Unquestionably, to Allah belongs whatever is in the heavens and earth. Already He knows that upon which you [stand] and [knows] the Day when they will be returned to Him and He will inform them of what they have done. And Allah is Knowing of all things.
Aagah hojao kay aasma-o-zamin mein jo kuch hai sab Allah Taalaa hi ka hai. Jiss ravish per tum ho woh issay bakhoobi janta hai aur jiss din yeh sab uss ki taraf lotaye jayen gay uss din inn ko inn kay kiye say woh khabardaar ker dey ga. Allah Taalaa sab kuch jannay wala hai.
सुन लो! आकाशों और धरती में जो कुछ भी है, अल्लाह का है। वह जानता है तुम जिस (नीति) पर हो। और जिस दिन वे उस की ओर पलटेंगे, तो जो कुछ उन्होंने किया होगा, वह उन्हें बता देगा। अल्लाह तो हर चीज़ को जानता है
He to whom belongs the dominion of the heavens and the earth and who has not taken a son and has not had a partner in dominion and has created each thing and determined it with [precise] determination.
Ussi Allah ki saltanat hai aasmano aur zamin ki aur woh koi aulad nahi rakhta na uss ki saltanat mein koi uss ka sajhi hai aur her cheez ko uss ney peda ker kay aik munasib andaza thera diya hai.
वह जिस का राज्य है आकाशों और धरती पर, और उस ने न तो किसी को अपना बेटा बनाया और न राज्य में उस का कोई साझी है। उस ने हर चीज़ को पैदा किया; फिर उसे ठीक अन्दाजें पर रखा
And Solomon inherited David. He said, "O people, we have been taught the language of birds, and we have been given from all things. Indeed, this is evident bounty."
Aur dawood kay waris suleman huye aur kehney lagay logo! Humen perindon ki boli sikhaee gaee hai aur hum sab kuch mein say diye gaye hain. Be-shak yeh bilkul khula hua fazal-e-elahee hai.
दाऊद का उत्तराधिकारी सुलैमान हुआ और उस ने कहा, "ऐ लोगों! हमें पक्षियों की बोली सिखाई गई है और हमें हर चीज़ दी गई है। निस्संदेह वह स्पष्ट बड़ाई है।"
Indeed, I found [there] a woman ruling them, and she has been given of all things, and she has a great throne.
Mein ney dekha kay unn ki badshaat aik aurat ker rahi hai jissay her qisam ki cheez say kuch na kuch diya gaya hai aur uss ka takht bhi bari azmat wala hai.
मैंने एक स्त्री को उन पर शासन करते पाया है। उसे हर चीज़ प्राप्त है और उस का एक बड़ा सिंहासन है
And you see the mountains, thinking them rigid, while they will pass as the passing of clouds. [It is] the work of Allah , who perfected all things. Indeed, He is Acquainted with that which you do.
Aur aap paharon ko dekh ker apni jagah jamay huye khayal kertay hain lekin woh bhi badal ki tarah urtay phiren gay yeh hai san’at Allah ki jiss ney her cheez ko mazboot banaya hai jo kuch tum kertay ho uss say woh ba-khabar hai.
और तुम पहाड़ों को देखकर समझते हो कि वे जमे हुए हैं, हालाँकि वे चल रहे होंगे, जिस प्रकार बादल चलते हैं। यह अल्लाह की कारीगरी है, जिस ने हर चीज़ को सुदृढ़ किया। निस्संदेह वह उस की ख़बर रखता है, जो कुछ तुम करते हो
[Say, O Muhammad], "I have only been commanded to worship the Lord of this city, who made it sacred and to whom [belongs] all things. And I am commanded to be of the Muslims [those who submit to Allah ]
Mujhay to bus yehi hukum diya gaya hai kay mein iss shehar kay perwerdigar ki ibadat kerta rahon jiss ney issay hurmat wala banaya hai jiss ki milkiyat her cheez hai aur mujhay yeh bhi farmaya gaya hai kay mein farmanbardaron mein say ho jaon.
मुझे तो बस यही आदेश मिला है कि इस नगर (मक्का) के रब की बन्दगी करूँ, जिस ने इसे आदरणीय ठहराया और उसी की हर चीज़ है। और मुझे आदेश मिला है कि मैं आज्ञाकारी बनकर रहूँ
And they say, "If we were to follow the guidance with you, we would be swept from our land." Have we not established for them a safe sanctuary to which are brought the fruits of all things as provision from Us? But most of them do not know.
