And give good tidings to those who believe and do righteous deeds that they will have gardens [in Paradise] beneath which rivers flow. Whenever they are provided with a provision of fruit therefrom, they will say, "This is what we were provided with before." And it is given to them in likeness. And they will have therein purified spouses, and they will abide therein eternally.
Aur eman walon aur nek amal kerney walon ko unn jannaton ki khushkhabriyan do jin kay neechay nehren beh rahi hain. Jab kabhi woh phalon ka rizq diye jayen gay aur hum shakal laye jayen gay to kahen gay yeh wohi hain jo hum iss say pehlay diye gaye thay aur unn kay liye biwiyan hain saaf suthri aur unn jannaton mein hamesha rehney walay hain.
और ख़ुश-ख़बरी दे दो उन लोगों को जो ईमान लाए और जिन्होंने नेक काम किए इस बात की कि उनके लिए ऐसे बाग़ात होंगे जिनके नीचे से नहरें जारी होंगी, जब भी उनको उन बाग़ों में से कोई फल खाने को मिलेगा तो वे कहेंगेः यह वही है जो इससे पहले हमको दिया गया था, और मिलेगा उनको एक-दूसरे से मिलता-जुलता, और उनके लिए वहाँ सुथरी औरतें होंगी और वे उसमें हमेशा रहेंगे।
And [mention, O Muhammad], when your Lord said to the angels, "Indeed, I will make upon the earth a successive authority." They said, "Will You place upon it one who causes corruption therein and sheds blood, while we declare Your praise and sanctify You?" Allah said, "Indeed, I know that which you do not know."
Aur jab teray rab ney farishton say kaha kay mein zamin mein khalifa bananey wala hun to unhon ney kaha aisay shaks ko kiyon khalifa peda kerta hai jo zamin mein fasaad keray aur khoon bahaye? Aur hum teri tasbeeh hamd aur pakeezgi biyan kerney wala hain. Allah Taalaa ney farmaya jo mein janta hun tum nahi jantay.
और जब तुम्हारे रब ने फ़रिश्तों से कहा कि मैं ज़मीन में एक ख़लीफ़ा बनाने वाला हूँ, फ़रिश्तों ने कहाः क्या आप ज़मीन में ऐसे लोगों को बसाओगे जो उसमें फ़साद मचाएंगे और ख़ून बहाएंगे, और हम आपकी हम्द करते हैं और आपकी पाकी बयान करते हैं, अल्लाह ने कहाः मैं जानता हूँ जो तुम नहीं जानते।
And [mention, O Muhammad], when your Lord said to the angels, "Indeed, I will make upon the earth a successive authority." They said, "Will You place upon it one who causes corruption therein and sheds blood, while we declare Your praise and sanctify You?" Allah said, "Indeed, I know that which you do not know."
Aur jab teray rab ney farishton say kaha kay mein zamin mein khalifa bananey wala hun to unhon ney kaha aisay shaks ko kiyon khalifa peda kerta hai jo zamin mein fasaad keray aur khoon bahaye? Aur hum teri tasbeeh hamd aur pakeezgi biyan kerney wala hain. Allah Taalaa ney farmaya jo mein janta hun tum nahi jantay.
और जब तुम्हारे रब ने फ़रिश्तों से कहा कि मैं ज़मीन में एक ख़लीफ़ा बनाने वाला हूँ, फ़रिश्तों ने कहाः क्या आप ज़मीन में ऐसे लोगों को बसाओगे जो उसमें फ़साद मचाएंगे और ख़ून बहाएंगे, और हम आपकी हम्द करते हैं और आपकी पाकी बयान करते हैं, अल्लाह ने कहाः मैं जानता हूँ जो तुम नहीं जानते।
And those who disbelieve and deny Our signs - those will be companions of the Fire; they will abide therein eternally."
Aur jo inkar keren aur meri aayaton ko jhutlayen woh jahannumi hain aur hamesha ussi mein rahey gay.
और जो लोग इनकार करेंगे और हमारी निशानियों को झुटलाएंगे तो वही लोग दोज़ख़ वाले हैं, वे उसमें हमेशा-हमेश रहेंगे।
He said, "He says, 'It is a cow neither trained to plow the earth nor to irrigate the field, one free from fault with no spot upon her.' " They said, "Now you have come with the truth." So they slaughtered her, but they could hardly do it.
Aap ney farmaya kay Allah ka farman hai kay woh gaaye kaam kerney wali zamin mein hal jootney wali aur kheton ko pani pilaney wali nahi woh tandrust aur bey daagh hai unhon ney kaha abb aap ney haq wazeh ker diya go woh hukum bardari kay qarib na thay lekin ussay mana aur gaaye zibah ker di.
मूसा ने कहाः अल्लाह फ़रमाता है कि वह ऐसी गाय हो कि मेहनत करने वाली न हो, ज़मीन को जोतने वाली और खेतों को पानी देने वाली न हो, वह सालिम हो उसमें कोई दाग़ न हो, उन्होंने कहाः अब तुम वाज़ेह बात लाए, फिर उन्होंने उसको ज़बह किया और वे ज़बह करते नज़र न आते थे।
And [recall] when you slew a man and disputed over it, but Allah was to bring out that which you were concealing.
Jab tum ney aik shaks ko qatal ker dala phir uss mein ikhtilaf kerney lagay aur tumhari posheedgi ko Allah Taalaa zahir kerney wala tha.
