़ लौट कर आना है फिर हम तुमको बता देंगे जो कुछ तुम कर रहे थे।
The example of [this] worldly life is but like rain which We have sent down from the sky that the plants of the earth absorb - [those] from which men and livestock eat - until, when the earth has taken on its adornment and is beautified and its people suppose that they have capability over it, there comes to it Our command by night or by day, and We make it as a harvest, as if it had not flourished yesterday. Thus do We explain in detail the signs for a people who give thought.
Pus duniyawi zindagi ki halat to aisi hai jaisay hum ney aasman say pani barsaya phir uss say zamin ki nabataat jin ko aadmi aur chopaye khatay hain khoob gunjaan ho ker nikli. Yahan tak kay jab woh zamin apni ronaq ka poora hissa ley chuki aur uss ki khoob zebaeesh hogaee aur uss kay malikon ney samajh liya kay abb hum iss per bilkul qabiz ho chukay to din mein ya raat mein iss per humari taraf say koi hukum ( azab ) aa para so hum ney uss ko aisa saaf ker diya kay goya kal woh mojood hi na thay hum issi tarah aayat ko saaf saaf biyan kertay hainaisay logon kay liye jo sochtay hain.
दुनिया की ज़िंदगी की मिसाल ऐसी है जैसे पानी कि हमने उसको आसमान से बरसाया तो ज़मीन का सब्ज़ा ख़ूब निकला जिसको आदमी खाते हैं और जिसको जानवर खाते हैं, यहाँ तक कि जब ज़मीन पूरी रौनक़ पर आ गई और संवर उठी और ज़मीन वालों ने गुमान कर लिया कि अब यह हमारे क़ाबू में है तो अचानक उस पर हमारा हुक्म रात को या दिन को आ गया फिर हमने उसको काट कर ढेर कर दिया गोया कल यहाँ कुछ था ही नहीं, इस तरह हम निशानियाँ खोलकर बयान करते हैं उन लोगों के लिए जो ग़ौर करते हैं।
And Allah invites to the Home of Peace and guides whom He wills to a straight path
Aur Allah Taalaa salamti kay ghar ki taraf tum ko bulata hai aur jiss ko chahata hai raah-e-raast per chalney ki tofiq deta hai.
और अल्लाह सलामती के घर की तरफ़ बुलाता है और वह जिसको चाहता है सीधा रास्ता दिखा देता है।
For them who have done good is the best [reward] and extra. No darkness will cover their faces, nor humiliation. Those are companions of Paradise; they will abide therein eternally
Jin logon ney neki ki hai unn kay wastay khoobi hai aur mazeed baran bhi aur unn kay chehron per na siayahi chahaye gi aur na zillat yeh log jannat mein rehney walay hain woh iss mein hamesha rehen gay.
जिन लोगों ने भलाई की उनके लिए भलाई है और उस पर मज़ीद भी, और उनके चेहरों पर न सियाही छाएगी और न ज़िल्लत, यही जन्नत वाले लोग हैं वे उसमें हमेशा रहेंगे।
But they who have earned [blame for] evil doings - the recompense of an evil deed is its equivalent, and humiliation will cover them. They will have from Allah no protector. It will be as if their faces are covered with pieces of the night - so dark [are they]. Those are the companions of the Fire; they will abide therein eternally.
Aur jin logon ney bad kaam kiye unn ki badi ki saza uss kay barabar milay gi aur unn ko zillat chahaye gi unn ko Allah Taalaa say koi na bacha sakay ga. Goya unn kay chehron per andheri raat kay parat kay parat lapet diye gaye hain. Yeh log dozakh mein rehney walay hain woh iss mein hamesha rahen gay.
और जिन्होंने बुराइयाँ कमाईं तो बुराई का बदला उसके बराबर है और उन पर रुसवाई छाई हुई होगी, कोई उनको अल्लाह से बचाने वाला न होगा, गोया कि उनके चेहरे अंधेरी रात के टुकड़ों से ढाँक दिए गए हैं, यही लोग दोज़ख़ वाले हैं वे उसमें हमेशा रहेंगे।
And [mention, O Muhammad], the Day We will gather them all together - then We will say to those who associated others with Allah , "[Remain in] your place, you and your 'partners.' " Then We will separate them, and their "partners" will say, "You did not used to worship us,
Aur woh din bhi qabil-e-ziker hai jiss roz hum inn sab ko jama keren gay phir mushrikeen say kahen gay kay tum aur tumharay shareek apni jagah thehro phir hum inn kay aapas mein phoot daal den gay aur inn kay woh shurka kahen gay kay tum humari ibadat nahi kertay thay.
