But those who have believed and emigrated and fought in the cause of Allah and those who gave shelter and aided - it is they who are the believers, truly. For them is forgiveness and noble provision.
Jo log eman laye aur hijrat ki aur Allah ki raah mein jihad kiya aur jinhon ney panah di aur madad phonchaee. Yehi log sachay momin hain inn kay liye bakhsish hai aur izzat ki rozi.
और जो लोग ईमान लाए और उन्होंने हिजरत की और अल्लाह की राह में जिहाद किया और जिन लोगों ने पनाह दी और मदद की यही लोग सच्चे मोमिन हैं, उनके लिए बख़्शिश है और बेहतरीन रिज़्क़ है।
It is not for the polytheists to maintain the mosques of Allah [while] witnessing against themselves with disbelief. [For] those, their deeds have become worthless, and in the Fire they will abide eternally.
Laeeq nahi kay mushrik Allah Taalaa ki masjidon ko abad keren. Daran halanakay woh khud apney kufur kay aap hi gawah hain inn kay aemaal gharat-o-ikarat hain aur woh daeemi tor per jahannumi hain.
मुशरिकों का काम नहीं कि वे अल्लाह की मस्जिदों को आबाद करें हालाँकि वे ख़ुद अपने ऊपर कुफ़्र के गवाह हैं, उन लोगों के तो आमाल ही ग़ारत हो चुके हैं, और दोज़ख़ ही में हमेशा उनको रहना है।
The mosques of Allah are only to be maintained by those who believe in Allah and the Last Day and establish prayer and give zakah and do not fear except Allah , for it is expected that those will be of the [rightly] guided.
Allah ki masjidon ki ronaq-o-abadi to unn kay hissay mein hai jo Allah per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain namazon kay paband hon zakat detay hon Allah key siwa kissi say na dartay hontawaqqa hai kay yehi log yaqeenan hidayat yafta hain.
अल्लाह की मस्जिदों को तो वह आबाद करता है जो अल्लाह पर और आख़िरत के दिन पर ईमान लाए और नमाज़ क़ायम करे और ज़कात अदा करे और अल्लाह के सिवा किसी से न डरे, ऐसे लोग उम्मीद है कि हिदायत पाने वालों में से बनें।
[You disbelievers are] like those before you; they were stronger than you in power and more abundant in wealth and children. They enjoyed their portion [of worldly enjoyment], and you have enjoyed your portion as those before you enjoyed their portion, and you have engaged [in vanities] like that in which they engaged. [It is] those whose deeds have become worthless in this world and in the Hereafter, and it is they who are the losers.
Misil unn logon kay jo tum say pehlay thay tum mein say woh ziyada qooat walay thay aur ziyada maal-o-aulad walay thay pus woh apna deeni hissa barat gaye phir tum ney bhi apna hissa barat liya jaisay tum say pehlay kay log apney hissay say faeeda mand huye thay aur tum ney bhi issi tarah mazaqan behas ki jaisay kay unhon ney ki thi. Unn kay aemaal duniya aur aakhirat mein ghaarat hogaye yehi log nuksan paney walay hain.
जिस तरह तुमसे अगले लोग वे तुमसे ज़ोर में ज़्यादा थे और माल और औलाद की कसरत में बढ़े हुए थे तो उन्होंने अपने हिस्से से फ़ायदा उठाया और तुमने भी अपने हिस्से से फ़ायदा उठाया जैसा कि तुम्हारे अगलों ने अपने हिस्से से फ़ायदा उठाया था और तुमने भी वही बहसें कीं जैसी बहसें उन्होंने की थीं, यही लोग हैं जिनके आमाल दुनिया और आख़िरत में ज़ाया हो गए और यही लोग घाटे में पड़ने वाले हैं।
The believing men and believing women are allies of one another. They enjoin what is right and forbid what is wrong and establish prayer and give zakah and obey Allah and His Messenger. Those - Allah will have mercy upon them. Indeed, Allah is Exalted in Might and Wise.
Momin mard-o-aurat aapas mein aik doosray kay ( madadgar-o-maavin aur ) dost hain woh bhalaiyon ka hukum detay hain aur buraiyon say roktay hain namazon ko pabandi say baja latay hain zakat ada kertay hain Allah ki aur uss kay rasool ki baat maantay hain yehi log hain jin per Allah Taalaa both jald reham faramaye ga be-shak Allah ghalbay wala hikmat wala hai.