और जब तुमने एक शख़्स को मार डाला, फिर एक-दूसरे पर उसका इल्ज़ाम थोपने लगे; हालाँकि अल्लाह को ज़ाहिर करना मंज़ूर था जो कुछ तुम छुपाना चाहते थे।
Yes, whoever earns evil and his sin has encompassed him - those are the companions of the Fire; they will abide therein eternally.
Yaqeenan jiss ney bhi buray kaam kiye aur uss ki na farmaniyon ney ussay gher liya woh hamesha kay liye jahannumi hai.
हाँ जिसने कोई बुराई की और उसके गुनाह ने उसको अपने घेरे में ले लिया, तो वही लोग दोज़ख़ वाले हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
But they who believe and do righteous deeds - those are the companions of Paradise; they will abide therein eternally.
Aur jo log eman laye aur nek kaam keren woh jannati hain jo jannat mein hamesha rahen gay.
और जो ईमान लाए और जिन्होंने नेक अमल किए वे जन्नत वाले लोग हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
And who are more unjust than those who prevent the name of Allah from being mentioned in His mosques and strive toward their destruction. It is not for them to enter them except in fear. For them in this world is disgrace, and they will have in the Hereafter a great punishment.
Uss shaks say barh ker zalim kaun hai jo Allah Taalaa ki masjidon mein Allah Taalaa kay zikar kiye janey ko rokay aur unn ki barbadi ki kosish keray aisay logon ko khof khatay huye hi iss mein jana chahaiye inn kay liye duniya mein bhi ruswaee hai aur aakhirat mein bhi bara azab hai.
और उससे बढ़ कर ज़ालिम और कौन होगा जो अल्लाह की मस्जिदों को इससे रोके कि वहाँ अल्लाह के नाम की याद की जाए और उनको उजाड़ने की कोशिश करे, उनका हाल तो यह होना चाहिए था कि मस्जिदों में अल्लाह से डरते हुए दाख़िल हों, उनके लिए दुनिया में रुसवाई है और आख़िरत में उनके लिए भारी सज़ा है।
Abiding eternally therein. The punishment will not be lightened for them, nor will they be reprieved.
Jiss mein yeh hamesha rahen gay na unn say azab halka kiya jayega aur na unhen dheel di jaye gi.
उसी हाल में वे हमेशा रहेंगे, उन पर से अज़ाब हल्का न किया जाएगा और न उनको ढील दी जाएगी।
Indeed, in the creation of the heavens and earth, and the alternation of the night and the day, and the [great] ships which sail through the sea with that which benefits people, and what Allah has sent down from the heavens of rain, giving life thereby to the earth after its lifelessness and dispersing therein every [kind of] moving creature, and [His] directing of the winds and the clouds controlled between the heaven and the earth are signs for a people who use reason.
Aasmanon aur zamin ki pedaeesh raat din ka hair pher kashtiyon ka logon ko nafa denay wali cheezon ko liye huye samandar mein chalna aasman say pani utaar ker murda zamin ko zinda ker dena iss mein her qisam kay janwaron ko phela dena hawaon kay rukh badalna aur badal jo aasmana ur zamin kay darmiyan musakhhar hain unn mein aqal mandon kay liye qudrat-e-elahee ki nishaniyan hain.
बेशक आसमानों और ज़मीन की बनावट में और रात-दिन के आने-जाने में और उन कश्तियों में जो इंसानों के काम आने वाली चीज़ें लेकर समुंदर में चलती हैं, और उस पानी में जिसको अल्लाह ने आसमान से उतारा, फिर उससे मुर्दा ज़मीन को ज़िंदगी बख़्शी, और उस (ज़मीन) में सब क़िस्म के जानवर फैला दिए, और हवाओं की गर्दिश में और बादलों में जो आसमान व ज़मीन के दरमियान हुक्म के ताबे हैं, उन लोगों के लिए निशानियाँ हैं जो अक़्ल से काम लेते हैं।
And when he goes away, he strives throughout the land to cause corruption therein and destroy crops and animals. And Allah does not like corruption.
Jab woh lot ker jata hai to zamin mein fasad phelaney ki aur kheti aur nasal ki barbadi ki koshish mein laga rehta hai aur Allah Taalaa fasad ko na pasand kerta hai.
और जब वह पलट कर चला जाता है तो वह इस कोशिश में रहता है कि ज़मीन में फ़साद फैलाए और खेतों और जानों को हलाक करे; हालाँकि अल्लाह फ़साद को पसंद नहीं करता।
They ask you about the sacred month - about fighting therein. Say, "Fighting therein is great [sin], but averting [people] from the way of Allah and disbelief in Him and [preventing access to] al-Masjid al-Haram and the expulsion of its people therefrom are greater [evil] in the sight of Allah . And fitnah is greater than killing." And they will continue to fight you until they turn you back from your religion if they are able. And whoever of you reverts from his religion [to disbelief] and dies while he is a disbeliever - for those, their deeds have become worthless in this world and the Hereafter, and those are the companions of the Fire, they will abide therein eternally.
Log aap say hurmat walay maheenon mein laraee ki babat sawal kertay hain aap keh dijiye kay inn mein laraee kerna bara gunah hai lekin Allah ki raah say rokna uss kay sath kufur kerna aur masjid-e-haram say rokna aur wahan kay rehney walon ko wahan say nikalna Allah kay nazdeek uss say bhi bara gunah hai yeh fitna qatal say bhi bara gunah hai yeh log tum say laraee bhiraee kertay hi rahen gay yahan tak kay agar hosakay to tumhen tumharay deen say murtid ker den aur tum mein say jo log apney deen say palat jayen aur issi kufur ki halat mein maren unn kay aemaal-e-duyawi aur ukhrawi sab ghaarat hojayen gay. Yeh log jahannumi hongay aur hamesha hamesha jahannum mein hi rahen gay.
