He created the heavens without pillars that you see and has cast into the earth firmly set mountains, lest it should shift with you, and dispersed therein from every creature. And We sent down rain from the sky and made grow therein [plants] of every noble kind.
Ussi ney aasmano ko baghair sutoon kay peda kiya hai tum enhen dekh rahey ho aur iss ney zamin mein paharon ko daal diya takay woh tumhen junbish na dey sakay aur her tarah kay jandaar zamin mein phela diyey. Aur hum ney aasman say pani barsa ker zamin mein her qisam kay nafees joray uga diyey.
उस ने आकाशों को पैदा किया, (जो थमें हुए हैं) बिना ऐसे स्तम्भों के जो तुम्हें दिखाई दें। और उस ने धरती में पहाड़ डाल दिए कि ऐसा न हो कि तुम्हें लेकर डाँवाडोल हो जाए और उस ने उस में हर प्रकार के जानवर फैला दिए। और हम ने ही आकाश से पानी उतारा, फिर उस में हर प्रकार की उत्तम चीज़े उगाई
[And Luqman said], "O my son, indeed if wrong should be the weight of a mustard seed and should be within a rock or [anywhere] in the heavens or in the earth, Allah will bring it forth. Indeed, Allah is Subtle and Acquainted.
Piayaray betay agar koi cheez raaee kay danay kay barabar ho phir woh ( bhi ) khua kissi chattaan mein ho ya aasmano mein ho ya zamin mein ho ussay Allah Taalaa zaroor laye ga Allah Taalaa boht bareek been aur khabrdaar hai.
"ऐ मेरे बेटे! इसमें सन्देह नहीं कि यदि वह राई के दाने के बराबर भी हो, फिर वह किसी चट्टान के बीच हो या आकाशों में हो या धरती में हो, अल्लाह उसे ला उपस्थित करेगा। निस्संदेह अल्लाह अत्यन्त सूक्ष्मदर्शी, ख़बर रखने वाला है।
Do you not see that Allah has made subject to you whatever is in the heavens and whatever is in the earth and amply bestowed upon you His favors, [both] apparent and unapparent? But of the people is he who disputes about Allah without knowledge or guidance or an enlightening Book [from Him].
Kiya tum nahi dekhtay kay Allah Taalaa ney zamin-o-aasman ki her cheez ko tumharay kaam mein laga rakha hai aur tumhen apni zahiri-o-baatni nematen bharpoor dey rakhi hain baaz log Allah kay baray mein baghair ilm kay aur baghair hidayat kay aur baghair roshan kitab kay jhagra kertay hain.
क्या तुम ने देखा नहीं कि अल्लाह ने, जो कुछ आकाशों में और जो कुछ धरती में है, सबको तुम्हारे काम में लगा रखा है और उस ने तुम पर अपनी प्रकट और अप्रकट अनुकम्पाएँ पूर्ण कर दी हैं? इस पर भी कुछ लोग ऐसे हैं जो अल्लाह के विषय में बिना किसी ज्ञान, बिना किसी मार्गदर्शन और बिना किसी प्रकाशमान किताब के झगड़ते हैं
And if you asked them, "Who created the heavens and earth?" they would surely say, " Allah ." Say, "[All] praise is [due] to Allah "; but most of them do not know.
Agar aap inn say daryaft keren kay aasman-o-zamin ka khaliq kaun hai? To yeh zaroor jawab den gay kay Allah to keh dijiye kay sab tareef kay laeeq Allah hi hai lekin inn mein kay aksar bey ilm hain.
यदि तुम उन से पूछो कि "आकाशों और धरती को किसने पैदा किया?" तो वे अवश्य कहेंगे कि "अल्लाह ने।" कहो, "प्रशंसा भी अल्लाह के लिए है।" वरन उन में से अधिकांश जानते नहीं
To Allah belongs whatever is in the heavens and earth. Indeed, Allah is the Free of need, the Praiseworthy.
Aasmano mein aur zamin mein jo kuch hai woh sab Allah hi ka hai yaqeenan Allah Taalaa boht bara bey niyaz aur saza waar hamd-o-sana hai.
आकाशों और धरती में जो कुछ है अल्लाह ही का है। निस्संदेह अल्लाह ही निस्पृह, स्वतः प्रशंसित है
It is Allah who created the heavens and the earth and whatever is between them in six days; then He established Himself above the Throne. You have not besides Him any protector or any intercessor; so will you not be reminded?
