But they have attributed to Allah partners - the jinn, while He has created them - and have fabricated for Him sons and daughters without knowledge. Exalted is He and high above what they describe.
Aur logon ney shayateen ko Allah Taalaa ko shareek qarar dey rakha hai halankay inn logon ko Allah hi ney peda kiya hai aur inn logon ney Allah kay haq mein betay aur betiyan bila sanad tarash rakhi hain aur woh pak aur bartar hai unn baaton say jo yeh kertay hain.
और उन्होंने जिन्नात को अल्लाह का शरीक क़रार दिया हालाँकि उसी ने उनको पैदा किया है, और बग़ैर सोचे-समझे उसके लिए बेटे और बेटियाँ तराशीं, पाक और बरतर है वह ज़ात उन बातों से जो ये बयान करते हैं।
[He is] Originator of the heavens and the earth. How could He have a son when He does not have a companion and He created all things? And He is, of all things, Knowing.
Woh aasmanon aur zamin ka mojid hai Allah Taalaa ki aulad kahan ho sakti hai halankay uss ki koi biwi to hai nahi aur Allah Taalaa ney her cheez ko peda kiya aur woh her cheez ko khoob janta hai.
वह आसमानों और ज़मीन का बनाने वाला है, उसका कोई बेटा कैसे हो सकता है जबकि उसकी कोई बीवी नहीं, और उसने हर चीज़ को पैदा किया है और वह हर चीज़ से बाख़बर है।
That is Allah , your Lord; there is no deity except Him, the Creator of all things, so worship Him. And He is Disposer of all things.
Yeh hai Allah Taalaa tumhara rab! Uss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi her cheez ka peda kerney wala hai to tum uss ki ibadat kero aur woh her cheez ka kaar saaz hai.
यह है अल्लाह तुम्हारा रब उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वही हर चीज़ का ख़ालिक़ है पस तुम उसी की इबादत करो, और वह हर चीज़ का कारसाज़ है।
Vision perceives Him not, but He perceives [all] vision; and He is the Subtle, the Acquainted.
Uss ko to kissi ki nigah moheet nahi ho sakti aur woh sab nigahon ka moheet ho jata hai aur wohi bara bareek been ba khabar hai.
उसको निगाहें नहीं पातीं मगर वह निगाहों को पा लेता है और वह बड़ा बारीक-बीं, बड़ा बाख़बर है।
There has come to you enlightenment from your Lord. So whoever will see does so for [the benefit of] his soul, and whoever is blind [does harm] against it. And [say], "I am not a guardian over you."
Abb bila shuba tumharay pass tumharay rab ki janib say haq beeni kay zaraye phonch chukay hain so jo shaks dekh ley ga woh apna faeeda keray ga aur jo shaks andha rahey ga woh apna nuksan keray ga aur mein tumhara nigaraan nahi hun.
अब तुम्हारे पास तुम्हारे रब की तरफ़ से बसीरत भरे दलाइल आ चुके हैं, पस जो बीनाई से काम लेगा वह अपने ही लिए (फ़ायदा उठाएगा) और जो अंधा बनेगा वह ख़ुद नुक़सान उठाएगा, और मैं तुम्हारे ऊपर कोई निगराँ नहीं हूँ।
And thus do We diversify the verses so the disbelievers will say, "You have studied," and so We may make the Qur'an clear for a people who know.
Aur hum iss tor per dalaeel ko mukhtalif pehloo’on say biyan kertay hain takay yeh yun kahen kay aap ney kissi say parh liya hai aur takay hum iss ko danish mandon kay liye khoob zahir ker den.
और इस तरह हम अपनी दलीलें मुख़्तलिफ़ तरीक़ों से बयान करते हैं और ताकि वे कहें कि तुमने पढ़ दिया और ताकि हम वाज़ेह कर दें उन लोगों के लिए जो जानना चाहें।
Follow, [O Muhammad], what has been revealed to you from your Lord - there is no deity except Him - and turn away from those who associate others with Allah .
Aap khud iss tareeq per chaltay rahiye jiss ki wahee aap kay rab ki taraf say aap kay pass aaee hai Allah Taalaa kay siwa koi laeeq-e-ibadat nahi aur mushrikeen ki taraf khayal na kijiye.
आप बस उस चीज़ की पैरवी करें जो आपके रब की तरफ़ से आपकी जानिब वह्य की जा रही है, उसके सिवा कोई माबूद नहीं और मुशरिकों से एराज़ कीजिए।
But if Allah had willed, they would not have associated. And We have not appointed you over them as a guardian, nor are you a manager over them.
Aur agar Allah Taalaa ko manzoor hota to yeh shirk na kertay aur hum ney aap ko inn ka nigraan nahi banaya. Aur na aap inn per mukhtaar hain!
और अगर अल्लाह चाहता तो ये लोग शिर्क न करते, और हमने आपको उनके ऊपर निगराँ नहीं बनाया है और न आप उन पर मुख़्तार हो।
And do not insult those they invoke other than Allah , lest they insult Allah in enmity without knowledge. Thus We have made pleasing to every community their deeds. Then to their Lord is their return, and He will inform them about what they used to do.