Kehney lagay kay agar hum aap kay sath hoker hidayat kay tabey daar bann jayen to hum to apnay mulk say uchak liye jayen kiya hum ney unehn aman-o-amaan aur hurmat walay haram mein jagah nahi di? Jahan tamam cheezon kay phal khinchay chalay aatay hain jo humaray pass bator rizk kay hain lekin inn mein say aksar kuch nahi jantay.
वे कहते हैं, "यदि हम तुम्हारे साथ इस मार्गदर्शन का अनुसरण करें तो अपने भू-भाग से उचक लिए जाएँगे।" क्या ख़तरों से सुरक्षित हरम में हम ने ठिकाना नहीं दिया, जिस की ओर हमारी ओर से रोज़ी के रूप में हर चीज़ की पैदावार खिंची चली आती है? किन्तु उन में से अधिकतर जानते नहीं
And whatever thing you [people] have been given - it is [only for] the enjoyment of worldly life and its adornment. And what is with Allah is better and more lasting; so will you not use reason?
Aur tumhen jo kuch diya gaya hai woh sirf zindag-e-duniya ka samaan aur ussi ki ronaq hai haan Allah kay pass jo hai woh boht hi behtar aur dairpaa hai. Kiya tum nahi samajhtay.
जो चीज़ भी तुम्हें प्रदान की गई है वह तो सांसारिक जीवन की सामग्री और उस की शोभा है। और जो कुछ अल्लाह के पास है वह उत्तम और शेष रहने वाला है, तो क्या तुम बुद्धि से काम नहीं लेते?
And do not invoke with Allah another deity. There is no deity except Him. Everything will be destroyed except His Face. His is the judgement, and to Him you will be returned.
Allah Taalaa kay sath kissi aur mabood ko na pukarna ba-juz Allah Taalaa kay koi aur mabood nahi her cheez fana honey wali hai magar ussi ka mun. ( aur zaat ) ussi kay liye farmanrawaee hai aur tum ussi ki taraf lotaye jaogay.
और अल्लाह के साथ किसी और इष्ट-पूज्य को न पुकारना। उस के सिवा कोई इष्ट-पूज्य नहीं। हर चीज़ नाशवान है सिवास उस के स्वरूप के। फ़ैसला और आदेश का अधिकार उसी को प्राप्त है और उसी की ओर तुम सबको लौटकर जाना है
And those who disbelieve say to those who believe, "Follow our way, and we will carry your sins." But they will not carry anything of their sins. Indeed, they are liars.
Kafiron ney eman walon say kaha kay tum humari raah ki taby daari kero tumharay gunah hum utha len gay halankay woh inn kay gunahon mein say kuch bhi nahi uthaney walay yeh to mehaz jhootay hain.
और इनकार करने वाले ईमान लाने वालों से कहते हैं, "तुम हमारे मार्ग पर चलो, हम तुम्हारी ख़ताओं का बोझ उठा लेंगे।" हालाँकि वे उन की ख़ताओं में से कुछ भी उठाने वाले नहीं हैं। वे निश्चय ही झूठे हैं
Say, [O Muhammad], "Travel through the land and observe how He began creation. Then Allah will produce the final creation. Indeed Allah , over all things, is competent."
Keh dijiye! kay zamin mein chal phir ker dekho to sahi kay kiss tarah Allah Taalaa ney ibtida’an pedaeesh ki. Phir Allah Taalaa hi doosri naee pedaeesh keray ga Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
कहो कि, "धरती में चलो-फिरो और देखो कि उस ने किस प्रकार पैदाइश का आरम्भ किया। फिर अल्लाह पश्चात्वर्ती उठान उठाएगा। निश्चय ही अल्लाह को हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
Indeed, Allah knows whatever thing they call upon other than Him. And He is the Exalted in Might, the Wise.
Allah Taalaa unn tamam cheezon ko janta hai jinhen woh uss kay siwa pukar rahey hain woh zabardast aur zee hikmat hai.
निस्संदेह अल्लाह उन चीज़ों को भली-भाँति जानता है, जिन्हें ये उस से हटकर पुकारते हैं। वह तो अत्यन्त प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
Allah extends provision for whom He wills of His servants and restricts for him. Indeed Allah is, of all things, Knowing.