Allah Taalaa woh hai jiss ney aasmano-o- zamin ko aur jo kuch inn kay darmiyan hai sab ko cheh din mein pedah ker diya phir arsh per qaeem hua tumharay liye uss kay siwa koi madadgar aur sifarishi nahi. Kiya phir bhi tum naseehat hasil nahi kertay.
अल्लाह ही है जिस ने आकाशों और धरती को और जो कुछ दोनों के बीच है छह दिनों में पैदा किया। फिर सिंहासन पर विराजमान हुआ। उस से हटकर न तो तुम्हारा कोई संरक्षक मित्र है और न उस के मुक़ाबले में कोई सिफ़ारिस करने वाला। फिर क्या तुम होश में न आओगे?
Indeed, we offered the Trust to the heavens and the earth and the mountains, and they declined to bear it and feared it; but man [undertook to] bear it. Indeed, he was unjust and ignorant.
Hum ney apni amanat ko aasmano per zamin per aur paharon per paish kiya pus sab ney iss ko uthaney say inkar ker diya aur iss say darr gaye ( magar ) insan ney issay utha liya woh bara hi zalim jahil hai.
हम ने अमानत को आकाशों और धरती और पर्वतों के समक्ष प्रस्तुत किया, किन्तु उन्होंने उस के उठाने से इनकार कर दिया और उस से डर गए। लेकिन मनुष्य ने उसे उठा लिया। निश्चय ही वह बड़ी ज़ालिम, आवेश के वशीभूत हो जाने वाला है
[All] praise is [due] to Allah , to whom belongs whatever is in the heavens and whatever is in the earth, and to Him belongs [all] praise in the Hereafter. And He is the Wise, the Acquainted.
Tamam tareefen uss Allah kay liye sazawaar hain jiss ki milkiyat mein woh sab kuch hai jo aasmano aur zamin mein hai aakhirat mein bhi tareef ussi kay liye hai woh ( bari ) hikmaton wala aur ( poora ) khabardaar hai.
प्रशंसा अल्लाह ही के लिए है जिस का वह सब कुछ है जो आकाशों और धरती में है। और आख़िरत में भी उसी के लिए प्रशंसा है। और वही तत्वदर्शी, ख़बर रखने वाला है
But those who disbelieve say, "The Hour will not come to us." Say, "Yes, by my Lord, it will surely come to you. [ Allah is] the Knower of the unseen." Not absent from Him is an atom's weight within the heavens or within the earth or [what is] smaller than that or greater, except that it is in a clear register -
Kuffaar kehtay hain hum per qayamat nahi aaye gi. Aap keh dijiyey! Kay mujhay meray rab ki qasam! Jo aalim-ul-ghaib hai kay woh yaqeenan tum per aaye gi Allah Taalaa say aik zarray kay barabar ki cheez bhi posheedah nahi na aasmano mein aur na zamin mein bulkay iss say bhi choti aur bari her cheez khuli kitab mein mojood hai.
जिन लोगों ने इनकार किया उन का कहना है कि "हम पर क़ियामत की घड़ी नहीं आएगी।" कह दो, "क्यों नहीं, मेरे परोक्ष ज्ञाता रब की क़सम! वह तो तुम पर आकर रहेगी - उस से कणभर भी कोई चीज़ न तो आकाशों में ओझल है और न धरती में, और न इससे छोटी कोई चीज़ और न बड़ी। किन्तु वह एक स्पष्ट किताब में अंकित है। -
Say, [O Muhammad], "Invoke those you claim [as deities] besides Allah ." They do not possess an atom's weight [of ability] in the heavens or on the earth, and they do not have therein any partnership [with Him], nor is there for Him from among them any assistant.
Keh dijiyey! Kay Allah ka siwa jin jin ka tumhen gumaan hai ( sab ) ko pukar lo na unn mein say kissi ko aasmano aur zamino mein say aik zarray kay ikhtiyar hai na unn ka inn mein koi hissa hai na unn mein say koi Allah ka madadgar hai.