और जिस दिन हम उन सब को जमा करेंगे फिर हम शिर्क करने वालों से कहेंगे कि ठहरो तुम भी और तुम्हारे बनाए हुए शरीक भी, फिर हम उनके दरमियान तफ़रीक़ कर देंगे और उनके शरीक कहेंगे कि तुम हमारी इबादत तो नहीं करते थे।
And sufficient is Allah as a witness between us and you that we were of your worship unaware."
So humaray tumharya darmiyan Allah kafi hai gawah kay tor per kay hum ko tumhari ibadat ki khabar bhi na thi.
पस अल्लाह हमारे और तुम्हारे दरमियान गवाही के लिए काफ़ी है, हम तुम्हारी इबादत से बिल्कुल बेख़बर थे।
There, [on that Day], every soul will be put to trial for what it did previously, and they will be returned to Allah , their master, the Truth, and lost from them is whatever they used to invent.
Uss muqam per her shaks apney aglay kiye huye kaamon ki jaanch ker ley ga aur yeh log Allah ki taraf jo inn ka malik-e-haqeeqi hai lotaye jayen gay aur jo kuch jhoot bandha kertay thay sab unn say ghaeeb hojayen gay.
उस वक़्त हर शख़्स अपने उस अमल से दो-चार होगा जो उसने किया था और लोग अपने हक़ीक़ी मालिक अल्लाह की तरफ़ लौटाए जाएंगे और जो झूठ उन्होंने घड़े थे वे सब उनसे जाते रहेंगे।
Say, "Who provides for you from the heaven and the earth? Or who controls hearing and sight and who brings the living out of the dead and brings the dead out of the living and who arranges [every] matter?" They will say, " Allah ," so say, "Then will you not fear Him?"
Aap kahiye kay woh kaun hai jo tum ko aasman aur zamin say rizq phonchata hai ya woh kaun hai jo kanon aur aankhon per poora ikhtiyar rakhta hai aur woh kaun hai jo zinda ko murda say nikalta hai aur murda ko zinda say nikalta hai aur woh kaun hai jo tamam kaamon ki tadbeeren kerta hai? Zaroor woh yehi kahen gay kay “Allah” to unn say kahiye phir kiyon nahi dartay.
कह दीजिए कि कौन तुमको आसमान और ज़मीन से रोज़ी देता है या कौन है जो कान पर और आँखों पर इख़्तियार रखता है और कौन बेजान में से जानदार को और जानदार में से बेजान को निकालता है और कौन मामलात का इंतिज़ाम कर रहा है, वे कहेंगे कि अल्लाह, कह दीजिए कि फिर क्या तुम डरते नहीं।
For that is Allah , your Lord, the Truth. And what can be beyond truth except error? So how are you averted?
So yeh hai Allah Taalaa jo tumahra rab haqeeqi hai. Phir haq kay baad aur kiya reh gaya ba-juz gumrahi kay phir kahan phiray jatay ho.
पस वही अल्लाह तुम्हारा हक़ीक़ी परवरदिगार है, हक़ के बाद भटकने के सिवा और क्या है? तुम किधर फिरे जाते हो।
Thus the word of your Lord has come into effect upon those who defiantly disobeyed - that they will not believe.
Issi tarah aap kay rab ki yeh baat kay yeh eman na layen gay tamam fasiq logon kay haq mein sabit ho chuki hai.
इसी तरह आपके रब की बात सरकशी करने वालों के हक़ में पूरी हो चुकी है कि वे ईमान न लाएंगे।
Say, "Are there of your 'partners' any who begins creation and then repeats it?" Say, " Allah begins creation and then repeats it, so how are you deluded?"
Aap yun kahiye kay kiya tumharay shurka mein koi aisa hai jo pehli baar bhi peda keray phir doobara bhi peda keray? Aap keh dijiye kay Allah hi pehli baar peda kerta hai phir wohi doobara bhi peda keray ga. Phir tum kahan phiray jatay ho?
कह दें कि क्या तुम्हारे ठहराए हुए शरीकों में कोई है जो पहली बार पैदा करता हो फिर वह दोबारा भी पैदा करे? कह दें कि अल्लाह ही पहली बार पैदा करता है फिर वही दोबारा भी पैदा करेगा फिर तुम कहाँ भटके जाते हो।
Say, "Are there of your 'partners' any who guides to the truth?" Say, " Allah guides to the truth. So is He who guides to the truth more worthy to be followed or he who guides not unless he is guided? Then what is [wrong] with you - how do you judge?"
Aap kahiye kay tumharay shurka mein koi aisa hai kay haq ka raasta batata ho? Aap keh dijiye kay Allah hi haq ka raasta batata hai. To phir aaya jo shaks haq ka raasta batata ho woh ziyada ittabaa kay laeeq hai ya woh shaks jiss ko baghair bataye khud hi raasta na soojhay? Pus tum ko kiya hogaya hai tum kaisay faislay kertay ho.