और मोमिन मर्द और मोमिन औरतें एक-दूसरे के मददगार हैं, वे भलाई का हुक्म देते हैं और बुराई से रोकते हैं और नमाज़ क़ायम करते हैं और ज़कात अदा करते हैं और अल्लाह और उसके रसूल की इताअत करते हैं, यही लोग हैं जिन पर अल्लाह रहम करेगा, बेशक अल्लाह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
For those their refuge will be the Fire because of what they used to earn.
Aisay logon ka thikana unn kay aemaal ki waja say dozakh hai.
उनका ठिकाना जहन्नम होगा उस वजह से जो वे करते थे।
For them who have done good is the best [reward] and extra. No darkness will cover their faces, nor humiliation. Those are companions of Paradise; they will abide therein eternally
Jin logon ney neki ki hai unn kay wastay khoobi hai aur mazeed baran bhi aur unn kay chehron per na siayahi chahaye gi aur na zillat yeh log jannat mein rehney walay hain woh iss mein hamesha rehen gay.
जिन लोगों ने भलाई की उनके लिए भलाई है और उस पर मज़ीद भी, और उनके चेहरों पर न सियाही छाएगी और न ज़िल्लत, यही जन्नत वाले लोग हैं वे उसमें हमेशा रहेंगे।
But they who have earned [blame for] evil doings - the recompense of an evil deed is its equivalent, and humiliation will cover them. They will have from Allah no protector. It will be as if their faces are covered with pieces of the night - so dark [are they]. Those are the companions of the Fire; they will abide therein eternally.
Aur jin logon ney bad kaam kiye unn ki badi ki saza uss kay barabar milay gi aur unn ko zillat chahaye gi unn ko Allah Taalaa say koi na bacha sakay ga. Goya unn kay chehron per andheri raat kay parat kay parat lapet diye gaye hain. Yeh log dozakh mein rehney walay hain woh iss mein hamesha rahen gay.
और जिन्होंने बुराइयाँ कमाईं तो बुराई का बदला उसके बराबर है और उन पर रुसवाई छाई हुई होगी, कोई उनको अल्लाह से बचाने वाला न होगा, गोया कि उनके चेहरे अंधेरी रात के टुकड़ों से ढाँक दिए गए हैं, यही लोग दोज़ख़ वाले हैं वे उसमें हमेशा रहेंगे।
Except for those who are patient and do righteous deeds; those will have forgiveness and great reward.
Siwaye unn kay jo sabar kertay hain aur nek kaamon mein lagay rehtay hain, enhi logon kay liye bakhsish bhi hai aur boht bara nek badla bhi.
मगर जो लोग सब्र करने वाले और नेक अमल करने वाले हैं, उनके लिए बख़्शिश है और बड़ा अज्र है।
Those are the ones for whom there is not in the Hereafter but the Fire. And lost is what they did therein, and worthless is what they used to do.
Haan yehi woh log hain jin kay liye aakhirat mein siwaye aag kay aur kuch nahi aur jo kuch enhon ney yahan kiya hoga wahan sab ikarat hai aur jo kuch inn kay aemaal thay sab barbad honey walay hain.
यही लोग हैं जिनके लिए आख़िरत में आग के सिवा कुछ नहीं है, उन्होंने दुनिया में जो कुछ बनाया था वह बरबाद हुआ और ख़राब हो गया जो कुछ उन्होंने कमाया था।
So is one who [stands] upon a clear evidence from his Lord [like the aforementioned]? And a witness from Him follows it, and before it was the Scripture of Moses to lead and as mercy. Those [believers in the former revelations] believe in the Qur'an. But whoever disbelieves in it from the [various] factions - the Fire is his promised destination. So be not in doubt about it. Indeed, it is the truth from your Lord, but most of the people do not believe.
Kiya woh shaks jo apney rab kay pass ki daleel per ho aur uss kay sath Allah ki taraf gawah ho aur iss say pehlay musa ki kitab ( gawah ho ) jo paishwa aur rehmat hai ( auron kay barabar ho sakta hai? ) . yehi log hain jo iss per eman rakhtay hain aur tamam firqon mein say jo bhi iss ka munkir ho uss kay aakhri waday ki jagah jahannum hai pus tu iss mein kissi qisam kay shubay mein na reh yaqeenan yeh teray rab ki janib say sirasir bar haq hai lekin aksat log eman laney walay nahi hotay.