लोग आपसे हुरमत वाले महीने के बारे में पूछते हैं कि उसमें लड़ना कैसा है? (ऐ नबी) कह दीजिए कि उसमें लड़ना बहुत बुरा है, मगर अल्लाह के रास्ते से रोकना, और उसका इनकार करना, और मस्जिदे-हराम से रोकना और उसके लोगों को वहाँ से निकालना अल्लाह के नज़दीक उससे भी ज़्यादा बुरा है, और फ़ित्ना क़त्ल से भी ज़्यादा बड़ी बुराई है, और ये लोग तुमसे बराबर लड़ते रहेंगे यहाँ तक कि तुमको तुम्हारे दीन से फेर दें अगर क़ाबू पा जाएं, और तुम में से जो कोई अपने दीन से फिर जाए और कुफ़्र की हालत में मरे तो ऐसे लोगों के अमल ज़ाया हो गए दुनिया में और आख़िरत में और वे आग में पड़ने वाले हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
Allah is the ally of those who believe. He brings them out from darknesses into the light. And those who disbelieve - their allies are Taghut. They take them out of the light into darknesses. Those are the companions of the Fire; they will abide eternally therein.
Eman laney walon ka kaar saaz Allah Taalaa khud hai woh eunhen andheron say roshni ki taraf nikal ley jata hai aur kafiron kay auliya shayateen hain. Woh enhen roshni say nikal ker andheron ki taraf ley jatay hain yeh log jahannumi hain jo hamesha issi mein paray rahen gay.
अल्लाह दोस्त है ईमान वालों का, वह उनको अंधेरों से निकाल कर उजाले की तरफ़ लाता है, और जिन लोगों ने इनकार किया उनके दोस्त शैतान हैं जो उनको उजाले से निकाल कर अंधेरों की तरफ़ ले जाते हैं, ये आग में जाने वाले लोग हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
Would one of you like to have a garden of palm trees and grapevines underneath which rivers flow in which he has from every fruit? But he is afflicted with old age and has weak offspring, and it is hit by a whirlwind containing fire and is burned. Thus does Allah make clear to you [His] verses that you might give thought.
Kiya tum mein say koi yeh bhi chahata hai kay uss ka khujooron aur angooron ka baagh ho jiss mein nehren beh rahi hon aur her qisam kay phal mojood hon uss shaks ka burhapa aagaya ho uss kay nannhay nannhay say bachay bhi hon aur achanak baagh ko bagoola lag jaye jiss mein aag bhi ho pus woh baagh jal jaye issi tarah Allah Taalaa tumhara liye aayaten biyan kerta hai takay tum ghor-o-fikar kero.
क्या तुम में से कोई यह पसंद करता है कि उसके पास खजूरों और अंगूरों का एक बाग़ हो, उसके नीचे से नहरें बह रही हों, उसमें उसके लिए हर क़िस्म के फल हों, और वह बूढ़ा हो जाए और उसके बच्चे अभी कमज़ोर हों, तब उस बाग़ पर एक बगूला आए जिसमें आग हो पस वह बाग़ जल जाए, इस तरह अल्लाह तुम्हारे लिए खोल कर निशानियाँ बयान करता है; ताकि तुम ग़ौर करो।
Those who consume interest cannot stand [on the Day of Resurrection] except as one stands who is being beaten by Satan into insanity. That is because they say, "Trade is [just] like interest." But Allah has permitted trade and has forbidden interest. So whoever has received an admonition from his Lord and desists may have what is past, and his affair rests with Allah . But whoever returns to [dealing in interest or usury] - those are the companions of the Fire; they will abide eternally therein.
Sood khor log na kharay hongay magar ussi tarah jiss tarah woh khara hota hai jissay shetan chu ker khabti bana dey yeh iss liye kay yeh kaha kertay thay kay tijarat bhi to sood hi ki tarah hai halankay Allah Taalaa ney tijarat ko halal kiya aur sood ko haram jo shaks apney pass aaee hui Allah Taalaa ki naseehat sunn ker ruk gaya uss kay liye woh hai jo guzra aur uss ka moamla Allah Taalaa ki taraf hai aur jo phir doobara ( haram ki taraf ) lota woh jahannumi hai aisay log hamesha hi uss mein rahen gay.
जो लोग सूद खाते हैं वे (क़यामत में) न उठेंगे मगर उस शख़्स की मानिंद जिसको शैतान ने छू कर पागल बना दिया हो, यह इसलिए कि उन्होंने कहा कि तिजारत करना भी वैसा ही है जैसा सूद लेना; हालाँकि अल्लाह ने तिजारत को हलाल ठहराया है और सूद को हराम किया है, फिर जिस शख़्स के पास उसके रब की तरफ़ से नसीहत पहुँची और वह बाज़ आ गया तो जो कुछ वह ले चुका वह उसके लिए है, और उसका मामला अल्लाह के हवाले है, और जो शख़्स फिर वही करे तो वही लोग दोज़ख़ी हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
Say, "Shall I inform you of [something] better than that? For those who fear Allah will be gardens in the presence of their Lord beneath which rivers flow, wherein they abide eternally, and purified spouses and approval from Allah . And Allah is Seeing of [His] servants -
Aap keh dijiye! Kiya mein tumhen iss say boht hi behat cheez bataon? Taqwa walon kay liye unn kay rab taalaa kay pass jannaten hain jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha rahen gay aur pakeeza biwiyan aur Allah Taalaa ki raza mandi hai sab banday Allah Taalaa ki nigah mein hain.