Aur gaali mat do unn ko jin ki yeh log Allah Taalaa ko chor ker ibadat kertay hain kiyon kay phir woh ba-raah-e-jahal hadd say guzar ker Allah Taalaa ki shaan mein gustakhi keren gay hum ney iss tarah her tareeqay walon ko unn ka amal marghoob bana rakha hai. Phir apney rab hi kay pass inn ko jana hai so woh inn ko batla dey ga jo kuch bhi woh kiya kertay thay.
और अल्लाह के सिवा जिनको ये लोग पुकारते हैं उनको गाली न दो वर्ना ये लोग हद से गुज़र कर जिहालत की वजह से अल्लाह को गालियाँ देने लगेंगे, इसी तरह हमने हर गिरोह की नज़र में उसके अमल को ख़ुशनुमा बना दिया है, फिर उन सबको अपने रब की तरफ़ लौटना है, उस वक़्त अल्लाह उन्हें बता देगा जो वे करते थे।
And they swear by Allah their strongest oaths that if a sign came to them, they would surely believe in it. Say, "The signs are only with Allah ." And what will make you perceive that even if a sign came, they would not believe.
Aur inn logon ney qasmon mein bara zor laga ker Allah Taalaa ki qasam khaee kay agar inn kay pass koi nishani aajaye to woh zaroor hi uss per eman ley aayen gay aap keh dijiye kay nishaniyan sab Allah kay qabzay mein hain aur tum ko iss ki kiya khabar kay woh nishaniyan jiss waqt aajayen gi yeh log tab bhi eman na layen gay.
और ये लोग अल्लाह की क़सम बड़े ज़ोर-शोर से खाकर कहते हैं कि अगर उनके पास कोई निशानी आ जाए तो वे ज़रूर उस पर ईमान ले आएंगे, आप कह दीजिए कि निशानियाँ तो अल्लाह के पास बहुत हैं, और तुम्हें क्या ख़बर कि अगर निशानियाँ आ भी जाएं तब भी ये ईमान नहीं लाएंगे।
And We will turn away their hearts and their eyes just as they refused to believe in it the first time. And We will leave them in their transgression, wandering blindly.
Aur hum bhi inn kay dilon ko aur inn ki nigahon ko pher den gay jaisa kay yeh log iss per pehli dafa eman na laye aur hum inn ko inn ki sirkashi mein heyraan rehney den gay.
और हम उनके दिलों और उनकी निगाहों को फेर देंगे जैसा कि ये लोग उसके ऊपर पहली बार ईमान नहीं लाए, और हम उनको उनकी सरकशी में भटकता हुआ छोड़ देंगे।
And even if We had sent down to them the angels [with the message] and the dead spoke to them [of it] and We gathered together every [created] thing in front of them, they would not believe unless Allah should will. But most of them, [of that], are ignorant.
Aur agar hum inn kay pass farishton ko bhej detay aur inn say murday baaten kerney lagtay aur hum tamam mojodaat inn kay pass inn ki aankhon kay roo baroo laa ker jama ker detay hain tab bhi yeh log hergiz eman na latay haan agar Allah hi chahaye to aur baat hai lekin inn mein ziyada logo jahalat ki baaten kertay hain.
और अगर हम उन पर फ़रिश्ते उतार देते और मुर्दे उनसे बातें करते और हम सारी चीज़ें उनके सामने इकट्ठा कर देते तब भी ये लोग ईमान लाने वाले न थे सिवाए इसके कि अल्लाह चाहे, मगर उनमें से अक्सर लोग नादानी की बातें करते हैं।
And thus We have made for every prophet an enemy - devils from mankind and jinn, inspiring to one another decorative speech in delusion. But if your Lord had willed, they would not have done it, so leave them and that which they invent.
Aur issi tarah say hum ney her nabi kay dushman boht say shetan peda kiya thay kuch aadmi aur kuch jinn, jin mein say baaz baazon ko chikni chupri baaton ka waswasa daaltay rehtay thay takay unn ko dhokay mein daal den aur agar Allah Taalaa chahata to yeh aisay kaam na ker saktay so inn logon ko aur jo kuch yeh iftra perdaazi ker rahey hain uss ko aap rehney dijiye.
और इसी तरह हमने शरीर इंसानों और शरीर जिन्नात को हर नबी का दुश्मन बना दिया, वे एक-दूसरे को पुर-फ़रेब बातें सिखाते हैं धोका देने के लिए, और अगर आपका रब चाहता तो वे ऐसा न कर सकते, पस आप उन्हें छोड़ दें कि वे झूठ बाँधते हैं।
And [it is] so the hearts of those who disbelieve in the Hereafter will incline toward it and that they will be satisfied with it and that they will commit that which they are committing.
Aur takay uss ki taraf unn logon kay quloob maeel hojayen jo aakhirat per yaqeen nahi rakhtay aur takay uss ko pasand kerlen aur takay murtakib hojayen unn umoor kay jin kay woh murtakib hotay thay.
और ऐसा इसलिए है उसकी तरफ़ उन लोगों के दिल माइल हों जो आख़िरत पर यक़ीन नहीं रखते और ताकि वे उसको पसंद करें और ताकि जो कमाई उन्हें करनी है वे कर लें।
[Say], "Then is it other than Allah I should seek as judge while it is He who has revealed to you the Book explained in detail?" And those to whom We [previously] gave the Scripture know that it is sent down from your Lord in truth, so never be among the doubters.