भला एक शख़्स जो अपने रब की तरफ़ से एक दलील पर है उसके बाद अल्लाह की तरफ़ से उसके लिए एक गवाह भी आ गया, और उससे पहले मूसा (अलै॰) की किताब रहनुमा और रहमत की हैसियत से मौजूद थी, ऐसे ही लोग उस पर ईमान लाते हैं, और जमातों में से जो कोई उसका इनकार करे तो उसके वादे की जगह आग है, पस आप उसके बारे में शक में ना पड़ें, यह हक़ है आपके रब की तरफ़ से मगर अकसर लोग नहीं मानते।
And who is more unjust than he who invents a lie about Allah ? Those will be presented before their Lord, and the witnesses will say, "These are the ones who lied against their Lord." Unquestionably, the curse of Allah is upon the wrongdoers.
Uss say barh ker zalim kaun hoga jo Allah per jhoot banadhay aur yeh log apney perwerdigar kay samney paish kiye jayen gay aur saray gawan kahen gay kay yeh woh log hain jinhon ney apney perwerdigar per jhoot bandha khabaradar ho kay Allah ki laanat hai zalimon per.
और उससे बढ़कर ज़ालिम कौन है जो अल्लाह पर झूठ घड़े, ऐसे लोग अपने रब के सामने पेश होंगे और गवाही देने वाले कहेंगे कि ये वे लोग हैं जिन्होंने अपने रब पर झूठ घड़ा था, सुन लो! अल्लाह की लानत है ज़ालिमों के ऊपर।
Those were not causing failure [to Allah ] on earth, nor did they have besides Allah any protectors. For them the punishment will be multiplied. They were not able to hear, nor did they see.
Na yeh log duniya mein Allah ko hara sakay aur na inn ka koi himayati Allah kay siwa hua inn kay liye azab dugna kiya jayega na yeh sunnay ki taqat rakhtay thay aur na yeh dekhtay hi thay.
वे लोग ज़मीन में अल्लाह को बेबस करने वाले नहीं और न अल्लाह के सिवा उनका कोई मददगार है, उन पर दोगुना अज़ाब होगा, वे न सुन सकते हैं और न देखते हैं।
Those are the ones who will have lost themselves, and lost from them is what they used to invent.
Yehi hain jinhon ney apna nuksan aap ker liya aur woh sab kuch inn say kho gaya jo enhon ney gharr rakha tha.
ये वे लोग हैं जिन्होंने अपने आपको घाटे में डाला और वह सब कुछ उनसे खो गया जो उन्होंने घड़ रखा था।
Indeed, they who have believed and done righteous deeds and humbled themselves to their Lord - those are the companions of Paradise; they will abide eternally therein.
Yaqeenan jo log eman laye aur unhon ney kaam bhi nek kiye aur apney paalney walay ki taraf jhuktay rahey wohi jannat mein janey walay hain jahan woh hamesha hi rehney walay hain.
जो लोग ईमान लाए और जिन्होंने नेक अमल किए और अपने रब के सामने आजिज़ी की वही लोग जन्नत वाले हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
And if you are astonished, [O Muhammad] - then astonishing is their saying, "When we are dust, will we indeed be [brought] into a new creation?" Those are the ones who have disbelieved in their Lord, and those will have shackles upon their necks, and those are the companions of the Fire; they will abide therein eternally.
Agar tujhay tajjub ho to waqaee unn ka yeh kehna ajeeb hai kay kiya jab hum mitti hojayen gay to kiya hum naee pedaeesh mein hongay? Yehi woh log hain jnhon ney apney perwerdigar say kufur kiya. Yehi hain jin ki gardano mein toq hongay. Aur yehi hain jo jahannum kay rehney walay hain jo iss mein hamesha hamesh rahen gay.
और अगर आप तअज्जुब करो तो तअज्जुब के क़ाबिल उनकी यह बात है कि जब हम मिट्टी हो जाएंगे तो क्या हम नए सिरे से पैदा किए जाएंगे, ये वह लोग हैं जिन्होंने अपने रब का इनकार किया और ये वे लोग हैं जिनकी गर्दनों में तौक़ पड़े हुए हैं, वे आग वाले लोग हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
For those who have responded to their Lord is the best [reward], but those who did not respond to Him - if they had all that is in the earth entirely and the like of it with it, they would [attempt to] ransom themselves thereby. Those will have the worst account, and their refuge is Hell, and wretched is the resting place.
Jin logon ney apney rab kay hukum ki baja aawri ki unn kay liye bhalee hai aur jin logon ney uss ki hukum bardari na ki agar unn kay liye zamin mein jo kuch hai sab kuch ho aur issi kay sath wisa hi aur bhi ho to woh sab kuch apney badlay mein dey den. Yehi hain jin kay liye bura hisab hai aur jin ka thikana jahannum hai jo boht buri jagah hai.