(ऐ नबी) कह दीजिए कि क्या में तुमको बताऊँ उससे बेहतर चीज़, उन लोगों के लिए जो डरते हैं उनके रब के पास बाग़ात हैं जिनके नीचे नहरें जारी होंगी, वे उनमें हमेशा रहेंगे, और साफ़-सुथरी बीवियाँ होंगी और अल्लाह की रज़ामंदी होगी, और अल्लाह अपने बंदों को ख़ूब देखने वाला है।
Abiding eternally therein. The punishment will not be lightened for them, nor will they be reprieved.
Jiss mein yeh hamesha paray rahen gay na to inn say azab halka kiya jayega na enhen mohlat di jaye gi.
वह उसमें हमेशा रहेंगे, न उनका अज़ाब हल्का किया जाएगा और न ही उनको मोहलत दी जाएगी।
They said, "O Moses, indeed within it is a people of tyrannical strength, and indeed, we will never enter it until they leave it; but if they leave it, then we will enter."
Unhon ney jawab diya kay aey musa wahan to zor aawar sirkash log hain aur jab tak woh wahan say na nikal jayen hum to hergiz wahan na jayen gay haan agar woh wahan say nikal jayen phir to hum ( ba khushi ) chalay jayen gay.
उन्होंने कहाः ऐ मूसा! वहाँ एक सख़्त-मिज़ाज क़ौम आबाद है, हम हरगिज़ वहाँ न जाएंगे जब तक वह वहाँ से न निकल जाए, हाँ अगर वह वहाँ से निकल जाए तो हम दाख़िल हो जाएंगे।
They said, "O Moses, indeed we will not enter it, ever, as long as they are within it; so go, you and your Lord, and fight. Indeed, we are remaining right here."
Qom ney jawab diya kay aey musa! Jab tak woh wahan hain tab tak hum hergiz wahan na jayen gay iss liye tum aur tumhara perwerdigar jaa ker dono hi larr bhiro hum yahin bethay huye hain.
उन्होंने कहा कि ऐ मूसा! हम कभी वहाँ दाख़िल न होंगे जब तक वे लोग वहाँ हैं, पस तुम और तुम्हारा अल्लाह दोनों जाकर लड़ो, हम यहाँ बैठे हैं।
But how is it that they come to you for judgement while they have the Torah, in which is the judgement of Allah ? Then they turn away, [even] after that; but those are not [in fact] believers.
( tajjub ki baat hai kay ) woh kaisay apney pass toraat hotay huye jiss mein ehkaam-e-elahee hain tum ko munsif banatay hain phir iss kay baad bhi phir jatay hain dar asal yeh eman-o-yaqeen walay hain hi nahi.
और वे कैसे आपको फ़ैसला करने वाला बना सकते हैं हालाँकि उनके पास तौरात है जिसमें अल्लाह का हुक्म मौजूद है और फिर वे उससे मुँह मोड़ रहे हैं, और ये लोग हरगिज़ ईमान वाले नहीं हैं।
Indeed, We sent down the Torah, in which was guidance and light. The prophets who submitted [to Allah ] judged by it for the Jews, as did the rabbis and scholars by that with which they were entrusted of the Scripture of Allah , and they were witnesses thereto. So do not fear the people but fear Me, and do not exchange My verses for a small price. And whoever does not judge by what Allah has revealed - then it is those who are the disbelievers.
Hum ney toraat nazil farmaee hai jiss mein hidayat-o-noor hai yahudiyon mein issi toraat kay sath Allah Taalaa kay mannay walay anbiya ( alheem-us-salam ) aur ehal-ullah aur ulama faislay kertay thay kiyon kay unhen Allah ki iss kitab ki hifazat ka hukum diya gaya tha. Aur woh iss per iqrari gawah thay abb tumhen chahaiye kay logon say na darro aur sirf mera darr rakho meri aayaton ko thoray thoray mol per na becho jo log Allah ki utari hui wahee kay sath faislay na keren woh ( pooray aur pukhta ) kafir hain.
बेशक हमने तौरात उतारी है जिसमें हिदायत और रौशनी है, उसी के मुताबिक़ अल्लाह के फ़रमाँबरदार अम्बिया यहूदी लोगों के दरमियान फ़ैसला किया करते थे और उनके अल्लाह वाले लोग और उलमा भी; इसलिए कि वह अल्लाह की किताब पर निगहबान ठहराए गए थे और वे उसके गवाह थे, पस तुम इंसानों से न डरो (बल्कि) मुझ से डरो और मेरी आयतों को क़ीमत के बदले न बेचो, और जो कोई उसके मुवाफ़िक़ फ़ैसला न करे जो अल्लाह ने उतारा है तो वही लोग काफ़िर हैं।
So Allah rewarded them for what they said with gardens [in Paradise] beneath which rivers flow, wherein they abide eternally. And that is the reward of doers of good.
Iss liye inn ko Allah Taalaa inn kay iss qol ki waja say aisay baagh dey ga jin kay neechay nehren jari hongi yeh inn mein hamesha hamesha rahen gay aur nek logon ka yehi badla hai.