To kiya Allah kay siwa kissi aur faisla kerney walay ko talash keroon halankay woh aisa hai kay uss ney aik kitab-e-kaamil tumharay pass bhej di hai iss kay mazmeen khoob saaf saaf biyan kiye gaye hain aur jin logon ko hum ney kitab di hai woh iss baat ko yaqeen kay sath jantay hain kay yeh aap kay rab ki taraf say haq kay sath bheji gaee hai so aap shuba kerney walon mein say na hon.
क्या मैं अल्लाह के सिवा किसी और को फ़ैसला करने वाला बनाऊँ; हालाँकि उसने तुम्हारी तरफ़ वाज़ेह किताब उतारी है, और जिन लोगों को हमने पहले किताब दी थी वे जानते हैं कि यह आपके रब की तरफ़ से उतारी गई है हक़ के साथ, पस आप शक करने वालों में से न बनें।
And the word of your Lord has been fulfilled in truth and in justice. None can alter His words, and He is the Hearing, the Knowing.
Aap kay rab ka kalaam sachaee aur insaf kay aetabaar say kaamil hai iss kay kalaam ko koi badalney wala nahi aur woh khoob sunnay wala khoob jannay wala hai.
और आपके रब की बात पूरी सच्ची है और इंसाफ़ की, कोई बदलने वाला नहीं उसकी बात को और वह सुनने वाला, जानने वाला है।
And if you obey most of those upon the earth, they will mislead you from the way of Allah . They follow not except assumption, and they are not but falsifying.
Aur duniya mein ziyada log aisay hain kay agar aap unn ka kehna mannay lagen to woh aap ko Allah ki raah say bey raah ker den woh mehaz bey asal khayalaat per chaltay hain aur bilkul qayassi baaten kertay hain.
और अगर आप लोगों की अक्सरियत के कहने पर चलो जो ज़मीन में हैं तो वे आपको अल्लाह के रास्ते से भटका देंगे, वे महज़ गुमान की पैरवी करते हैं और अंदाज़े लगाया करते हैं।
Indeed, your Lord is most knowing of who strays from His way, and He is most knowing of the [rightly] guided.
Bil yaqeen aap ka rab unn ko khoob janta hai jo iss ki raah say bey raah ho jata hai. Aur woh unn ko bhi khoob janta hai jo uss ki raah per chaltay hain.
बेशक आपका रब ख़ूब जानता है उनको जो अपने रास्ते से भटके हुए हैं और वही ख़ूब जानता है उनको जो राह पाए हुए हैं।
So eat of that [meat] upon which the name of Allah has been mentioned, if you are believers in His verses.
So jiss janwar per Allah ka naam liya jaye uss mein say khao! Agar tum uss kay ehkaam per eman rakhtay ho.
पस तुम खाओ उस जानवर में से जिस पर अल्लाह का नाम लिया जाए अगर तुम उसकी आयात पर ईमान रखते हो।
And why should you not eat of that upon which the name of Allah has been mentioned while He has explained in detail to you what He has forbidden you, excepting that to which you are compelled. And indeed do many lead [others] astray through their [own] inclinations without knowledge. Indeed, your Lord - He is most knowing of the transgressors.
Aakhir kiya waja hai kay tum aisay janwar mein say na khao jiss per Allah ka naam liya gaya ho halankay Allah ney unn sab janwaron ki tafseel bata di hai jin ko tum per haram kiya hai magar woh bhi jab tum ko sakht zaroorat parr jaye to halal hai aur yeh yaqeeni baat hai kay boht say aadmi apney khayalaat per bila kissi sanad kay gumrah kertay hain. Iss mein koi shuba nahi kay Allah Taalaa hadd say nikal janey walon ko khoob janta hai.
और क्या वजह है कि तुम उस जानवर में से न खाओ जिस पर अल्लाह का नाम लिया गया; हालाँकि अल्लाह ने तफ़सील से बयान कर दी है वे चीजें जिनको उसने तुम पर हराम किया है, सिवाए इसके कि उसके लिए तुम मजबूर हो जाओ, और यक़ीनन बहुत-से लोग अपनी ख़्वाहिशात की वजह से (दूसरों को) गुमराह करते हैं बग़ैर किसी इल्म के, बेशक आपका रब ख़ूब जानता है हद से निकल जाने वालों को।
And leave what is apparent of sin and what is concealed thereof. Indeed, those who earn [blame for] sin will be recompensed for that which they used to commit.
Aur tum zahiri gunah ko bhi chor do aur baatini gunah ko chor do. Bila shuba jo log gunah ker rahey hain unn ko unn kay kiye ki un-qarib saza milay gi.
और तुम गुनाह के ज़ाहिर को भी छोड़ दो और उसके बातिन को भी, जो लोग गुनाह कमा रहे हैं उनको जल्द बदला मिल जाएगा उसका जो वे कर रहे थे।
And do not eat of that upon which the name of Allah has not been mentioned, for indeed, it is grave disobedience. And indeed do the devils inspire their allies [among men] to dispute with you. And if you were to obey them, indeed, you would be associators [of others with Him].
Aur aisay janwaron mein say mat khao jin per Allah ka naam na liya gaya ho aur yeh kaam na farmani ka hai aur yaqeenan shayateen apney doston kay dilon mein daaltay hain takay yeh tum say jidal keren aur agar tum inn logon ki ita’at kerney lago to yaqeenan tum mushrik hojao.
