In the name of Allah , the Entirely Merciful, the Especially Merciful.
Shuroo Allah kay naam say jo bara meharban nehayat reham kerney wala hai
अल्लाह के नाम से शुरू करता हूँ जो बड़ा मेहरबान निहायत रहम करने वाला है।
[All] praise is [due] to Allah , who created the heavens and the earth and made the darkness and the light. Then those who disbelieve equate [others] with their Lord.
Tamam tareefen Allah hi kay laeeq hain jiss ney aasamanon aur zamin ko peda kiya aur tareekiyon aur noor ko banaya phir bhi kafir log ( ghair Allah ko ) apney rab kay barabar qarar detay hain.
तमाम तारीफें अल्लाह के लिए हैं जिसने आसमानों और ज़मीन को पैदा किया और अंधेरों और रौशनी को बनाया, फिर भी मुनकिर लोग दूसरों को अपने रब का हमसर ठहराते हैं।
It is He who created you from clay and then decreed a term and a specified time [known] to Him; then [still] you are in dispute.
Woh aisa hai jiss ney tum ko mitti say banaya phir aik waqt moyyen kiya aur ( doosra ) moyyen waqt khaas Allah hi kay nazdeek hai phir bhi tum shak rakhtay .
वही है जिसने तुमको मिट्टी से पैदा किया फिर एक मुद्दत मुक़र्रर की और (वह) मुक़र्रर मुद्दत उसी के इल्म में है, फिर भी तुम शक करते हो।
And He is Allah , [the only deity] in the heavens and the earth. He knows your secret and what you make public, and He knows that which you earn.
Aur wohi hai mabood-e-bar haq aasmanon mein bhi aur zamin mein bhi woh tumharay posheeda ehwaal ko bhi aur tumharay zahir ehwaal ko bhi janta hai aur tum jo kuch amal kertay ho uss ko bhi janta hai.
और वही अल्लाह आसमानों में है और ज़मीन में है, वह तुम्हारे छुपे और खुले को जानता है और वह जानता है जो कुछ तुम करते हो।
And no sign comes to them from the signs of their Lord except that they turn away therefrom.
Aur inn kay pass koi nishani bhi unn kay rab ki nishaniyon mein say nahi aati magar woh iss say aeyraaz hi kertay hain.
और उनके रब की निशानियों में से जो भी निशानी उनके पास आती है तो वे उस से मुँह मोड़ लेते हैं।
For they had denied the truth when it came to them, but there is going to reach them the news of what they used to ridicule.
Enhon ney iss sachi kitab ko bhi jhutlaya jabkay woh inn kay pass phonchi so jaldi hi inn ko khabar mill jayegi uss cheez ki jiss kay sath yeh istehzaa kiya kertay thay.
चुनाँचे जो हक़ उनके पास आया है उसको भी उन्होंने झुठला दिया, पस जल्द ही उनके पास उस चीज़ की ख़बरें आएंगी जिसका वे मज़ाक़ उड़ाते थे।
Have they not seen how many generations We destroyed before them which We had established upon the earth as We have not established you? And We sent [rain from] the sky upon them in showers and made rivers flow beneath them; then We destroyed them for their sins and brought forth after them a generation of others.
Kiya enhon ney dekha nahi kay hum inn say pehlay kitni jamaton ko halak ker chukay hain jin ko hum ney duniya mein aisi qooat di thi kay tum ko woh qooat nahi di aur hum ney unn per khoob barishen barsaeen aur hum ney unn kay neechay say nehren jari kin. Phir hum ney unn ko unn kay gunahon kay sabab halak ker daala aur unn kay baad doosri jamaton ko peda ker diya.
क्या उन्होंने नहीं देखा कि हमने उनसे पहले कितनी क़ौमों को हलाक कर दिया, उनको हमने ज़मीन में उतनी ताक़त दी थी जितनी तुमको नहीं दी और हमने उन पर आसमान से ख़ूब बारिश बरसाई, और हमने नहरें जारी कीं जो उनके नीचे बहती थीं फिर हमने उनको उनके गुनाहों की वजह से हलाक कर डाला और उनके बाद हमने दूसरी क़ौमों को उठाया।
And even if We had sent down to you, [O Muhammad], a written scripture on a page and they touched it with their hands, the disbelievers would say, "This is not but obvious magic."
