And [for] their saying, "Indeed, we have killed the Messiah, Jesus, the son of Mary, the messenger of Allah ." And they did not kill him, nor did they crucify him; but [another] was made to resemble him to them. And indeed, those who differ over it are in doubt about it. They have no knowledge of it except the following of assumption. And they did not kill him, for certain.
Aur yun kehney kay baees kay hum ney Allah kay rasool maseeh essa bin marium ko qatal ker diya halankay na to enhon ney ussay qatal kiya na sooli charhaya bulkay inn kay liye unn ( essa ) ki shabeeh bana diya gaya tha. Yaqeen jano kay hazrat essa ( alh-e-salam ) kay baray mein ikhtilaf kerney walay unn kay baray mein shak mein hain unhen iss ka koi yaqeen nahi ba-juz takhmeeni baaton per amal kerney kay itna yaqeeni hai kay enhon ney unhen qatal nahi kiya.
और उनके यह कहने पर कि हमने मसीह ईसा बिन मरियम (अलैहिमस्सलाम) अल्लाह के रसूल को क़त्ल कर दिया, हालाँकि उन्होंने न उनको क़त्ल किया और न उनको सूली दी बल्कि मामला उनके लिए मुश्तबह कर दिया गया, और जो लोग इसमें इख़्तिलाफ़ कर रहे हैं वे उनके बारे में शक में पड़े हुए हैं, उनको इसका कोई इल्म नहीं सिवाए इसके कि वे सिर्फ़ अंदाज़ों पर चल रहे हैं, और बेशक उन्होंने उनको क़त्ल नहीं किया।
And there is none from the People of the Scripture but that he will surely believe in Jesus before his death. And on the Day of Resurrection he will be against them a witness.
Ehal-e-kitab mein aik bhi aisa na bachay ga jo hazrat essa ( alh-e-salam ) ki maut say pehlay unn per eman na laa chukay aur qayamat kay din aap unn per gawah hongay.
और अहले-किताब में से कोई ऐसा नहीं जो अपनी मौत से पहले उन पर ईमान न ले आए, और क़यामत के दिन वे उन पर गवाह होंगे।
So those who believe in Allah and hold fast to Him - He will admit them to mercy from Himself and bounty and guide them to Himself on a straight path.
Pus jo log Allah Taalaa per eman laye aur ussay mazboot pakar liya unhen to woh un-qarib apni rehmat mein ley ley ga aur unhen apni taraf ki raah-e-raast dikha dey ga.
पस जो लोग अल्लाह पर ईमान लाए और उसको उन्होंने मज़बूत पकड़ लिया उनको ज़रूर अल्लाह अपनी रहमत और फ़ज़्ल में दाख़िल करेगा और उनको अपनी तरफ़ सीधा रास्ता दिखाएगा।
Prohibited to you are dead animals, blood, the flesh of swine, and that which has been dedicated to other than Allah , and [those animals] killed by strangling or by a violent blow or by a head-long fall or by the goring of horns, and those from which a wild animal has eaten, except what you [are able to] slaughter [before its death], and those which are sacrificed on stone altars, and [prohibited is] that you seek decision through divining arrows. That is grave disobedience. This day those who disbelieve have despaired of [defeating] your religion; so fear them not, but fear Me. This day I have perfected for you your religion and completed My favor upon you and have approved for you Islam as religion. But whoever is forced by severe hunger with no inclination to sin - then indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Tum per haram kiya gaya murdaar aur khoon aur khinzeer ka gosht aur jiss per Allah kay siwa doosray ka naam pukara gaya ho aur jo gala ghutney say mara ho aur jo kissi zarab say marr gaya ho aur jo oonchi jagah say girr ker marra ho aur jo kissi kay seeng maarney say marra ho aur jissay darindon ney phaar khaya ho lekin ussay tum zibah ker dalo to haram nahi aur jo aastanon per zibah kiya gaya ho aur yeh bhi kay quraa kay teeron kay zariye faal geeri kero yeh sab bad tareen gunah hain aaj kuffaar tumharay deen say na umeed hogaye khabardaar! Tum inn say na darna aur mujh say dartay rehna aaj mein ney tumharay liye deen ko kaamil ker diya aur tum per apna inam bharpoor ker diya aur tumharay liye islam kay deen honey per raza mand hogaya. Pus jo shaks shiddat ki bhook mein bey qarar hojaye ba-shart-e-kay kissi gunah ki taraf uss ka meelaan na ho to yaqeenan Allah Taalaa moaf kerney wala aur boht bara meharban hai.
तुम पर हराम किया गया मुर्दार और ख़ून और सुअर का गोश्त और वह जानवर जो अल्लाह के सिवा किसी और के नाम पर ज़बह किया गया हो और जो मर गया हो गला घोंटने से या चोट लगने से या ऊँचाई से गिरकर या सींग मारे जाने से और वह जिसको दरिंदे ने खाया हो मगर जिसको तुमने ज़बह कर लिया हो, और वह जो बुतों की ख़ास जगहों पर ज़बह किया गया हो और यह कि तुम तक़सीम करो जुए के तीरों से, ये सब गुनाह के काम हैं, आज काफ़िर तुम्हारे दीन की तरफ़ से मायूस हो गए पस तुम उनसे न डरो बल्कि सिर्फ़ मुझ से डरो, आज मैंने तुम्हारे लिए तुम्हारे दीन को पूरा कर दिया और तुम पर अपनी नेमत पूरी कर दी और तुम्हारे लिए इस्लाम को दीन की हैसियत से पसंद कर लिया, पस जो भूख से मजबूर हो जाए लेकिन गुनाह पर माइल न हो तो बेशक अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
So for their breaking of the covenant We cursed them and made their hearts hard. They distort words from their [proper] usages and have forgotten a portion of that of which they were reminded. And you will still observe deceit among them, except a few of them. But pardon them and overlook [their misdeeds]. Indeed, Allah loves the doers of good.
Phir unn ki ehad shikni ki waja say hum ney unn per apni laanat nazil farma di aur unn kay dil sakht ker diye kay woh kalaam ko uss ki jagah say badal daaltay hain aur jo kuch naseehat unhen ki gaee thi uss ka boht bara hissa bhula bethay unn ki aik na aik khayanat per tujhay itlaa milti hi rahey gi haan thoray say aisay nahi bhi hain pus tu unhen moaf kerta jaa aur dar guzar kerta reh be-shak Allah Taalaa ehsan kerney walon say mohabbat kerta hai.
पस उनके वादे तोड़ देने की वजह से हमने उन पर लानत कर दी और हमने उनके दिलों को सख़्त कर दिया, वे गुफ़्तगू को उसकी (सही) जगह से बदल देते हैं और जो कुछ उनको नसीहत की गई थी उसका बड़ा हिस्सा वे भुला बैठे, और आप बराबर उनकी किसी न किसी ख़यानत से आगाह होते रहते हो सिवाए थोड़े लोगों के, पस उनको माफ़ कर दें और उनसे दरगुज़र करें, बेशक अल्लाह नेकी करने वालों को पसंद करता है।
And from those who say, "We are Christians" We took their covenant; but they forgot a portion of that of which they were reminded. So We caused among them animosity and hatred until the Day of Resurrection. And Allah is going to inform them about what they used to do.