Allah Taalaa apnay bandon mein say jissay chahaye farakh rozi deta hai aur jissay chahaye tang. Yaqeenan Allah Taalaa her cheez ka jannay wala hai.
अल्लाह अपने बन्दों में से जिस के लिए चाहता है आजीविका विस्तीर्ण कर देता है और जिस के लिए चाहता है नपी-तुली कर देता है। निस्संदेह अल्लाह हरेक चीज़ को भली-भाँति जानता है
Allah is the one who created you, then provided for you, then will cause you to die, and then will give you life. Are there any of your "partners" who does anything of that? Exalted is He and high above what they associate with Him.
Allah Taalaa woh hai jiss ney tumhen peda kiya phir rozi di phir maar dalay ga phir zinda ker dey ga batao tumharay shareeko mein say koi bhi aisa hai jo inn say kuch bhi ker sakta ho. Allah Taalaa kay liye paki aur bar tari hai her uss sharik say jo yeh log muqarrar kertay hain.
अल्लाह ही है जिस ने तुम्हें पैदा किया, फिर तुम्हें रोज़ी दी; फिर वह तुम्हें मृत्यु देता है; फिर तुम्हें जीवित करेगा। क्या तुम्हारे ठहराए हुए साझीदारों में भी कोई है, जो इन कामों में से कुछ कर सके? महान और उच्च है वह उस से जो साझी वे ठहराते हैं
So observe the effects of the mercy of Allah - how He gives life to the earth after its lifelessness. Indeed, that [same one] will give life to the dead, and He is over all things competent.
Pus aap rehmat-e-elahee kay aasaar dekhen kay zamin ki maut kay baad kiss tarah Allah Taalaa ussay zinda ker deta hai? Kuch shak nahi kay wohi murdon ko zinda kerney wala hai aur woh her her cheez per qadir hai.
अतः देखों अल्लाह की दयालुता के चिन्ह! वह किस प्रकार धरती को उस के मृत हो जाने के पश्चात जीवन प्रदान करता है। निश्चय ही वह मुर्दों को जीवत करने वाला है, और उसे हर चीज़ का सामर्थ्य प्राप्ती है
Who perfected everything which He created and began the creation of man from clay.
Jiss ney khoob banaee jo cheez bhi banaee aur insan ki banawat mitti say shuroo ki.
जिस ने हरेक चीज़, जो बनाई ख़ूब ही बनाई और उस ने मनुष्य की संरचना का आरम्भ गारे से किया
And He caused you to inherit their land and their homes and their properties and a land which you have not trodden. And ever is Allah , over all things, competent.
Aur uss ney tumhen unn ki zamino ka aur unn kay gharbaar ka aur unn kay maal ka waris bana ker diya aur uss zamin ka bhi jiss ko tumharay qadmon ney ronda nahi Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
और उस ने तुम्हें उन के भू-भाग और उन के घरों और उन के मालों का वारिस बना दिया और उस भू-भाग का भी जिसे तुम ने पददलित नहीं किया। वास्तव में अल्लाह को हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
Muhammad is not the father of [any] one of your men, but [he is] the Messenger of Allah and last of the prophets. And ever is Allah , of all things, Knowing.
( logo ) tumharay mardo mein say kissi kay baap Muhammad ( PBUH ) nahi lekin aap Allah Taalaa kay rasool hain aur tamam nabiyon kay khatam kerney walay aur Allah Taalaa her cheez ka ( ba-khoobi ) jannay wala hai.
मुहम्मद तुम्हारे पुरुषों में से किसी के बाप नहीं हैं, बल्कि वे अल्लाह के रसूल और नबियों के समापक हैं। अल्लाह को हर चीज़ का पूरा ज्ञान है
Not lawful to you, [O Muhammad], are [any additional] women after [this], nor [is it] for you to exchange them for [other] wives, even if their beauty were to please you, except what your right hand possesses. And ever is Allah , over all things, an Observer.
Iss kay baad aurten aap kay liye halal nahi aur na yeh ( durust hai ) kay inn kay badlay aur aurton say ( nikkah keray ) agarcheh unn ki soorat achi bhi lagti ho magar jo teri mamlooka hon. Aur Allah Taalaa her cheez ka ( poora ) nigehban hai.