Aur agar hum kaghaz per likha hua koi navishta aap per nazil farmatay phir uss ko yeh log apney haathon say chu bhi letay tab bhi yeh kafir log yeh kehtay kay yeh kuch bhi nahi magar sareeh jadoo hai.
और अगर हम आप पर ऐसी किताब उतारते जो काग़ज़ में लिखी हुई होती और वे उसको अपने हाथों से छू भी लेते तब भी इनकार करने वाले यह कहते कि यह तो एक खुला हुआ जादू है।
And they say, "Why was there not sent down to him an angel?" But if We had sent down an angel, the matter would have been decided; then they would not be reprieved.
Aur yeh log yun kehtay hain kay inn kay pass koi farishta kiyon nahi utara gaya aur agar hum koi farishat bhej detay to sara qissa hi khatam ho jata. Phir inn ko zara mohlat na di jati.
और वे कहते हैं कि उस पर कोई फ़रिश्ता क्यों नहीं उतारा गया, और अगर हम कोई फ़रिश्ता उतारते तो मामले का फ़ैसला हो जाता फिर उन्हें कोई मोहलत न मिलती।
And if We had made him an angel, We would have made him [appear as] a man, and We would have covered them with that in which they cover themselves.
Aur agar hum iss ko farishta tajveez kertay to hum uss ko aadmi hi banatay aur huamray iss fail say phir inn per wohi ashkaal hota jo abb ashkaal ker rahey hain.
और अगर हम किसी फ़रिश्ते को रसूल बनाकर भेजते तो उसको भी आदमी बनाते और उनको उसी शुब्हे में डाल देते जिसमें वह अब पड़े हुए हैं।
And already were messengers ridiculed before you, but those who mocked them were enveloped by that which they used to ridicule.
Aur waqaee aap say pehlay jo payghumbar huye hain unn kay sath bhi istehzaa kiya gaya hai. Phir jin logon ney unn say mazaq kiya tha unn ko uss azab ney aa ghera jiss kay tamaskhur uratay thay.
और आपसे पहले भी रसूलों का मज़ाक़ उड़ाया गया तो उनमें से जिन लोगों ने मज़ाक़ उड़ाया उनको उस चीज़ ने आ घेरा जिसका वह मज़ाक़ उड़ाते थे।
Say, "Travel through the land; then observe how was the end of the deniers."
Aap farma dijiye kay zara zamin mein chalo phiro phir dekh lo kay takzeeb kerney walon ka kiya anjam hua.
(ऐ नबी) आप कह दीजिए कि ज़मीन में चलो-फिरो और देखो कि झुठलाने वालों का अंजाम क्या हुआ।
Say, "To whom belongs whatever is in the heavens and earth?" Say, "To Allah ." He has decreed upon Himself mercy. He will surely assemble you for the Day of Resurrection, about which there is no doubt. Those who will lose themselves [that Day] do not believe.
Aap kahiye kay jo kuch aasmano aur zamin mein mojood hai yeh sab kiss ki milkiyat hai aap keh dijiye kay sab Allah hi ki milkiyat hai Allah ney meharbani farmana apney upper laazim farma liya hai tum ko Allah qayamat kay roz jama keray ga iss mein koi shak nahi jin logon ney apney aap ko ghatay mein daala hai so woh eman nahi layen gay.
(उनसे) पूछिए कि किसका है जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है, आप कह दीजिए कि सब कुछ अल्लाह का है, उसने अपने ऊपर रहमत लिख ली है, वह ज़रूर तुमको जमा करेगा क़यामत के दिन जिसमें कोई शक नहीं, जिन लोगों ने अपने आपको घाटे में डाला वही हैं जो उस पर ईमान नहीं लाते।
And to Him belongs that which reposes by night and by day, and He is the Hearing, the Knowing.
Aur Allah hi kay mulk hain woh sab kuch jo raat mein aur din mein rehti hain aur wohi bara sunnay wala bara jannay wala hai.