और तुम उस जानवर में से न खाओ जिस पर अल्लाह का नाम न लिया गया हो, यक़ीनन यह गुनाह की बात है, और शयातीन अपने साथियों के दिलों में (वसवसे) डाल रहे हैं ताकि वे तुम से झगड़ें, और अगर तुम उनका कहा मानोगे तो तुम भी मुशरिक हो जाओगे।
And is one who was dead and We gave him life and made for him light by which to walk among the people like one who is in darkness, never to emerge therefrom? Thus it has been made pleasing to the disbelievers that which they were doing.
Aisa shaks jo pehlay murda tha phir hum ney uss ko zinda ker diya aur hum ney uss ko aik aisa noor dey diya kay woh iss ko liye huye aadmiyon mein chalta phirta hai. Kiya aisa shaks uss shaks ki tarah ho sakta hai? Jo tareekiyon say nikal hi nahi pata. Issi tarah kafiron ko unn kay aemaal khushnuma maloom hua kertay hain.
क्या वह शख़्स जो मुर्दा था फिर हमने उसको ज़िंदगी दी और हमने उसको एक रौशनी दी कि उसके साथ वह लोगों में चलता है वह उस शख़्स की तरह हो सकता है जो तारीकियों में पड़ा है जिनसे वह निकलने वाला नहीं, इस तरह काफ़िरों की नज़र में उनके करतूत ख़ुशनुमा बना दिए गए हैं।
And thus We have placed within every city the greatest of its criminals to conspire therein. But they conspire not except against themselves, and they perceive [it] not.
Aur issi tarah hum ney her basti mein wahan kay raeeson hi ko jaraeem ka murtakib banaya takay woh log wahan fareb keren. Aure woh log apney hi sath fareb ker rahey hian aur inn ko zara khabar nahi.
और इस तरह हर बस्ती में हमने गुनहगारों के सरदार रख दिए हैं कि वे वहाँ हीले-बहाने करें; हालाँकि वे जो हीले करते हैं अपने ही ख़िलाफ़ करते हैं मगर वे इसको नहीं समझते।
And when a sign comes to them, they say, "Never will we believe until we are given like that which was given to the messengers of Allah ." Allah is most knowing of where He places His message. There will afflict those who committed crimes debasement before Allah and severe punishment for what they used to conspire.
Aur jab inn ko koi aayat phonchti hai to yun kehtay hain kay hum hergiz eman na layen gay jab tak kay hum ko bhi aisi hi cheez na di jaye jo Allah kay rasoolon ko di jati hai iss moqay ko to Allah hi khoob janta hai kay kahan woh apni payghumbari rakhay? Un-qarib inn logon ko jinhon ney jurm kiya hai Allah kay pass phonch ker zillat phonchay gi aur inn ki shararaton kay muqablay mein sazay-e-sakht.
और जब उनके पास कोई निशानी आती है तो वे कहते हैं कि हम हरगिज़ न मानेंगे जब तक कि हमको भी वही न दिया जाए जो अल्लाह के पैग़म्बरों को दिया गया, अल्लाह ही बेहतर जानता है कि वह अपनी पैग़म्बरी किसको बख़्शे, जो लोग मुजरिम हैं उनको ज़रूर अल्लाह के यहाँ ज़िल्लत नसीब होगी और सख़्त अज़ाब भी इस वजह से कि वे मक्र करते थे।
So whoever Allah wants to guide - He expands his breast to [contain] Islam; and whoever He wants to misguide - He makes his breast tight and constricted as though he were climbing into the sky. Thus does Allah place defilement upon those who do not believe.
So jiss shaks ko Allah Taalaa raastay per daalna chahaye uss key seenay ko islam kay liye kushada ker deta hai aur jiss ko bey raah rakhna chahaye uss kay seenay ko boht tang ker deta hai jaisay koi aasman mein charhta hai issi tarah Allah Taalaa eman na laney walo per na paki musallat ker deta hai.
अल्लाह जिसको चाहता है कि हिदायत दे तो उसका सीना इस्लाम के लिए खोल देता है और जिसको चाहता है कि गुमराह करे तो उसके सीने को बिल्कुल तंग कर देता है जैसे उसको आसमान में चढ़ना पड़ रहा हो, इस तरह अल्लाह गंदगी डाल देता है उन लोगों पर जो ईमान नहीं लाते।
And this is the path of your Lord, [leading] straight. We have detailed the verses for a people who remember.
Aur yehi teray rab kay seedha raasta hai. Hum ney naseehat hasil kerney walon kay wastay inn aayaton ko saaf saaf biyan ker diya.
और यही आपके रब का सीधा रास्ता है, हमने वाज़ेह कर दी हैं निशानियाँ ग़ौर करने वालों के लिए।
For them will be the Home of Peace with their Lord. And He will be their protecting friend because of what they used to do.
Inn logon kay wastay inn kay rab kay pass salamti ka ghar hai aur Allah Taalaa inn say mohabbat rakhta hai inn kay aemaal kay waja say.
उन्हीं के लिए सलामती का घर है उनके रब के पास और वह उनका मददगार है उस अमल की वजह से जो वे ख़ुद करते रहे।
And [mention, O Muhammad], the Day when He will gather them together [and say], "O company of jinn, you have [misled] many of mankind." And their allies among mankind will say, "Our Lord, some of us made use of others, and we have [now] reached our term, which you appointed for us." He will say, "The Fire is your residence, wherein you will abide eternally, except for what Allah wills. Indeed, your Lord is Wise and Knowing."