कह दें कि क्या तुम्हारे शुरका में कोई है जो हक़ की तरफ़ रहनुमाई करता हो, कह दें कि अल्लाह ही हक़ की तरफ़ रहनुमाई करता है, फिर जो हक़ की तरफ़ रहनुमाई करता है वह पैरवी किए जाने का ज़्यादा मुस्तहिक़ है या वह जिसको ख़ुद ही रास्ता न मिलता हो बल्कि उसे रास्ता बताया जाए, तुमको क्या हो गया है कि तुम कैसा फ़ैसला करते हो।
And most of them follow not except assumption. Indeed, assumption avails not against the truth at all. Indeed, Allah is Knowing of what they do.
Aur inn mein say aksar log sirf gumaan per chal rahey hain. Yaqeenan gumaan haq ( ki maarfat ) mein kuch bhi kaam nahi dey sakta yeh jo kuch ker rahey hain yaqeenan Allah ko sab khabar hai.
उनमें से अकसर सिर्फ़ गुमान की पैरवी कर रहे हैं, और गुमान हक़ बात में कुछ भी काम नहीं देता, बेशक अल्लाह को ख़ूब मालूम है जो कुछ वे करते हैं।
And it was not [possible] for this Qur'an to be produced by other than Allah , but [it is] a confirmation of what was before it and a detailed explanation of the [former] Scripture, about which there is no doubt, from the Lord of the worlds.
Aur yeh Quran aisa nahi hai kay Allah ( ki wahee ) kay baghair ( apney hi say ) gharr liya gaya ho . bulkay yeh to ( unn kitabon ki ) tasdeeq kerney wala hai jo iss kay qabal nazil ho chuki hain aur kitab ( ehkaam e zarooriya ) ki tafseel biyan kerney wala hai iss mein koi baat shak ki nahi kay rabb ul aalameen ki taraf say hai .
और यह क़ुरआन ऐसा नहीं कि अल्लाह के सिवा कोई उसको बना ले; बल्कि यह तस्दीक़ है उन पेशीनगोईयों की जो इससे पहले मौजूद हैं और किताब की तफ़सील है, इसमें कोई शक नहीं कि वह तमाम जहानों के परवरदिगार की तरफ़ से है।
Or do they say [about the Prophet], "He invented it?" Say, "Then bring forth a surah like it and call upon [for assistance] whomever you can besides Allah , if you should be truthful."
Kiya yeh log yun kehtay hain kay aap ney iss ko gharr liya hai? Aap keh dijiye kay phir tum iss ki misil aik hi surat lao aur jin jin ghair Allah ko bula sako bula lo agar sachay ho.
क्या लोग कहते हैं कि इस शख़्स ने उसको घड़ा है, कह दीजिए कि तुम इसके मानिंद कोई एक ही सूरत ले आओ और अल्लाह के सिवा तुम जिसको बुला सको बुला लो, अगर तुम सच्चे हो।
Rather, they have denied that which they encompass not in knowledge and whose interpretation has not yet come to them. Thus did those before them deny. Then observe how was the end of the wrongdoers.
Bulkay aisi cheezon ki takzeeb kerney lagay jiss ko apney ehaat-e-ilmi mein nahi laye aur hanooz inn ko iss ka akheer nateeja nahi mila. Jo log inn say pehlay huye hain issi tarah unhon ney bhi jhutlaya tha so dekh lijiye unn zalimon ka anjam kaisa hua?
बल्कि ये लोग उस चीज़ को झुठला रहे हैं जो उनके इल्म के इहाते में नहीं आई और जिसकी हक़ीक़त अभी उन पर नहीं खुली, इसी तरह उन लोगों ने भी झुठलाया जो उनसे पहले गुज़रे हैं, पस देखो कि ज़ालिमों का अंजाम क्या हुआ।
And of them are those who believe in it, and of them are those who do not believe in it. And your Lord is most knowing of the corrupters
Aur inn mein say baaz aisay hain jo iss per eman ley aayen gay aur baaz aisay hain kay iss per eman na layen gay. Aur aap ka rab mufisdon ko khoob janta hai.
और उनमें से वे भी हैं जो क़ुरआन पर ईमान ले आएंगे और वे भी हैं जो उस पर ईमान नहीं लाएंगे, और आपका रब फ़साद मचाने वालों को ख़ूब जानता है।
And if they deny you, [O Muhammad], then say, "For me are my deeds, and for you are your deeds. You are disassociated from what I do, and I am disassociated from what you do."
Aur agar aap ko jhutlatay rahen to yeh keh dijiye kay meray liye mera amal aur tumhara liye tumhara amal tum meray amal say bari ho aur mein tumharay amal say bari hun.
और अगर वे आपको झुठलाते हैं तो कह दीजिए कि मेरा अमल मेरे लिए है और तुम्हारा अमल तुम्हारे लिए, तुम उससे बरी हो जो मैं करता हूँ और मैं भी उससे बरी हूँ जो तुम कर रहे हो।
And among them are those who listen to you. But can you cause the deaf to hear, although they will not use reason?