और अल्लाह ही का है जो कुछ ठहरता है रात में और दिन में, और वह सब कुछ सुनने वाला, जानने वाला है।
Say, "Is it other than Allah I should take as a protector, Creator of the heavens and the earth, while it is He who feeds and is not fed?" Say, [O Muhammad], "Indeed, I have been commanded to be the first [among you] who submit [to Allah ] and [was commanded], 'Do not ever be of the polytheists.' "
Aap kahiye kay kiya Allah kay siwa jo kay aasmanon aur zamin ka peda kerney wala hai aur jo kay khaney ko deta hai aur uss ko koi khaney ko nahi deta aur kissi ko mabood qarar doon aap farma dijiye kay mujh ko yeh hukum hua hai kay sab say pehlay mein islam qabool keroon aur tu mushrikeen mein say hergiz na hona.
कह दीजिए कि क्या में अल्लाह के सिवा किसी और को मददगार बनाऊँ जो बनाने वाला है आसमानों का और ज़मीन का और वह सबको खिलाता है और उसको नहीं खिलाया जा सकता, कहिए कि मुझको हुक्म मिला है कि मैं सबसे पहले इस्लाम लाने वाला बनूँ और तुम हरगिज़ मुशरिकों में से न बनो।
Say, "Indeed I fear, if I should disobey my Lord, the punishment of a tremendous Day."
Aap keh dijiye kay mein agar apney rab ka kehna na manon to mein aik baray din kay azab say darta hun.
कहिए कि अगर मैंने अपने रब की नाफ़रमानी की तो मैं एक बड़े दिन के अज़ाब से डरता हूँ।
He from whom it is averted that Day - [ Allah ] has granted him mercy. And that is the clear attainment.
Jiss shaks say uss roz woh azab hata diya jaye to uss per Allah ney bara reham kiya aue yeh sareeh kaamyabi hai.
जिस शख़्स से वह उस दिन हटा लिया गया उस पर अल्लाह ने बड़ा रहम फ़रमाया, और यही खुली कामयाबी है।
And if Allah should touch you with adversity, there is no remover of it except Him. And if He touches you with good - then He is over all things competent.
Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi takleef phonchaye to uss ka door kerney wala siwaye Allah Taalaa kay aur koi nahi. Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi nafa phonchaye to woh her cheez per poori qudrat rakhney wala hai.
और अगर अल्लाह तुमको कोई नुक़सान पहुँचाए तो उसके सिवा कोई उसका दूर करने वाला नहीं, और अगर अल्लाह तुमको कोई भलाई पहुँचाए तो वह हर चीज़ पर क़ादिर है।
And He is the subjugator over His servants. And He is the Wise, the Acquainted [with all].
Aur wohi Allah apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai aur wohi bari hikmat wala aue poori khabar rakhney wala hai.
और उसी का ज़ोर है अपने बंदों पर, और वह हिकमत वाला, सबकी ख़बर रखने वाला है।
Say, "What thing is greatest in testimony?" Say, " Allah is witness between me and you. And this Qur'an was revealed to me that I may warn you thereby and whomever it reaches. Do you [truly] testify that with Allah there are other deities?" Say, "I will not testify [with you]." Say, "Indeed, He is but one God, and indeed, I am free of what you associate [with Him]."
Aap kahiye kay sab say bari cheez gawahi denay kay liye kaun hai aap kahiye kay meray aur tumharay darmiyan Allah gawah hai aur meray pass yeh quran bator wahee kay bheja gaya hai takay mein iss quran kay zariye say tum ko aur jiss ko yeh quran phonchay unn sab ko daraon kiya tum sach much yehi gawahi do gay kay Allah Taalaa kay sath kuch aur mabood bhi hain aap keh dijiye kay mein to gawahee nahi deta. Aap farma dijiye kay bus woh to aik hi mabood hai aur be-shak mein tumharay shirk say bey zaar hun.
पूछिए कि सबसे बड़ा गवाह कौन है, कह दीजिए कि अल्लाह है जो मेरे और तुम्हारे दरमियान गवाह है और मुझ पर यह क़ुरआन उतारा गया ताकि मैं तुमको उसके ज़रिए से ख़बरदार करता रहूँ और उसको जिस तक यह पहुँचे, क्या तुम इसकी गवाही देते हो कि अल्लाह के साथ कुछ और माबूद भी हैं? कह दें कि मैं इसकी गवाही नहीं देता, नीज़ कह दें कि वह तो बस एक ही माबूद है और मैं बरी हूँ तुम्हारे शिर्क से।
Those to whom We have given the Scripture recognize it as they recognize their [own] sons. Those who will lose themselves [in the Hereafter] do not believe.