जिन लोगों ने अपने रब की पुकार पर लब्बैक कहा उनके लिए भलाई है, और जिन लोगों ने उसकी पुकार को न माना अगर उनके पास वह सब कुछ हो जो ज़मीन में है और उसके बराबर और भी तो वह सब अपनी नजात के लिए दे डालें, उन लोगों का हिसाब सख़्त होगा और उनका ठिकाना जहन्नम होगा, और वह कैसा बुरा ठिकाना है।
And those who are patient, seeking the countenance of their Lord, and establish prayer and spend from what We have provided for them secretly and publicly and prevent evil with good - those will have the good consequence of [this] home -
Aur woh apney rab ki raza mandi ki talab kay liye sabar kertay hain aur namazon ko barabar qaeem rakhtay hain aur jo kuch hum ney unhen dey rakha hai ussay chuppay khulay kharach kertay hain aur buraee ko bhi bhalee say taaltay hain inn hi kay liye aaqibat ka ghar hai.
और जिन्होंने अपने रब की रज़ा के लिए सब्र किया और नमाज़ क़ायम की और हमारे दिए हुए में से छुपकर और खुलेआम ख़र्च किया और जो बुराई को भलाई से दफ़ा करते हैं, आख़िरत का घर उन्हीं लोगों के लिए है।
But those who break the covenant of Allah after contracting it and sever that which Allah has ordered to be joined and spread corruption on earth - for them is the curse, and they will have the worst home.
Aur jo Allah kay ehad ko uss ki mazbooti kay baad tor detay hain aur jin cheezon kay jorney ka Allah ney hukum diya hai unhen tortay hain aur zamin mein fasad phelatay hain unn ki liye laanaten hain aur unn kay liye bura ghar hai.
और जो लोग अल्लाह के अहद को मज़बूत करने के बाद तोड़ते हैं और उसको काटते हैं जिसको अल्लाह ने जोड़ने का हुक्म दिया है और ज़मीन में फ़साद फैलाते हैं, ऐसे लोगों पर अल्लाह की लानत है और उनके लिए बुरा घर है।
The ones who prefer the worldly life over the Hereafter and avert [people] from the way of Allah , seeking to make it ( seem ) deviant. Those are in extreme error.
Jo aakhirat kay muqablay mein dunyawi zindagi ko pasand rakhtay hain aur Allah ki raah say roktay hain aur iss mein terh pann peda kerna chahatay hain. Yehi log parli darjay ki gumrahi mein hain.
जो कि आख़िरत के मुक़ाबले में दुनिया की ज़िंदगी को पसंद करते हैं और अल्लाह के रास्ते से रोकते हैं और उसमें कजी (टेढ़ापन) निकालना चाहते हैं, ये लोग रास्ते से भटक कर बहुत दूर जा पड़े हैं।
Those are the ones over whose hearts and hearing and vision Allah has sealed, and it is those who are the heedless.
Yeh woh log hain jin kay dilon per aur jin kay kanon per aur jin ki aankhon per Allah ney mohar laga di hai aur yehi log ghafil hain.
ये वे लोग हैं कि अल्लाह ने उनके दिलों पर और उनके कानों पर और उनकी आँखों पर मुहर कर दी, और ये लोग बिल्कुल ग़ाफ़िल हैं।
And do not pursue that of which you have no knowledge. Indeed, the hearing, the sight and the heart - about all those [one] will be questioned.
Jiss baat ki tujhay khabar hi na ho uss kay peechay mat parr. Kiyon kaan aur aankh aur dil inn mein say her aik say pooch gooch ki janey wali hai.
और ऐसी चीज़ के पीछे न लगें जिसकी आपको ख़बर नहीं, बेशक कान और आँख और दिल सब की आदमी से पूछ होगी।
Those whom they invoke seek means of access to their Lord, [striving as to] which of them would be nearest, and they hope for His mercy and fear His punishment. Indeed, the punishment of your Lord is ever feared.
Jinhen yeh log pukartay hain khud woh apney rab kay taqarrub ki justujoo mein rehtay hain kay inn mein say kaun ziyada nazdeek hojaye woh khud uss ki rehmat ki umeed rakhtay aur uss kay azab say khifzada rehtay hain ( baat bhi yehi hai ) kay teray rab ka azab darney ki cheez hi hai.