Aur jo apney aap ko nasrani kehtay hain hum ney unn say bhi ehad-o-paymaan liya unhon ney bhi iss ka bara hissa faramosh ker diya jo unhen naseehat ki gaee thi to hum ney bhi unn kay aapas mein bughz-o-adawat daal di jo ta-qayamat rahey gi aur jo kuch yeh kertay thay un-qarib Allah Taalaa unhen sab bata dey ga.
और कुछ लोग कहते हैं कि हम नसरानी हैं, उनसे हमने अहद लिया था जो कुछ नसीहत उनको की गई थी उसका बड़ा हिस्सा वे भुला बैठे, फिर हमने क़यामत तक के लिए उनके दरमियान दुश्मनी और बुग़्ज़ डाल दिया, और आख़िर में अल्लाह उनको आगाह कर देगा उससे जो कुछ वे कर रहे थे।
Indeed, those who disbelieve - if they should have all that is in the earth and the like of it with it by which to ransom themselves from the punishment of the Day of Resurrection, it will not be accepted from them, and for them is a painful punishment
Yaqeen mano kay kafiron kay liye agar woh sab kuch ho jo saari zamin mein hai bulkay issay kay misil aur bhi ho aur woh iss sab ko qayamat kay din azab kay badlay fidiye mein dena chahayen to bhi na mumkin hai kay inn ka fidya qabool ker liya jaye inn kay liye to dard naak azab hi hai.
बेशक जिन लोगों ने कुफ़्र किया है अगर उनके पास वह सब कुछ हो जो ज़मीन में है और उतना ही और हो; ताकि वे उसको फ़िदया में देकर क़यामत के दिन अज़ाब से छूट जाएं तब भी वह उनसे क़बूल न किया जाएगा और उनके लिए दर्दनाक अज़ाब है।
And We ordained for them therein a life for a life, an eye for an eye, a nose for a nose, an ear for an ear, a tooth for a tooth, and for wounds is legal retribution. But whoever gives [up his right as] charity, it is an expiation for him. And whoever does not judge by what Allah has revealed - then it is those who are the wrongdoers.
Aur hum ney yahudiyon kay zimmay toraat mein yeh baat muqarrar ker di thi kay jaan kay badlay jaan aur aankh kay badlay aankh aur naak kay badlay naak aur kaan kay badlay kaan aur daant kay badlay daant aur khaas zakhmon ka bhi badla hai phri jo shaks iss ko moaf ker dey to woh iss kay liye kuffara hai aur jo log Allah kay nazil kiye huye kay mutabiq hukum na keren wohi log zalim hain.
और हमने इस किताब में लिख दिया है कि जान के बदले जान और आँख के बदले आँख और नाक के बदले नाक और कान के बदले कान और दाँत के बदले दाँत और ज़ख़्मों का बदला उनके बराबर होगा, फिर जिसने उसको माफ़ कर दिया तो वह उसके लिए कफ़्फ़ारा है, और जो शख़्स उसके मुताबिक़ फ़ैसला न करे जो अल्लाह ने उतारा है तो वही लोग ज़ालिम हैं।
And when they come to you, they say, "We believe." But they have entered with disbelief [in their hearts], and they have certainly left with it. And Allah is most knowing of what they were concealing.
Aur jab tumharay pass aatay hain to kehtay hain kay hum eman laye halankay woh kufur liye huye hi aaye thay aur iss kufur kay sath hi gaye bhi aur yeh jo kuch chupa rahey hain ussay Allah khoob janta hai.
और जब वे तुम्हारे पास आते हैं तो कहते हैं कि हम ईमान लाए; हालाँकि वे काफ़िर आए थे और काफ़िर ही चले गए, और अल्लाह ख़ूब जानता है उस चीज़ को जिसको वे छुपा रहे हैं।
And eat of what Allah has provided for you [which is] lawful and good. And fear Allah , in whom you are believers.
Aur Allah Taalaa ney jo cheezen tum ko di hain unn mein say halal marghoob cheezen khao aur Allah Taalaa say daro jiss per tum eman rakhtay ho.
और अल्लाह ने तुमको जो हलाल पाकीज़ा चीज़ें दी हैं उनमें से खाओ, और उस अल्लाह से डरो जिस पर तुम ईमान लाए हो।
O you who have believed, do not kill game while you are in the state of ihram. And whoever of you kills it intentionally - the penalty is an equivalent from sacrificial animals to what he killed, as judged by two just men among you as an offering [to Allah ] delivered to the Ka'bah, or an expiation: the feeding of needy people or the equivalent of that in fasting, that he may taste the consequence of his deed. Allah has pardoned what is past; but whoever returns [to violation], then Allah will take retribution from him. And Allah is Exalted in Might and Owner of Retribution.
Aey eman walo! ( wehshi ) shikar ko qatal mat kero jabkay tum halat-e-ehraam mein ho. Aur jo shaks tum mein say iss ko jaan boojh ker qatal keray ga to uss per fidya wajib hoga jo kay masawi hoga uss janwar kay jiss ko iss ney qatal kiya hai jiss ka faisla tum mein say do moatbar shaks ker den khuwa woh fidya khaas chopayon mein say ho jo niaz kay tor per kaaba tak phonchaya jaye aur khuwa kaffaara masakeen ko dey diya jaye aur khuwa iss kay barabar rozay rakh liye jayen takay apney kiye ki shamat ka maza chakhay Allah Taalaa ney guzishat ko moaf ker diya aur jo shaks phir aisi hi herkat keray ga to Allah Taalaa intiqam ley ga aur Allah zabardast hai intiqam lenay wala.
ऐ ईमान वालो! शिकार को न मारो जबकि तुम हालते-एहराम में हो और तुम में से जो शख़्स उसको जान-बूझ कर मारे तो उसका बदला उसी तरह का जानवर है जैसा कि उसने मारा है, इसका फ़ैसला तुम में से दो इंसाफ़ करने वाले आदमी करेंगे और यह नज़राना काबा पहुँचाया जाए, या उसके कफ़्फ़ारे में चंद मोहताजों को खाना खिलाना होगा या उसके बराबर रोज़े रखने होंगे; ताकि वह अपने किए की सज़ा चखे, अल्लाह ने माफ़ किया जो कुछ हो चुका, और जो शख़्स फिरेगा तो अल्लाह उससे बदला लेगा, और अल्लाह ज़बरदस्त है, बदला लेने वाला है।
O you who have believed, testimony [should be taken] among you when death approaches one of you at the time of bequest - [that of] two just men from among you or two others from outside if you are traveling through the land and the disaster of death should strike you. Detain them after the prayer and let them both swear by Allah if you doubt [their testimony, saying], "We will not exchange our oath for a price, even if he should be a near relative, and we will not withhold the testimony of Allah . Indeed, we would then be of the sinful."