Jin logon ko hum ney kitab di hai woh log rasoolon ko pehchantay hain jiss tarah apney beton ko pehchantay hain. Jin logon ney apney aap ko ghatay mein daala hai so woh eman nahi layen gay.
जिन लोगों को हमने किताब दी है वे मुहम्मद (सल्ल॰) को ऐसे पहचानते हैं जैसे अपने बेटों को पहचानते हैं, जिन लोगों ने अपने आपको घाटे में रखा वे उसको नहीं मानते।
And who is more unjust than one who invents about Allah a lie or denies His verses? Indeed, the wrongdoers will not succeed.
Aur uss say ziyada bey insaf kaun hoga jo Allah Taalaa per jhoot bandhay ya Allah ki aayaat ko jhoota batlaye aisay bey insafon ko kaamyabi na hogi.
और उस शख़्स से ज़्यादा ज़ालिम कौन होगा जो अल्लाह पर झूठा बोहतान बाँधे या अल्लाह की निशानियों को झुठलाए, यक़ीनन ज़ालिमों को कामयाबी नहीं मिलती।
And [mention, O Muhammad], the Day We will gather them all together; then We will say to those who associated others with Allah , "Where are your 'partners' that you used to claim [with Him]?"
Aur woh waqt bhi yaad kerney kay qabil hai jiss roz hum unn tamam khaleeq ko jama keren gay phir hum mushrikeen say kahen gay kay tumharay woh shurka jin kay mabood honey ka tum dawa kertay thay kahan gaye?
और जिस दिन हम उन सबको जमा करेंगे फिर हम कहेंगे उन मुशरिकों से कि तुम्हारे वे शरीक कहाँ हैं जिनका तुमको दावा था।
Then there will be no [excuse upon] examination except they will say, "By Allah , our Lord, we were not those who associated."
Phir unn kay shirk ka anjam iss kay siwa aur kuch bhi na hoga kay woh yun kahen gay kay qasam Allah ki apney perwerdigar ki hum mushrik na thay.
फिर उनके पास कोई फ़रेब नहीं रहेगा सिवाए इसके कि वे कहेंगे कि हमारे रब अल्लाह की क़सम! हम तो शिर्क करने वाले न थे।
See how they will lie about themselves. And lost from them will be what they used to invent.
Zara dekho to enhon ney kiss tarah jhoot bola apni janon per aur jin cheezon ko woh jhoot moot tarasha kertay thay woh sab ghaeeb hogaye.
देखिए किस तरह उन्होंने अपने आप पर झूठ बोला और खो गईं उन से वे बातें जो वे बनाया करते थे।
And among them are those who listen to you, but We have placed over their hearts coverings, lest they understand it, and in their ears deafness. And if they should see every sign, they will not believe in it. Even when they come to you arguing with you, those who disbelieve say, "This is not but legends of the former peoples."
Aur inn mein baaz aisay hain kay aap ki taraf kaan lagatay hain aur hum ney inn kay dilon per parda daal rakha hai iss say kay woh iss ko samjhen aur inn kay kanon mein daat dey rakhi hai aur agar woh log tamam dalaeel ko dekh len to bhi inn per kabhi eman na layen yahan tak kay jab yeh log aap kay pass aatay hain to aap say khuwa ma-khuwa jhagartay hain yeh log jo kafir hain yun kehtay hain kay yeh to kuch bhi nahi sirf bey sanad baaten hain jo pehlon say chali aarahi hain.
और उनमें से बअज़ लोग ऐसे हैं जो आपकी तरफ़ कान लगाते है; हालाँकि हमने उनके दिलों पर पर्दा डाल दिए हैं कि वे उसको न समझें और उनके कानों में बोझ है, अगर वे तमाम निशानियाँ भी देख लें तब भी उन पर ईमान न लाएंगे, यहाँ तक कि जब वे आपके पास आपसे झगड़ने आते हैं तो वे मुनकिर कहते हैं कि ये तो बस पहले लोगों की कहानियाँ हैं।
And they prevent [others] from him and are [themselves] remote from him. And they do not destroy except themselves, but they perceive [it] not.