कह दो, "अल्लाह को छोड़कर जिनका तुम्हें (उपास्य होने का) दावा है, उन्हें पुकार कर देखो। वे न अल्लाह में कणभर चीज़ के मालिक हैं और न धरती में और न उन दोनों में उन का कोई साझी है और न उन में से कोई उस का सहायक है।"
Say, "Who provides for you from the heavens and the earth?" Say, " Allah . And indeed, we or you are either upon guidance or in clear error."
Poochiye kay tumhen aasmano aur zamin say rozi kaun phonchata hai? ( khud ) jawab dijiye! Kay Allah Taalaa. ( suno ) hum ya tum. Ya to yaqeenan hodayat per hain ya khulli gumrahi mein hain?
कहो, "कौन तुम्हें आकाशों और धरती में रोज़ी देता है?" कहो, "अल्लाह!" अब अवश्य ही हम है या तुम ही हो मार्ग पर, या खुली गुमराही में
[All] praise is [due] to Allah , Creator of the heavens and the earth, [who] made the angels messengers having wings, two or three or four. He increases in creation what He wills. Indeed, Allah is over all things competent.
Uss Allah kay liye tamam tareefen sazawaar hain jo ( ibtida’an ) aasmano aur zamin ka peda kerney wala aur do do teen teen char char paron walay farsihton ko apna payghumber ( qasid ) bananey wala hai makhlooq mein jo chahaye ziyadti kerta hai Allah Taalaa yaqeenan her cheez per qadir hai.
सब प्रशंसा अल्लाह के लिए है, जो आकाशों और धरती का पैदा करने वाला है। दो-दो, तीन-तीन और चार-चार फ़रिश्तों को बाज़ुओं वाले सन्देशवाहक बनाकर नियुक्त करता है। वह संरचना में जैसी चाहता है, अभिवृद्धि करता है। निश्चय ही अल्लाह को हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
Indeed, Allah is Knower of the unseen [aspects] of the heavens and earth. Indeed, He is Knowing of that within the breasts.
Be-shak Allah Taalaa jannay wala hai aasmano aur zamin ki posheedah cheezon ka be-shak wohi jannay wala hai seenon ki baaton ka.
निस्संदेह अल्लाह आकाशों और धरती की छिपी बात को जानता है। वह तो सीनो तक की बात जानता है
Say, "Have you considered your 'partners' whom you invoke besides Allah ? Show me what they have created from the earth, or have they partnership [with Him] in the heavens? Or have We given them a book so they are [standing] on evidence therefrom? [No], rather, the wrongdoers do not promise each other except delusion."
Aap kahiye! Kay tum apnay qarardaad shareekon ka haal to batlao jin ko tum Allah kay siwa pooja kerta ho. Yani mujh ko yeh batlao kay unhon ney zamin mein say konsa ( juzzv ) banaya hai ya unn ka aasmano mein kuch saajha hai ya hum ney unn ko koi kitab di hai kay yeh uss ki daleel per qaeem hon bulkay yeh zalim aik doosray say niray dhokay ki baaton ka wada kertay aatay hain.
कहो, "क्या तुम ने अपने ठहराए हुए साझीदारो का अवलोकन भी किया, जिन्हें तुम अल्लाह को छोड़कर पुकारते हो? मुझे दिखाओ उन्होंने धरती का कौन-सा भाग पैदा किया है या आकाशों में उन की कोई भागीदारी है?" या हम ने उन्हें कोई किताब दी है कि उस का कोई स्पष्ट प्रमाण उन के पक्ष में हो? नहीं, बल्कि वे ज़ालिम आपस में एक-दूसरे से केवल धोखे का वादा कर रहे हैं
Indeed, Allah holds the heavens and the earth, lest they cease. And if they should cease, no one could hold them [in place] after Him. Indeed, He is Forbearing and Forgiving.
Yaqeeni baat hai kay Allah Taalaa aasmano aur zamin ko thamay huyey hai kay woh tal na jayen aur agar woh tal jayen to phir Allah kay siwa aur koi inn ko thaam bhi nahi sakta. Woh haleem ghafoor hai.
अल्लाह ही आकाशों और धरती को थामे हुए है कि वे टल न जाएँ और यदि वे टल जाएँ तो उस के पश्चात कोई भी नहीं जो उन्हें थाम सके। निस्संदेह, वह बहुत सहनशील, क्षमा करने वाला है
Have they not traveled through the land and observed how was the end of those before them? And they were greater than them in power. But Allah is not to be caused failure by anything in the heavens or on the earth. Indeed, He is ever Knowing and Competent.