Aey eman walo! Tumharay aapas mein do shaks ka gawah hona munasib hai jabkay tum mein say kissi ko maut aaney lagay aur waseeat kerney ka waqt ho woh do shaks aisay hon kay deen daar hon khuwa tum mein say hon ya ghair logon mein say do shaks hon agar tum kahin safar mein gaye ho aur tumhen maut aajaye agar tum ko shuba hoto inn dono ko baad namaz rok lo phir dono Allah ki qasmen khayen kay hum iss qasam kay ewaz koi nafa nahi lena chahatayagar cheh koi qarabat daar bhi ho aur Allah Taalaa ki baat ko hum posheedah keren gay hum iss halat mein sakht gunehgar hongay.
ऐ ईमान वालो! तुम्हारे दरमियान गवाही का तरीक़ा वसीयत के वक़्त जबकि तुम में से किसी की मौत का वक़्त आ जाए इस तरह है कि दो मोतबर आदमी तुम में से गवाह हों, या अगर तुम सफ़र की हालत में हो और वहाँ मौत की मुसीबत पेश आ जाए तो तुम्हारे अलावा दूसरे लोगों में से दो गवाह ले लिए जाएं, फिर अगर तुमको शुब्हा हो जाए तो दोनों गवाहों को नमाज़ के बाद रोक लो और वे दोनों अल्लाह की क़सम खाकर कहें कि हम किसी क़ीमत के बदले इसको न बेचेंगे चाहे कोई रिश्तेदार ही क्यों न हो और न हम अल्लाह की गवाही को छुपाएंगे, अगर हम ऐसा करेंगे तो बेशक हम गुनहगार होंगे।
For they had denied the truth when it came to them, but there is going to reach them the news of what they used to ridicule.
Enhon ney iss sachi kitab ko bhi jhutlaya jabkay woh inn kay pass phonchi so jaldi hi inn ko khabar mill jayegi uss cheez ki jiss kay sath yeh istehzaa kiya kertay thay.
चुनाँचे जो हक़ उनके पास आया है उसको भी उन्होंने झुठला दिया, पस जल्द ही उनके पास उस चीज़ की ख़बरें आएंगी जिसका वे मज़ाक़ उड़ाते थे।
And already were messengers ridiculed before you, but those who mocked them were enveloped by that which they used to ridicule.
Aur waqaee aap say pehlay jo payghumbar huye hain unn kay sath bhi istehzaa kiya gaya hai. Phir jin logon ney unn say mazaq kiya tha unn ko uss azab ney aa ghera jiss kay tamaskhur uratay thay.
और आपसे पहले भी रसूलों का मज़ाक़ उड़ाया गया तो उनमें से जिन लोगों ने मज़ाक़ उड़ाया उनको उस चीज़ ने आ घेरा जिसका वह मज़ाक़ उड़ाते थे।
Say, "What thing is greatest in testimony?" Say, " Allah is witness between me and you. And this Qur'an was revealed to me that I may warn you thereby and whomever it reaches. Do you [truly] testify that with Allah there are other deities?" Say, "I will not testify [with you]." Say, "Indeed, He is but one God, and indeed, I am free of what you associate [with Him]."
Aap kahiye kay sab say bari cheez gawahi denay kay liye kaun hai aap kahiye kay meray aur tumharay darmiyan Allah gawah hai aur meray pass yeh quran bator wahee kay bheja gaya hai takay mein iss quran kay zariye say tum ko aur jiss ko yeh quran phonchay unn sab ko daraon kiya tum sach much yehi gawahi do gay kay Allah Taalaa kay sath kuch aur mabood bhi hain aap keh dijiye kay mein to gawahee nahi deta. Aap farma dijiye kay bus woh to aik hi mabood hai aur be-shak mein tumharay shirk say bey zaar hun.
पूछिए कि सबसे बड़ा गवाह कौन है, कह दीजिए कि अल्लाह है जो मेरे और तुम्हारे दरमियान गवाह है और मुझ पर यह क़ुरआन उतारा गया ताकि मैं तुमको उसके ज़रिए से ख़बरदार करता रहूँ और उसको जिस तक यह पहुँचे, क्या तुम इसकी गवाही देते हो कि अल्लाह के साथ कुछ और माबूद भी हैं? कह दें कि मैं इसकी गवाही नहीं देता, नीज़ कह दें कि वह तो बस एक ही माबूद है और मैं बरी हूँ तुम्हारे शिर्क से।
So when they forgot that by which they had been reminded, We opened to them the doors of every [good] thing until, when they rejoiced in that which they were given, We seized them suddenly, and they were [then] in despair.
Phir jab woh log unn cheezon ko bhoolay rahey jin ki unn ko naseehat ki jati thi to hum ney unn per her cheez kay darwazay kushada ker diye yahan tak kay jab unn cheezon per jo kay unn ko mili thin woh khoob itra gaye hum ney unn ko dafatan pakar liya phir to woh bilkul mayyus hogaye.
फिर जब उन्होंने उस नसीहत को भुला दिया जो उनको की गई थी तो हमने उन पर हर चीज़ के दरवाज़े खोल दिए, यहाँ तक कि जब वे उस चीज़ पर ख़ुश हो गए जो उन्हें दी गई थीं तो हमने अचानक उनको पकड़ लिया, उस वक़्त वे ना-उम्मीद हो कर रह गए।
Say, "Have you considered: if Allah should take away your hearing and your sight and set a seal upon your hearts, which deity other than Allah could bring them [back] to you?" Look how we diversify the verses; then they [still] turn away.
Aap kahiye kay yeh batlao agar Allah Taalaa tumhari sama’at aur basarat biluk ley ley aur tumhary dilon per mohar ker dey to Allah Taalaa kay siwa aur koi mabood hai kay yeh tum ko phir dey dey. Aap dekhiye to hum kiss tarah dalaeel ko mukhtalif pehloo’on say paish ker rahey hain phir bhi yeh aeyraaz kertay hain.
आप कह दीजिए कि यह बताओ कि अगर अल्लाह छीन ले तुम्हारे कान और तुम्हारी आँखें और तुम्हारे दिलों पर मुहर लगा दे तो अल्लाह के सिवा कौन माबूद है जो उनको वापस लाए, देखो कि हम कैसे तरह-तरह की निशानियाँ बयान करते हैं फिर भी वे मुँह मोड़ लेते हैं।
Say, "Indeed, I am on clear evidence from my Lord, and you have denied it. I do not have that for which you are impatient. The decision is only for Allah . He relates the truth, and He is the best of deciders."
Aap keh dijiye kay meray pass to aik daleel hai meray rab ki taraf say aur tum iss ki takzeeb kertay ho jiss cheez ki tum jald baazi ker rahey ho woh meray pass nahi. Hukum kissi ka nahi ba-juz Allah Taalaa kay Allah Taalaa waqaee baat ko batla deta hai aur sab say acha faisla kerney wala wohi hai.