पस अल्लाह उनको इस क़ौल के बदले में ऐसे बाग़ देगा जिनके नीचे नहरें बहती होंगी वे उन में हमेशा रहेंगे, और यही बदला है नेक अमल करने वालों का।
[The Day] when Allah will say, "O Jesus, Son of Mary, remember My favor upon you and upon your mother when I supported you with the Pure Spirit and you spoke to the people in the cradle and in maturity; and [remember] when I taught you writing and wisdom and the Torah and the Gospel; and when you designed from clay [what was] like the form of a bird with My permission, then you breathed into it, and it became a bird with My permission; and you healed the blind and the leper with My permission; and when you brought forth the dead with My permission; and when I restrained the Children of Israel from [killing] you when you came to them with clear proofs and those who disbelieved among them said, "This is not but obvious magic."
Jab kay Allah Taalaa irshad farmaye ga kay aey essa bin marium mera inam yaad kero jo tum per aur tumhari walida per hua hai jab mein ney tumhen rooh-ul-quddus say taeed di. Tum logon say kalaam kertay thay godd mein bhi aur bari umar mein bhi aur jabkay mein ney tum ko kitab aur hikmat ki baaten aur toraat aur injeel ki taleem di aur jab kay tum meray hukum say gaaray say aik shakal banatay thay jaisay parinday ki shakal hoti hai phir tum iss kay andar phoonk maar detay thay jiss say woh parind bann jata tha meray hukum say aur tum acha ker detay thay maadar zaad andhay ko aur korhi ko meray hukum say aur jab kay tum murdon ko nikal khara ker letay thay meray hukum say aur jab kay mein ney bani israeel ko tum say baaz rakha jab tum unn kay pass daleelen ley ker aaye thay phir unn mein jo kafir thay unhon ney kaha tha kay ba-juz khullay jadoo kay yeh aur kuch bhi nahi.
जब अल्लाह कहेगाः ऐ ईसा बिन मरियम! मेरी उस नेमत को याद करो जो मैंने तुम पर और तुम्हारी माँ पर की, जबकि मैंने रूहुल-क़ुद्स से तुम्हारी मदद की, तुम लोगों से बात करते थे गोद में भी और बड़ी उम्र में भी, और जब मैंने तुमको किताब और हिकमत और तौरात व इंजील की तालीम दी, और जब तुम बनाते थे मिट्टी से परिंदे जैसी सूरत मेरे हुक्म से फिर उस में फूँक मारते थे तो वे मेरे हुक्म से परिंदा बन जाती थी, और तुम अंधे और कोढ़ी को मेरे हुक्म से अच्छा कर देते थे, और जब तुम मुर्दों को मेरे हुक्म से निकाल खड़ा करते थे, और जब मैंने बनी-इस्राईल को तुम से रोका जबकि तुम उनके पास खुली निशानियाँ लेकर आए तो उनमें से काफ़िरों ने कहा कि यह तो बस एक खुला हुआ जादू है।
Those will have lost who deny the meeting with Allah , until when the Hour [of resurrection] comes upon them unexpectedly, they will say, "Oh, [how great is] our regret over what we neglected concerning it," while they bear their burdens on their backs. Unquestionably, evil is that which they bear.
Be-shak khasaray mein paray woh log jinhon ney Allah say milney ki takzeeb ki yahan tak kay jab woh moyyen waqt unn per dafatan aa phonchay ga kahen gay kay haaye afsos humari kotahi per jo iss kay baray mein hui aur halat inn ki yeh hogi kay woh apney baar apni peethon per laaday hongay khoob sunn lo kay buri hogi woh cheez jiss ko woh laaden gay.
यक़ीनन वे लोग घाटे में रहे जिन्होंने अल्लाह से मिलने को झुठलाया, यहाँ तक कि जब वह घड़ी उन पर अचानक आएगी तो वे कहेंगे कि हाय अफ़सोस! इस बारे में हमने कैसी कोताही की और वे अपने बोझ अपनी पीठों पर उठाए हुए होंगे, कितना ही बुरा है वह बोझ जिसको वह उठाएंगे।
And thus We have placed within every city the greatest of its criminals to conspire therein. But they conspire not except against themselves, and they perceive [it] not.
Aur issi tarah hum ney her basti mein wahan kay raeeson hi ko jaraeem ka murtakib banaya takay woh log wahan fareb keren. Aure woh log apney hi sath fareb ker rahey hian aur inn ko zara khabar nahi.
और इस तरह हर बस्ती में हमने गुनहगारों के सरदार रख दिए हैं कि वे वहाँ हीले-बहाने करें; हालाँकि वे जो हीले करते हैं अपने ही ख़िलाफ़ करते हैं मगर वे इसको नहीं समझते।
And We have certainly established you upon the earth and made for you therein ways of livelihood. Little are you grateful.
Aur be-shak hum ney tum ko zamin per rehney ki jagah di aur hum ney tumaharay liye iss mein samaan-e-rizq peda kiya tum log boht hi kum shukar kertay ho.
और हमने तुमको ज़मीन में जगह दी और हमने तुम्हारे लिए उसमें ज़िंदगी का सामान फ़राहम किया, मगर तुम बहुत कम शुक्र करते हो।
[ Allah ] said, "Descend from Paradise, for it is not for you to be arrogant therein. So get out; indeed, you are of the debased.
Haq Taalaa ney farmaya tu aasman say utar tujh ko koi haq hasil nahi kay tu aasman mein reh ker takabbur keray so nikal bey shak to zaleelon mein say hai.
अल्लाह ने कहाः तू उतर जा यहाँ से, तुझे यह हक़ नहीं कि तू उसमें घमंड करे, पस निकल जा यक़ीनन तू ज़लील है।
He said, "Therein you will live, and therein you will die, and from it you will be brought forth."