Aur kiya yeh log zamin mein chalay phiray nahi jiss mein dekhtay bhaaltay kay jo log inn say pehlay ho guzray hain unn ka anjam kiya hua? Halankay woh qooat mein inn say barhay huyey thay aur Allah aisa nahi hai kay koi cheez uss ko hara day na aasmano mein aur na zamin mein woh baray ilm wala bari qudrat wala hai.
क्या वे धरती में चले-फिरे नहीं कि देखते कि उन लोगों का कैसा परिणाम हुआ है जो उन से पहले गुज़रे हैं? हालाँकि वे शक्ति में उन से कही बढ़-चढ़कर थे। अल्लाह ऐसा नहीं कि आकाशों में कोई चीज़ उसे मात कर सके और न धरती ही में। निस्संदेह वह सर्वज्ञ, सामर्थ्यमान है
Is not He who created the heavens and the earth Able to create the likes of them? Yes, [it is so]; and He is the Knowing Creator.
Jiss ney aasman aur zamin ko peda kiya hai kiya woh inn jeson kay peda kerney per qadir nahi be-shak qadir hai. Aur wohi to peda kerney wala dana ( beena ) hai.
क्या जिस ने आकाशों और धरती को पैदा किया उसे इस की सामर्थ्य नहीं कि उन जैसों को पैदा कर दे? क्यों नहीं, जबकि वह महान स्रष्टा , अत्यन्त ज्ञानवान है
Lord of the heavens and the earth and that between them and Lord of the sunrises.
Aasmano aur zamin aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon aur mashriqon ka rab wohi hai.
वह आकाशों और धरती और जो कुछ उन के बीच है सबका रब है और पूर्व दिशाओं का भी रब है
Or is theirs the dominion of the heavens and the earth and what is between them? Then let them ascend through [any] ways of access.
Ya kiya aasman-o-zamin aur inn kay damiyan ki her cheez ki badshaat inn hi ki hai to phir yeh rasiyan taan ker charh jayen.
या, आकाशों और धरती और जो कुछ उन के बीच है, उन सबकी बादशाही उन्हीं की है? फिर तो चाहिए कि वे रस्सियों द्वारा ऊपर चढ़ जाए
Lord of the heavens and the earth and whatever is between them, the Exalted in Might, the Perpetual Forgiver."
Jo perwerdigar hai aasmano ka aur zamin ka aur jo kuch inn kay darmiyan hai woh zabardast aur bara bakhsney wala hai.
आकाशों और धरती का रब है, और जो कुछ इन दोनों के बीच है उस का भी, अत्यन्त प्रभुत्वशाली, बड़ा क्षमाशील।"
He created the heavens and earth in truth. He wraps the night over the day and wraps the day over the night and has subjected the sun and the moon, each running [its course] for a specified term. Unquestionably, He is the Exalted in Might, the Perpetual Forgiver.
Nihayat achi tadbeer say uss ney aasmano aur zamin ko banaya woh raat ko din per aur din ko raat per lapet deta hai aur uss ney sooraj chaand ko kaam per laga rakha hai. Her aik muqarrara muddat tak chal raha hai yaqeen mano kay wohi zabardast aur gunahon ka bakhshney wala hai.
उस ने आकाशों और धरती को सत्य के साथ पैदा किया। रात को दिन पर लपेटता है और दिन को रात पर लपेटता है। और उस ने सूर्य और चन्द्रमा को वशीभुत कर रखा है। प्रत्येक एक नियत समय को पूरा करने के लिए चल रहा है। जान रखो, वही प्रभुत्वशाली, बड़ा क्षमाशील है
And if you asked them, "Who created the heavens and the earth?" they would surely say, " Allah ." Say, "Then have you considered what you invoke besides Allah ? If Allah intended me harm, are they removers of His harm; or if He intended me mercy, are they withholders of His mercy?" Say, "Sufficient for me is Allah ; upon Him [alone] rely the [wise] reliers."