कह दीजिए कि मैं अपने रब की तरफ़ से एक रौशन दलील पर हूँ और तुमने उसको झुठलाया है, वह चीज़ मेरे पास नहीं है जिसके लिए तुम जल्दी कर रहे हो, फ़ैसला का इख़्तियार सिर्फ़ अल्लाह ही को है, वही हक़ को बयान करता है और वह बेहतरीन फ़ैसला करने वाला है।
Say, "Indeed, I am on clear evidence from my Lord, and you have denied it. I do not have that for which you are impatient. The decision is only for Allah . He relates the truth, and He is the best of deciders."
Aap keh dijiye kay meray pass to aik daleel hai meray rab ki taraf say aur tum iss ki takzeeb kertay ho jiss cheez ki tum jald baazi ker rahey ho woh meray pass nahi. Hukum kissi ka nahi ba-juz Allah Taalaa kay Allah Taalaa waqaee baat ko batla deta hai aur sab say acha faisla kerney wala wohi hai.
कह दीजिए कि मैं अपने रब की तरफ़ से एक रौशन दलील पर हूँ और तुमने उसको झुठलाया है, वह चीज़ मेरे पास नहीं है जिसके लिए तुम जल्दी कर रहे हो, फ़ैसला का इख़्तियार सिर्फ़ अल्लाह ही को है, वही हक़ को बयान करता है और वह बेहतरीन फ़ैसला करने वाला है।
Say, "If I had that for which you are impatient, the matter would have been decided between me and you, but Allah is most knowing of the wrongdoers."
Aap keh dijiye kay agar meray pass woh cheez hoti jiss ka tum taqaza ker rahey ho to mera aur tumhara bahumi qissa-e-faisal ho chuka hota aur zalimon ko Allah Taalaa khoob janta hai.
कह दीजिए कि अगर वह चीज़ मेरे पास होती जिसके लिए तुम जल्दी कर रहे हो तो मेरे और तुम्हारे दरमियान मामले का फ़ैसला हो चुका होता, और अल्लाह ख़ूब जानता है ज़ालिमों को।
But your people have denied it while it is the truth. Say, "I am not over you a manager."
Aur aap ki qom iss ki takzeeb kerti hai halankay woh yaqeeni hai. Aap keh dijiye kay mein tum per taaeenaat nahi kiya gaya hun.
और आपकी क़ौम ने उसको झुठला दिया है हालाँकि वह हक़ है, आप कह दें कि मैं तुम्हारे ऊपर दारोग़ा नहीं हूँ।
And how should I fear what you associate while you do not fear that you have associated with Allah that for which He has not sent down to you any authority? So which of the two parties has more right to security, if you should know?
Aur mein inn cheezon say kaisay darron jin ko tum ney shareek banaya hai halankay tum iss baat say nahi dartay kay tum ney Allah kay sath aisi cheezon ko shareek thehraya hai jin per Allah Taalaa ney koi daleel nazil nahi farmaee so inn do jamaton mein say aman ka ziyada mustahiq kaun hai agar tum khabar rakhtay ho.
और मैं क्योंकर डरूँ तुम्हारे शरीकों से जबकि तुम अल्लाह के साथ उन चीज़ों को ख़ुदाई में शरीक ठहराते हुए नहीं डरते जिनके लिए उसने तुम पर कोई दलील नहीं उतारी, अब दोनों गिरोहों में से अमन का ज़्यादा मुस्तहिक़ कौन है (बताओ) अगर तुम सच्चे हो।
That is the guidance of Allah by which He guides whomever He wills of His servants. But if they had associated others with Allah , then worthless for them would be whatever they were doing.
Allah ki hidayat hi hai jiss kay zariye apney bandon mein say jiss ko chahaye uss ko hidayat kerta hai aur agar farzan yeh hazraat bhi shirk kertay to jo kuch yeh aemaal kertay thay woh sab ikaarat ho jatay.
यह अल्लाह की हिदायत है जिससे वह रहनुमाई करता है अपने बंदों में से जिसकी चाहता है, और अगर वे शिर्क करते तो ज़ाया हो जाता जो कुछ उन्होंने किया था।
And they did not appraise Allah with true appraisal when they said, " Allah did not reveal to a human being anything." Say, "Who revealed the Scripture that Moses brought as light and guidance to the people? You [Jews] make it into pages, disclosing [some of] it and concealing much. And you were taught that which you knew not - neither you nor your fathers." Say, " Allah [revealed it]." Then leave them in their [empty] discourse, amusing themselves.
Aur inn logon ney Allah ki jaisi qadar kerna wajib thi wesi qadar na ki jab kay yun keh diya kay Allah ney kiss bashar per koi cheez nazil nahi ki aap yeh kahiye kay woh kitab kiss ney nazil ki hai jiss ko musa laye thay jiss ki keyfiyat yeh hai kay woh noor hai aur logon kay liye woh hidayat hai jiss ko tum ney inn mutafarriq oraaq mein rakh chora hai jin ko zahir kertay ho aur boht si baaton ko chupatay ho aur tum ko boht si aisi baaten bataee gaee hain jin ko na tum jantay thay aur na tumharay baray. Aap keh dijiye kay Allah ney nazil farmaya hai phir inn ko inn kay kharafaat mein kheltay rehney dijiye.
और उन्होंने अल्लाह के बारे में बहुत ग़लत अंदाज़ा लगाया जब उन्होंने कहा कि अल्लाह ने किसी इंसान पर कोई चीज़ नहीं उतारी, आप कह दीजिए कि वह किताब किसने उतारी थी जिसको लेकर मूसा आए थे जो रौशन थी और रहनुमाई (का ज़रिया) थी लोगों के वास्ते, जिसको तुमने वर्क़-वर्क़ कर रखा है उनमें से कुछ को ज़ाहिर करते हो और बहुत कुछ छुपा जाते हो, और तुमको वे बातें सिखाई गईं जिनको न तुम जानते थे और न तुम्हारे बाप-दादा, कह दीजिए कि अल्लाह ने उतारी, फिर उनको उनके हाल पर छोड़ दीजिए कि वे अपनी बेहूदा गुफ़्तगू में मशग़ूल रह कर दिल्लगी करते हैं।
And this is a Book which We have sent down, blessed and confirming what was before it, that you may warn the Mother of Cities and those around it. Those who believe in the Hereafter believe in it, and they are maintaining their prayers.
Aur yeh bhi aisi hi kitab hai jiss ko hum ney nazil kiya hai jo bari barkat wali hai apney say pehlay kitabon ki tasdeeq kerney wali hai aur takay aap makkay walon ko aur aas pass walon ko darayen. Aur jo log aakhirat ka yaqeen rakhtay hain aisay log iss per eman ley aatay hain aur woh apni namaz per madawmat rakhtay hain.