Aur jiss roz Allah Taalaa tamam khalaeeq ko jama keray ga ( kahey ga ) aey jamat jinnaat ki! Tum ney insanon mein say boht say apna liye jo insan inn kay sath talluq rakhney walay thay woh kahen gay aey humaray perwerdigar hum mein aik ney doosray say faeeda hasil kiya tha aur hum apni iss moyyen muddat tak aa phonchay jo tu ney humaray liye moyyen farmaee Allah farmaye ga kay tum sab ka thikana dozakh hai jiss mein hamesha raho gay haan agar Allah hi ko manzoor hoto doosri baat hai. Be-shak aap ka rab bari hikmat wala bara ilm wala hai.
और जिस दिन अल्लाह उन सबको जमा करेगा, ऐ जिन्नात के गिरोह! तुम बहुत-से इंसानों को गुमराह कर चुके, और इंसानों में से उनके साथी कहेंगे कि ऐ हमारे रब! हमने एक-दूसरे को इस्तेमाल किया और हम पहुँच गए अपनी उस मुद्दत को जो आपने हमारे लिए मुक़र्रर की थी, अल्लाह कहेगा कि अब तुम्हारा ठिकाना आग है हमेशा उसमें रहोगे मगर जो अल्लाह चाहे, बेशक आपका रब हिकमत वाला, इल्म वाला है।
And thus will We make some of the wrongdoers allies of others for what they used to earn.
Aur issi tarah hum baaz kuffaar ko baaz kay qarib rakhen gay unn kay aemaal kay sabab.
और इसी तरह हम साथ मिला देंगे गुनहगारों को एक-दूसरे से उन आमाल की वजह से जो वे करते थे।
"O company of jinn and mankind, did there not come to you messengers from among you, relating to you My verses and warning you of the meeting of this Day of yours?" They will say, "We bear witness against ourselves"; and the worldly life had deluded them, and they will bear witness against themselves that they were disbelievers.
Aey jinnaat aur insanon ki jamat! Kiya tumharay pass tum mein say hi payghumbar nahi aaye thay jo tum say meray ehkaam biyan kertay aur tum ko iss aaj kay din ki khabar detay? Woh sab arz keren gay kay hum apney upper iqrar kertay hain aur inn ko dunyawi zindagi ney bhool mein dalay rakha aur yeh log iqrar kerney walay hongay kay woh kafir thay.
ऐ जिन्नात और इंसानों के गिरोह! क्या तुम्हारे पास तुम्हीं में से पैग़म्बर नहीं आए थे जो तुमको मेरी आयतें सुनाते और तुमको इस दिन के पेश आने से डराते थे, वे कहेंगे कि हम ख़ुद अपने ख़िलाफ़ गवाह हैं और उनको दुनिया की ज़िंदगी ने धोके में रखा और वे अपने ख़िलाफ़ ख़ुद गवाही देंगे कि बेशक हम मुनकिर थे।
That is because your Lord would not destroy the cities for wrongdoing while their people were unaware.
Yeh iss waja say hai kay aap ka rab kissi basti walon ko kufur kay sabab aisi halat mein halak nahi kerta kay uss basti kay rehney walay bey khabar hon.
यह इस वजह से आपका रब बस्तियों को उनके ज़ुल्म की वजह से इस हाल में हलाक करने वाला नहीं कि वहाँ के लोग बेख़बर हों।
And for all are degrees from what they have done. And your Lord is not unaware of what they do.
Aur her aik kay liye unn kay aemaal kay sabab darjay milen gay aur aap ka rab inn kay aemaal say bey khabar nahi hai.
और हर शख़्स का दर्जा है उसके अमल के लिहाज़ से, और आपका रब लोगों के आमाल से बेख़बर नहीं।
And your Lord is the Free of need, the possessor of mercy. If He wills, he can do away with you and give succession after you to whomever He wills, just as He produced you from the descendants of another people.
Aur aap ka rab bilkul ghani hai rehmat wala hai agar woh chahaye to tum sab ko utha ley aur tumharay baad jiss ko chahaye tumhari jagah aabad keray jaisa kay tum ko aik doosri qom ki nasal say peda kiya hai.
और आपका रब बेनियाज़ रहमत वाला है, अगर वह चाहे तो तुम सबको उठा ले और तुम्हारे बाद जिसको चाहे तुम्हारी जगह ले आए जिस तरह उसने तुमको पैदा किया दूसरों की नस्ल से।
Indeed, what you are promised is coming, and you will not cause failure [to Allah ].
Jiss cheez ka tum say wada kiya jata hai woh be-shak aaney wali cheez hai aur tum aajiz nahi ker saktay.
जिस चीज़ का तुम से वादा किया जा रहा है वह आकर रहेगी और तुम (अल्लाह को) आजिज़ नहीं कर सकते।
Say, "O my people, work according to your position; [for] indeed, I am working. And you are going to know who will have succession in the home. Indeed, the wrongdoers will not succeed.
Aap yeh farma dijiye kay aey meri qom ! Tum apni halat per amal kertay raho mein bhi amal ker raha hun so abb jald hi tum ko maloom hua jata hai kay iss aalam ka anjam kaar kiss kay liye naafay hoga. Yeh yaqeeni baat hai kay haq talfi kerney walon ko kabhi falah na hogi.