Aur yeh log iss say doosron ko bhi roktay hain aur khud bhi iss say door door rehtay hain aur yeh log apney hi ko tabah ker rahey hain aur kuch khabar nahi raktay.
वे लोगों को उससे रोकते हैं और ख़ुद भी उससे अलग रहते हैं, वे ख़ुद अपने आपको हलाक कर रहे हैं मगर वे नहीं समझते।
If you could but see when they are made to stand before the Fire and will say, "Oh, would that we could be returned [to life on earth] and not deny the signs of our Lord and be among the believers."
Aur agar aap uss waqt dekhen jab yeh dozakh kay pass kharay kiye jayen to kahen gay haaye kiya achi baat ho kay hum phir wapis bhej diye jayen aur agar aisa hojaye to hum apney rab ki aayaat ko jhoota na batlayen aur hum eman walon mein say hojayen.
और अगर आप उनको उस वक़्त देखो जब वे आग पर खड़े किए जाएंगे और कहेंगे कि काश! हम दोबारा लौटा दिए जाएं तो हम अपने रब की निशानियों को न झुठलाएंगे और हम ईमान वालों में से हो जाएंगे।
But what they concealed before has [now] appeared to them. And even if they were returned, they would return to that which they were forbidden; and indeed, they are liars.
Bulkay jiss cheez ko iss say qabal chupaya kertay thay woh inn kay samney aagaee hai aur gar yeh log phir wapis bhej diye jayen tab bhi yeh wohi kaam keren gay jiss say inn ko mana kiya gaya tha aur yaqeenan yeh bilkul jhootay hain.
अब उन पर वह चीज़ खुल गई जिसको वे इस से पहले छुपाते थे, और अगर वे वापस भेज दिए जाएं तो वे फिर वही करेंगे जिससे वे रोके गए थे, और बेशक वे झूठे हैं।
And they say, "There is none but our worldly life, and we will not be resurrected."
Aur yeh kehtay hain kay sirf yeh dunyawi zindagi humari zindagi hai aur hum zinda na kiye jayen gay.
और कहते हैं कि जिंदगी तो बस यही हमारी दुनिया की जिंदगी है और हम फिर उठाए जाने वाले नहीं हैं।
If you could but see when they will be made to stand before their Lord. He will say, "Is this not the truth?" They will say, "Yes, by our Lord." He will [then] say, "So taste the punishment because you used to disbelieve."
Aur agar aap uss waqt dekhen jab yeh apeny rab kay samey kharay kiye jayen gay. Allah farmaye ga kay kiya yeh amar waqaee nahi hai? Woh kahen gay be-shak qasam apney rab ki. Allah Taalaa farmaye ga to abb apney kufur kay ewaz azab chakho.
और अगर आप वह वक़्त देखते जब वे अपने रब के सामने खड़े किए जाएंगे, वह उनसे पूछेगा कि क्या यह हक़ीक़त नहीं है, वे जवाब देंगे कि हाँ हमारे रब की क़सम! यह हक़ीक़त है, अल्लाह फ़रमाएगाः अच्छा तो अज़ाब चखो उस इनकार के बदले जो तुम करते थे।
Those will have lost who deny the meeting with Allah , until when the Hour [of resurrection] comes upon them unexpectedly, they will say, "Oh, [how great is] our regret over what we neglected concerning it," while they bear their burdens on their backs. Unquestionably, evil is that which they bear.
Be-shak khasaray mein paray woh log jinhon ney Allah say milney ki takzeeb ki yahan tak kay jab woh moyyen waqt unn per dafatan aa phonchay ga kahen gay kay haaye afsos humari kotahi per jo iss kay baray mein hui aur halat inn ki yeh hogi kay woh apney baar apni peethon per laaday hongay khoob sunn lo kay buri hogi woh cheez jiss ko woh laaden gay.