और यह एक किताब है जो हमने उतारी है बरकत वाली, तस्दीक़ करने वाली उनकी जो इससे पहले हैं और ताकि आप डराएं मक्का वालों को और उसके आसपास वालों को, और जो आख़िरत पर यक़ीन रखते हैं वही उस पर ईमान लाएंगे और वे अपनी नमाज़ की पाबंदी करने वाले हैं।
And it is He who sends down rain from the sky, and We produce thereby the growth of all things. We produce from it greenery from which We produce grains arranged in layers. And from the palm trees - of its emerging fruit are clusters hanging low. And [We produce] gardens of grapevines and olives and pomegranates, similar yet varied. Look at [each of] its fruit when it yields and [at] its ripening. Indeed in that are signs for a people who believe.
Aur woh aisa hai jiss ney aasman say pani barsaya phir hum ney uss kay zariye say her qisam kay nabaat ko nikala phir hum ney uss say sabz shaakh nikali kay uss say hum upper talay daaney charhay huye nikaltay hain aur khujoor kay darakhton say yani unn kay guphay mein say khoshay hain jo neechay ko latkay jatay hain aur angooron kay baagh aur zaitoon aur anaar kay baaz aik doosray say miltay jultay hotay hain aur kuch aik doosray say miltay jultay nahi hotay. Her aik kay phal ko dekho jab woh phalta hai aur iss kay pakney ko dekho iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo eman rakhtay hain.
और वही है जिसने आसमान से पानी बरसाया फिर हमने उससे निकाली उगने वाली हर चीज़ फिर हमने उससे सरसब्ज़ शाख़ निकाली जिससे हम तह-ब-तह दाने पैदा कर देते हैं, और खजूर के गाभे में से फल के गुच्छे झुके हुए और बाग़ अंगूर के और ज़ैतून के और अनार के आपस में मिलते-जुलते और जुदा-जुदा भी, हर एक फल को देखो जब वह फलता है और उसके पकने को देखो जब वह पकता है, बेशक इनके अंदर निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो ईमान की तलब रखते हैं।
And is one who was dead and We gave him life and made for him light by which to walk among the people like one who is in darkness, never to emerge therefrom? Thus it has been made pleasing to the disbelievers that which they were doing.
Aisa shaks jo pehlay murda tha phir hum ney uss ko zinda ker diya aur hum ney uss ko aik aisa noor dey diya kay woh iss ko liye huye aadmiyon mein chalta phirta hai. Kiya aisa shaks uss shaks ki tarah ho sakta hai? Jo tareekiyon say nikal hi nahi pata. Issi tarah kafiron ko unn kay aemaal khushnuma maloom hua kertay hain.
क्या वह शख़्स जो मुर्दा था फिर हमने उसको ज़िंदगी दी और हमने उसको एक रौशनी दी कि उसके साथ वह लोगों में चलता है वह उस शख़्स की तरह हो सकता है जो तारीकियों में पड़ा है जिनसे वह निकलने वाला नहीं, इस तरह काफ़िरों की नज़र में उनके करतूत ख़ुशनुमा बना दिए गए हैं।
Say, "I do not find within that which was revealed to me [anything] forbidden to one who would eat it unless it be a dead animal or blood spilled out or the flesh of swine - for indeed, it is impure - or it be [that slaughtered in] disobedience, dedicated to other than Allah . But whoever is forced [by necessity], neither desiring [it] nor transgressing [its limit], then indeed, your Lord is Forgiving and Merciful."
Aap keh dijiye kay jo kuch ehkaam ba-zariya wahee meray pass aaye hain unn mein to mein koi haram nahi pata kissi khaney walay kay liye jo uss ko khaye magar yeh kay woh murdaar ho ya khinzeer ka gosht ho kiyon kay woh bilkul na pak hai ya jo shirk ka zariya ho kay ghair Allah kay liye naamzad ker diya gaya ho. Phir jo shaks majboor hojaye ba-shart-e-kay na to taalib-e-lazzat ho aur na tajawuz kerney wala ho to waqaee aap ka rab ghafoor-ur-raheem hai.
आप कह दीजिए कि मुझ पर वह्य आई है उसमें तो मैं कोई चीज़ नहीं पाता जो हराम हो किसी खाने वाले पर जो उसको खाए सिवाए इसके कि वे मुर्दार हो या बहाया हुआ ख़ून हो या सुअर का गोश्त हो कि वह नापाक है या नाजायज़ ज़बीहा जिस पर अल्लाह के सिवा किसी और का नाम लिया गया हो, लेकिन जो शख़्स भूख से बे-इख़्तियार हो जाए न नाफ़रमानी करे और न ज़्यादती करे तो आपका रब बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Say, "Come, I will recite what your Lord has prohibited to you. [He commands] that you not associate anything with Him, and to parents, good treatment, and do not kill your children out of poverty; We will provide for you and them. And do not approach immoralities - what is apparent of them and what is concealed. And do not kill the soul which Allah has forbidden [to be killed] except by [legal] right. This has He instructed you that you may use reason."
Aap kahiye kay aao mein tum ko woh cheezen parh ker sunaon jin ( yani jin ki mukhalifat ) ko tumharay rab ney tum per haram farma diya hai woh yeh kay Allah kay sath kissi cheez ko shareek mat thehrao aur maa baap kay sath ehsan kero aur apni aulad ko aflaas kay sabab qatal mat kero. Hum tum ko aur unn ko rizk detay hain aur bey hayaee kay jitney tareeqay hain unn kay pass bhi mat jao khuwa woh aelaaniya hon khuwa posheeda aur jiss ka khoon kerna Allah Taalaa ney haram ker diya hai uss ko qatal mat kero haan magar haq kay sath inn ka tum ko takeedi hukum diya hai takay tum samjho.
आप कहिए कि आओ मैं सुनाऊँ वे चीज़ें जो तुम्हारे रब ने तुम पर हराम की हैं, यह कि तुम उसके साथ किसी चीज़ को शरीक न करो, और माँ-बाप के साथ नेक सलूक करो और अपनी औलाद को मुफ़्लिसी के डर से क़त्ल न करो, हम तुमको भी रोज़ी देते हैं और उनको भी, और बेहयाई के कामों के पास न जाओ चाहे वे खुलेआम हों या छुपे हुए, और जिस जान को अल्लाह ने हराम ठहराया उसको नाहक़ क़त्ल न करो, ये बातें हैं जिनकी अल्लाह ने तुम्हें हिदायत फ़रमाई है ताकि तुम अक़्ल से काम लो।
Say, "Come, I will recite what your Lord has prohibited to you. [He commands] that you not associate anything with Him, and to parents, good treatment, and do not kill your children out of poverty; We will provide for you and them. And do not approach immoralities - what is apparent of them and what is concealed. And do not kill the soul which Allah has forbidden [to be killed] except by [legal] right. This has He instructed you that you may use reason."
Aap kahiye kay aao mein tum ko woh cheezen parh ker sunaon jin ( yani jin ki mukhalifat ) ko tumharay rab ney tum per haram farma diya hai woh yeh kay Allah kay sath kissi cheez ko shareek mat thehrao aur maa baap kay sath ehsan kero aur apni aulad ko aflaas kay sabab qatal mat kero. Hum tum ko aur unn ko rizk detay hain aur bey hayaee kay jitney tareeqay hain unn kay pass bhi mat jao khuwa woh aelaaniya hon khuwa posheeda aur jiss ka khoon kerna Allah Taalaa ney haram ker diya hai uss ko qatal mat kero haan magar haq kay sath inn ka tum ko takeedi hukum diya hai takay tum samjho.