Farmaya tum ko wahan hi zindagi basar kerna hai aur wahan hi marna hai aur issi mein phir nikalay jao gay.
अल्लाह ने कहाः उसी में तुम जियोगे और उसी में तुम मरोगे और उसी से तुम निकाले जाओगे।
But the ones who deny Our verses and are arrogant toward them - those are the companions of the Fire; they will abide therein eternally.
Aur jo log humaray inn ehkaam ko jhutlayen aur inn say takabbur keren woh log dozakh walay hongay woh iss mein hamesha hamesha rahen gay.
और जो लोग मेरी आयात को झुठलाएं और उनसे तकब्बुर करें वही लोग दोज़ख़ वाले हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
[ Allah ] will say, "Enter among nations which had passed on before you of jinn and mankind into the Fire." Every time a nation enters, it will curse its sister until, when they have all overtaken one another therein, the last of them will say about the first of them "Our Lord, these had misled us, so give them a double punishment of the Fire. He will say, "For each is double, but you do not know."
Allah Taalaa farmaye ga jo firqay tum say pehlay guzar chukay hain jinnaat mein say bhi aur aadmiyon mein say bhi unn kay sath tum bhi dozakh mein jao. Jiss waqt bhi koi jamat dakhil hogi apni doosti jamat ko laanat keray gi yahan tak kay jab iss mein sab jama hojayen gay to pichlay log pehlay logon ki nisbat kahen gay kay humaray perwerdigar hum ko inn logon ney gumrah kiya tha so inn ko dozakh ka azab dugna dey. Allah Taala farmaye ga sab hi ka dugna hai lekin tum ko khabar nahi.
अल्लाह कहेगाः दाख़िल हो जाओ आग में जिन्नात और इंसानों के उन गिरोहों के साथ जो तुमसे पहले गुज़र चुके हैं, जब भी कोई गिरोह (जहन्नम में) दाख़िल होगा वह अपने साथी गिरोह पर लानत करेगा, यहाँ तक कि जब वे सब उसमें जमा हो जाएंगे तो उनके पिछले अपने अगलों के बारे में कहेंगे कि ऐ हमारे रब! यही लोग हैं जिन्होंने हमको गुमराह किया पस आप उनको आग का दोहरा अज़ाब दीजिए, अल्लाह कहेगा कि सबके लिए दोहरा है मगर तुम नहीं जानते।
But those who believed and did righteous deeds - We charge no soul except [within] its capacity. Those are the companions of Paradise; they will abide therein eternally.
Aur jo log eman laye aur nek kaam kiye hum kissi shaks ko uss ki qudrat say ziyada kissi ka mukallaf nahi banatay wohi log jannat walay hain aur woh iss mein hamesha hamesha rahen gay.
और जो लोग ईमान लाए और उन्होंने नेक काम किए हम किसी शख़्स पर उसकी ताक़त के मुताबिक़ ही बोझ डालते हैं, यही लोग जन्नत वाले हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
Those who denied Shu'ayb - it was as though they had never resided there. Those who denied Shu'ayb - it was they who were the losers.
Jinhon ney shoaib ( alh-e-salam ) ki takzeeb ki thi unn ki yeh halat hogaee jaisay inn gharon mein kabhi basay hi na thay. Jinhon ney shoaib ( alh-e-salam ) ki takzeeb ki thi wohi kahasaray mein parr gaye.
जिन्होंने शुऐब (अलै॰) को झुठलाया था गोया वे उस बस्ती में बसे ही न थे, जिन्होंने शुऐब (अलै॰) को झुठलाया वही नुक़सान में रहे।
And We caused the people who had been oppressed to inherit the eastern regions of the land and the western ones, which We had blessed. And the good word of your Lord was fulfilled for the Children of Israel because of what they had patiently endured. And We destroyed [all] that Pharaoh and his people were producing and what they had been building.
Aur hum ney unn logon ko jo kay bilkul kamzor shumat kiye jatay thay uss sir zamin kay poorab pachim ka maalik bana diya jiss mein hum ney barkat rakhi hai aur aap kay rab kay nek wada bani israeel kay haq mein unn kay sabar ki waja say poora hogaya aur hum ney firaon kay aur uss ki qom kay saakhita per daakhita kaar khanon ko aur jo kuch woh oonchi oonchi emarten banwatay thay sab ko darhum barhum ker diya.
और जो लोग कमज़ोर समझे जाते थे उनको हमने ज़मीन के मशरिक़ और मग़रिब का वारिस बना दिया जिसमें हमने बरकत रखी थी, और बनी-इस्राईल पर आपके रब का नेक वादा पूरा हो गया इस वजह से कि उन्होंने सब्र किया, और हमने फ़िरऔन और उसकी क़ौम का वह सब कुछ बरबाद कर दिया जो वे बनाते थे और जो वे चढ़ाते थे।
Their Lord gives them good tidings of mercy from Him and approval and of gardens for them wherein is enduring pleasure.
Enhen unn ka rab khushkhabri deta hai apni rehmat ki aur raza mandi ki aur jannaton ki inn kay liye wahan dawami nemat hai.
उनका रब उनको ख़ुश-ख़बरी देता है अपनी रहमत और ख़ुशनूदी की और ऐसे बाग़ात की जिनमें उनके लिए हमेशा रहने वाली नेमत होगी।
Do they not know that whoever opposes Allah and His Messenger - that for him is the fire of Hell, wherein he will abide eternally? That is the great disgrace.