आप कह दीजिए कि ऐ लोगो! तुम अमल करते रहो अपनी जगह पर मैं भी अमल कर रहा हूँ, तुम जल्द ही जान लोगे कि आख़िरत का अंजाम किसके हक़ में बेहतर होता है, यक़ीनन ज़ालिम कभी फ़लाह नहीं पा सकते।
And the polytheists assign to Allah from that which He created of crops and livestock a share and say, "This is for Allah ," by their claim, " and this is for our partners [associated with Him]." But what is for their "partners" does not reach Allah , while what is for Allah - this reaches their "partners." Evil is that which they rule.
Aur Allah Taalaa ney jo kheti aur mawashi peda kiye hain inn logon ney inn mein say kuch hissa Allah ka muqarrar kiya aur ba-zom khud kehtay hain kay yeh to Allah ka hai aur yeh humaray maboodon ka hai phir jo cheez inn kay maboodon ki hoti hai woh to Allah ki taraf nahi phonchti aur jo cheez Allah ki hoti hai woh inn kay maboodon ki taraf phonch jati hai kiya bura faisla woh kertay hain.
और अल्लाह ने जो खेती और चौपाये पैदा किए उसमें से उन्होंने अल्लाह का कुछ हिस्सा मुक़र्रर किया है, पस वे कहते हैं कि यह हिस्सा अल्लाह का है उनके गुमान के मुताबिक़ और यह हिस्सा हमारे शरीकों का है, फिर जो हिस्सा उनके शरीकों का होता है वह तो अल्लाह को नहीं पहुँचता और जो हिस्सा अल्लाह के लिए है वह उनके शरीकों को पहुँच जाता है, कैसा बुरा फ़ैसला है जो ये लोग करते हैं।
And likewise, to many of the polytheists their partners have made [to seem] pleasing the killing of their children in order to bring about their destruction and to cover them with confusion in their religion. And if Allah had willed, they would not have done so. So leave them and that which they invent.
Aur issi tarah boht say mushrikeen kay khayal mein unn kay maboodon ney unn ki aulad kay qatal kerney ko mustehsan bana rakha hai takay woh inn ko barbad keren aur takay inn kay deen ko inn per mushtaba ker den aur agar Allah ko manzoor hota to yeh aisa kaam na kertay to aap inn ko aur jo kuch ghalat baaten yeh bana rahey hain yun hi rehney dijiye.
और इस तरह बहुत-से मुशरिकों की नज़र में उनके शरीकों ने अपनी औलाद के क़त्ल को ख़ुशनुमा बना दिया; ताकि उनको बरबाद कर दें और उन पर उनके दीन को मुश्तबह बना दें, और अगर अल्लाह चाहता तो वे ऐसा न करते, पस उनको छोड़ दीजिए कि अपनी मन-घड़त बातों में लगे रहें।
And they say, "These animals and crops are forbidden; no one may eat from them except whom we will," by their claim. And there are those [camels] whose backs are forbidden [by them] and those upon which the name of Allah is not mentioned - [all of this] an invention of untruth about Him. He will punish them for what they were inventing.
Aur woh apney khayal per yeh bhi kehtay hain kay yeh kuch mawashi hain aue khet hain jin ka isteymaal her shaks ko jaeez nahi inn ko koi nahi kha sakta siwaye unn kay jin ko hum chahayen aur mawashi hain jin per sawari ya baar bardari haram ker di gaee aue kuch mawashi hain jin per yeh log Allah Taalaa ka naam nahi letay mehaz Allah per iftra bandhney kay tor per. Abhi Allah Taalaa inn ko inn kay iftra ki saza diye deta hai.
और कहते हैं कि यह जानवर और खेती ममनूअ है उन्हें कोई नहीं खा सकता सिवाए उसके जिसको हम चाहें उनके अपने गुमान के मुताबिक़, और फ़लाँ चौपाये हैं कि उनकी पीठ (पर सवारी) हराम कर दी गई है और कुछ चौपाये हैं जिन पर वे अल्लाह का नाम नहीं लेते, यह सब उन्होंने अल्लाह पर झूठ बाँधा है, अल्लाह जल्द उनको इस झूठ बाँधने का बदला देगा।
And they say, "What is in the bellies of these animals is exclusively for our males and forbidden to our females. But if it is [born] dead, then all of them have shares therein." He will punish them for their description. Indeed, He is Wise and Knowing.
Aur woh kehtay hain kay jo cheez inn mawashi kay pet mein hai woh khalis humaray mardon kay liye hai aur humari aurton per haram hai. Aur agar woh murda hai to iss mein sab barabar hain abhi Allah inn ko inn ki ghalat biyani ki saza diye deta hai bila shuba woh hikmat wala hai aur woh bara ilm wala hai.
और कहते हैं कि फलाँ क़िस्म के जानवरों के पेट में जो है वह हमारे मर्दों के लिए ख़ास है और वह हमारी औरतों के लिए हराम है, और अगर वह मुर्दा हो तो उसमें सब शरीक हैं, अल्लाह जल्द उनको इस कहने की सज़ा देगा, बेशक अल्लाह हिकमत वाला, इल्म वाला है।
Those will have lost who killed their children in foolishness without knowledge and prohibited what Allah had provided for them, inventing untruth about Allah . They have gone astray and were not [rightly] guided.