यक़ीनन वे लोग घाटे में रहे जिन्होंने अल्लाह से मिलने को झुठलाया, यहाँ तक कि जब वह घड़ी उन पर अचानक आएगी तो वे कहेंगे कि हाय अफ़सोस! इस बारे में हमने कैसी कोताही की और वे अपने बोझ अपनी पीठों पर उठाए हुए होंगे, कितना ही बुरा है वह बोझ जिसको वह उठाएंगे।
And the worldly life is not but amusement and diversion; but the home of the Hereafter is best for those who fear Allah , so will you not reason?
Aur dunyawi zindagi to kuch bhi nahi ba-juz lahoo-o-laab kay. Aur daar-e-aakhirat mutaqqiyon kay liye behtar hai. Kiya tum sochtay samajhtay nahi ho.
और दुनिया की ज़िंदगी तो बस एक खेल-तमाशा है, और आख़िरत का घर बेहतर है उन लोगों के लिए जो तक़वा रखते हैं, क्या तुम नहीं समझते।
We know that you, [O Muhammad], are saddened by what they say. And indeed, they do not call you untruthful, but it is the verses of Allah that the wrongdoers reject.
Hum khoob jantay hain kay aap ko inn kay aqwaal maghmoom kertay hain so yeh log aap ko jhoota nahi kehtay lekin yeh zalim to Allah ki aayaton ka inkar kertay hain.
हमको मालूम है कि वे जो कुछ कहते हैं उससे आपको रंज होता है, ये लोग आपको नहीं झुठलाते बल्कि ये ज़ालिम दरअसल अल्लाह की निशानियों का इनकार कर रहे हैं।
And certainly were messengers denied before you, but they were patient over [the effects of] denial, and they were harmed until Our victory came to them. And none can alter the words of Allah . And there has certainly come to you some information about the [previous] messengers.
Aur boht say payghumbar jo aap say pehlay huye hain unn ki bhi takzeeb ki jaa chuki hai so unhon ney iss per sabar hi kiya unn ki takzeeb ki gaee unn ko ezza phonchaee gaeen yahan tak kay humari imdad unn ko phonchi aur Allah ki baaton ka koi badalney wala nahi aur aap kay pass baaz payghumbaron ki baaz khabren phonch chuki hain.
और आपसे पहले भी रसूलों को झुठलाया गया तो उन्होंने झुठलाए जाने और तकलीफ़ दिए जाने पर सब्र किया यहाँ तक कि उनको हमारी मदद पहुँच गई, और अल्लाह की बातों को कोई बदलने वाला नहीं, और पैग़म्बरों की कुछ ख़बरें तो आपको पहुँच ही चुकी हैं।
And if their evasion is difficult for you, then if you are able to seek a tunnel into the earth or a stairway into the sky to bring them a sign, [then do so]. But if Allah had willed, He would have united them upon guidance. So never be of the ignorant.
Aur agar aap ko inn ka aeyraaz giran guzarta hai to agar aap ko yeh qudrat hai kay zamin mein koi surang ya aasman mein koi seerhi dhoond lo phir koi moajza ley aao to kero aur agar Allah ko manzoor hota to inn sab ko raah-e-raast per jama ker deta so aap nadanon mein say na ho jaiye.
और अगर उनकी बेरुख़ी आप पर गिराँ गुज़र रही है तो अगर आप में कुछ ज़ोर है तो या तो ज़मीन में कोई सुरंग ढूँढो या आसमान में सीढ़ी लगाओ और उनके लिए कोई निशानी ले आओ, और अगर अल्लाह चाहता तो उन सबको हिदायत पर जमा कर देता, पस आप नादानों में से न बनें।
Only those who hear will respond. But the dead - Allah will resurrect them; then to Him they will be returned.
Wohi log qabool kertay hain jo suntay hain. Murdon ko Allah zinda ker kay uthaye ga phir sab Allah hi ki taraf laye jayen gay.
क़बूल तो वही लोग करते हैं जो सुनते हैं, और मुर्दों को अल्लाह उठाएगा फिर वे उसी की तरफ़ लौटाए जाएंगे।
And they say, "Why has a sign not been sent down to him from his Lord?" Say, "Indeed, Allah is Able to send down a sign, but most of them do not know."