Kiya yeh nahi jantay kay jo bhi Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat keray ga yaqeenan uss kay liye dozakh ki aag hai jiss mein woh hamesha rehney wala hai yeh zabardast ruswaee hai.
क्या उनको मालूम नहीं कि जो अल्लाह और उसके रसूल की मुख़ालिफ़त करे उसके लिए जहन्नम की आग है जिसमें वह हमेशा रहेगा, यह बहुत बड़ी रुसवाई है।
Allah has promised the hypocrite men and hypocrite women and the disbelievers the fire of Hell, wherein they will abide eternally. It is sufficient for them. And Allah has cursed them, and for them is an enduring punishment.
Allah Taalaa inn munafiq mardon aurton aur kafiron say jahannum ki aag ka wada ker chuka hai jahan yeh hamesha rehney walay hain wohi enhen kafi hai inn per Allah ki phitkar hai aur inn hi kay liye daeemi azab hai.
मुनाफ़िक़ मर्दों और मुनाफ़िक़ औरतों और काफ़िरों से अल्लाह ने जहन्नम की आग का वादा कर रखा है जिसमें वे हमेशा रहेंगे, यही उनके लिए बस है, उन पर अल्लाह की लानत है और उनके लिए क़ायम रहने वाला अज़ाब है।
Allah has promised the believing men and believing women gardens beneath which rivers flow, wherein they abide eternally, and pleasant dwellings in gardens of perpetual residence; but approval from Allah is greater. It is that which is the great attainment.
Inn eman daar mardon aur aurton say Allah ney unn jannaton ka wada farmaya hai jin kay neechay nehren lehren ley rahi hain jahan woh hamesha hamesh rehney walay hain aur inn saaf suthray pakeezah mehallaat ka jo unn hameshgi wali jannaton mein hain aur Allah ki raza mandi sab say bari cheez hai yehi zabardast kaamyabi hai.
मोमिन मर्दों और मोमिन औरतों से अल्लाह का वादा है ऐसे बाग़ात का कि उनके नीचे से नहरें जारी होंगी उनमें वे हमेशा रहेंगे, और वादा है पाकीज़ा मकानों का हमेशा रहने वाले बाग़ात में, और अल्लाह की रज़ामंदी का जो सबसे बढ़कर है, यही बड़ी कामयाबी है।
Allah has prepared for them gardens beneath which rivers flow, wherein they will abide eternally. That is the great attainment.
Enhi kay liye Allah ney woh jannaten tayyar ki hain jin kay neechay nehren jaari hain jin mein yeh hamesha rehney walay hain yehi boht bari kaamyabi hai.
उनके लिए अल्लाह ने ऐसे बाग़ात तैयार कर रखे हैं जिनके नीचे नहरें बहती हैं, उनमें वे हमेशा रहेंगे, यही बड़ी कामयाबी है।
Their call therein will be, "Exalted are You, O Allah ," and their greeting therein will be, "Peace." And the last of their call will be, "Praise to Allah , Lord of the worlds!"
Unn kay mun say yeh baat niklay gi “ subhan Allah ” aur unn ka bahumi salam yeh hoga “Assalam-o-alaikum” aur unn ki akheer baat yeh hogi tamam tareefen Allah kay liye hain jo saray jahaan ka rab hai.
उनके मुँह से यह बात निकलेगीः सुब्हानल्लाह और उनका आपस में सलाम यह होगाः अस्सलामु अलैकुम और उनकी अख़ीर बात यह होगी कि तमाम तारीफ़ें अल्लाह के लिए हैं जो सारे जहानों का रब है।
Their call therein will be, "Exalted are You, O Allah ," and their greeting therein will be, "Peace." And the last of their call will be, "Praise to Allah , Lord of the worlds!"
Unn kay mun say yeh baat niklay gi “ subhan Allah ” aur unn ka bahumi salam yeh hoga “Assalam-o-alaikum” aur unn ki akheer baat yeh hogi tamam tareefen Allah kay liye hain jo saray jahaan ka rab hai.
उनके मुँह से यह बात निकलेगीः सुब्हानल्लाह और उनका आपस में सलाम यह होगाः अस्सलामु अलैकुम और उनकी अख़ीर बात यह होगी कि तमाम तारीफ़ें अल्लाह के लिए हैं जो सारे जहानों का रब है।
For them who have done good is the best [reward] and extra. No darkness will cover their faces, nor humiliation. Those are companions of Paradise; they will abide therein eternally
Jin logon ney neki ki hai unn kay wastay khoobi hai aur mazeed baran bhi aur unn kay chehron per na siayahi chahaye gi aur na zillat yeh log jannat mein rehney walay hain woh iss mein hamesha rehen gay.
जिन लोगों ने भलाई की उनके लिए भलाई है और उस पर मज़ीद भी, और उनके चेहरों पर न सियाही छाएगी और न ज़िल्लत, यही जन्नत वाले लोग हैं वे उसमें हमेशा रहेंगे।
But they who have earned [blame for] evil doings - the recompense of an evil deed is its equivalent, and humiliation will cover them. They will have from Allah no protector. It will be as if their faces are covered with pieces of the night - so dark [are they]. Those are the companions of the Fire; they will abide therein eternally.
Aur jin logon ney bad kaam kiye unn ki badi ki saza uss kay barabar milay gi aur unn ko zillat chahaye gi unn ko Allah Taalaa say koi na bacha sakay ga. Goya unn kay chehron per andheri raat kay parat kay parat lapet diye gaye hain. Yeh log dozakh mein rehney walay hain woh iss mein hamesha rahen gay.