Waqaee kharabi mein parr gaye woh log jinhon ney apni aulad ko mehaz barah-e-himaqat bila kiss sanad kay qatal ker dala aur jo cheez inn ko Allah ney khaney peeney ko di thin unn ko haram ker liya mehaz Allah per iftra bandhney kay tor per. Be-shak yeh log gumrahi mein parr gaye aur kabhi raah-e-raast per chalney walay nahi huye.
वे लोग घाटे में पड़ गए जिन्होंने अपनी औलाद को क़त्ल किया नादानी से बग़ैर किसी इल्म के और उन्होंने उस रिज़्क़ को हराम कर लिया जो अल्लाह ने उनको दिया था अल्लाह पर बोहतान बाँधते हुए, वे गुमराह हो गए और हिदायत पाने वाले न बने।
And He it is who causes gardens to grow, [both] trellised and untrellised, and palm trees and crops of different [kinds of] food and olives and pomegranates, similar and dissimilar. Eat of [each of] its fruit when it yields and give its due [zakah] on the day of its harvest. And be not excessive. Indeed, He does not like those who commit excess.
Aur wohi hai jiss ney baghaat peda kiye woh bhi jo tattiyon per charhaye jatay hain aur woh bhi jo tattiyon per nahi charhaye jatay aur khujoor kay adrakht aur kheti jin mein khaney ki cheezen mukhatalif tor ki hoti hain aur zaitoon aur anaar jo bahum aik doosray kay mushabay bhi hotay hain aur aik doosray kay mushabay nahi bhi hotay inn sab kay phalon mein say khao jab woh nikal aaye aue iss mein jo haq wajib hai woh iss kay kaatney kay din diya kero aur hadd say mat guzro yaqeenan woh hadd say guzarney walon ko na pasand kerta hai.
और वह अल्लाह ही है जिसने ऐसे बाग़ात पैदा किए (जिनमें से) कुछ टट्टियों पर चढ़ाए जाते हैं और कुछ नहीं चढ़ाए जाते, और खजूर के दरख़्त और खेती कि उसके खाने की चीज़ें मुख़्तलिफ़ होती हैं और ज़ैतून और अनार बाहम मिलते-जुलते भी और एक-दूसरे से मुख़्तलिफ़ भी, खाओ उनकी पैदावार जबकि वे फलें और अल्लाह का हक़ अदा करो उसके काटने के दिन, और फ़ज़ूलख़र्ची न करो बेशक अल्लाह फ़ज़ूलख़र्ची करने वालों कों पसंद नहीं करता।
And of the grazing livestock are carriers [of burdens] and those [too] small. Eat of what Allah has provided for you and do not follow the footsteps of Satan. Indeed, he is to you a clear enemy.
Aur mawashi mein oonchay qad kay aur chotay qad kay ( peda kiye ) jo kuch Allah ney tum ko diya hai khao aur shetan kay qadam ba qadam mat chalo bila shak woh tumhara sareeh dushman hai.
और चौपायों में से अल्लाह ने वे जानवर भी पैदा किए जो बोझ उठाते हैं और वे भी जो ज़मीन से लगे हुए होते हैं, अल्लाह ने जो रिज़्क़ तुम्हें दिया है उस में से खाओ और शैतान के नक़्शे-क़दम पर न चलो, यक़ीन जानो कि वे तुम्हारे लिए खुला दुश्मन है।
[They are] eight mates - of the sheep, two and of the goats, two. Say, "Is it the two males He has forbidden or the two females or that which the wombs of the two females contain? Inform me with knowledge, if you should be truthful."
( peda kiye ) aath narr-o-maada yani bhair mein do qisam aur bakri mein do qisam aap kahiye kay kiya Allah ney inn dono narron ko haram kiya hai ya dono maada ko? Ya uss ko jiss ko dono maada pet mein liye huye hon? Tum mujh ko kissi daleel say to batao agar sachay ho.
(अल्लाह ने) आठ जोड़े पैदा किए, दो भेड़ की क़िस्म से और दो बकरी की क़िस्म से, आप पूछिए कि दोनों नर अल्लाह ने हराम किए हैं या दोनों मादा या वे बच्चे जो भेड़ों और बकरियों के पेट में हों, मुझे दलील के साथ बताओ अगर तुम सच्चे हो।
And of the camels, two and of the cattle, two. Say, "Is it the two males He has forbidden or the two females or that which the wombs of the two females contain? Or were you witnesses when Allah charged you with this? Then who is more unjust than one who invents a lie about Allah to mislead the people by [something] other than knowledge? Indeed, Allah does not guide the wrongdoing people."
Aur oont mein do qisam aur gaye mein do qisam aap kahiye kay kiya Allah Taalaa ney inn dono narron ko haram kiya hai ya dono maada ko? Ya uss ko jiss ko dono maada pet mein liye huye hon? Kiya tum hazir thay jiss waqt Allah Taalaa ney tum ko iss ka hukum diya? To uss say ziyada kaun zalim hoga jo Allah Taalaa per bila daleel jhooti tohmat lagaye takay logon ko gumrah keray yaqeenan Allah Taalaa zalim logon ko raasta nahi dikhlata.