इस के पश्चात तुम्हारे लिए दूसरी स्त्रियाँ वैध नहीं और न यह कि तुम उन की जगह दूसरी पत्नियाँ ले आओ, यद्यपि उन का सौन्दर्य तुम्हें कितना ही भाए। उन की बात और है जो तुम्हारी लौंडियाँ हो। वास्तव में अल्लाह की दृष्टि हर चीज़ पर है
Whether you reveal a thing or conceal it, indeed Allah is ever, of all things, Knowing.
Tum kissi cheez ko zahir kero ya makhfi rakho Allah to her her cheez ka ba-khoobi ilm rakhney wala hai.
तुम चाहे किसी चीज़ को व्यक्त करो या उसे छिपाओ, अल्लाह को तो हर चीज़ का ज्ञान है
There is no blame upon women concerning their fathers or their sons or their brothers or their brothers' sons or their sisters' sons or their women or those their right hands possess. And fear Allah . Indeed Allah is ever, over all things, Witness.
Unn aurton per koi gunah nahi kay woh apnay bapon aur apnay beton aur bhaiyon aur bhatijon aur bhanjon aur apni ( mail jol ki ) aurton aur milkiyat kay matehaton ( londi, ghulam ) kay samney hon. ( aurton! ) Allah say darti raho. Allah Taalaa yaqeenan her cheez per shahid hai.
न उन के लिए अपने बापों के सामने होने में कोई दोष है और न अपने बेटों, न अपने भाइयों, न अपने भतीजों, न अपने भांजो, न अपने मेल की स्त्रियों और न जिन पर उन्हें स्वामित्व का अधिकार प्राप्त हो उन के सामने होने में। अल्लाह का डर रखो, निश्चय ही अल्लाह हर चीज़ का साक्षी है
And he had over them no authority except [it was decreed] that We might make evident who believes in the Hereafter from who is thereof in doubt. And your Lord, over all things, is Guardian.
Shetan ka unn per koi zor ( aur dabao ) na tha magar iss liye kay hum inn logon ko jo aakhirat per eman rakhtay hain zahir ker dein unn logon mein say jo iss say shak mein hain.aur aap ka rab ( her ) her cheez per nigehbaan hai.
यद्यपि उसको उन पर कोई ज़ोर और अधिकार प्राप्त न था, किन्तु यह इसलिए कि हम उन लोगों को जो आख़िरत पर ईमान रखते हैं उन लोगों से अलग जान ले जो उस की ओर से किसी सन्देह में पड़े हुए हैं। तुम्हारा रब हर चीज़ का अभिरक्षक है
Say, "Indeed, my Lord extends provision for whom He wills of His servants and restricts [it] for him. But whatever thing you spend [in His cause] - He will compensate it; and He is the best of providers."
Keh dijiye! kay mera rab apnay bandon mein jiss kay liye chahaye rozi kushada kerta hai aur jiss kay liye chahata hai tang ker deta hai tum jo kuch bhi Allah ki raah mein kharach kero gay Allah uss ka ( poora poora ) badla dey ga aur woh sab say behtar rozi denay wala hai.
कह दो, "मेरा रब ही है जो अपने बन्दों में से जिस के लिए चाहता है रोज़ी कुशादा कर देता है और जिस के लिए चाहता है नपी-तुली कर देता है। और जो कुछ भी तुम ने ख़र्च किया, उस की जगह वह तुम्हें और देगा। वह सबसे अच्छा रोज़ी देने वाला है।"
Say, "Whatever payment I might have asked of you - it is yours. My payment is only from Allah , and He is, over all things, Witness."
Keh dijiye! kay jo badla mein tum say maangon woh tumharay liye hai mera badla to Allah Taalaa hi kay zimmay hai. Woh her cheez say ba-khabar ( aur mutlaa ) hai.
कहो, "मैं तुम से कोई बदला नहीं माँगता वह तुम्हें ही मुबारक हो। मेरा बदला तो बस अल्लाह के ज़िम्मे है और वह हर चीज का साक्षी है।"
[All] praise is [due] to Allah , Creator of the heavens and the earth, [who] made the angels messengers having wings, two or three or four. He increases in creation what He wills. Indeed, Allah is over all things competent.
Uss Allah kay liye tamam tareefen sazawaar hain jo ( ibtida’an ) aasmano aur zamin ka peda kerney wala aur do do teen teen char char paron walay farsihton ko apna payghumber ( qasid ) bananey wala hai makhlooq mein jo chahaye ziyadti kerta hai Allah Taalaa yaqeenan her cheez per qadir hai.