जिनको ये लोग पुकारते हैं वे ख़ुद अपने रब का क़ुर्ब ढूंढते हैं कि उनमें से कौन सबसे ज़्यादा क़रीब हो जाए और वे अपने रब की रहमत के उम्मीदवार हैं और वे उसके अज़ाब से डरते हैं, वाक़ई आपके रब का अज़ाब डरने ही की चीज़ है।
Those will have gardens of perpetual residence; beneath them rivers will flow. They will be adorned therein with bracelets of gold and will wear green garments of fine silk and brocade, reclining therein on adorned couches. Excellent is the reward, and good is the resting place.
Unn kay liye hameshgi wali jannaten hain inn kay neechay nehren jari hongi wahan yeh soney kay kangan pehnayen jayen gay aur sabz rang kay narm-o-bareek aur motay resham kay libas pehnen gay wahan takhton kay upper takiye lagaye huye hongay. Kiya khoob badla hai aur kiss qadar umdah aaram gaah hai.
ऐसे ही लोगों के लिए सदाबहार बाग़ हैं। उन के नीचे नहरें बह रही होंगी। वहाँ उन्हें सोने के कंगन पहनाए जाएँगे और वे हरे पतले और गाढ़े रेशमी कपड़े पहनेंगे और ऊँचे तख़्तों पर तकिया लगाए होंगे। क्या ही अच्छा बदला है और क्या ही अच्छा विश्रामस्थल!
Those are the ones who disbelieve in the verses of their Lord and in [their] meeting Him, so their deeds have become worthless; and We will not assign to them on the Day of Resurrection any importance.
Yehi woh log hain jinhon ney apney perwerdigar ki aayaton aur uss ki mulaqat say kufur kiya iss liye unn kay aemaal ghaarat hogaye pus qayamat kay din hum unn ka koi wazan qaeem na keren gay.
यही वे लोग हैं जिन्होंने अपने रब की आयतों का और उस से मिलन का इनकार किया। अतः उन के कर्म जान को लागू हुए, तो हम क़ियामत के दिन उन्हें कोई वज़न न देंगे
Those were the ones upon whom Allah bestowed favor from among the prophets of the descendants of Adam and of those We carried [in the ship] with Noah, and of the descendants of Abraham and Israel, and of those whom We guided and chose. When the verses of the Most Merciful were recited to them, they fell in prostration and weeping.
Yehi woh anbiya hain jin per Allah Taalaa ney fazal-o-karam kiya jo aulad-e-adam mein say hain aur unn logon ki nasal say hain jinhen hum ney nooh ( alh-e-salam ) kay sath kashti mein charha liya tha aur aulad ibrahim-o-yaqoob say aur humari taraf say raaha yafta aur humaray pasandeedah logon mein say. Inn kay samney jab Allah rehman ki aayaton ki tilawat ki jati thi yeh sajda kertay aur rotay girgiratay gir partay thay.
ये वे पैग़म्बर हैं जो अल्लाह के कृपापात्र हुए, आदम की सन्तान में से और उन लोगों के वंशज में से जिन को हम ने नूह के साथ सवार किया, और इबराहीम और इसराईल के वंशज में से और उन में से जिन को हम ने सीधा मार्ग दिखाया और चुन लिया। जब उन्हें रहमान की आयतें सुनाई जातीं तो वे सजदा करते और रोते हुए गिर पड़ते थे
Indeed, those for whom the best [reward] has preceded from Us - they are from it far removed.
Albatta bey-shak jin kay liye humari taraf say neki pehlay hi ther chuki hai. Woh sab jahannum say door hi rakhay jayen gay.
रहे वे लोग जिन के लिए पहले ही हमारी ओर से अच्छे इनाम का वादा हो चुका है, वे उस से दूर रहेंगे
But the ones who strove against Our verses, [seeking] to cause failure - those are the companions of Hellfire.
Aur jo log humari nishaniyon ko pust kerney kay darpay rehtay hain wohi dozakhi hain.
किन्तु जिन लोगों ने हमारी आयतों को नीचा दिखाने की कोशिश की, वही भड़कती आगवाले हैं
Those are the inheritors
Yehi waris hain.
वही वारिस होने वाले हैं
It is those who hasten to good deeds, and they outstrip [others] therein.
Yehi hain jo jaldi jaldi bhalaiyan hasil ker rahey hain aur yehi hain jo inn ki taraf dor janey walay hain.