और इसी तरह दो ऊँट की क़िस्म से हैं और दो गाय की क़िस्म से, आप पूछिए कि दोनों नर अल्लाह ने हराम किए हैं या दोनों मादा या वे बच्चे जो ऊँटनी और गाय के पेट में हों, क्या तुम उस वक़्त हाज़िर थे जब अल्लाह ने तुमको इसका हुक्म दिया था? फिर उससे ज़्यादा ज़ालिम कौन है जो अल्लाह पर झूठा बोहतान बाँधे ताकि वे लोगों को बहका दे बग़ैर इल्म के, बेशक अल्लाह ज़ालिमों को राह नहीं दिखाता।
Say, "I do not find within that which was revealed to me [anything] forbidden to one who would eat it unless it be a dead animal or blood spilled out or the flesh of swine - for indeed, it is impure - or it be [that slaughtered in] disobedience, dedicated to other than Allah . But whoever is forced [by necessity], neither desiring [it] nor transgressing [its limit], then indeed, your Lord is Forgiving and Merciful."
Aap keh dijiye kay jo kuch ehkaam ba-zariya wahee meray pass aaye hain unn mein to mein koi haram nahi pata kissi khaney walay kay liye jo uss ko khaye magar yeh kay woh murdaar ho ya khinzeer ka gosht ho kiyon kay woh bilkul na pak hai ya jo shirk ka zariya ho kay ghair Allah kay liye naamzad ker diya gaya ho. Phir jo shaks majboor hojaye ba-shart-e-kay na to taalib-e-lazzat ho aur na tajawuz kerney wala ho to waqaee aap ka rab ghafoor-ur-raheem hai.
आप कह दीजिए कि मुझ पर वह्य आई है उसमें तो मैं कोई चीज़ नहीं पाता जो हराम हो किसी खाने वाले पर जो उसको खाए सिवाए इसके कि वे मुर्दार हो या बहाया हुआ ख़ून हो या सुअर का गोश्त हो कि वह नापाक है या नाजायज़ ज़बीहा जिस पर अल्लाह के सिवा किसी और का नाम लिया गया हो, लेकिन जो शख़्स भूख से बे-इख़्तियार हो जाए न नाफ़रमानी करे और न ज़्यादती करे तो आपका रब बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And to those who are Jews We prohibited every animal of uncloven hoof; and of the cattle and the sheep We prohibited to them their fat, except what adheres to their backs or the entrails or what is joined with bone. [By] that We repaid them for their injustice. And indeed, We are truthful.
Aur yahun per hum ney tamam nakhun walay janwar haram ker diye thay aur gaye aur bakri mein say inn dono ki charbiyan unn per hum ney haram ker di thin magar woh jo unn ki pusht per ya antriyon mein lagi ho ya jo haddi say milli ho. Unn ki shararat kay sabab hum ney unn ko yeh saza di aur hum yaqeenan sachay hain.
और यहूद पर हमने सारे नाख़ुन वाले जानवर हराम किए थे और गाय और बकरी की चर्बी हराम की सिवाए उसके जो उनकी पीठ या आँतों से लगी हो या किसी हड्डी से लगी हुई हो, यह सज़ा दी थी हमने उनको उनकी सरकशी पर, और यक़ीनन हम सच्चे हैं।
So if they deny you, [O Muhammad], say, "Your Lord is the possessor of vast mercy; but His punishment cannot be repelled from the people who are criminals."
Phir agar yeh aap ko kaazib kahen to aap farma dijiye kay tumhara rab bara wasee rehmat wala hai aur iss ka azab mujrim logon say na talay ga.
पस अगर वे आपको झुठलाएं तो आप कह दें कि तुम्हारा रब तो बड़ी वसीअ़ रहमत वाला है, और उसका अज़ाब मुजरिम लोगों से फेरा नहीं जा सकता।
Those who associated with Allah will say, "If Allah had willed, we would not have associated [anything] and neither would our fathers, nor would we have prohibited anything." Likewise did those before deny until they tasted Our punishment. Say, "Do you have any knowledge that you can produce for us? You follow not except assumption, and you are not but falsifying."
Yeh mushrikeen ( yun ) kahen gay kay agar Allah Taalaa ko manzoor hota to na hum shirk kertay aur na humaray baap dada aur na hum kissi cheez ko haram keh saktay. Issi tarah jo log inn say pehlay ho chukay hain unhon ney bhi takzeeb ki thi yahan tak kay unhon ney humaray azab ka maza chakha. Aap kahiye kay kiya tumharay pass koi daleel hai to iss ko humaray roo baroo zahir kero. Tum log mehaz khayali baaton per chaltay ho aur tum bilkul atkal say baaten banatay ho.
जिन्होंने शिर्क किया वे कहेंगे कि अगर अल्लाह चाहता तो न हम शिर्क करते और न हमारे बाप-दादा करते और न हम किसी चीज़ को हराम कर लेते, इसी तरह झुठलाया उन लोगें ने भी जो इससे पहले हुए थे यहाँ तक कि उन्होंने हमारा अज़ाब चखा, आप पूछिए कि क्या तुम्हारे पास कोई इल्म है जिसको तुम हमारे सामने पेश करो, तुम तो सिर्फ़ गुमान के पीछे चल रहे हो और महज़ अंदाज़ों से काम ले रहे हो।
Say, "With Allah is the far-reaching argument. If He had willed, He would have guided you all."
Aap kahiye kay bus poori hujjat Allah hi ki rahi. Phir agar woh chahata to tum sab ko raah-e-raast per ley aata.
आप कह दीजिए कि पूरी हुज्जत तो अल्लाह की है, और अगर अल्लाह चाहता तो तुम सबको हिदायत दे देता।