सब प्रशंसा अल्लाह के लिए है, जो आकाशों और धरती का पैदा करने वाला है। दो-दो, तीन-तीन और चार-चार फ़रिश्तों को बाज़ुओं वाले सन्देशवाहक बनाकर नियुक्त करता है। वह संरचना में जैसी चाहता है, अभिवृद्धि करता है। निश्चय ही अल्लाह को हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
Have they not traveled through the land and observed how was the end of those before them? And they were greater than them in power. But Allah is not to be caused failure by anything in the heavens or on the earth. Indeed, He is ever Knowing and Competent.
Aur kiya yeh log zamin mein chalay phiray nahi jiss mein dekhtay bhaaltay kay jo log inn say pehlay ho guzray hain unn ka anjam kiya hua? Halankay woh qooat mein inn say barhay huyey thay aur Allah aisa nahi hai kay koi cheez uss ko hara day na aasmano mein aur na zamin mein woh baray ilm wala bari qudrat wala hai.
क्या वे धरती में चले-फिरे नहीं कि देखते कि उन लोगों का कैसा परिणाम हुआ है जो उन से पहले गुज़रे हैं? हालाँकि वे शक्ति में उन से कही बढ़-चढ़कर थे। अल्लाह ऐसा नहीं कि आकाशों में कोई चीज़ उसे मात कर सके और न धरती ही में। निस्संदेह वह सर्वज्ञ, सामर्थ्यमान है
Indeed, it is We who bring the dead to life and record what they have put forth and what they left behind, and all things We have enumerated in a clear register.
Be-shak hum murdon ko zindah keren gay aur hum likhtay jatay hain woh aemaal bhi jin ko log aagay bhejtay hain aur unn kay woh aemaal bhi jin ko peechay chor jatay hain aur hum ney her cheez ko aik wazeh kitab mein zabt ker rakha hai.
निस्संदेह हम मुर्दों को जीवित करेंगे और हम लिखेंगे जो कुछ उन्होंने आगे के लिए भेजा और उन के चिन्हों को (जो पीछे रहा) । हर चीज़ हम ने एक स्पष्ट किताब में गिन रखी है
They said, "You are not but human beings like us, and the Most Merciful has not revealed a thing. You are only telling lies."
Unn logon ney kaha kay tum to humari tarah mamooli aadmi ho aur rehman ney koi cheez nazil nahi ki. Tum nira jhoot boltay ho.
वे बोले, "तुम तो बस हमारे ही जैसे मनुष्य हो। रहमान ने तो कोई भी चीज़ अवतरित नहीं की है। तुम केवल झूठ बोलते हो।"
So exalted is He in whose hand is the realm of all things, and to Him you will be returned.
Pus pak hai woh Allah jiss hath mein her cheez ki badshaat hai aur jiss ki taraf tum sab lotaye jaogay.
अतः महिमा है उस की, जिस के हाथ में हर चीज़ का पूरा अधिकार है। और उसी की ओर तुम लौटकर जाओगे
Allah is the Creator of all things, and He is, over all things, Disposer of affairs.
Allah her cheez ka peda kerney wala hai aur wohi her cheez per nigehbaan hai.
अल्लाह हर चीज़ का स्रष्टा है और वही हर चीज़ का ज़िम्मा लेता है
Allah is the Creator of all things, and He is, over all things, Disposer of affairs.
Allah her cheez ka peda kerney wala hai aur wohi her cheez per nigehbaan hai.
अल्लाह हर चीज़ का स्रष्टा है और वही हर चीज़ का ज़िम्मा लेता है
Those [angels] who carry the Throne and those around it exalt [ Allah ] with praise of their Lord and believe in Him and ask forgiveness for those who have believed, [saying], "Our Lord, You have encompassed all things in mercy and knowledge, so forgive those who have repented and followed Your way and protect them from the punishment of Hellfire.
Arash kay uthaney walay aur uss kay aas pass kay ( farishtay ) apnay rab ki tasbeeh hamd kay sath sath kertay hain aur uss per eman rakhtay hain aur eman walon kay liye istaghfaar kertay hain kehtay hain kay aey humaray perwerdigar! Tu ney her cheez ko apni bakhsish aur ilm say gher rakha hai pus tu enhen bakhash day jo toba keren aur teri raah ki perwi keren aur tu enhen dozakh kay azab say bhi bacha lay.