यही वे लोग हैं, जो भलाइयों में जल्दी करते हैं और यही उन के लिए अग्रसर रहने वाले हैं।
Evil words are for evil men, and evil men are [subjected] to evil words. And good words are for good men, and good men are [an object] of good words. Those [good people] are declared innocent of what the slanderers say. For them is forgiveness and noble provision.
Khabees aurten khabees mardon kay laeeq hain aur khabees mard khabees aurton kay laeeq hain aur pak aurten pak mardon kay laqeeq hain aur pak mard pak aurton kay laeeq hain. Aisay pak logon kay mutalliq jo kuch bakwas ( bohtan baaz ) ker rahey hain woh inn say bilkul bari hain inn kay liye bakhsish hai aur izzat wali rozi.
गन्दी चीज़े गन्दें लोगों के लिए हैं और गन्दे लोग गन्दी चीज़ों के लिए, और अच्छी चीज़ें अच्छे लोगों के लिए हैं और अच्छे लोग अच्छी चीज़ों के लिए। वे लोग उन बातों से बरी है, जो वे कह रहे हैं। उन के लिए क्षमा और सम्मानित आजीविका है
But the hypocrites say, "We have believed in Allah and in the Messenger, and we obey"; then a party of them turns away after that. And those are not believers.
Aur kehtay hain kay hum Allah Taalaa aur rasool per eman laye aur faman bardaar huye phir unn mein say aik firqa iss kay baad bhi phir jata hai. Yeh eman walay hain ( hi ) nahi.
वे मुनाफ़िक लोग कहते हैं कि "हम अल्लाह और रसूल पर ईमान लाए और हम ने आज्ञापालन स्वीकार किया।" फिर इस के पश्चात उन में से एक गिरोह मुँह मोड़ जाता है। ऐसे लोग मोमिन नहीं हैं
Is there disease in their hearts? Or have they doubted? Or do they fear that Allah will be unjust to them, or His Messenger? Rather, it is they who are the wrongdoers.
Kiya inn kay dilon mein beemari hai? Ya yeh shak-o-shuba mein paray huye hain? Ya enhen iss baat ka darr hai kay Allah Taalaa aur uss ka rasool inn ki haq talfi na keren? Baat yeh hai kay yeh log khud hi baray zalim hain.
क्या उन के दिलों में रोग है या वे सन्देह में पड़े हुए हैं या उन को यह डर है कि अल्लाह और उस का रसूल उन के साथ अन्याय करेंगे? नहीं, बल्कि बात यह है कि वही लोग अत्याचारी हैं
The believers are only those who believe in Allah and His Messenger and, when they are [meeting] with him for a matter of common interest, do not depart until they have asked his permission. Indeed, those who ask your permission, [O Muhammad] - those are the ones who believe in Allah and His Messenger. So when they ask your permission for something of their affairs, then give permission to whom you will among them and ask forgiveness for them of Allah . Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Ba-emaan log to wohi hain jo Allah Taalaa per aur uss kay rasool per yaqeen rakhtay hain aur jab aisay moamlay mein jiss mein logon kay jama honey ki zaroorat hoti hai nabi kay sath hotay hain to jab tak aap say ijazt na len kahin nahi jatay. Jo log aisay moqay per aap say ijazat ley letay hain haqeeqat mein yehi hain jo Allah Taalaa per aur uss kay rasool per eman laa chukay hain.pus jab aisay log aap say apnay kissi kaam kay liye ijazat talab keren to aap inn mein say jissay chahayen ijazat dey den aur inn kay liye Allah Taalaa say baksish ki dua mangen be-shak Allah bakshney wala meharbaan hai.
मोमिन तो बस वही है जो अल्लाह और उस के रसूल पर पक्का ईमान रखते हैं। और जब किसी सामूहिक मामले के लिए उस के साथ हो तो चले न जाएँ जब तक कि उस से अनुमति न प्राप्त कर लें। (ऐ नबी!) जो लोग (आवश्यकता पड़ने पर) तुम से अनुमति ले लेते हैं, वही लोग अल्लाह और रसूल पर ईमान रखते हैं, तो जब वे किसी काम के लिए अनुमति चाहें तो उन में से जिस को चाहो अनुमति दे दिया करो, और उन लोगों के लिए अल्लाह से क्षमा की प्रार्थना किया करो। निस्संदेह अल्लाह बहुत क्षमाशील, अत्यन्त दयावान है
The ones who are gathered on their faces to Hell - those are the worst in position and farthest astray in [their] way.
Jo log apnay mun kay bal jahannum ki taraf jama kiye jayengay. Wohi bad-tar makaan walay aur gumrah tar raastay walay hain.