Agar aap inn say poochen kay aasman-o-zamin ko kiss ney peda kiya hai? To yaqeenan woh yehi jawab den gay kay Allah ney. Aap inn kahiyey acha yeh to batao jinhen tum Allah kay siwa pukartay ho agar Allah Taalaa mujhay nuksan phonchana chahye to kiya yeh uss kay nuksan ko hata saktay hain? Ya Allah Taalaa mujh per meharbani ka iradah keray to kiya yeh uss ki meharbani ko rok saktay hain? Aap keh den kay Allah mujhay kafi hai tawakkal kerney walay ussi per tawakkal kertay hain.
यदि तुम उन से पूछो कि "आकाशों और धरती को किसने पैदा किया?" को वे अवश्य कहेंगे, "अल्लाह ने।" कहो, "तुम्हारा क्या विचार है? यदि अल्लाह मुझे कोई तकलीफ़ पहुँचानी चाहे तो क्या अल्लाह से हटकर जिन को तुम पुकारते हो वे उस की पहुँचाई हुई तकलीफ़ को दूर कर सकते हैं? या वह मुझ पर कोई दयालुता दर्शानी चाहे तो क्या वे उस की दयालुता को रोक सकते हैं?" कह दो, "मेरे लिए अल्लाह काफ़ी है। भरोसा करने वाले उसी पर भरोसा करते हैं।"
Say, "To Allah belongs [the right to allow] intercession entirely. To Him belongs the dominion of the heavens and the earth. Then to Him you will be returned."
Keh dijiye! Kay tamam sifarish ka mukhtar Allah hi hai. Tamam aasmano aur zamin ka raaj ussi kay liye hai tum sab ussi k taraf pheray jao gay.
कहो, "सिफ़ारिश तो सारी की सारी अल्लाह के अधिकार में है। आकाशों और धरती की बादशाही उसी की है। फिर उसी की ओर तुम लौटाए जाओगे।"
Say, "O Allah , Creator of the heavens and the earth, Knower of the unseen and the witnessed, You will judge between your servants concerning that over which they used to differ."
Aap keh dijiye! Kay aey Allah ! Aasmano aur zamin kay peda kerney walay chupay khulay ka jannay walay tu hi apnay bandon mein inn umoor ka faisla farmaye ga jin mein who ulajh rahey thay.
कहो, "ऐ अल्लाह, आकाशो और धरती को पैदा करने वाले; परोक्ष और प्रत्यक्ष के जानने वाले! तू ही अपने बन्दों के बीच उस चीज़ का फ़ैसला करेगा, जिस में वे विभेद कर रहे हैं।"
To Him belong the keys of the heavens and the earth. And they who disbelieve in the verses of Allah - it is those who are the losers.
Aasmano aur zamin ki kunjiyon ka malik wohi hai jin jin logon ney Allah ki aayaton ka inkar kiya wohi khasarah paney walay hain.
उसी के पास आकाशों और धरती की कुँजियाँ हैं। और जिन लोगों ने हमारी आयतों का इनकार किया, वही हैं जो घाटे में हैं
And the Horn will be blown, and whoever is in the heavens and whoever is on the earth will fall dead except whom Allah wills. Then it will be blown again, and at once they will be standing, looking on.
Aur soor phoonk diya jayega pus aasmano aur zamin walay sab bey-hosh ho ker gir paren gay magar jissay Allah chahyey phit doobara soor phoonka jayega pus woh aik dum kharay hoker dekhney lag jayen gay.
और सूर (नरसिंघा) फूँका जाएगा, तो जो कोई आकाशों और जो कोई धरती में होगा वह अचेत हो जाएगा सिवाय उस के जिस को अल्लाह चाहे। फिर उसे दूबारा फूँका जाएगा, तो क्या देखेंगे कि सहसा वे खड़े देख रहे हैं
The ways into the heavens - so that I may look at the deity of Moses; but indeed, I think he is a liar." And thus was made attractive to Pharaoh the evil of his deed, and he was averted from the [right] way. And the plan of Pharaoh was not except in ruin.
( unn ) darwazon tak phonch jaon aur musa kay mabood ko jhaank loon aur be-shak mein samjhta hun woh jhoota hai aur issi tarah firaon ki bad-kirdariyan ussay bhali dikhaee gaeen aur raah say rok diya gaya aur firaon ki ( her ) heela saazi tabahee mein hi rahee.