जो सिंहासन को उठाए हुए हैं और जो उस के चतुर्दिक हैं, अपने रब का गुणगान करते हैं और उस पर ईमान रखते हैं और उन लोगों के लिए क्षमा की प्रार्थना करते हैं जो ईमान लाए कि "ऐ हमारे रब! तू हर चीज़ को व्याप्त है। अतः जिन लोगों ने तौबा की और तेरे मार्ग का अनुसरण किया, उन्हें क्षमा कर दे और भड़कती हुई आग की यातना से बचा लें
That is Allah , your Lord, Creator of all things; there is no deity except Him, so how are you deluded?
Yehi Allah hai tum sab ka rab her cheez ka khaliq iss kay siwa koi mabood nahi phir kahan tum phiray jatay ho.
वह है अल्लाह, तुम्हारा रब, हर चीज़ का पैदा करने वाला! उस के सिवा कोई पूज्य-प्रभु नहीं। फिर तुम कहाँ उलटे फिरे जा रहे हो?
And they will say to their skins, "Why have you testified against us?" They will say, "We were made to speak by Allah , who has made everything speak; and He created you the first time, and to Him you are returned.
Yeh apni khalon say kahen gay kay tum ney humaray khilaf shahdat kiyon di woh jawab den gi kay humen uss Allah ney qoot-e-goyaee ata farmaee jiss ney her cheez ko bolney ki taqat bakhshi hai ussi ney tumhen awwal martaba peda kiya aur ussi ki taraf tum sab lotaye jaogay.
वे अपनी खालों से कहेंगे, "तुम ने हमारे विरुद्ध क्यों गवाही दी?" वे कहेंगी, "हमें उसी अल्लाह ने वाक्-शक्ति प्रदान की है, जिस ने प्रत्येक चीज़ को वाक्-शक्ति प्रदान की।" - उसी ने तुम्हें पहली बार पैदा किया और उसी की ओर तुम्हें लौटना है
And of His signs is that you see the earth stilled, but when We send down upon it rain, it quivers and grows. Indeed, He who has given it life is the Giver of Life to the dead. Indeed, He is over all things competent.
Uss Allah ki nishaniyon mein say ( yeh bhi ) hai kay tu zamin ko dabi dabaee dekhta hai phir jab hum iss per meenh barsatay hain to woh tar-o-taza hoker ubharney lagti hai. Jiss ney ussay zindah kiya wohi yaqeeni tor per murdon ko bhi zindah kerney wala hai be-shak woh her ( her ) cheez per qadir hai.
और यह चीज़ भी उस की निशानियों में से है कि तुम देखते हो कि धरती दबी पड़ी है; फिर ज्यों ही हम ने उस पर पानी बरसाया कि वह फबक उठी और फूल गई। निश्चय ही जिस ने उसे जीवित किया, वही मुर्दों को जीवित करने वाला है। निस्संदेह उसे हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
We will show them Our signs in the horizons and within themselves until it becomes clear to them that it is the truth. But is it not sufficient concerning your Lord that He is, over all things, a Witness?
Un-qareeb hum enhen apni nishaniyan aafaq-e-aalam mein bhi dikhayen gay aur khud inn ki apni zaat mein bhi yahan tak kay inn per khul jaye kay haq yehi hai kiya aap kay rab ka her cheez say waqif-o-aagah hona kafi nahi.
शीघ्र ही हम उन्हें अपनी निशानियाँ वाह्य क्षेत्रों में दिखाएँगे और स्वयं उन के अपने भीतर भी, यहाँ तक कि उन पर स्पष्टा हो जाएगा कि वह (क़ुरआन) सत्य है। क्या तुम्हारा रब इस दृष्टि, से काफ़ी नहीं कि वह हर चीज़ का साक्षी है
Unquestionably, they are in doubt about the meeting with their Lord. Unquestionably He is, of all things, encompassing.
Yaqeen jano! Kay yeh log apnay rab kay roobaroo janey say shak mein hain yaad rakho kay Allah Taalaa her cheez ka ehaata kiyey huyey hai.
जान लो कि वे लोग अपने रब से मिलन के बारे में संदेह में पड़े हुए हैं। जान लो कि निश्चय ही वह हर चीज़ को अपने घेरे में लिए हुए हैं
Or have they taken protectors [or allies] besides him? But Allah - He is the Protector, and He gives life to the dead, and He is over all things competent.