आप कहिए कि आओ मैं सुनाऊँ वे चीज़ें जो तुम्हारे रब ने तुम पर हराम की हैं, यह कि तुम उसके साथ किसी चीज़ को शरीक न करो, और माँ-बाप के साथ नेक सलूक करो और अपनी औलाद को मुफ़्लिसी के डर से क़त्ल न करो, हम तुमको भी रोज़ी देते हैं और उनको भी, और बेहयाई के कामों के पास न जाओ चाहे वे खुलेआम हों या छुपे हुए, और जिस जान को अल्लाह ने हराम ठहराया उसको नाहक़ क़त्ल न करो, ये बातें हैं जिनकी अल्लाह ने तुम्हें हिदायत फ़रमाई है ताकि तुम अक़्ल से काम लो।
And do not approach the orphan's property except in a way that is best until he reaches maturity. And give full measure and weight in justice. We do not charge any soul except [with that within] its capacity. And when you testify, be just, even if [it concerns] a near relative. And the covenant of Allah fulfill. This has He instructed you that you may remember.
Aur yateem kay maal kay pass na jao magar aisay tareeqay say jo kay mustehsan hai yahan tak kay woh apney sann rashd ko phonch jaye aur naap tol poori poori kero insaf kay sath hum kissi shaks ko uss ki taqat say ziyada takleef nahi detay. Aur jab tum baat kero to insaf kero go woh shaks qarabat daar hi ho aur Allah Taalaa say jo ehad kiya uss ko poora kero inn ka Allah Taalaa ney tum ko takeedi hukum diya hai takay tum yaad rakho.
और यतीम के माल के पास न जाओ मगर ऐसे तरीक़े पर जो बेहतर हो यहाँ तक कि वे अपनी जवानी को पहुँच जाए, और नाप-तौल में पूरा इंसाफ़ करो, हम किसी के ज़िम्मे वही चीज़ लाज़िम करते हैं जिसकी उसे ताक़त हो, और जब बोलो तो इंसाफ़ की बात बोलो चाहे मामला अपनी रिश्तेदारी ही का हो, और अल्लाह के अहद को पूरा करो, ये चीज़ें हैं जिनका अल्लाह ने तुम्हें हुक्म दिया है; ताकि तुम नसीहत पकड़ो।
And, [moreover], this is My path, which is straight, so follow it; and do not follow [other] ways, for you will be separated from His way. This has He instructed you that you may become righteous.
Aur yeh kay yeh deen mera raasta hai jo mustaqeem hai so iss raah per chalo aur doosri raahon per mat chalo kay woh raahen tum ko Allah ki raah say juda ker den gi. Iss ka tum ko Allah ney takeedi hukum diya hai takay tum perhezgari ikhtiyar kero.
और (अल्लाह ने हुक्म दिया कि) यही मेरा सीधा रास्ता है पस उसी पर चलो और दूसरे रास्तों पर न चलो कि वे तुमको अल्लाह के रास्ते से जुदा कर देंगे, यह अल्लाह ने तुमको हुक्म दिया है; ताकि तुम बचते रहो।
[This is] a Book revealed to you, [O Muhammad] - so let there not be in your breast distress therefrom - that you may warn thereby and as a reminder to the believers.
Yeh aik kitab hai jo aap kay pass iss liye bheji gaee hai kay aap iss kay zariye say darayen so aap kay dil mein iss say bilkul tangi na ho aur naseehat hai eman walon kay liye.
यह किताब है जो आपकी तरफ़ उतारी गई है पस आपका दिल उसके बाइस तंग न हो; ताकि आप उसके ज़रिए से लोगों को डराओ, और वह ईमान वालों के लिए याद-दहानी है।
Say, "My Lord has only forbidden immoralities - what is apparent of them and what is concealed - and sin, and oppression without right, and that you associate with Allah that for which He has not sent down authority, and that you say about Allah that which you do not know."
Aap farmaiye kay albatta meray rab ney sirf haram kiya hai inn tamam fahash baaton ko jo ailaaniya hain aur jo posheeda hain aur her gunah ki baat ko aur na haq kissi per zulm kerney ko aur iss baat ko kay tum Allah kay sath kissi aisi cheez ko shareek thehrao jiss ki Allah ney koi sanad nazil nahi ki aur iss baat ko kay tum log Allah kay zimmay aisi baat laga do jiss ko tum jantay nahi.
कह दीजिए कि मेरे रब ने तो बस फ़हश बातों को हराम ठहराया है वे खुली हों या छुपी और गुनाह को और नाहक़ की ज़्यादती को और इस बात को कि तुम अल्लाह के साथ किसी को शरीक करो जिसकी उसने कोई दलील नहीं उतारी और यह कि तुम अल्लाह के ज़िम्मे ऐसी बात लगाओ जिसका तुम इल्म नहीं रखते।
And it is He who sends the winds as good tidings before His mercy until, when they have carried heavy rainclouds, We drive them to a dead land and We send down rain therein and bring forth thereby [some] of all the fruits. Thus will We bring forth the dead; perhaps you may be reminded.
Aur woh aisa hai kay apni baaraan-e-rehmat say pehlay hawaon ko bhejta hai kay woh khush ker deti hain yahan tak kay woh hawayen jab badlon ko utha leti hain to hum iss badal ko kissi khushk sir zamin ki taraf haank ley jatay hain phir iss badal say pani barsatay hain phir iss pani say her qisam kay phal nikaltay hain. Yun hi hum murdon ko nikal khara keren gay takay tum samjho.
और वह अल्लाह ही है जो हवाओं को अपनी रहमत के आगे ख़ुश-ख़बरी बना कर भेजता है, फिर जब वे बोझल बादलों को उठा लेती हैं तो हम उसको किसी ख़ुश्क ज़मीन की तरफ़ हाँक देते हैं फिर हम उसके ज़रिए पानी उतारते हैं, फिर हम उसके ज़रिए से हर क़िस्म के फल निकालते हैं, इसी तरह हम मुर्दों को निकालेंगे; ताकि तुम ग़ौर करो।
Said the eminent ones who were arrogant among his people to those who were oppressed - to those who believed among them, "Do you [actually] know that Salih is sent from his Lord?" They said, "Indeed we, in that with which he was sent, are believers."
Unn ki qom mein jo mutakabbir sardar thay unhon ney gharib logon say jo kay inn mein say eman ley aaye thay poocha kiya tum ko iss baat ka yaqeen hai kay saleh ( alh-e-salam ) apney rab ki taraf say bhejay huye hain? Unhon ney kaha kay be-shak hum to iss per poora yaqeen rakhtay hain jo inn ko dey ker bheja gaya hai.