Aur yeh log kehtay hain kay inn per koi moajza kiyon nahi nazil kiya gaya inn kay rab ki taraf say aap farma dijiye kay Allah Taalaa ko bey shak poori qudrat hai iss per kay woh moajza nazil farma dey lekin inn mein aksar bey khabar hain.
और वे कहते हैं कि रसूल पर कोई निशानी उसके रब की तरफ़ से क्यों नहीं उतरी? आप कहिए कि बेशक अल्लाह क़ादिर है कि कोई निशानी उतारे मगर अकसर लोग नहीं जानते।
And there is no creature on [or within] the earth or bird that flies with its wings except [that they are] communities like you. We have not neglected in the Register a thing. Then unto their Lord they will be gathered.
Aur jitney qisam kay jaandaar zamin per chalney walay hain aur jitney qisam kay parind janwar hain kay apnay dono baazoo’on per urtay hain inn mein koi qisam aisi nahi kay jo kay tumhari tarah kay giroh na hon hum ney daftar mein koi cheez nahi chori phir sab apney perwerdigar kay pass jama kiye jayen gay.
और जो जानवर ज़मीन पर चलता है और जो भी परिंदा अपने दोनों परों से उड़ता है वे सब तुम्हारी ही तरह की उम्मतें हैं, हमने लिखने में कोई चीज़ नहीं छोड़ी है फिर सब अपने रब के पास इकट्ठे किए जाएंगे।
But those who deny Our verses are deaf and dumb within darknesses. Whomever Allah wills - He leaves astray; and whomever He wills - He puts him on a straight path.
Aur jo log humari aayaton ki takzeeb kertay hain woh to tarah tarah ki zulmaton mein behray goongay ho rahey hain Allah jiss ko chahaye bey raah ker dey aur woh jiss ko chahaye seedhi raah laga dey.
और जिन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया वे बहरे और गूंगे हैं जो अंधरों में पड़े हुए हैं, अल्लाह जिसको चाहता है भटका देता है और जिसको चाहता है सीधी राह पर लगा देता है।
Say, "Have you considered: if there came to you the punishment of Allah or there came to you the Hour - is it other than Allah you would invoke, if you should be truthful?"
Aap kahiye kay apney haal to batlao kay agar tum per Allah ka koi azab aa paray ya tum per qayamat hi aa phonchay to kiya Allah kay siwa kissi aur ko pukaro gay. Agar tum sachay ho.
आप कहिए कि यह बताओ कि अगर तुम पर अल्लाह का अज़ाब आ जाए या क़यामत आ जाए तो क्या तुम अल्लाह के सिवा किसी और को पुकारोगे? ज़रा बताओ अगर तुम सच्चे हो।
No, it is Him [alone] you would invoke, and He would remove that for which you invoked Him if He willed, and you would forget what you associate [with Him].
Bulkay khaas ussi ko pukaro gay phir jiss kay liye tum pukaro gay agar woh chahaye to uss ko hata bhi dey aur jin ko tum shareek thehratay ho unn sab ko bhool bhaal jao gay.
बल्कि तुम उसी को पुकारोगे, फिर वह दूर कर देता है उस मुसीबत को जिसके लिए तुम उसको पुकारते हो अगर वह चाहता है और तुम भूल जाते हो उनको जिन्हें तुम शरीक ठहराते हो।
And We have already sent [messengers] to nations before you, [O Muhammad]; then We seized them with poverty and hardship that perhaps they might humble themselves [to Us].
Aur hum ney aur ummaton ki taraf bhi jo kay aap say pehlay guzar chuki hain payghumbar bhejay thay so hum ney unn ko tangdasti aur beemari say pakra takay woh izhar-e-ijz ker saken.
और तुमसे पहले बहुत-सी क़ौमों की तरफ़ हमने रसूल भेजे फिर हमने उनको पकड़ा सख़्ती में और तकलीफ़ में; ताकि वे गिड़गिड़ाएं।
Then why, when Our punishment came to them, did they not humble themselves? But their hearts became hardened, and Satan made attractive to them that which they were doing.
So jab unn ko humari saza phonchi thi to unhon ney aajzi kiyon nahi ikhtiyar ki? Lekin unn kay quloob sakht hogaye aur shetan ney unn kay aemaal ko unn kay khayal mein aaraasta ker diya.