Aur inn mein say baaz aisay hain jo aap ki taraf kaan lagaye bethay hain. Kiya aap behron ko sunatay hain go unn ko samajh bhi na ho?
और उनमें बअज़ ऐसे भी हैं जो आपकी तरफ़ कान लगाते हैं, तो क्या आप बहरों को सुनाओगे जबकि वे समझ से काम न ले रहे हों?
And among them are those who look at you. But can you guide the blind although they will not [attempt to] see?
Aur inn mein baaz aisay hain jo aap ko takk rahey hain. Phir kiya aap andhon ko raasta dikhlana chahatay hain go inn ko baseerat bhi na ho?
और उनमें से कुछ ऐसे भी हैं जो आपकी तरफ़ देखते हैं, तो क्या आप अंधों को रास्ता दिखाओगे अगरचे वे देख न रहे हों।
Indeed, Allah does not wrong the people at all, but it is the people who are wronging themselves.
Yeh yaqeeni baat hai kay Allah logon per kuch zulm nahi kerta lekin log khud hi apni janon per zulm kertay hain.
अल्लाह लोगों पर कुछ भी ज़ुल्म नहीं करता मगर लोग ख़ुद ही अपनी जानों पर ज़ुल्म करते हैं।
And on the Day when He will gather them, [it will be] as if they had not remained [in the world] but an hour of the day, [and] they will know each other. Those will have lost who denied the meeting with Allah and were not guided
Aur inn ko woh din yaad dulaiye jiss mein Allah inn ko ( apney huzoor ) jama keray ga ( to inn ko aisa mehsoos hoga ) kay goya woh ( duniya mein ) saray din ki aik aadh ghari rahey hongay aur aapas mein aik doosray ko pehchanney ko thehray hon. Waqaee khasaray mein paray woh log jinhon ney Allah kay pass janey ko jhutlaya aur woh hudayat paney walay na thay.
और जिस दिन अल्लाह उनको जमा करेगा, गोया कि वे बस दिन की घड़ी दुनिया में थे, वे एक-दूसरे को पहचानेंगे, बेशक सख़्त घाटे में रहे वे लोग जिन्होंने अल्लाह से मिलने को झुठलाया और वे राहे-रास्त पर न आए।
And whether We show you some of what We promise them, [O Muhammad], or We take you in death, to Us is their return; then, [either way], Allah is a witness concerning what they are doing
Aur jiss ka inn say hum wada ker rahey hain uss mein say kuch thora sa agar hum aap ko dikhla den ya ( unn kay zahoor say pehlay ) hum aap ko wafat dey den so humaray pass to inn ko aana hi hai. Phir Allah inn kay sab afaal per gawah hai.
हम तुमको उसका कोई हिस्सा दिखा दें जिसका हम उनसे वादा कर रहे हैं या तुम्हें वफ़ात दे दें बहरहाल उनको हमारी ही तरफ़ लौटना है, फिर अल्लाह गवाह है उस पर जो कुछ वे कर रहे हैं।
And for every nation is a messenger. So when their messenger comes, it will be judged between them in justice, and they will not be wronged
Aur her ummat kay liye aik rasool hai so jab unn kay woh rasool aa chukta hai unn ka faisla insaf kay sath kiya jata hai aur unn per zulm nahi kiya jata.
और हर उम्मत के लिए एक रसूल है, फिर जब उनका रसूल आ जाता है तो उनके दरमियान इंसाफ़ के साथ फ़ैसला कर दिया जाता है और उन पर कोई जु़ल्म नहीं होता।
And they say, "When is [the fulfillment of] this promise, if you should be truthful?"
Aur yeh log kehtay hain kay yeh wada kab hoga? Agar tum sachay ho.
और वे कहते हैं कि यह वादा कब पूरा होगा अगर तुम सच्चे हो।
Say, "I possess not for myself any harm or benefit except what Allah should will. For every nation is a [specified] term. When their time has come, then they will not remain behind an hour, nor will they precede [it]."
Aap farma dijiye kay mein apni zaat kay liye to kissi nafay ka aur kissi zarrar ka ikhtiyar rakhta hi nahi magar jitna Allah ko manzoor ho. Her ummat kay liye aik moyyen waqt hai jab unn ka woh moyyen waqt aa phonchta hai to aik ghari na peechay hatt saktay hain aur na aagay sirak saktay hain.
कह दीजिए कि मैं अपने वास्ते भी बुरे और भले का मालिक नहीं मगर जो अल्लाह चाहे, हर उम्मत के लिए एक वक़्त है, जब उनका वक़्त आ जाता है तो फिर न वह एक घड़ी पीछे होते हैं और न आगे।