उनकी क़ौम के बड़ों ने जिन्होंने घमंड किया उन ईमान वालों से कहा जो कमज़ोर समझे जाते थेः क्या तुमको यक़ीन है कि सालेह अपने रब का भेजा हुआ है, उन्होंने जवाब दिया कि हम तो जो वे लेकर आए हैं उस पर ईमान रखते हैं।
Said those who were arrogant, "Indeed we, in that which you have believed, are disbelievers."
Woh mutakabbir log kehney lagay kay tum jiss baat per yaqeen laye ho hum to iss kay munkir hain.
वे मुतकब्बिर लोग कहने लगे कि हम तो उस चीज़ के मुनकिर हैं जिस पर तुम ईमान लाए हो।
And do not sit on every path, threatening and averting from the way of Allah those who believe in Him, seeking to make it [seem] deviant. And remember when you were few and He increased you. And see how was the end of the corrupters.
Aur tum sarkaon per iss gharz say nahi betha kero kay Allah per eman laney walay ko dhamkiyan do aur Allah ki raah say roko aur iss mein kuji ki talash mein lagay raho. Aur uss halat ko yaad kero jabkay tum kum thay phir Allah ney tum ko ziyada ker diya aur dekho kay kaisa anjam hua fasaad kerney walon ka.
और रास्तों पर मत बैठो कि डराओ और अल्लाह की राह से उन लोगों को रोको जो उस पर ईमान ला चुके हैं और उसकी राह में कजी (टेढ़ापन) तलाश करो, और याद करो जबकि तुम बहुत थोड़े थे फिर उसने तुमको बढ़ा दिया, और देखो फ़साद मचाने वालों का क्या अंजाम हुआ।
And if there should be a group among you who has believed in that with which I have been sent and a group that has not believed, then be patient until Allah judges between us. And He is the best of judges."
Aur agar tum say kuch log iss hukum per jiss ko dey ker mujh ko bheja gaya eman ley aaye hain aur kuch eman nahi laye hain to zara thehar jao! Yahan tak kay humaray darmiyan Allah faisla kiye deta hai aur woh sab faisla kerney walon say behtar hai.
और अगर तुम में से एक गिरोह उस पर ईमान लाया है जो देकर मैं भेजा गया हूँ और एक गिरोह ईमान नहीं लाया है तो इन्तिज़ार करो यहाँ तक कि अल्लाह हमारे दरमियान फ़ैसला कर दे, और वह बेहतर फ़ैसला करने वाला है।
Said Pharaoh, "You believed in him before I gave you permission. Indeed, this is a conspiracy which you conspired in the city to expel therefrom its people. But you are going to know.
Firaon kehney laga tum musa per eman laye hobaghair iss kay kay mein tum ko ijazat doon? Be-shak yeh saazish thi jiss per tumhara amal daramad hua hai iss shehar mein takay tum sab iss shehar say yahan kay rehney walon ko bahir nikal do. So abb tum ko haqeeqat maloom hui jati hai.
फ़िरऔन ने कहाः तुम लोग मूसा पर ईमान ले आए इससे पहले कि मैं तुम्हें इजाज़त दूँ यक़ीनन यह एक साज़िश है जो तुम लोगों ने शहर में इस ग़र्ज़ से की है कि तुम उसमें रहने वालों को वहाँ से निकाल दो, तो तुम जल्द जान लोगे।
And they said, "No matter what sign you bring us with which to bewitch us, we will not be believers in you."
Aur yun kehtay kaisi hi baat humaray samney lao kay inn kay zariye say hum per jadoo chalao jab bhi hum tumhari baat hergiz na maanen gay.
और वे (मूसा से) कहते थे कि तुम हम पर अपना जादू चलाने के लिए कैसी भी निशानी लेकर आ जाओ हम तुम पर ईमान लाने वाले नहीं हैं।
And decree for us in this world [that which is] good and [also] in the Hereafter; indeed, we have turned back to You." [ Allah ] said, "My punishment - I afflict with it whom I will, but My mercy encompasses all things." So I will decree it [especially] for those who fear Me and give zakah and those who believe in Our verses -
Aur hum logon kay naam duniya mein bhi nek haali likh dey aur aakhirat mein bhi hum teri taraf rujoo kertay hain. Allah Taalaa ney farmaya kay mein apna azab ussi per waqey kerta hun aur meri rehmat tamam ashiya per moheet hai. To woh rehmat unn logon kay naam zaroor likhon ga jo Allah say dartay hain aur zakat detay hain aur jo humari aayaton per eman latay hain.
और आप हमारे लिए इस दुनिया में भी भलाई लिख दीजिए और आख़िरत में भी, हमने आपकी तरफ़ रुजूअ़ किया, अल्लाह ने कहाः मैं अपने अज़ाब में मुब्तला करता हूँ जिसको चाहता हूँ और मेरी रहमत शामिल है हर चीज़ को, पस मैं उसको लिख दूँगा उनके लिए जो डर रखते हैं और ज़कात अदा करते हैं और जो हमारी निशानियों पर ईमान लाते हैं।
Those who follow the Messenger, the unlettered prophet, whom they find written in what they have of the Torah and the Gospel, who enjoins upon them what is right and forbids them what is wrong and makes lawful for them the good things and prohibits for them the evil and relieves them of their burden and the shackles which were upon them. So they who have believed in him, honored him, supported him and followed the light which was sent down with him - it is those who will be the successful.
Jo log aisay rasool nabi ummi ka ittabaa kertay hain jin ko woh log apney pass toraat-o-injeel mein likha hua patay hain. Woh inn ko nek baaton ka hukum farmatay hain aur buri baaton say mana kertay hain aur pakeezah cheezon ko halal batatay hain aur gandi cheezon ko inn per haram farmatay hain aur inn logon per jo bojh aur toq thay unn ko door kertay hain. So jo log iss nabi per eman latay hain aur inn ki himayat kertay hain aur inn ki madad kertay hain aur iss noor ka ittabaa kertay hain jo inn kay sath bheja gaya hai aisay log poori falah paney walay hain.
जो लोग पैरवी करेंगे उस रसूल की जो नबी उम्मी है, जिसको वे लिखा हुआ पाते हैं अपने यहाँ तौरात और इंजील में, वह उनको नेकी का हुक्म देता है और उनको बुराई से रोकता है और उनके लिए पाकीज़ा चीज़ें जायज़ ठहराता है और नापाक चीज़ें उन पर हराम करता है और उन पर से वह बोझ और तौक़ उतारता है जो उन पर थीं, पस जो लोग उस पर ईमान लाए और जिन्होंने उसकी इज़्ज़त की और उसकी मदद की और उस नूर (क़ुरआन) की पैरवी की जो उसके साथ उतारा गया है तो वही लोग कामयाबी पाने वाले हैं।
It is He who created you from one soul and created from it its mate that he might dwell in security with her. And when he covers her, she carries a light burden and continues therein. And when it becomes heavy, they both invoke Allah , their Lord, "If You should give us a good [child], we will surely be among the grateful."