जो लोग औंधे मुँह जहन्नम की ओर ले जाए जाएँगे वही स्थान की दृष्टि से बहुत बुरे हैं, और मार्ग की दृष्टि से भी बहुत भटके हुए हैं
Those will be awarded the Chamber for what they patiently endured, and they will be received therein with greetings and [words of] peace.
Yehi woh log hain jinhen unn kay sabar kay badlay jannat kay buland-o-bala khaney diye jayen gay jahan unhen dua salam phonchaya jayega.
यही वे लोग हैं जिन्हें, इस के बदले में कि वे जमे रहे, उच्च भवन प्राप्त होगा, तथा ज़िन्दाबाद और सलाम से उन का वहाँ स्वागत होगा
Those are the ones for whom there will be the worst of punishment, and in the Hereafter they are the greatest losers.
Yehi log hain jin kay liye bura azab hai aur aakhirat mein bhi woh sakht nuksan yaafta hain.
वही लोग हैं, जिन के लिए बुरी यातना है और वही हैं जो आख़िरत में अत्यन्त घाटे में रहेंगे
Those will be given their reward twice for what they patiently endured and [because] they avert evil through good, and from what We have provided them they spend.
Yeh apnay kiye huyey sabar kay badley dohra dohra ajar diye jayen gay. Yeh neki say badi ko taal detay hain aur hum ney enhen jo dey rakha hai iss mein say detay rehtay hain.
ये वे लोग हैं जिन्हें उन का प्रतिदान दुगना दिया जाएगा, क्योंकि वे जमे रहे और भलाई के द्वारा बुराई को दूर करते हैं और जो कुछ रोज़ी हम ने उन्हें दी हैं, उस में से ख़र्च करते हैं
And the ones who disbelieve in the signs of Allah and the meeting with Him - those have despaired of My mercy, and they will have a painful punishment.
Jo log Allah Taalaa ki aayaton aur uss ki mulaqat ko bhulatay hain woh meri rehmat say na umeed ho jayen aur unn kay liye dard naak azab hai.
और जिन लोगों ने अल्लाह की आयतों और उस से मिलने का इनकार किया, वही लोग हैं जो मेरी दयालुता से निराश हुए और वही हैं जिन के लिए दुखद यातना है। -
Say, "Sufficient is Allah between me and you as Witness. He knows what is in the heavens and earth. And they who have believed in falsehood and disbelieved in Allah - it is those who are the losers."
Keh dijiye kay mujh mein aur tum mein Allah Taalaa gawah hona kafi hai woh aasman-o-zamin ki her cheez ka aalim hai jo log batil kay mannay walay aur Allah Taalaa say kufur kerney walay hain woh zabardast nuksan aur ghatay mein hain.
कह दो, "मेरे और तुम्हारे बीच अल्लाह गवाह के रूप में काफ़ी है।" वह जानता है जो कुछ आकाशों और धरती में है। जो लोग असत्य पर ईमान लाए और अल्लाह का इनकार किया वही हैं जो घाटे में हैं
Those are on [right] guidance from their Lord, and it is those who are the successful.
Yehi log hain jo apnay rab ki taraf say hidayat per hain aur yehi log nijat paney walay hain.
वही अपने रब की और से मार्ग पर हैं और वही सफल हैं
And of the people is he who buys the amusement of speech to mislead [others] from the way of Allah without knowledge and who takes it in ridicule. Those will have a humiliating punishment.
Aur baaz log aisay bhi hain jo laghaw baaton ko mol letay hain kay bey-ilmi kay sath logon ko Allah ki raah say behkayen aur ussay hansi banayen yehi woh log hain jin kay liye ruswa kerney wala azab hai.
लोगों में से कोई ऐसा भी है जो दिल को लुभाने वाली बातों का ख़रीदार बनता है, ताकि बिना किसी ज्ञान के अल्लाह के मार्ग से (दूसरों को) भटकाए और उन का परिहास करे। वही है जिन के लिए अपमानजनक यातना है
Indisposed toward you. And when fear comes, you see them looking at you, their eyes revolving like one being overcome by death. But when fear departs, they lash you with sharp tongues, indisposed toward [any] good. Those have not believed, so Allah has rendered their deeds worthless, and ever is that, for Allah , easy.