आकाशों के साधनों (और क्षत्रों) तक। फिर मूसा के पूज्य को झाँककर देखूँ। मैं तो उसे झूठा ही समझता हूँ।" इस प्रकार फ़िरऔन के लिए उस का दुष्कर्म सुहाना बना दिया गया और उसे मार्ग से रोक दिया गया। फ़िरऔन की चाल तो बस तबाही के सिलसिले में रही
The creation of the heavens and earth is greater than the creation of mankind, but most of the people do not know.
Aasmano-o-zamin ki pedaeesh yaqeenan insan ki pedaeesh say boht bara kaam hai lekin ( yeh aur baat hai kay ) aksar log be-ilm hain.
निस्संदेह, आकाशों और धरती को पैदा करना लोगों को पैदा करने की अपेक्षा अधिक बड़ा (कठिन) काम है। किन्तु अधिकतर लोग नहीं जानते
To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is in the earth, and He is the Most High, the Most Great.
Aasmano ki ( tamam ) cheezen aur jo kuch zamin mein hai sab ussi ka hai woh bartar aur azeem-us-shan hai.
आकाशों और धरती में जो कुछ है उसी का है और वह सर्वोच्च महिमावान है
[He is] Creator of the heavens and the earth. He has made for you from yourselves, mates, and among the cattle, mates; He multiplies you thereby. There is nothing like unto Him, and He is the Hearing, the Seeing.
Woh aasmano aur zamin ka peda kerney wala hai uss ney tumhray liye tumhari jins kay joray bana diyey hain. Aur chopayon kay joray banaye hain tumhen woh iss mein phela raha hai uss jesi koi cheez nahi woh sunnay aur dekhney wala hai.
वह आकाशों और धरती का पैदा करने वाला है। उस ने तुम्हारे लिए तुम्हारी अपनी सहजाति से जोड़े बनाए और चौपायों के जोड़े भी। फैला रहा है वह तुम को अपने में। उस के सदृश कोई चीज़ नहीं। वही सबकुछ सुनता, देखता है
To Him belong the keys of the heavens and the earth. He extends provision for whom He wills and restricts [it]. Indeed He is, of all things, Knowing.
Aasmano aur zamin ki kunjiyan ussi ki hain jiss ki chahye rozi kushada ker day aur tang ker day yaqeenan woh her cheez jannay wala hai.
आकाशों और धरती की कुंजियाँ उसी के पास हैं। वह जिस के लिए चाहता है रोज़ी कुशादा कर देता है और जिस के लिए चाहता है नपी-तुली कर देता है। निस्संदेह उसे हर चीज़ का ज्ञान है
And of his signs is the creation of the heavens and earth and what He has dispersed throughout them of creatures. And He, for gathering them when He wills, is competent.
Aur uss ki nishaniyon mein say aasmano aur zamin ki pedaeesh hai aur inn mein jandaron ka phelana hai. Woh iss per bhi qadir hai kay jab chahye unhen jama ker day.
और उस की निशानियों में से है आकाशों और धरती को पैदा करना, और वे जीवधारी भी जो उस ने इन दोनों में फैला रखे हैं। वह जब चाहे उन्हें इकट्ठा करने की सामर्थ्य भी रखता है
To Allah belongs the dominion of the heavens and the earth; He creates what he wills. He gives to whom He wills female [children], and He gives to whom He wills males.
Aasmano ki aur zamin ki saltanat Allah Taalaa hi kay liye hai woh jo chahata hai peda kerta hai jiss ko chahata hai betyian deta hai aur jissay chahata hai betay deta hai.
अल्लाह ही की है आकाशों और धरती की बादशाही। वह जो चाहता है पैदा करता है, जिसे चाहता है लड़कियाँ देता है और जिसे चाहता है लड़के देता है।
The path of Allah , to whom belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. Unquestionably, to Allah do [all] matters evolve.
Uss Allah ki raah ki jiss ki milkiyat mein aasmano aur zamin ki her cheez hai. Aagah raho sab kaam Allah Taalaa hi ki taraf lot-tay hain.
उस अल्लाह के मार्ग की ओर जिस का वह सब कुछ है, जो आकाशों में है और जो धरती में है। सुन लो, सारे मामले अन्ततः अल्लाह ही की ओर पलटते हैं
And if you should ask them, "Who has created the heavens and the earth?" they would surely say, "They were created by the Exalted in Might, the Knowing."