Woh Allah Taalaa aisa hai jiss ney tum ko aik tan-e-wahid say peda kiya aur iss say uss ka jora banaya takay woh iss apney joray say unss hasil keray phir jab miyan ney biwi say qurbat ki to uss ko hamal reh gaya halka sa. So woh uss ko liye huye phirti rahi phri jab woh bojhal hogaee to dono miyan biwi Allah say jo unn ka maalik hai dua kerney lagay kay agar tu ney hum ko sahih saalim aulad dey di to hum khoob shukar guzari keren gay.
वही है जिसने तुमको पैदा किया एक जान से और उसी से बनाया उसका जोड़ा ताकि उसके पास सुकून हासिल करे, फिर जब मर्द ने औरत को ढाँक लिया तो उसको एक हल्का सा हमल रह गया फिर वह उसको लिए फिरती रही, फिर जब वह बोझल हो गई तो दोनों ने मिलकर अपने रब से दुआ की कि अगर आप ने हमें तंदुरुस्त औलाद दी तो हम आपके शुक्रगुज़ार रहेंगे।
And Allah made it not but good tidings and so that your hearts would be assured thereby. And victory is not but from Allah . Indeed, Allah is Exalted in Might and Wise.
Aur Allah Taalaa ney yeh imdad mehaz iss lie ki kay bisharat ho aur takay tumharay dilon ko qarar ho jaye aur madad sirf Allah hi ki taraf say hai jo kay zabardast hikmat wala hai.
और यह अल्लाह ने इसलिए किया कि तुम्हारे लिए ख़ुश-ख़बरी हो और ताकि तुम्हारे दिल उससे मुतमइन हो जाएं, और मदद तो अल्लाह ही के पास से आती है, यक़ीनन अल्लाह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
[Remember] when He overwhelmed you with drowsiness [giving] security from Him and sent down upon you from the sky, rain by which to purify you and remove from you the evil [suggestions] of Satan and to make steadfast your hearts and plant firmly thereby your feet.
Uss waqt ko yaad kero jab kay Allah tum per oongh taari ker raha tha apni taraf say chain denay kay liye aur tum per aasman say pani barsa raha tha kay iss pani kay zariye say tum ko pak ker dey aur tum say shetani waswasay ko dafa kerdey aur tumharay dilon ko mazboot kerdey aur tumharay paon jama dey.
जब अल्लाह ने तुम पर ऊँघ डाल दी अपनी तरफ़ से तुम्हारी तस्कीन के लिए और आसमान से तुम्हारे ऊपर पानी उतारा कि उसके ज़रिए से तुम्हें पाक करे और तुम से शैतान की नजासत को दूर कर दे और तुम्हारे दिलों को मज़बूत कर दे और उससे क़दमों को जमा दे।
And prepare against them whatever you are able of power and of steeds of war by which you may terrify the enemy of Allah and your enemy and others besides them whom you do not know [but] whom Allah knows. And whatever you spend in the cause of Allah will be fully repaid to you, and you will not be wronged.
Tum inn kay muqablay kay liye apni taqat bhar qooat ki tayyari kero aur ghoron ko tayyar rakhney ki kay iss say tum Allah kay dushmanon ko khof zada rakh sako aur inn kay siwa auron ko bhi jinhen tum nahi jantay Allah enhen khoob jaan raha hai jo kuch bhi Allah ki raah mein sarf kero gay woh tumhen poora poora diya jayega aur tumhara haq na maara jayega.
और उनके लिए जिस क़दर तुमसे हो सके तैयार रखो क़ुव्वत और पले हुए घोड़े कि उससे तुम्हारी हैबत रहे अल्लाह के दुश्मनों पर और तुम्हारे दुश्मनों पर और उनके अलावा दूसरों पर भी जिनको तुम नहीं जानते, अल्लाह उनको जानता है, और जो कुछ तुम अल्लाह की राह में ख़र्च करोगे वह तुम्हें पूरा-पूरा दिया जाएगा और तुम्हारे साथ कोई कमी नहीं की जाएगी।
But when he gave them from His bounty, they were stingy with it and turned away while they refused.
Lekin jab Allah ney apney fazal say enhen diya to yeh iss mein bakheeli kerney lagay aur taal matol ker kay mun mor liya.
फिर जब अल्लाह ने उनको अपने फ़ज़्ल से अता किया तो वे उसमें कंजूसी करने लगे और बरगश्ता होकर मुँह फेर लिया।
Then is one who laid the foundation of his building on righteousness [with fear] from Allah and [seeking] His approval better or one who laid the foundation of his building on the edge of a bank about to collapse, so it collapsed with him into the fire of Hell? And Allah does not guide the wrongdoing people.
Phir aaya aisa shaks behtar hai jiss ney apni emaarat ki bunyaad Allah say darney per aur Allah ki khushnoodi per rakhi ho ya woh shaks kay jiss ney apni emaarat ki bunyaad kissi ghaati kay kinaray per jo kay girney hi ko ho rakhi ho phir woh iss ko ley ker aatish-e-dozakh mein girr paray aur Allah Taalaa aisay zalimon ko samajh hi nahi deta.
क्या वह शख़्स बेहतर है जिसने अपनी इमारत की बुनियाद अल्लाह के डर और अल्लाह की ख़ुशनूदी पर रखी या वह शख़्स बेहतर है जिसने अपनी इमारत की बुनियाद एक खाई के किनारे पर रखी जो गिरने को है फिर वह इमारत उसको लेकर जहन्नम की आग में गिर पड़ी, और अल्लाह ज़ालिम लोगों को राह नहीं दिखाता।
Indeed, Allah has purchased from the believers their lives and their properties [in exchange] for that they will have Paradise. They fight in the cause of Allah , so they kill and are killed. [It is] a true promise [binding] upon Him in the Torah and the Gospel and the Qur'an. And who is truer to his covenant than Allah ? So rejoice in your transaction which you have contracted. And it is that which is the great attainment.
Bila shuba Allah Taalaa ney musalmanon say unn ki janon ko aur unn kay maalon ko iss baat kay ewaz mein khareed liya hai kay unn ko jannat milay gi. Woh log Allah ki raah mein lartay hain jiss mein qatal kertay hain aur qatal kiye jatay hain iss per sacha wada kiya gaya hai toraat mein aur injeel mein aur quran mein aur Allah say ziyada apney ehad ko kaun poora kerney wala hai to tum log apni iss bey per jiss ka tum ney moamla thehraya hai khsuhi manao aur yeh bari kaamyabi hai.
बेशक अल्लाह ने मोमिनों से उनकी जान और उनके माल को ख़रीद लिया है जन्नत के बदले, वे अल्लाह की राह में लड़ते हैं फिर मारते हैं और मारे जाते हैं, यह अल्लाह के ज़िम्मे एक सच्चा वादा है तौरात में और इंजील में और क़ुरआन में, और अल्लाह से बढ़कर अपने वादे को पूरा करने वाला कौन है, पस तुम ख़ुशियाँ मनाओ उस मामले पर जो तुमने अल्लाह से किया है, और यही सबसे बड़ी कामयाबी है।