Kiya inn logon ney Allah kay siwa aur kaar saaz bana liye hain ( haqeeqatan ) to Allah Taalaa hi kaar saaz hai wohi murdon ko zindah keray ga aur wohi her cheez per qadir hai.
(क्या उन्होंने अल्लाह से हटकर दूसरे सहायक बना लिए हैं,) या उन्होंने उस से हटकर दूसरे संरक्षक बना रखे हैं? संरक्षक तो अल्लाह ही है। वही मुर्दों को जीवित करता है और उसे हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
And in anything over which you disagree - its ruling is [to be referred] to Allah . [Say], "That is Allah , my Lord; upon Him I have relied, and to Him I turn back."
Aur jiss jiss cheez mein tumhara ikhtilaf ho uss ka faisla Allah Taalaa hi ki taraf hai yehi Allah mera rab hai jiss per mein ney bharosa ker rakha hai aur jiss ki taraf mein jhukta hun.
(रसूल ने कहा,) "जिस चीज़ में तुम ने विभेद किया है उस का फ़ैसला तो अल्लाह के हवाले है। वही अल्लाह मेरा रब है। उसी पर मैंने भरोसा किया है, और उसी की ओर में रुजू करता हूँ
To Him belong the keys of the heavens and the earth. He extends provision for whom He wills and restricts [it]. Indeed He is, of all things, Knowing.
Aasmano aur zamin ki kunjiyan ussi ki hain jiss ki chahye rozi kushada ker day aur tang ker day yaqeenan woh her cheez jannay wala hai.
आकाशों और धरती की कुंजियाँ उसी के पास हैं। वह जिस के लिए चाहता है रोज़ी कुशादा कर देता है और जिस के लिए चाहता है नपी-तुली कर देता है। निस्संदेह उसे हर चीज़ का ज्ञान है
So whatever thing you have been given - it is but [for] enjoyment of the worldly life. But what is with Allah is better and more lasting for those who have believed and upon their Lord rely
To tumhen jo kuch diya gaya hai woh zindaganiy-e-duniya ka kuch yun hi sa asbab hai aur Allah kay pass jo hai woh iss say ba-darja behtar aur payedaar hai woh unn kay liye hai jo eman laye aur sirf apnay rab hi per bharosa rakhtay hain.
तुम्हें जो चीज़ भी मिली है वह तो सांसारिक जीवन की अस्थायी सुख-सामग्री है। किन्तु जो कुछ अल्लाह के पास है वह उत्तम है और शेष रहने वाला भी, वह उन्ही के लिए है जो ईमान लाए और अपने रब पर भरोसा रखते है;
And We had certainly established them in such as We have not established you, and We made for them hearing and vision and hearts. But their hearing and vision and hearts availed them not from anything [of the punishment] when they were [continually] rejecting the signs of Allah ; and they were enveloped by what they used to ridicule.
Aur bil-yaqeen hum ney ( qom aad ) ko woh maqdoor diye thay jo tumhen to diye bhi nahi aur hum ney unhen kaan aankhen aur dil bhi dey rakhay thay. Lekin inn kay kano aur dilon ney enhen kuch bhi nafa na phonchaya jabkay woh Allah Taalaa ki aayaton ka inkar kerney lagay aur jiss cheez ka woh mazak uraya kertay thay wohi unn per ulat pari.
हम ने उन्हें उन चीज़ों में जमाव और सामर्थ्य प्रदान की थी, जिनमें तुम्हें जमाव और सामर्थ्य नहीं प्रदान की। और हम ने उन्हें कान, आँखें और दिल दिए थे। किन्तु न तो उन के कान उन के कुछ काम आए और न उन की आँखे और न उन के दिल ही। क्योंकि वे अल्लाह की आयतों का इनकार करते थे और जिस चीज़ की वे हँसी उड़ाते थे, उसी ने उन्हें आ घेरा
Do they not see that Allah , who created the heavens and earth and did not fail in their creation, is able to give life to the dead? Yes. Indeed, He is over all things competent.
Kiya woh nahi dekhtay kay jiss Allah ney aasmano aur zamin ko peda kiya hai aur inn kay peda kerney say woh na thaka woh yaqeenan murdon ko zindah kerney per qadir hai? Kiyon na ho? Woh yaqeenan her cheez per qadir hai.