Agar aap inn say daryaft keren kay aasmano aur zamin ko kiss ney peda kiya to yaqeenan inn ka jaeab yehi hoga kay unhen ghalib-o-dana ( Allah ) ney hi peda kiya hai.
यदि तुम उन से पूछो कि "आकाशों और धरती को किसने पैदा किया?" तो वे अवश्य कहेंगे, "उन्हें अत्यन्त प्रभुत्वशाली, सर्वज्ञ सत्ता ने पैदा किया।"
Exalted is the Lord of the heavens and the earth, Lord of the Throne, above what they describe.
Aasmano aur zamin aur arsh ka rab jo kuch yeh biyan kertay hain iss say ( boht ) pak hai.
आकाशों और धरती का रब, सिंहासन का स्वामी, उस से महान और उच्च है जो वे बयान करते हैं।"
And blessed is He to whom belongs the dominion of the heavens and the earth and whatever is between them and with whom is knowledge of the Hour and to whom you will be returned.
Aur woh boht barkaton wala hai jiss kay pass aasman-o-zamin aur inn kay darmiyan ki badshahat hai aur qayamat ka ilm bhi ussi kay pass hai aur ussi ki janib tum sab lotaye jao gay.
बड़ी ही बरकत वाली है वह सत्ता, जिस के अधिकार में है आकाशों और धरती की बादशाही और जो कुछ उन दोनों के बीच है उस की भी। और उसी के पास उस घड़ी का ज्ञान है, और उसी की ओर तुम लौटाए जाओगे।
Lord of the heavens and the earth and that between them, if you would be certain.
Jo rab hai aasmano ka aur zamin ka aur jo kuch inn kay darmiyan hai agar tum yaqeen kerney walay ho.
आकाशों और धरती का रब और जो कुछ उन दोनों के बीच है उस का भी, यदि तुम विश्वास रखने वाले हो (तो विश्वास करो कि किताब का अवतरण अल्लाह की दयालुता है)
And We did not create the heavens and earth and that between them in play.
Hum ney zamin aur aasmano aur inn kay darmiyan ki cheezon ko khel kay tor per peda nahi kiya.
हम ने आकाशों और धरती को और जो कुछ उन के बीच है उन्हें खेल नहीं बनाया
Indeed, within the heavens and earth are signs for the believers.
Aasmano aur zamin mein emaandaron kay liye yaqeenan boht si nishaniyan hain.
निस्संदेह आकाशों और धरती में ईमान वालों के लिए बहुत-सी निशानियाँ हैं
And He has subjected to you whatever is in the heavens and whatever is on the earth - all from Him. Indeed in that are signs for a people who give thought.
Aur aasman-o-zamin ki her her cheez ko bhi uss ney apni taraf say tumharay liye tabey ker diya hai. Jo ghor keren yaqeenan woh iss mein boht si nishaniyan paa len gay.
जो चीज़ें आकाशों में हैं और जो धरती में हैं, उस ने उन सबको अपनी ओर से तुम्हारे काम में लगा रखा है। निश्चय ही इसमें उन लोगों के लिए निशानियाँ हैं जो सोच-विचार से काम लेते हैं
And Allah created the heavens and earth in truth and so that every soul may be recompensed for what it has earned, and they will not be wronged.
Aur aasmano aur zamin ko Allah ney boht adal kay sath peda kiya hai aur takay her shaks ko uss kay kiyey huye kaam ka poora badla diya jaye aur unn per zulm na kiya jaye.
अल्लाह ने आकाशों और धरती को हक़ के साथ पैदा किया और इसलिए कि प्रत्येक व्यक्ति को उस की कमाई का बदला दिया जाए और उन पर ज़ुल्म न किया जाए
And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth. And the Day the Hour appears - that Day the falsifiers will lose.
Aur aasmano aur zamin ki badshahi Allah hi ki hai aur jiss din qayamat qaeem hogi uss din ehl-e-batil baray nuksan mein paren gay.
आकाशों और धरती की बादशाही अल्लाह ही की है। और जिस दिन वह घड़ी घटित होगी उस दिन झूठ वाले घाटे में होंगे
Then, to Allah belongs [all] praise - Lord of the heavens and Lord of the earth, Lord of the worlds.
Pus Allah ki tareef hai jo aasmano aur zamin aur tamam jahan ka palanhaar hai.