और जिन्होंने बुराइयाँ कमाईं तो बुराई का बदला उसके बराबर है और उन पर रुसवाई छाई हुई होगी, कोई उनको अल्लाह से बचाने वाला न होगा, गोया कि उनके चेहरे अंधेरी रात के टुकड़ों से ढाँक दिए गए हैं, यही लोग दोज़ख़ वाले हैं वे उसमें हमेशा रहेंगे।
Whoever desires the life of this world and its adornments - We fully repay them for their deeds therein, and they therein will not be deprived.
Jo shaks duniya ki zindagi aur iss ki zeenat per farifta hua chahata ho hum aison ko unn kay kul aemaal ( ka badla ) yahin bharpoor phoncha detay hain aur yahan enhen koi kami nahi ki jati.
जो लोग दुनिया की ज़िंदगी और उसकी ज़ीनत चाहते हैं हम उनके आमाल का बदला दुनिया ही में दे देते हैं और उसमें उनके साथ कोई कमी नहीं की जाती।
Whoever desires the life of this world and its adornments - We fully repay them for their deeds therein, and they therein will not be deprived.
Jo shaks duniya ki zindagi aur iss ki zeenat per farifta hua chahata ho hum aison ko unn kay kul aemaal ( ka badla ) yahin bharpoor phoncha detay hain aur yahan enhen koi kami nahi ki jati.
जो लोग दुनिया की ज़िंदगी और उसकी ज़ीनत चाहते हैं हम उनके आमाल का बदला दुनिया ही में दे देते हैं और उसमें उनके साथ कोई कमी नहीं की जाती।
Those are the ones for whom there is not in the Hereafter but the Fire. And lost is what they did therein, and worthless is what they used to do.
Haan yehi woh log hain jin kay liye aakhirat mein siwaye aag kay aur kuch nahi aur jo kuch enhon ney yahan kiya hoga wahan sab ikarat hai aur jo kuch inn kay aemaal thay sab barbad honey walay hain.
यही लोग हैं जिनके लिए आख़िरत में आग के सिवा कुछ नहीं है, उन्होंने दुनिया में जो कुछ बनाया था वह बरबाद हुआ और ख़राब हो गया जो कुछ उन्होंने कमाया था।
Indeed, they who have believed and done righteous deeds and humbled themselves to their Lord - those are the companions of Paradise; they will abide eternally therein.
Yaqeenan jo log eman laye aur unhon ney kaam bhi nek kiye aur apney paalney walay ki taraf jhuktay rahey wohi jannat mein janey walay hain jahan woh hamesha hi rehney walay hain.
जो लोग ईमान लाए और जिन्होंने नेक अमल किए और अपने रब के सामने आजिज़ी की वही लोग जन्नत वाले हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
[So it was], until when Our command came and the oven overflowed, We said, "Load upon the ship of each [creature] two mates and your family, except those about whom the word has preceded, and [include] whoever has believed." But none had believed with him, except a few.
Yahan tak kay jab humara hukum aa phoncha aur tanoor ubalney laga hum ney kaha kay iss kashti mein her qisam kay ( jaandaron mein say ) joray ( yani ) do ( janwar aik nurr aur aik mada ) sawar kera ley aur apney ghar kay logon ko bhi siwaye unn kay jin per pehlay say baat parr chuki hai aur sab eman walon ko bhi uss kay sath eman laney walay boht hi kum thay.
यहाँ तक कि जब हमारा हुक्म आ पहुँचा और तूफ़ान उबल पड़ा तो हमने (नूह से) कहा कि हर क़िस्म के जानवरों का एक-एक जोड़ा कश्ती में रख लो और अपने घर वालों को भी सिवाए उन लोगों के जिनके बारे में पहले कहा जा चुका है और सब ईमान वालों को भी, और थोड़े ही लोग थे जो नूह के साथ ईमान लाए थे।
And [Noah] said, "Embark therein; in the name of Allah is its course and its anchorage. Indeed, my Lord is Forgiving and Merciful."
Nooh ( alh-e-salam ) ney kaha iss kashti mein beth jao Allah hi kay naam say iss ka chalna aur theharna hai yaqeenan mera rab bari bakhsish aur baray reham wala hai.
और नूह (अलै॰) ने कहा कि कश्ती में सवार हो जाओ, अल्लाह के नाम से इसका चलना है और इसका ठहरना भी, बेशक मेरा रब बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And to Thamud [We sent] their brother Salih. He said, "O my people, worship Allah ; you have no deity other than Him. He has produced you from the earth and settled you in it, so ask forgiveness of Him and then repent to Him. Indeed, my Lord is near and responsive."
Aur qom-e-samood ki taraf unn kay bhai saleh ko bheja uss ney kaha aey meri qom tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa tumahra koi mabood nahi ussi ney tumhen zamin say peda kiya hai aur ussi ney tumhen iss zamin mein basaya hai pus tum uss say moafi talab kero aur uss ki taraf rujoo kero. Be-shak mera rab qarib aur duaon ka qabool kerney wala hai.
और समूद की तरफ़ हमने उनके भाई सालेह (अलै॰) को भेजा, उसने कहाः ऐ मेरी क़ौम! अल्लाह की इबादत करो, उसके सिवा कोई तुम्हारा माबूद नहीं, उसी ने तुमको ज़मीन से बनाया और उसमें तुमको आबाद किया, पस उससे माफ़ी चाहो फिर उसकी तरफ़ रुजूअ़ करो, बेशक मेरा रब क़रीब है, क़बूल करने वाला है।