Tumhari madad mein ( pooray ) bakheel hain phir jab khof-o-dehshat ka moqa aajaye to aap enhen dekhen gay kay aap ki taraf nazar jama detay hain aur inn ki aankhen iss tarah ghoomti hain jaisay uss shaks ki jiss per maut ki ghashi taari ho. Phir jab khof jata rehta hai to tum per apni tez zabano say bari baaten banatay hain maal kay baray hi harees hain yeh eman laye hi nahi hain Allah Taalaa ney inn kay tamam aemaal nabood ker diye hain aur Allah Taalaa per yeh boht hi aasan hai.
तुम्हारे साथ कृपणता से काम लेते हैं। अतः जब भय का समय आ जाता है, तो तुम उन्हें देखते हो कि वे तुम्हारी ओर इस प्रकार ताक रहे कि उन की आँखें चक्कर खा रही है, जैसे किसी व्यक्ति पर मौत की बेहोशी छा रही हो। किन्तु जब भय जाता रहता है तो वे माल के लोभ में तेज़ ज़बाने तुम पर चलाते हैं। ऐसे लोग ईमान लाए ही नहीं। अतः अल्लाह ने उन के कर्म उन की जान को लागू कर दिए। और यह अल्लाह के लिए बहुत सरल है
That He may reward those who believe and do righteous deeds. Those will have forgiveness and noble provision.
Takay woh eman walon aur neko kaaron ko bhala badla ata farmaye yehi log hain jin kay liye maghfirat aur izzat ki rozi hai.
"ताकि वह उन लोगों को बदला दे, जो ईमान लाए और उन्होंने अच्छे कर्म किए। वहीं हैं जिन के लिए क्षमा और प्रतिष्ठामय आजीविका है
But those who strive against Our verses [seeking] to cause failure - for them will be a painful punishment of foul nature.
Aur humari aayaton ko neecha dikhaney ki jinhon ney kosish ki hai yeh woh log hain jin kay liye bad-tareen qisam ka dardnaak azab hai.
"रहे वे लोग जिन्होंने हमारी आयतों को मात करने का प्रयास किया, वह हैं जिन के लिए बहुत ही बुरे प्रकार की दुखद यातना है।"
And the ones who strive against Our verses to cause [them] failure - those will be brought into the punishment [to remain].
Aur jo log humari aayaton kay muqablay ki tag-o-do mein lagay rehtay hain yehi hain jo azab mein pakar ker hazir rakhay jayen gay.
रहे वे लोग जो हमारी आयतों को मात करने के लिए प्रयासरत हैं, वे लाकर यातनाग्रस्त किए जाएँगे
Whoever desires honor [through power] - then to Allah belongs all honor. To Him ascends good speech, and righteous work raises it. But they who plot evil deeds will have a severe punishment, and the plotting of those - it will perish.
Jo shaks izzat hasil kerna chahata ho to Allah Taalaa hi ki sari izzat hai tamam tar suthray kalmaat ussi ki taraf charhtay hain aur nek aemaal unn ko buland kerta hai jo log buraeeyon kay dao ghaat mein lagay rehtay hain unn kay liye sakht tar azab hai aur unn ka yeh makar barbaad hojayega.
जो कोई प्रभुत्व चाहता हो तो प्रभुत्व तो सारा का सारा अल्लाह के लिए है। उसी की ओर अच्छा-पवित्र बोल चढ़ता है और अच्छा कर्म उसे ऊँचा उठाता है। रहे वे लोग जो बुरी चालें चलते हैं, उन के लिए कठोर यातना है और उन की चालबाज़ी मटियामेट होकर रहेगी
Those will have a provision determined -
Unhin kay liye muqarrara rozi hai.
वही लोग हैं जिन के लिए जानी-बूझी रोज़ी है,
And [the tribe of] Thamud and the people of Lot and the companions of the thicket. Those are the companies.
Aur samood ney aur qom-e-loot ney aur aeeka kay rehney walon ney bhi yehi ( baray ) lashkar thay.
और समूद और लूत की क़ौम और 'ऐकावाले' भी, ये हैं वे दल
Who listen to speech and follow the best of it. Those are the ones Allah has guided, and those are people of understanding.
Jo baat ko kaan laga ker suntay hain. Phir jo behtareen baat ho uss ki ittbaa kertay hain. Yehi hain jinhen Allah Taalaa ney hidayat ki hai aur yehi aqalmand bhi hain.
अतः मेरे उन बन्दों को शुभ सूचना दे दो जो बात को ध्यान से सुनते हैं; फिर उस अच्छी से अच्छी बात का अनुपालन करते हैं। वही हैं, जिन्हें अल्लाह ने मार्ग दिखाया है और वही बुद्धि और समझ वाले हैं