अतः सारी प्रशंसा अल्लाह ही के लिए है जो आकाशों का रब और घरती का रब, सारे संसार का रब है
And to Him belongs [all] grandeur within the heavens and the earth, and He is the Exalted in Might, the Wise.
Tamam ( buzrugi aur ) baraee aasmano aur zamin mein ussi ki hai aur wohi ghalib aur hikmat wala hai.
आकाशों और धरती में बड़ाई उसी के लिए है, और वही प्रभुत्वशाली, अत्यन्त तत्वदर्शी है
We did not create the heavens and earth and what is between them except in truth and [for] a specified term. But those who disbelieve, from that of which they are warned, are turning away.
Hum ney aasmano aur zamin aur inn dono kay darmiyan ki tamam cheezon ko behtreen tadbeer kay sath hi aik muddat moayyen kay liye peda kiya hai aur kafir log jiss cheez say daraye jatay hain mun mor letay hain.
हम ने आकाशों और धरती को और जो कुछ उन दोनों के मध्य है उसे केवल हक़ के साथ और एक नियत अवधि तक के लिए पैदा किया है। किन्तु जिन लोगों ने इनकार किया है, वे उस चीज़ को ध्यान में नहीं लाते जिस से उन्हें सावधान किया गया है
Say, [O Muhammad], "Have you considered that which you invoke besides Allah ? Show me what they have created of the earth; or did they have partnership in [creation of] the heavens? Bring me a scripture [revealed] before this or a [remaining] trace of knowledge, if you should be truthful."
Aap keh dijiye! Bhala dekho to jinhen tum Allah kay siwa pukartay ho mujhay bhi to dikhao kay unho ney zamin ka konsa tukra banaya hai ya aasmano mein unn ka konsa hissa hai? Agar tum sachay ho to iss say pehlay hi ki koi kitab ya koi ilm hi jo naqal kiya jata ho meray pass lao.
कहो, "क्या तुम ने उन को देखा भी, जिन्हें तुम अल्लाह को छोड़कर पुकारते हो? मुझे दिखाओ उन्होंने धरती की चीज़ों में से क्या पैदा किया है या आकाशों में उन की कोई साझेदारी है? मेरे पास इससे पहले की कोई किताब ले आओ या ज्ञान की कोई अवशेष बात ही, यदि तुम सच्चे हो।"
Do they not see that Allah , who created the heavens and earth and did not fail in their creation, is able to give life to the dead? Yes. Indeed, He is over all things competent.
Kiya woh nahi dekhtay kay jiss Allah ney aasmano aur zamin ko peda kiya hai aur inn kay peda kerney say woh na thaka woh yaqeenan murdon ko zindah kerney per qadir hai? Kiyon na ho? Woh yaqeenan her cheez per qadir hai.
क्या उन्होंने देखा नहीं कि जिस अल्लाह ने आकाशों और धरती को पैदा किया और उन के पैदा करने से थका नहीं; क्या ऐसा नहीं कि वह मुर्दों को जीवित कर दे? क्यों नहीं, निश्चय ही उसे हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
It is He who sent down tranquillity into the hearts of the believers that they would increase in faith along with their [present] faith. And to Allah belong the soldiers of the heavens and the earth, and ever is Allah Knowing and Wise.
Wohi hai jiss ney musalmano kay dilon mein sukoon ( aur itminan ) daal diya takay apnay eman kay sath hi sath aur bhi eman mein barh jayen, aur aasmano aur zamin kay ( kul ) lashkar Allah hi kay hain. Aur Allah Taalaa dana ba-hikmat hai.
वहीं है जिस ने ईमान वालों के दिलों में सकीना (प्रशान्ति) उतारी, ताकि अपने ईमान के साथ वे और ईमान की अभिवृद्धि करें - आकाशों और धरती की सभी सेनाएँ अल्लाह ही की है, और अल्लाह सर्वज्ञ, तत्वदर्शी है। -
And to Allah belong the soldiers of the heavens and the earth. And ever is Allah Exalted in Might and Wise.
Aur Allah ji kay liye aasmano aur zamin kay lashkar hain aur Allah ghalib aur hikmat wala hai.
आकाशों और धरती की सब सेनाएँ अल्लाह ही की है। अल्लाह प्रभुत्वशाली, अत्यन्त तत्वदर्शी है