पस जब हमारी तरफ़ से उन पर सख़्ती आई तो क्यों न वह गिड़गिड़ाए; बल्कि उनके दिल सख़्त हो गए और शैतान उनके अमल को उनकी नज़र में ख़ुशनुमा करके दिखाता रहा।
So when they forgot that by which they had been reminded, We opened to them the doors of every [good] thing until, when they rejoiced in that which they were given, We seized them suddenly, and they were [then] in despair.
Phir jab woh log unn cheezon ko bhoolay rahey jin ki unn ko naseehat ki jati thi to hum ney unn per her cheez kay darwazay kushada ker diye yahan tak kay jab unn cheezon per jo kay unn ko mili thin woh khoob itra gaye hum ney unn ko dafatan pakar liya phir to woh bilkul mayyus hogaye.
फिर जब उन्होंने उस नसीहत को भुला दिया जो उनको की गई थी तो हमने उन पर हर चीज़ के दरवाज़े खोल दिए, यहाँ तक कि जब वे उस चीज़ पर ख़ुश हो गए जो उन्हें दी गई थीं तो हमने अचानक उनको पकड़ लिया, उस वक़्त वे ना-उम्मीद हो कर रह गए।
So the people that committed wrong were eliminated. And praise to Allah , Lord of the worlds.
Phir zalim logon ki jarr kat gaee aur Allah Taalaa ka shukar hai jo tamam aalam ka perwerdigar hai.
पस उन लोगों की जड़ काट दी गई जिन्होंने ज़ुल्म किया था, और सारी तारीफ़ अल्लाह के लिए है जो तमाम जहानों का रब है।
Say, "Have you considered: if Allah should take away your hearing and your sight and set a seal upon your hearts, which deity other than Allah could bring them [back] to you?" Look how we diversify the verses; then they [still] turn away.
Aap kahiye kay yeh batlao agar Allah Taalaa tumhari sama’at aur basarat biluk ley ley aur tumhary dilon per mohar ker dey to Allah Taalaa kay siwa aur koi mabood hai kay yeh tum ko phir dey dey. Aap dekhiye to hum kiss tarah dalaeel ko mukhtalif pehloo’on say paish ker rahey hain phir bhi yeh aeyraaz kertay hain.
आप कह दीजिए कि यह बताओ कि अगर अल्लाह छीन ले तुम्हारे कान और तुम्हारी आँखें और तुम्हारे दिलों पर मुहर लगा दे तो अल्लाह के सिवा कौन माबूद है जो उनको वापस लाए, देखो कि हम कैसे तरह-तरह की निशानियाँ बयान करते हैं फिर भी वे मुँह मोड़ लेते हैं।
Say, "Have you considered: if the punishment of Allah should come to you unexpectedly or manifestly, will any be destroyed but the wrongdoing people?"
Aap kahiye kay yeh batlao agar tum per Allah Taalaa ka azab aa paray khuwa achanak ya aelaaniya to kiya ba-juz zalim logon kay aur bhi koi halak kiya jaye ga.
कह दीजिए कि यह बताओ कि अगर अल्लाह का अज़ाब तुम्हारे ऊपर अचानक या खुले तौर पर आ जाए तो ज़ालिमों के सिवा और कौन हलाक होगा।
And We send not the messengers except as bringers of good tidings and warners. So whoever believes and reforms - there will be no fear concerning them, nor will they grieve.
Aur hum payghumbaron ko sirf iss wastay bheja kertay hain kay woh bisharat den aur darayen phir jo eman ley aaye aur durusti ker ley so unn logon per koi andesha nahi aur na woh maghmoom hongay.
और रसूलों को हम सिर्फ़ ख़ुश-ख़बरी देने वाले या डराने वाले की हैसियत से भेजते हैं, फिर जो ईमान लाया और अपनी इस्लाह की तो उनके लिए न कोई अंदेशा है और न वे ग़मगीन होंगे।
But those who deny Our verses - the punishment will touch them for their defiant disobedience.
Aur jo log humari aayaton ko jhoota batlayen unn ko azab phonchay ga ba-waja iss kay, kay woh na farmani kertay hain.
और जिन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया तो उनको अज़ाब पकड़ लेगा इस वजह से कि वे नाफ़रमानी करते थे।