क्या उन्होंने देखा नहीं कि जिस अल्लाह ने आकाशों और धरती को पैदा किया और उन के पैदा करने से थका नहीं; क्या ऐसा नहीं कि वह मुर्दों को जीवित कर दे? क्यों नहीं, निश्चय ही उसे हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
And [He promises] other [victories] that you were [so far] unable to [realize] which Allah has already encompassed. And ever is Allah , over all things, competent.
Aur tumhen aur ( ghanimaten ) bhi day jinn per abb tak tum ney qaboo nahi paya. Allah Taalaa unhen apnay qaboo mein rakha hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
इस के अतिरिक्त दूसरी और विजय का भी वादा है, जिस की सामर्थ्य अभी तुम्हे प्राप्त नहीं, उन्हें अल्लाह ने घेर रखा है। अल्लाह को हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
When those who disbelieved had put into their hearts chauvinism - the chauvinism of the time of ignorance. But Allah sent down His tranquillity upon His Messenger and upon the believers and imposed upon them the word of righteousness, and they were more deserving of it and worthy of it. And ever is Allah , of all things, Knowing.
Jabkay inn kafiron ney apnay dilon mein hamiyat ko jagah di aur hamiyat bhi jaheeliyat ki so Allah Taalaa ney apnay rasool per aur momineen per apni taraf say taskeen nazil farmaee aur Allah Taalaa ney musalmano ko takway ki baat per jamaye rakha aur woh iss kay ehal aur ziyadah mustahiq thay aur Allah Taalaa her cheez ko khoob jaanta hai.
याद करो जब इनकार करने वाले लोगों ने अपने दिलों में हठ को जगह दी, अज्ञानपूर्ण हठ को; तो अल्लाह ने अपने रसूल पर और ईमान वालो पर सकीना (प्रशान्ति) उतारी और उन्हें परहेज़गारी (धर्मपरायणता) की बात का पाबन्द रखा। वे इस के ज़्यादा हक़दार और इस के योग्य भी थे। अल्लाह तो हर चीज़ जानता है
Say, "Would you acquaint Allah with your religion while Allah knows whatever is in the heavens and whatever is on the earth, and Allah is Knowing of all things?"
Kehdijiye! Kay kiya tum Allah Taalaa ko apni deen dari say aagah ker rahey ho, Allah her uss cheez say jo aasmano mein aur zamin mein hai bakhoobi aagah hai aur Allah her cheez ka jannay wala hai.
कहो, "क्या तुम अल्लाह को अपने धर्म की सूचना दे रहे हो। हालाँकि जो कुछ आकाशों में और जो कुछ धरती में है, अल्लाह सब जानता है? अल्लाह को हर चीज़ का ज्ञान है।"
It left nothing of what it came upon but that it made it like disintegrated ruins.
Woh jiss jiss cheez per girti thi ussay boseedah hadi ki tarah ( choora choora ) kerdeti thi.
वह जिस चीज़ पर से गुज़री उसे उस ने जीर्ण-शीर्ण करके रख दिया
And of all things We created two mates; perhaps you will remember.
Aur her cheez ko hum ney jora jora peda kiya hai takay tum naseehat hasil kero.
और हम ने हर चीज़ के जोड़े बनाए, ताकि तुम ध्यान दो
And those who believed and whose descendants followed them in faith - We will join with them their descendants, and We will not deprive them of anything of their deeds. Every person, for what he earned, is retained.
Aur jo log eman laye aur unki olad ney bhi eman mein unki perwi ki hum unki olad ko unntak phoncha dengey aur unkay amal say hum kuch kum na keren gey.her shaks apney aemaal ka girwi hai.
जो लोग ईमान लाए और उन की सन्तान ने भी ईमान के साथ उस का अनुसरण किया, उन की सन्तान को भी हम उन से मिला देंगे, और उन के कर्म में से कुछ भी कम करके उन्हें नहीं देंगे। हर व्यक्ति अपनी कमाई के बदले में बन्धक है
Or were they created by nothing, or were they the creators [of themselves]?
Kiya yeh baghair kissi ( peda kernay walay ) kay khud ba khud peda hogaye hain? ya yeh khud peda kernay walay hain?
या वे बिना किसी चीज़ के पैदा हो गए? या वे स्वयं ही अपने स्रष्टाँ हैं?